Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-52:A lip of heart-3
Update-200*
.
"duniya haseeno ka mela...mele me ye dil akela...baju hat be lawde.."main gaane ka sur le hee raha tha ki saamne college ka koyi launda aa gaya aur mujhe rukna pada.....
"tujhe faltu ke lafde me fasna achchha lagta hai kya..."Avadhes ne mujhe saamane aaye us ladke se door


le jaate hue kaha...
"abey tu dar kaiku rela hai...apun hai na..."
"chal ok, ab ye bol ki tujhe mujhse kya kaam hai..."
"suna hai , Esha aur Divya ki ladaayi ho gayi hai...jitna pata hai, sab bol daal..."
"puri baat to apne ko nahi maloom ,lekin itna zaroor maloom hai ki, jhagde ki vajah tu tha..." "main..." Divya aur Esha ke jhagde ki vajah main hoon sunkar main chaunka...
"aur nahi to kya, Divya ka kahna tha ki yadi Arman,Esha ka anchoring partner hai to phhir Esha ko Chhatrapal Sir se baat karke partner change karne ko kahna chahiye ,ya phhir anchoring chhod deni chahiye...lekin Esha ka kahna tha ki wo ,uski baat kyun mane...bas phhir kya,dono ek jaisi hee ghamandi thi, ad gayi apni baat par...nateeza ek majedar entertainment ke roop me sabke saamane aaya....tu us din class me rahta to bahut maza aata...."
"aur tujhe ye sab kaise pata chala..." "meri girlfriend ne bataya..."
"sala...isne bhi maal pata kar rakhi hai, in ladkiyo ko bhala main kyun pasand nahi aata, ye fali mujhe propose kyun nahi karti..."sochate hue maine Avadhes se kaha"aur teri wo girlfriend,jisne tujhe itna sab kuchh bataya ,wo zaroor Divya ke side hogi..."
"correct bola, ye tujhe kisne bataya..."
"tujhe kya lagta hai, tere paas bas girl friend hai...maine har branch ke har class me ek maal pata rakhi hai, unhi me se ek ne bataya..."
"to ab main chalu..." "chal nikal...thanks.."
.
Avadhes ke jaane ke baad main kuchh der wahi khada raha aur Divya-Esha ke jhagde ka jo complex equation tha ,use solve karne laga...ye jhagda story me ek naya twist tha, kyunki Esha ne mere sath anchoring karne ke liye Divya se jhagda kiya tha, yani ki....yani  ,ho  na ho, ye ladki  mujhpar fida zaroor hai ,upar se jab mere sixth sense ne is par muhar laga di to main aur bhi khush hua...dil kiya ki third floor se hee neeche kood jaun ya phhir apna shirt fad dalu aur apna sar peechhe wali deewar par de maru....
"kal Esha se ye zaroor puchhunga ki uski ,Divya se ladayi kyun hui thi, phhir dekhta hoon ki wo kya vajah batati hai...yesss...yesss...kallu teri *** ki choot, teri *** ka bhosda..."
.
College ke baad main hostel ke liye jab ravana hua to mere dimag se ye baat nikal chuki thi ki maine aaj kaliye ko college me uske class walo ke saamane choda hai aur waise bhi jab Esha ki taraf se possitive responce aayega to us chutiye ko kaun yaad karega...lekin mujhe kya pata tha ki wo sala kaliya hostel me ladko ko ikattha karke panchayat kar raha hai....iska pata to mujhe hostel jaane par hee laga,jab warden ne mere hostel me ghuste hee mujhe apne room me bulaya....
"tune kallu ko kyun mara..."jab main warden ke peechhe-peechhe uske uske room ki taraf ja raha tha to unhone puchha...
"wo kuchh jyada hee udd raha tha, baitha diya sale ko...chhoti-moti baat hai, aap tension mat lo..." "tension kyun na loon, wo aaj lunch ke baad hee college se apna boriya-bistar lekar hostel aa gaya aur mujhse bola ki principal ke paas teri complaint karne ja raha hai..."
"uski to...hai kaha wo is waqt..." "mere room me baitha ro raha hai..." "abhi chodata hoon MC ko..."


