Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-45:A corner of the past
Update-176
.
Mere charo plans mere sath lagbhag ek saal tak rahe ,jiska natiza ye hua tha ki mera CPI jo 4th semester ke baad 7.6 tha wo ab 7.9 tak aa pahucha tha aur Seventh Semester ke result ke baad to mujhe puri ummid thi ki mera CPI 8.0 pointer touch kar jayega ya phhir 8.O ko cross kar jayega....5th Semester me camp ke baad maine ek simple ,sharif life gujari thi...jisme na to koyi maar-dhad thi aur na hee koyi laundiyabazi....meri us simple and sharif si life me sirf ek burayi thi jise main door nahi kar paya tha aur wo thi meri daru peene ki aadat, jo ab bhi barkarar hai.....
5th Semester se jaha mere CPI upar chadhne shuru hue ,wahi mere khas dosto ka haal pahle jaisa hee raha...Arun ne thodi ,bahut progress to ki lekin wo 7.5 tak hee atka hua tha..Saurabh 7.2 me tha aur is beech ek saal me Sulabh ke points par jordar girawat hui...pahle jaha uska CPI 8.3 ke karib tha wo ab neeche ludhak kar 7.7 par aa pahucha tha....hum log kabhi aapas me padhayi ki baat nahi karte the
,isliye mujhe Sulabh ke is ghatiya perfomance ka exact reason to nahi maloom...lekin jaha tak meri


samajh jati hai,uske anusar...Megha se din ba din badhta hua Sulabh ka pyar iska reason ho sakta tha....jo bhi ho apne group me to main hee topper tha
.
Mere plans mujhme achchhi-khasi progress kar rahe the ,jisase meri image college me bahut had tak sudhar gayi thi...aur to aur ek hee semester me mere dwara 12 subjects clear karne wale karname ko college ke bigde ladke inspiration ke taur par lete hai  . Mere charo plans ke sath meri bahut achchhi pat rahi thi lekin kuchh dino pahle jab main Seventh Semester ki chhutti ke baad ghar gaya tha to maine ek din ,raat ke waqt socha ki mujhe 8th Semester ke baad kya karna hai....apne future ke isi jhamele me main us raat lagbhag kayi ghante tak ulajhata raha....mere sath Google Maharaj bhi the ,lekin tab bhi mujhe is uljhan se nikalne me kayi ghante lag gaye...jiske baad maine apna ek lakshya decide kiya ,jiski taiyari mujhe 8th Semester ke baad karni thi....isliye maine turant apne sabhi plans ko alwida kaha aur apne purane josh ke sath college me entry mari....
.
Varun aur Gautam ,ye do aise launde the...jo mere ateet me apni ek ghatiya si chhap chhod kar ja chuke the...jab main fifth semester me tha tab Varun college se gaya aur mere seventh Semester me aate-aate tak Gautam ne bhi apni degree puri kar li aur college se chalta bana....Varun aur Gautam dono local launde the isliye mahine-do mahine me apni gand marwane aur rola jhadne college tapak hee padte the....in dono ke college se jane ke baad mujhe bahut hee benefit hua..kyunki College me ab mere samne sar uthane wala koyi nahi bacha tha,siway kuchh hafte pahle bane ek naye group ko chhodkar....kul-milakar kaha jaye to ab pure college par meri badshahat thi aur fourth year me aate hee maine sabse pahle ragging ko roka...shuru me plan to tha ki pure college me senior ladko ko dara- dhamka kar ragging band karwa doon...lekin baad me ye badi aafat sabit hui...isliye phhir maine sirf apne mechanical branch me ragging rukwayi....maine second year se lekar fourth year tak ke class me jakar sabko sakht warning di thi ki koyi bhi ladka ya ladki first year ke students ko nahi pakdega....aur aisa hua bhi....
.
Varun aur Gautam ke jaane ke baad sirf ek kaanta aisa tha jo mujhe chubhta tha aur wo kaanta thi R.Divya...Mujhe hamesha se hee Divya ko dekhkar jaane kyun aisa lagta tha ki wo sali bhootni mere khilaf jaroor koyi na koyi shadyantra rach rahi hai....lekin 8th Semester ke aate-aate tak ab main R.Divya ko jyada serious nahi leta tha...kyunki yadi sach me Divya mere khilaf kuchh soch rahi hoti to ab tak koyi na koyi kand ho hee jata ,jo ki nahi hua tha....
.
Yun to Divya kabhi mere samne kuchh nahi bolti thi lekin mujhe hamesha se yahi lagta ki wo Esha ko mere khilaf bhadka rahi hai...kyunki pichhale ek saal me main aur Esha farewell aur welcome party ke dauran kitni hee baar aamne-samne aaye...lekin har baar wo chandalin Divya uske sath rahti aur uske kaan me kuchh kahti...jiske baad Esha mujhe aise ignore marti jaise ke railway station me do anjaan aadmi ek-dusare ko ignore marte hai....Esha aur mere beech mere dwara Gautam ki thukayi se jo chuppi thi ,wo ab tak bani hui thi...reason wahi tha ki...na to wo shuruat karti aur main shuruat karu ,ye ho nahi sakta.......
.
ek aur bada changes humare is final semester ke pahle hua ,wo ye ki humare hostel ka warden badal gaya...aur jo naya warden humare hostel me aaya wo apni tarah ki fitrat ka tha...matlab ki wo purane wale warden ki tarah har waqt rules and regulations ki baat na karke rum aur whisky ki baat karta tha....kul milakar humari life me pichhale ek saal se kuchh khas nahi hua tha...humare friends circle me


