Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#90
Chapter-35:two Sore Truth
Update-126

.
Jab mujhe hosh aaye hue kuchh waqt beet gaya to maine sabse pahle ye check kiya ki mere sharir ka kaun-kaun sa ang kaam kar raha hai....
gardan...barabar daye-baye ,upar-neeche hil rahi thi...dono pair bhi sahi salamat the lekin kayi jagah taake lage the, ek hath me plaster chadha hua tha,lekin dusara hath bilkul mast tha,..lekin jab main apne dusare hath ki hatheliyo ko hilata-dulata to halka sa dard ubhar raha tha....mere dono shoulder ke sath- sath mere kamar ko kisi chiz se bandh kar rakha hua tha,wo shayad isliye kyunki meri haddiya buri taah toot chuki thi jise wapas apni jagah set karne ke liye ye sab intezaam kiya gaya tha....mere sar par kya- kya karamat doctor logo ne ki hai ye main nahi janta tha lekin jaisa ki mujhe ahsaas ho raha tha us hisab se sar par bhi kayi jagah shayad taake lagaye honge...maine apna ek hath jo thoda-bahut hil dul sakta tha use uthakar apne sar par phhiraya to dang rah gaya kyunki mere sar ke sare baal ,jo ki mere handsome hone me aham bhumika nibhate the ,unko saaf kar diya gaya tha...yani ki main is waqt ek hospital me apne hath-pair, kandhe,sar aur peeth tudwa ke leta hua tha....mujhe kisi chiz ka jyada gam nahi tha siway iske ke mere baal ab mere sar par nahi hai aur main takla hoon
"sala kitna dhansu hear style tha mera,mahino ki mehnat ek pal me ye sale uda le gaye...inki to "andar hee andar hospital walo ko gali dete hue maine khud se kaha...
is sadme se ubharne me mujhe thoda waqt laga aur thode waqt ke baad maine apne agal-bagal jhanka to paya ki waha aur bhi kayi log lete hue hai...lekin sab ke sab behosh the ya phhir so rahe the.
"is samay time kya hua hai , ghadi bhi nahi tangi hai kahi..."jis room me main tha ,us room ki deewaro ko maine chhan mara, lekin is samay time kya hua hai,ye maloom chal sake ,iska waha koyi intezaam nahi tha...jis bed par main leta tha usase thodi door par ek ) chair par baithi kisi file ke panne palat rahi thi...
.
"janeman....."ek ghuti hui si aawaz us lady doctor ko dekh kar mere muh se nikli,jise main khud hee dhang se nahi sun paya....
maine ek aur baar us lady doctor ko pukara ,jo apron pahne hue mujhse thodi door par baithi hui kuchh padh rahi thi..meri aawaz wo doctor to nahi sun payi lekin mere hilne dulne se na jaane kaisi-kaisi bhayanak machine ,jo ki mere mere body se connected thi,wo chu-chu..tu-tu ki aawaz karne lagi aur finally us doctor ne meri taraf nazar mari.....
.
"bolo mat, ruko main tumhare family ko inform karti hoon ki tumhe hosh aa gaya hai..."mere paas aate hue wo boli...
waise to usne mujhe na bolne ke liye kaha tha, lekin maine time puchhane ke liye ek baar phhir apna muh fada aur ghuti hui aawaz me usase time puchha...
"2 baj rahe hai...aur tum kuchh mat bolo..."
"teri dayi ki chut, problem mujhe hogi ya tujhe...jyada hoshiyari mat chod warna sari doctor giri gand me thel dunga..."usne jab apna dialogue dobara repeat kiya to maine usko dekhkar andar hee andar khud se kaha aur ek baar phhir se apna muh fada" AM ya PM..."
"hmmm...."
"2 AM ya 2 PM"abki baar maine apna pura jor lagakar kaha aur ye bolne ke baad hee nidhal hokar bed par lambi-lambi saanse bharne laga...
"maine bola tha na,bolne ki koshish mat karo...now relax, main tumhare relatives ko inform kar dungi..." "sali ja chut mara BC"
.

uske baad jo meri jo aankh lagi wo mujhe nahi pata ki kab khuli...aur jab meri aankh dobara khuli to mujhe sirf itna pata tha ki main dusari baar jaga hoon...maine kuchh der tak apne hath-pair hilaye ,jisase mere body se connected wo bhayanak machines phhir se apna alarm bajane lagi aur ek nurse turant mere paas aayi....
"apne hath-pair mat hilao..."mere pair ko pakad kar seedha karte hue usne kaha...jisase ki mera matha ek baar phhir garam ho gaya...
