Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#94
Chapter-37:New Curve of life
Update-141
.


"Arman sir, i have a question..."beech me break lagate hue Varun ne kaha"tune video principal ko kaise dikhaya.kyunki Principal tera koyi dost to hai nahi jo tu uske kandhe par hath rakhkar deepika mam ki chudai ka video play kar dega... "
"yaad hai maine ek baar kaha tha ki Govt. College ke teachers ko sir bhale na kaho...lekin Peon ko sir kahna hee padta hai..."
"iska matlab tune peon ki madad se wo video..."
"yes..."beech me hee Varun ko rok kar maine kaha"aur tu ye baar-baar disturab mat kiya kar be,flow bigad jata hai..."
"okayyy...ab kuchh nahi bolunga."
.
.
Fourth semester ke end tak wo sari aag bujh chuki thi jiski shuruat third semester se hui thi. Maine apne sare dushmano se apna badla le liya tha,chahe wo Gautam ho ya phhir Naushad...chahe wo deepika ho ya phhir first year me meri ragging lene wala wo senior jo aaj hospital me pada hua tha. Mujhe ye jaankar us din bahut sukoon mila jab mujhe ye information mili ki Naushad aur wo senior 4th sem. Ka exam nahi de payenge aur finally humare college ko deepika mam se chhutkana mil hee gaya. Mere khayal se deepika mam ko college se nikalwane ke karan jaha ek taraf mera badla pura hua wahi dusari taraf maine kayi sare ladko ko bigadne se bacha liya tha.(mujhe to noble prize milna
chahiye  ).Deepika mam college se bhale chali gayi thi lekin itna to sure tha ki unka name is college me amar ho chuka tha kyunki college ke ladke ab uske name par different variety ke joke banane wale the aur jab ladke engineer ho to joke aur bhi jyada gahra aur khatarnak ho jata hai
Gautam ke baap ke gundo ne mujhe bahut dhoya ,main isase inkar nahi karta....lekin maine Gautam ko buri tarah dhoya ,isko bhi koyi inkar nahi kar sakta. Isliye man hee man me maine ye maan liya ki isme bhi jeet meri hee hui hai.Mujhse buri tarah maar khane ke baad Gautam me achanak se bahut bada badlav aa gaya tha. Aksar college me jab hum na chahte hue bhi ek-dusare ke samne aa jate to wo chup- chap waha se nikal leta tha, ab uska role college me sirf basketball ki vajah tha.Gautam ek handsome launda tha ise main manta hoon lekin college ki bahut si ladkiya uske peechhe sirf uska basketball ka game dekhkar padi thi aur ladkiyo me uska craze aaj bhi wahi tha jo pahle ke dino me hua karta tha lekin ek sawal yaha bhi paida hota hai ki aakhir kab tak...kyunki jis bhi din main basketball court me dobara kadam rakhunga us din mere khayal se uska wo role bhi khatam ho jayega aur phhir college ki aadhi ladkiya mere peechhe pagal hogi. Lekin mera aisa kuchh bhi karne ka koyi mood nahi tha ,jiski do vajah thi...pahli vajah ye ki main khud ab basketball nahi khelna chahta tha aur dusari vajah ye ki ab main is ladayi-jhagde se tang aa chuka tha...main nahi chahta tha ki basketball ke game se Gautam ki dhak khatam karke main ek naye vivad ko janam du,jisase ek baar phhir wahi sab kuchh ho...jo pichhale kuchh mahine me hua tha.
.
waise ek hisab se dekha jaye to college ka ye saal mere liye bahut achchha bhi raha kyunki maine college ke un bade se bade laundo ko pela,jo sher bane phhirte the aur un sabko marne ke baad college me ab sirf ek sher hee bacha tha aur wo main tha  .meri college me entry hote hee ladke aise behave karte jaise main koyi super hero hoon aur abhi-abhi duniya ko bacha kar aa raha hoon...ab mere aas- paas aksar bahut se ladko ka jhund rahne laga tha. Sare ladke aksar mujhse puchhate rahte ki maine kaise sabko pela aur main mirch masale lagakar un sabko apne bahaduri ke kisse aise sunata ki wo log mere fan ban jate the. College me meri popularity ka grapgh ekdum maximum level par ja pahucha