sirf sulabh hee aisa tha jisne maal patayi thi baki bache hum charo (main,Arun,Saurabh aur Pandey ji ) Ke real life aur fb profile par ab bhi single relationship chhapa hua
.
.
Vibha se milkar main canteen ki taraf badha aur waha pahuchte hee maine Arun,Saurabh ko dhoondha lekin dono waha se lapata the...isliye main canteen me jakar ek table par chup-chap baith gaya aur bhookh se tilmilate apne pet ko shant karne ke liye canteen wale ko order de diya....
College me jis naye gang ki baat Rajshri Pandey kar raha tha , yadi wo is waqt canteen me maujood hote to unse mulaqat karne ka ye mera pahla mauka hota....main un laundo se isliye bhi milna chahta tha kyunki unhone pichhale hafte hee city me rahne wale first year ke ek ladke ko mara tha,jiski information mujhe pandey ji ne hee di thi....
main jab tak apna pet bharta raha tab tak Canteen me sab kuchh normal hee raha lekin jab main apna bill pay karne counter par gaya to tabhi puri canteen me kuchh ladke taliya baja-baja kar jor se hasne lage....ab ye to fact hai ki jab koyi aisi bakchodo wali harkat karega to sabki nazar usi par jayegi...isliye us waqt mere sath-sath canteen me mauzood sabhi students ki aankhe unhi ladko par tik gayi...jo ek ladki par hans rahe the....baad me mujhe pata chala ki un laundo ne apna jhootha pani us ladki ke glass me daal diya tha aur phhir uska mazak uda rahe the....
.
"aap log kuchh bolte kyun nahi inhe..."counter par baithe hue shaks ki taraf apne bill ke paise sarkate hue maine kaha...
"ab ek do baar ki baat ho to ,hum kuchh kare bhi...lekin ye to har din ka natak hai...do din pahle yahi ladke canteen me kaam karne wale ek ladke se lad pade the aur use do-teen hath bhi jama diye..." "Principal ke paas shikayat kyun nahi ki aapne..."
"are bhai...apne ko khana-kamana bhi hai...kaun panga le in ladko se...garam khoon hai na jaane humara kya nuksaan kar baithe..."
"bill bharte hai wo ladke ya phhir aise hee free fokat me khate hai..."
"unke baap ka raaz hai kya...jo mufat me khayenge..."counter ke paas canteen me hee kaam karne wala ek aadmi khada hote hue jhallaya...."tumko to char saal se dekh rahe hai...kuchh bolte kyun nahi inhe..." "duniya badi zalim hai mere bhai...free me koyi kuchh nahi karta...mere bill ke paise wapas karo to main abhi ek minute me inhe thik kar doon...."
"ab kya pet pe laat maroge bhai...chalo ek kaam karna,kal paise mat dena...."
"okay baby...."maine goggles apne aankho me lagaya aur wahi counter ke paas khada hokar sochane laga ki mujhe kya karna chahiye....
.
is dauran waha unke paas ek aur ladka aaya , jisne paas ke ek ladke ko zameen me girakar uski chair kheench li aur shaan se baith gaya....jo ladka zameen par gira tha ,uspar sab hans rahe the,siway us ladki ke ,jiske glass me un laundo ne jhootha pani dala tha....
.wo ladka jo zameen par gira tha wo dusare pal hee sharmindagi ke karan apna sar jhukaye hue khada hua aur aankho me aansu liye canteen se bahar gaya...
Goggle lagaye hue main dheere-dheere unki taraf badha aur jis ladke ne abhi ek ladke ko neeche giraya tha uske sar par peechhe se ek jordar chata mara aur jab gusse se wo peechhe muda to collar pakad kar use maine zameen par gira diya....
"sorry dosto....mujhe ek chair chahiye thi,isliye aisa karna pada...anyway Myself Arman........name to suna hee hoga  "
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 02:20 AM



Users browsing this thread: 13 Guest(s)