Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-51:Reversal-2
Update-195 :

.
humari kismat kal raat to footi hee lekin sath me humara ek aur chiz bhi toot-foot kar bikhar chuka tha aur wo chiz tha humara jeb....kahne ka matlab ki kal raat jitna udaya uska to koyi hisaab nahi tha lekin Naveen ki bike ka Pandey ji ne jo hashra kiya tha use dekh kar to gala sookh raha tha aur pant geeli ho rahi thi....
"le Arman ,ab tu Naveen ki bike ludhka...main thak gaya "
"hao lawda...jaise main glucose ki dus-barah botal chadha kar aaya hoon...chup chap bike le chal..."bolkar main apni calculation karne laga ki Naveen ki bike kitne me ban jayegi...
.
Highway par main ,Arun aage chal rahe the aur Saurabh humse peechhe chalte hue kuchh soch raha tha...ki tabhi uske muh se kuchh shabd sunayi diye.
"Gulabi aankhe jo teri dekhi, deewana ye dil ho gaya... sambhalo mujhko o mere yaro...."
"oye Arman, ye lawda kahi satak to nahi gaya...thane se hee iske chal chalan mujhe kuchh thik nahi lag rahe..."Arun ne apni speed thodi badhayi aur mere paas aakar bola...
"kuchh nahi hua, gulabi dress pahan kar ek laundi scooty se gujari hai ,use hee dekh kar gala fad raha hai..."
"chal thik hai lekin Aaj ke baad tune yadi daru ka naam bhi liya to tujhe chakhna bana gapp kar jaunga , sala S.P. badhiya launda tha,isliye aisich hee chhod diya warna koyi dusara hota to lollipop thama deta..."
"abey ,S.P. Fan hai mera...isliye chhod diya,warna tere jaise jhatu ke to seedhe mu me lund deta....chal papa bol..."
.
iske baad hum jab tak hostel nahi pahuch gaye tab tak Arun chup hee raha...lekin hostel ke bahar Naveen ki thuki hui bike ko khada karne ke baad usne jordar angdayi li aur bola..."chal moot kar aate hai..."
"main bhi yahich bolne wala tha ,chal...."maine kaha.. "ruko be, mera bhi mood hai..."
iske baad hum teeno hostel se thodi door jhadiyo ke taraf gaye aur pant kholkar khade ho gaye aur waha idhar-udhar pade pattharo par favvara markar hostel ke andar aaye....
Jis waqt hum teeno hostel pahuche us waqt taqriban 12 baj chuke the ,isliye decide kiya ki ab seedhe lunch ke baad ki class attend karenge.aaj ki anchoring ki practice to chhot chuki thi aur main man hee man yahi vinati kar raha tha ki Chhatrapal naraz na ho...iske sath mere man me aur bhi kayi baate chal rahi thi, jaise ki Pandey ji ko hospital se utha kar lana hai, Naveen ki bike chud chuki hai..use iski


information bhi deni hai, Naveen gussa na kare, iska bhi plan sochana hai...aur to aur turant 10-12 hazar ka intezaam karna,jisase ki Naveen ki bike ko thik karwaya ja sake....
"abey tum dono aise kyun pade ho, college nahi jana kya..."bathroom se naha-dhokar main apne room me aaya aur apne dono priya mitro ko bistar par audha leta dekh main bhunbhunaya....
"himmat nahi hai ,tu ja college..."
"itne me hee gand fat gayi, falo tum desh ki sewa kya karoge..." "nahi karni desh ki sewa aur ab tu kat le idhar se..."
.
Arun aur Saurabh to hostel me jaate hee so gaye aur main seedhe Canteen ja pahucha...Canteen me har din ki tarah aaj bhi mast bheed thi...mast bheed matlab ,har din ke tarah aaj bhi waha ekdum karri maal thi ,jo maje le-le kar...le-le kar apna pet bhar rahi thi....mere jeb me paise to the nahi ,isliye free me khane ki setting karne main seedhe counter wale ke paas gaya aur use manaya ,badi mushkil se jab canteen wala maan gaya to maine seedhe hee 4 samose ka order diya aur ek khali table par aakar chup- chap baith gaya....
kal ke hue kand se mera dimag hil chuka tha aur dimag ke hilne ke karan ek chiz jo maine gaur ki wo ye ki aaj maine canteen me baithi kisi bhi ladki ko dekhkar man hee man me...'randi..chudail..lawdi...chuda le...' jaise shabdo ka prayog nahi kiya...jabki baki din main college ki kisi ladki ko bas dekh loon mere man ka speaker bas shuru hee ho jata tha,lekin aaj wo speaker silent tha....ye sala mujhe ho kya gaya hai...mere muh se gali kyun nahi nikal rahi..
.
"Armaaaan....aaj tum auditorium me kyun nahi aaye..."mujh par cheekhte-chillate hue ek ladki ,jis jagah main baitha tha, waha par khadi hokar boli....
"kaun hai be tu...mera matlab kaun hai aap..."
"dimag hil gaya hai kya..."wo ladki jo khadi thi wo mere samne wali chair par virajmaan hote hue boli "ek minute..."bolte hue maine apne sar par ek mukka mara aur us ladki ki taraf dekh kar
bola"Esha  ,hi..."
"yaad aa gaya ki main kaun hoon..."
"bhoola hee kab tha jo yaad karne ki jaroorat ho...wo to is samay mere dimag me dher sare emotions aur feelings chal rahe hai, isliye juban thodi fisal gayi...."
"tum itne laparvaah kaise ho...aaj tumhari vajah se Chhatrapal sir ne mujhe bahut daant sunayi..." "Esha...dil pe mat lena lekin abhi filhaal tum yaha se patli gali pakad lo..matlab ki yaha se chali jao...kyunki mera 1400 gm ke dimag me already 1400 kilo ka load hai..."
"main kahi nahi ja rahi aur na tum kahi ja rahe ho...mujhe tumse bahut jaroori baat karni  "
Esha ke aisa bolte hee main thoda excited ho gaya aur sochane laga ki kahi Esha mujhe i love you to nahi bolne wali  .
"meri ,Divya se ladayi ho gayi aaj..."
"oh great...."itna sunte hee main beech me bola.. "kya  "
"mera matlab tha too bad, wo to aise hee juban fisal gayi...tum aage bolo  " "phhir usne kaha ki wo mujhse kabhi baat nahi karegi..."
"mindblowing news hai ye to..." "aaayyyeee  "


