14-03-2019, 02:21 AM
Chapter-34:Bloody end of 3rd Semester
Update-119
.
"Arun..."ye ek aisa shaks tha jo mere dil ke behad hee karib tha ya phhir kahe ki sabse karib tha...ye ek aisa shaks tha jo janta tha ki main actual me kya hoon, main actually kya pasand aur na-pasand karta hoon...
kisi ke baare me meri soch kya ho sakti hai...ye pata karne ke sirf teen tareeke hai, pahla ye ki main khud aapko batau, jo ki kabhi ho nahi sakta dusara ye ki aap mere 1400 gm ke brain ki scanning karke sab maloom kar le aur ye bhi 99.99999999 % impossible hee hai lekin teesara tarika bahut aasan hai aur wo teesara tarika mera khas dost Arun hai...
Is samay Arun mujhe is ummid me taak raha tha ki main use is problem se nikalne ka koyi idea ya phhir koyi sujhav dunga...wo jab se room ke andar ghusa tha tab se lekar ab tak har 10 seconds me mujhse puchhta ki mujhe koyi idea aaya ya nahi.....aur har baar ki tarah is baar bhi jab usne 10 seconds ke pahle hee tok kar mujhse puchha to main bhadak utha....
"abey ye L me bhara jamal ghota hai kya,jo kahi bhi ,kisi bhi waqt lund nikal kar maal bahar kar diya...beta plan sochna padta hai aur sochane ke liye thoda time chahiye hota hai..."
"jaldi soch...tab tak main moot kar aata hoon..." "haan tu ja moot kar aa...yahi sahi rahega aur sun..." "bol.."
"mere badle bhi moot kar aana "
.
Arun ki madad to mujhe karni hee thi chahe kuchh bhi ho jaye because he is like my chaddi and baniyan
,jiske bagair main jee to sakta tha lekin uske bina har waqt ek bechaini si rahti....he is like rifle of my pen,jiske bina college me main ek din bhi nahi gujar sakta tha...he is like earphone of my mobile,jiske bina main apne dus hazar ke mobile me gana tak nahi sun sakta tha aur sabse badi baat ye ki wo mera room partner tha aur usase badi baat ye ki wo mere dil ke bahut karib tha ,itna karib ki kabhi-kabhi mujhe aisa lagne lagta jaise ki hum dono ek-dusare ke gay-partner hai....jab kuchh toota-phhota sa idea mere dimag me aaya to main khidki ke paas gaya aur bahar dekhne laga ki Gautam aur uske dost hostel ki taraf aa rahe hai ya nahi....aur jaisa maine socha tha waisa hee hua ,Gautam ,bahut sare laundo ke
sath hostel ki taraf aate hue mujhe dikhayi diya...
.
"Saurabh tu jakar hostel ke sab laundo ko jama kar aur mere room me aane ke liye bol..." Saurabh ke jane ke baad apne paint ki chain band karte hue Arun room me ghusa... "kuchh socha be lawde ya abhi tak marwa raha hai..."andar ghuste hue Arun ne puchha....
"tu abhich yaha se kalti maar, Gautam bahut sare ladko ko lekar hostel ki taraf aa raha hai..."
"sher ,kutto ke jhund se darkar bhagta nahi,balki unka muqabala karta hai ,unki *** chod deta hai aur phhir lawda chusata hai..."
"par abhi sach ye hai ki tu na hee koyi sher hai aur Gautam ke dost na hee kutte ke jhund...isliye jitna bola utna kar aur bahar yadi shor-sharaba ho to room se bahar mat nikal jana....samjha.."
"tu bol raha hai to chhip jata hoon ,warna aaj hee un salo ko pelta..."
.
maine Arun ko kisi dusare room me chhupaya, kyunki jaisa maine socha tha uske anusar Gautam...sabse pahle hostel ke andar entry marega aur uske samne hostel ka jo bhi launda dikhega use pakad kar seedhe Arun ka room number puchhega....main nahi chahta tha ki Gautam ,Arun ko dekhe isiliye maine Arun ko dusare room me chhipne ke liye kaha aur ek copy kholkar padhne ka natak aise karne laga...jaise ki mujhe kuchh pata hee na ho....
Hostel ke andar ghuskar Gautam ne ek ladke ka collar pakad kar usase Arun ka room number puchha aur phhir darwaje par laat maarkar wo room ke andar aaya.....
.
"to tu bhi usi MC ke sath rahta hai..."andar aate hee Gautam ne galiya baki"wo MC kaha chhipa baitha hai,use bol ki bahar aaye, abhi sale ke andar se ishq ka junoon nikalta hoon...."
"O...hello...kiski baat kar raha hai aur galiya kise bak raha hai..jara aukat se baat kar..."kitab band karte hue maine kaha...
"tu BC ,aaj shant rahna...warna aaj tujhe bhi tere us dost ke sath marunga...MC shant hoon iska matlab ye nahi ki main tum logo se darta hoon..."
"MC hoga tu ,tera baap,tera dada,tera pardada aur tere pardada ka pardada.....aur ye bata ki yaha gand marwane kyun aaya hai..."maine bhi apne tevar dikhate hue kaha...