tha,jiska andaza maine facebook se lagaya. Jab maine pahle ki tarah wapas fb par active hua aur apni id log in ki to GET WELL SOON ke na jane kitne messeges, kitne comment meri profile par the. Aur college ke kayi sare ladko ki friend request bhi pending me thi. Main jab bhi koyi status ya photo facebook me chipkata to unpar 100-150 like to aam si baat ho gayi thi aur comments ki to puchho hee mat
.
Mujhe ek nuksan bhi meri in harkato ki vajah se uthana pada aur wo nuksan ye tha ki college ki lagbhag sabhi ladkiyo ne mujhe unfriend kar diya tha.... Ye nuksan uthane wala main akela nahi tha . Saurabh aur Arun ko bhi college ki lagbhag sari items ne unfriend kar diya tha ,jiska reason sirf itna sa tha ki main un dono ka khas dost tha....
mujhpar college ki ladkiyo ki is harkat ka koyi khas asar to nahi pada lekin Saurabh aur Arun ke to jaise zindagi bhar ki facebook me kamayi hui ladkiya lut gayi thi.bechare inhi ladkiyo ki vajah se wo dono na jaane kitne din fb me block rahe the
.
Yadi is saal kisi chiz ne mera dil dukhaya to wo tha mera exam na de pana...kyunki semester me 6 paper hee bade mushkil se clear hote the aur ab fourth semester me mujhpar direct 12 paper ka load aa gaya tha, jo ki bahut hee jyada mera dil dukha raha tha. dusari chiz jisne mera dil dukhaya tha ,wo thi Esha ka mujhse baat na karna....na jaane us bhoori aankh wali ladki me aisa kya tha ki itne sare jhamele hone ke bawjood,itne sare tension hone ke bawjood...uski tasveer aaj bhi dil aur dimag me ekdum clear thi. Jab bhi main akele hota ,jaise ki raat ko sote samay, thodi-bahut padhayi karte samay aur bathroom me nahate samay uski yaad aa hee jati thi. Lekin abhi kuchh dino pahle jab maine fb par log in kiya to paya ki usne mujhe block karke rakha hua hai...yani ki baat karne ka aakhiri rasta bhi CLOSED !
.
teesari chiz jo mera dil dukhati hai ,wo hai Sidar ki maut....ye ek aisi ghatna thi,jiska asar sabse jyada hua tha.mujhe abhi bhi kabhi-kabhi lagta ki Sidar ki maut ek jhooth hai, dhokha hai...zindagi ka chhalawa hai...aksar uski kahi hui baate mere kano me gunjane lagti aur tab mujhe lagta ki jaise maine apne is char saal ke safar ke ek bahut hee aham ,ek bahut hee khas humsafar ko kho diya tha.....
.
Exam khatm hue aur mere sare paper unexpected gaye, kyunki jaha maine ek taraf ummid laga rakhi thi ki mere hazaro back lagenge wahi dusari taraf main dus paper me sure tha ki ye to clear hee honge...baki ke do paper me 50-50 ka chance tha...lekin phhir bhi ek ummid thi ki main is baar full AC ke sath niklunga aur sabki faad dunga...exam ke baad mere man me ek vichar aaya ki yadi main abhi bhi padhna shuru kar du to main class me top maar sakta hoon...
third year shuru hone se pahle maine bahut sare plan banaye...jaise ki roj subah 6 baje uthna ,phhir padhayi karna ,phhir naha dhokar college jana,sham ko 5 baje college se aane ke baad do ghante aaram karna ,phhir 3-4 ghante padhayi karna aur aakhir me bakayada muth maarkar sona....maine socha ki ab no fight,no panga...maine tay kiya ki ab main bhi ek normal student ki life jiunga matlab ki khoob dil lagakar padhunga aur exam me achchhe marks lakar gharwalo ko khush karunga...
.
ye sab karne ke liye sabse pahla kaam jo mujhe karna tha wo tha apne teachers ki respect karna aur class me ek bhi bakchodi na karke ekdum sincere rahna..kyunki mera aisa manna hai koyi bhi student apne teacher se tabhi kuchh seekh sakta hai,jab wo us teacher ki respect kare...isliye mera kaam ye tha ki kisi bhi teacher ko koyi bhi gali nahi bakunga...phhir chahe wo Vibha darling hee kyun na ho...
dusara kaam jo mujhe karna tha wo ye ki main padhne wale ladko ke sath rahu isliye main bhi wo karu jo


3 idiots me Raju Rastogi ne kiya tha...yani ki apna room badal kar kisi chatur jaise ladke ke room me shift ho jaye...lekin mere hostel me na to koyi chatur jaisa tha aur na hee main Raju Rastogi tha ,isliye is plan ko maine turant apne mind se delete maar diya...
teesara kaam jo mujhe karna tha wo ye ki har normal student ki tarah fadu tarike se discipline me rahna..bole to dress ekdum saaf ho aur chappu kisam ki ho....lekin dusare plan ki tarah isme bhi dikkate thi...pahli dikkat ye ki main koyi chappu dress nahi pahanne wala tha aur dusari dikkat ye ki ab sala kaun roj-roj apni college dress dhoye,isliye maine is plan ko bhi mind se delete kiya aur socha ki baad me sochenge,jab college shuru ho jayega  filhal abhi jo chhutti mili hai usko enjoy karte hai aur ghar ka badhiya khana khate hai
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-142
 
.
Lambi chhutti aur training ke baad aakhirkar college shuru ho hee gaya aur hostel me aakar jo sabse pahla khayal mere dimag me aana chahiye tha ,wo padhayi ke baare me hona chahiye tha. Lekin mere dimag me jo khayal aaya wo padhayi ke baare me na hokar meri seniority ke baare me tha. Main ab third year me aa chuka tha yani ki Pre-Final year aur normally college ke new students third year aur final year ke ladko se bahut darte hai.isliye college ke hostel me andar gguste hee maine apna seena chauda kiya aur apne room me gaya....
jab mujhe koyi first year aur second year me nahi rok paya to third year me koyi kya rokega...ye sochate hue main dusare din college jane ke liye taiyar ho raha tha.
"yar ,Arman...ab to hum log third year me aa gaye hai,bole to ab ekdum fadu masti karenge kyunki ab hume rokne se teachers ki bhi gand fategi..."mujhe aaine ke samne se hatate hue Arun bola "yo...beta Arun ,aaj college ka pahla din hai..isliye mere pair chhukar mera aashirwad le le..pura saal achchha jayega..."