"mera matlab ki mind-disturb karne wali news hai ye...wo to meri juban fisal gayi...waise mujhe bahut dukh hua ye sunkar...kya batau ekdum se rona aa raha hai, wo to main hee janta hoon ki maine kaise apne moti jaise aansuo ko rok kar rakha hai...tum aage bolo"(abey i love you ,Arman bol...billi  )
.
Iske baad Esha ne jo pakana shuru kiya ,usase mujhe jordar neend aane lage , maine kayi baar jamhayi bhi mari aur ek-do baar to khuli aankh se jhapki bhi maar li....
.
"lekin tum ye sab mujhe kyun bata rahi  "
"mere class ki baki ladkiya mujhe arrogant samajhti hai aur wo sab Divya ki taraf hai..."emotional hote hue Divya ne meri taraf dekha aur mujhse puchha"kya main arrogant  "
"haan..." "
"mera matlab naa tha,wo to juban fisal gayi..."Esha se peechha chhudane ke liye main khada hua aur
waha se chalne ka socha...lekin phhir socha ki aise hee khali-peeli jaane me maja nahi aayega ,isliye koyi dialogue maar kar jaana chahiye....Goggle mere aankh me pahle se hee laga hua tha ,isliye maine sirf dialogue ke according apne face ke expresion ko change kiya aur bola...
"itna udas hone ki jaroorat nahi hai kyunki toofano se hamesha ped nahi girte, kabhi-kabhi toofan ped ki jade mazboot bhi kar dete hai...ab chalta hoon "
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-196 :

.
Canteen se nikal kar main seedhe apni class ki taraf badha aur meri mulaqat Aradhna se hui...uske sath uski kuchh friends bhi thi . Kayde ke mutabiq Mujhe Aradhna ko ignore maarkar seedhe class ki taraf badhna chahiye tha aur Aradhna ko chup-chap nikal lena chahiye tha. Main to kayde me hee raha lekin Aradhna ko pata nahi kya khujali thi, jo thik mere samne hilti-dulti muskurati hui kadi ho gayi....


"good afternoon siiiiiirrrr....hiii"
(ye aisi sexy-sexy aawaz nikal kar saabit kya karna chahti hai )
Mujhe dekhkar Aradhna muskura to rahi hee thi,sath me uski saheliya bhi apna bina brush kiya hua daant mujhe dikha rahi thi...
''abey inko hua kya hai, kahi meri zib to nahi khuli hai '' man hee man me aisa sochkar maine neeche dekha ,zib band thi...
"hi sir..."Mere chup rahne ke karan Aradhna ek baar phhir boli....
"bye mam...."bolte hue main turant waha se aage badh gaya ,kyunki mujhe Aradhna ki shakl dekhkar hee maloom chal gaya tha ki wo bahut pakane wali thi....
is samay mere andar kayi sare soch vichar chal rahe the aur jaise hee main gate ke paas pahcha, mera mobile bhi baj utha...Maine mobile nikala, call bade bhaiya ki thi,lekin maine call disconnect karke mobile ko silent me kiya aur class ke andar entry mari.....
.
"kaise utar gaya nasha..."mere baithate hee Sulabh ne mujhse puchha...
"mat puchh bhai, sari raat security officer station me gujaar kar aa rahe hai, Naveen ki bike ka bang ho chuka hai aur main is waqt bahut sari uljhan me fansa hua hai...aur to aur mujhe Albert Einstein ko lekar Aradhna ko chodane ki jo kasam khayi thi use bhi pura karna hai ,sath me chhatrapal ki lines bhi yaad karni hai....lekin sabse badi dikkat abhi ye hai ki sala 10-12 hazar ka jugaad kaha se karu....tere paas ho to udhaari de na..."
"bill gates ki aulaad samajh kar rakha hai kya...jo tune idhar manga aur maine tujhe udhar de diya...." "chal koyi baat nahi,shaam tak kuchh na kuchh to soch hee lunga, abhi to ye bata ki CS branch me koyi tere jaan-pahchan wala ladka hai kya, jo bharosemand ho..."
"nahi hai..."bina ek pal ganwaye Sulabh ne jawaab diya...
.
Sulabh apna ek hath desk par rakhkar apna thobda us hath par tikaye hue tha aur jab usne ek second soche bina hee na me jawab de diya to mera pura khoon jal gaya aur maine uska wo hath,jo desk par rakh tha use pakad kar hila diya jiske baad Sulabh ke sar aur desk ka ek pyari aawaz ke sath adbhut milan hua.
"ab bol ,hai koyi pahchan ka..."
"ek minute ruk..sochane de.."apne sar ko sahlate hue Sulabh ne kaha..."ek launda hai , naam hai Avadhesh Gilhare...CS ka banda hai aur ekdum bharosemand hai...waise kaam kya hai..."
"top secret, tu aaj shaam ko meri meeting fix kar de,..." "meeting fix karne par mujhe kya milega  "
"lund milega  bol to abhi de du..."
.
Jaisa shaq mujhe canteen me ho raha tha ,us shaq ka keeda class me bhi mere andar paida hua....maine class ki ladkiyo ko dekha aur socha ki abhich main inhe maha bhayankar galiya dunga...ek-do ko gali di bhi..lekin phhir mujhe khud bura laga ki main kyun inhe faltu me galiya de raha hoon...bechari kitni achchhi hai.dusare branch ki ladkiyo ki tarah ye kam se kam bhaav to nahi khati wo baat alag hai ki inhe koyi bhaav nahi .college ke dusari ladkiyo ki tarah ye kisi ladke ka jeb bhi nahi marti...kitni susheel, sanskari, mehanati, balwan ,pahalwan ladkiya hai.hum mechanical walo ko to garv hona chahiye ki humare class me itni shaktishali naariya hai.
Apne class ki naari shakti ka dil hee dil me prashansa karte hue main unhi naariyo ki taraf hohtho me


