Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-48: A ~langar~ Football Match
Update-185 :

.
Mujhe itna to maloom tha ki main apne bure karmo ke chalte college me bahut famous hoon lekin main itna famous hoon ki is shahar ke sabse rahis gharo me mere baare me baat hoti hai ,ye main nahi janta tha.....Esha ke us jawab par maine yakin to nahi kiya tha,lekin andar hee andar khud par garv bhi kar raha tha....
Esha ki baat sunkar mera seena turant do inch chauda ho gaya aur dil kiya ki goggle lagakar koyi dialogue maru lekin phhir kuchh sochkar maine apna ye goggle laakar dialogue marne ka vichar chhod diya aur Esha se aage puchha....
.
"main itna jyada popular hoon ,jaankar khushi hui....waise mere baare me kya discuss karte ho tum log...."
"mere aur Gautam ke ghar me aisa koyi din nahi hota,jab tumhe bura-bhala na kaha gaya ho...tum yakin nahi karoge par sab log tumse be-inteha nafrat karte hai..."
"mujhe bhi kuchh aisi hee ummid  "
Us din Parking place me Esha ko apne shabdo ke jaal me phansa kar maine bahut kuchh jaan liya.jaise ki beech-beech me Esha ki mom Esha se puchhati hai ki 'wo lafanga sudhra ya ab bhi waisi maar-peet karta hai....'
Mujhe lekar Esha aur Gautam ke ghar me same situation rahti hai ,bole to mera name jehan me aate hee unke muh se mere liye galiya barasati hai....khair ye sab dil pe leni ki baat nahi hai aur na hee bura manne ki baat hai kyunki ye sab to human nature ki properties hai....
.
"wo sab to thik hai Esha, lekin kya tumhe nahi lagta ki aise hee kisi ke bhi samne apne ghar ki private baaten share karna galat hai...."
Jab main apni burayi sunkar pak gaya to maine Esha ko rokne ke liye kaha,kyunki wo non-stop mere dil par dande pe dande mare ja rahi thi.Mere tokne ke baad Esha ko jaise apni galti ka ahsaas hua aur usne apna hath apne hontho par rakh liya.....
"tumhare gharwalo ke mere prati uchch vicharo ki jaankari to mujhe ho gayi, lekin ab ye batao ki mere baare me tumhara kya sochna hai...matlab ki kya tum bhi apna dil kholkar meujhe bura-bhala kahti ho..."
"main nahi bataungi...ab main ek lafz bhi aage nahi bolungi..."