"Arun..kaha hai wo BC....."
"dekh aisa hai beta ki tum log ab nikal lo..."
"pahle bata ki wo hai kaha...warna aaj tujhe bhi thokenge..."Gautam ke ek jigari dost ne aage aate hue kaha...
"Arun to S.P. Uncle ke yaha hai...abhi kuchh der pahle uska phone aaya tha..."
.
S.P. Ka name sunte hee un logo ke tevar kafi had tak kam ho gaya...wo sabhi,jo Gautam ke sath aaye the,ek -dusare ka muh takne lage...aur main yahi to chahta tha ki S.P. Ka support Arun par hai,ye sochkar wo waha se chale jaye aur baat ko bhool jaye.....
.
"mujhe is par yakin nahi,tum log ek-ek room check karo aur jaha bhi wo lawda ka baal dikhe...mar do sale ko...BC meri bahan se ishq ladata hai..."
Gautam ke aisa kahne par uske chamche hostel ke har ek room ko check karne lage...Arun ko maine floor ke sabse last room me chhupne ke liye kaha tha...isliye shuru ke kuchh kamro ko jab Gautam ke chamcho ne check kiya to unhe Arun nahi mila....lekin jab wo floor ke aakhiri chhor ki taraf badhe to meri saanse atakne lagi...kyunki yadi unhone Arun ko hostel me dekh liya to wo jaan jayenge ki S.P. Se
na to mera koyi relation hai aur na hee Arun ka...yadi aisa hota to phhir wo ye bhi jaan jate ki S.P. ka support lekar main unhe aaj tak sirf chutiya hee banate aaya hoon....
.
"oye, ise randi khana samajh rakha hai kya, jo har room ko khol kar dekh rahe ho...maine bola na ki Arun yaha nahi hai..."
"tu BC chup raha..."Mera collar pakad kar Gautam ne mujhe mere room ke andar kiya aur bola"tu kya sochta hai ki mujhe maloom nahi tere kand...first year ke do laundo ko tune hee mara tha ye mujhe pata hai aur bahut jald tera bhi number aane wala hai....beta aisa marunga tujhe ki teri sari hekadi nikal jayega...ek hijade ki zindagi jeene par mazboor kar dunga tujhe main...tera baap bhi tujhe dekhkar hijda kahega aur taliya bajayega....madarchod teri main wo halat karne wala hoon ki tujh par koyi peshab bhi karne se pahle sau baar sochega...chal bhag madarchod..."mujhe jor se dhakka dete hue Gautam ne kaha...jiske baad main seedhe apne bed ke paas gira aur mera sar jor se kisi chiz se takraya...dard to bahut kar raha tha lekin mere andar ufan rahe jwalamukhi ne us dard ko lagbhag shunya kar diya...maine bistar ke neeche pada lohe ka rod nikala aur khada hokar Gautam ko aawaz di...
"idhar dekh be randi ki aulad...pahle jakar apni maa se puchhna ki kitno ka lund lekar tujhe paida kiya hai,phhir mujhse baat karna"lohe ki rod ko mazbooti se pakadte hue maine kaha aur bina kuchh soche- samjhe apni puri taqat se wo rod Gautam ke sar me de mara....
.
Gautam ke sar par lohe ka rod maine itni teji se mara tha ki wo usi waqt apne hosh kho baitha ,uske sarse khoon ki dhara bahne lagi...mera prahar itna tej tha ki Gautam ke chehre ka koyi bhi ang is waqt nahi dikh raha tha...dikh raha tha to sirf khoon...sirf aur sirf khoon...tab tak hostel ke sare ladke bhi mere room ke samne pahuch gaye the aur Gautam ke chamcho ko pakad kar dho rahe the.... Gautam zameen par pat behosh pada hua tha,jise maine rod se hee seedha kiya aur apni puri kshamta se ek aur rod uske pet me mara...jiske baad khoon seedhe uske muh se nikal kar mere upar pada.......
.
us din hostel me bahut bada lafda hua tha...hum hostel walo ne Gautam aur uske sabhi dosto ko bahut mara...us samay gusse me shayad main ye bhool chuka tha ki lohe ki rod se jiska main sar fod raha hoon,wo koyi aam ladka nahi hai....Gautam ke pet me rod markar uske muh se khoon nikalte waqt main ye bhool chuka tha ki Gautam ka baap ek bahut bada gunda hai aur wo iska badla mujhse jaroor lega....
Update-120

Maine ab tak ke apne zindagi ke 19 saal me aaj sabse badi galti kar di hai ,iska andaza mujhe tab hua , jab Gautam ko behoshi ki halat me ambulance ke jariye hospital le jaya ja raha tha...main usi waqt samajh gaya tha ki is action ka reaction to hoga aur wo bhi bahut bahut bahut bura...mera gussa jab se shant hua tha tabhi se mere andar ek dar ghar kar chuka tha...wo ye tha ki Gautam ka baap ab mera kya haal karega...yadi ye college ki chhoti-moti ladayi hoti to shayad uska baap ise ignore bhi kar deta lekin yaha uske eklaute bete ka maine sar fod dala tha...main khauff kha raha tha us pal ke liye,jab Gautam ka baap apne bete ka khoon se sana sharir dekhega...is samay mere dimag ne bhi apna side effect dikhana shuru kar diya..is samay jab mujhe mere dimag ki sabse jyada jaroorat thi to wo mujhe dhoka dekar aane wale samay me mera haal kya hone wala hai ,ye bata raha tha...maine dekha ki Gautam ke baap ne mere sar par thik usi tarah se rod mara jaisa ki maine Gautam ke sar par mara tha...