muskan liye dekh bhi raha tha ki ek naari ki nazar mujh par padi aur mujhe muskurata hua dekh, usne bahut dheere se kuchh kaha aur yadi maine us naari ki lip reading sahi ki thi to uske anusaar wo naari mujhe
"kuttam,kameena, besharam..." kah rahi thi
"abey tere ko gali de rahi hai kya..."
"haan..." "kyun ?"
"kyunki ,the quality and quantity of the 'GR'(giving respect) is not proportional to the 'TR'.the value of TR is directly depends upon the human factor.which is denoted by 'H'. "
"bas bhai rahne de...sab samajh gaya..."
.
College ke baad maine Naveen ko kal ki ghatna ke baare me sab kuchh bata diya.Pahle-pahal to Naveen ki gand hee fat gayi aur pelam pel gusse ke sath mujhse bhidne ko taiyaar ho raha tha lekin jab maine use aashavashan diya ki main uski bike ek hafte ke andar pahle ke maafiq chaka chak karwa dunga to wo kuchh thanda hua aur mujhe dher sari warning dekar chalta bana....
kal ki birthday party me maine kya paya ye to maloom nahi lekin Naveen ab mere sath kabhi bhi kisi party me nahi jayega, ye us waqt mujhe yakeen ho chuka tha,phhir chahe wo welcome ya farewell party hee kyun na ho...kyunki wo maha-famous kahawat hai na ki 'doodh ka jala chhaj bhi fook fook kar peeta hai '
.
Dusare din college jane se kuchh der pahle hostel ke public bathroom me main aur Saurabh naha rahe the ki mujhe kuchh jaroori kaam yaad aaya, maine Saurabh ko aawaz di...
"kya hua..."
"abey ,wo Naveen ke bike wale case ka maine settlement kar diya hai,tum logo ko ab kuchh nahi karna...bas dhayi-dhayi hazar dene hai..."
"bose dk saabun fek upar se, kab se lekar baitha hai..."
"ye le..."maine saabun upar se uski taraf fek di aur bola"beta ,lund-wand me saabun mat laga lena...warna gaand laal kar dunga..."
"ye bata paise kab dena hai, mere account me to abhi filhaal chavvani tak nahi hai..." "to beta, uncle ji ko phone karo aur bolo ki kitaabe kharidani hai...."
"dekhta hoon ,shayad baat ban jaye..."
.
Iske baad hum dono chup-chap shower chalu karke nahate rahe aur jab mujhe saabun ki jaroorat hui to main chillaya aur Saurabh ne saabun meri taraf feka.....
"abey ek baat bata, ye saabun me jo tere baal hai ,wo sar ke hee hai na ya jhaat ke baal hai..." "gand mara tu, main to chala ab..."
"abey rook...ek baat bata ye kallu ki bahan tujhe kaisi lagti hai..." "thik hee hai, chodega kya usko..."
"soch raha hoon set kar loon...aur mast bajau..." "phhir mere ko bhi chodane ke liye dena na...." "abey prasad hai kya,jo sabme batunga...."
"jab tu Aradhna ke peechhe padega to Esha ko chhod dega...."
"chutiya hai kya...Esha se main dil se pyar karunga aur Aradhna ke sath lund se pyar karunga...waisi uske doodh mast hai, ek baar dabane ko mil jaaye to sala pura doodh hee nikal loon...waise wo mujhe line bahut deti hai, jab dekho sir-sir karte hue sar khane aa jati hai..."


Maine apni baat khatm ki aur Saurabh ke comments ka intezaar karne laga ki wo ab kuchh bolega, ab kuchh bolega...lekin jab wo kuchh nahi bola to mera matha thanka aur maine bathroom ki nal me pair rakhkar upar se uski taraf dekha....
"bose dk ,mutth mar raha hai tu, lawde kitna ashleel launda hai be tu...tharki sale..."
"chup rah be bhosadchod, last stage hai.....aahhhhh...yaaahhh maja aa gaya, la be saabun fek idhar kal ke badle aaj hee naha leta hoon...kaun lawda har roj thandi me nahaye..."
"laad mera ,saabun dega...ab aise hee naha..."
"bhar le apna saabun aur jitna tu ladkiyo ke boobs ke baare me sochta hai na ,utna yadi books ke baare me sochta to har saal annual function par 15 hazar pata..."
"baat to teri sahi hai balak ,lekin i love boobs more than books  "
.
Ekdum badhiya se taiyar hokar hum log college pahuche.Arun , Saurabh to class me chale gaye aur main bag rakhkar auditorium ki taraf badha...
ab jab meri partner Esha thi aur aaj kal usase meri badhiya banti bhi thi to isme ab koyi shaq nahi ki main sabse pahle usi ke paas jaunga, ek do baar Chhatru ka diya hua mannual padhunga...Esha se do chaar majak karunga aur phhir ek ghante tak stage me kabhi wo bolegi aur kabhi main bolunga...kabhi wo mujhse chhedkhani karegi(as a part of our funtion) aur kabhi main uski lunga (dil se ).... kal humare beech kya tha aur kal humare beech kya hoga,un sabki parvaah kiye bina main ekdum bindaas hokar Esha ke sath pura ek ghanta beetata tha...is ummid me ki kal jab wo peechhe mud kar apne beete dino ko yaad karegi to kahi na kahi, kisi na kisi vajah se yaad to jaroor karegi aur jab wo mujhe yaad karegi to ye jaroor sochegi ki......maloom nahi kya sochegi , lekin kuchh jaroor sochegi itna maloom hai
.
"good morning, baithiye..."mere Esha ke paas jate hee Esha ne bade aadar ke sath kaha... "ye itna respect kyun de rahi hai, kahi ye mujhe man hee man apna husband to nahi maan
rahi  "man hee man me imagination thokte hue maine Esha se kaha"kya baat hai, aaj itna respect de rahi hai..."
"respect to aaj Chhatrapal sir denge...wo bhi bade respect se..."
"ye sun...ye chhatru patru ka dar kisi aur ko dikhaya kar..."aage wali seat par dono pair rakh kar maine kaha"ek andar ki baat batata hoon, ye jo chavvani chhap chhatru hai na, ye college ke baad mujhse hee anchoring ke tips leta hai aur yaha aakar sabko batata hai...aur to aur ye mera bahut bada fan bhi hai
,yadi yakin na ho to uska mobile dekhna kabhi...meri photo laga kar rakha hua hai. " "sach..."Esha haste hue boli...
"main kabhi jhooth bhi bolta hoon kya  , ab jab baat shuru ho hee gayi hai to andar ki ek aur baat batata hoon...yaha Chhatrapal ko sab sir kahte hai ,lekin bahar chhatrapal mujhe sir kahta hai...tujhe yakin na ho to mere class walo se puchh lena..."
Isi ke sath maine jo fekayi chalu ki ,wo badhte samay ke sath badhti hee gayi aur Esha haste hee ja rahi thi...
"are itna hee nahi ,last year ke annual function ke time to is chhatru ne mujhe raat ke 2 baje call kiya aur bola ki 'Arman sir, mujhe ek speech taiyar karni hai..aap thodi madad kar do na' .lekin maine saaf mana kar diya aur isne dusare din bhi raat ke 2 baje call kiya aur bola ki 'Arman sir...aapse jyada hoshiyaar,talented aur smart banda to pure college me kya,pure india me nahi hai...main to kahta hoon ki pure universe me nahi hai...please meri help kijiye...' uske baad janti hai ,kya hua..."
"kya hua.."ek pal ke liye apni hansi rok kar Esha boli aur phhir hasne lagi...