"bata de billi, warna main.....main...."
"warna kya...tum mujhe phhir se dhamki de rahe ho..." "chal thik hai jaa..."
"main kyun jaun, tum jao..." "are ja na..."
"pahle tum jao..."
"aisa kya, le phhir main nahi jata,bol kya karegi billi..." "phhir main bhi nahi jaungi, billu,bilav,billa...."
"khisak le idhar se ,ye main last warning de raha hoon....warna "
"warna kya...haaaann ,bolo warna kya...kya kar loge tum..."mujhe challenge karte hue Esha ek kadam aage badhi.....
"kamal hai yar,ise to mujhse dar hee nahi lagta..."Esha ke ek kadam aage badhne ke baad maine khud se kaha aur Esha ki'warna kya...' ka jawab sochane laga....
"Esha ,dekh ab to chup-chap yaha se jati hai ya main apni super power dikhau..." "jab tak tum nahi jaoge, tab tak main bhi nahi jaungi..."
"tu jaa yaha se nahi to main tujhe kiss kar lunga...phhir mat bolna ki maine aisa kyun kiya...."
.
Mere kiss karne wale jawab ka Esha ke andar jabardast reaction hua aur wo turant apni car me baithkar waha se chali gayi.....
"mujhse argument karti hai,ab aa gayi na line  "
.
Golden Jubilee ke function ke liye ab taiyariya joro se chal rahi thi.Singging,dancing etc. Jaise programme ki practice to college ke samay hee ho jati thi ,lekin sports wagerah ki practice college ke baad shuru hoti thi...har branch ki ek-ek team bana di gayi thi, jo ki ek tay kiye hue din me dusare branch se bhidne wali thi...in short kahe to college me is samay competitive mahol tha, jisme College ke lagbhag aadhe se adhik students jhulas rahe the....College ke us competitive mahol se mere khas dost Arun,Saurabh ki tarah sirf wo hee log bache the,jo Golden jubilee ke is golden mauke par kisi bhi field me active nahi the....
8th Sem. me aate tak mujhe aur hostel me rahne wale mere kuchh dosto ko shaam ke waqt koyi sa game khelne ki aadat lag chuki thi,jisase humari sharir me ek nayi energy ghus jati thi aur phhir raat ko hum log pel ke daru peete the....lekin aajkal hum jis bhi ground me shaam ke waqt energy lene jaate waha branch wise launde practice karte hue milte the,isliye ab humara ground humare hostel ka corridor bana....jaha hum log Cricket,football bade aaram se khelte the......
.
"main,Arman bhai ki team me rahunga..."Pandey ji ko jab Arun ne apni team me liya to Rajshri Pandey ekdum se chilla utha....
"mar MC, jaa chus le Arman ka..."Pandey ji ka collar pakad kar use Arun ne meri taraf dhakela aur bola"bhag lawde meri team se...."
"Saurabh darling meri taraf..."maine apni team ke agle khiladi ko select kiya...
"to phhir ye kallu kanghichor meri taraf..."Kallu ko hath dikhate hue Arun ne kaha"aa ja be kaliye..."
.
Maine aur Arun ne 4-4 laundo ki team banayi aur corridor me football khelne ke liye aa pahuche....is beech ek aur launda waha aaya aur usne bhi khelne ki ichchha prakat ki....
"jaa pahle apne liye koyi jodidar lekar aa...aise me to ek taraf 5 aur ek taraf 4 launde rahenge..."us ladke


se Arun ne kaha...
"sun be Arun...tu rakh le ise, tum jaise gandul 5 kya 50 bhi ho jaye tab bhi mujhe koyi fark nahi padta..." "main kyun rakhu, tu hee rakh le aur beta gandul kaun hai ye to match ke baad hee pata chalega,jab main tera hath-pair tod dunga..."
"thik hai phhir...aaja be,idhar khada ho ja..."us naye launde ko apni taraf aane ka ishara karte hue maine khud se kaha"ek baar phhir se Arun ko chodu bana diya  , i'm so smart...ab to 100 main jeet ke hee rahunga...."
Jab corridor me dono team tainat ho gayi to main sabse pahle Rajshri ke paas gaya aur bola.."tu jaa ke goalkeeping kar be lodu aur beta yadi ek baar bhi football is paar se us paar gayi to soch lena..." "Arman bhai..aap fikra mat karo...ek baar main Rajshree kha loon,uske baad to Koyi mayi ka laal mujhe hara nahi sakta..."
Pandey ji ko goalkeeper banane ke baad main Saurabh ke paas gaya aur bola"sun be, tu defence karna aur jo koyi bhi football lekar tere paas aaye, sale ka hath-pair tod dena....main forward khelunga..."
.
Waise to mujhe football khelna nahi aata tha lekin jaise humlog langar dance karte the,waise hee hum log langar football khel rahe the,jaha koyi rules nahi...bas football goal honi chahiye ,uske liye chahe koyi sa bhi tareeka apnaya jaye....jab main apni team ki taraf se forward khelne aaya to mujhe dekhkar Arun bhi forward khelne ke liye aage aa gaya....Kallu Kanghichor mujhe cover karne ke liye mere paas hee khada tha aur Arun mere thik samne mujhe galiya de raha tha.....
"three....two....one...start"
teen tak ki ginti samapt hone ke baad maine football ko apni pahli hee kick me Arun ke thobde ko nishana banana chaha, lekin football se mera pair hee touch nahi hua bole to Arun ke thobde ko bigadne ka maine ek sunahara avasar miss kar diya  aur kallu football lekar aage bada...
"Sauraaabh....aage mat jane dena, muh me laat marna is kaliye ke..." apna pura dam lagakar main cheekha...jiske baad kallu dar ke mare jaha tha ,usne football ko wahi chhoda aur wapas laut aaya.... "aise tumlog maar-peet karoge to main nahi  "kallu Arun ke paas jakar mujhse bola...


