Thread Rating:
  • 9 Vote(s) - 3.22 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance BADLA
#47
JOHN F KENNEDY
NEW YORK AIRPORT
"Hmm to ye hai mere hubby ka desh"sharon khush hote hue boli

Dhruv par koi khas asar nahi hua.wahi office,Wahi kaam Wahi zindagi.wahi vishal bhaiyya ka akelepan ka gussa doosro par nikalna,Wahi avinash bhaiyya ka KAMZOR pad jaana,Wahi krish ki padhai .aur dadaji ki tabiyat ka khayal rakhna

"Sir,please"driver aur saath me do aadmi airport me recieve karne aaye the

Saman lekar gaadi me rakh diya aur gaadi chal padi

Sharon bohut exited thi.shaadi mandir me kiya tha dono ne.aur fir india chod chale aaye.ek pal ke liye apne mummy papa papa ke baare me soch halka sa dukh hua,shaadi ki khabar pakar mr hasija ne sharon se saare rishte tod diye the

Shahar kaafi modern aur chakachaundh se bhari hui thi.sharon to india me kaafi parties me jaati thi.lekin aaj ye sab use excited nahi kar rahe the

"Sharon aao"dhruv ki awaz ne sharon ke soch me khalal daali

"Hmm chalo"bol sharon gaadi se utar gayi

Ghar kaafi bada tha.sharon ko dhruv ne saara ghar dikhaya,apna kamra aur sab kuch bata diya ghar ke niyam

Vishal ke kamre me jaate hi dhruv ne apne aur sharon ke shaadi ke baare me bataya to sunkar zyada khushi nahi hui vishal singh ko

Jaise hi dono aashirvad lene jhuke vishal chair se uth gaya aur hat gaya
"Bin bole shaadi kar li,ab meri aashirvad ki kya zaroorat dhruv???khair ab to tum kisi ki nahi sunte.kaafi kaabil jo ho gaye ho,khush raho dono"bol vishal kamre se nikal gaya.sharon ko bohut dukh hua.jabki dhruv waise hi patthar bana raha.aur fir sharon ko le avinash ke room gaya

"Arey wah.acha laga sunkar dhruv .mera aashirvad hamesha dono ka saath hai"muskurate hue avinash bola

Dadaji ne bhi ashirwad de diya,krish bhi sunkar khush hua

Lekin sharon ne notice kiya ki ghar me saare log ek doosre se zyada baat nahi karte,parivar type ka mahaul nahi hai.sab apne me busy
Sab apne me khush

Aur to aur uska pati ka to jaise koi emotion hai hi nahi.na kabhi gussa,na zyada khush.koi bhi emotion nahi hai dhruv me.ek smile le alawa kabhi khulkar haste hue dekha nahi tha sharon ne

Tabhi uske mobile par call aaya
"Hello??"sharon boli

Doosri aur se chuppi thi

Sharon achanak dar gayi.kahin....gaurav?????

"Sharon"ek dheemi si awaaz aayi

Jhat se Awaz pehchan gayi.meera di

"Meera di,aap??"sharon hairan hokar boli.meera ke saath sharon ka chattes ka aankda tha.to aaj meera ne phone kyun kiya???

"Kaisi hai sharon??"meera boli

"Aapko to pata hai di,mai dhruv ke saath usa aa gayi"sharon boli

"Isliye to phone kiya hai sharon.aaj se teri life me naya padav aane wala hai,suna tu bohut badal gayi hai"meera boli

Ye sab sunkar sharon ko thodi rahat mili ki uski didi atleast uske saath hai

Sharon ne dhruv aur uske family ke baare me sab kuch bata diya

"Dekh mujhe to lagta hai ki dhruv ka emotion uske family members ke saath juda hai,tu sabke problems khatam kar de shayad dhruv ka hasta khelta roop dikh jaaye"meera boli

"Thank di.ab rakhti hoon"bol sharon ne phone rakh diya.

Sabse bada problem vishal bhaiyya ka hai.kyun na is problem ko suljhaya jaaye

-------------------------------------------------------------------------------
RUDRA TOWERS
tanya aur avinash ek saath chai peete rahe the
Avinash dheere dheere tanya ki aur attract ho raha tha.

