Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-50:Horrible Birthday
Update-190
Mere college me ya phhir kahe ki sabhi college me launde sirf teen hee chiz aisi hai jisase sabse jyada ghabrate hai...pahla exam ke dino me ,dusara jis din exam ka result aane wala hota hai aur teesara tab jab unka birthday hota hai....humari chhoti si toli me jiska bhi birthday hota uske liye bahut bada cake to laya jaata tha lekin phhir birthday boy ko thok-thok kar cake ka sara paisa wasool bhi kar liya jata tha.
Jiska birthday hota tha usko sab milkar sale aise marte jaise janmo janam ki dushmani ka badla le rahe ho...10, 15 ,20 kitne bhi launde ho ,wo sab ek sath birthday boy ke upar toot padte aur pichhwade ko maar-maar kar aise suza dete the ki jaise kisi ne nanga karke pichhwade me ghanto hunter barsaye ho....iske baad na to baithte banta tha aur na hee sote...phhir koyi pichhwade par hath bhi rakh le to aisa dard hota jaise kisi ne dhardar chaku ghusa diya ho....
waise to sab khushi me marte the lekin kuchh launde ,jinko khane ke liye cake nahi milta tha,wo phhir birthday boy ko khunnas me marte the....birthday ke din thukayi ka prakop to itna tha ki college me kayi launde apne fb account se birthday hide kare hue the...
.
Saamne board par 'Happy Birthday Arman...'likha dekh meri saanse ulti chalne lagi...kyunki mere dimag ne turant aage hone wali thukayi ka ek drishya mujhe dikha diya tha...
Mere class me ghuste hee launde mujhe gale lagakar birthday wish karne lage to wahi ladkiya meri taraf apna hath badhakar mujhe'happy birthday' bolne lagi...lekin apun ne apne class ki laundiyo se hath milana to door, thanks tak nahi kaha ,are thanks kahna to door main unko palatkar dekha tak nahi
 ,warna sali lunch time pe fudak-kar mere saamne khadi ho jayegi aur party-party ki guhar marne lagegi
Ladkiyo ko maine jis tarah ignore kiya uske thik ulta laundo se gale milkar 'thanks yar...thanks bhai' kaha.
mujhe birthday wish karte hue jo mujhe mazbooti se,jakad kar gale lagata(for ex. Arun, Saurabh, Sulabh)
,main uski taraf dayadrishti se dekhta tha kyunki yahi wo launde the,jo mujhe thokne wale the....bole to jo jitni mazbooti ke sath mujhe gale lagata ,wo baad me utni hee mazboot laat mere pichhwade me marne wala tha.....
.
"aaj to beta main nukile jute pahan kar aaya hua hoon...tera khoon kar dunga..."mere baithte hee Arun ne daant dikhate hue mujhe dusari baar happy birthday kaha....
"main to lohe ke rod se pelunga beta isliye gand me me tel-malish pahle se kiye rahna..."Arun ke sur me sur milate hue Saurabh ne bhi mere dil ki dhadkane badha di...
lekin mere dil ki dhadkane badhkar rukne ko tab hui ,jab Sulabh ne mujhse kaha ki wo aaj raat , january ke thand se kadakte mahine me ek balti pani mere upar daal dega....."
"tum logo ne mujhe marne ke liye apne ye jo alag-alag expection bana kar rakhe ho na, usko wapas wahi daal lo,jaha se nikale ho....pichhale teen saalo me to mera kuchh ukhad nahi paye aur abki baar bhi main koyi na koyi jugat laga kar bach hee jaunga...."
"are laand mera bachega...tu dekh aaj raat ko...aur beta mafi maang ,warna hostel ki chhat se seedhe neeche fekunga..."Saurabh ne kaha...
"chal be...dekh lunga tujhe..."
.


Us din canteen me laundo ne pel ke meri jeb khali karwayi, fale apne paise se jitna wo canteen me hafte bhar me khate the, utna wo us ek din me kha gaye....aur jab bill pay karne ki bari aayi to meri aankho ke saamne andhera chhane laga...sabke saamne meri bezzati na ho ,isliye main uthkar counter ke paas gaya aur counter me baithe hue aadmi se baad me bill dene ki request ki...
"aise thode hee chalta hai bhaiya ki jeb me maal nahi aur pet bharkar chal diye....kal,parso, narso,sarso...kuchh nahi, bill to aaj hee dena padega,wo bhi abhi..."
"maan ja yar, kal de dunga..."
"paise do nahi to complain karunga..."
"ek baat batau, main jeb me paise lekar nahi chalta...tu kahe to check sign karke de deta hoon...bank se jakar nikal lena..."
"apne ko to cash chahiye..."
"wo to nahi hai...phhir ek aur kaam kar atm swap kar le..."wallet se atm nikalte hue maine kaha...jabki mujhe maloom tha ki atm swap karne wali machine canteen me nahi hai....
"ye sab bakheda tum apne paas hee rakho,apne ko to cash chahiye..." "chus le mera phhir...kal lena paise..."
Canteen wala jaise-taise maan to gaya lekin use manane me mujhe aadha ghanta lag gaya...mere dost kha-peekar class ki taraf chale gaye aur unke jaane ke baad main ek dusari table par baithkar gahri chinta me dooba hua tha ki inke paise kaha se aayenge, abhi to sala raat me hostel wale daru piyenge...wo alag...jee to karta hai ki do-teen din ke liye kahi bhaag jaun,fala sara lafda hee khatam  "oye...do ras-malayi bhej idhar..."gahri chinta se ubarne ke liye maine order diya"sala ye birthday...birthday na hokar ,ek aafat ho gayi hai...inke birthday aane do, BC 5000 ka to main akele nasta karunga aur 10,000 ka daru piyunga, phhir lawde dusari baar se party lena bhool jayenge...." "chammach kya papaji lakar denge, ja bhagkar chammach lekar aa..."Canteen me kaam karne wale launde ko maine hadkaya, jab wo bina chammach ke do ras-malayi meri table par rakhkar chala gaya...
.
ras-malayi ka raspaan karne ke baad jaise mujhe thoda sukoon mila aur maine ek jordar angadayi maarkar jamhayi li to mujhe Aradhna canteen me apne saheliyo ke sath baithi hui dikhayi di....Aradhna ko maine kal Esha ke karan dhamkaya tha,lekin aaj jab Esha se baat-chit shuru ho gayi to maine socha ki isase bhi baatchit shuru kar hee lete hai,waise bhi galti iski nahi thi....isliye maine Aradhna ko do ungaliyo se ishara karke apne paas bulaya...mere bulane par Aradhna to waha aayi hee sath me uski saheliya bhi usi ke sath waha aa gayi...ab sabke saamne Aradhna se waisi baat karna jaisi baat main karne wala tha, wo main karta to mere aham ke liye ye dharm sankat hota, isliye maine hadka kar Aradhna ki saheliyo ko waha se bhagaya aur Aradhna ko apne paas baithne ke liye bola....
.
"dekh...ye gaal fulakar mat baith,main kal thoda upset tha ,isliye tujhpe baras pada tha..."Esha ne jo subah auditorium me mujhe kaha tha, wahi maine Aradhna ko chipka diya....
"iska matlab aap mujhe sorry bol rahe ho  "
"sorry maine kab kaha ...wo to main explain kar raha tha ki main tujhpar kal kyun bhadka tha...ab fut yaha se..."
.
Us din jab main canteen ke bill aur raat ko hostel me hone wale kharche ko lekar pareshaan tha tabhi kuchh aisa hua,jisne mujhe apaar khushi di aur wo apaar khushi mujhe Esha ke messeges ke karan hui thi....bole to usne apun ko messege bhejkar birthday wish kiya tha....