"tu ab subah-subah mat kha aur la kanghi de..."
"kanghi......ummm..."yaad karte hue main bola"sala koyi aaya tha room me kanghi mangane,phhir maine use diya..."
abhi main yaad hee kar raha tha ki kanghi kiske paas hai,tabhi Arun ne tez aawaz me mujhe toka... "to ja lekar aa...mana kiya tha na kisi ko kanghi dene se..."
"dekh..wo kya hai ki main danveer karna ki tarah hoon,isliye subah-subah mujhse yadi koyi meri jaan bhi mang le to main mana nahi kar sakta.usne to phhir bhi ek kanghi mangi thi..."
"beta yadi ,danveer banne ka itna hee shauk hai to apni chize dan kiya kar,warna muh me lawda pel dunga aur kya kaha tune...ki subah-subah tujhse koyi bhi aakar kuchh bhi mange to tu use mana nahi karta..."
"yo baby yo..."
"to phhir danveer ji, aap mujhe apna lund katkar dijiye..."
"balak ab teri murad puri nahi ho sakti,kyunki maine subah hee kisi ko kanghi dan me de di hai...tum kal aana bachcha.."
"Saurabh...bamboo dena to jara... is danveer ko pranam karne ka man kar raha hai..."
.
Arun ke hath me hockey stick aate hee ek hath se apna bag uthakar main waha se bhaga aur mere peechhe Arun bhi bhaga...pahle main seedhiyo se neeche utarkar khada ho gaya aur ye socha ki shayad Arun wapas room ki taraf chala gaya hai...lekin hath me gada liye Arun seedhiyo se neeche utra aur yamraj ki style me apne daant dikhate hue bola
"ha...ha..ha..ab kaha jayega danveer.."
"duniya bahut badi hai baby..."bolte hue main hostel ke dusare chhor ki taraf bhaga,jaha se upar jane ke liye seedhiya bani hui thi....main kayi baar seedhiyo se upar chadha aur neeche utara lekin meri pareshani jara si bhi kam nahi hui kyunki Arun ab bhi apne hath me wo bamboo liye mujhe dauda raha...
.
"ye sala,ek kanghi ke liye ro raha hai, dhat teri ki..."bhagte hue main chillaya"abey kutte, kyun mar riya hai aaj sham ko 10 kanghi lakar tere muh par fekunga...aur waise bhi teri wo peeli kanghi ekdum bakwas thi."
"tu to aaj bachega nahi,Arman...aaj ya to tu shahid hoga ya main..."
"ye lawda aise nahi manega..ise iski wo peeli color wali kanghi lakar deni hee padegi..."Seedhiyo se neeche utarte hue maine sochna shuru kiya"sabse pahle jo launda kanghi le gaya tha ,wo mere room se do room chhodkar rahta hai...lekin usne to kanghi lakar wapas kar di thi...uske baad neeche floor wala launda aaya aur kanghi lekar gaya aur...aur sale ne abhi tak kanghi wapas nahi lautaya,uski maa ki..." Seedhiyo se upar chadhte hue main us ladke ke room ki taraf bhaga, jiske room me Arun ki wo peeli kanghi thi..daudte hue main seedhe us ladke ke room me ghusa aur mere peechhe Arun bhi room ke andar aaya.
"bose dk..jab saman late ho to wapas bhi kar diya karo..."hafte hue maine us ladke ko dekhkar kaha,jo mere room se kanghi lekar aaya tha.
mujhe dekhkar us ladke ke chehre ke rang achanak badal gaye aur usne apni geeli towel mujhe dekhte hue bistar par fek di...uski is harqat se main samajh gaya ki sale ka kanghi lautane ka koyi vichar nahi hai aur kanghi ko chhipane ke liye usne abhi-abhi bistar par apni towel feki hai.
"sale kanghi chor..kallu, tu sale jitna bahar se kala koyla hai utna hee andar se bhi hai...la kanghi de." "maine to teri kanghi wapas kar di thi,Arman...yaad kar"wo kallu jhooth bolte hue us towel ke upar baith gaya ,jiske neeche Arun ki kanghi thi.


"Arun,tere jute ka size kya hai.."maine puchha. "kyun..."
"abey dialogue marna hai.."
"tu pahle mujhe meri kanghi lakar de...warna dialogue to main tujh par marunga.."
"bhad me ja..usne apne gand ke neeche kanghi chhipa rakhi hai.tu us sale kallu ki gand markar apni kanghi le le...main chala college."waha se bahar nikalte hue main badbadaya"BC ab tak to ye log pen,copy ,tel aur sabun churate the ,ab salo ne kanghi chori karna bhi shuru kar diya  "
.
Bathroom me jakar maine apna chehra dhoya aur Arun ko galiya bakte hue Saurabh ke sath college ke liye nikal pada...
duniya me yadi aap bure kaam karoge to us bure kaam me sath dene ke liye sab turant razi ho jayenge lekin yadi aap us bure kaam ki jagah ek achchha kaam karne nikloge to koyi sath nahi dega upar se dus log aakar tokenge...aisa hee kuchh mere sath in dino ho raha tha.do din pahle hee main holiday manakar hostel aaya tha aur aate hee maine Saurabh,Arun se kaha ki is saal no masti,no panga only padhayi....maine itna kya kaha,wo dono sale mujhe aise dekhne lage..jaise maine unka khana chheenkar kha liya ho.usi din se ya phhir kahe ki usi pal se wo dono mujhe chidhane lage aur apni harsambhav koshish karne me jut gaye jisase mere sar se padhayi karne ka bhoot utar jaye...lekin maine un dono ki ek na suni aur aaj pahli baar har subject ke liye ek rough copy na lejakar har subject ke liye alag-alag copy le ja raha tha ,wo bhi bakayada cover chadha kar.
.
Is saal bhi kayi teachers ne humara sath chhoda,jisme dammo rani, aap physics ke khilaf nahi ja sakte ke janmdata-Shri Kurre sir bhi shamil the aur sach batau to in dono ke jane se main behad khush
tha.  lekin ek bomb ab bhi mauzood tha aur wo bomb thi humari FM ki teacher Vibha... maine aaj sari class me man lagakar padhayi ki,.jo-jo teachers ne board me likhaya use bakayada achchhe tarike se copy me utara.yaha tak ki maine lab ke liye bhi practical file aur pages kharid liye the,bole to apun padhne ke full mood me tha.
.
"Arman...roll No. 11"
"Present mam..."hath khada karke maine apni upastithi Vibha mam ke khate me darj karayi....
jab sabne apni upastithi darj karwa di to Vibha apni jagah se uthi aur 5-5 ka group banane ko bolkar aage chali gayi....
"ab ek-ek karke har group aayega aur Turbines ke model dekhega..."Vibha mam ne kaha,jiske baad ek-ek group bari-bari se jata aur Turbines ke model dekhkar aata.jab sabne turbine dekh liya to Vibha ne sabko jo bhi aaj samjha hai use likhne ke liye kaha. Maine man lagakar samjha  isliye bhaka-bhak likhna shuru kar diya aur non-stop 5 minute tak likhta raha.
"stop writing..."bolte hue Vibha ne sabke pen ko viram diya aur phhir ek-ek ko bulakar personally batti dene lagi...mera roll no. thoda peechhe tha isliye main Arun ke paas gaya.
"kuchh likha be lawde ya abhi tak hila raha hai..."
"maa kasam yar,kuchh samajh hee nahi aaya.sali solid tarike se ijjat ko turbine me ghuma-ghuma kar chodegi..."ghabrate hue Arun bola"kuchh soch na be  "
"ek kaam kar, ye le mera copy tu dikha dena aur samne wale page par jo mera name likha hai,use fad dena..."kuchh sochte hue maine apni copy Arun ke hath me thama di.
"aur tu..."