"lawda mera hath-pair hai ,main hilau chahe na hilau...tu kaun hoti hai mujhe tokne wali..."sochate hue maine ek baar phhir se apne pair ko tedha kiya ,jise seedha bed par karte hue us nurse ne na jaane mere pair par kya bandh diya aur ek dawai se bhari syringe mere pichhwade me ghusa di....
"tu ruk, hosh aane de...phhir yahi syringe tere gand me dalungaaaaa...."jamhayi marte hue main badbadaya aur phhir se so gaya....
.
next time jab meri neend khuli to pichhali baar ki tarah is baar bhi mujhe sirf itna hee maloom tha ki meri aankh pahle bhi khul chuki hai....mera pair ab bhi kisi chiz se bandha hua tha aur wo nurse jisne mere pichhwade me sui ghusayi thi wo is samay kisi dusare patient ke pichhwade me sui daal rahi thi... "abey mujhe hosh aa gaya hai,koyi jakar mere gharwalo ko iski khabar dega ya main khud jaun unhe ye batane "apni puri taqat ikattha karke main cheekha,lekin aawaz utni tez nahi thi ,jitni ki aksar me cheekhane se hoti thi...lekin waha mauzood sabhi logo ko sunayi de...itni tez to thi hee...
"wait..."us patient ke pichhwade me syringe daalkar us nurse ne waha mauzood dusari nurse se kaha ki wo mere relatives ko ye khabar de de....
.
ab mujhe andaza ho chala tha ki ab se kuchh der baad kya hone wala hai..jaise maine socha tha uske hisab se kisi hindi movie ki tarah meri maa sabse aage daudate hue mere paas aayegi ,uske aankho me khushi ke aansu ...then mere pita ji meri maa ke baad entry marenge, wo khush to honge lekin react aise karenge,jaise unhe koyi farak hee nahi uske baad mera bada bhai entry marega aur ye jante hue bhi main thik se baat nahi kar sakta wo mujhse bahut saare sawal karega...mere bade bhai ke sawal ke bam-bari se jab main ghayal ho jaunga to phhir meri maa jiske aankh me is waqt bhi khushi ke aansu honge,wo mere bhai ko dategi aur mere pita shree se falana mandir me falana bhagwan ke
name par dan-dakshina karne ko kahegi....
.
Aisa maine bed par pade-pade socha tha lekin lagta hai ki shani aur mangal ab bhi mujhse khafa-khafa hai kyunki mujhse sabse pahle milne ke liye na to meri maa aayi aur na hee mere papa....mujhse sabse pahle milne do log aaye...ek tha mera bada bhai Vipendra aur dusara tha mera gay dosit-Arun.......


Update-127
mujhse sabse pahle milne do log aaye...ek tha mera bada bhai Vipendra aur dusara tha mera gay dosit- Arun.......
.
Vipin bhaiya ko dekhte hee main samajh gaya tha ki ab sawal-jawab ki jordar bam-bari hone wali hai...isliye maine tay kar liya tha ki ab main 2.2 x 1 x 0.7 m ,size wale bed par chup-chap leta hua sirf sar hilaunga aur aise show karunga jaise ki main kuchh bol hee nahi sakta,jaise ki main gunga hee ho gaya hoon.....Arun aur Vipin bhaiya mere samne aaye ,maine dono ko dekha aur Arun dekh kar mera kaleja jal utha ki uske ke sar par baal hai uske baad maine ek aur chiz aisi dekhi jise dekhkar mera kaleja aur bhi jala...wo tha un dono ki halat, pitayi meri hui thi, sare sharir par zakhm khakar main bistar par leta hua tha ...lekin dard un dono ki aankho me main saaf dekh sakta tha.Arun aur bade bhaiya ki aankho me khushi aur dukh ka bada ajeeb combination tha.jise samajhne ke liye mujhe thoda waqt laga. Wo dono bahut khush isliye the kyunki aaj maine na jaane kitne dino baad apni aankhe kholi thi....aur mujhe mere zakhmo ke sath dekhkar wo dono bahut jyada dukhi the, us ek pal me dono ki ye halat dekhkar dil kiya ki sala abhi bistar se uthu aur Gautam ke baap ka murder kar du,deepika ko nanga sadak par daudau aur Naushad ko hostel me hee dafna du...wo ek pal sala pura filmi mahol tha aur aise filmi moment me ubayi marne wala main khud bhi kuchh der ke liye bhavnao me bah gaya tha...kuchh der tak to waha aisi hee situatkon rahi aur us ek pal me main ye bhi bhool gaya ki mujhe apna muh nahi kholna hai,chahe dharti palat jaye ya phhir aasman ulat jaye, lekin maine apna muh khola,aankho me nami late hue apna muh khola...
