05-12-2018, 09:16 PM
UPDATE-21
Morgan tej kadmo ke sath aage badh raha tha,,use koyi kauf nahi tha..na hi Ron ke death iceland me maujood hone ka aur na hi waha faile hue gahre andhere ka..Morgan ke chalne ki speed itni tej thi ki uske kadmo ki awaaj saaf suni ja sakti thi..
"le be yahi hain wo jagah jaha Martin aur lisa ek dusare se pyar ,mohahbbat ki baate karte the.."Ron ne apne apne hatho se ishara karte hue kaha..Aditya ka mu khula rah gaya ,use yakin nahi ho raha tha ki bahar se itna bhayankar aur darawana dikhne wale iceland me itni khoobsurat jagah ho sakti hain..samne samundar ka pani jheel ke roop me bah raha tha..safed dhundh ne waha ke aas-pas ke sare vatavaran ko dhak rakha tha..kayi tarah ke khoobsurat flowers bhi lage the..jisme se kuch chamak bhi rahe the..Aditya waha ki khubsurati par mohit ho gaya..bahut der tak Aditya bina apni palke jhukaye niharta raha...
"Ron-sharab ka ek pyala yadi mu me ho toh aur bhi jyada maja aata..
"Ron,ye toh swarg ki tarah lag raha hain..pakka lisa ki khubsurati bhi aisi hi rahi hogi..."
Ron ko kisi ke aane ki ahat hui..koyi tej aawaj ke sath unki taraf aa raha tha..achanak hi kisi ne unpe jhapatta mara..Ron ko hamle ki bhanak lag chuki thi..Aditya ka sar pakad kar Ron neeche zameen par let gaya..
"Aditya-hat be main us tarah ka nahi hoon..jo ladko ke sath hi shuru ho jaye...
"Ron-dragon ke sath kaisa rahega..dragon ne hamla kar diya hain..
Aditya ke rongate khade ho gaye..dragon ka nam sunte hi,.
Ron khada hua..aur dragon ki taraf dheere dheere badha..aur us dragon ki ankho me ankhe daal kar ghurne laga..Aditya abhi bhi neeche pada tha..uthne ki himmat nahi thi usme "fala ye Ron toh bahut bahadur nikla..khali hath dragon se bhhid raha hain..."
Dragon bhi phunkar maarte hue Ron ki taraf badh raha tha..Ron apni ungali dragon ki taraf karte hue bola.."tu mujhse mukabala karne aaya hain..aaja.."
"Aditya-thok de Ron is jaanwar ko ,isko paka ke khane ka intezam karenge..waise bhi bahut bhook lagi hain..do teen din ho gaye khaye hue..
Ron gusse se peechhe muda.."ye dragon salo se bhooka hain..chup kar warna iske mu ka nivala banne me jyada vaqt nahi lagega.."
"Ron-tu kya sochata hain kallu ke chamchu..tu mujhe hara dega..dekh abhi..dekh abhi main kaise..kaise.....itna bolkar Ron bhag nikla..Aditya ke toh hosh hi ud gaye,.dragon ne dahad mari..aur zameen par lete hue Aditya ko dekha..
"Aditya-dekho,dragon bhai..aap mahan ho,dayalu ho..maine kuch nahi kiya..Ron hi mujhe yaha lekar aaya hain...
lekin dragon par koyi asar na hota dekh Aditya bhi khada hokar Ron ki taraf bhag nikla..dragon ne apne aag ki lapto se Aditya par hamla kiya..jisse Aditya ke kapde jalne lage the..Aditya aag ki lapto ko apne hatho se bhujate hue bhag raha tha
"fala Ron dhoka de ke bhag nikla,,aur ye gand se aag phenkane wala bhi mere peechhe pada hain..''
Tabhi Aditya ko Ron ne pakad kar jhadiyo ke andar khinch liya..
"Aditya-dhokebaaj chhodunga nahi tujhe main..
"chup be..dragon yahi par bhatak raha hain.."
Aditya ki majboori thi chup hona..lekin wo Ron ko ghoor kar dekh raha tha...
"Ron-main us tarah ka ladka nahi hoon.."Aditya ka dialog usi pe chipkate hue Ron bola...
Dragon dahad marte hue waha pahuncha..aur jis jhadi me Ron aur Aditya chhupe the wahi khada ho gaya..aur dono ko dhoondane laga..gusse se us dragon ne aag ki lapte charo taraf phenki..aur aage badh gaya...jis jhadi me dono chhupe the wo puri tarah jal chuki thi..
"Ron-chal..aaj raat thandi nahi lagegi..lekin tu itna hil kyun raha hain...
"Aditya-abey main nahi hil raha..jis patthar ke neeche main baitha hoon..wo hil raha hain...
"lagta hain tera motu shareer se patthar ko bhi dard hone laga hain..."
"abey ye patthar nahi kuch aur hain.."Aditya cheenkha..
jisko patthar samajh kar dono baithe the..wo asal me halke kale rang ka dragon tha,.uski daant baki dragon ki tarah bahar nahi balki andar thi..aur ankhe laal..us dragon ne apni ankhe kholi...aur apne gardan ko jhaddka..Aditya aur Ron dono ulte mu zameen par gir pade...us dragon ka aadha shareer zameen me dhansa tha..jaise kitne salo se wo so raha ho...
"Ron-tere is bhari bharkam ke shareer ke vajan se ye danav jaag gaya..
Aditya kuch nahi bol paya..keval ek shabd ke "ab uparwala bachaye''
dragon apne shareer ke zameen me dhanse bhag ko nikalne laga...lekin uska baya pair nahi nikal raha tha..usne ek tej aawaj nikali..us dragon ki aawaj pahle wale dragon ko sunayi di..wo bhi tej aawaj me hunkar bharne laga..
"Ron-aaj tu ek dragon khana..aur main ek khaunga,,ye wala mujhe pasand nahi..pahle wale ka mans naram hain...
"lekin haqiqat iska ulta hoga..ye dono dragon hum dono ko mil kar khayenge..wo bhi ek baar me.."
pahle wala dragon teji se bhagta hua..us halke kale wale dragon ki taraf badh raha tha...
Pahle wale dragone ne baad wale dragon ko apne sar se jordar dhakka diya..kale rang wala dragon..zameen ki lambi parat ko ukhadte hue door ja gira..uska pair ab aazad tha,.apne shareer ko jhatakate hue kala dragon khada hua..
"Ron-dekh tera wala udhar hain"Ron ne black dragon ko dekhkar Aditya se kaha...
"Ron tujhe aisa nahi lagta ki hum dono ko bahut jald hi yaha se khisak lena chahiye isse pahle ki ye dono hum dono ka kachumar banaye..."
"thik hain..lekin dekh lena main tujhe peedhhe kar dunga,''itna bolte hi Ron bhag nikla...Aditya bhi bina vaqt gavaye Ron ke sath bhagne..aur un dono ke peechhe dragons...
******************************
"kamine ne dhoke se mujhe gira diya..yaha toh kuch dikh hi nahi raha hain..lagta hain khayi jyada gahri nahi thi.."bilandar apne kamar ko pakad ka utha..aur kuch dhoondne laga,,.
"do nukeele patthar mil jaye toh aag jalane ka jugad ho jaye..."
Lekin uske hath me nukeele patthar ki bajay Ron ke hath se giri hui mashal aa gayi...
"kaam ho gaya..ek chingari ki jaroorat hain bas..phhir yaha se bahar nikalne ka rasta dhoonda jaye.."
apne hatho ko andhere me bahut der tak idhar udhar phhirane ke baad use patthar mil hi gaye..
"chalo koshish ki jaye.."bilandar ne uparwale ka nam liya..aur dono patthar ko ko ragadne laga..lekin chingari nahi nikali..jab bahut der tak patthar ko ragadne ke baad bhi chingari nahi paida hui toh gusse me usne un pattho ko phenk diya...aur badbadane laga..lekin achanak uske dhyan me kuch aaya,,.
"is khayi ke deewaro se pattharo ke takrane ki aawaje aani chahiye thi..kyunki jaha tak mujhe maloom hain..iceland ki khayi jyada chaudi nahi hoti...iska matlab jis taraf maine pattharo ko phenka..us taraf se rasta ho sakta hain.."
bilandar abdhere me apne hatho ko aage karke usi disha me chalne laga...bilandar ne mahsoos kiya ki uske paire tale ki zameen pahle jaise khurdari,ubad khabad na hokar ekdum chikani ho gayi hain..aur use chalne me bhi koyi mushkil nahi ho rahi thi...apne andaje se bilandar aage badhe ja raha tha..aur use koyi mushkil bhi nahi ho rahi thi...tabhi uska pair fisal gaya..wo wahi gir gaya..ek toh pahle se hi uske shareer me dard tha upar se is jhatke ne uske mu se gali nikalne ko majboor kar di...
