27-03-2019, 02:25 AM
Chapter-47: Two Suspicion
Update-183 :
.
Auditorium me maine bhale hee chhatru ke samne lambi-lambi haank di thi lekin Recess ke baad main chhatru ko diye gaye apne hee challenge se ghabrane laga tha...aur jaise-jaise Chhatru ka period aa raha
tha, meri halat aur bhi khasta ho rahi thi...
Chhatrapal sir hume do subject padhate the ,pahla subject tha 'Value Education' ,jisme har hafte unki sirf ek class rahti thi aur dusara subject tha Engineering economic ,jisme wo hafte bhar me 5 baar apne darshan de dete the...ek to Chhatru khud boring tha ,upar se uske dono boring subject....unke period lene ke baad pure class ki halat aisi ho jati thi ,jaise ki sab abhi-abhi apne sharir ka aadha blood donate karke aaye ho....bole to thakan me ekdum doobe hue.
Engineering Economic ka aaj second last period tha aur main chah raha tha ki Chhatru apni class lene na aaye,warna wo mujhe topic dekar ,kal tak yaad karne ko kahega...
"aur uchak...Auditorium me to bade shaan se bol raha tha ki ,sir class me topic de dena...ab kya hua..."jaise hee EE ka period shuru hua, maine socha"ek kaam karta hoon, Sir ko class ke baad khopche me le jakar bol dunga ki sir, ye sab mere se nahi hoga...aap kisi aur ko dekh lo....lekin phhir to ghor bezzati hogi...kaha phans gaya yar..."
.
Aur phhir Us din Chhatru ke class me na aane ki meri request ko bhagwan ne accept kar liya ,kyunki Chhatru us din apni class lene nahi aaya....Chhatru ke class me na aane se use chahne wale jaha dukhi the,wahi kuchh log mere jaise bhi the ,jinhe atyant prassanta hui thi...lekin sabse jyada khush to main tha...
.
Ab jab Chhatrapal sir ji ne class bunk kiya to mera sara dar door hua aur main Esha par pure man se concentrate karne laga..tab mere saamne kal wale sawal phhir se paida ho gaye ,jinhe maine kal parking me Esha ke jaane ke baad socha tha....
.
"itna chup kyun hai be, kahi chaddi geeli to nahi kar di tune..."meri tapasya me rukavat dalte hue Arun ne khali class me mere itna chup rahne ka karan puchha....
"ab yadi ise kahunga ki bas aiwen hee...to ye lawda dimag chat jayega aur phhir mujhe chain se baithne nahi dega..."Arun ki taraf dekhte hue maine kaha"main soch raha tha ki 'Why is the Earth an ellipsoid'...isliye please chup "
.
Arun ko chup karakar main wapas apni tapasya me leen ho gaya aur Esha ki ajeeb harqato ka smaran karne laga....lekin mujhe koyi aisa dhang ka jawab nahi mila,jo mere andar uthe mere un do sawalo ka jawab deti ho....lekin maine haar nahi mani aur ek baar phhir se apni sadhna me leen ho gaya....
.
"abey itna mat soch...google me dekh le ki Earth ellipsoid kyun hai..." "thanks...ab chup rah..."
"yar tujhse ek baat kahni thi..." "sun raha hoon bol..."
"pahle meri taraf to dekh..."mera thobda pakad kar Arun ne apni taraf ghumaya aur bola"main aajkal kuchh jyada hee sperm donate kar raha hoon....koyi tareeka hai kya ,jisase main apni is donation me katauti kar saku..."
Arun ne jab mera thobda apni taraf ghumaya tabhich mera dil kiya ki ghuma ke ek hath use jad du aur uska thobda bigad doon...lekin phhir maine khud par control kiya aur uspar bhadakte hue bola...
"ise rokne ka sirf ek hee tareeka hai, tu apna lund kaat de...aur mujhe ab disturb mat karna ,warna ye kaam main khud kar dunga..."
.
Arun iske baad kuchh nahi bola ,yaha tak ki usne mujhe phhir mudkar dekha bhi nahi...jiska fayda mujhe ye hua ki main bade itminaan se apna jawab dhoondane me laga raha...lekin mujhe door-door tak jawab nahi mila....tab maine socha ki aaj phhir Parking me Esha se milte hai, jisme Divya ka ,Esha ke sath na hona...condition apply hoga....
kal ki tarah maine aaj bhi College ke off hote hee Saurabh ko pataya taki wo kuchh bahana maarkar Arun ko apne sath le ja sake aur aaj mera bahana bana 'Chhatru ke sath important talking '
Arun aur Saurabh to kal ki tarah hostel chale gaye lekin R.Divya kal ki tarah aaj pahle nahi nikli....aaj dono sath me hee apne ghar ke liye ravana hue,jisase college ke baad Esha se parking me baat karne ke mere plan ne wahi dam tod diya....