.
"sorry bhaiya...."
Mere dwara sorry bolne par mera bada bhai ab gusse me aaya lekin mujhse kuchh nahi bola....
"mujhe nahi pata tha ki baat itni aage badh jayegi..."maine dobara Vipin bhaiya ki taraf dekh kar kaha... "gharwalo ko kuchh mat batana aur mummy-papa se tujhe kya kahna hai ye Arun tujhe bata dega..." itna bolkar mera bada bhai waha se chalta bana.meri halat aur mujhe hosh me dekh kar mera bada bhai kuchh jyada hee emotional ho gaya tha aur main janta tha ki yadi wo thodi der aur udhar mere paas rukte to ek dhansu boring scene banate...
"kya hal hai be takle..."Vipin bhaiya ke jane ke baad Arun bola"ab muth kaise marega beta...tera ek hath to kuchh hafto ke liye gaya kaam se aur dusara hath is kabil nahi hai ki tu muth maar sake..."
"maine socha tha ki tu thoda bahut dukhi hoga meri ye halat dekhkar "
"abey dukhi to main ab hua hoon,tujhe hosh me dekhkar..."apni chair ko mere taraf aur paas khiskate hue Arun bola"jab tak tu mare hue ki tarah leta tha na to main bedam khush tha,maloom hai kyun..." "kyun ? "
"kyunki tab main tere sare copy-kitab ko bechkar mast paise banata...tere kapdo se main apna room saaf karta...khamkha zinda ho gaya be tu "
"chal chhod ye sab aur ye bata ki bade bhaiya ne ye kyun kaha ki main mom-dad se kuchh na kahu..." "kyunki bade bhaiya ne sabko yahi bata ke rakha hai ki tera accident ek truck ke sath ho gaya tha...." "kya yaha ke doctors itne kabil hai jo inhe mera ilaaz karte waqt maloom nahi chala ki mera accident nahi balki jordar thukayi hui hai "
"doctors ko sab pata hai lekin bade bhaiya ne baat daba li aur tu bhi baat daba lena....chodu ki tarah sab

ugal mat dena...samjha..." "ok, baby..."
.
Bade bhaiya ne mera kaam aasan kar diya tha kyunki ab mujhse koyi nahi puchhane wala tha ki mujhe kisne mara aur kyun mara....sath hee sath isase meri ijjat bhi bach rahi thi, kyunki accident to aaye din hote rahte hai .isme koyi badi baat nahi thi....Arun thodi der tak aur mere sath raha aur phhir waha se chala gaya .Arun ke jane ke baad mere mom-dad ne entry mari aur mujhe aur bhi jyada emotional kar diya....unke baad mujhse milne ke liye jaise puri india ki public hee aa gayi ...ek jata nahi ki dusara iske pahle hee pahuch jata...mujhse milne-julne walo ko mujhse baat karne ke liye saaf mana kiya gaya tha...mujhse milne mere lagbhag sare relatives aaye the aur unhone jab andar aakar mera haal chal puchh liya to phhir mere dosto k jamawada lagna shuru ho gaya...Varun, Naveen,Sulabh,Saurabh,Amar Sir even apna bhopu bhu tak mujhse milne aaya tha, itne logo ko ek sath dekhkar seena jaise garv se chauda ho gaya tha aur aise laga jaise ki bas kuchh hee der me main ekdum se thik ho jaunga....lekin sach to isase koso door tha.kuchh sach aise the jise main pahle se janta tha aur kuchh sach aise the jinhe janna baki thi...
.
sabse milne ke baad main thak haar kar apne 2.2 x 1 x 0.7 Meter ke bed par ek hath se sar sahlate hue ek nurse ko aawaz diya kyunki mera sar ab halka-halka dard kar raha tha...maine nurse ko apne sar ke dard ke baare me bataya jiske baad usne mujhe ek laal color ki tablet di
"pani kidhar hai..."
"ise muh me rakh kar chusana hai.." "kya "
"seedhe se muh me rakho aur chuste raho..."
"okay..."(lawdi ye tere nipples nahi hai jo chusta rahu, ye tablet hai...jo kadwi hoti hai..)
.