Kallu ki harkat jaankar mere body ka temperature turant mere recrystallization temperature ko paar kar gaya aur main warden ke room ki taraf sarpat bhaga...
"kaha hai BC ,kaliya..."warden ke room me jaakar maine waha baithe laundo ki taraf dekha to mujhe kaliya wahi ladko ke beech baitha hua dikhayi diya...sab ke sab launde , PC me koyi movie dekh rahe the...main seedhe kallu ke paas gaya aur uske thobade me ek mukka mara...
"kyun be, Principal ke paas ja raha tha na ,ab ja..."
"dekho sir, ye mujhe phhir maar raha hai..."rote hue kaliye ne warden ko aawaz lagayi...jiske baad warden ne mujhe pakad kar peechhe kiya...
"apne dimag ka ilaaz karwa Arman...main yaha par hoon na ,kuchh to izzat kar meri..."
"aapki to main gaand faad izzat karta hoon Sir, lekin ye kaliya apne aap ko samajhta kya hai...ise samjhao ki jungle me rah raha hai to sher ki huqumat swikarni padegi nahi to jaan se jayega...."
"tu abhi yaha se bahar ja,.."
"main kyun jaun, ise bhejo bahar..."
"maine kaha na ki bahar ja...jata hai ya nahi..."
Ab warden se sambandh bigade usase achchha to yahi tha ki main waha se bahar hee chala jaun...isliye maine gusse se fafakati apni aankho se kaliye ko ek baar ghoor kar dekha aur waha se seedhe apne room ki taraf badha....
"kya hua be , Arman lund..aise gand jaisi shakl kyun bana rakhi hai..."mere room me pahuchate hee Arun ne comment pass kiya...
"teri gand ke neeche jo aaina tune daba rakha hai na ,use alag kar de...warna yadi aaina toota to tujhe tod dunga..."
"tabhi...tabhi main sochu ki sala mere pichhwade me chubh kya raha hai..."apne neeche se aaina hatakar side me rakhte hue Arun ne kaha"waise tune bataya nahi ki teri is gand jaisi shakl ka raaz kya hai..."
"wo MC kaliya...meri complaint principal se karne ja raha tha aaj...wo to warden ne rok liya ,warna shahid kar deta usko aaj..."
"aisa kya...chal phhir thok ke aate hai MC ko..." "rahne de, warden rok lega..."
"warden ki *** ki choot...usko bhi marenge..." "dheere bol be chutiye, kahi wo sun na le..." "are sun lega to kya ukhad lega... chodate hai"
"kuchh khas nahi karega,bas tere ghar phone karega bas..."
"phhir to rahne de...tere raste alag aur mere raste alag...main to tujhe janta tak nahi...main to tujhe pahli baar dekh raha hoon...kaun ho bhaiya aap aur khana khaya ya phhir mera aand khane ka vichar hai..."
Arun ko main jawab deta usase pahle hee mere jeb me rakha mobile vibrate hone laga...maine mobile nikala aur screen par nazar dali..call bade bhaiya ki thi...
waise to maine screen par nazar dali thi lekin Arun ko jawab dene ki uttejana ke karan maine Vipin bhaiya ka naam dekh kar bhi jaise andekha kar gaya...
"kyun re phone kyun nahi karta tu..."mere call recieve karte hee Vipin bhaiya mujhpar toot pade... Lekin main is waqt aaveg me tha ,isliye jaise main normally ladko se baat karta hoon,waise hee Vipin bhaiya se bhi baat ki ...main bola...
"nahi karunga call ,kya kar lega be..."
"kya kar lega be...? Tu Arman hee bol raha hai na..."