" maa di ladali Divya ,lawdi jab dekho tab beech me apni gand fasati rahti hai...randi ,chhinar kahi ki...ye mar kyun nahi jati, MC...ek din in dono bhai bahno ka Qutl mere hatho jaroor hoga..."Divya ke tareefo ke pul badhte hue main hostel chala gaya....
.
Anchoring me participate karne ka ek bada fayda mujhe hua tha,wo ye ki ab raat ko main limit me daru peene laga tha, taki subah main nashe me sota na rahu...kyunki Anchoring ki practice har din first period ke time hee hoti thi...
har din Auditorium me chhatru ,hume Abraham Lincoln ke jeewan ke wahi panne roj pakda deta aur stage par ek-ek karke sabse bulwata tha...jab kayi din tak aise hee beet gaye to mujhe Chhatru ke anchoring ke is method se nafrat hone lagi, lekin main chhatru ko kabhi kuchh bol nahi paya...main stage par jata zaroor tha lekin Chhatrapal ke prati ek khunnas me sab kuchh bolta tha....Yadi Chhatrapal ko mujhe neecha dikhane ka koyi ek mauka milta to wo us ek mauke ko do mauko me tabdil karke mujhpar war karta aur main....mujhe to jante hee hoge ,main bhi uspar apne dialogues ki firing karta tha...
.
Pichhale kuchh dino se Aradhna bhi Auditorium me practice karne ke liye aane lagi thi...wo is college me aur hum sabke ke beech nayi thi...isliye wo shuru me thoda-thoda ghabrati thi lekin phhir baad me usne apne andar bahut had tak sudhar la liya tha....Auditorium me mere aur Aradhna ke beech bahut baatein hoti, wo dheere-dheere mujhse khulti ja rahi thi aur beech-beech me jab uska mujhe chidhane ka man hota to mujhe 'Arman Sir' kahkar bulati...
.
Jaha kal ki aayi laundi ,Aradhna mujhse dheere-dheere khul rahi thi,wahi Esha ab bhi mujhse baat karne me katrati thi...wo mujhse jab bhi baat karti to uske andar ek ghabrahat hamesha rahti thi....
waise to main pichhale hafte hee Esha se baat karne ki soch raha tha ,lekin abhi tak ain waqt aane par talne ke karan abhi tak Esha se baat nahi kar paya tha, isliye maine socha ki aaj Esha se apne un do sawalo ka jawab maang hee loon....
Mera pahla sawal ye tha ki 'Esha ne mera no. apne mobile par kyun save karke rakha hua hai...' aur dusara sawal ye ki ' Esha ki mami ki ladki ko mere baare me pata kaise chala'
Update-184 :
.
Waise mere ye dono sawal jyada ahmiyat to nahi rakhte the lekin inhi do sawalo ke karan mujhe ek aas dikhayi de rahi thi ki Shayad... Esha ke left side me main bhi hoon. mere ye dono suspect bhale hee mere ummid ke mutabiq mujhe parinam na de lekin mujhe koshish to karni hee thi kyunki mera personally aisa manna hai ki zindagi ke safar me success wahi hota hai ,jo ghane andhere me bhi ek chingari ki buniyaad par us andhere ko door kar de, na ki wo jo us bhayankar andhere se darkar laut jaye...
.
Auditorium me main aaj 10 minute pahle hee pahucha.us waqt waha Chhatrapal Sir ko chhodkar sabhi aa chuke the yani ki 10 minute pahle aane par bhi main har din ki tarah aaj bhi late tha....
"hi...good morning."Esha ke side wali seat par baithkar maine kaha... "hii..."
"tum log yaha itna pahle aakar kya karte ho...kahi aisa to nahi ki tumlog raat ko ghar jaate hee nahi..." "tumhara kya matlab ki main raat ko yaha ruki thi..."mujhse bahas karne ke mood me Esha boli... "kuchh nahi yar, mazak kar raha tha..."bahas shuru hoti ,usase pahle hee bahas ko khatm karte hue maine kaha...
"mujhe mazak bilkul bhi pasand nahi..."
"mujhe bhi mazak nahi pasand...waise mera ek sawal hai..." agal-bagal dekhte hue pahle maine ye confirm kiya ki humari baat koyi sun to nahi raha aur jab ye confirm ho gaya to maine dheere se kaha..."tumhare mobile me mera number kyun hai.."
"tumhara number kyun hai ka kya matlab "apni aankhe badi-badi karte hue Esha ne ulta mujhse hee sawal kiya....
"darasal main ye puchhana chahta hoon ki...hum dono ke beech ek samay kafi ghamasan takrar hui thi aur ek ladki ko jaha tak main janta hoon uske according tumhare paas mera number nahi hona chahiye..."