Us laal color ki tablet ko muh me rakhne ke baad maine chusna shuru hee kiya tha ki mere muh ka pura taste badal gaya aur maine tablet nikal kar hath me pakad liya taki mauka dekhkar chauka mar saku,,.lekin thodi der baad mujhe dhyan aaya ki idhar to koyi mauka hee nahi hai...ye ICU tha ,jaha dhool ka ek kad bhi nahi tha aise me tablet ko udhar fekna matlab khud ke gale me fanda dalna tha....phhir maine socha ki kyun na tablet ko bistar ke neeche chhipa doon ,lekin tabhich mere bheje ne mujhe aisa karne se rok diya aur bola ki yadi maine aisa karne ki koshish bhi ki to wo bhayanak machine phhir se apna rag alapana shuru kar degi...tab mujhe Arun ka dhyan aaya ki abhi tablet ko idhar hee kahi chhipa deta hoo aur jab Arun aayega to use dekar bahar fikwa dunga...kitna hoshiyar hoon main
.
Us din raat ko meri aankho se neend gayab thi kyunki rah-rah kar mujhe deepika aur Naushad ke kartoot yaad aa rahe the...Naushad ka to phhir bhi samajh me aata hai lekin deepika ne mujhe kyun fansaya ?
Aur Gautam ke baap ke sath uska kya rishta hai ? Ye mere samajh se pare tha...lekin is samay mere andar ek chiz Naushad aur deepika ke liye ekdam same aur equal thi aur wo thi mera gussa ,un dono se mere badla lene ki chahat. Mujhe maloom tha ki is waqt jaise main unke bare me soch raha hoon waise wo bhi mere hee bare me soch rahe honge and according to my sixth sense ,un dono ki gand buri tarah se fat chuki hogi kyunki un dono ne hee ye socha tha ki main zinda nahi bachunga...lekin hua thik ulta ... kuchh aur bhi chize meri zindagi me ulti ho chuke thi jiska mujhe andaza nahi tha....main hospital me har din subah uthata ,kuchh khata-peeta aur phhir so jata...dopahar me main phhir uthta ,phhir kuchh

khata-peeta aur so jata...uske baad main direct sham ko uthkar din ki aakhiri khurak lekar phhir se so jata tha.....hospital me mere din aise hee beet rahe the ki mujhe ek dil ko cheer dene wali baat pata chali...
is samay Arun mere sath baitha bakchodi kar raha tha ki maine usase puchha.... "abey aaj tarikh kya hai..."
"umm...mere khayal se aaj 26 hona chahiye..." andaza lagate hue Arun ne kaha..
"bakchod hai kya 25 October ko to ye kand hua tha jab main ghar ja raha tha...mere khayal se aaj 2-3 November hoga...kyun ? "Arun ko dekhkar maine sochate hue kaha"sala 28 November se exam hai third semester ke aur main yaha bed par leta hua "
"Arman...." "haan bol.."
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak come me raha tha...."















Update-128
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak coma me raha tha...."
.
"ye to mujhe bhi maloom tha ki tu 2 mahine tak coma me tha...lekin mujhe ye nahi maloom tha ki tera truck ke sath accident nahi balki Gautam ke baap ke kahne par teri thukayi hui thi....in short mujhe to tune Esha aur Gautam ke bare me kabhi bataya hee nahi tha...."Varun bola...
"Vipin bhaiya ne situation handle kar liya tha...wo nahi chahte the ki mom-dad ko meri ladayi ke bare me pata chale...."
"bahut bade-bade jhande gade hai bhai tune teri college life me..."
"ek minuter rook..."main waha se utha aur Arun ka mobile manga ,taki Nisha ko call karke uske dad ka haal-chal jaan saku....Nisha ko call karne ki ek aur vajah ye bhi thi ki mujhe ab kuchh bechaini si mahsoos ho rahi thi aur aisi situation me ek ladki jo aapke dil ke karib ho wo kuchh aisa kar jati hai ki dil ko sukoon sa milta hai....
.
"ab kya halat hai..."
"main thik hoon,mujhe kya hua hai..."
"tere bare me nahi tere baap...sorry uncle ji ke bare me puchh raha hoon..." "wo bhi ekdum thik hai,sham tak leave mil jayegi..."
"sex karegi,bahut man ho raha hai..."aisa maine jaan buchkar kaha taki Nisha mujhe fatkare jisase mujhe

thoda sukoon mile....
"expiry medicine mere dad ne khayi lekin lagta hai asar tumhare upar ho raha hai....ye koyi waqt hai ye sab baat karne ka...tumhare andar zara si bhi insaniyat aur samajh nahi hai kya jo sex karne ko kah rahe ho...idhar mere dad tumhari vajah se beemar pade hai,meri maa udas hai aur tum sex karne ko kah rahe ho...boys are always......"
"hello...hello...Nisha,lagta hai ki network kharab hai...tumhari aawaz sunayi nahi de rahi hai..main baad me call karta hoon..."bolte hue maine call disconnect kar diya aur ek lambi saans lekar wapas baith gaya.....
"le be Arun ,apna mobile tham aur beta yadi Nisha ki call aaye to khud ko Arman batakar usase mat bhid jana...samjha"phhir maine Varun se kaha"haan bol ,tu kya bol raha tha..."
"Arman ,main ye bol raha tha ki tune college life me bahut sare jhande gade aur gadwaye hai....main bhi aisi hee college life jeena chahta tha...jisme hardam twist and turn ho...Esha jaisi ek ladki ho ,jise pane ki chahat ho lekin raste me uska premi aur us premi ka gund baap khada ho...thoda fight-sight ho...lekin apun apni college life me aisa kuchh nahi kar paya ,meri college life to ekdum boring beeti hai ,itni boring ki yadi main tum logo ko sunana chalu karu to tum dono behosh hokar coma me chale jaoge...." "hum Engineers ki baat hee kuchh aur .kyun be Arman "Arun garv se bola...
"yes... "
"uske baad kya hua...matlab ki tune deepika aur Naushad se badla liya ya nahi...."
.
.
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak come me raha tha...." Ye sunkar na to mera muh khula aur na hee meri aankhe shocked hokar badi hui,jaisa ki mere chaukne ke dauran mere sath hota tha...main do mahine coma me tha,ye jaankar main bahar se normal tha matlab ki main thik usi tarah 2.2 x 1 x 0.7 m ke bed par leta hua tha,jaise ki pichhale kayi dino se tha....main bahar se bhale hee normal dikh raha tha lekin mere andar ek bhuchal sa aa gaya tha us waqt...mujhe aisa laga jaise mere sar par phhir se kisi ne rod de mara ho...mera sar is samay thik usi
tarah jhanna raha tha...us waqt meri halat aisi thi jaise ki abhi-abhi kisi ne mere sar ke baal ko ,jo ki nahi the, pakad kar jor se kheencha ho aur main ,mere sar ke baal kheechane wale ko chup-chap dekhne ke siway aur kuchh nahi kar sakta...is beech mere body se connected machines apna rag aalap rahi thi , aur us samay mujhe sirf un machines ki aawaz mujhe sunayi de rahi thi....
"sach me main do mahine tak coma me tha ya tu mazak kar raha hai..."dusari taraf dekh kar maine Arun se puchha...
"haan yar..."
.
Jab kuchh dino pahle mujhe hosh aaya tha to apne sharir ke zakhmo ko dekhkar maine ye socha tha ki main kitna strong hoon,jo itani pelayi ke baad bhi mere hath-pair lagbhag sahi salamat hai...maine ye socha tha ki un MKL gundo me shayad utna dam nahi tha ki wo mujhe apang bana sake...lekin sach ye tha ki main us din bahut bure tarike se unke fande me fansa tha kyunki do mahine baad bhi mere pair par kayi zakhm hare the aur ek hath me plaster chadha hua tha...kamar aur peeth bhi kisi chiz se bandh ke rakhi gayi thi....lekin yaha samasya ye nahi thi ki unhone mujhe itni buri tarah se mara balki yaha samasya ye thi ki third semester ke exam main nahi de paya matlab ki is semester me mujhe pura ek saal ka padhna hoga...aur to aur main ek-do mahine baad hee yaha se discharge hone wala tha to mere paas ab kul milakar 4-5 mahine hee baki the,jinme mujhe ek saal ka pura padhna tha....main bahut der

tak shant raha aur phhir Arun se bina kuchh bole so gaya...sote waqt mujhe kayi sapne bhi aaye aur wo sare sapne exam hall ke the...maine sapne me dekha ki main exam hall me gumsum sa apni seat par baitha kuchh soch raha hoon...waqt nikalte ja raha hai,lekin main hoon ki bina kuchh likhe na jaane kin khayalo me khoya hua hoon....aur phhir achanak kisi ne mere kaan me jor se chillaya ki "tu fail ho gaya hai...tu marne wala hai..."
Us aawaz ne mujhe buri tarah dara diya aur maine jab us aawaz ki taraf apna rukh kiya to apne usi dost ko waha khade hue paya,jiski maut ka sapna maine apne college me dekha tha....
.
"Arman..."kisi ne mujhe pakad kar jor se hilaya...
"bhaiya...."hafte hue maine aankhe kholi aur Vipin bhaiya ko samne dekhkar rahat ki saans li... "kya hua...tabiyat to sahi hai..."
"haan...sab sahi hai...bas garmi kuchh jyada lag rahi thi..."apne mathe ke paseene ko saaf karte hue main bola"abhi time kya hua hai..."
"raat ke 9 baj rahe hai, khana laya hoon tere liye....le kha le..."bolte hue bhaiya ne tiffin khola... "mummy,papa kaha hai..."
"kuchh din ke liye ghar gaye hai...do teen din me wapas aa jayenge..." "i am really sorry ,bhaiya..."jab maine khana kha liya to bola...
Lekin Vipin bhaiya ne kuchh nahi kaha ,wo kuchh der tak mujhe dekhte rahe aur phhir waha se chale gaye....
.
dopahar ki lambi neend ke baad ab neend meri aankho se koso door thi, us sapne ko to main bhool chuka tha...lekin lakh koshisho ke bawjood ye baat mere jehan se nahi utar rahi thi ki maine third sem ka exam miss kar diya hai...mujhe Naushad aur deepika mam par ek baar phhir se gussa aaya aur dil kiya ki Vampire bankar un dono ko kaat dalu,kyunki wo dono hee mujhe is halat me pahuchane ke jimmedar the....
"sala kitni achchhi life chal rahi thi lekin Arun ke ek kiss ne sab kuchh khatam kar diya, yadi main us din Gautam ko nahi marta to ye naubat hee nahi aati..."
"neend nahi aa rahi hai kya...."mere sirhane ke paas khade hokar us nurse ne mujhse puchha ,jisne mujhe kal sui lagayi thi...
"main thik kitne din me ho jaunga..."
"din nahi ,mahine bolo...kuchh mahine lagenge thik hone me..." "andazan bata sakti ho ki kitne mahine lagenge..."
"aap abhi so jao , kal subah doctor se puchh lena...."bolkar wo aage badh gayi....
.
Mujhse ab bhi har din bahut se log milne aate rahte , kuchh meri fikra ki vajah se aate the to kuchh bas formality nibhane ke liye...abhi tak mera is taraf dhyan nahi gaya tha lekin achanak hee mera dhyan MTL bhai ki taraf gaya to main thoda hairan ho gaya kyunki jaha tak mujhe yaad hai MTL bhai mujhe dekhne,mera haal-chal puchhane ke liye ek baar bhi hospital nahi aaye the...jo apne aap me hee ek chaukane wali baat thi...main apne 1400 gm ke dimag ko flash back me le gaya ye confirm karne ke liye ki kya sach me Sidar mujhse milne nahi aaya ya phhir wo mujhse milne aaya tha,lekin ab mujhe yaad nahi hai....
"Pandey uncle,Varma ji,sharma ji,Mathematics wale saxena sir, dixit sir,Varun,Bhu,Naveen, Sulabh,Saurabh,Amar sir, class ke sabhi ladke-ladkiya...Vipin bhaiya ke kayi dost....jab ye sab mujhe yaad hai to phhir Sidar kyun yaad nahi hai...now i am sure ki MTL bhai abhi tak mujhse milne nahi aaye

hai....shayad ghar me honge ,"maine aisa andaza lagaya...lekin apne samne baithe Arun se puchh hee baitha ki Sidar abhi tak aaya kyun nahi....
"k..kya bola tune..."
"hakla kyun raha hai..maine puchha ki sidar abhi tak aaya nahi..." "aaya tha na, tujhe yaad nahi hoga..."
"sach ...kya mujhe sach me ye yaad nahi hai ki MTL bhai mujhse milne aaye bhi the ya nahi..." "aaye the na..."apne sukhe hontho ko daanto se dabate hue Arun ne kaha....
aisa bolte waqt wo kabhi upar dekhta to kabhi neeche,kabhi daye dekhta to kabhi baye...usne baat ko talne ke liye mujhse mere ghav ke baare me puchhna shuru kar diya...lekin uski is harkat se mujhe ye hawa lag gayi thi ,launda jhooth bol raha hai....
.
"Arun, tu to mere sath hamesha rahta hai to kya tujhe ye nahi maloom ki mujhe human reaction ke bare me thodi-bahut jaankari hai...tere haav-bhav se saaf maloom chal raha hai ki tu jhooth bol raha hai....khair koyi baat nahi ,ICU se jane ke baad MTL bhai ko call karke bol dena ki Arman unhe puchh raha tha...."
