27-03-2019, 02:38 AM
Chapter-49: battle for dignity
Update-187 :
.
mujhe is tarah se shocked hota dekh kallu bhi buri tarah chauka aur darne laga ki kahi main use phhir na pel doon . Main isliye itni buri tarah chauka tha kyunki Aradhna aur kallu ke face me koyi mel-jol nahi tha.
Aradhna utni gori bhi nahi thi, lekin kallu jaise nihayat kali bhi nahi thi...Aradhna avon maal bhale na ho lekin aisi to thi hee ki yadi wo chodne ka proposal de to main mana na wahi kallu ekdum badsurat mendhak ke jaise muh wala tha aur to aur sala kanghi bhi churata tha....
"aise kya dekh raha hai be, phhir se marega kya..."
"Aradhna teri sagi bahan hai ya phhir tere chacha,mama,kaka,fufa,tauji....etc. etc. Ki beti hai..."
Mere dwara aisa sawal karne par pahle tu kallu mujhe kha jaane wali nazaro se dekhne laga lekin jab use aisa laga ki wo mera kuchh nahi ukhad sakta to wo thoda mayoos aur thode gusse ke sath bola... "Aradhna meri door ki bahan hai...tujhe usase kya..."
"tabhi main sochu ki tujh jaise kaliya ki bahan Aradhna kaise ho sakti hai..." Aradhna ,kallu ki door ke rishte ki bahan hai ye jaankar main badbadaya aur waha se apne room me aaya....
.
Mere room me is waqt Saurabh, Arun ke sath Pandey ji bhi mauzood the,jo football Match ke dauran lagi chot ko sahla rahe the...Arun ke hath aur gardan ke paas ki thodi si chamdi ghis gayi thi,wahi Saurabh sahi-salamat tha......
"dekh liya be,mujhe challenge karne ka nateeja, ab agli baar se aaukat me rahna..warna is baar gardan ke paas ki thodi si chamdi ukhdi hai,agli baar pura gardan ukhad dunga...."shanshaho wali style me main apne bed par baithate hue bola"mujhe dekh ,main kaise match ke baad bhi relax feel kar raha hoon..." "jyada bolega to 100 ke badle me main lund ke 100 baal thamaunga..."aaine me dekhkar apni gardan ko sahlate hue Arun ne kaha"aur beta, aaine me dekh ,tera matha fod diya hai maine..."
Arun ke itna bolne ke sath hee mera hath khud ba khud mere sar par gaya aur jaise hee maine apna hath apne mathe par phhiraya to thodi si jalan hui....
"khoon nikal raha hai kya be Saurabh..."
"thodi si kharoch hai be...bas aur kuchh nahi...aur ye bata tu us kanghichor se kis laundiya ke baare me baat kar raha tha..."
"aisich hai ek item...usi ke baare me baat kar raha tha..."baat ko talte hue maine kaha...kyunki yadi main unhe Aradhna ke baare me batata to phhir unhe puri kahani batani padti ki main kaise canteen me Aradhna se mila aur wo anchoring ki practice karne bhi aati hai...blah..blah.
.
Agle din jab main college ke liye hostel se nikal raha tha to jo baat mere dimag me thi ,wo ye ki Esha ka
mujhe dekhkar kya reaction hoga, wo mujhse behave kaise karegi...mujhse baat bhi karegi ya nahi...kyunki kal shaam ke waqt parking me maine use kaha tha ki 'yadi wo mujhse pahle nahi jayegi to main uski pappi le lunga' . Us waqt to maine ye kah diya tha lekin baad me jab maine ispar gaur kiya aur itminan se socha to mujhe aisa laga ki mujhe Esha ko wo nahi bolna chahiye tha....isliye main Auditorium ki taraf jaate waqt thoda ghabra bhi raha tha .
"ek kaam karta hoon, auditorium me jaate hee Esha ko bol dunga ki wo kal wali baat ka bura na mane...wo to maine aise hee mazak me kah diya tha....yesss..yahich bolunga,tab wo maan jayegi..." Auditorium ki taraf jaate waqt maine bakayada wo lines bhi bana dali, jo mujhe Esha se bolna tha.us din Esha mujhe auditorium ke baahar akeli khadi mili aur maine dil hee dil me uparwale ka shukriya ada kiya kyunki yadi is waqt Esha mujhe kuchh ulta seedha bhi kah deti to koyi aur nahi sunta....warna yadi Esha kisi teesare ke samne mujhpar chillati to mera ahankar jo mujhme koot-koot kar bhara hua hai...wo apni insult hote hue dekh turant bahar aata aur jiska natiza Esha ki sabke saamne ghor bejjati ke roop me nikalta....