"uske baad maine socha ki iski help kar hee deni chahiye,bechara kitna pareshan hai aur uske baad maine aisi speech taiyar ki..ki log aaj tak uski tareef karti hai...lekin kisi ko maloom nahi ki us speech me kewal aawaz chhatrapal ki thi, kalam,syahi,pratibha meri thi..."bolte hue main ruka aur Esha ko haste hue dekhne laga....
"i love you, Esha..."josh hee josh me hosh khote hue maine kaha
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-197 :

.
Mere i love you bolne ke sath hee do jabarjast dhamake hue...pahla ye ki ek ore jaha mera chapad- chapad karta hua muh band hua ,wahi Esha ka hasta khilkhilata hua chehra aise laal hua ,jaise use kisi ne ek jhapad raseed diya ho...in gori ladkiyo ki yahi problem hai ,zara si feeling diya nahi ki chehra laal kar leti hai...
Esha ka laal chehra dekhkar khayal aaya ki yaha se bhaag loon ,lekin phhir maine socha ki usase kya hoga kyunki kal to milna hee padega...
iske baad mere saamne do raste aur aaye ,pahla ye ki main Esha ko ye bol du ki 'ye to aise hee mazak- mazak me ,josh-josh me bol gaya...mere sabhi shabd kalpanik hai aur in shabdo ka haqiqat aur vastavikta se koyi lena-dena nahi hai ' lekin ye koyi gali nahi thi ,jo aise hee muh se nikal jaye...maine Esha ko i love you bola tha aur yadi usne apna zara sa bhi brain use kiya aur flashback me jakar uske prati meri harkato ko usne remind kiya to phhir wo jaan jati ki mere dil me kahi na kahi ,kisi na kisi kone uske liye waisa kuchh hai, jaisa kuchh maine abhi kaha hai...
dusara rasta mere paas jo tha wo ye ki main turant Esha se haste hue kahu ki' just joking re...dil pe mat le'


.
mere paas do raaste the aur maine dusare raaste ko apnane ka socha lekin phhir 5 second baad maine socha ki kyun na dono hee raasto ko combine kar diya jaye...kyunki bahana bhi maro to kuchh level ka bahana maro...ye aad jhat bahana marne se kya fayda.....isliye maine kaha...
"shakal aisi kyun bana rakhi hai , gharwalo ne auto kiraye ke paise nahi diye kya aur abhi jo maine last line boli ,wo to aisich dhokhe se nikal gaya...serious mat ho..."
Jawab me Esha silent hokar apna laal chehra naa me hilate rahi aur honth ko daant se chabane lagi....Esha ka rang-roop ,haal-chal dekhkar mujhe aisa laga jaise ki baat bani nahi...isliye maine apne dusare plan ko bhi activate kiya aur bola...
"just joking re...actually main Aradhna ko 'i love you' bolna chahta tha..tu to janti hee hogi use, first year me padhti hai...usich se apun fatat le pyar karta hai aur do din se lagataar use i love you bolne ki practice kar rela hoon...aur abhi kuchh der pahle achanak mere muh se wo line nikal gayi,jiski practice main pichhale do din se kar raha hoon....tujhe yakin nahi hoga ,par Aradhna ko i love you bolne ke chakkar me main hostel ke aadhe ladko ko i love you bol chuka hoon...matlab ki mujhse jo bhi thodi der baat karta hai ,mere muh se uske liye i love you ,nikal jata hai..."
"to ye baat hai, ek pal ke liye to meri saans hee ruk gayi thi..."bolte hue Esha aise lambi-lambi saanse bharne lagi, jaise main cigarette ke kash lete waqt bharta hoon....
.
"haan ,yahi baat  "(achchha hua maan gayi...) ,iske baad maine socha ki jab teer kamaan se nikal hee chuka hai to kyun na thoda-bahut zakhm bhi de diya jaye..
"waise tujhe kya laga tha ki maine tujhe i love you,kaha hai...chal hat, tujhme aisa hai hee kya, jo main tujhe i love you ,kahunga...tujhe anchoring me jhel raha hoon,wahi bahut hai...waise i love you Esha...dil se..."bolte hue maine jeebh fisalne ki acting ki aur phhir kaha"dekha tune, main phhir se tujhe i love you kah diya...jabki main tujhe i love you nahi kahna chahta ,lekin phhir bhi i love kah de raha hai...i really love you, i really like you from my inside and outside of the heart....maa kasam , i love you..."
Jeebh fisalne ka bahana karke mujhse jitani baar ho saka maine utni baar Esha ko i love you ,kaha...aur use maloom tak nahi chala ki meri jeebh nahi fisal rahi,wo to main apne dil ki bhadaash nikal raha hoon...jo char saal se andar dabi hui thi...fala kitna jordar acting karta hoon main  ,mujhe to oscar milna  chahiye  .
.
Main apni chalaki aur hoshiyari par andar hee andar khud ko shabaashi de hee raha tha ki Esha waha se uthi aur saamne ki row par baithe hue baki students ke paas pahuch gayi...waha jakar Esha ne Aradhna ke kaan me kuchh kaha ,jiske baad Aradhna peechhe palti aur mujhe dekhte hue usne aankh mari... "BC, ise kya  "Aradhna ka wo aankh marna mujhe aise laga ,jaise kisi ne mere hath me bijali ke taar thama diye ho....
.
"Aradhna se tuhe kya kaha...jo wo aisi amaanviya , asanvaindhanik harkat kar rahi hai..."Esha jab mere paas wapas aayi to maine jhatke se puchha...
"tumhe to mujhe thanks kahna chahiye...maine tumhara kaam kar diya..." "kaisa kaam, kaunsa kaam, kis tarah ka kaam..."
"maine Aradhna se jaakar kaha ki ,tum usase bahut pyar karte ho...lekin kahne me sharma rahe ho..." "lag gaye L..."saamne khali stage ki taraf dekhte hue main badbadaya...
.