"thik hai...thik hai...main bol dunga, main bol dunga...."
"tere speaker se ek hee line do-do baar kyun nikal rahi hai...maine kaha na koyi baat nahi..." "Arman...actually baat ye hai ki...."apne honth ko apne daant se chabate hue Arun ne meri aankho me dekha aur kuchh bolkar apni aankhe band kar li....
Arun ne jo kuchh bhi kaha tha wo mere kaan ko garam lohe ki rod ki tarah bhedta hua mere kano se paar ho gaya....dil ke dhadkano ki raftaar had se jyada tez ho gayi jiski vajah se mere body se connected machino ne ek baar phhir apna rag alapna shuru kar diya tha...ICU ke us air conditioner room me bhi mera pura sharir ek pal me bahut jyada garam ho gaya aur mera dimag phhir se jhanna utha aur maine ek baar phhir se Arun ke kahe shabdo ko mahsoos kiya....
"Sidar bhai ,ab zinda nahi hai...do din pahle unki ek accident me maut ho chuki hai..."















Update-129
"Sidar bhai ,ab zinda nahi hai...do din pahle unki ek accident me maut ho chuki hai..."
.
Mujhe kuchh samajh nahi aaya ki Arun ne is waqt jo kaha uspar main kaise react karu....ye ab tak ki ek aisi ghatna thi jise main sabse buri ghatna kah sakta tha, mere dil ki dhadkane ek baar phhir se record tod speed ke sath chalne lagi thi....Sidar ke maut ke baare me sunte hee mujhe ek pal me wo pal yaad

aane lage ,jo maine uske sath bitaye the....us ek pal me jab mujhe uske is duniya me na hone ki khabar maloom hui to mujhe sach me bahut dukh hua, dil aur dimag dono se dukh hua....
Sidar se meri pahli mulaqat tab hui thi,jab mujhe uski sabse jyada jaroorat thi, us ghatna ko ek saal se adhik beet chuka tha lekin mujhe ab bhi yaad hai ki meri ragging lekar kaise Varun aur uske dosto ne mera bura haal kar diya tha aur tab mere us bure waqt me mera sath dene ke liye ek anjaan shaks aage aa gaya, jisase main pahli baar mila tha....uske baad jo hua wo sab jante hai ki Sidar ke dam par maine kaise meri ragging lene walo ko kutte ki tarah ghaseet-ghaseet kar mara tha...lekin abhi-abhi mujhe jo khabar mili wo ye thi ki Sidar ab zinda nahi hai.....
.
mujhe ab bhi yaad hai ki kaise main first year me sher bana ghooma karta tha, is buniyaad par ki yadi kuchh lafda ho jayega to MTL bhai mujhe bachane ke liye apni puri taqat laga denge, mujhe ab bhi yaad hai ki kaise main canteen me bhar pet khane ke baad bill Sidar ke account me dalwa deta tha...lekin unhone mujhse kabhi ek lafz bhi is bare me nahi kaha aur na hee mujhse puchha....lekin abhi-abhi mujhe mere khas dost ne bataya tha ki Sidar ab mar chuka hai....
.
mujhe ab bhi achchhe se yaad hai ki jab security officer station me mujhpar F.I.R. hone ki vajah se mere paseene chhut rahe the to us waqt achanak Sidar beech me aaya aur mujhe bacha le gaya...uske baad usi ki madad se maine, mujhpar F.I.R. Karne wale first year ke dono ladko ko bahut mara tha aur bina kisi pareshani ke us pure jhamele se nikal gaya tha...lekin ab sach ye tha ki mere canteen ka bill pay karrne wala,mujhe sare jhamelo se bedag nikalne wala Sidar ab zinda nahi hai....
.
mujhe dukh is baat ka nahi tha ki ab mujhse ek strong support chhut gaya hai, balki mujhe dukh is baat ka hai ki mera ek sabse achchha dost...jo mujhe har waqt kayi naseehat diya karta tha,jise main apne bade bhai ke saman manta tha,use main ab kabhi nahi dekh paunga....ab meri puri zindagi me shayad hee Sidar jaisa koyi mile ,jo bina kuchh soche, bina apni parvah kiye...mere har achchhe-bure kaam me kandhe se kandha mila kar chalega...ab shayad hee mujhe kabhi koyi mile,jiski naseehat,jiski seekh ko main manunga, sach to ye tha ki maine ek bade bhai ke saman apna ek dost kho diya tha...