"m*******d yaha pani kaise aa gaya..gand pe seedha asar hua hain..."bilandar apne pichhwade ko sahalate hue bola..aur apne hatho ko zameen pe tika kar uthne ki koshish karne laga,.lekin use kisi ki aawaj sunayi di..wo shant ho gaya..uska dil joro se dhadakane laga..ji bnu waha tha,,wo do log the jisme ek ladki bhi thi...bulandar chup chap un dono ki aawaj sunne laga..
"martin wapas aa raha hain..hum apna badla jaroor lenge.."
"jaroor meri jaan lisa..is baar samundar ke SHIKARI ka shikar main karunga...Martin humara intekam ab pura hoga..."itna bolkar wo hasne laga...
Update-22
Bilandar ko do logo ki baat karne ki aawaj abhi bhi aa rahi thi..bilandar ne socha ki "lagta hain ye dono bhi us nakshe ki talash me hain...lekin ye dono Martin ke aane ki baat kyun kar rahe hain..Martin toh kayi saal pahle hi is samundar me dafan ho chuka hain..."
dono ko koyi shak na ho ki waha unke aalawa bhi koyi teesara hain..isliye bilandar andhere ka sahara lekar hi chup raha..bilandar nahi chahta tha ki wo pakda jaye..aur use pakad kar koyi peete...ek to waise bhi uski halat abhi kuch thik nahi thi...
jo do log baat kar rahe the..unki charcha abhi bhi chal rahi thi..bilandar ke pass unki baate sunne ke aalawa koyi dusara rasta nahi tha..jab tak dono yaha se chale na jaye..
"dewan,ab wo samay aa gaya hain..jab hum yaha se bahar nikal payenge..kitne salo se hum yaha kaid hain.."
"ye sab tumhare kameene Martin ki vajah se hua hain..usne pahle apne marne ka dhong kiya..hum dono kitna khus hue the ye jaankar ki Martin,Morgan ke hatho jung ke maidan me shaheed ho gaya..lekin us dhokebaaj ne is kbro ke tehkhane me apne us jadui nakshe se kaid kar diya tha..us din ke baad aaj tak hum dono yaha kaid hain.."
Dewan ne lisa ko beech me hi rokkar apni taraf kheench liya.."hum dono apne jadu aur ek dusare ke shareer ki garmi se hi zinda hain..."
dewan ne lisa ke kamar par hath phhirate hue uske chutarro par ek chapat laga di..aur sahlane laga..lisa ne bhi apne dono hatho se Dewan ko jakad liya..aur apni kamar ko hila-hila kar apni chut ko dewan ke lohe pe ragadane lagi...dewan ne lisa ko alag kiya..aur uske sar ke baal pakad kar kheench diya..aaaaannnhhhhh dewannnn...dusare hath se dewan ne apne lund ko bahar nikala..aur kuch der uspe hath phhiraya..phhir lisa ka chehra kheench kar apne lund ke saamne la diya..aur lisa ke galo ko hontho ko ,sar ko apne lund se sahalane laga..dewan puri dheere dheere puri rangat me aa chuka tha..lisa ke galo par apne lund ko ragadte hue lisa ke gulab ki kali ki tarah mulayam hontho pe rakh diya..aur ragadne laga...
Uuuuuufffffff...lisa ....kya haseen hain tera ye roop..jisme kho jane ka dil karta hain..aur phhir lisa ne apne hatho se dewan ke lund ko aage peechhe karne lagi...dewan apne kapde utar raha tha..jaha lisa apne hatho se dewan ke lund ko aage peechhe kar rahi thi wahi dusari taraf dewan apne hatho se lisa ki badi badi chuchiya masal raha tha..
bilandar ki phhati padi thi...lekin apne saamne hote hue is drishya me wo sab kuch bhoolne laga tha..tehkhane me ek mashal jal rahi thi jiski roshani jyada tej toh nahi thi..lekin itni prayapt thi ki lisa aur dewan ki ek-ek harkate wo dekh sakta tha..lisa aur dewan ke sharee ko pura nanga wo dekh sakta tha..
........lisa ne ab dewan ke lund ki topi ko thoda peechhe kiya..aur apne hontho ko hawa me lahrate hue..lund ke aage ke hisse par apni garam garam jeebh phhirane lagi..uske baad dewan ke pure lund ko lisa ne apne mu me bhar liya...aur jamkar chusane lagi..tab tak deewan ne lisa ke kamar ke upar ke saare kapde nikal diye the..lisa ke sar ko pakad kar usne lisa ko roka..aur khada karke use ulta khada kar diya..aur kamar ke neeche wale kapde bhi ek-ek karke utarne laga..thodi der baad dono ekdum nange the..
bilandar ka dhyan toota..."mujhe yaha se bahar nikalne ke baare me sochna chahiye..inke lafdo me to main bhi kayi saalo tak yaha kaid rahunga..aur mere pass lisa jaisa item bhi nahi..lekin ye dono itne salo se jinda kaise hain..."bilandar soch hi tehkhane ko dekhte hue soch raha tha...dusari taraf se lisa aur dewan ki siskariya dono ko barabar sunayi de rahi thi..jo uski sochane ki shakti ko thoda romanchak bana raha tha..bilandar ne dhyan se charo taraf dekha..kuch doori par ek bahut bada darwaja tha...lekin yadi kabra yahi rahti hain to phhir dikh kyun nahi rahi..bilandar apne hi soch me magan tha ki lisa ne ek baar chinkha..aaaaaannnhhhhhhhhh......yyyyyhhhhaaaaaa aaaaayyyyiiiiiii dono ki chudai ki aawaj ne bilandar ko pareshan karke rakha tha..
******************************
Riya aur Raaj death iceland ke jungle me abhi bhi bhatak rahe the..chalte chalte riya rook gayi..apne ghutano par hath rakh kar riya hanfane lagi..jaise hi riya jhuki Raaj ko uske chhati me samaye do santaro ki jhalak mil gayi...
"Raaj-kya hua ,riya..tum rook kyun gayi...
"main thak chuki hoon... pyas bhi bahut lag rahi hain.."riya ne hanfate hue kaha..
"pani kaha se lau..haan..is viran se iceland me ek jagah hain jaha paani mil sakta hain.."
"kaha" Riya abhi bhi usi postion me thi jhuki hui thi...
"yaha ek aisi jagah hain..jaha kabhi andhera nahi hota..waha saundar ka paani jheel ke roop me bahta rahta hain..."
"kaha hain wo jagah..."Raaj ke kahne par Riya me kuch himmat aayi toh wo wapas khade hokar boli...
"dhoondana padega..fikar mat karo chalte chalte hum dono waha pahunch jayenge..aur humari madad karega..Ron ka Naksha.."
Raaj ne apne jeb se Naksha nikala..."yaha death iceland hain..death iceland ke beecho beech uttari disha me usko dikhaya gaya gaya hain..abhi hum jyada door nahi aaye hain..kuch der chalne ke baad jab hum is iceland ke beech me pahunch jayenge to wo jagah jyada door nahi hogi.."
Raaj, Riya ke karib aaya.."riya..mere rahte tumhe kuch nahi hoga....is bharam me mat rahna..ab chalo jaldi se.."
"kaha ja rahe ho namurado..jane se pahle mujhse nahi miloge.."
Riya aur Raaj chounk gaye..
"oh my god !Raaj ab hum kya karenge..."Raaj ke peechhe chhupte hue Riya ne kaha..
"Morgan..tu apni maut ke pass aaya hain.."
"tum dono bach kaise gaye..maine toh balladonna ko tabah kar diya tha.."
Raaj ne Morgan ki baat ka jawab dene ki bajay khanjar nikal kar Morgan ki taraf dauda...Lekin Morgan ne uske war ko rok liya..
"tu bahut bahadur hain..lekin shaktishali nahi.."Raaj ke hath ko pakad kar Morgan bola...aur apne patthar jaise majboot sar ko Raaj ke sar par de mara...Raaj ka sar ghoom gaya...wo apne hosh laga tha...
"aaj mujhe jeetana hi hain..chahe kuch bhi ho jaye.."Raaj ne khud se kaha,.aur apni puri taqat laha kar Morgan ke upar kud gaya..aur Morgan ko apne hatho se mukke jadne laga...lekin Kuch der baad Morgan ne Raaj ke sar ko apne hatho se pakad kar door phenk diya..Raaj door ja gira..Morgan khada hokar Raaj ki taraf teji se dauda..aur apni laat uski pet par mari...Raaj chilla pada..Raaj ke sath sath Riya ki bhi cheenk nikal gayi..
"tere sar ka bheja main apne dragons ko dunga.."Morgan ne apna farsa uthaya..Raaj ko apna ant saamane najar aaya..usne farse ko Rokane ke liye apne sono hatho ko aagw badhaya..Raaj ki peeth par jalan shuru ho gaya,..Raaj ne apne hath Morgan ke farse ko rokane ke liye aagw badhaya tha..Morgan ka farsa hawa me hi rook kar rah gaya..ye ek chamatkar se kam nahi tha Raaj ke liye..usne apni puri taqat lagakar uthne ki koshish ki..uski peeth jalne lagi thi..lekin abhi Raaj ko Morgan ka samna karna tha..apne hamle ko nakam dekhkar Morgan ne gusse se ek baar phhir apna farsa uthaya..lekin Raaj ne jaise hi apna hath Morgan ki taraf kiya..Raaj ke hath se itani energy vibrate hui ki Morgan kayi kadam peechhe hat gaya...