"Arun...muh me lund lega to ek khushi ki baat batata hoon..."Esha ka messege padhne ke baad chalti hui class ke beech me maine Arun se kaha...
"bose dk ,dheere bol...warna ye chhatrapal tere muh me lund dega..."mere pet me ek mukka marte hue Arun bola"aur tu khush kyun ho raha hai..."
"ye dekh...teri bhabhi ne mujhe birth day wish kiya hai..."mobile desk par rakhkar maine Arun ko Esha ka messege dikhaya...
"  tu lawde khush to aise ho raha hai,jaise usne i love you likhkar bheja ho..."
"beta tu samajh nahi raha hai...aaj usne mujhe birthday wish kiya, phhir dheere-dheere karke good night, good morning ke messege karegi aur phhir ek din aisich wo 'i love you' ka messege bhi mujhe tapka degi...i know.."
"laad mera know...i love you, ka messege bhejane ke liye...Gautam zinda hai abhi...uske bachpan ka pyaaaaaaaar...."
"muh band kar sale...aur tu yadi ladkiyo ke baare me itna hee janta to Divya se gand thodi hee marwata...beta dekh lena, wo ek na ek din i love you jaroor bolegi...kyunki maine filmo me dekha hai ki aksar ladkiya apne bachpan ke dost se set to hoti hai,lekin college me unhe kisi dusare ladke se sachcha pyar ho jata hai..."
"dekh lena tu...Esha ke naam par chudega ,phhir mat bolna ki maine tujhe aagaah nahi kiya tha..."
"muh band kar be lodu, tujh jaisa chhota aadmi aisi chhoti hee baat karega...sale kabhi to kuchh achchha bola kar..."kahte hue maine apna chehra Arun ki taraf se ferkar board ki taraf kar liya....
.
us din Esha ne do aur messege kiye, jinme se ek me usne likha ki' sorry,mujhe tumhe birthday wish nahi karna chahiye tha' aur dusare me likha ki' kya tum mujhse parking me miloge...'
"badi ajeeb ladki hai yar...kahi iska dimag stak to nahi gaya, na jaane kya-kya sochate rahti hai...."Esha ke messeges padhne ke baad maine kaha....


 
 
 
 
 
 
 
Update-191 :

.
Us din Esha ne jab khud mujhe parking me milne ke liye kaha to mere man me ek khayal kaudha ki 'ye sala college ka parking hai ya humara lover point  '
Esha se is semester me main jitni baar parking me mila tha ,utna to main pichhale char saal me shayad
usase mila bhi nahi hounga aur aaj phhir mujhe apne lover point me apne lover se milne jaana tha.... Us din mujhse bahut badi galti hui thi aur wo ye ki na jaane kaise Esha se parking me milne wali baat ko main bhool gaya...dosti-yari..hansi-mazaak me college ke last period tak aate-aate tak to jaise main ye bhool hee chuka tha ki mujhe Esha se milna bhi hai ,upar se class ke launde ne puri class me ye khabar
bhi faila di ki 'The Dark Knight Rises' hd print me aa chuki hai,isliye class khatm hone ke baad hum jin-jin laundo ko Rises download karni thi...wo New IT building ya phhir Library ki taraf aur unme se ek main bhi tha.....Arun ko Batman kuchh khas pasand nahi tha,isliye wo Saurabh ke sath seedhe hostel ki taraf ho liya aur main, Sulabh ke sath Library me jaa pahucha....Library raat ke 10 baje tak khuli rahti thi lekin college ke baad waha ekka-dukka student hee dikhte the...isliye downloading speed bhi pel ke aati thi... College ke baad Library ke sunsan hone ki vajah ye thi ki Girls hostel me already wifi laga hua tha aur laundo ko jo download karna hota tha ,wo din me hee class bunk karke download kar lete the....
.
"Fala pahle humare hostel me bhi wifi chalta tha lekin is sale taklu principal ne baad me wifi hatwa diya...warna college ke baad yaha aane ki jaroorat nahi hoti ..."Dark Knight Rises ,ko downloading me lagakar maine sulabh se kaha,is baat se anjaan ki Esha udhar parking me mera intezaar kar rahi hai... "so to hai...oye BC"
"aise pavitra shabd nikalne ki koyi vajah...bakchod Library me to gali mat diya kar...warna abhi wo Library ka incharge insult karke bhaga dega to kya izzat rah jayegi teri..."
"hona kya hai...yadi usne aisa kiya to us lawde ki laundiya ko chhodunga nahi....tune dekha hai use ,kaise marwa-marwa ka gol-gappa hue jaa rahi hai...aur main chauka isliye kyunki wo tere hostel wala kallu sharma ko chashma lag gaya hai, wo dekh sala idharich hee aa raha hai..."
"ajeeb hai yar..."kallu ko apni taraf aata dekh maine thodi unchi aawaz me kaha, taki kallu bhi sun sake...main bola"kaise-kaise laundo ko chashma lag jata hai yar, sale abhi tak first year clear nahi hai aur chashma lagakar padhaku ki aaulad bankar ghoom raha hai...."
"bol to aise raha hai jaise tu college ka topper ho..."hum dono ke paas baithte hue kallu ne kaha.."aur maine first year ki sari back last year me hee clear kar li thi...ab sirf 5th sem. ke 3 aur 6th sem. ke 4 hai...inhi back ko clear karne ke liye din raat padhayi karta hoon,isiliye chashma laga hai..."