"good morning, yaha khadi mera intezaar kar rahi thi kya "hamesha ki tarah haste-muskurate hue maine kaha....is ummid me ki Esha bhi haste-muskurate hue jawab degi...
"tumse koyi matlab ki main yaha khadi hokar kya kar rahi hoon...apne kaam se matlab rakho..."chidchidepan ke sath Esha ne mera swagat kiya....
Kasam se yadi us waqt waha Esha ki jagah koyi aur ladki hoti ,yaha tak ki Angelina Silva ki jagah Angelina jolie bhi hoti aur wo mere good morning ka aisa chidchida jawab deti to main seedhe ghuma ke ek lafa marta ,lekin wo ladki Esha thi isliye main shant hee raha....ye sochkar ki shayad uska mood kharab hoga.
.
"pakka ,aaj uncle ji ne kiraye ke paise nahi diye honge...isiliye itna bhadak rahi hai. lekin tension mat le
,main bahut rahis hoon....bol kitna rokda doon...tu kahe to blank check sign karke de du..."Esha ka mood thik karne ke irade se maine aisa kaha....lekin Esha par iska ulta hee asar hua.
Esha aur bhi jyada mujhpar bhadak gayi aur usne kuchh aise baate bol di ,jo seedhe teer ke mafiq mere dil me chubhi, wo boli...
"tumhe lagta hai ki main tumse baat bhi karna pasand karti hoon...haaannn , tum jaise ladko ko main achchhi tarah se janti hoon, jaha koyi rahis ladki dikhi nahi ki uske peechhe pad gaye....Gautam ke sath tumne jo kiya ,uske baad to mujhe tumhari name se bhi ghin aati hai...aur jitna rupaye tumhare garib maa-baap tumhe ek mahine me bhijawate hai na utna to main har din bar,pub wagerah me tip de deti hoon...bloody nonsense...pata nahi kaha-kaha se chale aate hai,bhikhari..."
.
Esha ke muh se aise-aise lafz sunkar mujhe pahli baar me to yakin hee nahi hua ki Esha ne mujhse hee wo sab kaha hai...mera kaan aise sann hua jaise kisi ne jor se mere kaan me jhapad de mara hoon....ekpal ke liye mujhe samajh hee nahi aaya ki main kya karu, lekin Esha ne aise-aise shabd bol diye the ki mere ahankar ne mere pyar ko turant maat de di aur main bola...
"dekho, mere mobile me call teri taraf se aaya tha na ki maine tujhe call kiya tha...isliye aisa sochna bhi mat ki mujhe tujh jaisi ladki se baat karne me ratti bhar ki bhi dilchaspi hai...wo to Auditorium me dekha ki tujhse baki ladkiya baat nahi karti isliye taras khakar tere paas do din kya baith gaya, do chaar baate kya kar li...tune to uska ulta-seedha hee matlab nikal...fool kahi ki...aur tune mere maa-baap ko garib kaha ? teri to...abey jitne paisa teri puri garib family ek mahine me udati hai hai na utna to mera sirf daru ka bill rahta hai....aur tu khud ko bahut rich samajhti hai..."jeb se goggle nikal kar pahante hue maine kaha"jitni ki tu nahi hogi,utne ka to sirf mera goggle hai..ab chal side de, andar wo chhatru mujhse anchoring ki tips lene ke liye mera intezaar kar raha hoga..."
Maine turant Esha ko pakad kar ektaraf khiskaya . Mere dwara apni insult hote dekh Esha ki aag aur bhi bhadak gayi aur jab maine use chhua to wo cheekhte hue boli"don't touch meeeeee...."
"sorry ki maine tujh jaisi ko chhukar apna hath ganda kar liya aur sun ,agli baar mujhse jubaan sambhal kar baat karna warna aisi bejjati karunga ki 24 hours mere lafz jhapad ki tarah kaan me bajenge...ab mujhe ghoorna band kar,warna mera mood kharab hua to ek-do jhapad yahi laga dunga....sali attitude dikhati hai..."