"teri to...bade bhaiya..."jhatka khate hue main jaise hosh me aaya aur phhir apni aawaz badal kar bola"nahi ,main Arman nahi...Arman ka dost bol raha hoon, aap kaun..."
"main Uska bada bhai bol raha hoon, Arman kaha hai..."
"idhar hee hai, ek minute rukiye...bulata hoon usko..."mobile kaan se door karke maine usi badli hui aawaz me apna hee name do-teen baar pukara aur sath me ye bhi kaha ki"kitni padhayi karega Arman...subah se to padh raha hai  "
.
"hello, bhaiya...ram ram, payi lagu..."mobile ko apne kaan se satate hue main bola.. "kya kar raha tha..."
"aaaaahhh , "jamhayi marne ki acting karte hue main bola"padhayi kar raha tha ek hafte baad class test hai na ,isliye...aap sunao, sab badhiya..."
"pahle to ye bata ki tera mobile kiske hath me tha aur tu ghar me call kyun nahi karta...."
"mobile  Arun ke hath me tha aur kal hee to ghar me call kiya tha...mammi-papa dono se ek ghante tak baat ki thi..."
"lekin mammi ne to kaha ki Arman call hee nahi kar..."
"are kaha lage ho bhaiya,aap bhi in baato me...mammi to aise hee bas bol deti hai ki Arman call nahi karta..."
"main teen din se ghar me hoon aur mujhe hee padha raha hai..."
"ab to fase beta Arman..."man me sochate hue maine kaha...ab maine yaha se U-turn lete hue topic hee badala aur bola"Vijaywada se wapas kab aaye....chhutti mili hai kya..."
"waisa hee samajh..."
"are wah, isi khushi me do-teen hazaar rupaye mere account me dalwa do..." "chup kar be..."
iske baad jo baat mujhe pata chali wo ye ki Vipin bhaiya ki shadi tay hone wali hai aur next week Vipin bhaiya ladki dekhne jaa rahe hai...yaha tak to phhir bhi sab thik tha, lekin mamla tab bigda jab mujhe pata chala ki jis ladki ko Vipin bhaiya dekhne jaa rahe hai wo koyi aur nahi ,balki Pandey ji ki ladki hai
,jisne bachpan se mera beda garg kar rakha hai....bachpan se lekar ab tak uske karan mujhe gharwale ghaseetate rahe ki padh beta padh...Pandey ji ki beti ke falana subject me falana number hai, Pandey ji ki beti ne award jeeta, Pandey ji ki beti ne ye kiya, Pandey ji ki beti ne wo kiya....wagerah- wagerah...matlab ki jis Pandey ji aur unki beti ne mujhe aaj tak itna pareshaan kiya ,unhe ab zindagi bhar jhelna padega....maine kuchh der tak Vipin bhaiya se koyi baat nahi ki aur age analysis karne laga...Vipin bhaiya 26 saal ke aur wo Pandey ji ki laundiya 22 saal ki...Arman beta, ab usko laundiya nahi bhabhi bolne ki aadat daal lo....
"kya hua...chup kyun hai..."
"cancel kar do bhaiya...aap jaise smart ,intelligent ,handsome...ladke ke saamane Pandey ji ki ladki kahi nahi tikati....aur yadi aap mana karne me sharma rahe ho to mujhe kaho,main call karke mana kar deta hoon..."
"chup kar aur sunday ko seedhe ghar pahuch jaana...."
"ab nahi maan rahe to aapki marzi, mera kya...lekin phhir baad me mat kahna ki maine aagah nahi kiya tha  waise bhaiya,kuchh rupaye udhari doge kya, agale mahine ki ek taarikh ko byaaj ke sath wapas kar dunga "


 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-201 :