"pyar karti hai Vibha mam mujhse,mujhe kuchh nahi kahegi.tu meri chinta chhod..." "thanks yar, i love you."
"  aisa kya,phhir muh me lena ek baar"
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-143
"thanks yar, i love you."
"  aisa kya,phhir muh me lena ek baar"
.
Main apne wallet me hamesha ek-do band-aid rakhta hee tha ,kyunki kya pata kab jaroorat pad jaye. Abhi Vibha mam roll no. 8 wale ko batti de rahi thi ki maine do band-aid wallet me se nikal kar left hand me chipkaya aur jab meri bari aayi to main khali hath Vibha mam ki taraf badha....
"khali hath kyun aaye, tumhari copy kaha hai..."
"mam main likh nahi sakta,hath me bahut gahra zakhm hai..."left hand Vibha mam ko dikhate hue maine kaha"yadi jara si bhi harkat karu to bahut dard hota hai..."
Vibha mam meri is chalaki par pahle muskurayi aur phhir chair me peechhe ki taraf hokar boli"tumhe bahana banana bahut aata hai ,mujhe pakka maloom hai ki tumhare hath me kuchh nahi hua hai...right " "nahi..nahi, sach me mere left hand me dard ho raha hai aur yadi yakin na ho to band-aid kholkar dikhau..."
"rahne do...iski koyi jaroorat nahi." "to phhir main jaun..."
"ek shart par..."chair par seedhe hote hue Vibha boli"tumhe deepika ka video kaha se mila..."
"deepika mam ke baare me sunkar mujhe bahut dukh hua, wo mere behad karib thi aur aap kis video ki baat kar rahi hai..."
"dekho Arman...main janti hoon ki wo video tumhi ne Principal ke hatho tak pahuchaya tha aur main kya,sara college ye janta hai..."
"mujhe nahi pata ki ye afwah kisne failayi hai aur aap to mera nature janti hee ho ki na to main kabhi


jhooth bolta hoon  aur na hee koyi baat kisi se chhupata hoon...actually main ek khuli kitab ki tarah hai jise koyi bhi panne palat-palat kar padh sakta hai ."
"hmm..."
"main ye kahna chahta hoon ki yadi maine waisa kuchh kiya hota to main seena thok kar bolta ki maine kiya hai...."
"thik hai tum jao, "mujhe jane ke liye kahkar Vibha ne agle roll number wale ko bulaya,jo ki Arun hee tha..
.
"kya boli wo item tere se..."jab Arun Vibha mam ke paas se aaya to maine uske aate hee puchha. "kuchh khas nahi,bas meri badayi kar rahi thi thoda..."
"yani ki meri badayi...ab bol ki kya hua udhar"
"abey kaha na kuchh khas nahi,usne bas itna kaha ki Arun, tumhari writing superb hai...dhyan se padhayi karoge to achchhe marks score kar sakte ho..."apna bag taangkar Arun bola"chal ,hostel chalte hai...Vibha se maine permission le li hai..."
.
Hostel ki taraf jate waqt mujhe Vibha ke dwara kahi gayi wo baat yaad aa rahi thi ,jo usne Arun se kaha tha aur tabhi mujhe mera plan no. #1 yaad aaya "Respect your teachers."
ab Vibha pahle jaise bhi rahe ho lekin teacher banne ke baad wo puri tarah se sudhar chuki thi.meri vajah se Varun ke sath jo uska break up hua, wo tab se aaj tak single hee hai...kyunki yadi uska koyi naya majnu hota to kahi na kahi se mujhe khabar mil hee jati aur waise bhi mujhe kisi ke personal life se kya lena dena tha.Vibha chahe bahar jisase bhi chudwaye, chahe to wo bikni pahankar ghoome...wo uski life thi.isliye filhal to maine man hee man me ye tay kiya ki main ab usko be-matlab ki galiya nahi bakunga.....
Ye sochate hue main Arun ke sath hostel ki taraf badh raha tha.Saurabh dusare group me tha,isliye college se ek sath aana kabhi-kabhar hee ho pata tha.
"Arman ,tujhe Varun ke baare me maloom chala ya nahi..."college se bahar nikalte hee Arun achanak ruk gaya
"kyun mar gaya kya wo..."maine puchha..
"nahi be, wo uska 7 saal ho gaya tha na to use college se nikal diya gaya hai...ab wo college nahi aa sakta aur is saal uska last chance hai yadi wo is saal bhi paper clear nahi kar paya to uspar NFT lag jayega bole to Not For Technical..."
"aisa bhi hota hai kya..."
"bilkul hota hai, ab college wale zindagi bhar to usko yaha rakhenge nahi..jara soch uski kya dhansu bejjati hone wali hai..."
"hone de,apne ko kya..."
.
Thodi der baad hum dono hostel ke bahar pahuch gaye aur main is saal ke liye naye-naye plans aur strategy banane me busy tha ki Arun ki aawaz mere kano me padi...
"kyun be sale ,kallu...kanghi chor bose dk...idhar aa"Arun ne hostel se bahar nikalte hue us kanghi chor kallu ko apne paas aane ke liye kaha aur jab wo Humare paas aa gaya to Arun phhir se shuru ho gaya"ek to sale jhat ke jaisi shakal hai teri aur uspar tu kanghi chori karta hai lawde..wo bhi apne in mude-mude balo ke liye,jo mere jhat se bhi jyada mude hue hai...."
"tere se to handsome hee dikhta hoon..."jhujhlate hue kallu ne kaha...
"lawda dikhta hai mera tu. Beta yadi mere lund aur teri shakal ko ek sath dekha jaye to mera lund hee