"Morgan-ye kaise mumkin hain..kaun ho tum..
"aaj tak main peeth par bane nishan ko dosh deta tha..lekin aaj main samajh gaya ki ye mere liye shrap nahi vardan hain....m"ujhe apne andar ek aseem taqat ka anubhav ho raha hain...ab tera kya hoga kallu"kahte hue Raaj ne ek mukka Morgan ke thobade pe de mara...
"kallu,abhi mujhe Martin ki kabra dhoondani hain..isliye tujhe zinda chhod raha hoon..dobara mere raste me aane ki ghatiya koshish ki toh jaan se maar dunga..."
Raaj ,Riya ke pass gaya..Riya apna mu khole Raaj ko apni taraf aate hue dekh rahi thi....
"mu to band kar lo janeman..pyas bujh jayegi kuch der me.. Agali baari The Ron ki.............."
Update-23
"mu to band kar lo janeman..pyas bujh jayegi kuch der me.. Agali baari The Ron ki"
Riya-ye kaise possible hain...tumne kiya kaise...
"kar ke batau kya..samay barbaad karne ke koyi fayada nahi..Ron us Nakshe tak pahunche uske pahale hume pahunchana hain.."
******************************
Aditya aur Ron dragons se khud ko bachane ke liye ek bade se ped ke pichhe abhi bhi chhupe hue the...Aditya ped ke pichhe se dragon ko dekhne ki koshish karta hain...
"Ron- pagal hain kya..kachcha chaa jayenge..hum dono ko...seedhe se khada Rah...aur jab main bolu to zameen par let kar chalenge...
dragons ko Aditya aur Ron ki ka abhash ho chuka tha ki dono yahi kahi chhupe hue hain...wo dheere dheere usi ped ki taraf badh rahe the jis ped ke pichhe Ron aur Aditya chhupe hue the...Aditya ne dragon kaha hain ye pata karne ke liye ,ek baar phhir ped ke pichhe se jhanka..dragon pass me hi thi..Aditya ki ankh dragon se mil gayi...
"Ron...bhag le us kaliye dragon ne dekh liya..."
"sach me usne dekh liya..."
"abey wo dekh wo idhar hi aa raha hain..."
"to bhag na ...."Ron itna kahkar phhir bhag liya..Aditya bhi Ron ke peechhe ho liya...
daudte waqt Ron ne pichhe mud kar dekha...dragon teji se un dono ki taraf badh rahe the...
"Ron- bhag jitna dum hain..nahi to aaj dragon ke pet me pada hoga..."Ron bhagte hue bola..
"ghanta ka dum..kayi din se pani nahi piya...aur aaj ye sale badsurat jaanwar ne dauda diya,,mujhe apna ant karib dikhayi de raha hain..."
''Ron-waise hum dono jis taraf bhag rahe hain..tehkhana bhi usi taraf hain...
"gand me gaya tehkhana aur tera Martin..apni jaan ki lagi hain abhi.."
"yaha se bahar kaise jayega...kuch socha hain.."
"hawa md ud ke jaunga..nahi to Morgan ke dragon par baithkar jaunga:mad: ab baat mat kar.."
dono bahut teji se bhag rahe the...achanak ek jagah par aakar Ron Ruk gaya...aur us jagah ko thik tarah se dekhane laga...dono dragon pass aa rahe the..
"Ron..bhag jaldi khada kyun ho gaya.."
"yaha ke zameen ke andar se ek surang hain..jo seedha Martin ke kabra tak jayegi..."
"apni jaan latak lari hain..aur tujhe us samundar ke khajane ki padi hain..."
Ron jawab deta isse pahle hi drogon kareeb aa gaye..Red dragon ne apne mu se aag ki lapto nikali..Ron dusari taraf kud kar bach gaya..,aur khada ho gaya..
"yadi hath me ek sharab ki botal hoti to is laal mu wale ko marne me aur bhi maja aata..."
"fala tharki..''
Ron seedhe khada tha..apne bachav ke liye na hi wo bhag raha tha..aur na hi dragon par war kar raha tha..dragon waha ki zameen par apna sar ragadane laga...aur wapas chala gaya..Aditya jo thodi door me khada tha,hairan tha..akhir dragon ne Ron par hamla kyun nahi kiya..dragon dahad marte hue jab kafi door chala gaya to Ron ki taraf Aditya aaya...
"yar ,Ron ye bata..ye dragon ne sharab pee rakhi thi ya phhir uski khoyi hui item wapas aa gayi..jo ye ulte pair bhag gaya..."
"us laal bandar ko maloom chal gaya tha ki yadi wo yaha aata to seedha tehkhane me girta.."
"ab hume kya karna chahiye..."
Ron ne agale hi pal,Aditya ko uthaya aur baho me jakad liya..
"fale..chhod,ye sab main nahi karta.."
"jab se tujhe dekha hain.,teri in haseen si ankho me doob sa gaya hoon main..sari duniya ek taraf tujhme kho sa gaya hoon main.."
"Ron tere irade nek nahi lag rahe utar mujhe neeche..."
"main tujhse bahut pyar karta hoon.."kahte hue Ron ne Aditya ko dono hatho se upar uthaya..aur neeche zameen me jor se patak diya...Waha ki zameen dhans gayi,..Aditya zameen dhans jane ke karan seedhe tehkhane me jakar gira...Ron dhansi hui zameen ke pas aaya..aur aawaj di"zinda hain Janeman,.,"
''tu aa neeche fale..dhokebaj..''
"side chal..nahi to upar hi girunga.."
Aditya dusari taraf ludhak gaya...Ron upae se kudkar Tehkhane me aa gaya...aur Aditya ko hath dekar uthaya.."tera mera pyar khatam.."Ron ne Uthate hue Aditya se kaha..
"Ron-bilkul bhi aawaj mat karna..chup chap mere peechhe chalna..
Ron aage aage chalne laga..aur Aditya peeche...
"Aditya-tujhe kaise pata chala ki yaha se Rasta hain...
"bola na aawaj mat kar..."
Aditya buri shakal banakar chup ho gaya.....
******************************
Nair aur seth dheere dheere apna anuman laga kar aage badh rahe the..aur Martin ke mahal ke kareeb pahunch rahe the...kismat ne dono ka bakhoobi sath diya..unke raste me na to dragon aaya..aur na hi Morgan...dono bahut der se chal rahe the..jisse dono ko thakan mahsoos ho raha thi,,
"Seth-Captain..thoda aaram kar lete hain..kahi baithkar,,
Nair apne kamar par hath rakhkar jhuka,,.aur khud ko fit rakhne wale kuch exersice karne laga...
"seth..tumhari baat sahi hain,.lekin yaha ka mahol kuch thik nahi lagta..aage chalte hain.."
kuch door aage jakar dono ped ke neeche baith gaye..,tabhi Nair ko andhere me kuch pada hua dikhayi diya,,
"seth wo kya chiz hain.."
seth ko bhi aisa laga ki kuch pada hua hain..lekin kya,,,seth ne uske kareeb gaya...aur us padi hui chiz ko uthaya...wo kisi kapde ki tarah tha..
"captain..ye to kisi ka kapda lagta hain...lekin is viran si jagah par kiska kapda hoga..."
Nair ne seth ke hath se us kapde ko liya..wo ek Naksha tha..
"Nair-abey ye Naksha to Raaj wale Nakshe se milta hain..iska matlab Raaj aur Riya isi Raste se aage badhe hain..,aur Raaj ne ye Naksha gira diya..."
"Nair ,dono jyada door nahi gaye honge..hum teji se chalte hain.."
Nair ko seth ki baat sahi lagi..wo dono seedhe jis raste par Naksha pada hua tha usi taraf badh gaye...
"Nair- seth ye to kamal ho gaya..death iceland par Roshani aa rahi hain..dekh waha se mujhe uski jhalak dikh rahi hain...
"seth-lekin ye sambhav kaise hain...
Nair aur seth me nayi energy ne dastak de di..us roshani ke pichhe ke rahasya ko janne ki utsukta ne dono me ek nayi taqat bhar di...
................
"Riya- wow...kitani haseen jagah hain..Raaj, thanks itni khubsurat jagah par lane ke liye..Riya ki khusi ke maare jhoom rahi thi..
Raaj,kuch bolta usse pahle hi waha seth aur Nair aa pahunche...
"Raaj- tum dono abhi tak zinda ho...
"seth- Navy ke bande hain..maut ko kaise roka jata hain..ye hume bakhoobi aata hain..
Raaj,ne Seth ke hath me pakde hue Nakshe ko dekhkar thoda hairan hua.."seth..tere hath me kya hain..."