.
"ek baat bata Arman, tu Gandhi ko manta hai ya shahid bhagat singh ko...."usi raat, daru ki botal ke dhakkan ko daant se kholte hue Arun ne puchha....
"namaskar bade bhaiyo..."Pandey ji apne ne sar par patti ke shagun ke sath humare room me pravesh kiya...
Rajshri Pandey ,us raat driving kar raha tha ,isliye hume jaha chhoti-moti kharoche aayi thi,wahi Pandey ji ka haal ye tha ki wo ab bhi langda-langda kar chalta tha...Pandey ji ke baaye hath me plaster bhi lag chuka tha, yaani ki Pandey ko kayi hafte tak apne sirf ek hath se kaam chalana tha....
"MC, chhu mat daru ki botal...jis hath se gand dhota hai ,usi hath se itani pavitra chiz ko chhune ka dus- sahas kar raha hai tu ....hath hata apna..."Rajshri Pandey ne jab botal ki taraf hath badhaya to Arun bol pada....dar-asal ,Arun cheekha...
"main tera sawal nahi samjha...ek baar phhir se dohra to..."maine kaha...
"abey maine tujhse puchha ki tu Gandhi ko manta hai ya shahid Bhagat Singh ko...."
Arun ki is line se hee main samajh gaya ki wo pakke me Bhagat Singh ka anusaran karne wala manav hai, kyunki usne Bhagat Singh ka naam pade aadar se liya tha aur wahi Mahatma Gandhi ke liye usne sirf
'Gandhi' word use kiya tha... Kyun hoon main itna smart
.
Arun Bhagat Singh ko manta hai ,ye mujhe abhi pata chala tha lekin Saurabh Gandhi ji ka anuyayi tha,ye mujhe bahut pahle se maloom tha aur is samay kisi ek ka paksha lena matlab ek lambi bahas ko aamantran dena tha...yakinan ant me jeet to meri hoti ,lekin ab sala kaun apni energy khapaye...ye sochkar maine Arun se thoda samay manga aur phhir thode samay ke baad bola....