khubsurat dikhega....chal nikal yaha se,kanghi chor..."
Us kallu ko shayad ye dar tha ki kahi hum dono use pel na de kyunki last year humne jo karnama kiya...use dekhte hue ye to humare baye hath khel tha.isliye kallu chup-chap jis kaam ke liye nikla tha usi kaam ko karne ke liye waha se aage badh gaya....
"sun be..."abki baar maine use aawaz di"aate samay cigarette ka ek dibba lete aana warna chod-chod kar gora kar dunga..."
.
Hum dono ka raub dekhte hue kallu ne haan me apna sar hilaya aur waha se humare paas se aage badh gaya...lekin tabhi mujhe mera plan no. 2 yaad aa gaya. maine kallu ko wapas bulaya aur use sorry kahkar cigarette lane ke mana kar diya.meri is harkat par jaha us kallu ki khushi ka thikana nahi tha wahi dusari taraf mera khas dost mujhe bedhadak sunaye ja raha tha aur baar-baar mujhse yahi puchh raha tha ki "jab free me cigarette mil rahi thi to maine mana kyun kar diya...."
"samjha kar,kabhi kabhar nek kaam bhi kar lena chahiye...."
"tu beta,ab mujhse tab tak baat mat karna,jab tak tu mere liye cigarette ka packet nahi le aata..."apne pair patakte hue Arun waha se akele hostel ke andar ghus gaya....
.
Maine kallu ko cigarette lane ke liye mana isliye kiya tha kyunki mujhe achanak mera plan no. #2 yaad aa gaya tha ,jiske anusar"Quit Smoking as early as possible..."
Ab cigarette aur daru ki lat to ekdum se to chhut nahi sakti isliye maine decide kiya ki...dheere-dheere karke smoking bhi chhod dunga aur daru bhi....
.
Waha se main bina hostel gaye ,dukan ki taraf badha aur cigarette ki ek packet lekar hee hostel me aaya...room me pahucha to dekha ki waha to puri mandali jama hui hai aur sab bhai log kisi topic pe vad- vivad kar rahe the...
"le be tham..."Arun ke muh par cigarette ka packet fekte hue maine puchha"aur ye mahabharat kyun chhed rakha hai..."
"Arman bhai ,aap pahle ye batao ki Vibha aapko kaisi lagti hai..."us mandali me apna Rajshri bhi shamil tha aur jab usne mujhse ye puchha ki Vibha mujhe kaisi lagti hai to main fauran samajh gaya ki inke vad- vivad ka topic Vibha hee hai...
"maal lagti hai ,kyun "
"are maal to wo sabko lagti hai Arman bhai...mere puchhane ka matlab tha ki uska nature kis tarah ka hai..."
"hmm...thik-thak to hai,bas students par work load jyada de deti hai kabhi-kabhi..." "are Arman bhai ,aap abhi bhi nahi samjhe..."
"abey to tu hee bata de ki sahi answer kya hai aur lawde tujhe koyi kaam dham nahi rahta kya jo jab dekho mere hee room me ghuse rahta hai..."
"mujhe to Vibha mam randi lagti hai...Arman bhai..."Rajshri ne apne daant dikhaye ,jo Rajshri khane ke karan laal ho gaye the.
.
Plan No #1 -Respect your teachers....
mere kaan me jaise ye aawaz gunji aur maine turant na me sar hilakar un sabko fauran waha se jane ke liye kaha....
"apun abhich chala jayega...lekin pahle Saurabh bhai ye batayenge ki kaun jeeta...."bolte hue Rajshri Pandey ne apna rukh Saurabh ki taraf kiya....


"tamam sabuton aur gawaho ko maddenazar rakhte hue ye adalat is nateeje par pahuchi hai ki Rajshri ke sath jyada ladko ka samarthan hone karan Vibha ko randi aur Rajshri aur Arun ko ye adalat vijeta ghosit karti hai...jo launde is debate me haar gaye hai unhe ye adalat abhi turant yaha se khisakne ka huqum deti hai."
.
"Vibha randi nahi hai be,tum log na kisi ke baare me bhi kuchh bhi bolte rahte ho..."sabke jane ke baad maine Arun se kaha..
"tu jab se ghar hokar aaya hai,tab se main observe kar raha hoon ki tera rang badalta ja raha hai.."
"abey Arun ,ab yadi tu apni girlfriend ko patakar thokega to kya tujhe sab randwa kahenge...to phhir tum log Vibha ko randi kyun bol rahe ho,usne to sirf Varun ka hee liya hai...isme wo randi kaha se ho gayi..." Mere muh se ye sab sunkar Saurabh aur Arun buri tarah chauk gaye ,unhe yakin hee nahi ho raha tha ki mere jaisa launda Vibha ko respect de raha hai....
"wo sab to thik hai...lekin kya tu mujhe ye batayega ki tu aaj uski side kyun le raha hai..."
Arun ke is sawal ne mujhe sochane ke liye mazboor kar diya ,main Vibha ki side kyun le raha hoon...kyunki mere plan no. #1 ke mutabiq mujhe sirf class me teachers ko respect dena tha...phhir Vibha ka mamla aate hee main itna uttejit kaise ho gaya ?
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-144
Arun ke us sawal ne mujhe sochane ke liye mazboor kar diya ki main Vibha ki side kyun le raha hoon...kyunki mere plan no. #1 ke mutabiq mujhe sirf class me teachers ko respect dena tha...phhir Vibha ka mamla aate hee main itna uttejit kaise ho gaya ?
.
"tum dono chup rahoge be, main abhi padhayi kar raha hoon..."
Raat ko 7 baje jab padhne likhne ka mood hua to main book kholkar baith gaya aur abhi 7 se 8 baj chuke the...lekin abhi tak ek ghante me main sirf ek paragraph padh paya tha,jiska karan ye tha ki Arun aur Saurabh college ki apni behudi baate kar rahe the...Shuru me Arun use batane laga ki aaj lab me kya hua aur jab wo chup hua to Saurabh shuru ho gaya....un dono ki jab lab ki baate khatm hui to aaj khane me kya milega ispar dono bahas karne lage.....