Sidar me wo sabhi khoobiya thi jo hamesha se main Vipin bhaiya ke andar dekhna chahta tha...Sidar meri galat harkato par mujhe direct fatkar nahi lagata tha ,balki sabse pahle wo mujhe meri us galat harkat ki vajah se khadi hui museebat se nikalta aur phhir jab sab kuchh sahi ho jata to mujhe samjhata ki mujhe aisa nahi karna chahiye...lekin ab sach to ye tha ki ab mujhe sahi tareeke se samjhane wala koyi nahi tha.....
.
"kahi Sidar ki maut meri vajah se to nahi hui...yadi aisa hua to meri zindagi har din bad se badtar hota jayega...kyunki aisa hone par main bhale hee uski maut ka jimmedar na thahraya jaun...lekin mera dil aur dimag mujhe jeene nahi dega ki Sidar ki maut ka jimmedar main hoon...."
dil ki dhadkane is waqt kam hone ka naam hee nahi le rahi thi...balki wo to samay ke sath badhte hee ja rahi thi....
"ye sab kaise hua..."ghabrayi hui aawaz me maine Arun se puchha..
"NTPC me kuchh hafte pahle strike shuru hui thi power supply ko lekar...jisase NTPC ko lagatar loss ho raha tha aur jab ye baat Sidar ko maloom chali to usne strike shuru kar di ,jisme NTPC ke kayi bade officers uske sath the...."
"phhir..."
"aur phhir do din pahle pure college me ye khabar fail gayi ki strike karne wale aur security officer ke beech

jhadap ho gayi hai...us jhadap me kayi log mare gaye ,jisme se ek humara Sidar bhi tha...."
.
bolkar Arun chup ho gaya aur main bhi gumsum sa bed par leta raha....bahut der tak hum dono me koyi kuchh nahi bola aur phhir Arun ne hee chuppi todi...
"Sidar bhai ki body ab bhi isi hospital me hai...."
"what "chaukte hue maine Arun ki taraf dekha....lekin kuchh bola nahi ,mere is tarah se chaukane ka karan mera khas dost Arun meri shakal dekh kar hee jaan gaya ,wo aage bola...
"Sidar ki maut ke baad warden ke muh se ek bahut bada sach hume maloom hua Arman,jisne hum sabko jhakjhor ke rakh diya tha.."
"kya..."apne seene par hath phhirate hue maine puchha...maine apne seene ko isliye sahlaya kyunki aage jo sach Arun batane wala tha ,wo sach,sach me bahut kadwa hoga...aisa maine andaza laga liya tha....
"Sidar ek anath tha, use anath bachcho ko palne wali association ne pal-posh kar bada kiya tha aur is kabil banaya ki wo apne pairo par khada ho sake....college me ye sach sirf humare Principal aur hostel warden ko maloom tha aur Sidar ki maut ke baad ye sach sabke samne aaya to sabka kaleja apne muh ko aa gaya....kisi ko yakin nahi ho raha tha ki Sidar ek anath tha..."
.
Sidar ke anath hone ki khabar se jaha ek taraf mere kaleje ka dukh dugna ho gaya wahi dusari taraf mujhe ,mere kayi chhote sawalo ka jawab mil gaya tha...main aksar MTL bhai se puchha karta tha ki wo chhuttiyo me ghar kyun nahi jate ?, kya unhe hostel me akele warden ke sath rahne me jyada maja aata hai ? Kya aapke ghar wale aapko kuchh nahi kahte ?
Aise na jaane kitne sawal main MTL bhai se aaye din puchhate rahta tha aur jawab me wo har baar mere in sawalo ko muskura kar taal dete the....aur aaj jab mujhe sach maloom hua to mujhe unki us muskurahat ke peechhe chhipe us dard ka ahsaas hua,jise unhone kabhi kisi ke samne zahir nahi kiya tha..... maine na jaane kitni hee dafa anjaane me aise sawal karke unka dil dukhaya tha....mujhe ab bhi yaad hai ki ek baar unhone mujhse kaha tha ki "Arman yadi tu janam se mera chhota bhai hota to mujhe bahut khushi hoti....i love you yar..."
.
"to kya tum logo ne anath bachcho ko sahara dene wali us association ko Sidar ke bare me khabar nahi di..."
"do din pahle hee unko ye news humne de di thi ki Sidar ki maut ho chuki hai lekin wo Sidar ki body ko lene ab tak nahi aaye hai..."
"i want see him...now" "kya..."jhatka khate hue Arun bola "haan, i want to see MTL bhai...."
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 14-03-2019, 02:22 AM



Users browsing this thread: 8 Guest(s)