.
Esha ke sath ghamasan ladayi karke main auditorium me ghusa aur pahli baar mujhe Esha ke sath misbehave karne ka koyi malaal nahi tha, balki mera dil kar raha tha,abhich bahar jaakar uspar MC,BC,BKL,MKL...ki bhi varsha kar doon...lekin maine jaise-taise khud ko control kiya aur Auditorium me ek kone me chup-chap baithkar khud ko thanda karne laga....
"sali khud ko samajhti kya hai, abhi mood kharab hua to dayi chod dunga, lawda samajh ke kya rakhi hai mujhe..."
Main bahut der tak ek kone me akele baith kar Esha ko bura-bhala kahta raha lekin mera gussa tha ki thanda hone ka naam hee nahi le raha tha...Auditorium me baki students bhi aa gaye the bas Chhatrapal kisi kone marwa raha tha....
"aaj us BC Chhatrapal ne jyada hoshiyari chodi to marunga MC ko...phhir lawde ki sari anchoring gand me ghus jayegi dayichod sala..."mera gussa Esha se divert hokar Chhatrapal par aa gaya .
"good morning...sir, itne akele kyun baithe ho..."
aawaz sunkar maine aawaz ki taraf apna chehra kiya to dekha ki Aradhna khadi thi aur mand-mand muskan ke sath apne hath me ek paper liye khadi thi....
"kya hai..."maine chahak kar kaha, jisase wo thoda peechhe ho gayi...
"gussa kyun hote ho sir, bas itna hee to puchha ki aap akele kyun baithe ho..."
"tujhse koyi matlab ki main yaha kone me baithu ya samne stage par leta rahu...mera man main chahe to auditorium ke chhat par jakar baithu, tujhe kya...aur yadi tune agli baar mujhe sir kaha to tera gala daba dunga...ab bhag yaha se..."
Jo gussa Esha ya phhir Chhatrapal par utarna chahiye tha, wo us bechari Aradhna par utar gaya...kisi mahan aadmi ne sahi hee kaha hai ki har waqt ungali nahi karni chahiye...aur Aradhna ne wahi ungali karne wala kaam kar diya tha. Mera aisa raudra roop dekhkar Aradhna waha se turant bhag khadi hui aur main wahi tab tak baitha raha jab tak chhatrapal ne mera name lekar mujhe stage par nahi bula liya.....
Aaj Chhatrapal ne apne un 6 students ko select kar liya tha, jo golden jubilee ke function me anchoring karne wale the aur un 6 students me se main aur Esha bhi the...Aradhna ko Chhatrapal ne additional ke taur par select kiya tha,taki by chance yadi koyi kisi karanvash function me na paye to Aradhna uski bharpayi kar de.....
.
jin 6 students ko Chhatrapal ne select kiya tha, unme se 3 ladke aur 3 ladkiya thi aur ab 2-2 ke group banne wale the.
According to Chhatru, har group me ek ladka aur ek ladki rahne wale the ,isliye main is samay stage par khada hokar yahi dua kar raha tha ki Esha mere sath na phhanse warna mere hatho uska khoon ho jayega....lekin us MC chhatrapal ne wahi kiya, jo main nahi chahta tha...sale ne mujhe Esha ke sath jod diya aur hath me do page pakda kar mic ke paas jaane ke liye kaha....
Update-188 :
.
Meri kismat bhi ekdum jhand hai. Jo main chahta tha, Chhatrapal ne same to same waisa hee kiya tha...matlab ki main select bhi ho gaya tha aur meri jodidar Esha bani thi...lekin mujhe ab ye pasand nahi aa raha tha....jab Chhatrapal ne 7 ko select karke bakiyo ko auditorium se bahar ka rasta dikhaya to maine socha ki Chhatru ke paas jakar ye kaha jaye ki 'Sir, mujhe Esha ke aalawa kisi aur ke sath rakh dijiye' lekin phhir maine aisa nahi kiya...
maine aisa isliye nahi kiya kyunki mera pyar Esha ke liye umad aaya tha balki isliye kyunki mujhe pura yakin tha ki Esha ,Chhatrapal sir ke is selection par objection jaroor uthayegi...Aur jab Esha ye kaam karne hee wali thi to phhir main kyun apna naam kharab karu kyunki waise bhi mera naam bahut jyada kharab hai.