"main....main....dono ko manta hoon..."
"aisa thode hee hota hai...ya to aastik bano ya naastik...ye kaun si baat hui ki tu aastik bhi hai aur naastik bhi..."Saurabh ne ungali ki aur jis bahas ko main dabana chahta tha, us bahas ka opening ribbon katate hue Saurabh ne mujhse puchha...
maine phhir thoda samay manga aur apne 1400 gm ke dimag ko duso dishao me daudane laga aur jab mere hath Saurabh ke us sawal ka ek logical jawab aaya to main bola...
"hey, murkh manav...main Gandhi ji aur Bhagat Singh dono ko manta hoon...ise main ek-ek example se samjhata hoon....maan lo ki main apne takle Principal ke cabin me hoon aur usne mujhe kisi baat par ek thappad maar diya, tab main Gandhi ji ke siddhanto ka palaan karte hue apna dusara gaal aage kar dunga.....
lekin ab situation me thoda changes lao aur ye maan lo ki mere saamne Gautam khada hai aur usne mujhe ek thappad mara hai ,tab main Bhagat Singh ke anusar uski maa -bahan ek kar dunga...." "waaaahhhh....kya example thoka hai..."mera hath pakadte hue Rajshri Pandey bola...
"hath hata be madarjaat...jis hath se gand dhota hai ,usi hath se mujhe chhu raha hai..."
.
agle din main auditorium me akele baitha hua tha ,kyunki Esha ne subah-subah mere mobile par messege bhej diya tha ki wo aaj nahi aane wali...main Esha ko phone karke na aane ka reason jaroor puchhta lekin mere mobile me balance nahi tha ,isliye main Esha ko phone nahi kar paya
Ab jabki mujhe maloom tha ki Esha aaj college nahi aane wali hai to maine socha ki kyun na aaj Aradhna ke sath baithkar mere future plan par kaam kiya jaye...isliye main aage baitha ,lekin baki sabse door aur jab Aradhna auditorium me ghusi to maine use ishare se apne paas bulaya....
"Good morning Arman..."
"Arman  BC do din me hee Arman sir se Arman par aa gayi..."Aradhna ko dekhte hue maine socha aur phhir bola"good morning mam..."
"too funny, na..."
"baithiye, khadi kyun hai..."
"ok..."apna pichhwada seat se tikakar Aradhna ne meri taraf dekhte hue kaha"achchha suno Arman, tumhare hostel me jo mera door ka bhai rahta hai na...use kahna ki aaj sham ko college ke baad mujhse mil le. Mere ghar se kal mere papa aaye the ,isliye uska bhi kuchh samaan hai..."
"abey ye to had hee ho gayi, main kuchh bol nahi raha hoon iska matlab ye thodi hee hua ki tu mere kaan me Arman-Arman chillayegi...mana ki mujhe tujhse bahut jyada pyar hai lekin Pyar apni jagah aur izzat apni jagah...."
"sorry, Arman bhaiya..."
"bhaiya...teri to...bhaiya kisko bhaiya hoga tera papa, teri mammi, teri bahan....tera bhai..." "dil pe kyun le rahe ho sir...waise i feel so erotic..."
"BC, ise kya ho gaya hai....zaroor kisi ne iski choot me ungali ki hai kal raat, jo aise ashleel shabdo ka prayog kar rahi hai..."Aradhna ka aisa rang-roop dekhkar mera rang-roop ud gaya , waise to kayde se mujhe usi waqt Aradhna ka doodh daba dena chahiye tha, lekin main ek sharif ladka tha,isliye maine waisa nahi kiya....main bola
"kitni abhadra harkate kar rahi hai tu Aradhna...main ek ladka hokar bhi aisa nahi kahta aur tu...tu....kuchh to sharam kar.."
"mazak kar rahi thi ,aapne to seriously hee le liya...waise aapki thodi madad chahiye..."
"aisa bhi koyi mazak karta hai kya, main sach me erotic feel karne laga tha...chal bol kya help chahiye..." "mujhe sabke saamne khade hokar bolne me hesitation hoti hai...maine Chhatrapal sir ke bataye hue


saare tips use kiye lekin dar aur hesitation jaane ka naam hee nahi le raha..." "murkh hai chhatru...waise uski tips kya thi "
"unhone kaha ki stage par jaane ke baad aisa feel karo jaise yaha tumhare saamne koyi nahi hai...maine try kiya lekin kuchh khas kaam nahi bana..."
"chutiya hai fala...kuchh bhi bolte rahta hai...tu ek kaam kar, agli baar jab bhi stage par jaaye to ye sochna ki tere saamne bhoot-pret baithe hai .yadi tune ek baar un bhoot-pret ke saamne bol diya to phhir kabhi bhi, kahi bhi dar nahi lagega..."bolte hue main peechhe muda to ye dekhkar dang rah gaya ki Esha thik usi jagah par baithi hai, jaha aksar wo baitha karti thi....
Pahle-pahal to mujhe laga ki ye Esha ka mere man dwara banaya gaya sirf ek pratibimb hai...kyunki maine filmo me aksar dekha hai ki pyar karne walo ko aksar aise apne premi/premikao ke pratibimb dikhayi dete hai....
"ye Esha ho hee nahi sakti, usne to mujhe messege karke kaha tha ki wo aaj nahi aayegi...ye jaroor Esha ke liye mera pyar hai  "
Lekin jab Esha ke us pratibimb ne meri taraf gusse se dekha to mera matha tanka aur maine Aradhna ko
shaam ko milne ka kahkar ,Esha ke pratibimb ki taraf badha....
Waha pahuchkar maine apni ek ungali dheere-dheere Esha ki taraf badhayi aur uske hath ko touch kiya, jiske baad Esha mujhe ghoor kar dekhne lagi...
"ek aur baar confirm kar leta hoon....."bolte hue maine Esha ke hath ko chhua, lekin Esha gayab nahi hui, jaisa ki filmo me hota hai...
"ek aakhiri baar..."bolte hue maine Esha ke gaal par chitkoti kaat di, kyunki mujhe yakin tha ki ye pakka Esha na hokar Esha ki chhaya-prati hai...lekin jab Esha ne mera hath pakad kar saamne wali chair par de mara to jaise mera bhram toota aur main apna hath sahlate hue bola...
"tu asli hai..."
"kya matlab..."
"matlab-vatlab baad me samjhata hoon, chal pahle khisak udhar...mujhe bhi baithne de..."