"beta ye padhayi karne ke karan chashma nahi laga hai, ye to 3GP quality me bf dekh-dekh kar hilane ka natizaa hai...abey kaliye khud ko dekh aur mujhe dekh...kitna badsurat dikhta hai tu..."
"badsurat bhale hee hoon,lekin laundiya pata kar baitha hoon...teri tarah randwa to nahi hoon..." "MC..."kallu ka sar pakad kar maine library ki table me patak diya aur bola"aaukat se bahar bolta hai...beta main laundiyo ko bhaav nahi nahi deta,warna laundiya ki to main nadiya baha sakta hoon...fb par 1332 ladkiyo ki friend request pending padi hai abhi...baat karta hai..."apni shekhi jhadte hue maine kaha...
"bol na ki gay hai...aur tera lund khada nahi hota..."
"phhir aaukat se bahar bola tune lawde..."ek baar phhir maine kaliye ka sar pakda aur pahle ki tarah table par de mara...
"beta,mujhpar gussa utarne se kuchh nahi hoga...tu randwa tha ,randwa hai aur randwa rahega..."bolkar kallu waha se utha aur library se bhaag khada hua....
Kallu ki baat sunkar mera rom-rom blast furnace me jalne laga...main kallu ko marne ke liye uske peechhe bhaga...lekin tabhi Sulabh ne 'downloading fail ho jayegi' ki guhar maarkar mujhe rok diya, warna kallu to aaj mere hatho shahid hee hone wala tha  jaise-taise main apmaan ka ghoot peekar baith to gaya, lekin Sulabh ke saamne apni bezzati se main thoda nirash aur pareshan tha kyunki kal college me Sulabh yahi baat pure laundo ko batane wala tha aur to aur mujhse ye kahte bhi nahi ban raha tha ki 'dekh yar...ye baat kisi aur ko mat batana...'
.
jab dark knight rises download hui to hum dono library se nikal kar bahar aaye...hum dono parking ke paas se bhi gujare,lekin tab bhi mujhe ye yaad nahi aaya ki Esha ne mujhe parking me milne ke liye bulaya tha kyunki mere dil-o-dimag me to kaliya ke wo shabd ghoom rahe the,jo usne mujhse library me kahe the....
"Sulabh...sun to.." "bol.."
"yadi maine teen hafte ke andar is kallu ki bahan ko patakar nahi choda to tu mera lund kaat dena...lekin tab tak aaj library wali baat kisi ko mat batana...."
"rahne de,tujhe ye kallu ki bahan ko chodne wali partiqya lene ki koyi jaroorat nahi hai...main waise bhi kisi ko nahi bataunga, befikar rah..."
"kamaan se nikla teer..muh se nikla shabd...lund se nikla moot...gand se nikla ***...jis tarah wapas nahi hote,usi tarah Arman ki pratiqya kabhi wapas nahi ho "
"yadi aisa hee hai to phhir kha kasam Albert Einstein ki...lekin mujhe lagta nahi ki tu ye kar payega..." "ab to Einstein chacha ki kasam le li hai, izzat to rakhni hee padegi...bole to ab Aradhna darling teen hafto ke andar chud kar hee rahegi..."
Uske baad Sulabh ne apna rasta naapa aur maine hostel ka raasta naapa...
.
Us din mera birthday tha...lekin dusare jaha chahte hai ki unke birthday ke din sab use wish kare...wahi main chahta tha ki kisi ko mera birthday maloom tak na chale....iski koyi khaas vajah to nahi thi bas vajah yahi thi ki birthday ke din jaanwaro ki tarah padne wali maar se main bahut ghabrata tha. Lekin ab to jung ka bigul baj chuka tha aur launde apne-apne birthday ke din mere dwara hui thukayi ka badla lene ke liye hostel me taiyaar khade the ki ,kab main hostel ke andar ghusu aur wo meri thukayi shuru kare.... 8th Semester me manaya gaya mera birthday kayi karano se mere liye yaadgar sabit hua...
pahla karan ye ki Esha ne pyar se mujhe auditorium me chocolate gift kiya, jise maine lene se inkaar kar


 
diya
Dusara karan ye ki zindagi me pahli baar Esha ne mera intezaar kiya aur main usase milne nahi gaya
teesara karan jo mere birthday ko yaadgar banane ke peechhe tha,wo ye ki maine usi din Aradhna ko
 
chodne ki pratiqya ki thi...
Aur chautha karan ye tha ki zindagi me pahli baar main jail gaya ,wo bhi tab jab humare district ka S.P. hee mere khilaf ho...
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-192 :

.
Yadi Main chahta to pichhale teen saal ki tarah is saal bhi birthday ke din maar khane se bach sakta tha
,lekin abki baar maine khud hee maar khane ka socha...kyunki ye college me mera aakhiri saal tha isliye main college me banaye gaye apne aakhiri birthday ko yaadgar banana chahta tha...phhir bhale hee wo yaadgar pal meri thukayi se hee kyun na judi ho....
main haste-muskurate hue hostel ke andar ghusa to jin laundo ne mujhe pahle dekha wo gala fadkar mera naam chillane lage ki'sab jaldi aa jao be, Arman aa gaya hai...'


uske baad fourth year ke ladko ne mujhe uthaya aur mere room me lejakar mujhe band kar diya...un logo ko shayad ye dar tha ki main kahi bhag na jaun, lekin unhe kya pata ki bakra khud bali chadhne aaya tha....
mujhe room me band karne ke taqriban 10 minute baad ladko ne gate khola aur gate khulne ke kuchh hee seconds ke baad Arun ne mera hath pakadkar Saurabh ko pair pakad kar uthane ke liye kaha.... "maaro fale ko, pure chaar saal ki kasar nikal dena..."
Iske baad jo maar mujhe padi, wo sali ab tak mujhe yaad hai...bahut der tak fourth year ke ladke meri dhulayi karte rahe aur juniors waha khade hokar maja le rahe the...iske baad un logo ne mujhe mere bistar par lejakar patak diya aur Arun,Saurabh ko bhi baki ladko ne pelne ke liye utha liya...
"abey oyyyeee...mujhe kyun maar rahe ho be...mera birthday thodi hai..."jab laundo ne Arun ka hath- pair pakad kar uthaya to Arun ki gand fat gayi aur wo bola...
"tum dono Arman ke room partner ho, laat to tum dono bhi khaoge...dekh kya rahe ho be, maro lawdo ko...."fourth year ke jhund me se kisi ne kaha aur phhir Arun ,Saurabh ke pichhwade ko laal karke unhe bhi meri tarah unke-unke bistar par fek diya gaya.....fale bina matlab ke chud gaye
"kasam se ,yadi mujhe maloom hota ki tere room partner hone ke karan main bhi laat khaunga to main
first semester me hee room change kar leta...salo ne maar-maar ke pichhwada suja diya..."dard se karahte hue Saurabh bola"waise Arman tere takiye ke neeche tera gift hai...dekh to..."
"gift  "maine badi ummid ke sath apna takiya uthaya lekin mere armano par pani tab phhira jab maine dekha ki waha siway condom ke kuchh nahi tha...
"bose dk ,ye condom ko gift kahta hai tu... dikha di na tune apni aaukat...kam se kam 32 gb ka pen drive to diya hota ,bakchod..tere muh me Arun ka "
"abey Arman, mera gift dekhne ke liye dayi taraf palat aur bistar utha kar dekh...."
Abki baar Badi ummid se main dayi taraf palta aur bistar ke neeche dekha to waha daru ka ek quarter rakha hua tha....
"are gajab...sari tabiyat khush ho gayi...lekin bumper deta to main aur jyada khush hota, khair koyi baat nahi isase kaam chala lunga..."
quarter nikalkar maine fatak se apne liye peg banaye aur dard kam karne ke liye ek ke baad ek 2 peg pee gaya.....
"aaahhhh....tum dono koyi vardan mango be mujhse, main bhagwan hoon  " "aaj raat ko bar me party de phhir..."
"tathastu..."bolte maine phhir ek peg chadhaya aur cigarette sulga kar bistar par wapas letkar Jagjit Singh ka gazal gaane laga...
"Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
 
 
Bhale chheen lo mujhse meri javaani.
Magar mujhako lautaa do bachapan ka saavan, Vo kaagaz ki kashtii, vo baarish ka paani."
RUM ke nashe me Jagjit Singh ke gazal ne mujhe kuchh aisa rama diya ki main phhir se utha aur ek peg maarkar wapas bistar par ludhak kar gazal gaane laga...
"Muhalle ki sabse nishaani puraani,
Vo budhiyaa jise bachche kahate the naani. Vo naani ki baaton mein pariyon kaa deraa


 
,
Vo chehare ki jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa."
"waise Arman, kuchh ladko ke muh se suna ki anchoring me tere sath Esha hai...."gazal ke sur aur mere sur me besura raag gholte hue Arun ne apni taang adayi...lekin usne Esha ka name liya to main rum ke nashe aur Jagjit Saab ke gazal me aur ram gaya...
maine Arun ke sawal ka jawab diye bina gazal ki aage ki panktiyo ko aage badhaya.... "Bhulaye nahi bhool sakata hai koyi,
 
 
Vo chhoti si raaten vo lambi kahaani.
 
 
Kadi dhoop me apane ghar se nikalana,
 
 
Vo chidiyaa, vo bulabul,vo titali pakadana." "abey tune jawab nahi diya...chadh gayi kya..."
"thodi der chup nahi rah sakta bakchod...kitna aanand aa raha tha, sale ek to tu khud besura ,upar se teri aawaz besuri..."
"wo sab to thik hai...lekin pahle ye bata ki jo maine suna wo sahi hai kya..." "shat pratishan sahi hai....Esha apun ke group me hee hai..."
Iske baad Arun kuchh nahi bola aur maine muh jubaani yaad Jagjit Singh ki wo gazal puri ki....Raat ko karib 8 baje, hum teeno apne plan ke mutabiq chup-chap hostel se bar jaane ke liye nikle...lekin hostel ke bahar laundo ne mujhe pakad liya aur party dene ke liye kahne lage....
"abey tumhi logo ke liye daru lene jaa raha hoon,tum sab andar taiyar baithna...main aadhe ghante me daru lekar aata hoon..."bahana banate hue main bola...
"itna saj-dhaj kar daru lene jaa rahe ho be tum  "jis ladke ne hume hostel ke bahar pakda tha, usne meri ore dekhkar puchha...
"beta bhai..hamesha kapde wapde pahankar tip-top rahta hai,kya pata kab koyi ladki mil jaye...tu hostel ke andar jaakar sabko bol de ki koyi khana na khaye...main aadhe khante me sabke liye daru aur khana lekar aata hoon..."
"yeeeesss...aaj to phhir maza aa jayega..."wo ladka khushi ke mare waha se kudata hua hostel ke andar gaya aur main Arun,Saurabh ,Pandey ji ke sath bar ke liye nikal pada....
city se maine Naveen aur Sulabh ko bhi pakda aur jordar party karne ke irade se bar ki taraf badhe lekin hume kya pata tha ki bar ki taraf jaane wala rasta hume bar nahi balki jail pahuchane wala tha......