"Tanya kya soch rahi ho??"avinash ne poochha

"Kuch nahi yahi ki ...chodiye"tanya boli

"Bolo na please"avinash bola

"Aap bura maan jayenge"tanya boli

"Nahi manunga,ab bolo"avinash bola

"Sir aap bhi is property ke equal hissedar hai .hai na??"tanya ne poochha

"Kyun tanya??"avinash ne poochha


"Aise hi sir,boliye na"tanya boli

"Haan hoon"avinash bola

"Fir ye kya baat hui ki dhruv se bada hone ke bawjood aap ko Rudra towers me sadne ke liye rakha hua hai,dhruv ko hotel division diya hua hai??aap bhi kaabil hai sir,vishal bhaiyya hamesha kyun dhruv ko support karte hai??kyun aapko wo pehchan nahi mili jo aapke pariwar ko dena chahiye tha??"tanya boli

Avinash kuch nahi bola .chup ho gaya.lekin uske aankhon se aansu neeche gire.tanya ne apna haath avinash ke haathon me rakha.

"Kisi ka pata nahi lekin aapke saath mai hamesha rahungi"tanya boli

Avinash ne tanya ka haath mazboot se pakad liya

"Tum sahi keh rahi ho tanya,bohut seh liya maine.dhruv bina bole shaadi karta hai,koi use kuch nahi kehta hai.jo bhi decisions leta hai vishal bhaiyya use support karte hai"avinash bola

"Lekin aap karenge kya sir??"tanya boli

"Dekhti jao tanya.ab ya is pakar ya is paar"bol avinash uth gaya

Tanya ne apne mobile me sms kar diya

"Job done"
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
BADLA - by Swaraj369 - 12-11-2018, 03:04 AM
RE: BADLA - by Eswar P - 12-11-2018, 06:16 AM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 13-11-2018, 01:06 AM
RE: BADLA - by hfmwife - 12-11-2018, 10:56 AM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 13-11-2018, 01:07 AM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 13-11-2018, 01:05 AM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 16-11-2018, 05:19 PM
RE: BADLA - by sandycruz - 16-11-2018, 09:21 PM
RE: BADLA - by hfmwife - 19-11-2018, 01:13 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 20-11-2018, 07:52 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 20-11-2018, 07:54 PM
RE: BADLA - by hfmwife - 20-11-2018, 08:08 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 20-11-2018, 11:18 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 22-11-2018, 12:46 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 22-11-2018, 11:26 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 26-11-2018, 07:50 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 27-11-2018, 09:38 PM
RE: BADLA - by Swaraj369 - 28-11-2018, 09:20 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:10 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:10 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:11 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:12 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:13 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 23-12-2018, 10:14 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 26-12-2018, 10:14 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 26-12-2018, 10:15 PM
RE: BADLA - by Prince - 27-12-2018, 01:40 AM
RE: BADLA - by sarit11 - 01-01-2019, 06:40 AM
RE: BADLA - by sarit11 - 07-01-2019, 08:45 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 07-01-2019, 08:46 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 07-01-2019, 08:47 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 18-01-2019, 07:35 AM
RE: BADLA - by sarit11 - 18-01-2019, 07:36 AM
RE: BADLA - by Nil199 - 18-01-2019, 05:53 PM
RE: BADLA - by Farheen12345 - 18-01-2019, 05:54 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 26-01-2019, 08:09 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 26-01-2019, 08:10 PM
RE: BADLA - by Nil199 - 27-01-2019, 02:13 PM
RE: BADLA - by Farheen12345 - 28-01-2019, 10:54 AM
RE: BADLA - by sarit11 - 30-01-2019, 09:05 AM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:37 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:38 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:39 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:40 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:40 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:41 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:41 PM
RE: BADLA - by sarit11 - 14-03-2019, 07:42 PM
RE: BADLA - by Roslila628 - 21-03-2019, 10:22 PM
RE: BADLA - by Roslila628 - 26-03-2019, 12:18 AM
RE: BADLA - by Abr Roy - 21-08-2021, 12:09 PM



Users browsing this thread: