27-03-2019, 02:23 AM
Chapter-46:Warfare Comes to End~the beginning of Love
Update-177 :
.
Main unke hee table par unhi me se ek ko neeche zameen par gira kar baitha...us gire hue launde ko milakar wo paanch the aur ab canteen me mauzood sabhi log unki baat par hasne ki bajay unpar hans rahe the....jis ladke ko maine neeche giraya tha wo gusse se ubalte hue mere bagal me hee khada ho gaya....baki bache char launde apne krodh ko dabaye hue chup-chap baithe the....
Maine unlogo ko mujhe andar hee andar galiya dete hue socha ki salo ko pelkar seedhe waha se bhaga doon lekin phhir khayal aaya ki apne hee college ke launde hai isliye is baar jane deta hoon...
.
"tum logo ke group me sirf paanch hee hai ya koyi aur bhi pahalwan hai..."paancho ki taraf dekhte hue maine kaha"ek final year ka hai,ek third year ka hai...do launde second year ke lag rahe hai...aur is lullu ko pahli baar dekh raha hoon...tu first year se hai kya be..."
"h...haan...""ye tere samne plate me jo samosa aur chatni rakha hai wo jootha hai kya..." "nahi..."pahle ki tarah is baar bhi us first year wale ne ek word me hee jawab diya....
"to ek kaam kar beta, chup chap nikal aur phhir kabhi canteen me dikha to tujhe samosa aur chatni banakar pure canteen me batunga...ab chal bhag yaha se.."
Mere kahne ke bawjood bhi wo first year wala launda wahi baitha raha aur apne gang ke baki members ki taraf is aas se dekhne laga ki uske seniors mujhe kuchh jawab denge.....
"koyi baat nahi...aaram se baithkar aapas me salah mashvara kar lo ki aage kya karna hai...tab tak main samosa khata hoon...aur ekdum relax hokar sochana ,kyunki samosa dakarne ke baad main relax nahi hone dunga...."bolte hue maine samne table par rakhi plate uthakar apne samne rakh li.....
.
Canteen me eka ek jabarjast shanti chha gayi aur sabki nazar humare taraf aa tiki...jiske karan yadi wo ladke chup chap uthkar waha se jate to unki ghor bejjati hoti...isliye unhone bhi apna thoda dam dikhana shuru kar diya....unme se final year me jo tha usne mujhse kaha ki main baat ko aage na badhau aur chup chap waha se chala jaun.....
.
Main is dauran kuchh nahi bola aur nasta karne ke baad apna muh saaf kiya aur first year ka ek ladka jo unme mauzood tha use ghuma ke ek hath mara....
"chal beta ab nikal...abhi tu first year me hai aur abhi se itne tevar...chup chap kat le idhar se warna agli baar seedhe gyroscope sar par de marunga...."
Apni ijjat sabke samne neelaam karwakar first year ka wo launda utha aur waha se chalte bana....uske baad maine apna goggle utarkar table par rakh diya aur bola...
"maine use warn kiya tha lekin usne socha ki tum akhand chutiye uski koyi help kar sakoge.khair koyi baat nahi,hota hai aisa...waise kisi mahan aadmi ne kaha hai ki Suaro se ladne ke bajay unhe seedhe maar dena chahiye kyunki yadi aap unse ladoge to isme use maja bhi aayega aur aap badnaam bhi honge.....lekin main thoda aur mahan hoon isliye tum suaro ko ek aur mauka deta hoon ,chup chap yaha se nikal jao aur college me shanti ka vatavaran banaye rakho warna aaj ke baad jis din bhi tum me se koyi apni aukat se bahar aaya to usi din tum log college se ghar nahi balki humare world famous khooni ground par jaoge....aage tum logo ki marzi ,kyunki agle 5 minute me hostel se 100 launde yaha aane wale hai...."
.
Iske baad unme se koyi kuchh nahi bola aur apne jabdo ke beech friction late hue waha se chale gaye....un logo ke jaane ke baad main wapas usi table par baitha aur jis ladki ke glass me un laundo se jootha pani dala tha use apne paas bulaya....
wo ladki first year ki hee thi aur jab maine use apne paas bulaya to uske andar dar aur jhijhak ka adhbhut combination tha....dikhne me to wo koyi average ladki thi ,lekin uske andar ki darr aur jhijhak ne mujhe smile karne par mazboor kar diya....
.
"chal baith aur apna intro de..."us ladki ko baithne ka ishara karte hue maine kaha... "tha...tha...thanks ,Sir...."baithne ke baad wo boli...
"ye Shahrukh wali style mujhe chidhane ke liye kar rahi hai ya Shahrukh ki fan hai..." "wo...wo to bas..bas thoda...thoda..."
"rahne de ek saal nikal jayega tere bolte-bolte tak...apna intro de..."
"Intro...ok...Sir,myself Aradhna Sharma, son of Mr. Krishnabihari Sharma aaannnd i am from Sagar,M.P. aaannnnd...."
"Aradhna Sharma..."use beech me hee maine roka aur kaha"dobara yadi kabhi koyi pareshan kare to is ummid me mat rahna ki Arman sir,tumhe wapas bachane aayenge...good luck aur ye to sirf shuruat hai..."
.
Miss. Aradhna Sharma par apna raub jhadkar main waha se utha aur canteen se bahar jaane laga ki tabhi maine dekha ki Esha aur Divya ek table par apni kuchh friends ke sath baithi hui hai...isliye maine apne collar upar kiye aur canteen wale ko hath dikhakar jara tez aawaz me bola...
"koyi aur problem ,chhotu...yadi hogi to mujhe mail kar dena main dekh lunga...."
.
Canteen se bahar aate hee meri takkar Kallu kanghi chor se hui...
"sala apni to kismat hee kharab hai...jaha baki launde ladkiyo se takrate hai,waha main takraya bhi to us kallu se. Apni to kismat me hee jaise grahan laga hua hai..."
Maine kallu ko do teen galiya baki aur waha se class ki taraf badha....
.
ab mujhe full aazadi mil gayi thi aur apna naya warden bhi apne hee kism ka tha ,isliye humara room har raat beer bar ban jata tha,jaha se sharab aur beer ki nadiya..,cigarette ke dhue ke sath bahti thi....jisme pura hostel dubki lagata tha...us raat beer aur sharab ki nadi me dubki marne ke chakkar me main ye bhool baitha ki mujhe raat ko 11 baje railway station Vibha mam se milne jana hai...iski sudh mujhe tab hui jab raat ko 12 baje Vibha mam ne mujhe khud phone kiya....ab jab main daru peekar tun tha to mere muh se ant-shant nikalna to jaroori hee tha...lekin phhir bhi maine Vibha ki call recieve ki....
"main janti thi ki tum nahi aaoge..."
"i love you, janeman...tu kah de to abhich tere vaste apna private plane lekar aa jaun...bol ,kya bolti hai...aaun..."
"fuck you..."
"mera bhi kuchh yahi irada hai...double fuck you...ab phone rakh, next peg lene ka time ho rela hai...sali baboochad kahi ki,"
Us call ke dauran mere aur Vibha ke beech jo baat-chit hui,wo humari aakhiri baat-chit thi...uske baad Vibha Rajasthan gayi aur maine jab bhi uska number try kiya to uska number har baar switched off hee aaya...
.
uske dusare din subah-subah mujhe ek aur call aaya ,jisne mere raato ki neend nahi,balki din ki neend haram kar di....
"suno mister...yadi is number par dobara call kiya to one zero zero dial karke tumhare khilaf F.I.R. Karwa dungi..."mere call uthate hee dusari taraf se kisi ladki ne mere sar par danda mara....
Update-178 :
.
"F.I.R. , ye kya lafda hai yar..."kaan se mobile hatakar maine apne aankho ke samne kiya , number new tha...
"dekhiye kahi aapko koyi galatfahmi to nahi ho rahi...kyunki maine to kisi ko call nahi kiya..." "mujhe kya andha samajh rakha hai...kal raat se lekar abhi tak me duso call aa chuke hai tumhare
number se....aur har baar tumne rubish language ka istemaal kiya hai..."dusari taraf wali ladki mujhpar aur bhadakte hue barsi....
"ek minute....main jara check karke batata hoon..."bolte hue maine apne mobile ki call history check ki,jiske anusar mere mobile se last call kal ka tha ,jab maine apne ghar par baat ki thi....maine wapas mobile ko apne kaan me lagaya aur ekdum pyar se bola"dekhiye ,mere mobile ke call history me to aapka number nahi hai...jaroor aapko galatfahmi hui hogi..."