 
 
 
Update-202 :

.
"are khisak na..." "nahi...tum jao us side..."
"chal...tu ja..."
"main kyun jaun...main pahle aayi isliye ye jagah meri hai..."
"yaha kya 'pahle aao ,pahle pao' contest chal raha hai aur ye tu mujhe itni der se ghoor kyun rahi hai...kya kar legi bol..."
"nonsense..." "billi...meow..."
"Arman over ho raha hai..." "meow..meow..."
"Arman, this is too much..." "meow...meow..meow...this is three much..."
Humare beech ka ye world war finally khatm hua aur Esha side wali chair par jaakar baith gayi.... "pahle hee chali jati,itna drama karne ki kya jaroorat thi....meow.."
"Arman, main bol rahi hoon...ye cat ki aawaz mat nikalo...nahi to "
"chal shant ho ja...nahi karta ab...aur ye bata ki tune mujhse jhooth kyun bola ki tu aaj college nahi aayegi ,lekin phhir tapak padi"
"har baat tumhe batana jaroori hai kya..."
"har baat nahi lekih ye baat batana jaroori hai..."
"wo mujhe ek form bharna tha, jiski last date aaj hee hai...." "form...kaun sa form..."
"ab ye main nahi batane wali tumko...ok.." "ok..."
.
Golden jubilee ka function najdeek tha aur Chhatrapal hum sabki taiyari dekhkar khush bhi tha .isliye wo humari taraf se thoda befikar ho gaya tha...isiliye ab Chhatru kabhi-kabhi late aata tha ya phhir kabhi- kabhi aata hee nahi tha....Chhatrapal ki gairmauzudagi me bhi hum pelam-pel practice kiya karte the aur ab to lunch tak ke sare periods hum auditorium me practice karte hue bitate the....
"Arman..."Esha achanak se cheekhi aur uske is tarah cheekhne se main thoda bhaybheet hua ki ab ye meow kya karne wali hai...
"cheekhti kyun hai re...saamne dekh sab idhar hee dekh rahe hai..." "main bhool gayi thi,lekin ab mujhe yaad aa gaya hai..."
"kya yaad aa gaya hai..."
"yahi ki tumhare birthday ke din main parking me aadhe ghante tak khadi rahi, taki tumhe birthday wish kar saku...lekin tum nahi aaye...why "