Kuchh der pahle jaha main apni hoshiyari par gumaan kar raha tha wahi ab mere aankho ke saamne andhera chha raha tha...
"pahli baar kisi ne pyar se thoka hai...beta Arman ,tu to chuda ab..."dil hee dil me Esha ko koste hue maine usase kaha"main zaroor sapna dekh raha hoon...hai na..."
"no, its true..she accepted your proposal..."
"really...meri to khushi ka thikana hee nahi "(gand maraye proposal...)
"kamaal karte ho Arman, maine tumhara itna bada kaam kiya aur tumne mujhe ek thanks tak nahi kaha..."
"thank you, thank you very much...main itna jyada khush hoon ki tumhe bata nahi sakta, dil kar raha hai ki jakar Chhatrapal ko ek thappad maar du ya phhir apne hostel ki chhat se khushi ke mare neeche kood ho  , i love you Esha, really love you...Albert Einstein aur Newton baba ki kasam ,i love you... " "phhir se tumhari jubaan fisal gayi, ispar lagaam lagao...warna dusari ladkiyo ko kaha to kahi sandal na pad jaye...meri baat alag hai ,main ek mature ladki hoon "
"khaakh mera mature hai...zehar pila ke bolti hai ki mujhe thanks "Esha ki taraf dekhkar main badbadaya...
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-198 :

.
Shuru me to mujhe ye laga ki Esha ne mujhe ye kis musibat me fek diya hai ,lekin Anchoring ki practice karne ke dauran jab maine Aradhna ko dekha to mera 1400 gm ka dimag kuchh ghooma aur meri x-ray type nazar Aradhna ke seene se hoti hue uske taango ke beech me se jab guzari to mera ang-ang fadakne laga....
Practice ke baad maine Esha ko dil se shukriya kaha aur Aradhna mujhe pakde ,usase pahle hee lagbhag bhagte hue waha se apni class ki taraf ho liya....Pata nahi mere andar achanak se itani khushi kyun ghar kar gayi thi ki kuchh der tak tez chalne ke baad main daudane laga aur Mechanical ,4th year ki class ke gate ke paas drift maarkar fisalte hue direct class ke andar aa gaya....Dusari class shuru ho chuki thi aur


IIT,Roorkee se humare phd holder , shree J.K. Agrawal ji Robotics ki class le rahe the...bole to mechanical department ke hod ki class chal rahi thi...
"May i come in, Sir..."Class ke andar aakar maine puchha ,kyunki daudate hue drift marne ke karan main 2 foot class ke andar dakhil ho chuka tha....
"abhi kyun permission mangi, apni seat par baithkar ,'may i come in, sir' bolte..." "sorry sir..."do kadam peechhe hatkar maine kaha"may i come in sir.."
"aa jao..."
"thank you sir.."bolte hue main andar aaya aur jakar sabse peechhe wali seat par baith gaya....
.
waise to class kisi bhi teacher ki ho, main baat karta hee tha,lekin hod sir ko main thoda respect deta tha
,isliye unki class me main chup rahta tha ,lekin iska matlab ye nahi ki main baat nahi karta tha...hod sir ki class me hum log written format me discussion karte the....
"itna khush kyun hai be gandul, kisi ne chusa diya kya..."Arun apni copy par ye likhkar saamne hod sir ki taraf dekhne laga...
"maine ek maal pata li hai..."maine reply kiya... "kya baat karta hai,..chodu mat bana, sach bata..."
"are lawda sach me tere bhai ne laundiya set kar li...badi dudharu ladki hai..." "kaun hai..? "
"Aradhna...apne kaliye ki door ki bahan..." "oye BC,...main bhi chodunga..."
"pahle main to chod  "
"ok, ab saamne dekh, nahi to hod chodega..."
.
Iske baad Robotics ki puri class me humare beech kuchh aisi hee chhoti-moti..idhar-udhar ki baate written format me hui aur jab shree J.K. Agrawal ji class se gaye to Arun bola....
"kyun be, saat semester tak to Esha ka bada sachcha aashiq bana firta tha, ab kaha gayi teri aashiqi..." "Ye Aradhna to L wali hai...dabao, dalo aur dhakke maro...bas"
"lekin mujhe aisa kyun lag raha hai , tune ladki badal li hai to kahi tujhe Aradhna se pyar na ho jaye...maine bahut se laundo ko dekha hai, jo pahle to sirf choot ke liye ladki patate hai lekin phhir choot marte-marte chutiya bankar usi ladke ke aage-peechhe ghoomate hai..."
"abey bakchod hote hai ,wo launde..."
"dekh ke beedu, kahi Aradhna se pyar na ho jaye..."
"you can change the girl...not love. Tension naa le, kuchh nahi hoga..."bolte hue maine samne wale ladke ko mazak hee mazak me ek jhapad mara aur phhir khud ki tareef karte hue bola"fala ,kya dialogue mara hai..'you can change the girl..not love'...taali baja be"
.
Next class Chhatrapal ki thi aur Chhatrapal ekdum correct time par class me pahucha...class me aate hee usne 'business Ethics, Economy, Environment' jaise boring topic par apna boring bhasad shuru kar diya aur idhar humari baat-chit bhi jaari thi...
.
"NSUI ka form bharega, President ke liye..."Arun ki jagah abhi-abhi shift hue Sulabh ne puchha... "bakwas kaamo ke liye, i have no time...dusara dukaan dhundo babuji..."
"sach bol be, jaise phhir kisi dusare ko main dhundu..."
"bola na...bakwas kaamo ke liye mere paas time nahi hai aur waise bhi i hate khangress.."