lawdo, bhago yaha se.."gusse se kitab band karte hue main uth khada hua...
"abey Arman, tu bhi kya abhi se kitab kholkar padhne baith gaya ,asli engineers to raat ko 12 baje ke baad padhayi karte hai aur waise bhi padhne likhne se kiska bhala hua hai...." thande lahje me Saurabh ne kaha ,jiska Arun ne bhi samarthan dete hue kaha"tu beta, kisi tantrik ke paas jakar jhad-phhook kara...tujhe pakka kisi kitabi keede ki nazar lag gayi hai...isiliye tu aajkal sarifo wali harkate karne laga hai..."
"soch le Arun...kyunki yadi aaj maine nahi padha to kal ki lab me tujhe kaun answer batayega aur kuchh ladke to ye bhi bol rahe the ki kal shayad HOD sir bhi mauzood honge waha lab me..."
"sach... "
"tujhe to pata hee hai ki main kabhi jhooth nahi bolta "
.
Arun apna sar khujate hue kuchh der tak kisi soch me dooba raha aur phhir wo bhi file pakad kar likhne baith gaya bole to ab main aur Arun ekdum shant the.
"maro salo...abhi to masti ke din hai...jab ye din nikal jayenge tab rote rahoge ki kash...kash wo ek din phhir se aa jaye,jab dobara se wahi third class ki life jeene ka maza liya ja sake..."tej tarrar tever me hum dono ko bolte hue Saurabh waha se bahar nikal gaya aur main aur Arun ek dusare ka muh takne lage.... "bhad me jaye..."bolte hue maine wapas se FM ki book kholi aur dusare paragraph se reading shuru ki.... "gand maraye ..."bolte hue Arun bhi file complete karne me busy ho gaya....
.
main janta tha ki yadi Saurabh aur Arun me se kisi ek ko apni taraf karna ho to sabse pahle Arun par jaal fekna chahiye kyunki Arun thoda bhola kisam ka tha aur yadi use kisi chiz ke liye dara diya jaye to wo thoda-thoda darne bhi lagta tha...jaisa ki maine abhi kuchh der pahle hod ka dar uske dil me bitha diya,jiski vajah se wo is samay file complete kar raha tha. Actually mujhe pahle se hee maloom tha ki Saurabh aur Arun ,meri study me kaante ki tarah chubhenge isliye maine pahle se hee tay kar rakha tha ki Arun ko kisi tarah se manakar apne side me karna hai aur isiliye maine aaj FM ki lab me Arun ko apni copy thama diya tha...jisase wo baad me mera sath de. FM ki lab ke baad Arun ko thoda-thoda yakin ho chala tha ki class me ya phhir lab me ,usase jab bhi koyi sawal puchha jayega to main use us sawal ka jawab dekar uski insult hone se bacha lunga...lekin un sawalo ke jawab dene ke liye mujhe pelam-pel padhayi karni thi...jo ki main is waqt man lagakar kar raha tha.....
.
"abey ye lawdi padha rahi hai ya bang kar rahi hai...sala 12 ghante full neend lekar aaya hoon,lekin isko dekhkar aisa feel ho raha hai ki yahi par so jaun...fala itni neend to mujhe tab bhi nahi aayi hogi jab bachpan me meri maa mujhe loriya sunakar sulati thi...."Vibha mam ki class me kahar dhate hue Arun ne kaha aur apna kahar jari rakhte hue wo bola"Arman ,ek kaam karte hai...main na iski aawaz ko record kar leta hoon aur raat ko jab neend nahi aayegi to headphone fansakar iska lecture sunenge...main gurantee deta hoon iski aawaz sunne ke baad solid neend aayegi..."
"chup kar gandu,wo tujhe hee dekh rahi hai..."
"isko mera lund chahiye isiliye sara period bhar mujhe line deti rahti hai ,kutiya,sali..." "aisa mat bol be,thoda sa to respect de...teacher hai wo apun ki..."
"are lund mera...isase achchha to main padha lunga aur BC ye recess kyun nahi ho raha aaj"
.
Arun ki khunnas dekhkar main samajh gaya ki use is samay samjhana bekar hai isliye main Arun se thoda khisak kar baith gaya,taki Vibha mam jab humari taraf nazar mare to use ye na lage ki Arun ke sath main bhi baat kar raha hoon....


"Arman tune Varun ke baare me suna kya..."jamhayi marte hue Arun meri taraf khiska"uspar NFT lag gaya hai ,NFT bole to..."
"Not for technical...i know, tune hee kal bataya tha...ab jaha se khiska hai wapas wahi pahuch ja..."Arun se thodi doori aur banate hue maine kaha....
Class khatm hone me ya phhir kahe ki recess hone me jab thoda samay baki tha to Vibha mam ne Arun ko khada kiya aur last question ka answer puchha....
"56.68 KN..."dheere se maine kaha aur phhir Arun ne yahi answer jor se kaha....jiske baad sare students ka muh fata ka fata rah gaya...khud Vibha mam kuchh der ke liye shocked ho gayi thi.....
.
Aakhirkar wo waqt aa hee gaya,jab recess ki ghanti baji aur mere khas dost Arun ke jaan me jaan aayi... "achchha hua,jo class chhut gayi,meri to bhookh ke mare gand hee fat gayi hai...chal kuchh charkar aate hai hostel se."
"bhookh to apun ko bhi lagi hai..chal"
Abhi hum dono hostel jane ke liye class se nikle hee the ki students ki bhari bheed dekhkar hum dono ruk gaye...us bheed me bahut se students ne kisi ko gher rakha tha aur apna name, apni branch ke sath chilla-chilla kar bata rahe the....
"tu ruk,main dekh kar aata hoon..."bolte hue Arun kuchh der ke liye us bheed me shamil ho gaya... Arun jab wapas lauta to uska chehra ekdum khushi ke mare aise khila hua tha jaise ki college ki kisi ladki ne use apni chudai karne ka offer de diya ho
"kya hua be,itna kahe khush hai..."
"Launde log picnic plan bana rahe hai..." "sale gays kahi ke..."
"abey laundiya bhi jayengi us picnic me...soch sala kitna maza aayega. Tu dekhna Arman 10-12 maal to main yun chutki bajakar pata lunga...."
"kya kaha tune ,ladkiya bhi jayengi  "
"yes  tu bole to abhich apna,tera,Saurabh aur Sulabh ka name entry karwa du kya..." "haan...ja jaldi jake entry karwa..."Arun ko dhakka dete hue maine kaha...lekin phhir achanak mujhe mere third plan ki yaad aayi .
"Plan No. #3-Stay Away from Girls...."
jiska saaf matlab tha ki mujhe picnic me nahi jana chahiye


 
Update-145
"Plan No. #3-Stay Away from Girls...."
 