"Nair-abey apni jeb kar tera Naksha pichhe gir gaya tha..wo to meri tej nazar is Nakshe par pad gayi...
Raaj ne apne sabhi jeb ko check kiya..uska Naksha uske jeb tha..jise bahar nikal kar Raaj bola.."mera Naksha to mere pass hain.."sabko Raaj ne apne hath me pakda hua Naksha dikhaya...
"Nair-phhir ye kiska Naksha hain..ye Naksha hi hain ya phhir aur kuch.......
Update-24
"Nair-phhir ye kiska Naksha hain..ye Naksha hi hain ya phhir aur kuch......
"Raaj-ek min. ruko..."Raaj kuch der sochata raha...uske chehare par muskan aa gayi..."ye naksha Morgan ka hai..humari bhidat me shayad ye naksha gir gaya..ab Spiritual Ship humari pahunch se door nahi..bas wo nakshe ka teesara part mil jaye..jo martin ke kabra me dafan hain.."
"Nair-iska matlab ye hua ki Morgan yaha aa chuka hain..aur teri uske sath bhidat bhi ho chuki hain..."
"meri shakal dekh...ye nishan mujhe aise hi nahi mile hain"Raaj ne apne chehare ki taraf ishara karte hue kaha..
nair hanste hue bola.."tu phhir maar kha gaya kya..kitano se pitega..lekin main shocked hoon ki Morgan ne tujhe zinda kaise chhod diya.."
"Baji ab apne hath me hain..Ron ho ya Morgan..ab humare samane ya phhir yun kahe mere samane kuch nahi...ab Spiritual Ship aur samundar ke bheetar dafan wo beshumar khajana humara hoga.."
"abey tu to aise bol raha hain jaise tere pass Ron aur Morgan ki kamjori aa gayi ho..bhool gaya kaise dono hume ko hara chuke hain.."
"abhi dikhata hoon..ye dekh.."Raaj kahte hue apne dono hatho ko Nair ki taraf kiya..aur pura dum lagakar Nair ki taraf apne hath ko dhakela..waha itni tej hawa chalne lagi ki Nair khud ko control nahi kar paya aur hawa udd gaya..aur door ja gira...
"fale main hi mila tha tujhe.."Nair karahate hue bola..
Sabhi Nair ke pass gaye..
"ab hua yakin..aur tu ab samajh gaya hoga ki main kyun bol raha tha ki Ron aur Morgan mere samane ab kuch nahi hain.."Raaj ne apna ek hath neeche gire hue Nair ki taraf badhaya aur apne hath ke sahare se uthaya..
nair apne kamar ko pakad kar bola.."ye baat to sahi hain..lekin ye sab tune kiya kaise..."
"ye tum logo ko samajh me nahi aayega..ab Ron us Nakshe tak pahunche uske pahale hi hume Martin ka teesara Naksha lena hoga.."
"Riya-lekin ab aage ka rasta kaise maloom chalega..mera matlab Martin ki kabra ko hum kaise dhoondenge..
"Raaj-tum fikar mat karo janeman..ab aage ka rasta Morgan ka Naksha dikhayega..aur is Nakshe ke mutabik hume..yaha se us bade se ped ki taraf chalna hain..aur is Nakshe ke anusar aage ek maidan hain..
-------------------------------------------------------
Ron aur Aditya tehkhane me pahunchane ke baad aage badh rahe the..Ron ne Aditya ko kisi bhi prakar ki aawaj nahi karne ke bola tha..jo ki Aditya ke bheje me nahi ghus rahi thi..aur apni aadat se majboor Aditya khud se baat karne laga..
"ye kitna bada chodu hain..jab is andhere se tehkhane me koyi hain hi nahi to mujhe chup rahne ke liye kyun bola hain..ek to itane din se kuch khaya nahi..aur saans lene ke liye ab mu bhi na kholu.."
"abey tujhe chup rahne ke liye bola na..koyi sun lega to.."
Aditya ka dimak kharab ho gaya.."fale yaha kya Martin ka bhoot baitha hoga..jo sun lega.."
"marne ke baad Martin bhoot ban gaya tha..aur yadi usne humari baate sun li to kachcha chaba jayega..ab chup rah.."Ron gussa karte hue bola..
"main itna bhi bewkoof nahi hoon Ron..sahi baat bata warna main aur tej tej aawaj karunga.."
"abey bhool gaya humare peechhe Riya aur uski fauj bhi aayi hogi yaha Nakshe ki khoj me..ab yadi unhoone teri beshuri aawaj ko sun liya to satark ho jayenge.."
Aditya chup ho gaya..Ron ki baat me use dum laga..aur usne hamesha ki tarah Ron ki baat maan li..lekin wo kab tak uske dimak me koyi na koyi prashan uth hi jata hain..
"Aditya-Ron ye akhiri baar puchh raha hoon..ek akhiri sawal ,iska jawab de de main phhir kuch nahi bolunga...
ron chalte hue ruk gaya"fala kitna bak-bak karta hain..sabse pahle ise hi un dragon ke hawale karunga.."
"Ron-jaldi se bak..apna wo akhiri behuda sawal..
"Ron..mera akhiri sawal ye hain ki..yadi Riya aur uske gang yani..Nair,Seth aur Raaj ne humse pahle wo Naksha Martin ki kabra se le liya to..phhir hum kya karenge.."
Aditya ke prashn ne Ron ko kuch sochane par majboor kar diya..
"Ron-tere is bhoose se bhare dimak me pahali baar koyi kaam ki baat sochi hain..lekin tu befikar rah yadi un logo ko teeno Nakshe bhi mil jate hain to Murdo ke jahaj tak wo nahi pahunch payenge..Spiritual Ship kisi kinare par khada nahi hain..jo Naksha leke gaye aur jahaj ko apne kabje me le liya..Spiritual ship Martin ki maut ke sath hi samundar ki gahrayi me gum ho gaya tha..sath me usme maujood wo beshumar khajana.."
Ron aur Aditya phhir aage badh rahe the..kuch der chalne ke baad Ron ruk gaya..aur apne kamar ki jeb se ek kapda nikal kar peeth se apni bandook nikali...
Aditya-ab kya kar raha hain be...
"Ron-aage ka rasta kharab ho sakta hain..isiliye mashal ka intejaam kar raha hoon..
"abey barood kaha hain apne pass"
"meri is bandook me kuch to barood hoga..kuch der tak ka rasta dekh loon aage ka anuman main khud laga lunga.."Ron ne itna kahte hue..us kapde par bandook me bachi hui thodi si barood gira di..aur Aditya se machis manga..
"ab dekhana tu..Ron ka karnama..kaise ye mashal jali aur Martin ke kabra se hum wo naksha lekar yaha se turant raffuchakkar..."kahte hue Ron ne kapde ko jala diya..aur us jalte hue kapde ko apni bandook ki nok me tangkar Aditya ko chalne ka ishara kiya..Roshani me Aditya Tehkhane ko dekhkar darne laga..kitane hi admiyo ke kankal waha pade hue the..kuch kankal deewar par bhi tange hue the...Aditya dekh kar chal raha tha ,lekin phhir bhi uske pair ke neeche ek kankal aa gaya..aur Aditya jor se cheenkha...Ron ne jaldi se uske mu pe apna hath rakh kar use shant kiya..
"abey pagal..chillaya kyun mana kiya tha na..."
"neeche dekh ,kisi ka dhancha hain"Aditya ne apne pairo ki taraf ishara kiya..Ron ne Aditya ke pair ki taraf dekha..ek kankal Aditya ke pair ke neeche daba hua tha..Ron us kankal ko apne hath me uthakar bola.."abey ghonchu isse dar raha hain..phhir yadi sach me Yaha Martin ka bhoot hua to kya halat hogi teri be...waise kafi khubsurat kankal hain..apne jahaj ke samne ise latka denge.."

bilandar ,Martin ki kabra ko khojane me laga hua tha..sath me use lisa aur dewan ka dar bhi lag raha tha..zameen me lete hue bilandar aage badh raha tha..uski nazar lisa aur dewan par thi..dono abhi bhi chudai me vyast the..
"sala kitni der se kar rahe hain..insan hain jaanwar..karte raho apun to Naksha lekar khishka..."
bilandar aage badhte gaya..use apne se kuch doori par seedhiya dikhayi di..jo upar ki taraf ja rahi thi..
"ye shayad upar ki taraf jaye..abhi in dono se door rahne me hi bhalayi hain.."khud se kahta hua bilandar seedhiyo ke taraf badhne laga..aur kuch der baad seedhiyo ke sahare wo upar ke tehkhane me pahunch gaya..khada hokar apne kapde ko jhadne laga..
"ab is sale Martin ki kabar kaha hain..jaldi se Naksha mile aur phhir main yaha se bahae nikalne ki sochu.."
tabhi bilandar ko kisi ke hasne ki aawaj sunayi di..jo dheere dheere tej hoti ja rahi thi..iska matlab saaf tha ki lisa aur dewan upar ki taraf aa rahe hain.....