"are maine kaha na...ki is number se dus call kal raat mere number par aaye the...main to F.I.R. Karwane ja rahi hoon...."
"ek...ek minute...rukiye to jara..."F.I.R. ka name sunkar meri puri tarah fat padi....
kyunki aisa hee ek case mere ek dost ke sath hua tha..hua kuchh ye tha ki ek baar wo apne kisi dost ka mobile number save kar raha tha to galti se apne dost ke mobile number ke kuchh digit usase galat type ho gaye aur finally jo number save hua wo uske dost ka na hokar kisi unknown ladki ka tha....ab baat yaha se shuru hui. Mera wo dost ,apne mobile par saved us number par adult messeges bheja karta tha,ye sochkar ki ye messege uske dost ke paas ja rahe hai...wo bhi din me taqriban 10-12 messeges..aur phhir ek din use security officer station se phone aaya,jisme use security officer walo ne dhamki di ki wo security officer station me aaye warna uske khilaf F.I.R. darj kar di jayegi....ab mere us dost ki charo taraf se fati ,jaise abhi meri fati
padi thi aur mera wo dost jaha rahta tha,waha se 200 kilometer door ,dusare shahar ke us security officer station me gaya...jaha uske khilaf complain hui thi. Jab mera dost waha pahucha to security officer walo ne us ladki ko bhi bulaya ,jiske number par mere masoom se dost ne adult messege bheje the....aur phhir baad me ye khulasa hua ki mere dost ne number save karte waqt kuchh digit ko type karne me galti kar di thi....usne ye baat security officer ko batayi lekin security officer nahi mani aur mere us dost ko khamkha 10,000 ka jurmana bharna pada....
.
aur ab yahi dar mujhe bhi sata raha tha ki kahi yahi sab mere sath na ho jaye,warna khamkha mujhe bhi fine bharni padegi..lekin jab maine call kiya hee nahi kisi ko to phhir ye laundiya mujhpar kyun bhadak rahi hai....kahi kal daru ke nashe me Arun logo ne to ye bakloli nahi ki aur phhir mujhe pata na chale isliye number mita diya hoga.....ya phhir ye laundiya mujhe chodu to nahi bana rahi...
.
"hello...to main kya karu..."wo ladki phhir mujhpar cheekhi...
"do minute aap,hold kar sakti hai kya...main apne dost se puchh leta hoon ki kahi usne to call nahi kiya...please..."
"okay...okay, "
"thanks..."
bolkar maine customer care ko call kiya aur apne last three calls ki details mangi aur jo baat mere samne aayi ,wo ye ki mere number se last call kal ka tha...yani ye laundiya jo bahut der se f.i.r. -f.i.r. Kar rahi thi...usne ya to galti se mera number dial kar diya tha,ya phhir mere maje le rahi thi...iski maa ka
.
"oh ,hello...janeman..." "ye kya badsaluki hai..."
"dekho babes....aawaz neeche karke baat kar,warna main tere khilaf F.I.R. darj karwa dunga ki tu subah- subah ek rahis, sharif aur bhavi engineer ko call karke dhamka rahi hai...."
"ye to ulti hee baat hui ki...pahle khud raat bhar call karke rubish language me baat karo aur phhir subah ulta dhamkiya do..."
"maine tujhe call kiya ? Abey main apne baap ko call nahi karta to phhir tujhe kya khakh call karunga...chal phone rakh de,warna aise bajaunga ki zindagi bhar bajti rahegi...."apna gala phhadte hue maine call disconnect kiya aur mobile door patak diya....
.
"kya hua ,Arman bhai....ye subah-subah kise baja rahe ho..."mere kano me Rajshri Pandey ki aawaz padi....
maine room me charo taraf dekha ,lekin pandey ji kahi dikhayi nahi diye,
"ye kahi mere kaan to nahi baj rahe...mujhe abhi aisa laga ki Rajshri ne mujhse baat ki..." "are itthe dekho,Arman bhai...itthe..."
"lawda phhir mera kaan baja...."
"are kaan nahi baj raha, main bistar ke neeche pada hoon..."Pandey ji ne ek baar phhir mujhe aawaz lagayi...
"tu sale, Pandey...yaha mere bed ke neeche kya kar raha hai...nikal bahar, bose dk...."
bolne ke sath hee maine pandey ji ka pair pakda aur ghaseet kar bistar ke neeche se bahar kiya...
mera pura room bikhra pada tha , mere room ki halat aise thi ,jaise kal raat yaha chori ho gayi ho...aur to aur is waqt Arun ,Saurabh ka bhi kahi ata-pata nahi tha....
Rajshri Pandey ko bed ke neeche se ghaseet kar bahar nikalne ke baad main wahi uske paas baith gaya
aur usase Arun aur Saurabh ke baare me puchha....
.
"jab aap so gaye the tab wo dono maal chodne gaye the...lagta hai wapas nahi aaye...aur sunao kya haal hai..."
"ekdum ghatiya haal hai aur ye bata ye rubish language ka matlab kya hota hai..."
"agar itna hee pata hota to main aaj yaha nahi balki MIT ya Oxford university me hota...aap bhi na Arman bhai,kamal karte ho..."
"chal thik hai aur yaha se jaane ke pahle pura room saaf karke jana warna bahut chodunga..."
.
waha se uthkar main nahane pahucha aur nal kholkar apna sar thande pani ke neeche kiya, jiske karan mera sar kuchh halka hua....
"ye laundi kaun thi,iski maa ka...sali ne to ek pal ke liye dara hee diya tha....yadi mere college ki hoti to chut fadkar pura college uske andar ghusa deta...sali MC BKL"
Daru ka asar college jate waqt bhi tha...college jate waqt mera thobda aise murjhaya hua tha jaise abhi kuchh der pahle kisi ne mujhe pakad kar do char hath jama diye ho...
"aaj se daru band..."ek sau ekkisawi baar jhooth bolte hue maine khud se kaha aur class ke andar ghusa...
ab jab din ki shuruat hee itni confusion bhari rahi ho to baki ka din kaise achchha jane wala tha...upar se humare mechanical department ki ladkiyo ki shakal dekhkar to nobel puraskar jeetne wale bande ka bhi khushi se jhoom utha hua mood kharab ho jaye...sali ek to akhand kali upar se kisi khoon peene wale jaanwar ki tarah daant aur jab wo mujhe dekhkar muskurati thi to dil karta ki apna sar apni desk par de
patku ki kyun maine uski taraf dekha..kyun
.
shuru ke do period maine shant gujare aur teesare period me mere dosto ki entry hone ke baad main kuchh relax hua....
.
"kyun be Arun, mujhe Rajshri pandey ne bataya ki tum log kal raat randi chodne gaye the ,sale kutto..."chalti hui class ke beech me maine khis-pish ki....
"to isme kya bura kiya...lekin sali koyi chodne ko mili nahi..." "kyun...sab sudhar gayi kya.."
"sudhari nahi...MC ,sab din bhar chut marwa-marwa ke thak kar so gayi thi aur jab raat ke 1 baje hum dono ne unka darwaja khatkataya to saliyo ne maa-bahan ki galiya dete hue hume waha se bhaga diya..."
"isiliye....isiliye main randi chodne nahi jata hoon...salo kuchh to level rakho apna..." "kahe ka level be....seedhe-seedhe bol na ki tera lund khada nahi hota hai..."
"no babes...aisa nahi hai, mera lund jab khada hota hai to jitna bada tu hai,utna bada hota hai...lekin wo kya hai na ki ' i don't like that choot which connect with my lund due to money'...."
"rahne de...sab maloom hai mujhe, tabhi deepika randi ne achchhe se chusaya tha third semester me...muh mat khulwa mera,warna..."
.
"tum dono khud bahar jaoge ya main dhakke maar kar bahar nikalu..."humare power plant engg. subject Ke professor ne hume dekh kar bade hee shaleenta se kaha...jaise wo hume bahar jane ke liye nahi balki kisi baat par hume shabashi de rahe ho.....khair hum dono waha se bahar aaye aur 5th, 6th aur 7th semester ke baad ye pahla mauka tha,jab mujhe class se nikal diya gaya tha.....
.
Professor ne hum dono ko class se bahar nikal feka aur sath me ye bhi kaha ki hum dono yahi class ke bahar hee khade rahe...phhir kya tha,hum dono puri period bhar class ke samne khade rahe...is beech jo bhi waha se gujarta usase hum dono hi..hello kahte aur uske puchhane par ki hum dono yaha bahar kyun khade hai,class ke andar kyun nahi jate to humara jawab hota ki hum dono class aane me late ho gaye the, isliye next class se andar
jayenge...