.
Main Chhatrapal ke paas hee stage par khada tha aur jab Esha ko stage par apni taraf aate dekha to mera para phhir chadhne laga....jaha ek ore main itna garam ho raha tha,wahi dusari taraf Esha aise shant thi...jaise humari ladayi kuchh der pahle na hokar ek saal pahle hui ho....Esha ke shant bartaav ke baad bhi mujhe ummid thi ki wo Chhatru ke paas jayegi aur mere sath anchoring karne ko mana kar degi, lekin wo chup-chap stage par aayi aur mere bagal me aakar khadi ho gayi.....
"jana...jati kyun nahi chhatru ke paas aur jakar bol de ki tujhe mere sath rahna pasand nahi..."Esha jab mere bagal me khadi hui to maine cheekhe mar-mar kar khud se kaha....
Chhatrapal ne hum dono ki taraf hath kiya aur stage par thoda aage aane ke liye kaha...phhir wo hum
dono se bola...
"starting ke thirty minutes tum dono anchoring karoge , ok...uske baad 20-20 minutes tak baki ke do group aayenge jiske baad tum dono phhir se anchoring karoge...."Esha ke hath me ek page pakdate hue Chhatrapal ne kaha"ye mera initial plan hai ,baki ka baad me bataunga....ab tum dono, Arman aur Esha..shuru ho jao..."
.
Chhatrapal ne 'shuru ho jao' aise bade aaram se kah diya ,jaise uske baap ka raaz ho. Esha ka to pata nahi lekin main is waqt bilkul bhi mood me nahi tha aur sabse adhik hairani mujhe is baat se thi ki Esha hum dono ke selection par koyi objection kyun nahi utha rahi, kyunki jitna maine Esha ko samjha hai uske anusar wo ek nakchadi ladki hai....lekin is waqt wo ekdum shant thi aur mere sath aise khadi thi,jaise ki hum dono ke beech kuchh hua hee na ho...sala sach me laundiyo ko samajhne ki koshish karna matlab khud ke gale me fansi lagane ke barabar
.
mujhe nahi pata ki Esha us samay stage par kya sochkar Chhatrapal ke selection ka virodh karne ke bajay chup-chap khadi thi lekin mere liye ab samay ke sath beet raha har pal, har second mujhe jaise dhikkar raha tha aur jab ye asahaniya ho gaya to main khud Chhatrapal ke paas gaya....
"sir, meri us ladki se thodi si bhi nahi banti...kya aap mujhe kisi aur ke sath fit kar sakte hai ? "dheeme swar me maine Chhatrapal se kaha...
"bakwas band karo aur jakar uske sath khade raho...main yaha tumhari pasand ki ladki ke sath tumhari jodi banane ka kaam nahi kar raha hoon...samjhe,.."daant chabate hue Chhatrapal ne mujhse kaha... "lekin sir, wo ladki mujhe zara bhi pasand nahi hai... matlab ki wo Gautam ki karibi hai aur aapko to pata hee hoga ki humare beech kya hua tha..."purani kabra khodte hue maine apna paksha mazboot karna chaha...taki Chhatrapal maan jaye.
"mujhe koyi fark nahi padta ki tum kaun ho aur wo kaun hai...yadi golden jubilee ke funtion me anchoring karni hai to usi ke sath karo...nahi to gate udhar hai,waha se bahar jao aur phhir dobara kabhi mat aana..."
.
Maine aaj tak college me sirf aise hee kaam kiye the, jisase mera naam sirf kharab hua tha lekin golden jubilee ke function me anchoring karke main thoda naam kamana chahta tha taki mere yaha se jaane ke baad log mujhe sirf meri burayiyo ke karan yaad na rakhe....wo jab bhi golden jubilee ke function ka video dekhenge tab-tab wo mujhe yaad karenge aur mere college ki ladkiya jo yadi 10 saal baad bhi mere college me aayengi wo golden jubilee ke us sunahari shaam ke video me mujhe anchoring karta dekh ,aapas me zaroor puchhengi ki' yar ye handsome boy kaun hai ' . Ye sab, jaise mera dimag me baith chuka tha aur mujhe yakin tha ki future me aisa hee hoga....isliye maine us din Auditorium me chhatrapal ki baat maan li aur uske kahe anusar chup-chap Esha ke paas jakar khada ho gaya.....lekin main tab bhi hairan hua tha aur aaj bhi hairan hoon ki aakhir Esha ne us din koyi objection kyun nahi uthaya ?
.
.
"wait...wait...wait..."Varun ne mera muh dabakar mujhe rokte hue bola"bas ek minute ruk, main moot kar aata hoon..."
"ye le...salaaa...chutiya.."
"bahut der se control karke baitha tha,lekin ab aur control nahi hota...bas ek minute me aaya..."bolte hue Varun apna lund dabate hue bathroom ki taraf bhaga....
.
"matlab ki tu ye kahna chahta hai ki Esha tere hee group me rahi...haaaiiinnn..."
"ab tu A.C.P. Pradduman jaise faltu sawal karega to main teri jaan le lunga, samjha..."cigarette ko hontho ke beech phhasate hue maine aage ki kahani bayaan karni shuru ki...
.
.
us din sala maine Chhatrapal aur Esha ko auditorium me kaise jhela, ye main hee janta hoon.yadi fala naam kamane ka laalach na hota to main seedhe auditorium se bahar aata...khair maine aisa nahi kiya,isliye is baare me jyada bolne ka koyi matlab nahi lekin usi din raat ko jab main daru peene ke baad is pure masle ko naye sire se dekh raha tha to tabhich mere daru me tann 1400 gm ke dimag me ye baat aayi ki...'kahi Chhatrapal mere sath koyi game to nahi khel raha...yadi aisa hai to phhir Chhatrapal ka background check karna padega beedu,warna ye to mic hath me pakda kar pichhwade me sariya dalega... '
Update-189 :
.
Ladkiyo se mere connection ke mamle me meri 8th semester ki life baki ke semesters ke muqabale bahut hee badhiya chal rahi thi..jaha pahle ek taraf mere college me aisi ek bhi ladki nahi thi ,jo mujhe
muskura kar dekhe wahi is semester ke starting me meri Esha se baat chit shuru hui to wahi dusari taraf Aradhna se bhi meri thodi-bahut pahchan hui thi, lekin kal Esha ne mujhe khud se door to kiya hee sath me Aradhna darling bhi mujhse khafa ho gayi...jiska andaaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki pahle jaha wo auditorium me ghuste hee mujhe ek pyari smile ke sath good morning wish karti thi...wahi ab wo ek taraf apna gaal fulaye baithi hui thi....
.
"soch rahi hogi ki main uske paas jakar use sorry bolunga...chus le phhir mera sorry ke naam par..."Aradhna ki taraf dekhte hue main badbadaya aur phhir apni lines yaad karne laga....
waise to hume golden jubilee ke function me anchoring ke waqt jo-jo bolna tha, uska manual milne wala tha,lekin phhir bhi chhatrapal ne sabko saaf hidayat di thi ki practice ke dauran koyi bhi manual ko chhuyega tak nahi... humse itna hard work karane ke peechhe Chhatru ka ek logic tha taki launde function ke waqt kahi bhi na ruke....again a bakwas tricks used by chhatrapal
.
"kya main yaha baith sakti hoon..."
Aawaz mujhe pahchani si lagi aur main janta bhi tha ki is aawaz ka malik kaun hai ,lekin phhir bhi maine confirm karne ke liye upar ki taraf dekha...
"pura auditorium khali hai ,kahi bhi baith ja,kaun rok raha hai...lekin yaha mere paas nahi..."maine bina kuchh soche, bina koyi pal ganwaye Esha ko dekhte hee kah mara...
"lekin main to yahi baithungi....tumhe koyi dikkat ho to uthkar dusari jagah baith jana..."kahte hue wo thik mere bagal me baith gayi...
Esha ko apne thik bagal wali chair par baitha dekh main waha se utha aur do kursi chhodkar teesari par aa baitha aur aankhe band karke manual yaad karne laga.....
"kya kar rahe ho...hmm"
"main ye yaad kar raha tha ki maine kisko-kisko loan diya ab chup rahna warna mera muh khul jayega..."Esha ko kha jaane wali nazaro se dekhkar maine kaha aur phhir aankhe band kar li...
lekin Esha mujhe disturb karne se baaz nahi aayi ,wo beech-beech me mujhe kuchh na kuchh bolti hee rahti...lekin main phhir kisi sanyasi ki tarah apni tapasya me leen hee raha,maine dobara apni aankh nahi kholi....lekin is beech main apni aankhe band karke manual yaad karne ke bajaay Esha ke baare me soch raha tha...
"ye mujhse baat kyun karne lagi...badi ullu hai yar, jab ladayi hui hai to kuchh din to nibhana hee chahiye...ya to iski yaddasht chali gayi hai ya phhir shayad ise iski galti ka ahsaas ho gaya hai aur ye mujhse ab sorry bolne wali hai "
yahi sab sochate hue maine apni aankh kholi aur Esha ki taraf dekha..maine jaise hee Esha ki taraf dekha
tabhi mujhe ek jordar hichaki aayi kyunki Esha apni jagah se uthkar mere thik bagal me baithi hui chocolate kha rahi thi....uski is harqat par mera sar chakrane laga aur jitna mushkil use samajhna mere liye pahle tha ,wo mushkil ab aur bhi badh gayi thi....pata nahi Esha aisa kyun kar rahi thi..kahi Gautam se iska break up to nahi ho ?
kahi ye mujhpar fida to nahi ho gayi ?
Ya phhir ye R.Divya ka to koyi mind game nahi ?
"kal ke liye sorry Arman, wo main kal thoda upset thi,isliye itna sab kuchh bol gayi..lekin baad me mujhe realize hua ki galti meri thi...isliye tumhare liye ye chocolate layi hoon..."
"bachcha samajh ke rakhi hai kya mujhe jo main chocolate khaunga...mard hoon seedhe jung ke maidan me goli khaunga...bol jay hind..."kadak kar maine kaha,jiske baad Esha turant khadi hui aur ek kursi chhodkar baith gayi....
"as your wish..."jo chocolate wo mujhe dene wali thi, use khud ke muh ke andar dalte hue boli"Arman, waise sorry tumhe bhi bolna chahiye...kyunki tumne bhi mujhe bahut kuchh kaha tha..."
"main ladkiyo ko sorry bol dunga to ye duniya nahi palat "
.
Us din ki humari practice badi jordar hui ,Esha se phhir mel-jol badh jaane ke karan main ekdum josh me tha aur uska prabhav mere perfomance me dikha, yaha tak ki Chhatrapal jo kabhi kisi ko 'good...nice' se jyada nahi bolta, usne us din meri tarif ki....
jab humare practice ka time khatm hua to Chhatrapal ne mujhe dabi me lejakar kaha ki 'yadi main chahu to Esha ki jagah kisi dusari ladki ko select kar sakta hoon ,lekin ek shart par ki perfomance girni nahi chahiye....'
Chhatrapal ne to mujhe Aradhna ke sath tak group banane ko bol diya aur sath me ye bhi kaha ki yadi Aradhna mere sath rahi to Esha ko phhir bahar baithna padega...yadi yahi offer chhatru ne mujhe kal diya hota to yakinan main ise accept kar leta lekin aaj ki baat alag thi aur aaj ka din bhi mere liye bahut khas tha...isliye maine Chhatrapal ke naye plan par turant tala mara aur class ki taraf badha.....jab main class me pahucha to waha se teacher gayab tha, bole to har period ke beech milne wale 5 minute ke gap ko kisi dusare teacher ne gapp nahi kiya tha.....main apni jagah par jakar har din ki tarah chup-chap baith gaya aur saamne board par nazar dali aur board par jo likha tha use dekhkar jaise mujhe heart attack aa gaya....maine ek baar apni aankhe mali aur phhir board ki taraf dekha...board par writing to Sulabh ki thi
,lekin naam mera likha hua tha,...mere naam ke aage do shabd aur likhe hue the aur wo do shabd the 'happy birthday'

Esha ke us pyar bhare lekin khatarnaak bartaav ko dekh kar aise kuchh points mere dimag me aane lage the aur un points par main gahrayi se sochata usase pahle hee Esha ne meri taraf ek chocolate badhate hue kaha...