Update-25
"ab main gaya kaam se..in dono ko shayad mere yaha hone ka abhash ho gaya hain.."bilandar badbadaya..
Kadmo ki aawaj tej hoti ja rahi thi..sath me hasne ki aawaj bhi..
"lisa chalo humare raja Martin ki kabra ko kholkar dekha jaye..."Dewan apni hansi rok kar bola..aur uske kadam bilandar ki taraf badhne lage..
"Dewan...kitani baar kaha hain ki us dhokebaj ke nam ke samane raja mat lagao..nafrat hain mujhe us behrupiye se.."lisa ki aawaj me gussa aur nafrat saaf jhalak rahi thi..
"are jaan..behrupiya to wo itna bada hain ki usne khud ki nakali kabra bana di..aur dhoke se hum dono ko yaha phansa diya aur sab yahi samajhane lage ki Martin ke sath sath Lisa aur uska senapati Dewan jung me maare gaye..lekin aisa nahi hua tha..hum dono Morgan se mile hue hain ye baat kisi ne jakar Martin ko bata di..aur us dhokebaj ne apni maut ka dhong racha..."dewan ko beech me hi Lisa ne rokate hue kaha.."ab un purani yaadon ko taja karne ka koyi matlab nahi..Martin apne jahaj aur jahaj ke us Nakshe se door ho gaya ...yahi humare liye khusi ki baat hain..chalo Martin ki jhooti kabra me wo Naksha dekh kar sukoon liya jaye..."
itna bolkar lisa ,tehkhane ke us room me ek taraf chalne lagi..aur uske sath me dewan bhi...dono ko door jata dekh bilandar ne chain ki saans li..
"salo ne phad di thi..lekin ye kya baat kar rahe the ki Martin jung me mara nahi gaya..sale chutiya kahi ke.."
tabhi bilandar ko andhere se bhare us tehkhane ke kamre me aag jalti hui dikhayi di..wo mashal ki aag thi ,jise lisa ne apne hath me pakad rakha tha..aur dono mashal ki roshani me chale ja rahe the..
"ye dono Martin ki kabra ke pass ja rahe the..kyun na chupke chupke inke sath hi chala jaye..."bilandar ne socha..
"Dewan-lisa..us din Martin ko main maar deta ,yadi Morgan ke namurad dragons ne hamla nahi kiya hota..
"lisa-Morgan sirf humari madad kar raha tha..par afsoos sirf is baat ka hain ki Morgan ko bhi ye nahi pata ki Martin ne hum dono ko is tehkhane me kaid kar diya tha..warna wo hume kab ka yaha se le ja chuka hota...
Lisa bolte hue achanak ruk gayi..usne apne hath me rakhi mashal ko samane ki taraf ghumaya...aur mashal dewan ke hatho me pakda di.."yahi hain wo kabra"kahte hue lisa ne Martin ki kabra ki taraf ishara kiya..dewan ne ek hath me mashal pakade hue apne dusare hath se Martin ki kabra ko kholne laga..kabra bahut purani ho chuki thi..isliye jab dewan use khol raha tha ,to aawaj bhi aa rahi thi..dewan ne kabra ko khol diya..andar kisi ka kankal tha..aur us kankal ke seene par rakha hua ek Naksha..jise lisa ne apne ek hath me uthakar jhada..."yahi hain samundar ke Shikari ,murdo ke jahaj ke captain Martin ka adhbhudh naksha..jise lene ke liye Martin khud yaha aa raha hain..."
"lisa..chhodo bhi us kayar ki baate...agar wo sach me Shikari hota to yun jung chhod ke nahi jata..balki mujhse ,Morgan aur Dragon holder se mukabala karta..lekin wo kayar tha..apne shatir dimak ke bal par us din to bach gaya..lekin ab nahi..."dewan jor jor se hansne laga..bilandar chupke chupke dono ki baate sun raha tha..aur sath me lisa ke hath me rakha hua naksha bhi..jo ki baki naksho se milta julta tha..lisa ne naksha wapas kabra me rakha..aur dewan ko lekar tehkhane ke us kamre se bahar aa gayi...

Raaj ,Riya ,Seth aur Nair nakshe ke mutabik aage badh rahe the..nakshe me death iceland bhi tha..jisme kayi tarah ke dragons ke map the..lekin Martin ki kabra ka koyi astitva us nakshe me maujood nahi tha..
"Raaj-ye Naksha ,Hume us teesare nakshe ke baare me koyi jaankari nahi deta..sivay iske ki yaha se thodi door me safed mitti ki zameen hain...
"seth-kahi us zameen me hi to aage ka rasta nahi hain..shayad ye bhi ho sakta hain ki waha pahunchkar hume aage ka rasta maloom chale..
riya ne seth ki baat ka samathan karte hue boli"seth sahi kah raha hain..aage jakar hi hume shayad kuch maloom chale...
"Raaj-jaisa tum kaho ,janeman..ye lo aa gayi wo safed zameen..."Raaj ne samne ki taraf ishara kiya...
Sabhi us safed zameen ki taraf chalne lage..
"jagah kafi khubsurat hain..."Nair ne kaha..
"haan..is andhere jungle me koyi to chiz safed dikhi..kuch der yahi aaram karte hain.."Raaj Nakshe ko jeb me rakhte hue bola..aur waha se kuch doori par tahalne laga..uske dil-o-dimak me kayi vakaye ghoom rahe the..jisme sabse dilchashp use adhbhut shakti ka milna tha..
"ab mujhe koyi nahi rok sakta..na hi drgon ki shakal se bhi bekar dikhane wala Morgan..aur na hi wo behrupiya Ron.."kahte hue Raaj apne dono hatho ko dekhane laga.."mere hath kamal ke hain..main badi si badi chiz ko hawa me uda sakta hoon.."....Raaj ne apne hath ki disha samane lage hue ek ped ki taraf ki..aur ped ko hawa me uthane ki koshish karne laga..lekin ped ki tahniya sirf hili..
"shayad abhi tumhe kuch aur practice ki jaroorat hain.." ...Raaj ka dhyan ped se hat gaya..Riya hawa me udte hue apne balo ko sawar rahi thi...
"kya kaha tumne ..."Raaj apne chehare par ek muskan lata hua bola...
"yahi ki abhi tumhe kuch aur samay chahiye.."
"mujhe aisa nahi lagta..."kahte hue Raaj ne Riya ko upar utha liya..
"Raaj ,neeche lao mujhe.."
"ye lo abhi ..."Raaj ne Riya ko neeche utar diya.."ab bhi kuch kahna baki hain.."
Riya jawab deti isse pahale hi seth chillaya jo kuch doori par Nair ke sath khada tha.."oye hawa wale..garmi lag rahi hain..thoda hath ka dum dikhayo.."
Raaj-dekho riya..in dono main kaise thandak pahuchata hoon..Raaj ne apne dono hatho par apna pura dum laga diya..waha hawa ka bawandar uth gaya..sath me reetili toofan bhi..jiske karan Seth aur Nair ko apni ankhe band karni padi..Riya aur Raaj hanskar dono ke maje le rahe the...tabhi Raaj dwara machaye gaye toofan se zameen ka ek hissa dhans gaya..sabhi ki ankhe phhati rah gayi..
"Nair-ye kya hain be..
"seth-ye to iske andar jakar hi maloom chalega...

"Ron..tujhe nahi lagta ki humare jahaj ka nam badal dena chahiye.."
"kyun..tujhe murdo ka jahaj wala nam sunkar dar lagta hain.."
"sach kahu to haan..nam sunkar aisa lagta hain..jaise tera wo jahaj..bahut bada kala sa bhadde ki tarah dikhta hoga..jispe samne ki taraf maut ka nishan bana hoga...lekin mujhe maloom hain..haqiqat me spiritual ship aisa nahi hoga..."
"waise kamal ka andaja lagaya hain..spiritual ship haqiqat me aisa hain..ab chup hoja kisi ke aane ki aawaj aa rahi..aur jab tak na bolu apna ye sada hua mu mat khol dena.."
Aditya ko bhi kisi ke aane ki kadmo ki aawaj sunayi di..Ron ,Aditya ko lekar ek kone me chhup gaya..Aditya hairan tha ki yaha mashal kaise jal rahi hain..aur kisne jalayi wo mashal..lekin wo Ron se puchh nahi sakta tha..andhere me dono ko upar se aate hue do saye dikhayi diye..jab mashal ki roshani me dono aaye to Aditya ko yakin nahi hua ki..yaha do insan bhi hain..usme bhi ek khubsurat haseena...lisa aur dewan ko dekhkar Ron ki ankho me gussa bhar gaya..usne apni muthi bhar li..Aditya ne Ron ke kandhe par hath rakha..aur jab lisa aur dewan kuch doori par chale gaye to dheere se Aditya bola.."Ron ye dono kaun hain..."
"ye abhi tak zinda hain..."Ron ki aawaj gusse se bharpur thi..Aditya ne pahali baar Ron ko is tarah dekha...
"Ron tujhe kya hua.."
Ron ko apni galti ka ahsas hua..aur apne andaj me bola.."dono ko maine kayi saal pahle yaha bhooka marne ke liye chhod diya tha..lagta hain dono samundar ka khara pani peekar abhi tak zinda hain..."
Update-26
apne andaj me bola.."dono ko maine kayi saal pahle yaha bhooka marne ke liye chhod diya tha..lagta hain dono samundar ka khara pani peekar abhi tak zinda hain..." Ron apne hath ki kalayi ko bandhkar aage badhne laga..
"ye kya kar raha hain..kahi us khubsurat ladki par iska dil to nahi aa gaya.."Aditya ne Ron ko aawaj di.."abey uske sath koyi aur bhi hain.."
Aditya ki aawaj Ron ke sath-sath Lisa aur Dewan ne bhi sun li..dono ka dhyan Ron aur Aditya ki taraf gaya..lisa ke chehare par ek katil muskan aa gayi..aur wo dewan ke jism se sat gayi...dewan ne lisa ke peeth ko sahlate hue bola.."kaise ho mahan samundar ke Shikari king Martin..."
dewan ki hansi pure tehkhane me gunj uthi...Ron ke chehare par laal hua ja raha tha..aur Aditya ki samajh se sab kuch bahar tha..Aditya un teeno ki taraf sawaliya nigah se badha aur Ron ke pass jakar bola"ye dono tujhe Martin ke nam se kyun bula rahe hain Ron..lagta hain in dono ke dimak ki band baj chuki hain.."
lisa ne khud ko dewan ki baho se aazad karke ,Ron ki taraf badhne lagi.."Mere pyare Martin..tumne apne sath kis namune ko laya hain..oh mujhe maaf karna tumhara naya nam mujhe nahi maloom tha The Ron..."
"Aditya-apni jawani par jyada ghamand hain kya..ek baar apun ke sath so ke dekh sari garmi utar jayegi..."
"Lisa-chup ho ja bewkoof..mere jism ki garmi jab itne salo se shant nahi hui..to tere jaise langoor ki kya hasiyat hain..Martin..oh nahi Ron apne dost ko tumne apne baare me nahi bataya..
lisa ko beech me hi rok kar Dewan bol pada"lagta hain Ron yani Martin ne sabki tarah ise bhi dhoka diya..lekin abhi der nahi hui..ye mare isse pahale main ise sab kuch sach bata deta hoon.."dewan ,Aditya ki taraf ghooma aur uske kandhe par apne hath rakh kar bola.."tumne kabhi King Martin ka nam suna hain..."
"haan bahut baar..kahte hain ki wo is death iceland ka raja tha..."
"tum to bahut samajhdar ho..lekin kya tumhe ye nahi maloom ki jis Ron ke sath tum yaha tak aaye ho..wo hi Raja Martin hain..."
"majak achchha kar leta hain tu.."Aditya apna pet pakad kar hansne laga.."abey maine socha tha..koyi sach baat mujhe tu batayega.."
"dewan-mujhpe hasne se pahale ,tum Ron se khud kyun nahi puchh lete..puchh kyun nahi lete ki wo itna khamosh kyun hain..usse ye kyun nahi puchh lete ki use is death iceland ke baare me itna kaise maloom..
"Ron-sun be chaparganju..apni ye behuda baate kisi aur ke sath karna..abhi main tujhe jahannum ki sair karata hoon..."kahte hue Ron ne apni talwar nikal li..aur Dewan ki taraf badha..Ron ne apni talwar ki nok ko dewan ke pet par nishana lagakar chalaya..lekin dewan ne talwar ko hath se pakad liya.."Martin..tumhara junoon abhi tak khatam nahi hua.."
"haan ye sach hain ki maine death iceland se jane ke baad apne puri shaksiyat ko badal diya..lekin mere andar ka gussa..tum dono ke liye nafrat ab bhi barkarar hain.."
Ron ne apne sar se dewan ke sar par thokar mari..dewan peechhe khisak gaya..ron ki baate sunkar Aditya ko yakin nahi hua..
"Ron..ye tum kya kah rahe ho...tum aur death iceland ke raja..ye kaise ho sakta hain.."
"Aditya ,tujhe bahut kuch batana hain..par sahi samay aane ke baad..abhi hume Naksha lekar yaha se jald hi nikalna hain..."
lisa ne pass ke myan me latki hui talwar ko kheench liya..aur Ron ki taraf badhi.."itni bhi kya jaldi hain mere Pyare Raja..purana hisab to chukta kar jao..."
tab tak dewan bhi khada ho chuka tha..aur uske hath me bhi ek talwar thi..dono Ron ki taraf badh rahe the..
"ye sale Dono Ron par hamla karne wale hain..mujhe Ron ka sath dena padega..lekin kaise apna lund lekar inka mukabala karu kya.."
"Ron-Aditya tujhe bhook lagi hain na..is sand ka mans khayega.."dewan ki taraf ishara karte hue Ron ne kaha..
"abey ye behad ganda hain..pahle ise nahlana padega.."
"khoon se nahla dunga is gaddar ko..bas tu aag ka intejam kar "
dewan aur lisa ne Ron par ek sath hamla kar diya..

bilandar us Martin ki kabra ke najdeek pahunch raha tha..use neeche tehkhane se aawaj sunayi de rahi thi..lekin bilandar ne gaur nahi kiya..aur akhirkar wo Martin ki kabra ke pass pahunch gaya..
"Martin ki koyi ijjat nahi ki in dono ne ..iski kabra par kitni dhool jami hui hain.."
bilandar ne kabra ko khola..aur Naksha apne jeb me rakh liya..
"ab beta bilandar chupke se khisak le yaha se.."
bilandar dabe paanv neeche aane laga..jaise hi bilandar seedhiyo se neeche aaya,,uske hosh ud gaye..Ron ,lisa aur dewan se talwarbaji kar raha tha..aur Aditya kuch doori par ek patthar liye dewan par nishana sadh raha tha..
"bilandar-bahut khoob..ladte raho marte raho..apun to khiska yaha se..
Bilandar chupke se tehkhane ke darwaje ki taraf badhne laga..lekin Aditya ki nazar bilandar par pad gayi..
"abey billu..ruk main bhi hoon..."Aditya ne patthar ko wahi giraya ..aur bilandar ki taraf bhaga...
ron bahaduri se lisa aur dewan ka mukabala kar raha tha..usne jab Aditya ko jate hue dekha to jor se Aditya ko aawaj di.."abey akela chhodkar kyun ja raha hain..mujhe teri madad ki jaroorat hain.."
Aditya ek pal ke liye ruka..usne palatkar Ron ki taraf dekha..Ron joonjh raha tha..lekin uska paksha abhi kamjor nahi hua tha.."sorry Ron..par tujhe ek baat samajh leni chahiye ki dusaro ko dhoka dene wala ,kabhi khud bhi dhoka kha jata hain..yadi tu zinda raha to phhir mulakat hogi..apun chala.."
Aditya ,bilandar ke sath ho liya..
"ab to tera sathi bhi gaya..Martin ab tu kya karega.."dewan ne apni talwar ko Ron ke seene ke aar paar utarni chahi..lekin Ron jhook gaya..aur dewan ke pair me apni talwar ghusa di..dewan chilla utha..
"Ron-tune wo kahawat to suni hogi..Shikari kabhi bhi kisi ke madad ka mohtaj nahi hota..aaaahhhhhhhh..Ron ki juban bolte bolte achanak ladkhada gayi..uske pet me bahut tej dard mahsoos hua..Ron ne apne hath se apne pet ko chhua..pet khoon ki tej dhara bah rahi thi..jisse uska hath khoon se puri tarah san gaya tha..Ron peechhe muda lisa muskura rahi thi..
"mere talwar ka maksad pura hua Martin.."
Ron abhi is dard ubhar nahi paya tha ki dewan ne bhi apni talwar Ron ke peeth me khonp di..
"meri talwar ka bhi maksad pura hua mere bahadur Raja..ab alwida kahne ka vaqt aa gaya hain.."
dewan ne Ron ko thokar dekar gira diya....
"lisa-dewan wo dono naksha lekar bhag rahe hain..
"jane do,,hum dono shrap ki vajah se tehkhane ka darwaja nahi khol sakte..lekin wo dono aisa kar sakte hain..aaj samay aa gaya hain lisa jab hum aazad honge..aur pure samundar par humari hukumat ki shuruat aaj se hogi..."
dewan aur lisa Ron ko tadapta chhodkar tehkhane ke darwaje ki taraf badh gaye....
ron apne pet par hath rakhe hue bahut der tak khoon bahne se rokta raha..wo uthane ki koshish kar raha tha..lekin uska dard use aisa karne nahi de raha tha..aaj samundar ke Shikari ki shayad pahali haar hui thi..ya phhir kahe ke wo usi din haar gaya tha..jab lisa ,use chhodkar dewan ke pass gayi thi..Ron tehkhane ke us zameen par pade hue apne ateet ke vajood samet raha tha..lekin use maloom tha ki ye uska ant nahi ho sakta...
Update-27
"captain yaha bahut sardi hain..."seth apne hatho ko ragadte hue bola..
"mujhe dar hain kahi is thandak me hum sab tanduri chiken na ban jaye..jise baad me yaha ke bhadde dragon maje se khaye.."
"Raaj-tum dono apni ye behuda bakwas band karoge..mujhe sochane ke liye shanti chahiye..
"seth-dimak hain tere pass..abey ab sochna kya hain,jaldi se Martin ki kbra se wo teesara Naksha lena hain..phhir spiritual ship ki talash karni hain..so simple.."
"Raaj-so simple..kamine Naksha milne ke baad spiritual ship kya khud ba khud teri godi me aa jayega..akhir wo jahaj hain kaha jiske liye hum itna jokhim utha rahe hain..
"Seth-ye baat to mere bheje me aayi hi nahi..
"Raaj-isiliye bol raha hoon...chup raho..
Sabhi aage badh rahe the..Riya ko tehkhane me seedhiya dikhi..
"ye seedhiya kis liye yaha lagi hui hain.."Riya ne un seedhiyo ki taraf ishara karte hue kaha..
"Nair-kahi is tehkhane me koyi khajana to nahi chhupa hain..aur ye seedhiya hume wahi pahuncha de..kya boolte ho dosto..ja ke dekha jaye..ho sakta hain ki yaha bahut khajana chhupa ho..aur hume aage jane ki jaroorat hi pade..
"Raaj-ye iceland hain..heere ki khan nahi jo yaha khajana hoga..aur jaha tak mujhe maloom hain..death iceland ke raja yani Martin ne apna sara khajane ko hathiyar ke liye kharch kar diya tha..
"Nair-aisa kya..phhir samane ki taraf jo darwaja dikh raha hain..waha se bahar nikal lete hain..
"Riya-ek min. Ruko..ye seedhiya jaroor tehkhane ke kisi anjaan kamre me jati hongi..kyun na waha ja ke dekha jaye..
Riya ki baat sabko sahi lagi..sabhi seedhiyo ki taraf jane lage..lekin waha andhere me pade Ron par kisi ki najar nahi gayi...sabhi seedhiyo ke raste upar chale gaye..

bilandar aur Aditya tehkhane se bahar aa chuke the..bilandar khuli hawa ko mahsoos karne laga.."bahut din baad us bhayanak tehkhane se bahar nikla hoon.."
"abey main bhi sath me hoon.."Aditya ne bilandar ko aawaj di..
"ab kyun mere pass aa raha hain..ja us dhokebaj ke pass.."bilandar ne Nakshe ko jeb me rakhte hue kaha..
"meri koyi galti nahi hain yar billu..Ron ne kaha tha ki tu Morgan ke sath mila hua hain.."Aditya apni safayi dete hue bola..
"kya us kameene ne ye kaha tha.."
"ab kya patthar par likhun tab tujhe yakin hoga.."
Aditya, bilandar ke pass gaya aur apne ek hath bilandar ki taraf badhaya.."billu..ye iceland bahut khatarnak hain..yadi sath rahe to yaha se bahar nikal sakte hain wo bhi zinda..."
bilandar ne kuch socha aur phhir Aditya ki taraf dekha.."ab to Ron bhi hum dono ki jaan ka dushman ban chuka hain..usse kaise niptenge.."
"abey baat to sahi hain..lekin Ron ka kya hua..aur wo dono kaun the ,jinse Ron lad raha tha.."
"mujhe kya maloom..pata nahi sale kaisi baat kar rahe the..meri to sar ke upar se sab nikal gaya.."
"billu lekin wo ladki kya maal thi..andhere me itni mast dikh rahi thi to soch ujale me kaisi dikhegi.."
Aditya apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki lisa ki aawaj dono ko sunayi di..
"aa gayi main ujale me..dekh lo akhiri baar"
Aditya aur bilandar dono chaunk gaye..lisa aur dewan unki taraf aa rahe the...Aditya aur bilandar dono ki najare lisa par tik gayi..
"Dewan- tum dono ke pass jo Naksha hain..wo tum dono khud mujhe de do..taki main pyar se apni ye khoon ki pyasi talwar ko tum dono ke shareer me utar dun..ya phhir tum dono mujhse ladne ki nakam koshish karo..aur jaise Ron ko mara hain waise hi tumhara haal karu..
Ron mar gaya..ye sunkar Aditya aur bilandar ko yakin nahi hua..
"Aditya-Ron ko tune maar diya..ye ho hi nahi sakta..bahut chalak hain Ron kisi na kisi tarah wo bach ke nikal jata hain..abey billu isko samjha..
Bilandar kuch bolta isse pahle hi dewan bol pada.."Ron ki kabiliyat par mujhe koyi shak nahi bachche..par afsoos hain is baar wo nahi bach payega..kyunki maine aur lisa ne khud apni-apni talware uski pet me ghusa di thi..aur yadi tum dono ko yakin nahi ho raha ho to meri ye Ron ke khoon se sani talwar dekh lo..ya phhir tehkhane me khoon se lathpath uska shareer.."kahte hue dewan ne apni talwar Aditya aur bilandar ko dikhayi..jo khoon se sani hui thi..
"bilandar-Aditya..mujhe to iski baat sahi lag rahi hain..
"Aditya-mujhe bhi..lekin isne mujhe bachcha bola..dekh tu kaise iski talwar isi ke pet ke aar-paar karta hoon..
"abey Ron ke sath rahkar pagal ho gaya hain kya..mare jayenge dono.."
bilandar ki baat par Aditya ne koyi dhyan nahi diya..aur dewan ki taraf badhne laga..
"sun be badbodar insan..Ron ko tune hara diya..lekin main ek Captain hoon..tu mujhe nahi hara sakta.."kahte hi Aditya teji se ulte paanv bhag khada hua..dewan aue lisa ek pal ke liye wahi khade Aditya ko bhagte hue dekhte rahe..bilandar ne bhi bina samay bekar kiye bhag khada hua...
"dewan-lisa lagta hain..dono ko dauda dauda kar marna padega..
"lisa-phhir der kis baat ki..is kaam ko abhi anjaam diya jaye..
Lisa aur dewan..dono ka peechha karne lage..bilandar ,Aditya se peechhe tha..usne daudte hue Aditya se kaha.."kamine seedhi tarah nahi bol sakta tha ki bhag..un dono ke samne dinge hankane ki kya jaroorat thi.."
"Ron aise hi karta hain..sorry karta tha..aur har baar bach bhi jata tha..bas maine wahi kiya.."
"lekin kitani der tak bhagenge ye dono bahut tej daud rahe hain..maloom nahi sale kya khate hain.."
Aditya samane ek gaddha dikha..wo usi me kud gaya..bilandar ne bhi Aditya ke peeche peeche usi gaddhe me chhalang maar di..
"Aditya-billu..aawaj mat karna,un dono ko maloom nahi hona chahiye ki hum dono yaha chhupe hue hain..
"ab tu mujhe mat samjha..mujhe maloom hain kya karna hain.."
dewan aur lisa ne Aditya aur bilandar ko nahi dekha..aur aage daudte rahe..jab dono us gaddhe se kuch door aage nikal gaye to lisa ne dewan ko rukne ke liye kaha..
"dewan..lagta hain dono kahi chhup gaye hain..kahi dikh nahi rahe hain.."
"kab tak chhupenge..bahut jald hi unhe hum dhoond lenge.."

raaj,Riya ,Nair aur Seth seedhiyo ke raste tehkhane ke us kamre me pahunch gaye the..jaha Martin ki kabra rakhi hui thi..
"Riya-yaha ghutan si ho rahi hain.."Riya ne lambi saans lete hue kaha..
"Seth-yaha oxygen level kam hain..jald hi yaha se nikalna hoga..aur mujhe nahi lagta ki yaha humare kaam ki koyi chiz hain..
"Riya-Raaj, ye sahi kah raha hain..ab mujhe bhi yahi lag raha hain ki yaha kuch nahi milne wala..
"Raaj-Martin ki kabra is tehkhane me hi kahi hain..yadi wo teesara Naksha chahiye to hume Martin ki kabra ko dhoondana hi padega.."kahte hue raaj ne apna hath Anjane me Martin ki kabra par rakha..aur turant hata liya..
"ye kis chiz ki aawaj hain.."
"Riya-kaun si aawaj..
"yaha kuch rakha hua hain.."
Raaj ne wapas apna hath Martin ki kabra me rakha..aur use kholne ki koshish karne laga..lekin nakam raha..
"tum sab yahi rukna ..main neeche jal rahi mashal lekar aata hoon.."Raaj mashal lene neeche aa gaya..raaj ke jane ke baad seth ,Riya se bola.."mam aap ye kis ko utha layi hain..ye humara samay barbaad kar raha hain.."
Raaj ke khilaf seth ki aawaj sunkar Riya bhadak gayi.."tum dono chup hi raho..Morgan ne jab balladonna me hamla kiya tha to tum dono ki tarah Raaj mujhe chhod kar nahi bhaga..usne meri jaan bachayi hain..aage se kuch soch kar bolna seth.."
seth aur Nair me se kisi ki bhi aage bolne ki himmat nahi hui..tabhi mashal lekar Raaj waha pahunch gaya..seth ko mashal pakdate hue apne peechhe aane ke liye bola..mashal ki Roshani me kabra ko Raaj ne khol diya..phhir seth ke hath se mashal lekar Raaj kabra me dekhne laga..lekin waha siway kankal ke kuch nahi tha..Raaj ne kankal ko kabra se bahar phenk diya..lekin phhir bhi use kuch nahi mila..Raaj ne kabra me jami dhool ko apne hath se saaf karte hue dekhane laga..seth aur Nair ko Raaj ki harakat bewkoofi bhari lag rahi thi..lekin dono me se kisi ki bhi himmat nahi ho rahi thi koyi kuch bole..Raaj ko kuch shabd kabra me ukere hue mile jise wo padhne laga.."Death iceland ke Mahan Raja Martin ki Kabra..jinki mirtu jung me bahaduri se ladte hue hui.."
Raaj ke hath se mashal chhut gayi..uske chehare me gussa utarne laga..Raaj jor se chillaya.."Ron Naksha lekar bhag gaya..kameena kahi ka ek baar mujhe mil ja bas Ron.....
Update-28
lisa aur dewan death iceland ke kinare ki taraf aa rahe the...bilandar aur Aditya abhi bhi lisa aur dewan ke dar se wahi chhupe hue the..
"Aditya-tujhe kya lagta hain billu..sach me Ron ko un dono ne maar diya hoga..
Bilandar apne jeb se teesara naksha nikal kar dekh raha tha..usne Aditya ki taraf koyi dhyan nahi diya..
"abey sunayi nahi diya kya..."
bilandar nakshe ko dekhte hue hi bola.."abhi main vyast hoon..kisi ghatiya aadami ki baat karni ho to kisi ghatiya ko hi dhoond..mera bheja mat kha.."
Aditya ne buri shakal banate hue bilandar ko dekha..aur uthkar khada ho gaya..
"bilandar yaha se bahar nikalna chahiye.."
bilandar ne is baar bhi koyi jawab nahi diya..aur nakshe ki taraf hi dekhta raha..
"naksha to aise dekh raha hain..jaise ise hi spiritual ship mil jayega.."kahte hue Aditya ne chupke se gaddhe se bahar jhanka..bahar door door tak Aditya ko lisa aur dewan dikhayi nahi diye..Aditya apne hatho ko zameen par tek kar bahar jhalang mari..aur gaddhe ki deewaro par apne pair ragadte hue bahar nikal aaya..bahar aakar Aditya apne kapdo par apne phhirate hue bilandar se ek bar phhir bola.."chalega kya ya phhir raat bhar yahi baith kar naksha dekhta rahega.."
bilandar ne nakshe ko modkar apne jeb me rakha..aur gaddhe se bahar aa gaya..
"billandar-ab bol kya bol raha tha.."
"aage kaha chalna hain..tehkhane se bahar to aa gaye..lekin is iceland se kaise bahar jaye.."
"mujhe kuch gadbad lagti hain jo kuch der pahle hua.."
"main samjha nahi be "
"ye Naksha pura nahi hain..iska ek bhag shayad kahi chhut gaya hain..ya phhir aisa bhi ho sakta hain nakshe ka baki hissa iske sath rakha hi na gaya ho..."
"dekh billu..jab tak Ron zinda tha,koyi dar nahi tha..lekin ab wo humare sath nahi hain..isliye main chahta hoon ki main yaha se seedhe apne ghar ke liye nikal jaun aur tu meri madad kare.."
Aditya ke irade bilandar ko pasand nahi aaye.."main tujhe tere ghar le jane itani door nahi aaya tha..Ron sath ho ya na ho main aage badhunga..agar sath chalna ho to chup chap mere peechhe tehkhane me chal aur nakshe ka bacha hua hissa dhoondane me meri sahayata kar..."bilandar tehkhane ki taraf chal pada..Aditya waha khada khada bilandar ko tehkhane ki taraf jate hue dekhte raha...
"sala bhasad deta hain..aise logo ko main apne L par lekar ghumta hoon..apun chala apne raste..."Aditya kinare ki talash me chalne laga...Bilandar lagatar tehkhane ki taraf badhta ja raha th is baat se bekhabar ki Raaj aur baki sabhi bhi usi taraf se aa rahe hain..
"nakshe to teen the..phhir ye naksha adhura kaise hain..Fala kahi Ron to kuch karke nahi mar gaya.."
raaj aur baki sabhi bilandar ke karib aate ja rahe the..aur bilandar apne hath me naksha liye Ron ko galiya bakta hua tehkhane ki taraf badhta ja raha tha..seth ki najar apne taraf aate hue bilandar par padi..
"abey ye to Ron ke sath tha..ise hi pakad kar andar kiya tha hum logo ne.."
sabki nazar bilandar ki taraf padi..
"Riya-jab ye yaha hain..iska matlab Ron aur wo Aditya bhi yahi hoga..
"Raaj-oye teri ki..iske hath me kahi Naksha to nahi hain..
"seth-mujhe bhi yahi lag raha hain..iske hath me naksha hain..
Bilandar ne naksha apne jeb me rakha..aur jaise hi samane dekha..Raaj,Riya ,seth aur Nair use samane dikhe...sabko samane dekhkar bilandar ek baar dar gaya..bilandar ne socha ki in logo ko shayad nahi maloom hain ki naksha mere pass hain..kyun na inke sath shamil hokar nakshe ka baki hissa bhi dhoond liya jaye..Lekin bilandar ke saare irade us samay nakam ho gaye jab Raaj ne usse kaha ki"jaan bachani hain to wo naksha mujhe de de.."
bilandar chaunk gaya..aur haklate hue bola,.."kaun sa naksha..mere pass to kuch bhi nahi hain.."
"aise nahi manega tu.."kahte hue Raaj ne apne hath ko bilandar ki taraf kiya..
"abey bheek mang raha hain ya naksha..hath kyun faila raha hain.."
"abhi maloom chal jayega.."
Raaj ne apne hatho ko tight kiya aur agle hi pal bilandar dur ja gira..bilandar ko samajh hi nahi aaya ki kya hua ,wo uuthkar bola"kamal hain kayi dino se maine sharab ka ek ghoot tak nahi piya ..phhir bhi mujhe itna nasha chadh gaya hain ki main gir gaya.."
sabhi hasne lage..bilandar ko ajib laga..aur riya ki taraf dekhkar bola.."tum mast maal ho..kaha se utha ke laye ye log..mere sath chalo naav me samundar ki sair karaunga.."
bilandar ka itna kahna tha ki Raaj uski taraf badha aur ek mukka bilandar ke mu me jad diya..Bilandar ko bhi gussa aaya usne bhi ek mukka Raaj ke thobade par jad diya.."sala maal usko bola to tujhe jalan ho rahi hain..bemurad kahi ka..mujhse dubara panga liya yahi dafan kar dunga.."
Riya ,seth aur Nair ne kuch nahi bola..teeno chup chap khade hokar dekhna chahte the ki Raaj aage kya karta hain..
*************************************
lisa aur dewan death iceland ke kinare par pahunch chuke the..unke thodi door par Aditya bhi tha..dono ko kinare par khada dekhkar Aditya wahi chhup gaya..
"ye dono yaha kya kar rahe hain..kahi dekh liya to Ron ki tarah main bhi upar pahunch jaunga.."
tabhi lisa aur dewan ki baate Aditya ko sunayi di..
"dewan..tumhe koyi aawaj sunayi di.."
"haan..dragons ki aawaj hain ye..iska matlab Morgan apni sena lekar yaha aa raha hain..lekin use kya maloom ki uska dushman Ron ko humne hi narak bhej diya hain ..."
"kitane salo ke baad aaj Morgan se mulakat hogi.."
lisa ne aasman ki taraf ishara kiya.."wo dekho dewan wo raha Morgan.."
Morgan ke sath bahut saare dragons bhi the..Morgan ko kinare par khade lisa aur dewan dikh gaye..Morgan ne socha ki wo Raaj aue Riya honge..isliye wo usi taraf aaya..dragon se utar kar Morgan seedhe lisa aur dewan ki taraf aaya..Jaise hi uske nazar lisa aur dewan par padi use apni ankho par yakin nahi hua..
"lisa-ye hum hi hain Morgan..itane salo se tehkhane me kaid the hum dono..aaj Ron ki maut ke sath hi hum aaza...lisa aage bolti ek tej dahad unhe sunayi di..
"ye kiski dahad thi Morgan itani bhyankar.."
"hum sabke malik dragon holder aaj Ron se mulakat karne khud aa rahe hain.....