 
jiska saaf matlab tha ki mujhe picnic me nahi jana chahiye
.
Jinke ghar toofan me tabah ho jate hai aur jab wo dobara apna ghar basate hai to mere khayal se unke dil aur dimag me us toofan ka dar baitha rahta hai ki kahi ek baar phhir se koyi toofan aakar unke ghar ko barbaad na kar de...ye dar unke jehan me zindagi bhar ke liye baith jata hai ki kahi phhir se koyi andhi aur toofan na aa jaye...
aur aisa hee kuchh-kuchh is samay mujhe lag raha tha. Main Nisha ke sath ek park me baitha hua tha aur yahi soch raha tha ki 8th Semester ki kahani kismat dobara na dohra de. Dobara apna ghar basane wale ki tarah mere dil me us toofan ka dar tha,jo 8th semester me aaya tha.
.
"Arman...tumne abhi tak bataya nahi ki main kaisi lag rahi hoon..."apne ungaliyo se mere hath ko sahlate hue Nisha puchhi
"ekdum dhansu..."bolkar main chup ho gaya...
Mujhe chup dekhkar Nisha ek baar phhir mujhe ajeeb nazaro se dekhne lagi.
"kya hua ? Tum mujhse baat kyun nahi kar rahe aur ye ek-ek line bolkar kho kaha jate ho..."Nisha boli. wo ab bhi mere hath ko sahla rahi thi.
"uncle ji ki tabiyat kaisi hai ab...."Nisha ne jab mera hath sahlate hue apna nakhoon gadaya to main apne khayalat se bahar aaya.
"ye tum lagatar teesari baar puchh rahe ho ki ,dad ki tabiyat kaisi hai...so boring  " "achchha..."Nisha ki taraf apna chehra karte hue maine kaha"yadi aisa hai to phhir kuchh interesting kare..."
"no...no...no"
"yes...yes...yes "
"are wo sab karne ke liye ye sahi jagah nahi hai..."mujhe door dhakelte hue Nisha boli"ek baat puchhu..."
"kya..."
"pahle promise karo ki bura nahi manoge...."
"oye...ye pakau ladkiyo wali harkat mat kar  matlab ki jo puchhna hai puchh aur waise bhi bura wo manta hai jiske paas ......."bolte hue main beech me hee ruk gaya
.
"wo tumhare mobile me ek video hai,jisme tum ek ladki se ajeeb se language me kuchh kah rahe ho aur phhir wo ladki ,jo tumne kaha hai,use repeat karti hai lekin wo baar-baar galat bolti hai jiske baad tum apna sar pakad lete ho aur phhir ek kagaj me use kya bolna hai ,wo likhkar dete ho...."
"wo...wo kuchh nahi hai,wo to bas aise hee college ki ek friend thi...jise main teen alag-alag language me sorry bol raha tha...."badi asani se bina ek pal hichkichaye maine,Nisha se turant jhooth bol diya...kyunki sach batane par wo aur bhi bahut kuchh puchhati ya phhie kahe ki sab kuchh puchhti....
"Arman...."
"yes..."Nisha ke kandhe par apna hath rakhkar use apne paas late hue maine kaha...


"Arman , mujhe maloom hai ki tum us ladki ko sorry nahi balki i love you bol rahe the...."
itna bolkar Nisha chup ho gayi aur meri taraf masoom si nazaro se dekhne lagi aur main uski masoom si aankho me dekhte hue ek naya bahana dhoondh raha tha aur phhir muskurate hue maine kaha.... "aisa kuchh bhi nahi hai,Actually us din maine apne ek dost se shart lagayi thi ki mujhe us video wali ladki ko i love you bolna hai aur wo ladki mere i love bolne par bilkul bhi naraj na ho....isliye maine teen alag-alag language me use i love bola jiski bhanak us ladki ko nahi lagi aur main shart jeet gaya.."
"oh ! too funny...good trick to say i love you to someone...mujhe bhi tum wo teen lines bolo aur phhir main unhi teen lines ko repeat karungi..."
"kya baat hai bade hee romantic mood me lag rahi hai " "are tum bolo na..."
Main kuchh der chup rahkar un teen lines ko yaad karne laga aur jab mere dhyan me wo teeno lines aa gayi to maine kaha jiske baad Nisha ne unhi teen lines ko repeat kiya...aakhiri line bolte hue Nisha itni jyada khush ho gaye ki usne mujhe gale laga liya aur main....mera kya ,main to hamesha hee in sab kamo ke liye taiyar rahta hoon
.
Nisha ko kaskar pakde hue mera dimag ek baar phhir ghuma aur main phhir se kuchh sochane laga bina iski parvah kiye ki Nisha mujhse kuchh kah rahi hai...aur pahle ki tarah is baar bhi main hosh me tab aaya jab Nisha ne apna nakhoon mere peeth par gadaya....
"tum us video wali ladki se pyar karte the na..."mujhse door hote hue Nisha ne meri aankho me dekha.... pahle ki tarah wo ab bhi ekdum masoom si lag rahi thi aur pahle ki tarah main phhir se uski aankho me aankhe gadaye koyi bahana dhoondh raha tha....
"it's okay, mujhe koyi problem nahi...waise us ladki ka name kya tha..." "Esha..."bina ek pal gawaye maine kaha..
"wo tumhare layak nahi lagti ,bilkul bhi nahi....uski shakal dekh kar koyi bhi bata sakta hai ki wo ek jiddi aur ghamandi ladki hai,achchha hee hua jo wo ab tumhare sath nahi hai..."
Nisha ka Esha ke bare me aisa kahne par main samajh gaya ki wo Esha se jal rahi hai aur isiliye usne kuchh der pahle teen alag-alag language me mujhse thik usi tarah 'i love you' kahalwaya...jaisa ki ek jamane me maine Esha se kaha tha...Nisha ki is jalne wali harkat par main dil hee dil me muskuraya aur bola...
"Nisha ek baat bata, tujhe maloom kaise chala ki maine Esha ko sorry nahi balki 'i love you' kaha tha..." "google me search kiya aur result samne aa gaya...bahut intelligent hoon na main..."
"hmm..."kahte hue maine Nisha ko pakda aur park me jaise dusare couple kar rahe the ,waisa hee maine bhi kiya aur Nisha ke hontho ko apne hontho me le liya....
.
kabhi-kabhi zindagi me kisi ek ke liye ahmiyat itni jyada ho jati hai ki duniya bhar ke sare niyam,kayde- kanoon ek taraf aur wo ek taraf....wo insan wahi karta hai jo uska dil kahta hai...is samay main Nisha ko kiss kar raha tha ,lekin mera dimag ek baar phhir se ateet me ja pahucha.jaha maine shuru-shuru me apne plan ke according chalte hue picnic par jane se mana kar diya tha,lekin jaise hee mujhe pata chala ki Esha us picnic me ja rahi hai to mere hee dwara banaye gaye mere hee sare kayde-kanoon mujhe galat lagne lage aur maine picnic me jane ke liye hami bhar di.....