"i hate khangress  , sach me...phhir first year me kyun lada tha..."
"us samay apne ko jaroorat thi..isiliye  , ab nahi hai isliye nahi lad raha..." "kitna selfish hai be tu ..."
"chup kar be, ek pappu kam hai kya ,jo main dusara banu aur English me ek sentence hai 'No argument
,please'..."
"lad lena be...mast daru ki party milegi..."
"jo meri pahli baat na mane uske liye english me ek dusara sentence bhi hai' go to hell '..." "gand mara..."
 
.
Lunch hua aur meri puri mandali har din ki tarah canteen ke liye ravana hui...mere dosto ko Aradhna aur meri setting ki jaankari ho chuki thi aur wo sab halke-fulke jokes, comments mujhpar pele pade the, jaise ki main Aradhna ka dhoodh dabaunga to wo kya bolegi, jab main uski choot me ungali karunga to wo kaise kasmasayegi, react kaise karegi wagerah-wagerah......is beech Saurabh mere bagal me khada tha aur use pata nahi kyun, par meri parvaah ho rahi thi ki Aradhna meri zindagi me ek toofan lekar aayegi, shayad usne us toofan ko bahut pahle bhaanp liya tha, jiski bhanak tak mujhe us waqt nahi thi... "Aradhna ,kuchh sahi nahi lag rahi be..."Mujhe ,mere dosto se thoda aage lejakar Saurabh ne mere kaan me kaha...
"kyun ,kya hua..."
"mana ki har kutte ka din aata hai aur use ladki chodane ko mil jati hai...lekin tera din abhi nahi aaya hai..."
"tu mere sath MBA-MBA khel raha hai kya..jo baat ko yun ghuma firakar bol raha hai, seedhe-seedhe bol na..."
"seedhe-seedhe main ye bolna chahta hoon ki , jo ladki badi aasani se razi ho jati hai ,wo kabhi aasani se peechha nahi chhodati..."
"tu faltu me tension le raha hai, mere paas back up plan hai..." "aur kya hai wo tera back up plan..."
"tu lawda ,pahle thoda door chal..aane-jane wale log faltu me mujhe gay samajh rahe hai..."Saurabh ko dhakka dete hue maine kaha"aur abhi filhaal mere paas koyi back up plan nahi hai lekin baad me bana lunga..."
"soch le koyi bhi insaan ,do naav me pair rakhega to doobega hee..."
"beta main ,jack sparrow hoon aur according to jack sparrow zindagi sirf ek samjhauta hai...jisase abhi haal-filhaal me kaam bane ,wo samjhauta karo, baki kal ki kal dekh lenge..."
"soch le...mera personally experience hai, zindagi jhand ho jati hai ,aisi ladkiyo ke karan..."
"zindagi kabhi har sire se khushahaal nahi rahegi mere dost aur jitani jaldi ho sake hume iski aadat daal leni chahiye..."
.
Canteen me pahuchkar finally Saurabh ka muh band hua aur maine chain ki saans li kyunki mere aadha dozen dialogues jo maine future ke liye bacha rakhe the, wo Saurabh ko samjhane me waste ho chuke the...
Canteen me apna pet bharte hue mujhe Aradhna apne saheliyo ke sath dikhi aur Auditorium me jo maine socha tha , use karne ke liye maine apne dosto ko bye kahkar seedhe Aradhna ke paas pahucha... "chal uth.."


"kya hua sir..."sharmate hue Aradhna boli... "tujhse pyar karne ka mood ho raha hai, ab chal..."
Mere itna kahte hee Aradhna jhat se khadi hui aur apne saheliyo ko wo direct class me milegi bolkar mere sath bahar aayi....
"tu bhi apun pe flat thi kya, jo auditorium me turant peechhe palatkar aankh maar di..."Canteen ke bahar Aradhna ko rok-kar maine kaha...
"maine thik kiya na..."
Shuru me socha ki Aradhna se bolu ki'kya ghanta thik gaya, gand fat ke hath me aa gayi thi meri ,us waqt' ....lekin phhir socha ki wo ladki hai aur sath me meri item bhi ,isliye maine usi baat ko thoda ghuma-firakar kaha...
"kya khaakh thik hai, sharam naam ki koyi chiz hai ki nahi tere andar...aise bhi koyi aankh marta hai kya, janti hai tera kya impression pada mujhpar...mujhe dekh ,main kitna sharif hoon, maine khud tujhse apne be-panah pyar ka izahaar na karke Esha ke dwara apne pyar ka izahaar kiya aur ek tu hai ,jo seedhe aav na dekha taav aur aankh lapka di...ye to kisi bhi tarah ,kisi bhi angle se acceptable nahi hai, mana ki tu bhi mujhe love karti hai lekin aisa bhi kya hai jo seedhe palatkar aankh hee maar de.tujhe pata nahi mujhe heart attack hee aa gaya tha, yadi main mar jata to ...kaun jimmedari leta uski, ye aaj kal ki ladkiyo ka to chaal-chalan hee mujhe samajh nahi aata , jab dekho muh fade baithi rahti hai ki , Arman bas ek ishara kar de...mana ki main bahut handsome hoon lekin aisa bhi kya hai ki bas mauka mila nahi ki mujhpar toot padi...mujhe dekh kitne sharifi se rahta hoon,bakayada tum ladkiyo ki bharpoor izzat karta hoon, tu aisa nahi kar sakti kya...yadi nahi kar sakti to abhi bol de, baad ka lafda nahi mangta apun ko..."
"sorry..."bolte hue Aradhna lagbhag rone ko ho gayi...
"teri to...ab ye kya hai,...kuchh bola nahi ki rona chalu, aise karegi to kaise chalega...ladki hai na tu ...to Rani Lakshami bai bankar yun rone ke bajay mujhe seedhe ek thappad bhi to maar sakti hai na...aise rote rahegi ye sochkar ki main tujhe shant karaunga to ye teri galat fahmi hai. Main bilkul bhi us type ka ladka nahi hoon, jis type ka tu samajh rahi hai...meri girl friend bani hai matlab kuchh rules, kuchh regulation, kuchh niyam, kuchh kayde-kanoon se rahna seekh...shaam tak tere paas meri girlfriend banne ke jo 'terms and conditions' hai wo main pahucha dunga, use achchhe se padh lena aur waisa hee karna...warna main apne liye koyi dusara boyfriend dhoond lena...ab rona band kar aur haste hue mujhse chipak kar chal, ek dost se milwana hai...tujhe..."
.
Aradhna ko chup karakar maine college ki seedhiya chadhi aur seedhe CS branch ki class ki taraf pahucha...jaha kallu mujhe bahar hee mil gaya...
"abey oye kaliye ,idhar aa...kisi se milwana hai tujhe "