Class khatam hone ke baad wo professor bahar nikla aur hum dono se bola ki recess me puri class ko
lekar auditorium me hum log aa jaye, Principal Sir ko kuchh kahna hai..... "kya kahna hai Sir, Principal sir ko..."Arun ne professor se puchha...
"jitna bola hoon utna karo...jyada chapad-chapad jubaan mat chalao,warna jeebh kaat lunga...time se pahuch jana..."
"teri *** ki choot, teri *** ka bhosda...teri *** ka lund..."silent mode me apni aadat anusar Arun ne apna muh chalaya aur class ke andar dakhil hua.....
.
Recess ke waqt jaisa ki Power Plant wale sir ne kaha tha uska palan karte hue hum sab auditorium pahuche aur jaise hee auditorium me pahuche to...waha college ke sabhi branch ke final year wale students mauzood the....bole to full mahol.
"branch wise baithne ki koyi jaroorat nahi hai...sab log jaha chahe,waha baith sakte hai...."stage par khada hua ek aadmi bola..."chal be Arun, dusari side chalte hai,waha CS ki ladkiya baithi hui hai...unhi ke peechhe baithenge...." CS ki laundiya ka naam lena to sirf mere liye ek bahana tha, mera mood to Esha ke thik peechhe wali seat me baithne ka tha...taki hum dono ke beech ki chemistry me kam se kam koyi reaction to ho..
Update-179
:
.
Esha ke liye mere dhadakte dil me hamesha wahi ahsaas,wahi khumar bana raha ,jo use pahli baar dekhne se shuru hua tha...aur har din wo badhta hee ja raha tha. Jee to karta ki apna dil cheer kar use dikha aur use apne pyar ka najrana pesh karu,lekin phhir socha ki jyada shaan-patti nahi jhadna chahiye...warna yadi apna dil cheer-fad bhi diya to kya fayda...marna to mujhe hee hoga, isliye filhal maine ye dil ki cheera-fadi karne ka programme cancel kar diya .....
Ladkiyo se connection ke mamle me main Esha ke siwa ab tak R.deepika, Vibha aur Angelina darling ke hee sampark me raha tha....lekin jaisa utsah mere dil me Esha ko dekhkar aata tha ,waisa utsah baki ki teeno haseenao ko dekhkar nahi aata tha....jiska karan tha ki baki teeno ladkiya bahut chalu thi lekin Esha bholi-bhali pyari si,sunder si ,pari jaise dikhne wali ek bina dimag ki ladki thi....jise koyi bhi ,kabhi bhi bewkoof bana sakta tha...wo to shukra ho Esha ke baap ka jiske raub ke karan pure college me kisi ladke ke andar himmat nahi hui ki wo Kabhi Esha se jakar badtameezi kare.....warna college to wo 10 din me hee chhodkar bhag jati...
.
Main aur meri mandali ne Esha aur uske friends ke thik peechhe wali row par apna tashreef rakha aur phhir humare hairless principal sir ne andar entry mari....
"mujhe bahut khushi hui ki aap sab yaha aaye...uske liye sabhi ko dhanyavaad...."
"koyi baat nahi sir...ye aap par Ehasaan raha..."Principal ke bhasad ka x-ray karte hue Arun aise hee kuchh bhi bake ja raha tha.(aur is x-ray ka result neeche red colour me show )
"aap sab yahi soch rahe honge ki maine aapko yaha kyun bulaya,darasal baat ye hai ki is varsh humare College ke pachas varsh pure hone ke uplaksha me samiti ne swarn jayanti manane ka faisala kiya hai.." "ye sala budhau, swarn jayanti me sone ke sikke batega kya be Arman..."
Arun ko is waqt maine fully ignore mara kyunki kya pata Principal sir sabke samne khada karke insult kar de...isliye main bade dhyan se unki baatein sunne me laga hua tha.....
"mere khayal se Swarn jayanti shabd se yaha sabhi parichit hee honge ki yah swarn jayanti samaroh kisi vidyalaya ya mahavidyalaya ya phhir kisi vishvavidyalaya me kyun aayojit kiya jata hai....khair ye sab to hum sabke liye pahli khushi ka vishay hai ki lekin dusari khushi ka vishay jo hai wo ye ki swarn jayanti samaroh ka udghatan aur koyi nahi balki is rajya ke mukhyamantri mahoday karenge aur wahi humare swarn jayanti samaroh ke mukhya atithi bhi rahenge...."
"ye MC takla sanskrit me baat kar raha hai kya be, BC..."
"abhi kuchh der pahle hee humari mukhyamantri mahoday se baat hui thi aur teesari khushkhabari jo main aapko dene wala hoon wo ye hai ki agle varsh se humara ye engineering college, autonomous banne ja raha hai...."
.
'Autonomous' word sunte hee waha auditorium me baithe sabhi laundo ne jordar taaliya bajani shuru kar di aur idhar ye word main pahli baar sun raha tha, isliye mujhe kuchh pata hee nahi chala ki aakhir launde itni taaliya kyun baja rahe hai...lekin jab sab baja hee rahe the ,to humne bhi baja di taki kisi ko shaq na ho ki hume kuchh samajh nahi aaya hai maine Arun ki taraf dekha aur Arun ne Saurabh ki taraf dekha...is aas me ki hum teeno me se kisi ek ko to us 'Autonomous' bomb ka matlab maloom hee
hoga...
"tum teeno thahre bakchod lekin abhi chupa raho ,bahar sab kuchh samjha dunga..."Sulabh ne apna seena thoda chauda karke kaha....
"rahan de...koyi jaroorat nahi hai , mere paas google maharaj hai ,main abhi check kar leta hoon..." Idhar ek taraf main Google baba ki chhatra-chhaya me pahucha to wahi dusari taraf Principal sir ne apna pravachan chalu rakha......
"to maine aap sabko yaha isliye bulaya hai kyunki swarn jayanti ke uplaksha me hum ek bahut bada karyakram rakhenge, jiski jankari aap sabhi ko Chhatrapal ji denge....yaha aane ke liye sabka bahut- bahut dhanyavaad...aap sabhi ka din mangalmay ho..."
.Mangalmay ka aashirvaad dene ke baad humare Principal sir waha se hate to Chhatrapal sir ne mic ka tetua pakad liya...Principal sir ke auditorium se jane ke baad sabhi students relax hue, warna abhi tak apni kamar aise seedhi kiye hue the ,jaise peechhe koyi hunter lekar khada ho aur usne warning de ke rakhi ho ki yadi jara sa bhi peechhe tike to ragad ke rakh dunga...khair ye sab to chalta rahta hai.
.Esha , Divya aur uske paas baithi hui baki laundiyo ko ye pata chal gaya tha ki is college ka sabse smart banda unke peechhe baitha hua hai aur jab se unhe ye baat maloom padi unme se koyi na koyi beech- beech me peechhe palat kar ye confirm karti ki ,main sach me waha baitha hoon ya mera koyi pratibimb waha hai , meri aage row wali lagbhag sabhi ladkiyo ne peechhe palat kar hume dekha aur us waqt hum sabko aise ahsaas hua jaise is duniya ke sabse khubsurat bande humi log hai lekin unka baar-baar yun peechhe mudkar hume dekhna ,humare gaal par tamache ki tarah tab laga...jab Principal sir ke jane ke baad aage wali row ki sabhi ladkiya waha se uthkar peechhe chali gayi.....
"inka maa ka..."Arun aage kuchh bolta usase pahle hee maine uska muh band kar diya....
kuchh der baad waha aur bhi kayi teachers aa gaye,jisme humare college ki basketball team ka coach bhi tha....jab sab aa gaye to Chhatrapal Sir, ne bolna shuru kiya....
Chhatrapal sir humare college ke sabse chahete teachers me se ek the, matlab ki wo aise teacher the,jinki launde thodi bahut izzat karte the.....Chhatrapal ji ne hume bataya ki golden jubilee ke is sunahare mauke par kul 7 din ka function hoga...jisme projects, models, singing,dancing,sports etc. Contest aayojit kiye jayenge aur jis student ko jis field me interest ho,wo us field se related teacher ke paas jaye aur taiyari shuru kar de....is beech ek sawal mere andar utha wo ye ki abhi tak aisi koyi baat nahi hui thi,jisme college ke sirf final year ke students ko hee bulaya jaye...lekin Chhatrapal Singh ne mera doubt kuchh der me hee door kar diya....aur jo baat hume pata chali wo ye ki hum final year walo ko auditorium me isliye bulaya gaya tha taki hum golden jubilee function ko sahi dhang se chalaye,bole to sari jimmedari hum par hee thi....jaise ki college ke juniors ke class me jana aur unse puchhna ki kya wo golden jubilee function me participate karenge....
"main to bilkul bhi ye chutiyapa nahi karne wala...sala naukar samajh rakha hai kya..."Arun phhir bhadak utha...
"chinta mat kar hum log ye sab nahi karenge bole to hum log kisi chiz me participate hee nahi karenge...de tali"
.
Ab jab maine aur mere dosto ne ye decide kar liya ki hum log is pure chaka-chaundh se door rahenge to tabhi basketball ka coach samne aaya aur usne kaha ki jis-jis ko bhi basketball khelna aata hai,wo yaha aa jaye....aur ye sunte hee mere andar ghanti baji...lekin main phhir bhi nahi utha...
"Arman ja be, impression jamane ka solid mauka hai..."Arun ne mujhe kohni marte hue kaha...
"abey kaha yar, ab to basketball pakadna bhi bhool gaya hoon....khamkha field me bejjati ho " "abey,yadi sher shikar karna chhod de to iska matlab ye nahi hota ki wo shikar karna bhool gaya hai...isliye jaa mere sher jaa....aur ab to Gautam bhi nahi hai..."
"no babes...ab mere bas ki nahi rahi..aur waise bhi basketball ka khel koyi chudayi karne ka khel nahi hai,jaha teen saal baad bhi chut se door rahne ke baad jab apna lund chut me daloge to perfomance wahi "
.Dheere-dheere jinhe golden jubilee ke function me participate karna tha ,wo sab apne-apne group me bat gaye....lekin hum charo me se abhi tak koyi nahi utha tha aur phhir Chhatrapal Singh ne Anchoring ke liye interested students ko stage par bulaya....
"wo dekh tere sapno ki rani ,anchoring ke liye ja rahi hai..."Esha ko stage ki taraf jate dekh Saurabh ne meri chutki li...Aur ek baar phhir mere andar ghanti baji aur is baar wo ghanti rukne ke bajay lagatar bajti hee rahi....aur mere dil me khayal aaya ki main jaun ya nahi.....
.
"Arun ,main anchoring karne jaun kya....Esha bhi ja reli hai..."
"tu aur anchoring...
abey bakchod ,waha stage par jakar galiya nahi deni hai...tu rahne de kakke..."
"aisa kya phhir to pakka main jaunga...."bolte hue main apni jagah par khada hua lekin Arun ne mujhe wapas baitha diya....
"chudega beta...baith ja chup chap..."
"ek asli mard ki pahchan uske baato se nahi balki uske karnamo se hoti hai aur main ye karnama karke ke hee rahunga....chhod mujhe..."
"mujhe maloom hai ki tu apni us item ko dekhkar ja raha hai,lekin kuchh der baad jab tera josh thanda hoga na tab sabke samne kuchh bolne me teri fategi...."
"Esha mil jaye to main apni engineering chhod du,phhir ye anchoring kya chiz hai..."
Anchoring wale masle par Arun ko mujhse argument karte dekh Saurabh ne Arun ko chup karaya aur mujhse bola"jaiye, yaha baithe kyun ho...apna shauk pura karo..."
"yesss...tu hee mera sachcha dost hai, i love you..."
Main apni jagah se utha aur slowly-slowly charo taraf ka mahol dekhte hue chalne laga....mere stage par pahuchte tak waha Chhatrapal Singh ke sath Esha ko chhodkar do log aur the, jinme se ek ladki thi aur ek ladka.....
Main jab Chhatrapal Singh ke samne jakar khada hua to unhone mujhse puchha" kya baat hai Arman..." "main soch raha tha ki main anchoring achchha kar sakta hoon....""kya..."Mere muh se Anchoring karne ki baat sunkar Chhatrapal Jaise behosh hokar girne hee wala tha
,lekin phhir baad me unhone khud ko sambhal liya....jo haal is waqt Chhatrapal Sir ka tha ,waisa hee kuchh haal waha mauzood un students ka bhi tha,jinhone mere anchoring karne ki baat suni thi....
.
"are you sure ! ,kyunki mujhe nahi lagta ki tum kar paoge...."
"yaha aate waqt to sure hee tha aur ab bhi sure hee hoon...isliye jaldi se practice shuru karte hai..." "ek minute, jara rukiye to....pahle test to kar le ki tumse kuchh bola bhi jata hai ya aise hee yaha stage
par aa gaye...."Mere hath me mic pakdate hue Singh Sir ne auditorium me baithe sabhi students ko samne dekhne ke liye kaha aur phhir mujhe dekhkar bole"ek-do line jara bolkar dikhana to..."
"bolna kya hai...ye to batao pahle..."dil ki tez hoti hui dhadkano ko normal karte hue maine puchha.... "kuchh bhi bol do, chahe to apna introduction hee de do ,sabko...."
"thik hai...phhir..."maine mic par apna ek hath mazboot kiya aur Singh sir ke paas se do kadam aage aakar apna dusara hath uthate hue bola"Are You thinking about me..."
itna bolkar main chup ho gaya aur 'yes' ke jawab ka intezaar karta raha,lekin auditorium me baithe hue logo me se kisi ek ne bhi jawab nahi diya....
"Sir ,in logo ko english nahi aati..."Singh sir ki taraf palatkar maine maje lete hue kaha...jiske baat pura auditorium hasne laga...aur main khud se puchhane laga ki 'maine abhi koyi joke mara kya ?'
"Are you thinking about me...." "yes...."abki baar pura auditorium gunja...
"if you are thinking about me then it's enough to show my popularity...love you all..."bolne ke baad maine Singh sir ko mic thamaya aur unse puchha"kaisa laga sir..."
"kal subah 10 baje yahi par aa jana...." "pahuch jaunga sir..."
.
Stage se apne dosto ki taraf aate hue maine apna collar khada kiya aur Arun ke kandhe par apni kohni rakh kar bola"ab bol ,kya bolta hai..."
"Divya ki jal kar rakh ho gayi thi, sali tujhe dekhkar aise muh bana rahi thi jaise duniya bhar ka gobar uske muh me pel diya gaya ho...sali chhinar"
"Divya... Divya se yaad aaya ,Sulabh tu apna mobile de to ek min. "
maine Sulabh se mobile liya aur aaj subah jis no. se mujhe call aaya tha ,use dial karne laga...kyunki main check karna chahta tha ki kahi wo call Divya ka to nahi tha...aur apne mobile se call na karke Sulabh ke mobile se call karne ka bhi ek logic tha kyunki yadi wo call Divya ki hee karamat thi to uske paas jaroor mera no. hoga aur wo is waqt call nahi uthayegi aur Arun ka no. to uske paas third sem. se hee
hai
isliye maine Sulabh ka mobile maang kar us no. par call kiya....
Call karte waqt main apni jagah par khada hua aur peechhe ki taraf baithi hui Divya ko dekhne laga....ghanti jati rahi lekin na to auditorium me koyi ringtone sunayi nahi di aur na hee kisi ne call recieve kiya...
"college me to sabka mobile to silent me rahta hai...aise to pata nahi chalne wala...lekin koyi baat nahi next time dekh lunga ise...."
"kya hua be ye khada hokar peechhe kya dekh raha hai,wo dekh samne maal hai..."mujhe samne stage ki taraf modte hue Arun bola...
lekin mera dhyan abhi samne wali us ladki par na hokar puri tarah Divya par tha....maine ek baar aur wo number ,Sulabh ke mobile se try kiya....lekin is baar bhi sirf ring jati rahi...lekin kisi ne call recieve nahi kiya...
.
koyi call recieve nahi kar raha tha jisase mujhe aur bhi shaq hone laga tha ki savere-savere mujhe call karne wali ladki jaroor yaha mauzood hai....isliye maine teesari baar try kiya aur peechhe mudkar Divya par apni aankhe gadaye rakha...
"abey tu ye baar-baar chutiyo ki tarah kise phone kar raha hai...wo samne wali maal dekh..."
"chup rahega do minute...kuchh kaam kar raha hoon na..."Arun par jhallate hue main baras pada...is beech ring barabar ja rahi thi.....
"tu Kahi Esha ko to phone nahi kar raha,....wo dekh uske mobile ka screen har thodi der baad lapp-lupp, lapp-lupp ho raha hai...."
Update-180 :
.
" kya bola be..."
"samne dekh to...."
"ek second...."maine call disconnect karke phhir se us unknown number par ghanti mari aur Esha ke screen ki light mere mobile se jate hue ring ke sath ,lapp-lupp hona shuru ho gayi....iske baad maine back to back 2-3 call kiye aur jo natiza mere samne aaya use dekhkar main chakkar bhi kha gaya aur bahut khush bhi hua...
main chakkar kyun kha gaya, ye to sabhi jante hai aur main bahut khush kyun hua, mere khayal se ye bhi batane ki jaroorat nahi hai ,lekin jaisa ki ladkiyo par mera bharosha naam-matra ka bhi nahi tha ,isliye mere shaq ki ungali sabse pahle Divya ke taraf gayi.....
"jaroor ye us baboochad R.Divya ki karamat hogi...warna meri Eshu janeman aisa kaise karegi... ,Divya...sali ,dayan...lekin yadi ye kaam Divya ka na hua to....phhir ? "
"beta ,jaroor kuchh lafda hone wala hai...main to shuru se hee kahta tha ki ye ladki kuchh thik nahi...pahle to tune meri baat nahi mani, ab bhugat..."
"tu ye bol to aise raha hai ,jaise tu bada samajhta hai ladkiyo ko...tabhi Divya ne gand dikha di..."
"are ho jata hai kabhi-kabhi...it's okay baby....aur waise bhi maine kam se kam Divya ka doodh to dabaya tune kya dabaya...."
"maine....maine...."sochte hue maine kaha"main aisa -waisa ladka nahi hoon..."
"mera lund hai tu...ab bhi maan ja, warna tu ek din aisa thukega, aisa thukega ki phhir dobara kabhi thukne ke layak nahi rahega...."
"janeman yahi to tum jaise chhote aadmi aur mujh jaise bade aadmi me fark hai ki tum khatro se ghabrate ho aur main khatro se khelta hoon..."
"tum dono ab shant ho jao,warna yahi par juta marunga...lawde ke balo...jab dekho laundiyo ki tarah ek- dusare se bhidte rahte ho..."mujhe aur Arun ko ek-ek ghusa jamakar Saurabh ne shant karaya....
.
Jabse mujhe pata chala tha ki savere-savere mere mobile par call Esha ke hath me pakde mobile se aaya tha tabhi se main us call ke aane ki vajah ko lekar apni theory bana raha tha...jisme ek theory ye bhi shamil thi ki 'Esha ko mujhse pyar ho gaya '
Waise to mere bahut sare anuman the lekin sahi kaun sa anuman tha iska jawab sirf Esha de sakti thi...lekin auditorium me sabke samne usase is baare me baat karna mujhe kuchh jancha nahi isliye main waha se apne dosto ke sath bahar aaya aur waise bhi ab to anchoring ki practice me sath hee rahna hai
,isliye main jaldbazi kyun karu......
.
humare recess yani lunch ka pura time Principal sir aur Chhatrapal ji kha gaye the aur idhar hum log bina kuchh khaye-piye wapas class me pahuche....humare class me kuchh log aise the jo apne ghar se tiffin late the ,jinme ladke-ladkiya dono shamil the....ab canteen jane ka time nahi tha aur next class badi important bhi thi ,isliye maine unhi kuchh logo par hamla karne ka socha,jo rojana apne sath apna lunch box late the...lekin yaha bhi ek dikkat thi ,wo ye ki laundo ki tiffin humare class me aate tak saaf ho chuki thi ,isliye maine ladkiyo par apna jaal feka...
ladkiya sach me badi bholi hoti hai,unse maine do-char achchhi baate kya kar li, unhone mujhe apna tiffin de diya, ye sochkar ki Arman se unki dosti ho gayi hai .lekin unhe ye pata nahi ki kal se main phhir unhe batti dene lagunga.....
.
har hafte humari spoken english jaise hee ek, do ghante ki class laga karti thi, jiska title tha'Value Education...' last week VE ke class ke time main ghar me baitha rotiya tod raha tha isliye aaj ki VE ki class meri first class thi...
VE ke teacher Chhatrapal Ji the aur laundo ne bataya tha ki VE ki class wo ekdum friendly mood me lete hai....bole to Chhatrapal Singh humare liye ek teacher cum friend the.
.
"yar mujhe aisa kyun lag raha hai ki Chhatrapal Gurudev ne hume kuchh homework diya tha..."apna sar par jor dalte hue Arun bola...
"home work nahi hostel work bol..."
"haan...wahi samajh...."ek baar phhir apne dimag par jor dalte hue Arun ne kaha"mere khayal se koyi 2-
3 topic diya tha unhone aur kaha tha ki next class me presentation dena hai..."
"tab to aaj mast bejjati hogi...maine to book khol kar bhi nahi dekha...."Saurabh thoda ghabrate hue bola aur gate ki taraf apni najar daudayi ki Chhatrapal sir aaye ya nahi....
"dar mat...koyi aisa ghisa-pita topic hee milega...kuchh bhi bak dena..."apni baanhe uthate hue main taav me kaha aur isi ke sath Chhatrapal ji ne class me entry mari....
.
"maine kal kuchh topic diya tha...sorry mera matlab last class me maine kuchh topic diya tha , jispar sabko ek-ek karke yaha samne aakar presentation dena hai aur jo-jo first ,second, third aayega...use meri taraf se special prize milega....to shuru karte hai...."puri class ki taraf ek baar dekhkar unhone apni ungali Sulabh par atkayi aur bole"Sulabh aa jao aur iske baad Saurabh tum taiyar rahna..."
.
Sulabh ne ekdum bhadakte hue full english me presentation diya aur wapas lautate waqt ek sher bhi maar diya aur yaha sala mujhe yahi samajh nahi aaya ki topic kya tha
Sulabh ke presentation ke baad Saurabh samne gaya lekin bina kuchh bole...jaise gaya tha,waise hee
wapas aa gaya aur yahi kuchh haal Arun ka bhi hua aur ab agli baari meri thi.....
.
"shuru ho jao...5 minute hai tumhare paas...."Chhatrapal ne meri taraf dekhkar mujhe apna presentation shuru karne ke liye kaha....
"kis topic par presentation dena hai sir..."
"kis topic par presentation de sakte ho..."unhone puchha...
"koyi sa bhi topic de do..."jabarjast confidence ke sath maine kaha... "'Ethics in business are just a passing fad ?'...is par shuru ho jao..."
.
"ye kaisa bhayankar topic hai jiska ek word bhi familiar nahi lagta...sale ne pura confidence hee down kar diya..."class me chal rahe fan ki taraf dekhte hue maine bahut socha, english ke words ko tod-marod kar kuchh samajhna chaha lekin mera dimag har baar out of syllabus chilla raha tha...
"sir koyi dusara topic nahi mil sakta kya..."raham bhari aankho se main Chhatrapal ki taraf dekha.... "koyi baat nahi...dusara topic choose kar lo..."
"dusara topic boliye..."
"'Capitalism is very flawed system but the others are much worse ?'....is par shuru ho jao..."
.
Presentation ka dusara topic sunkar abki mera haal pahle se bhi badtar ho gaya kyunki Chhatrapal Singh dwara pura topic bolne se pahle hee mere 1400 gm ke dimag ne 'Out of syllabus' ki bell baja di aur maine turant na me apni gardan hilayi....
"kya hua ,teesara topic chahiye..." "yes sir..."
"phhir ye lo teesara topic 'Should the public sector be privatized ' "
"sir, darasal baat ye hai ki main last week ki class me absent tha..."teesere topic ko sunkar maine turant kaha"next class me pakka "
"very good...aise karoge anchoring..."
"aapke topics hee kuchh jyada khatarnak the...mujhe laga ki koyi general sa topic milega...warna main prepared hokar aata..."
"tumhe kya laga ki main yaha facebook vs. Twitter...advantage and disadvantage of facebook....jaise behad hee bakwas topic pe discussion karwaunga...bade bhai, it's value eduction which is related to our
economics....is subject ko dhyan se padh lo beta, zindagi sudhar jayegi...chalo jao "
.
Chhatrapal Ji ke shabdo ke teer se ghayal hua main apni jagah par pahucha aur udas hokar baith gaya, lekin jaise-jaise karyakram aage badhta gaya waha mere jaise 10-12 ladke aur nikal gaye...isliye class ke khatm hote tak Chhatrapal singh ke shabd roopi baado ke zakhm bhar gaye aur main khushi-khushi chhutti hone ke baad bahar nikla.....
.
"yar ye autonomous ka matlab to abhi tak pata nahi chala....."college se nikalte waqt Saurabh ne notice board me nazar marte hue kaha aur wahi rook kar Autonomous ka matlab dekhne laga...
" Autonomous ka matlab ab exam ke paper humare hee college me banenge, answer sheet bhi yahi check hogi humare baklund teacher ke hatho...ab chal..."Saurabh ka collar pakad kar maine use kheechte hue kaha"tu ek kaam kar Saurabh...Arun ko lekar chup chap hostel nikal...main teri bhabhi se baat karke aata hoon...."
"to jana , Arun se kyun dar raha hai..."
"abey wo ek number ka jhatu hai,yadi maine use ye baat batayi to bolega ki wo bhi mere sath jayega...isliye usko lekar tum jao, hum thodi der me aao...."
.
Saurabh ekdum gau tha aur aise mauko par wo mere bahut kaam aata tha...us din Saurabh,Arun ko bahla-fuslakar mere bina hostel le gaya...lekin mujhe maloom hai ki Arun ne kam se kam char baar to jaroor puchha hoga ki 'Arman kaha marwa raha hai'
Kya yaraana hai humara
.
Saurabh ko Arun ke sath bhejkar main seedhe parking me pahucha, jaha is waqt bahut bheed thi . Us bheed me mere class ke kayi launde the aur unhi me se maine ek ka mobile lekar Esha ke aane ka intezaar karne laga....
Esha parking place me akele aayi kyunki Divya ke driver ne use parking se bahar hee pick up kar liya tha aur yahi mere liye Esha se baat karne ka ek sunahara mauka tha....Esha ko car ki taraf badhte dekh maine ek baar phhir us unknown number ko apne dost ke mobile se dial kiya...
"hello...kaun..."car se thodi door rook kar Esha ne apne driver ko 5 minute rukne ka ishara kiya aur mujhe boli"who are you..."
"kabhi socha nahi tha ki aap jaisi ijjatdar ladki mujhe savere-savere call karke pareshan karegi..." "aap kaun..."
"aaj subah hee ki baat hai...yaddasht achchhi ho to flashback me jakar yaad karo ki aaj subah kise phone kiya tha..."
"Arman..."ghabrate hue Esha parking ki bheed me idhar-udhar dekhne lagi aur tabhich maine hawa me apna hath uthkar uska dhyan apni taraf kheencha.....
Update-181 :
.
Mujhe waha parking me door khada dekh Esha ki saanse ruk gayi...uske chehre ka rang apni chori pakade jaane ka karan aur mujhe waha dekh kar apna rang badal raha tha...kisi pal wo mujhe dekhkar hasne ki koshish karti to kisi pal wo ekdum sincere banne ki acting karti thi ,is beech uska mobile uske kaan par aur uski aankhe mujh par constant thi...
Esha ko aise maha vilakshad sithiti me dekhkar maine halki si muskan dekar use relax dilaya ki wo itna na dare...main uski jaan nahi lene wala hoon aur kamaal ki baat hai ki wo mere us muskan ke peechhe ke arth ko samajh gayi....
.
"main waha aaun..."Mobile ke jariye Esha se baat karte hue maine puchha....
"nahi...matlab kyun..haan, aa jao..."hadbadate hue, shabdo ko tod-marod kar wo boli"aa jao..." "yesss..."andar hee andar main khushi ke mare 5 feet upar kood gaya aur mobile jiska tha,use dekar Esha ki taraf haste-muskurate hue chal diya....
.
mujhe mere nature ke hisab se is waqt bilkul bhi nervous ya hichkichana nahi chahiye tha, lekin mere kadam jaise-jaise Esha ki taraf badh rahe the...waise-waise Esha ki tarah mujhpar bhi sharm ki ek parat baithati ja rahi thi...jabki is waqt kahi se bhi meri galti nahi thi.
Subah call Esha ke mobile se aaya tha,lekin choro ki tarah sharma main raha tha....us waqt meri waisi halat ka exact reason to mujhe nahi maloom lekin mujhe jitna palle pada uske hisab se Esha aur meri mulaqat aaj tak takrar, ladayi,jhagde ke karan hui thi...lekin aaj pahli baar main Esha se bina kisi takrar
,bina kisi ladayi-jhagde ke milne ja raha tha...isiliye aaj, jab college me mere kuchh hee din baki the ,tab main thoda sharma raha tha..
Esha ke paas jakar main kuchh der tak chup khada raha aur wo bhi mere paas aane se apne honth bheech rahi thi....
"hi...i am Arman..."
"i know that who are you..."
"toh...main ye kahna chahta tha ki.....kya kahna chahta tha "Esha ko dekhkar main bola"ek minute rukna...main sochkar batata hoon..."
Mujhe bahut achchhe se maloom tha ki mujhe ,Esha se kya baat karni hai..lekin main is waqt ghabra raha tha ki kahi Esha bura na maan jaye...kyunki Esha ke apne liye aisi situation ka intezaar main pichhale char salo se kar raha tha aur ab jakar jab mere wo Arman pure ho rahe hai to main nahi chahta tha ki mera ek sawal mere Armano ko bikher de....lekin wo call wali baat karni to jaroori thi,warna humari aage baat hee nahi hoti...isliye thoda lajate hue, thoda ghabrate hue ki wo mere is sawal par naraz ya udas na ho jaye maine usase kaha....
"Subah ,tumhare mobile se ek call aaya tha...jisme mere khilaf F.I.R. karne ki baat ki jaa rahi thi..." "haan...uske liye sorry..."
"sorry bolne ki koyi jaroorat nahi hai...ye sab hansi mazak to chalta rahta hai, main bura nahi manta...tum chaho to raat ko 1 baje bhi mujhe aise dhamki bhare call kar sakti ho...lekin main kuchh aur hee puchhna chahta hoon..."
"puchho..."
"main ye puchhna chahta hoon ki aaj achanak...is tarah mujhe call kaise kar diya...matlab ki....aise mujhe call karke dhamki dene ka khurapati khayal kaise aaya..."
"wo actually mere mami ki ladki aayi hui hai aur aaj subah usi ne aise hee mazak me tumhe call kar diya, phhir jab main college aa rahi thi to usne bataya ki usne subah tumhe call karke dhamki di hai...Sorry Arman..."
"tabhi main sochu ki tumhari aawaz ko kya ho gaya hai...aur sunao, zindagi kaise kat rahi hai..."maine humare beech chal rahi baatchit ko subah wale call se aage badhate hue kaha, is aas me ki Esha ki life ke kuchh recent updates mujhe janne ko mil jayenge...lekin Esha late hone ka bahana karke car me baith gayi...
.
Esha ke waha se jaane ke baad bhi main bahut der tak waha kisi bhatakti atma ki tarah khada hokar Esha ke sath wale pal ko remind karke muskurata raha....lekin tabhich mere 1400 gm ke brain ne mujhse puchha ki"yadi wo call Esha ki mami ki ladki ne kiya tha ,to phhir use mere baare me kaise maloom chala...kyunki koyi bhi insaan kisi dusare insaan ka mobile uthakar yun hee koyi number dial karke mazak nahi karta....iska matlab mujhe call karne wali ladki ko mere baare me maloom tha .ek aur sawal jo mere andar utha wo ye ki itne bhayankar kand ho jaane ke baad bhi Esha ke mobile par mera number kaise
save tha aur usne mera number save karke kyun rakha tha...."
"koyi baat nahi beedu...ab to har din ek ghante Esha ke sath riharsal karna hai,wahi puchh liya jayega...Arman, you are so smart "khud ki tareef karte hue main hostel ke andar ghusa aur seedhe warden ke room me jakar aaj raat ke programme ke baare me discuss karne gaya....
.
warden ke room me is waqt 2-3 ladke ghuse hue the ,jo PC me facebook chala raha the... "kya kar rahe ho be lawdo aur sir kaha hai..."
"Principal sir round par aaye the Arman bhaiya...unhi ko bahar tak chhodne gaye hai..."
"ek baat batao..."waha baithe ladko me se ek ko uthakar main uski chair par baitha aur bola"tum logo ko koyi kaam-dhandha nahi hai kya ,jo jab dekho tab fb me bhide rahte ho...last semester clear hai kya..." "are aap bhi baitho...chinese ladki se chat kar raha hoon..."
"chinese ladki se "
"hao ,kal hee meri friend bani hai...ektarfa maal hai..."
"photo dikha uski..."apni chair PC ki taraf sarkate hue maine screen par nazar mari...
Maine us ladki ke profile pic dekhi ,laundiya ekdum current thi aur online bhi thi.us waqt jab main us chinese ladki ki photo dekh raha tha tabhi mere juniors me se ek ne uski profile pic me chinese language me kuchh likha...jise kuchh der baad hee us chinese ladki ne like bhi kiya...
"tujhe chinese aati hai kya be "
"are khak chinese aayegi mujhe...main to dhang se Hindi bhi nahi likh pata..wo to main us ladki ke upar wale comment ko copy kiya aur last me Madarchod likh kar post kar diya..."
"dhat teri ki "haste hue maine kaha"matlab tune us ladki ko gali di aur usne tere comment ko like bhi kiya "
"itna hee nahi...kal maine use kaha ki..kya wo mera lund chusegi...reply in yes or no', aur jante ho uska
kya jawab " "kya..."
"wo boli 'yes..' iske baad usne bhi mera messege copy karke mujhse puchha ki..'kya main uska lund chusunga'...sali bakchod "
"lage rah..."haste hue main khada hua aur bola"jab sir aa jaye to mujhe aawaz de dena...."
.
Us raat kisi karan vash humara daru programme jama nahi,isliye agle din main ekdum correct time par college pahucha aur bag class me patak kar seedhe auditorium ki taraf bhaga.....
Auditorium me is waqt kuchh 5 ladkiya aur itne hee ladke the...ab jab mujhe apne college ki golden jubilee me anchoring karni thi to ye jaroori tha ki in bakchodo ko laat maarkar bahar karna padega...sath me ye dar bhi tha ki kahi ye hee mujhe disqualify na kar de...un students me se jo mere junior the unhone mujhe 'good moring' wish kiya aur jo students mere hee batch ke the unhone meri taraf dekha tak nahi, siway Esha ke .
Auditorium me is waqt chhatrapal sir ko chhodkar hum sirf 11 hee the,isliye jiska jaha man ho raha
tha...wo wahi baith raha tha, maine bhi kuchh der idhar-udhar dekha aur aakhir me himmat karke akeli baithi Esha ke paas jakar chup-chap baith gaya...
"sab aa gaye...to phhir shuru karte hai"stage se neeche utarkar Chhatrapal sir ne sabko ek sath,ek taraf baithne ke liye kaha aur phhir bole"Anchoring kisi bhi function ya show ki jaan hoti hai ,isliye aap me se
main jinhe bhi select karunga,unhe apni jaan laga deni hai...kyunki aisa bada function ab is college me ya to 25 saal baad hoga ya 50 saal baad...hume to khush hona chahiye ki hum sab iska hissa bane,isliye is saal ko yadgar banane ka ek behtareen avasar anchoring ke through tum logo ke paas hai...."
Chhatrapal ji kuchh der ke liye ruke aur tab tak hum sab ek taraf, ek sath baith gaye the....apni kuchh der pahle wali jagah chhodte waqt mujhe Chhatrapal sir par bahut gussa aaya tha kyunki main achchha- khasa Esha ke paas baitha tha aur unhone mujhe waha se utha diya tha...
.
"main 6 students ko select karunga,jisme teen ladke aur teen ladkiya rahenge...aur un 6 students ko lekar 2-2 ke 3 group banenge.har group me ek ladka aur ek ladki rahegi...abhi aaj main sabko ek page dunga, jisme Abraham Lincoln ki life ke kuchh pahalu hai...unhe aap sab yaha stage par aakar ek-ek karke bolenge...aur ek baat jo aap sabko apne dimag me bolte waqt bithani hai ki ye auditorium khali nahi ,pura bhara hua aur jitne bhi log yaha mauzood hai...wo sirf aur sirf aapko sunne aaye hai...so let's start with Arman...Arman stage par jao..."
"iski maa ka...main hee pahla ladka dikha tha ise "
.
Apni jagah se uthkar maine Chhatrapal ke hath se wo page liya aur stage par chadh gaya aur ekdum normal flow me jaisa ki mera style tha, apni normal aawaz me bola....aur Chhatrapal sir ke diye gaye pure ke pure text ko maine voice me convert karke apni jagah par wapas baith gaya....
.Apna kaam karne ke baad main ye manne laga tha ki mera selection to pakka hai,lekin jab sabne us page ko padha tab us ek ghante ke khatam hote-hote tak meri ye dharna galat sabit hui kyunki waha ek se badhkar ek the...
.
"ab aap sab apni class me jao, kal phhir se milenge...aur ek baat , jab golden jubilee ka function hoga to uske starting me kisi ko bahut hee lambi speech deni padegi,wo bhi bina dekhe...jiska topic main tum logo ko de dunga....to koyi taiyar hai uske liye..."
Waha bhale hee mujhse kabil launde baithe the ,jo stage par jakar mujhse achchha bol lete the...lekin unme waqt-bewaqt dialogue thokne ki kabiliyat jara si bhi nahi thi aur jab Chhatrapal ke us speech wale plan par kisi ne apna hath khada nahi kiya to maine is mauke ko bhunana chaha kyunki ye Chhatrapal par apna impression dalne ka ek solid mauka tha...
.
"main taiyar hoon ,sir..."bolte hue maine pahle apna hath khada kiya aur phhir khud khada ho gaya... "sure...kyunki college ke dino me aisa hee kuchh karte waqt main beech me atak gaya tha...soch lo.." "101 % sure hoon...aur aap befikar rahiye main beech me kahi bhi nahi rukunga..."
"yahi confidence maine tumhara kal VE ki class me dekha tha...lekin baad me hua kya tum bakhoobi jante hai. Maine tumhare baare me bahut-kuchh suna hai jisase main is nishkars par pahuchta hoon ki aap khud ko bahut special mante ho...""ye Chhetru, har waqt meri lene me kyun laga rahta hai..."Chhatrapal sir ki baate jab mujhe kaante ki tarah chubhi to maine khud se kaha aur phhir wo kaanta nikalkar seedhe Chhetrapal ke seene me ghusate hue bola"Sir, darasal baat ye hai ki log aapko special tabhi mante hai ,jab aap koyi aisa kaam kar dete ho..jo wo nahi kar pate...chalta hoon sir, topic aapse class me le lunga, have a nice day "
Update-182 :
.
Chhatrapal ko apna attitude dikha kar main Auditorium se nikla aur class ki taraf badha....
Maine Chhatrapal ko aakhir me jo jawab diya ,use sunkar Chhatrapal ji muskuraye to jaroor lekin khunnas me....Chhatrapal ke prati mere is ravaiye se waha mauzood sabhi students mujhe aise dekhne lage jaise wo bahut dino se bhookhe ho aur main unka khana hoon....lekin kisi ne ek lafz bhi mujhse nahi kaha, kyunki wo jante the ki Arman ko chhedne ka matlab khud ko ghayal karna
hai....
Auditorium se bahar nikal kar jab main apni class ki taraf aa raha tha tabhi mujhe iska andaaza ho gaya tha Chhetru se maine audi. me akad kar jo baat ki uski khabar bahut jald pure college me fail jayegi aur us khabar ko sunne ke baad ye bhi ho sakta tha ki mujhse jalne walo ki list me Chhatrapal ke kayi die hard fan bhi jud jayenge....kyunki Chhatrapal Sir, humare college ke most loving teacher the aur meri tarah unki bhi ek lambi-chaudi fan following thi
.
Jab main class pahucha tab tak dusara period chalu ho chuka tha isliye maine andar aane ki permission mangi....
"kaha gaye the..."
"Anchoring ki practice karne Auditorium me gaya tha..."
"sach, jhooth to nahi bol rahe..."Power Plant subject ke teacher ne mujhpar apna khauff plant karne ki koshish karte hue bole"main Chhatrapal ji se class ke baad puchhunga aur yadi unhone mana kiya to tumhari khair nahi...come in..."
"Bakchod, MC...lawde ka baal..."badbadate hue main class ke andar aaya hee tha ki Power Plant Engg. wale sir ne mujhe phhir roka...
"kya kaha tumne...huh"
"kuchh nahi...thanks kaha aapko...thank you sir..." "ok..ok..jao apni jagah par baitho..."
.
Main jakar apni jagah par virajmaan ho gaya aur hamesha ki tarah aaj bhi Arun mere side,Saurabh...Arun ke side me aur Sulabh...Saurabh ke side me baitha hua tha....Is waqt meri izzat mere dosto ki nazar me achanak hee badh gayi thi aur wo charo mujhe aise dekh rahe the jaise main border par badi hee ghamasan ladayi ladkar aaya hoon....
"kya hua aaj..."PPE ke sir,jab kuchh likhne ke liye deewar ki taraf mude to Arun ne puchha... "kaha kya hua..."
"abey wahi...Auditorium me kya hua..."