 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-193 :

.
Bar jaate waqt maine man hee man me ek budget bana liya tha ki itne rupaye se aage kharch nahi karna hai...lekin bar me daru aur ladkiyo ke beech mera sara budget gadbada gaya....humne pel ke daru ki botale khali ki aur cigarette se apna kaleja jalaya. Hum log nashe me itne tunn ho gaye the ki ek dusare tak ko nahi pahchan rahe the.....
"tu kaun hai be lawde aur mere peechhe-peechhe dum hilate kyun aa raha hai....bhikhari hai kya..."bar se nikalte waqt jab maine peechhe Arun ko aate hue dekha to usase bola...
"main....main hoon Samrat Arunoday...lekin mere rajya ke log prem se mujhe Arun kahte hai..." "tu mujhe jaana pahchana kyun lag raha hai be...pakka tune mera lund muh me liya hoga ek-do
baar...hat saamne se..."Arun ke peechhe se aate hue Saurabh ne Arun ko dhakka dekar neeche zameen par gira diya aur mere paas aakar aasman ki taraf dekhne laga....phhir apna sar khujate hue bola"sala
,meri helicopter kaha gaya, kuchh der pahle to yahi park kiya tha...pata nahi kaha gaya, kal hee to khareeda tha..."
mere ,Arun aur Saurabh ke baad Pandey ji bar se bahar nikle aur hum teeno ko dekhte hee chillaye... "doodh mangoge to kheer denge...
kashmir mangoge to cheer denge...
maa tujhe salaam.....sainiko kaid kar lo in deshdrohiyo  "
"abey chup be pandey,..."uske sar par ek mukka marte hue Sulabh ne kaha..."ye kya chutiyapa laga rakha hai be tum charo ne...ek khud ko Samrat kahta hai, dusare ka helicopter nahi mil raha aur tu Pakistan se jung lad raha hai...BC ,yadi mujhe maloom hota ki tum charo itna bada lafda karoge to main aata hee nahi....Naveen , ye jo bike lekar aaye hai use tu chala aur apni bike ki chabhi mujhe de...inke


bharose raha to aaj swarg ke darshan ho jayenge..."
Sulabh aur Naveen hume bike par bithakar room ki taraf chal pade...aadhi raat hone ke karan puri sadake sunsan thi,bas beech-beech me koyi bike ya car humare paas se gujar rahi thi...Naveen ke room ki taraf jaate waqt meri bagal se ek car gujari to maine Naveen ko bike tez karne ke liye kaha....
"kya hua be..."
"abey speed badha...us car wale ko main jaanta hoon..." "thik hai phhir...lekin zara sambhal kar baat karna..."
"apne baap ko mat sikha ki kaise baat karni hai...bas jab ishara karu to bike ki speed aur tez kar dena..." Naveen ne bike ki speed badhayi aur hume overtake karke aage badh chuki car ke thik bagal me bike chalane laga....Car ke sabhi window band thi isliye maine hath se ishara karke car ki window kholne ke liye kaha....
pahle to car wale ne meri baat bahut der tak taal di lekin phhir usne car ki window khol hee di aur mere taraf sawaliya nigaah se dekhane laga.....
"kya uncle...ekdum maze me ya koyi pareshani hai..." "i'm fine..who are you..."
"wo sab hatao aur ye batao ki car aapki hai..." "haan..."
Iske baad main jo bolne wala tha use sochkar hee main hasne laga aur phhir haste hue bola"Car dekhkar maza nahi aaya chacha jaan, bahut sasti lag rahi hai....mujhe to yahi car free me mil rahi thi,lekin maine itani chhoti car lene se mana kar diya, aap chodu ban  "
"abey ye kya bak raha hai...sathiya gaya hai kya..."Naveen ne turant bike ki speed badha di aue car wale
ko bahut peechhe chhod diya......
"Arman, ab main tere sath kabhi bhi ,kahi bhi nahi jaunga...free-fokat me lafde karne ka tujhe bada shauk hai...kash ki main tere sath first year me na baitha hota, lekin meri hee mati mari gayi thi...." "beta tera level hee nahi hai mere sath rahne ka...main khud aaj ke baad tere sath nahi aaunga...aaj ke baad kya, abhi, isi waqt main tujhse dosti todta hoon, bike rok...."
"chal be,..."
"rok bike,warna main kood jaunga..."
"chup chap baitha rah, warna mere hatho peetega tu Arman..." "tu bike rokta hai ya main kood jaun...."
"abey kudna mat...."Naveen chillakar bola"main bike rokta hoon, lekin tu please yar, kudna mat..." "ab aaya na line par..."
Naveen ne sadak ke kinare bike roki aur mujhse ek ke baad ek sawal karne laga, jaise ki 'maine bike kyun rukwayi'...'mera aage kya karne ka plan hai' wagerah-wagerah....lekin maine use kuchh nahi kaha aur uske har sawal ke baad use shant rahne ka ishara karta tha....
ye silsila tab tak chalta raha,jab tak ki Sulabh bhi humare paas nahi aa gaya....
"kya hua Naveen, tune bike kyun rok di..."Sulabh ne Naveen se puchha...lekin Naveen kuchh kahta ,uske pahle hee maine Saurabh, Arun ko pakadkar bike se utarne ke liye kaha....
"kya hua...kuchh batata kyun nahi..."abki baar Sulabh ne gala phhadkar Naveen se puchha... "pata nahi, Arman ne kaha ki bike rok...isliye maine rok diya..."
.
"aa jao be..."Naveen ki par baithkar maine Arun,Saurabh aur pandey ji ko peechhe baithne ke liye kaha... "ye...ye kya kar raha hai..."
Bike ke saamne Naveen turant khada ho gaya aur mujhe rokne ki koshish karne laga.....