 
 
 
 
 
 
 
Update-199 :

.
Jaha Computer Science ki class lagti thi, waha jakar maine Aradhna ke door ke bhai kallu ko aawaz di...dar-asal yahi wo scene tha, jo maine anchoring ki practice karte waqt socha tha aur sath me ye kallu ko mera jawab tha ,jab usne kaha tha ki main kabhi ladki nahi pata sakta....Aradhna ko lekar kanghi chor ki taraf jate hue main khush itna ho raha tha jaise ki NASA me meri job lag gayi ho aur thode hee der baad ek space mission ke liye nikalna ho.
"Aradhna ,ab thodi si smile la apne chehre par ,main tujhe apne sabse khas dost se milwane ja raha hoon, ya phhir kahu ki yahi wo ladka hai jisne mujhe kuchh din pahle kaha tha ki main tujhe set karu
,warna main to kisi ladki ki taraf dekhta tak nahi..."
Apni aadat ke anusar kallu ne to pahle meri taraf aane se mana kar diya lekin baad me jab usne Aradhna ko mere sath dekha to ,jaha khada tha ,waha se jhatka khakar do kadam peechhe hat gaya aur apni aankhe chhoti karke mujhe dekhne laga.....
"janti hai, ye hai to mera best friend lekin ek number ka chor hai, logo ke kanghi ,tel,saabun, towel, underwear etc. etc. Jaisi chhoti-chhoti chize ye palak jhapakte paar kar deta hai. Aur ek baar to had tab ho gayi jab hostel me ek ladka apni underwear lekar nahane gaya, tab humare ye kallu mahashay apne plan ke mutabiq bathroom me jaa pahuche aur us ladke ki underwear utha li...uske baad iski jo dhulayi hui, uska nishaan abhi tak iske chehare par hai..."
"ye mera bhai hai..."
"kya..."chaukane ka naatak karte hue main Aradhna se thodi der hat gaya aur Aradhna ko aise dekhne laga ,jaise ki wo bilkul nude khadi ho aur apne choot me ungali kar rahi ho...
.
"tera bhai..lekin tum dono to ek hee brand ki paidaish nahi lagte ,matlab ki tu kaha Apple mobile aur wo fala china mobile...."
"hum dono ek hee gaanv se hai, is tarah wo mera bhai hee hua na..."
"laga tha, mujhe tum dono ko dekhkar hee laga tha ki tum dono yakinan gaanv se hoge...khair koyi baat nahi, ab yaha tak aa hee gaye hai to chal , mil le apne bhaiya se...warna wo mujhe hostel me marega..." "no sir, mujhe bahut dar lag raha hai, kahi wo mere ghar me call na kar de..."pareshani wali expression apne face par late hue Aradhna boli...
"Mere sath rahne ka yahi to fayda hai ki koyi khabar ghar tak nahi pahuchegi...tu mujhse chipak kar chal,baki main dekh lunga..."
"lekin sir, wo..."
"are tu tension kaiku leti hai ,hostel me main uska pair pakad kar maafi maang lunga ki ,wo tere ghar call na kare...ab chipak"


"nahi sir..."
"chipak nahi to main khud tere ghar call karunga..."
Ab Aradhna buri tarah phhans chuki thi uske liye ek taraf mere roop me kua tha to dusari taraf kanghi chor ke roop me khai thi...Lekin maine use kue me kudane ke liye kaha ,yani ki usne us waqt meri baat mani aur mujhse sat kar khadi ho gayi.
Humare kallu bhai sahab ki halat is waqt dekhte hee banti thi, bechare ki halat aisi thi ,jaise kisi ne unki lulli kaat li ho aur nangi ladki saamne rakh kar bola gaya ho ki"dam hai to chod ke dikha..."
Mujhe aur Aradhna ko sath dekhkar kalicharan ka para tezi se upar chadha aur usne aate hee Aradhna ko kheenchkar mujhse alag kiya....
"Priye, tum saamne wali seedhi se neeche nikal jao...main baad me milunga..."
.
Aradhna ke waha se jaane tak main chup raha aur jaise hee wo neeche gayi maine ghumakar ek jhapad kalicharan ke gaal me de mara....Kallu kanghi chor ,is waqt khunnas me tha ,isliye jawabi hamla usne bhi mujhpar karna chaha lekin maine tab tak uske gaal par ek aur tamacha jad diya...jisase wo abki baar puri tarah hil gaya....
"rook MC, abhi batata hoon tujhe..."bolte hue kallu apni class ki taraf bhaga
"rook BC,...gali kisko deta hai"kallu ke peechhe jate hue maine ek laat use mari aur wo apni class ki gate se takra kar andar gir gaya aur mujhe ulta seedha bakne laga....
Computer science ki class me is waqt bahut se ladke aur ladkiya ,jo tiffin late the,wo lunch kar rahe the aur mere yun jordar entry se unka khana ruk gaya...
ab jab kallu apne class me tha aur class me ladkiya bhi thi to wo mujhe ab gaaliya nahi de raha tha, bas tarah-tarah ki dhamki de raha tha ki "wo mujhe dekh lega...apne gaanv se gunde bulwakar meri haddi- haddi tudwa dega,..wagerah-wagerah..."
"tujhe pata hai ,main gaal aur sar ko jyada target kyun karta hoon..."neeche gire hue kallu ko ek jhapad maarkar main bola"taki log dekh sake tune maar khayi hai.beta aaukat me aaja ,warna faad ke rakh dunga aur ek baat bata be tune mujhe samajh kya rakha hai ,jo mere saamne apni akad dikhate rahta hai. Ab dikha apni akad...aur kya bola tune ki tu meri ek-ek haddi tudwa dega...abey baklol , apne class me to tu mera kuchh ukhad nahi paya, phhir bahar kya kar lega..."
bolte hue main achanak ruk gaya ,kyunki mujhe yaad aaya ki jis class me main hoon wo class Esha ki hai aur tab se main kallu ke seene par baithkar lambi-lambi diye jaa raha hoon...main turant khada hua aur puri class ki taraf dekha...
"achchha hua, Esha nahi hai...warna khamakha izzat down ho jati, waise bhi pahle se itani down hai..."class ki ladkiyo ki taraf dekh kar maine socha aur goggle jeb se nikalkar lagate hue kaliye se bola"sudhar ja, warna yaha to kam dhoya hai warna hostel me itna dhounga ki kale se gora ho jayega...goodbye.."isi ke sath maine kallu ko ek flying kiss di aur waha se jaane laga...lekin tabhi mujhe yaad aaya ki Divya bhi class room me hai aur Esha ko wo aajkal pareshan bhi kar rahi hai...isliye main turant peechhe palta aur khade ho chuke kallu ko wapas girakar kaha"kuchh to respect kar be meri, jab tak yaha se na jaun khada mat ho...meri izzat karna seekh ja, warna Gautam ke maafiq tujhe bhi coma me bhej dunga..."
.
CS ki class se bahar nikalte waqt maine Divya ki taraf to nahi dekha lekin itna zaroor jaan gaya tha ki meri
 
