19-03-2019, 03:26 PM
update 1
Humara . d crore saal phele iska nirman hua, iss brahamand mei hajaro galaxy hai jinka baramei hum janta hai aur aaj bhi na jana kitni galaxy hai jinka bara mei hum aaj bhi nahi janta hai.....
Earth humara ek khubsurat sa planet jisma crore tarah ki species (prajati) rahati hai..... Humara planet milky way naam ki galaxy mei aata hai, thik issi ki tarah ek galaxy aur hai jaha jiwan sambhav hai aur vaha hajaro planet hai jisma aaj bhi hmara jaisa na jana kitni tarah ki species hai ya humsa alag bhi.....
Iss dusri galaxy ka name hai small italina cloud.... iss galaxy mei ek planet hai Leharaniya, iss planet ko iss galaxy ka education hub bhi kaha ja sakta hai...... Ya ek chota sa planet hai jaha sabhi dusra planet ka log aakar apni taleem (education) ko pura karta hai.... Ya planet jitna chota hai utna hi khubsurat bhi hai aur iski khubsurti ko char chand lagata hua hai iss planet par bana duniya ka sabsa bada college..... THE college OF MAGICAL AND WEAPONARY ART .....
Jaisa iss college ka name hai usse ya clear hai ki iss college mei alag alag tarah ka weapon aur magic sikhaya jata hai par sath hi yaha social class jaisa singing, dancing, cooking aur bhi bhut sari alag alag tarah ki education dee jati hai...... Iss college mei padhna ka liya is puri galaxy mei situated sabhi grah ka raajya (country) ka prince aur princess aata hai..... aur saath hi mei yaha unhi rajyo ka bade position ka logo ka bacha bhi padhna aata hai....(essa kaha sakta hai ki har rajya ka senapati aur mantri aur mage(magician) (jinha raja apna mandal mei jagah deta hai) ka bacha bhi padhna aata hai)......
Issi grah sa suru hoti hai humari story jaha humari kahani ka hero ya devil Shubham rahata hai....
Humara hero aapki aur meri tarah earth par hi born hua hai aur vo bhi humari tarah ek human hai koi allien nahi.... to phir essa kya hua ki humara hero uss planet par pahuch gaya .... [Ek baat mei aap sabko bata du humara planet earth par sa koi bhi vaha padhna nahi jata tha kyunki hum iska bara mei abhi tak janta hi nahi hai]..... iss baat ka javab aapko apna aap mil jayga ki hero vaha kaisa pahucha aur vaha pahuchna ka baad bhi vo uss grah par kaisa survive kar gaya ...... Kya vaha ka environment humara planet ka environment ki tarah hi hai ya alag.... Essa hajaro saval ka javab iss story mei aapko milta rahaega........
[hello friends mera phela update aapko kaafi boring laga ho to uska liya maafi, par story ko aage continue karana ka lya story mei confusion na ho jada iss vajah sa iska plot tayar kara hai.... ho skata hai suru ka kuch updates aapko ekdum upto mark na laga par jaisa jaisa story aage badegi ya kaafi interesting hoti jayegi kyonki isma aapko har tarah ka rang milega.....]
Stay tunned next update in process......
aapka agar koi sujhav ho iss story ko lekar ya meri writing ko kaisa improve kar sakta hu usko lekar to plz mjhe jarur apna coments dena.....