"General, aap aagya de, main abhi isko maut ke ghat utar dunga..."Pandey ji ne kaha....Pandey ji ke dimag me jung ka junoon abhi tak sawar tha...
Maine kuchh kahne ki apeksha kuchh karne ka plan kiya aur bike start karke jabardast speed ke sath Naveen ke side se nikal liya.....
Jb Bike chalate waqt mujhe neend aane lagi to maine hostel ki taraf jaane wale highway ke kinare bike khadi ki aur pandey ji ko bike chalane ke liye kaha.....Pandey ji ke sar par to abhi jung ka junoon sawar tha, wo bhala na kyun karte...Pandey ji bike ki kamaan apne hath me li aur tez-tarrar speed se hostel ki taraf bike ko udane lage.....
.
"aap dekhna Arman bhai, main kaise hostel ke andar entry marta hoon...bole to ekdum hero ke maafiq..."kahte hue Arman ne bike lejakar seedhe gate par thok di...
hum peechhe baithe teeno to idhar-idhar gire,lekin Pandey ji hawa me uddkar seedhe gate ke dusari taraf ja pahuche.....
"ye sala pandey hume kaha le aaya hai...iski maa ka..."Saurabh zameen par neeche pade-pade karahne laga"ye to hostel nahi lagta, BC pandey...kaha thok diya be..."
"mujhse to utha tak nahi jaa raha...pata nahi kaha gira hoon..."
Bike ki gate se takkar ke baad Rajshri Pandey kaha gaya ,pata nahi...lekin hum teeno jaha gire the,wahi se ek-dusare ka bas naam le rahe the.....na to kisi me uthne ka taqat tha aur na hee kisi me itni samajh ki koyi jeb se mobile nikalkar kisi ko madad ke liye bulaye....
"abey kahi,hum log mar to nahi gaye..."
"nahi be...ek jyotishi ne mujhse kaha tha ki main 50 saal ke pahle nahi marunga..."maine kaha...
lekin uske baad jo harqat hui ,usne mera kaan faad diya...hua ye tha ki achanak hee jiske gate pe pandey ji ne bike thoka tha,us ghar ke andar se eka-ek visil ki aawaz aane lage...pahle kisi ek ne visil bajayi,phhir do phhir teen....wo sab visil bajakar beech-beech me chilla bhi rahe the....
"ye MC itna bhauk kyun rahe hai be Arman..."
"ek minute..."maine apni gardan us ghar ke taraf ki ,jiske andar se visil ki tez aawaze aa rahi thi...aur phhir us ghar ke bahar ka board padha...."Superintendent of security officer...S.L.Dangi...."
wo board padhte hee mera gala aise sukha, jaise mujhe kisi ne hafto pahle bina pani ke registan me bheja hoon...meri charo taraf se fatne lagi aur main khada na hone ki haalat me na hone ke bawzood
,apna pura dam lagaya aur jaise-taise khada hua....
"bhago BC, Us MC pandey ne bike hostel ke gate me nahi balki Dangi ke ghar me thoki hai...gand me jitna jor hai, bhago...warna ye fale gand me goli daal denge...."


 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-194 :

.
Mujhme khade hone ki bilkul bhi taaqat nahi thi ,wo to S.P. ka dar tha, jiski vajah se main ladkhadate hue jaise-taise karke khada hua...lekin tabhi gate se teen guard jo kuchh der pahle visil baja rahe the, wo teeno lambi nali wali bandook lekar bahar aaye....
Pahle to wo teeno gate ke bahar aakar idhar idhar torch marne lage aur jab main unhe khada dikhayi diya to wo teeno mujhpar lapke....ek ne mere dono hatho ko kaskar pakda to dusare ne apne hath me rakhi lambi nali wali bandook se seedhe mere ghutano me mara....
"madarchod...."ladkhada kar girte hue maine apni mushkile aur badha li...
kyunki iske baad wo teeno mujhpar baras pade aur galiya bakne lage....iske baad un teeno me se do ne mujhe chhoda aur mere sath aur kaun-kaun hai ,ye janne ke liye idhar-udhar phhir se torch marne lage....
"tere sath aur kaun-kaun hai....jaldi bata,warna goli naar dunga..."
"are main koyi attankwadi thode hee hoon,jo on the spot pel doge....hands up...mera matlab tum log mujhse hands up karne ko kaho aur main surrender karta hoon...."
"tu aise nahi manega..."bolte hue wo security officerwala mere kamar ke upar chadh gaya aur mere dono hath ko peechhe ki taraf karke marodne laga.....
"BC ,dard ho raha hai chhod..."
"BC,gali deta hai..."mere hath ko aur jor se marod kar wo bola....
tab tak Arun aur Saurabh ko baki dono hawaldaro ne dhoondh liya aur un dono ko pakad kar gate ke paas bitha diya.....
"idhar hee baith ,zara sa bhi hila to gand me goli maar dunga...."Arun aur Saurabh ko gate ke paas baithate hue un security officer walo ne kaha....
Lekin lagta hai mera khas dost Arun , ab bhi Raja Arunoday ke character me tha, usne bina kuchh soche - samjhe ,bina aage-peechhe ki parwah kiye...aav na dekha taav aur hawaldar ko ek tamaacha jad diya... Arun ke is tamaache se kuchh der tak to khud tamaacha khane wala hawaldar bhi shocked raha...lekin uske baad jo reaction un teeno security officer walo ka hua, wo batane layak nahi hai.....hum teeno ko pel-pel ke wo security officer wale humari jaan hee le lete, yadi gate ke dusari taraf se kisi ne unhe aawaz dekar rukne ke liye na kaha hota to......
"un dono ko chhodkar khade ho jao ,lagta hai Sahab aa rahe hai..."mere upar itni der se jo hathi ka vajan liye hue baitha tha, wo aawaz sunte hee mere upar se hat gaya aur S.P. ko salaam karne ki position me