"hmm.....?............. Mujhe to tune bataya hee nahi tha ki tu parking me mera intezaar karegi...warna main daru chhodkar aata..."bahana marte hue maine kaha...
"lekin maine to tumhe messege kiya tha..."Esha boli...ab uski surat thoda achambhit typeki ho chali thi... "messege...main messege nahi padhta  , mere paas time nahi rahta ,bahut busy person hoon...." "matlab tumne sach me mera messege nahi padha,kitne bure ho tum...."
"ek minute...abhi dikhata hoon, "bolte hue maine apna dus hazar ka mobile jeb se nikala aur chair par tankar thoda peechhe ho gaya ,taki Esha meri karamat na jaan paye .iske baad maine Esha wale messege ko 'unread' kar diya aur pahle wali position me wapas aaya..."Esha , ye dekho tumhara messege maine abhi tak nahi padha hai..."
"par tumne to reply bhi kiya tha shayad..."
"ek baat bata...tu aaj shaam ko kya kar rahi hai..."
"kuchh nahi, kyun..."thoda romantic hote hue Esha puchhi...
"to phhir seedhe doctor ke paas jaakar apna ilaaz karwa...bahut zaroorat hai tujhe...Meow..."
"Arman baat ko khatm karne ka tumhara tarika bilkul galat hai...tumhe dusaro ki feelings, emotions ka zara sa bhi khayal nahi rahta....insaan bano ,haiwan nahi..."
Main thodi der chup raha taki Esha ko kuchh jawab de saku ....thodi der baad main bola...
"ek baat bata, dusaro ki emotions, feelings ka khayal karke kya main unka achaar dalunga aur burayi sabme hoti hai,lekin iska matlab ye to nahi ki sab bure hai...aur waise bhi mujhme sirf ek hee burayi hai..daru peena aur ek baat batau ,ye mujhe bahut pasand hai....ab chal stage par, humari baari aa gayi "
.
Esha chup chap uthi aur mere bagal me chalte hue aage badhne lagi... "tumne puchha tha na ki ,wo form kaun sa hai,jiske liye main yaha aayi thi..." "haan..."
"tumhe thoda ajeeb lagega par wo ek scholarship form tha, jiske jariye meri sari fees return ho jati hai...kyunki main CS ki branch opener thi..."
"sunkar wakayi me ajeeb laga...to bhar diya form..."
"nahi...wo Principal office ke bahar rahne wale peon se meri kaha-suni ho gayi aate waqt....haisiyat ek chaprasi ki hai aur akad aise raha tha ,jaise ki wo khud principal ho....maine bhi achchhi tarah se uski izzat ko sabke saamne neelam kiya...lekin phhir bhi wo do kaudi ka peon nahi sudhra aur jab maine use form submit karne ke liye kaha to mujhse maafi mangne ke liye kahne laga..fool kahi ka..."
"ek baat bolu...Izzat sabko chahiye hoti hai, phhir chahe wo laal kile ke bahar har roj jhadu marne wala ek sarkari naukar ho ya phhir usi laal kile par jhanda fahrahane wala humara prime Minister ho...phhir chahe wo is college ka peon ho ya Principal, izzat sabko chahiye hoti hai....agli baar jab jao to thode muskura kar baat karna...kaam ho jayega...."
.
Jab lunch hua to humari anchoring ki class bhang hui aur sab apni-apni manzil ki taraf badhne lage.koyi class ki taraf gaya to koyi canteen ki taraf...lekin main ,Esha ke sath hee chal raha tha....
"Arman ,parso mera birthday hai..tum aaoge..."
"Parso birthday...matlab party matlab Esha ka ghar...Gautam ,Gautam ka baap , Gautam ki bahan...Esha, Esha ki maa, Esha ka baap, meri khoon ke pyase city me rahne wale ladke, Gautam ke baap ke gunde...aur  main  "
"kya hua..."
"  mera wo dost hai na Arun...kal maine gusse me uske dono hath-pair tod diye, matlab fracture kar diye


.isliye wo hospital me admit hai aur har roj college ke baad main seedhe usi ke paas jata hoon...isliye main tumhari birthday party me nahi aa paunga..."
"ok, no problem"mere is professional tarike se bole gaye jhooth par Arun ke liye shok prakat karte hue Esha boli aur main ek baar phhir public ko yeda banane me kamyab hua
Waise Esha ka mujhe birthday party ke liye invite karna ,wo bhi tab jab mere saare dushman waha
mauzood ho...ye mujhe doglapan laga lekin phhir socha hatao yar...kaun sa fala kashmir mudda hai jo wo itne khatarnak shadyantra banayegi...bhavnao me bah gayi hogi, meri Esha...abhi filhal to anchoring me concentrate karte hai...
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 03:01 AM



Users browsing this thread: 12 Guest(s)