"kuchh khas nahi hua...jab waha pahucha to chhetru ne ek panna hath me thama diya aur bola ki stage me jakar bako....usne ye bhi kaha ki Auditorium pura bhara pada hai hume aisa imagination karna hoga...sala kya bakwas trick hai...ekdum flop :"
"phhir..."
"phhir kya...bak diya sab kuchh. "
.
PPE wale sir board me ek lamba-chauda diagram bana rahe the,jiske chalte unka agwada board ki taraf tha aur idhar hum dono pure waqt baat karte rahe .
Recess ke waqt hum log class se bahar aa rahe the ki kal jis ladki ka tiffin maine khaya tha usne mujhe aawaz dekar kaha ki "main ,uske sath uska tiffin share kar sakta hoon" lekin us ladki ka chehra dekhkar mera pet bina khaye hee bhar gaya....kal ki baat kuchh aur thi,jo maine uske sath usi ki jagah par baithkar uska lunch share kiya tha.
"mujhe bhookh nahi hai aur meri tabiyat bhi kuchh thik nahi lag rahi...isliye tum akele thoos lo,mera matlab akele kha lo..."
"kya hua...bukhar hai kya.."
"nahi cancer "(apne kaam se kaam rakh be )
Us ladki se bhookh na hone ka bahana karke main class se bahar nikla to paya ki mere dost mujhe akele chhodkar canteen chale gaye the...bakchod kahi .khair koyi baat nahi, hota hai kabhi-kabhi...isme bura manne wali kaun si baat hai...
khud ko control karte hue main bhi canteen ki taraf badha ye sochkar ki aaj to pel ke khaunga kyunki aaj to canteen ka sara saman mere liye free tha....
Canteen ke andar ghuskar maine Arun aur baki sab kaha baithe hai ,ye dekhne ke liye sabse pahle aankho se puri canteen chhan mari...lekin wo sab kahi nahi dikhe...
"ye log kidhar kat liye ,aaye to idhar hee the..."hairan-pareshan hote hue maine socha aur jakar ek aisi table ki taraf badha...jo ekdum khali tha .Waha baithkar maine Canteen wale ko char samose, ek full plate chow mein, ek egg roll ke sath aadha liter wala ek cold drink mangaya aur ye sochte hue main khushi-khushi khane laga ki in sabka bill mujhe nahi dena padega....
is beech waha Esha bhi apne friends ke sath aayi.Esha ko dekhkar mera dil kiya ki main abhich aadhe liter wale cold drink ki bottle lekar apni jagah se uthu aur uski friends ko waha se bhagakar Esha ke samne wali chair par baith jaun aur hum dono ek hee cold drink me do straw daalkar ek sath puri bottle khali kar de....how romantic : lekin main ye nahi kar paya kyunki waha Esha ke sath R.Divya bhi virajmaan thi....kul milakar kahe to meri love story se Gautam ke chale jaane ke baad ye R.Divya hee ekmatra kaanta tha jo mujhe Esha ke karib aane se rok raha tha....
Jab maine sab kuchh kha-peekar khatam kar diya to maine ek dakar li aur canteen ke counter par baithe hue aadmi ko hath dikhaya ,jiske jawab me counter wale ne bhi hath dikhaya.jiska matlab tha ki mera bill pay ho gaya hai....iske baad maine time dekha.
"lunch khatam hone me abhi bhi aadha ghanta baki hai, tab tak kya pakad kar hilau...sale ye log bhi kaha mar gaye..."Canteen ke gate ki taraf dekhte hue maine kaha...
waha khali baithkar maine 10 minute aur khud ko bore kiya aur mauka milte hee aankhe churakar Esha ko dekh leta tha....meri isi luka-chhipi ke khel me meri nazar kal wali ladki par padi,jiska name Aradhna tha.....
"kyun na 20 minute isi ke sath bitaya jaye..."Aradhna ko dekhkar maine ek pal ke liye socha aur phhir dusare hee pal Aradhna ke paas gaya. waha Aradhna ke sath do ladkiya aur bhi thi...jo mere is tarah achanak se waha aa jaane par thoda ghabra gayi...."aap logo ko bura na lage to kya main inse 2 minute baat kar sakta hoon..."sharifo wali style me maine Aradhna ki dono friends se kaha...
"who are you ,huuuu...aur kya baat karni hai tumhe...huuu"waha Aradhna ke sath baithi dono ladkiyo me se ek ne mujhse aise puchha jaise unka senior main nahi ,balki wo meri senior hai....
"tum mujhe nahi "
"wahi to puchha ,who are you...huuu...aur tum kya koyi superstar ho jo main tumhe janungi...huuu"
" tu pahle apna ye huu-puu band kar warna yahich par tera sara huu-puu nikal dunga...chashmish kahi ki..."
"are ajeeb gunda gardi hai...."
"oye chal uth yaha, dimag kharab mat kar...bahut ho gaya ye tera huu-puu...ab yadi tune ek shabd bhi aage kaha to....."
"tum dono jao na yaha se, kyun senior se jubaan lada rahi ho...main inhe janti hoon ye bahut achchhe hai..."main apni baat puri karta usase pahle hee Aradhna bol padi....
"ooohhhh ,to ye humare senior hai...tujhe pahle batana tha na ye...bewkoof kahi ki..."Aradhna par bhadakte hue us chashmish ne mujhe sorry kaha aur phhir apni dusari chashmish dost ko lekar waha se uthkar dusare table par chali gayi....
.
"hi, Sir..."mere waha baithte hee Aradhna ne bade pyar se kaha....
aur sach kahu to ye sunkar mujhe ek pal ke liye rona aa gaya kyunki ye pahli baar tha,jab kisi ladki ne mujhse itne pyar se baat ki thi warna aaj tak mere college ki lagbhag sabhi ladkiyo ne mujhe
facebook me block maar ke rakha hua hai....
"any problem sir..."mujhe apni taraf ektak dekhta hua pakar Aradhna ne puchha... "koyi problem nahi hai aur ye tu mujhe sir mat bola kar..."
"kyun Sir..."
"kyunki Sir, word sunkar mujhe aisa lagta hai jaise meri umra 35 + ho..." "ok sir..."
"bola na, sir mat " "thik hai sir..."
"phhir boli tu...ek baar me samajh nahi aata kya..." "thik hai ,ab nahi bolti...to phhir aapko bhaiya bolu..."
"bhaiya.... , ek baat batao ,tum ladkiyo ko bhaiya bolne ki itni jaldi kya rahti hai aur khabardar jo mujhe bhaiya bola to...."
"to phhir kya aapko ,aapka name lekar pukaru..."
"bilkul nahi....aur sun..."Uski taraf thoda jhukte hue maine kaha ,lekin wo meri taraf jhukne ke bajay
wapas aur peeche ho gayi... "ye aap kya kar rahe ho..."
"iski maa ka....abey main tujhe kiss nahi kar raha,balki kuchh kahna chahta hoon...isliye apna kaan idhar la..."
"par kyun..."
"are aana paas..."maine jor dete hue kaha.
Mere itna adhik jor dene par Aradhna thoda sa mere najdeek aayi tab maine usase kaha... "wo mere peechhe ek ladki green colour ki dress pahne hue baithi hai... dikhi tujhe.." "kaun...Esha mam.."
"haan wahi...tu kaisi janti hai use..."
"kal mulaqat hui thi unse...tabhi unse jaan-pahachan hui thi..." "chal thik hai,ab ye bata ki wo kidhar dekh rahi hai..."
"wo to apne mobile me dekh rahi hai..."
" ,chal koyi baat nahi..chalta hoon...thanks"udas hote hue maine usase kaha aur waha se uthne ke liye taiyar hee hua tha ki Aradhna ne mujhe pakad kar wapas baitha liya....
.
Aradhna ki ye harqat mujhe kuchh odd si lagi kyunki jaha kuchh der pahle mere samne uski jubaan dhang se nahi khul rahi thi ,wahi ab eka ek usne mera hath pakda aur baithne ke liye kaha....
"kya hua "
"wo kal wale ladke canteen me aaye hai...mujhe unse dar lagta hai..." "dar mat,mera name bata dena..."
"matlab ? Main kuchh samjhi nahi..."
"itna hee samajhti to phhir ladki hee kyun hoti...unse bol dena ki tu meri girl friend hai...phhir wo tujhe kuchh nahi karenge...aur sun..."phhir se Aradhna ke karib jakar maine kaha"aur jab tu unhe ye batayegi ki tu meri girl friend hai to ye dekhna ki teri us Esha mam ka reaction kya hota hai... ab chalta hoon,bye"