aa gaya.....
Dangi ji hatho me ek revolver liye hue gate se bahar aaye aur hum teeno ko dekhkar sawaliya nazaro se apne guards ki taraf dekha....
"wo...wo sahab, ye teeno ne gadi se gate ko takkar maar di thi aur jab hum inhe uthane aaye to hum par hamla kar diya aur galiya bhi bakne lage....."
.
Ab to meri haalat aise hone lagi,jaise hafte pahle nahi balki mahino pahle kisi ne bina pani ke registan me ghused diya ho...dar itna laga ki puchho mat aur andar se sirf ek hee aawaz aa rahi thi ki "bas ek baar in sabse chhutkara mile ,uske baad to daru ka naam tak nahi lunga...."
"in teeno ko thane lejakar band kar do, GEC college ke ladke lagte hai..."
Itna bolkar S.P. andar khisak liya aur 5 minute ke andar security officer jeep ne hume lejakar jail ke andar patak diya.....
.
Mere birthday ke din meri aisi durgati hogi maine socha tak nahi tha...hume salaankhon ke peechhe fek diya gaya wo bhi bina kisi kambal aur rajayi ke....thand to itni thi ki yadi duniya ki sabse hot laundiya bhi humare saamne nangi khadi ho jaye to thand ke mare lund tak khada na ho....waisi thand me main aur mere dost puri raat security officer station me band rahe....
kuchh sharab ke nashe ka asar tha to kuchh hume padi maar ka asar tha, jiske karan meri palake bhari hokar ghante-do ghante me band ho gayi....warna aisi thand me to main hafto tak nahi so pata.....
.
Bachpan me main ek jadoo har roj dekha karta tha...main jab bahut chhota tha tab main aksar raat ko
t.v. dekhate hue ya to sofe par so jata tha ya phhir apne bhai ke sath khelte hue neeche zameen par hee so jata tha, lekin jab dusare din subah meri aankh khulti to main bistar me pada hota....us waqt main ise ek magic maanta tha lekin jaise-jaise bada hua to sab kuchh samajhne laga.darasal wo koyi magic nahi tha wo to mere mammi-papa the jo mujhe uthakar bistar par sula dete the...
Aur aaj jab meri aankh thand me marte hue band ho rahi thi to main bachpan ka wo jadoo phhir se dekhne ki chaahat me tha. Main chahta tha ki agli subah jab meri aankh khule to main yaha jail me na hokar apne bistar par rahu aur uthate hee apna sar khuja kar apni maa se is baare me puchhu ki"main idhar kaise aaya...."
.
dusare din wo magic to nahi hua, jo bachpan me aksar hota tha,lekin pata nahi raat ko kisi ne mere upar kambal daal di thi...dusare din jab meri aankh khuli to samay ka koyi aata-pata nahi tha, bas itna maloom tha ki suraj nikal chuka hai....
Main uthkar baith gaya aur Arun, Saurabh ki taraf dekha....phhir jail ki saalankhon ki taraf dekha aur yaad karne laga ki kal raat actual me hua kya tha...
kal raat ki ghatna yaad karte hee mere hath-pair phhool gaye, sar chakrane laga...kuchh samajh me hee nahi aa raha tha ki kya karu, kisase kya bolu...jisase hum sab waha se nikal sake....
main,Arun aur Saurabh waise the to ek hee jagah, lekin hosh me aane ke bahut der baad tak lagbhag ghante bhar baad tak hum teeno me se koyi kuchh nahi bola...hum teeno sirf ek-dusare ka muh taak rahe the...
.
"tum me se koyi ek bahar aao...sahab ko baat karni hai..."salaankho ke dusari taraf se hawaldar ne gate khola aur humse bola....
"Arman tu jaa aur jaate hee pair pakad lena...."Saurabh ne apna kambal samet kar mujhse kaha...


Saurabh ke bolte hee main kambal se bahar nikla aur hawaldar ke peechhe-peechhe jaane laga....Hawaldar mujhe seedhe security officer station ke bahar le gaya aur jab maine aas-paas dekha to samajh gaya ki ye humare college ke paas wala security officer station hai....
bahar dhoop ki chhav me do kursiya rakhi hui thi ,jisme se ek par Dangi ji baith kar chay ki chuskiya le rahe the aur dusari kursi shayad mere liye thi....hawaldar ke peechhe chalte hue main Dangi ke paas pahucha aur sar jhuka kar khada ho gaya...Dangi ne hawaldar ko waha se jaane ke liye kaha aur mujhe apne saamne wali chair par baithne ka ishara kiya....
"kal raat maine inhe kambal dene ke liye kaha tha...inhone kambal diya tha kya..." "h..."
"kya..." "h..ha..haan...diya tha.."
"kis college me padhte ho..." "GEC...GEC me..."
"kal raat kya hua tha..."
Maine pahli baar S.P. Ki taraf dekha aur bola"Sir, 2 minute dijiye...yaad karke batata hoon..."
Jawab me Dangi ji chay ki sirf chuskiya lete rahe...waise to mujhe pura yaad tha ki kal raat kya hua tha...lekin S.P. ke samne main aise hee kuchh bhi bolne ka matlab tha ki khud ke gale me fansi ka fanda fasana....isliye maine unse do minute ka samay manga ,ye sochane ke liye ki mujhe kya bolna chahiye. do minute ka bolkar main pure 5 minute tak chup baitha raha.tab tak Dangi ji ki chay bhi khatm ho chuki thi aur wo ab meri taraf hee dekhe jaa rahe the.....
"Jai maa kali, jai bhadra kali...har-har mahadev...."andar hee andar bhagwano ke naam ka uchcharan karte hue maine bolna shuru kiya"kal mera birthday tha, isliye hum log party manane ek hotel gaye the..."
"birthday tha...oh, Happy birthday..."
"thank you sir..."S.P. ne jab mujhe birthday wish kiya to mere dil ki ghabrahat aur jeebh ki ladkhadahat thodi kam hui, bole to apun thoda relax feel karne laga kyunki S.P. apun ko ek achchha insaan laga...maine aage kaha"to jab hum log party karke aa rahe the to gadi mera dost Pandey chala raha tha aur uski aankh lag gayi,jiske karan bike seedhe aapke bunglow ke gate se takra gayi..."
ye bolne ke turant baad mujhe Rajshri Pandey ka khayal aaya, kyunki wo bike aur gate ke beech hui takkar ke baad se mujhe nahi dikha tha....
"sale ka kahi upar ka ticket to nahi kat gaya...."maine socha aur innocent si shakl banate hue dangi ji puchha ki mera chautha sathi kaha hai...
"wo behosh ho gaya tha ,abhi filhaal thik hai..." "wo hai kaha...."
"hospital me...kal raat hee maine use hospital me admit karwa diya tha..."
"bahut bhalamanush security officer adhikshak hai yar...khamkha main ise gali deta rahta tha..."Jab mujhe pata chala ki Dangi ne Pandey ji ko hospital me admit kara diya hai to maine socha aur S.L. Dangi ke liye izzat mere dil me apne aap aa gayi....
Dangi ji ne chay khatm karne ke baad ek hawaldar ko apne paas bulaya..
"in teeno ka name, permanent address,mobile number lekar inhe jaane do aur koyi case file mat karna...."apni jagah par khade hote hue unhone kaha"aur haan, inki bike bhi chhod dena, student hai...zurmana shayad na bhar paye..."
S.P. ke muh se aise alfaaz sunkar mera dil kiya ki abhich khushi se naachu lekin mera naach dekhkar kahi
S.P. Ka mood satak gaya to problem ho sakti hai...isliye main chup-chap khada aur bas chup-chap khada