 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-146
lekin jaise hee mujhe pata chala ki Esha us picnic me ja rahi hai to mere hee dwara banaye gaye mere hee sare kayde-kanoon mujhe galat lagne lage aur maine picnic me jane ke liye hami bhar di.....
.
Pata nahi main picnic par jane ke liye kaise maan gaya,jabki mujhe maloom tha ki mere aisa karne par mere teeno plan ,jinka palan karna mere liye us waqt behad jaroori tha,wo bekar ho jayenge...lekin phhir bhi main gaya aur apne hontho me muskan aur dil me naye-naye Arman lekar gaya....
.
"aaj tum thoda ajeeb bartaav kar rahe ho..."mere kaan ke paas Nisha ne dheere se kaha"koyi problem hai kya..."
Nisha ki aawaz sunkar main jaise apni beeti duniya se wapas aaya "nahi...koyi problem nahi hai,everything is okay..."
"tumhe dekhkar to aisa nahi lagta..."
"dimag ka ilaaj karwa,aaj tu kuchh jyada hee soch rahi hai aur ab chal raat hone wali hai...kahi aisa na ho ki uncle ji hum dono ko raas leela karte hue dekh le aur meri khatiya khadi kar de..."
"dad hume nahi dekh payenge..."ekdum se bahut jyada khush hote hue wo boli"unki tabiyat ab bhi thodi down hai..."
"kamal hai yar, tu apne hee dad ki tabiyat kharab hone par khush ho rahi hai..."
ye baat maine Nisha ko kuchh aise kaha jaise ki main use dhikkar raha hoon, jaise ki usne bahut hee bada gunah kar diya ho...aur mere aise action par uska reaction kuchh yun tha....
sabse pahle uski aankhe tight hui,gaal gusse ke karan laal ho gaye aur mathe par salwate pad gayi... "mere kahne ka matlab wo nahi tha...jo matlab tumne nikala..tum aisa kaise kah sakte ho.."
"dekh ab jo bol diya ,so bol diya...tu accept kar le ki tu sasurji ki tabiyat kharab hone se bahut jyada khush hai..."Nisha ko aur jalane ke liye maine kaha aur khada hua...
"Arman,main bol rahi hoon na ki mera waisa matlab nahi tha...main to sirf tumhe ye batana chah rahi thi ki dad hum dono ko nahi dekh sakte..."bolte hue Nisha bhi taav me khadi ho gayi
"are maan le na apni galti,main thode hee tere baap ko batane jaunga..." "kya...tumne mere dad ko baap kaha..tum aisa kaise kah sakte ho, he is my father..."
"maine aisa kab kaha...tere kaan baj rahe hai...doctor ke paas jakar apne dimag ke sath-sath apne kaan ka bhi check up karwa lena...."
"i hate you..."dusari taraf ghoom kar wo boli... "kha maa kasam ki you hate  "
"main aaj ke baad tumse kabhi baat nahi karungi..."


"aisa kya...phhir ,wapas kar mera mobile...khamkha mera dus hazar ke mobile ko bore karegi..."Nisha ki taraf hath badhate hue maine kaha...
"lo...i hate you..."mere hath me mera mobile dekar Nisha waha se jane lagi....
.
shuru me laga ki apna mobile seedhe jeb me daalkar yaha se chalta banu,lekin phhir jaise dil hee nahi mana ki Nisha bina mobile ke rahe...
ghamand aur aham to mujhme koot-koot kar bhara tha,lekin us ek pal me na jaane mujhe kya hua ki main Park se bahar jate hue Nisha ki taraf lapka aur uske thik samne ja khada hua...ladkiyo ki baat-baat par rooth jane ki yahi ada to sali dil cheer deti hai
"kidhar ja reli hai ,item...chalti kya kone me ..."
"hato mere samne se..."dusari taraf dekhte hue Nisha ne kaha...uska gussa ab bhi uski naak par full josh ke sath sawar tha...
"mazak kar raha tha yar,tu bhi na har chhoti se chhoti baat ko dil pe le leti hai..."uski hath me mobile rakhte hue maine sorry kaha...
"it's okay..."halke gusse ke sath wo boli....
.
Jis park me main aur Nisha kuchh der pahle baithkar baate kar rahe the,wo park humari colony ke andar hee bana hua tha. Varun ke kisi kaam par jane ke baad maine Nisha ko call kiya to pata chala ki wo ekdum free hai matlab ki uske dad ki tabiyat kharab hone ki vajah se wo bistar par pade hai,isliye wo apni maa se koyi na koyi bahana maarkar mujhse milne aa sakti hai...jiske baad hum dono aadhe ghante ke andar hee park me pahuch gaye the.
.
"Varun abhi tak nahi aaya..."room ke andar aate hee Maine Arun se puchha, jo ki Varun ke laptop me koyi movie dekh raha tha....
"pata nahi..."
"tu jakar khana bana..."kahte hue maine uski aankho ke samne se laptop ko hataya aur bola"sale,kuchh kaam-dham nahi hai kya...jo itne din beet jane ke bawjood yahi pada hai..."
"do-teen din aur ruk ja lawde,phhir main khud yaha se chala jaunga..." "jaldi se ja be,faltu me humara kharcha badha raha hai.."
.
Kharcha shabd sunte hee Arun ek jhatke me utha aur seedhe mere upar kood pada,lekin tabhi humare reporter sahab ne entry mari....
"Arman...ek ladka tera address puchh raha tha..."
"mera address..."Arun ko door fekte hue maine Varun ki taraf apna rukh kiya"kaun tha wo ? " "pata nahi...colony ke bahar ek ne meri car rukwayi aur puchha ki Arman kaha rahta hai..." "aur phhir..."
"phhir kya,maine use ulta seedha address bata diya kyunki mujhe laga ki isase teri privacy ko khatra hai..."
"abey ullu...is puri colony me main kya akela hee Arman hoon...ye bhi to ho sakta hai ki wo kisi dusare Arman ke bare me puchh raha ho..."
"pata nahi...baki tu samajh...mujhe jo karna tha,wo maine kar diya"sofe par girte hue Varun ne mujhse kaha"Arman phhir Picnic me kya hua ,mera matlab ki waha koyi dhamal kiya ya aise hee lund pakad kar wapas aa gaye...."
"picnic..."muskurate hue maine kaha"Picnic ka name to bas college staff ke logo aur students ke parents


ko dikhane ke liye diya gaya tha..asliyat to kuchh aur thi" "kya college ke teachers bhi sath the..."
"abey college samajh rakha hai kya,jo teachers sath rahenge..."
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 12:51 AM



Users browsing this thread: 30 Guest(s)