"tumhara no. mere mobile me us ghamasan ladayi ke pahle se hee save tha...aur mujhe yaad bhi nahi raha ki tumhara no. mere mobile me save hai,wo to us din Devika ne na jaane kaha se tumhe call kar diya...that's all "
"ye Devika kaun ? "
"Devika meri mami ki ladki hai ,jisne tumhe call karke dhamki di thi...."
"aisa kya....khamkha main kuchh aur samajh baitha tha , lekin phhir yaha ek aur sawal paida hota hai
ki tumne mera no. pahle kyun save kiya tha...matlab ki jab main apne mobile par kisi ka no. save karta hoon to kuchh sochkar hee karta hoon...tumne kya socha tha "Esha ko lapete me lete hue maine usi ke jawab me usi ko phansa diya...khud ko bahut hoshiyar samajh reli thi
"tumhara maine kyun save kiya ."Stage ki taraf Esha dekhkar sochane lagi...aur main idhar apni chalaki par khud ko shabashi de raha tha....
"mujhe yaad nahi..."
"ye to koyi jawab nahi hua..."
"ab mujhe yaad nahi to kya karu...waise bhi tum kitni purani baat puchh rahe ho aur main bhool gayi ki maine tumhara number kyun apne mobile me save kiya tha..."
.
bol le jhooth, billi....mere pahle suspect ko charo taraf se dharashayi karne ke baad main Esha par apne dusare sawal ka prahar karta ,usase pahle maine Esha se kaha"ek aur sawal hai mera...dil pe to nahi logi.."
"yadi tumhara dusara sawal bhi pahle wale ki tarah wahiyat raha to behtar hee rahega ki mat puchho...kyunki main ab koyi jawab nahi dene wali..."
"thik hai....main ab ye puchhna chahta hoon ki tumhari mami ki ladki Devika ko mere baare me kaise pata chala,jiske baad usne mujhe call kiya..."
"maine pahle hee kaha tha ki usne shararat karne ke liye mera mobile uthaya aur achanak hee tumhare no. par call kar diya..."
"Devika ki age kya hogi..." "kyaaaa...."
"age...matlab umra, devika ki umra kitni hogi..." "20 , lekin tum ye kyun puchh rahe ho.."
"wo baad me bataunga...pahle ye batao ki kya wo psycho hai ya phhir thodi si satki hui hai...."
"wo meri cousin hai ,jara dhang se uske baare me baat karo...ye satki hui ka kya matlab hota hai..." "sorry...par tumhe ajeeb nahi lagta ki ek 20 saal ki padhi-likhi ladki ,jise koyi dimagi beemari nahi hai...wo tumhare mobile se aise hee kisi ka no. dial kar deti hai aur phhir baad me tumhe apni us kartoot ki jaankari bhi de deti hai...ye baat kahi se hazam nahi hoti Esha...sach batao..."
"mujhse ab baat mat karna...."waha se uthkar Esha jate hue boli...
"jiska dar tha, wahi hua....ye to bura maan gayi..."waha par chup-chap baithkar main Esha ko waha se jate hue dekhta raha.
mere pahle sawal ka jo jawab Esha ne diya tha, mujhe uske us jawab par bhi shaq tha...lekin ab to wo baat karne ko bhi taiyar nahi thi. Lekin aaj main thaan ke hee aaya tha ki apne ye dono sandeh door karke hee rahunga, isliye main apni jagah se uthkar Esha ke daye taraf phhir se baith gaya....
"tu to bhadak gayi,isiliye main tujhe billi kahta hoon...aur sun jyada gussa hone ki jaroorat nahi hai,warna abhich apun pure college me ye baat faila dega ki tune mujhe subah call karke black mail kiya...black mail matlab mai apni taraf se koyi bhi kahani jod dunga aur tu to janti hee hai ki main kahani banane me kitna mahir hoon...isliye Esha ji aapse namra nivedan hai ki aap mujhe mere dusare prashn ka spasht uttar de...."
"tum mujhe dhamki dene ki koshish kar rahe ho...."apni aawaz tez karte hue Esha boli...
"main dhamki dene ki koshish nahi kar raha...main to dhamki de raha hoon aur aawaz thoda neeche rakho, warna shuruat yahi se ho jayegi..."
.
Auditorium me baithe sabhi students jab humari taraf hee dekhne lage to Esha ka mujhpar ufan marta hua gussa thoda thanda hua aur wo apne daant chabate hue dheere se boli....
"college khatm hone ke baad parking me milna ,abhi Chhatrapal sir auditorium me aa gaye hai, samjhe...."
"is chhatru ki to...."main peechhe palta to dekha ki Chhatru apni kalayi me bandhi ghadi me time dekhte hue samne stage ki taraf aa raha tha....
