27-03-2019, 01:34 AM
(This post was last modified: 27-03-2019, 01:59 AM by Samrock19797. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Chapter-43: Plans Active Again
Update-171
.
Angelina ke dwara diye hue zakhm ne mujhe kuchh dino tak apni chapet me pakde rakha ,lekin ghaav jyada gahra nahi tha isliye main ek hafte ke andar hee fit-fat ho gaya tha...Angelina ne mere kamar me jo chaku ghuseda tha uski vajah se main kuchh dino tak bukhar se pareshan raha...jiske karan main next week me kayi din college tak nahi ja saka....Mere khas dosto ne us zakhm ke baare me puchha ki meri kamar me ye chot kaise lagi...us waqt yadi main unko sach bata deta to mujhe pura yakin hai ki wo sab mujhe dhikkarte isliye maine jhooth bol diya ki ' Angelina ko andhere jungle me ped ke sahare chodte waqt peechhe wale ped ka nukeela hissa chubh gaya tha...'
.
Mere is jawab ke baad to mere aur bhi fan ban gaye aur ab to juniors aksar mujhse ladki patane ki tips bhi lene ke liye aane lage the...lekin un falo ko kaun bataye ki mera kaam to mere hath se hee chal raha hai.....
.
Angelina ke dwara diye gaye ghav ko puri tarah bharne me kayi hafte lag gaye aur khud Angelina mere dil-o-dimag me kayi mahino tak chhayi rahi...lekin phhir jaise-jaise din beetata gaya Angelina purani kitaab ki tarah ho gayi thi ,jo aksar ek kinare par pade-pade dhool khati rahti hai...thik us dhool khati kitaab ki tarah maine bhi Angelina aur Angelina ki yaadon ko apne andar dafan kar diya,kyunki Angelina ki yaado ko zinda rakhne ki koyi khas vajah mere paas nahi thi....
.
Camp me jo kuchh bhi hua...uski charcha pure college me to kuchh dino tak hui,lekin phhir baad me sabhi ,sab kuchh bhoolkar apne vartman me jeene lage...
College wapas aakar main bhi bahut khush hua tha, waise to humlog sirf teen din ke liye college se door gaye the,lekin main khush itna tha jaise ki teen janam ke baad aaj main wapas apne college me aaya hoon...main khush isliye bhi tha kyunki kal se apni zindagi phhir usi jaani pahchani napi-tuli track par chalne wali thi aur teen teeno ke baad finally main apne college thik-thak tarike se pahuch hee gaya tha
,jaha 'Arman' shabd sirf mera name nahi, balki ek brand tha...wo bhi No.1 brand
.
Fourth Semester me main 12 subjects ke exam dekar third year me aaya tha. Isliye mera vichar to yahi tha ki jaise masti bhari zindagi maine shuru ke do saal me bitaye the ,waise hee baki ke do saal bhi gujarunga...lekin third year me aate hee mujhe khud lagne laga ki 'lawda iske baad sirf ek saal aur bacha hai aur yadi ab serious nahi hue to phhir puri zindagi serious rahna padega...isliye baki sab chutyape ko side karke sirf aur sirf padhayi par dhyan dete hai....'
.
apne isi soch ko sach ki shakl dene ke liye maine third year ki shuruat me kuchh plans banaye the lekin teen dino ke camp ki masti aur Esha ke karib aane ki chah me maine apne hee plans ki G maar li thi... Camp me jaane ka mera jo pramukh uddeshya tha,wo to pura nahi hua...ulta lene ke dene pad gaye,wo alag....
Camp se wapas aane ke baad maine apne batch ke laundo-laundiyo me ek jabardast utsah dekha...aur wo utsah 'GATE' ke exam ke liye tha...sala jise dekho wahi GATE ke last year ke cutoff ,colleges ke baare me baat karta tha...koyi 'Made Easy' ke gate ke notes kharid raha tha to koyi Internet se sirf aur sirf study material download kar raha tha....jidhar dekho ,udhar Competitive exams ka saya dikhta tha...tab mujhe ahsaas hua ki in sabme main kahi peechhe chhut raha hoon...kyunki na to maine dusaro ki tarah kisi nami-girami coaching classes ke notes liye aur na hee maine GATE , CAT ki coaching classes join ki....in sabke aalawa main jab bhi Google maharaj ke darshan karta to sirf aur sirf porn videos aur movie download karta....Camp ke baad ki college life ne mujhe bahut dara diya tha...mujhe ab sapne me Esha ke sath-sath ,GATE exam ke mangadhat exam center dikhne lage the...aur jab ye dar mere andar badhta gaya to maine bhi Delhi se GATE ke notes manga liya aur next semester se GATE ki coaching join karne ka faisala kiya.....
.
Mera dar mujhpar iskadar hawi nahi hota yadi hume motivate karne ke liye tarah-tarah ke seminar aayojit nahi kiye jate to...Seminar me lecture dene walo ko college me isliye bulaya jata tha taki students motivate ho...lekin sala mujhpar to un seminars ka ulta hee asar ho raha tha kyunki fale pure time sirf aur sirf toppers ki baate karte the...exam me dhakke-mukke lagakar paas hone wale mujh jaise students ke liye seminar me lecture dene walo ke paas kuchh nahi tha ,is karan jab bhi koyi Seminar khatm hota to ek sawal main har baar khud se puchhta ki'ek saal baad mera kya hoga ?'
