Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic SHUBHAM
#4
update 2


[b]Aaj Shubham phele baar THE SCHOOL OF MAGICAL AND WEAPONARY ART.... mei enter karna ja raha tha par gate par khade do guard na usko andar jana sa rok diya aur usse bolna laga ulta sidha ......

Guard 1: Oye ladka kaha andar ghusa chala ja raha hai..... tera jaisa ki aukat nahi hai ya iss school mei andar ghusna ki .....

Shubham: Mei yaha padhna ka liya aaya hu aur mujhe uska liya andar jana hai.....

Guard 2: Dekho bhai sunni iski baat ya yaha padhna aaya hai....... sala kya humara mathe par chutiya likha hua hai kya... jo tu huma bewakuf bana kar andar chala jayga ..... Apni aukat dekhi hai tuna, tu yaha ki ek din ki fees bhi nahi bhar sakta hai aur aaya yaha padhna ka liya.....
Tjhe to iss school mei koi saaf safai karna ka liya bhi nahi rakhega aur tu chala yaha padhna.... chal nikal ja tu yaha sa chup chap.....
aur itna kaha kar vo usko vaha sa dhaka dekar dhur gira deta hai, jisse humara hero gir jata hai....

Shubham khada hokar ek baar fir uss school ko dekhta hai aur vaha sa nikalna ka liya picha mudta hai..... Tabhi vaha kissi ki awaj aati hai jo usse hi rok raha tha.....Ya awaaj thi skul ka head principle aachariya Shramesh ki.....
(Yaha ab sa mei aachariya Shramesh ko AS likha karunga.......)
AS ki awaaj sunkar vo dono guard ek dum sidha tainat hokar khade hokar dekhna lagta hai par saath hi man hi man bhagwaan sa prathna bhi kar raha tha ki inki iss harkat ko AS na nahi dekha ho varna aaj inn dono ki remand lagi pakki hai....

AS bhagta hua gate ka bahar nikalta hai aur Shubham ka samna jakar usse kahata hai.....

AS: maaf karna beta..... meri vajah sa tumhara sath essa hua.... meina hi tmhai yaha bulaya tha aur fir bhi inn logo na tmhai kya kya kaha diya......

Shubham: koi baat nahi sir, aapko maafi maangna ki jaruart nahi hai.....aapki vajah sa mei iss school ko itna pass sa dekh saka yahi bhut hai mera liya.... vasa bhi inhona jo kaha vo galat thodi hai meri itni aukat nahi hai ki mei yaha padh saku......

AS: nahi beta aisa mat socho...... Tum aaj sa yahi par padhoga aur sirf kuch din nahi bulki jab tak tumhari padhai ka pura samay pura nahi ho jata ya phir tum khud nahi chod kar jana cahaoga tab tak tum issi school mei raha kar padhoga, jaisa baaki sabhi padhta hai..... vasa bhi jo tumna mera liya kara hai uska badla mei tmhara liya itna to kar hi sakta hu....

itna bolkar vo Shubham ko apna saath school ka andar chalna ka liya bolta hai aur aage ki taraf bad kar gate ka pass pahuch jata hai....jaha abhi bhi dono guard ek dum tainat khada tha.... AS unka pass pahuch kar dono ek ek khich kar thapad lagata hai..... AS ka thapad itna teej tha ki uski awaaj 500 meter dhur khada insaan ko bhi aram sa sunai de sakti thi aur uss thapad ki force itni thi ki dono guard ka muh sa khoon nikalna laga tha aur vo dono jamin par pada dhul chat raha tha.... jaata jaata AS unko bolkar gaye tum dono aaj ki duty puri karka shyam ko aakar milna mjhc mera office mei.....
Itna bolkar AS aage nikal gaye aur unka picha picha chal raha tha Shubham jo apna aap sa hi baat kar raha tha ....

Shubham (man mei): baap re ya insan hai ya haiwan kitna jor sa mara hai dono ko agar galti sa kabhi ya mjhe padh gaya tha to meri to batisi hi hil jaygi.....bhai jara sambhal kar rahna hoga aur koi galat kaam nahi karna hoga varna ya to apni wat laga dega....

Abhi humara hera apni hi soch mei ghum hokar aage aage chala ja raha tha bina samna dekha.... ki vo jakar sidha takra gaya AS sa... AS sa takrana ka baad ek dum sa hi vo vapas duniya mei aa gaya aur ek dum had bada kar unsa dhur ho kar khada ho jata hai

AS sa takrana ki vajah sa AS uski tarah dekhta hai aur uski halat dekh kar unko hasi aa jati hai aur vo usko apna pass bulata hai aur bade pyar sa muskura kar apni jeeb sa ek paper nikalta hai aur usko Shubham ko deta hua ek building ki taraf ishara karta hai aur usko kahata hai... Ya parchi lekar tum uss building ki tarah jao aur vaha par gate par ek guard milega usko jakar ya parchi de dena, vo tumhai vaha aage ka rasta batayaga jaha tum miloga Professor Mariana sa.... Itna kaha kar vo ek bar fir apni pocket mei haath dalta hai par iss bar dusri taraf ki aur uss mei sa paper bahar nikal kar usse deta hai aur kahata hai ya paper tm professor ko de dena baaki baat vo tmhai samjha degi.....

Itna kaha kar vo khud vaha sa chale jata hai... Shubham unka dhur jana ka baad ek lambi saas leta hai aur bolta hai bach gaya varna aaj phele din hi mjhe prasad mil jata... bhai isse bach kar hi rahana hoga.... fir bolta hai par ya bade ajeeb insan hai... mjhe bola us tarah jana ko aur khud hi chale gaye... chalo apna kya jata hai apan bhi chalta hai.....

Shubham abhi thoda aage hi bada tha ki usse ek talab dikhta hai..... jo ki bhut bada to nahi tha par kaafi acha tha aur usma tarah tarah rang biranga phool laga hua tha jiski vajah sa vo talab aur bhi jada khubsurat aur man ko mooohhhh lena vala lag raha tha.... Talab ki dusri tarah thi vo building jaha Shubham ko jana tha...iss talab ko paar karna ka liya iss par ek chota sa pull bana hua tha..... Shubham talab ki sunderta mei kho gaya tha aur bina samna dekha uss pull par chal raha tha... uska pura dhyan talab ki sunderta ko niharna mei hi laga hua tha.... Vo chalta hua pull ka ek sira sa dusri tarah pahuch gaya tha aur bus usse utarna hi vala tha ki vo samna sa aa raha ek student sa takra jata hai.....

Jisse Shubham abhi takraya tha uska naam hai Kairo, ya bhai sahab yaha ka dusra sabsa bada rajya ka raja ka beta hai..... bole to ya prince of Zamata hai... inn mahanubhav ka bara mei thoda aapko bata deta hai kyunki inka iss story mei aage bhut baar role aata jata rahaga.....
Prince of Zamata (Kairo) ki umar 15 saal ki hai aur ya dikhna mei kaafi handsome hai.... ya ek dum gora chita to hai hi sath sath inki height karib 5ft. 10" ki hogi..... inki body ek dum gym tonned hai..... Ya apna pita aur maa ka bhut hi jada dulara hai.. jaisa ki inka rajya ka bara mei meina upar bataya ki ya dusra sabsa bada rajya hai, jiska chalta inma kuch adhik hi ghamand hai.... Ya apna samna kisi ko bhi kuch bhi nahi samajhta hai.... Yaha par bhi koi bhi rajya ka prince inka samna apana aapko kuch nahi samajhta hai....Ya yaha par weaponary aur magical art dono sikhna aaye hai......

Chaliya dosto vapas story par aata hai.....

Jaiska ki meina bola Shubham Kairo sa takrata hai.... Jisse humara hero bhaisahab ka dhyan vapas sa pull par aata hai aur vo samna dekhta hai to unko samna aag babula hua prince dikhta hai..... Kairo bhi apna aapko vapas santulit karka samna dekhta hai ki kiski itni himat ho gai jo vo mjhc takra gaya.... jab vo samna dekhta hai to uska gussa aur bad jata..... par Shubham usko sorry kaha kar vaha sa aage nikalna lagta hai..... Ya dekh kar Prince ko ya sab apni bejati sa saman lagti hai aur vo gussa mei aakar, Picha sa dhaka dekar usko gira deta hai.....

Abhi yaha ya sab hua hi tha ki itni der mei Prince ka pass dusra rajya ka unka chamcha prince aur unhi ka rajya ka pramukh logo ka bacha aakar unko ghar leta hai aur prince of zamata ko puchta hai, Kya hua prince aap itna gussa mei kyu hai....

Kairo: Ya fatichar aakar hmsa takra gaya aur uska baad humsa maafi maangna ki jagah bus aaga nikal raha tha... Itna kaha kar vo ek bar fir sa vapas khada hota hua Shubham ka pair par mar ka usko nicha gira deta hai....Iss bar Kairo ka pair sa marna ki vajah sa Shubham ka ghutna mei lag jati hai jiska chalta uski dard ki vajah sa karah nikal jati hai..... Jisse sun kar vo sab hasna lagta hai.... par kissi tarah Shubham Khud ko sambhal kar vapas Khada hota hai aur Prince ki taraf ghum kar unsa maafi maangta ek bar fir sa usse phele beed mei sa koi bolta hai....

Awaj: Ary iss fatichar ka kapda to dekho isko dekh kar lagta hai iska rajya mei sab log bikhari hi hai... Ya baat sunkar sabhi log hasna lagta hai....

Tabhi vaha dusri awaj aati hai...

Awaj 2: Ary yr ya kisi rajya ka raja ka beta nahi hai ya to sahi mei ek bhikari hai.... Isse meina abhi thoda din phele vo school sa bahar nikal kar jo stall hai na vaha dekha tha.... ya vaha par jhuta bartan saaf kar raha tha.....
jab iska malik na isse pucha ki iska mata pita kun hai to kahata hai..... Mjhe nahi pata mera mata pita kun hai.... Iss sale ki to itni aukat bhi nahi hai ki ya do waqt ka khana kha saka aur chala aaya yaha....

Ya baat sunkar Kairo ko ek baar fir gussa aa jata hai aur vo gussa mei hi usse ek gandi nali ka kida kaha deta hai..... Jisse sunkar Shubham ki aankho mei do bund aaso aa jata hai...... Abhi Kairo itna mei hi shant nahi hota hai aur usko marna ka liya apna haath utha hai......


Par tabhi vaha ek kadak awaj gunjti hai....jisse sunkar vaha khada sabhi logo ka face par jo hasi thi vo ek dum gayab ho jati hai.... ya awaj ek dum bhut tej thi jiski vajah sa ya awaj vaha ka pura shant mahol mei fail gayi...... Ruk jao Kairo Varna anjam bhut bura hoga....

Jiss insan ki ya awaj thi vo chal kar aage aata hai aur uss circle mei aakar Shubham ka pass aakar khada ho jata hai..... YA awaj thi Professor Mariana ki...... Jiiiii ha dosto vahi Professor jisse humara hero ko milna tha..... Mariana ko dekh kar vaha khada sabhi logo ki jaan halak mei aa kar atak gai kyunki Professor ka bara mei ya baat bhut mashur thi ki ya kisi bhi insaan sa nahi darti thi cahaya vo AS ho ya fir kissi rajya ka raja.....

Kairo: professor aap iss matter mei bich mei mat aao.... Ya humara school mei ghusna ki koshish kar raha hai.... Ya ek chor hai....
Kairo ki baat sun kar professor ka cehara ka rang aur laal ho jata hai..... Unka gussa bhut bad jata hai par vo kissi tarah khudko shant karka bolti hai.....

Mariana: Kairo tmhai kaisa pata ya chor hai aur ya yaha ghuspait kar raha hai......[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Mariana ki baat sunkar Kairo ek dum chup ho jata hai kyunki uska pass bolna ko kuch nahi hota hai aur vo aur koi jhut nahi bolna cahata hai, kyunki professor ko jhuth sa sakt nafrat hai aur vo jhuth bolna vala ko essa punish karti hai ki usski ruk tak jhuth bolna sa phele dar jaye..... Ek baar fir Mariana ki awaj aati hai aur vo bolti hai..... Tum sa bol raha tha na ki yaha vaha kaam karta hai....To kya galat karta hai.... khud mehnat karka kamata hai aur apna pait bharta hai, kissi ka samna haath jod kar bhik to nahi mangta hai na...... Tum sabki tarah apna maa baap ka samna haath to nahi felata hai na.... Aur tm do kodi ka prince hota kun ho ya Bolna vala ki ya gandi nali ka khida hai...... Tum sab kis nali ka kida ho ya baat tm khud nahi janta aur chale aaye yaha dusro ko bolna..... Mariana ki ya baat sun kar Kairo apna aapa kho deta hai aur vo Mariana ka upar talwar nikal kar taan deta hai.....

Mariana Kairo ki essi harkat dekh kar ek dum muskura jati hai aur bolti hai sahi baat sun ka lag gai mirchi Kairo...... aur itna bolna ka sath hi vo Kairo ka hath par ek chop marti hai jisse Kairo ka hath sa Talwar Putti jati hai, aur Kairo ka hath par jaha lagi thi vaha ek bada sa nila nishan ban jata hai aur usko bhut dard hota hai.... Mariana Kairo ko bolti hai abhi tum bacha ko phele talwar pakadna sikhlo fir mera upar talwar tanana ki galti karna.....

Itna kaha kar vo unsabko vaha sa jana ka liya kahati hai, uska bolta hi sara log ek second ka andar vaha sa bhaag jata hai.....Fir vo Shubham ki taraf mudkar uski taraf dekh kar usko bolti hai.... Tum kun ho aur yaha kya kar raha ho.... Kya tmhai pata nahi hai yaha kissi bahar vala ka aana mana hai.....?

Shubham: Mariana ki aawaj sa aur yaha jo hua usko dekh kar phele hi dar gaya tha aur achanak usse pucha gaye saval sa vo aur dar gaya aur haklata hua bolna lga ....
Mera na na na na na name Shu.. Shubh.... Shubham hai.....

Mariana uska iss tarah haklana ki vajah sa kuch samaj nahi paati hai aur vo ya samaj jati hai ki vo dar gaya hai.... Islye vo pyar sa uska sir par hath rakh kar uska sir ki saari dhul saaf karti hai aur fir usko pina ka lya apni pani ki bottle deti hai aur bade aram sa bolti hai.... daro nahi aur aram sa bolo....Ab shubham bhi kaafi sambhal chuka tha to vo bolta hai...

Shubham: Jee mera name Shubham hai.... Aur mei koi choor nahi hu aur na hi jabardasti ghus raha hu.... Mjhe AS na yaha bheja hai ya parchi lekar uss building ka guard ko dekhana ka liya, aur itna kaha kar vo apni parchi uski taraf bada deta hai......

Mariana vo parchi uska hath sa lekar dekhti hai to uspar ussi ka name hota hai..... jisse vo puchti hai ki ya to mera name ki parchi hai.... Tumhai mera pass kyu bheja hai AS na....

Shubham: Ya jaan kar ki usko inhi sa milna hai vo apni pocket sa dusra paper nikal kar unko de deta hai aur bolta hai AS na bola tha ya aapko de du....

Mariana ; Dusri parchi lekar padhti aur fir Shubham ki taraf bada dhyan sa dekhti hai....
jisse Shubham ek baar fir saham jata hai....

Jaana ka liya ki us parchi mei kya likha hai AS na aur Mariana na usko essa ghur kar kyu dekha aur ya Mariana kun hai jo kissi sa nahi darti hai.....

In sabhi sawalo ka javab aapko aaga milta rahega, jaana ka liya bana rahiya mera sath iss story par.....AApka coments ka intejar rahega..
[/b]
Like Reply


Messages In This Thread
SHUBHAM - by dahiya242 - 19-03-2019, 03:23 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 19-03-2019, 03:26 PM
RE: SHUBHAM - by Nil199 - 19-03-2019, 04:41 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 20-03-2019, 12:13 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 20-03-2019, 12:09 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 24-03-2019, 11:56 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 24-03-2019, 12:02 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 28-03-2019, 04:22 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-04-2019, 11:56 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 07-04-2019, 11:49 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 08-04-2019, 09:06 PM
RE: SHUBHAM - by Samrattttt - 08-04-2019, 11:22 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 12-04-2019, 04:45 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 14-04-2019, 11:43 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 16-04-2019, 08:43 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 16-04-2019, 08:44 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 16-04-2019, 08:44 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 18-04-2019, 08:23 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 20-04-2019, 04:37 AM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 20-04-2019, 12:17 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 20-04-2019, 03:29 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 20-04-2019, 03:31 PM
RE: SHUBHAM - by Roslila628 - 20-04-2019, 11:25 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 23-04-2019, 04:12 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 24-04-2019, 01:18 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 24-04-2019, 04:51 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 26-04-2019, 03:00 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 01-05-2019, 01:16 AM
RE: SHUBHAM - by srlk - 01-05-2019, 09:07 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-05-2019, 06:55 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 01-05-2019, 04:57 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 02-05-2019, 08:56 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-05-2019, 06:55 PM
RE: SHUBHAM - by Samrattttt - 02-05-2019, 11:07 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-05-2019, 06:54 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 02-05-2019, 12:52 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 02-05-2019, 12:53 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 02-05-2019, 12:54 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 04-05-2019, 03:34 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-05-2019, 06:54 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-05-2019, 06:47 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 08-05-2019, 04:14 AM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 08-05-2019, 12:00 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 10-05-2019, 05:50 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 11-05-2019, 10:33 AM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 12-05-2019, 02:32 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 13-05-2019, 03:37 PM
RE: SHUBHAM - by Who am I - 13-05-2019, 11:48 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 14-05-2019, 07:09 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 15-05-2019, 07:45 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 16-05-2019, 03:45 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 16-05-2019, 05:10 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 18-05-2019, 03:36 PM
RE: SHUBHAM - by Who am I - 21-05-2019, 03:32 AM
RE: SHUBHAM - by Rdxchaubey - 21-05-2019, 06:08 PM
RE: SHUBHAM - by Rdxchaubey - 22-05-2019, 09:33 PM
RE: SHUBHAM - by Rdxchaubey - 23-05-2019, 11:46 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 25-05-2019, 04:14 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 26-05-2019, 07:31 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 29-05-2019, 03:22 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 30-05-2019, 01:37 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 30-05-2019, 04:34 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 31-05-2019, 05:47 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 31-05-2019, 08:19 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 04-06-2019, 03:22 PM
RE: SHUBHAM - by Samrattttt - 04-06-2019, 06:22 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 09-06-2019, 08:02 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 10-06-2019, 10:20 AM
RE: SHUBHAM - by Rdxchaubey - 11-06-2019, 08:14 AM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 11-06-2019, 09:12 AM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 18-06-2019, 07:47 PM
RE: SHUBHAM - by Raj355407 - 20-06-2019, 11:28 AM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 20-06-2019, 02:19 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 20-06-2019, 05:12 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 21-06-2019, 09:03 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 01-07-2019, 07:09 AM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 01-07-2019, 12:07 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 06-07-2019, 05:25 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 06-07-2019, 06:33 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 11-07-2019, 01:13 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 12-07-2019, 08:02 AM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 15-07-2019, 06:22 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 17-07-2019, 08:14 PM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 18-07-2019, 07:03 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 26-07-2019, 10:55 AM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 27-07-2019, 01:45 AM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 27-07-2019, 11:06 AM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 07-08-2019, 05:18 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 10-08-2019, 06:59 PM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 10-08-2019, 10:35 PM
RE: SHUBHAM - by dahiya242 - 16-08-2019, 11:23 AM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 16-08-2019, 12:55 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 16-08-2019, 07:56 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 17-08-2019, 10:10 AM
RE: SHUBHAM - by vickydoner - 19-08-2019, 06:00 PM
RE: SHUBHAM - by abhi_mishra_91 - 25-08-2019, 09:25 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 27-08-2019, 08:18 AM
RE: SHUBHAM - by rabiakhan338 - 27-08-2019, 07:37 PM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 03-09-2019, 08:03 PM
RE: SHUBHAM - by shailu12345 - 04-09-2019, 03:54 PM
RE: SHUBHAM - by vickydoner - 07-09-2019, 09:49 AM
RE: SHUBHAM - by Ashish_1982_in - 09-09-2019, 07:43 AM
RE: SHUBHAM - by Ashish_1982_in - 10-09-2019, 07:05 AM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 14-09-2019, 09:18 AM
RE: SHUBHAM - by sabbhu07e - 25-09-2019, 04:24 PM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)