.
Chhatrapal ji har din ki tarah aaj bhi samne khade ho gaye aur sabse wahi karwaya ,jo pichhale ek hafte se ho raha tha...pahle-pahal to maine Chhatrapal ke dwara ek page pakda kar mic me bulwane ki technique par maine kuchh khas gaur nahi kiya...lekin baad me maine dhyan dena shuru kiya aur jo baat mujhe pata chali wo ye ki Chhatru humari practice ke pahle din se hee selection karne laga tha....
Chhatrapal sir speech ke dauran ekdum samne wali row par baith jate aur samne wali ki tone ,bolne ki style aur interest par gaur karte the. Sabhi students practice ke pahle din se hee us din ka intezaar kar rahe the ki kab Chhatrapal sir unme se 6 ko select kare aur 2-2 ki team bana kar 3 group banaye aur wo apni final practice shuru kar sake....lekin jaisa mera manna tha uske anusar wo 6 log to aaj se 2-3 pahle hee select ho chuke the.....jiski jaankari sirf aur sirf chhatru ko thi....
.
Iski bhanak mujhe tab lagi jab Chhatrapal sir daily humse Abraham Lincoln ki jeewani hume stage me bulakar padhwate the .kyunki na to Lincoln ji ke upar hume koyi essay likhna tha aur na hee golden jubilee ke mauke par Lincoln ji ka koyi topic tha....actually Chhatrapal in 7 dino me ye observe kar raha tha ki kis students ka interest kitna hai aur yadi meri soch sahi hai to wo unhi students ko select karega jinhone pure hafte full interest ke sath apni speech di ho....
Main Chhatrapal ke is trick ko bhaanp gaya tha ya phhir dusare shabdo me kahu to aisi hee same to same trick mere college me bhi mere teacher apply karte the aur yadi teesare shabdo me kahu to ' Anchoring karne ka ye mahafamous tareeka hai' jo har us bande ko maloom hoga ,jisne google me thodi si mehnat ki hogi.....
.
Aradhna ko count karke ab total 12 students ho gaye the,jinme se 6 ko select karna tha aur 6 ko Auditorium se bahar ka rasta dikhana tha...kuchh ladke jo khud ko oversmart dikhate the wo pichhale ek-do dino se Lincoln ji ke baare me bolte waqt jamhayi le lete the to kabhi-kabhi apna hath-pair khujlane lagte the. Un Over-smart ladko me kuchh ladke aise bhi the,jo ek-do teen se Chhatrapal sir se ye puchhane lage the ki ,wo unhe 2-2 ke group me divide kyun nahi karte....matlab saaf tha ki in sabko Chhatrapal buttkick karne wala tha.
Jis din maine Esha se sawal puchha us din bhi taqriban 4-5 students ne Lincoln ji ke baare me wahi purani speech dene me aana kani ki...kuchh ne to boring tak ka darja de dala...lekin unme kuchh aise bhi students the jo Chhatrapal ke die-hard fan the aur unhone Auditorium me kabhi apna muh nahi khola aur unme main bhi shamil tha....
.
Us din last period me mere mobile me Esha ne ek messege tapkaya ki wo chhutti ke baad parking me mera intezaar karegi...Esha ke is messege ke turant baad main ye samajh gaya ki mujhe pichhale kayi din ki tarah aaj bhi Arun ko chodu banakar ,Saurabh ke sath bhejna hai....
"Arun, tere mobile me messege pack hai kya..."
"ye messege tum jaise geedad karte hai, bhai sher hai isliye direct call karta hai...."
.
Arun se naa me jawab milne ke baad maine apne hee mobile se Esha ko messege send karne ka socha aur likha ki 'Divya ko apne sath mat rakhna,warna main wapas laut jaunga...'
College khatm hone baad main parking ki taraf badha ,jaha Esha apni car ke bahar khade hokar mujhe idhar-udhar dhoondh rahi thi aur Divya ja chuki thi....
.
"hello..."ek pyari si smile marte hue maine kaha"to bina samay ganwaye seedhe point par aa jao..."
"ek minute....mujhe sochne do....haan, yaad aa gaya. You Know Arman ,you are a hot topic of discussion in our college as well as in our home....."
"meri english utni buri bhi nahi hai lekin kasam se kuchh bhi samajh nahi aaya...."
"tum mere ghar me aur Gautam ke ghar me discuss karne ka ek hot topic ho...aur jis din devika ne tumhe call kiya uske ek din pahle hee main tumhare baare me usase baat kar rahi thi...is tarah se wo tumhare baare me jaan gayi..."
"sach...."main bas itna kah paya kyunki jo baat Esha ne mujhe batayi thi ,wo mere liye bilkul nayi thi.isliye uspar yakin karna mushkil ho raha tha.