.
Mera dimag pure seminar bas un mahapurasho ko gali dene me gujarta ,jo BC hum jaise students ki baat hee nahi kar rahe the....har Seminar ki shuruat kuchh jane-pahchane ya phhir kahe ki kuchh behad hee ghise-pite sawal se shuru hoti thi....jaise ki 'aapne Engineering field kyun chuna'
.
Aur ek seminar ke daurani yahi sawal talwaar bankar mera gala katne ko taiyar hua. actually hua kuchh yun tha ki ek Seminar ki starting me badhiya suit-boot pahne ek aadmi ne meri taraf ishara kiya aur mujhse puchha ki'tumne apne career ke liye engineering field hee kyun chuna '
.
Ab BC ,meri fat ke hath me aa gayi ,kyunki class me khade hokar bakchodi bhare jawab dena alag baat
thi aur yaha itne logo ke beech kuchh bolna alag baat thi...shuru-shuru me maine socha ki Ranchhod das Chanchad ki tarah main bhi ye kah du ki'Sir,mujhe bachpan se machino se pyar tha...........' .lekin phhir baad me socha ki is sale ne bhi to '3 idiots' dekhi hogi...kahi lawda insult na kar de....
.
"common, sabko batao ki tumne engineering karne ka faisala kyun kiya...gharwalo ne math dila diya isliye is line par aaye ya phhir biology palle nahi padti thi...isliye idhar tapak pade..."jab main chup-chap khada tha to Seminar ke pramukh vakta ne meri khichayi ki....
"maine Engineering ko ek achchhi naukari ke liye chuna, ek achchhi life ke liye chuna, achchhe paise ke liye chuna aur in sabse badi vajah maine Engineering, ek achchhi ladki ke liye chuna...."mujhe us waqt jo sujha wo maine fatafat bol diya...
"good...yahi aim mera bhi tha ,sit down.."
Aur phhir main pure shaan-o-shaukat ke sath baitha....ek baat jo batani jaroori hai wo ye ki mera dar sirf mere tak hee seemit tha ,bakiyo ke liye main pahle wala hee ghamandi aur maar dhad karne wala Arman tha...yani ki mera Attitude, mera rutba jo college me pahle tha wo mere andar darr ke is ghane bhuchal ke baad bhi kayam tha....kyunki mere college me 'Arman' shabd sirf ek name nahi balki ek brand tha ,wo bhi No.1 brand
.
Is beech humare last semester ke result aaye aur har baar ki tarah is baar bhi university mujhpar meharbaan dikhi...lekin had to tab ho gayi,jab maine dekha ki main pure ke pure 12 subjects me Pass ho gaya tha...bole to i was very happy
Mere is result se sabko bahut jordar jhatka laga, mere chahne wale jaha is jordar jhatke se ati-prassan
the wahi mujhse nafrat karne walo ko mere exam ke result ne aisa jhatka diya tha ki unki sitti pitti gum ho gayi thi aur College me meri TRP me jabarjast badhotari hui thi....aur main...main to khush hee
hounga na,bhala pass hokar koyi dukhi hota hai kya
.
Mere CPI ab char semester ke baad 7.5 touch kar chuka tha aur mere result ne mujhe dobara se apne plans ko activate karne ke liye majboor kiya...aur maine bina kisi deri ke apne plans ,jo ki Camp me jane ke karan toot kar bikhar gaye the, unhe dobara joda aur activate kiya....us semester maine pelam pel padhayi to nahi ki lekin Fifth Semester ke exam mere ab tak ke engineering life me sabse achchhe beete the aur ye first time tha,jab main apna seena thok kar bol sakta tha ki 'kisi ka baap bhi mujhe fail nahi kar sakta...chahe koyi kitna bhi hard copy check kare '
.
"Arman ,lunch ke baad class bunk karke movie dekhne chalenge..."Chalti class ke beech me Arun ne ek kagaj par ye likha aur meri taraf kagaj ka tukda sarkaya....
Man to mera bhi tha ki movie dekhne chala jaye ,kyunki ye to 6th Semester ki shuruat hai aur thodi bahut masti to chalti rahti hai...lekin tabhi mere 1400 gm ke dimag ne Plan No.4 ka invention kiya...aur maine Arun ki taraf apni gardan na me hila di...
.
"chodunga ,lawde yadi mana kiya to...jaan se maar dunga..."ek aur kagaj ka tukda Arun ne fada aur ye sab likhkar meri taraf sarkaya...jiske baad maine usi kagaj ke tukde ke dusari taraf apna final decision likhkar Arun ki taraf wo tukda badha diya...jisme maine likha tha ki...
"Plan No. 1- Respect Your teachers.
Plan No. 2- Quit Smoking as early as Possible.
Plan No. 3- Saty away from Girls. AND
Plan No.4- Never bunk the classes."