 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-186 :

.
"abey Arman, 100  ke liye tu itna neeche gir jayega...maine kabhi socha nahi tha, thoo hai tujhpar..." "abhi kal ke match me jab tu mere taraf tha ,tab to bahut bol raha tha ki maar us kaliye ko....isliye ab apni ye nautanki band kar aur game shuru kar...."maine kaha aur palat kar Saurabh ko aawaz diya "thaam le be football aur yadi ab kallu is area me aaya to uchakar uske muh me juta ghusa dena...."
.
Asliyat me main aur meri team aisa kuchh bhi nahi karne wali thi ,ye to sirf humara match jeetne ka plan tha,jo maine abhi-abhi banaya tha...jisase samne wali team ke launde humari taraf dar ke maare na aa sake....lekin match ke shuruati halat dekhkar mujhe andaza ho chala tha ki aaj to yaha world war III hone wala hai.
Kallu ko dara hua pakar Arun ne usase apni position change ki aur khel phhir se shuru hua....
main football lekar aage badha to defence karne ke liye kallu mere samne aa gaya aur maine football ko marne ke bahane uske pair me ek kick jad di jiske baad wo langdate hue saamne se hat gaya....Arun mere peechhe tha ,isliye main toofan ki tarah samne wali team ki dhajjiya udate hue aage badhta gaya lekin mere aakhiri shot ko unke goalkeeper ne rok liya....
.
"tujhe bola tha na be kaliye ki beech me mat aana, lekin tu mana nahi...ab chus..."peechhe apni team ki taraf jate hue maine kallu se kaha,jo apne pair sahla raha tha....
Arun ki team se Arun hee football ko idhar-udhar nachate hue humari taraf la raha tha . Arun ko pelne ka mera koyi plan nahi tha lekin dikkat ye bhi thi ki mujhe dhang se football khelna bhi nahi aata tha ki main use bina chot pahuchaye usase football chheen loon, isliye Arun ko pelne ke bahane se main aage badha aur seedhe jakar use apne dono hatho se pakad liya...
"Sauraaabh ,football chheen kar aage badh aur yadi kallu beech me aaya to juta utarkar seedhe muh me marna lawde ke..."cheekhte hue maine Saurabh ko aawaz di....
"ye to gaddari hai be, chhod mujhe...ye to niyam ke khilaf hai"Aankhe dikhate hue Arun bola... "achchha beta, aaj ye niyam ke khilaf ho gaya...kal tu jab meri team me tha,tab to tu hee aise formula use kar raha tha...."


"kal ki baat kuchh aur thi...aaj ye sab nahi chalega..."
"aise-kaise nahi chalega...papa ji ka raaz hai kya...chal khisak idhar se..."jab Saurabh ne goal kar diya to Arun ko chhodte hue maine kaha...
"ab dekh beta,Arman apun kya kahar dhata hai..."
Kahar dhane ki dhamki dekar Arun apni team ke paas gaya aur unse kuchh baate karne laga.hum log 1-0 se lead kar rahe the,jise dekhkar Arun ki gand fatne lagi aur usne kallu se jakar kaha ki yadi tujhe koyi mare to tu bhi use marna....
Arun ki team ne lagbhag 5 minute tak apni planning banayi ,jiske baad kallu ek baar phhir mere paas aakar khada ho gaya aur to aur unka goalkeeper bhi kick marne ke baad humari taraf badha....Arun ki team ka ye kadam ek tarah se hairatangez karnama tha aur jab tak main kuchh samajhta uske pahle hee kallu ne mujhe jor se pakad kar deewar se sata diya aur udhar Arun ne peechhe se Saurabh ki garden pakad li ,jisase Saurabh apni jagah se hil tak nahi paya....humare baki do players ko bhi aise hee pakad kar gira diya gaya aur Arun ke team ke goalkeeper ne apne goal post se football lakar humare goal post me daal di
.
"iski maa ka...ye to football ke niyam ki dhajjiya uda di be tumne...tumhara goalkeeper kaise itna andar aa sakta hai..."hairan-pareshan sa kuchh seconds ke liye main jaise coma me chala gaya tha...
"ab bol lawde Arman,kya bolta hai...tujhe lagta hai ki sirf tu hee eklauta aisa hai...jo plan bana sakta hai...ab to tu gaya kaam se..."
Arun ke in bhayankar vakyo ko sunkar mera khoon khaul utha aur maine apni team ke charo member ko apne paas bulaya aur unhe samjhaya ki hume kya karna hai...humare 5 minute ke break ke baad humare plan ke mutabiq pandey ji ne football ko pair se kick karne ke bajay hath me pakda aur tezi se samne wale pale ki taraf bhaga...ab humara ye football match football match na hokar RUGBY match ban gaya tha, jisme ball ko hath me lekar bhagna hota hai...Pandey ji ki is harqat se Arun aur uski puri team ke hosh udd gaye aur wo pandey ji ko rokne ke liye turant daud pade...lekin tabhich pandey ji ne ball meri taraf feka,jise maine bina der kiya lapak liya aur Arun ki team ke goalkepper ko hatho se ghaseet kar football ke sath goal kar diya
.
"Arun lund, ab bol...kaisa laga mera plan...ab tu gaya beta..."
"ab dekh main kya karta hoon..."bolkar Arun ne phhir se apni team ko apne paas bulaya aur 5 minute tak unse discuss karta raha....
.
Discussion ke baad jab game shuru hua to ab football ka game Handball ka game ban gaya. Arun aur uske team wale pandey ji ke Rugby game ki tarah football ko lekar daude nahi balki unhone door-door me khade apne team ke laundo ko football fek kar football pass kiya aur humare nikamme goalkeeper Sir Rajshree Pandey ji ki badaulat humne bhi dusara goal kha liya.....jiske baad Arun ne phhir mujhe hekadi dikhayi....
.
Mere aur Arun ki team ke beech khela gaya wo football match ,ek football match na hokar universal match ho gaya tha, jisme kabhi koyi football khelta ,to koyi Rugby khelta aur jiska dil karta wo humare us football match ko handball ka game bhi bana deta tha. Bole to ~langar~ football match...jisme koyi rules nahi ,bas football goal honi chahiye ,jiske liye chahe koyi sa bhi saam daam dand bhed apnana pade...
.
"abki baar goal hone ke baad jiske adhik point rahenge,wo match jeetega...kya bolta hai..."hafte hue


Arun ne mujhse kaha...
"thik hai...ye last goal..ab tak ka score barabar hai, isliye jo is baar goal dagega Match aur
100  uske..."maine bhi hafte hue kaha..."lekin uske pahle 5 minute ka break lete hai...kya bolta hai " "main bhi yahi soch raha tha..."
humara wo langar football match taqriban ek ghante tak chala ,jisme dono team ne hath-pair se 10-10 goal dage the....isliye 5 minute ke break ke baad jo bhi team goal karti wo ek point ki lead lekar winner rahti.
apne room me aakar maine pani ka bottle khola aur pura bottle khali kar diya....lekin tab bhi aadhi pyas baki thi...mere jaisa haal waha baithe Arun, Saurabh ,Pandey ji aur un sabhi ka tha jo match khel rahe the....Pandey ji itne thak gaye ki jor-jor se hafte hue zameen par audhe let gaye aur bole ki 'Arman bhai...ab mere me himmat nahi bachi hai...aap sambhal lo...'
'ek to gaya kaam se...Saurabh tere me kuchh dam baki hai ya tu bhi tel lene jayega..." "main khelunga...."
"chal phhir bahar aa, plan banate hai..."
Pandey ji ko wahi zameen me chhodkar main, Saurabh aur baki do ke sath bahar aaya aur plan banane laga....
aakhiri goal humari taraf hua tha, isliye football lekar humlog match start karne wale the...jab Arun ki team samne tainat ho gayi to maine Saurabh ko unke beech bheja aur apne team ke ek launde ke hath me football dekar Rugby wale game ki tarah bhagne ke liye kaha....us launde ne thik waisa hee kiya lekin half pitch par Arun ne meri team ke us launde ko pakad liya jiske turant baad plan ke mutabiq Saurabh, jo peechhe khada tha...usne Arun ki gardan ko thik waise hee daboch liya ,jaise ki Arun ne pahle Saurabh ki gardan ko dabocha tha....
Arun ki team ka goalkeeper abki baar apni hee jagah par khada raha lekin Arun ko Saurabh ke changul se chhudane ke liye kaliya aage aaya aur tabhich maine apna badla pura karne ke uddeshya se ghuma kar ek laat kaliye ko de mari aur kaliya seedhe deewar se ja bhida ,jiske baad deewar ne Sir Isaac Newton ke third law ka palan karte hue kaliye ko neeche zameen par gira diya....
"mujhse bhidta hai bose dk..ab ja ke ilaaz karwa lena..."kaliye ke sharir ko jagah-jagah se todne ke baad maine usase kaha....
Arun ko Saurabh ne phansa rakha tha aur kaliya neeche zameen par leta karah raha tha. Ab Arun ke team me sirf do log bache the aur wo dono goal post me jakar apna hath faila kar khade ho gaye.... "tum dono ko maloom nahi kya ki main basketball me mahir hoon...beta jab main us chhote se chhed me(ring) basketball ghusa deta hoon to phhir yaha mujhe goal karne se kaise rokoge be..."
Mera itna confidence dekhkar un ladko ka darr aur bhi badh gaya aur wo dono apne dono hath faila kar ek-dusare ke bagal me khade ho gaye....
humare hostel ka corridor jyada chauda nahi tha ,isliye jab wo dono apne hath faila kar khade ho gaye to pura ka pura goal post un dono ke body se thak gaya....isliye goal karne me mujhe ab badi dikkat ho rahi thi...lekin jyada der tak nahi...maine football ko apne hath me liya aur ghumakar un dono me se ek ke pet me de mara.....
"aaayyyyiiiii.....gand fat gayi be..."bolte hue wo ladka,jiske pet me maine abhi-abhi football tana tha,wo wahi apna pet pakad kar baith gaya...
ab jab ek ghayal ho chuka tha to mere liye goal karne ka kaam behad aasan ho gaya tha aur phhir maine bina samay ganwaye aakhiri goal daag diya....
.
"la de 100  "aakhiri goal karne ke baad main Arun ke paas gaya aur usase bet ke paise mange....


"le lena na baad me...kahi bhage ja raha hoon kya...."
"chal baad me de dena..."apne room ki taraf aate hue maine winner wali smile Arun ko di...lekin mere room me ghusne se pahle hee kaliya mujhe kuchh bolne laga...
"kya hua be, maine to tujhe pahle hee warn kiya tha ki mere raste me mat aana...lekin nahi,...teri hee gand me badi khujali thi..."
"lawde, mujhe kal apni bahan ko lekar hospital jaana tha...lekin ab nahi ja paunga...aaaaahhhhh" "abey to dard se karah raha hai ya chudayi kar raha hai...dard me bhi koyi aise karahta hai kya..aaaaahhhhh "
"baat mat palat Arman...tune ye sahi nahi kiya...."
"ab jyada nautanki mat kar be kallu..."Kaliye ko sahara dekar uthate hue maine kaha "waise teri bahan college me padhti hai,ye mujhe aaj hee pata chala...kaun hai wo..."
"first year me hai...name hai Aradhna Sharma..."
 
"Aradhna Sharma... kha maa kasam "jabardast tarike se chaukte hue maine Kallu se puchha....
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 02:29 AM



Users browsing this thread: 29 Guest(s)