last line sunkar uski andar hee andar jali hogi...
Ab mera irada chup-chap ek achchhe bachche ki tarah waha se nikal jaane ka tha lekin gate par Esha mujhe khadi hui dikhayi di aur uske haav-bhaav dekhkar mujhe andaaza ho gaya ki usne meri aakhiri line


sun li hai...lekin abhi apun full role me tha aur goggle bhi lagaye hue tha ,isliye Seedhe Esha ke saamne jakar seena taankar khada ho gaya...
"madam ji, rasta dengi kya...main galti se dusari class me aa gaya hoon..." "why not..."bolte hue Esha saamne se hat gayi...
"dekho to kitna pyar karti hai mujhe, meri koyi baat nahi talti, love you too ,babes..."Esha ko dekhkar maine khud se kaha aur CS ki class se bahar aaya...
Esha ki class se main kuchh kadam hee door aaya tha ki mujhe achanak kuchh yaad aaya aur wapas palat kar daudate hue maine thik waisa hee drift maarkar CS , fourth year ki class me ghusa, jaisa drift maine aaj hod ki class me mara tha...
Kallu zameen se uthkar apni jagah chup-chap baitha hua tha aur Esha bhi ek jagah akele baithi hui thi...kallu ko is waqt uske class ke ladko ne gher rakha tha aur mujhe bura-bhala kahkar kallu ko dilasa de rahe the....maine CS class ke gate ko ek hath se pakda aur kallu ko awaaz di...
"kyun be kalicharan, kya bola tha maine ki jab tak main na jaun ,yahi lete rahna khada kyun ho gaya...chal saamne aakar wapas let ja..."
"ye kya dadagiri hai..."kaliye ke dosto me se ek ne mujhe dekhkar kaha...
"yadi usase itna hee lagaav hai to tu aakar saamne let...nahi to use saamne bhej..."
Meri baat sunkar Kaliye ke saare dost peechhe ho gaye aur phhir se kaliya maar na khaye ,is dar se wo apni jagah se utha aur saamne aakar zameen par let gaya....
"thoda to respect dena seekh be kanghi chor...kitna pyar se samjhaya tha ki jab tak main yaha se chala na jaun ,uthna mat...yahi baat main tujhpar hath uthakar bhi to samjha sakta tha na lekin maine tujhpar hath uthaya kya ? Nahi uthaya na...are pagle ,bhai hai tu mera...i love you ,re..."bolte hue main CS ke baki students ki taraf nazar ghumayi...
"tum utho waha se..."Esha ko na jaane kya josh chadha jo wo apni jagah se uthkar mere mamle me dakhil hui....usne kalicharan ko uthaya aur mujhe dekhkar boli"Arman, this is too bad...please don't do this..."
"ek ghante mere sath anchoring karke tu kya sochati hai ki tu mujhpar raaz karegi...are hum par to wo bhi raaz nahi kar paye ,jo 21 saal se paal rahe hai aur tu, sun be kaliye...yadi tune ek kadam bhi aage badhaya to ye desk dikh raha hai na ,seedhe uthakar ,sar me de marunga...chal wapas let..." "Disgusting..."bolte hue Esha ,waha se apni jagah wapas chali gayi aur kaliya wapas zameen par let gaya...
"waise main wapas ek ladke se milne aaya tha, name hai Avadesh Gilhare...wo hai kya class me..." "main hoon..."ek ladke ne apna hath khada kiya
"aaja pagle, tu to bhai hai mera...Sulabh ne bulaya hai"
.
"tumhe lagta hai ki ,tum yun hee humare class me gunda-gardi karke chale jaoge aur hum kuchh nahi karenge...kal mere dad ,tumse baat karenge..."Itni der se Divya jo apne jazbaat daba kar baithi thi, wo finally khade hokar mujhe dhamkate hue boli....
"ok bahan...lekin khade hokar bolne ki kya zaroorat hai, main koyi teacher thode hee hoon,jo itna respect de rahi hai...mana ki tu mujhse darti hai,lekin aisa bhi kya hai...chal baith ja..."
"Arman, tu to ab gaya kaam se...third semester ki dhulayi bhool gaya lagta hai... "
Divya ki baat sunkar main chup raha ,jisase uski himmat aur badhi aur wo jabar-peli haste hue boli"dar gaya kya darpok...dam hai to ab bol.."
"dekho mallu aunty , aakhiri baar aapke pita-shree ne dhokhe se pakda tha yadi meri tarah mard hote to face to face fight karte , dam hai to bhej dena hostel,and for your kind information, apne jhatele baap se


kahna ki 2000 aadmi lekar aaye, kyunki 500 to hum hostel me rahte hai aur hum sabki itni aaukat to hai hee ki apne-apne source lagakar 3-3 ladke extra kahi se bula sake..."bade hee shaleen dhang se main bola,tab tak Avadhesh bhi mere paas aa chuka tha...maine aage kaha"aur aakhiri line tune kya kahi ki main dar gaya...huh. to ek andar ki baat batau,main wakayi me ek minute pahle dar gaya tha lekin phhir khayal aaya ki darne me koyi burayi nahi hai .waise bhi Dark Knight Rises me bola gaya hai ki darna zaroori  , chal be Avadhesh, humare Japan jaane ki planning par kuchh soch-vichar karna hai "
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 02:54 AM



Users browsing this thread: 15 Guest(s)