hee raha,lekin maine decide kar liya ki bina kisi musibat ke chhutane ke karan aaj raat jordar daru piyenge....
S.P. sir ne iske baad mujhse kuchh nahi kaha aur waha se jaane lage...unhe jaata dekh mujhe khayaal aaya ki thanks to kahna hee chahiye,kyunki yadi koyi dusara security officer wala hota to 20-25 hazar ghuste aur ghar me khabar bhi pahuch jati...lekin aisa kuchh bhi nahi hua tha,isliye main Dangi ji ka shukriya ada karne ke liye unke peechhe dauda.....
"thank you ,sir...warna mujhe laga tha ki aaj to gaye kaam se..." Jawab me S.P. ne sirf ek feeki si muskan di aur aage badh gaye... "is meharbani ki koyi khas vajah ,sir..."
"Vajah..."usi feeki muskan ke sath S.P. peechhe palte aur hontho ko chabate hue bole"tumhe pata nahi hoga, par tumhare jitna bada mera bhi ek ladka tha.Pichhale saal uske birthday par wo mere paas aaya aur mujhe bola ki 'dad, mujhe aaj raat birthday celebrate karne ke liye kuchh paise chahiye'...use jitne rupaye chahiye the,maine use diya jabki mujhe maloom tha ki wo mere diye hue rupayo ko sirf sharab me uda dega....wo apne birthday ki raat mujhe 'i love you,dad' bolkar gaya aur phhir kabhi wapas nahi aaya...."bolte hue Dangi ji achanak rook gaye....unke rukne ke karan main samajh gaya ki aage kya hua hoga...lekin main unse kya bolu ,ye meri samajh ke bahar tha...kyunki aisi situation ki maine kabhi kalpana tak nahi ki thi aur na hee mere paas aisi situation ke liye koyi readymade dialogue the...isliye mere paas siway chup rahne ke koyi dusara rasta nahi tha....
.
"mera beta ,wapas nahi aaya kyunki usne bahut sharab pee rakhi thi aur wapas aate waqt uski bike kisi bhari vahaan se takrayi thi...wo takkar itni bhayanak thi ki jab tak main waha pahucha,mera beta mar chuka tha..."S.P. bolte-bolte phhir chup ho gaye aur rumaal nikalkar apne aankho me rakh liya...
aur main pahle ki tarah ab bhi bejubaan sa wahi ,unke paas khada tha...unhone aage kaha...
"mere bete ke sath-sath bike par do aur ladke the aur wo dono bhi nahi bache... report ke baad pata chala ki sharab sirf mere bete ne pee rakhi thi,baki dono vyarth me hee apni jaan ganwa baithe...ab shayad tum samajh gaye hoge ki meri is meharbani ki kya vajah thi...main chahta to kal raat hee tum sabko chhod sakta tha lekin maine tumhe andar kiya jiska karan ye tha ki tum log bilkul bhi hosh me nahi the aur main nahi chahta tha ki koyi aur durghatna tumhare sath ho....beta, zindagi mili hai mauz-masti karne ke liye na ki narak banane ke liye....chalta hoon..."
.
S.P. to waha se chala gaye lekin unke shabd mere kaan me bahut der tak gunjate rahe aur main bina kisi hosh-hawaas ke waha tab tak khada raha ,jab tak ki Arun aur Saurabh ne mujhe aawaz nahi di....
"ye to kamaal ho gaya be..S.P. ne teeno ko aise hee chhod diya...ya to main kisi dusare desh me aa gaya hoon ,jaha daru peekar gadi chalana aur security officerwale ko gali dena aparadh nahi mana jata ya phhir is desh ka kanoon badal gaya hai,jiski bhanak mujhe nahi lagi hai...."
"desh bhi wahi aur kanoon bhi wahi hai..." aage chalte hue maine kaha...
.
security officer station se bahar nikalne ke baad hume pata chala ki hum teeno ke kapde jagah-jagah se fat chuke hai aur body me idhar-udhar thodi bahut chote bhi hai....Arun Naveen ki khatara ho chuki bike ko sadak par rengate hue mere sath chal raha tha aur Saurabh humari kal ki footi kismat par soch vichar karte hue thoda peechhe chal raha tha....
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 02:43 AM



Users browsing this thread: 25 Guest(s)