.
"Arman..."kisi ne mujhe pukara "Arman..."
"abey Armaaaaannnn...."koyi mere kaan ke paas jor se chillaya...
"kya hai be bose dk "hostel me rahne wale us student ko dekh kar maine puchha "Sidar sir,tujhe Amar sir ke room me bula rahe hai...chal jaldi.."
"Sidar bhai,itni jaldi hostel kaise pahuch...unhe to maine call tak nahi kiya tha..."
"tu khidki ke paas hee khada hai to kya tune suraj ko dhalte hue nahi dekha...beta bahar nazar maar
,raat ho chuki hai...ab chal jaldi se,warden bhi waha Amar sir ke room me mauzood hai..."
Uske kahne par maine bahar dekha aur is waqt sach me raat thi...maine baukhalate hue apni ghadi me time bhi dekha to raat ke 7 baj rahe the...yani ki main ghanto se yahi khidki ke paas khada hoon,lekin mujhe ye nahi maloom chala ki raat kab ho gayi....
"chal..chalte hai.."us ladke ke sath room se bahar nikalte hue maine kaha...
room se bahar aate waqt meri nazar apne aap hee waha pad gayi,jaha kuchh ghante pahle Gautam khoon me sana hua leta tha...waha khoon ke nishan ab bhi the aur mere dimag ne aane wale pal ki bhavishyavadi karte hue mujhe wo scene dikhaya jise dekh kar meri rooh kanp gayi,...maine dekha ki main khoon se lathpath kahi pada hua hoon aur jaanwar mere sharir ko noch-noch kar kha rahe hai.... "Arman..kya hua,.."mujhe hosh me late hue us ladke ne hairani se meri taraf dekha....
"kuchh nahi...chal"
.
Amar sir ke room ke andar is waqt lagbhag sabhi source wale hostelers baithe hue the...kuchh phone par kisi se baat kar rahe the to kuchh aapas me aaj hostel me hue maar-peet ke baare me discussion kar rahe the...humara hostel warden sab ladko ke samne ek chair par apna sar pakad kar baitha hua tha....mere andar aate hee sab shant ho gaye,jo kuchh der pahle kisi ko call pe call kiye ja rahe the unhone mobile neeche kar liya...jo log ghanto pahle hui is maar-peet ke baaee me discussion kar rahe the wo mujhe dekh kar chup ho gaye aur hostel warden ne bina samay gawaye ek tamacha mere gaal par jad diya...
"bahut bada gunda hai tu...ab pata chalega tujhe ki asaliyat me gundagiri kya hoti hai...teri vajah se meri
naukari to jayegi hee,sath me teri jaan bhi jayegi..."bolkar Warden ne apni kursi pakad li aur baith kar phhir se apna sar pakad liya....sala fattu
waise to main waha mauzood sabhi seniors,classmate aur juniors ko janta tha par is waqt meri aankhe
sirf aur sirf Sidar par tiki hui thi...
"ye log jo kah rahe hai kya wo sach hai...kya tune hee Gautam ko mara hai..."Sidar ne puchha "haan..."
"to ab kya socha hai...kaise bachega in sab se aur mere khayal se tune plan to banaya hee hoga ki Gautam ko marne ke baad tu uske baap se kaise bachega..."
"main Gautam ko nahi marna chahta tha,wo to suddenly sab kuchh ho gaya..."
.
Us din shayad wo pahla mauka tha jab main kuchh soch nahi pa raha tha,main jab bhi in sabse bachne ke liye kuchh soch-vichar karta to mera dimag alag hee direction me mujhe le jata tha..jaha main jana nahi chahta tha...us din humari meeting ghanto tak chali aur us meeting se humare samne do problem aaye aur hostel ke har ek ladke ne sujhav diya ,sirf mujhe chhodkar ,ki ab aage kya karna chahiye....warden humare sath tha aur warden ne college ke principal ko bhi raat me patti padha di thi
,jiske baad hume ye ummid thi ki Principal security officer ke samne humara sath dega..humare samne is waqt sirf do problems thi aur dono hee problems kal subah ki pahli kiran ke sath meri zindagi me dastak dene wali thi....pahli problem ye thi ki mujhpar aur mere dosto par half-murder or attempt to murder ka case banega...dusaa ye ki Gautam ka baap hath dhokar mere peechhe pad jayega,jiske baad mera bachna namumkin hee tha..
.
security officer case ko suljhane me hume jyada dikkato ka samna nahi karna pada kyunki Gautam aur uske dost hostel ke andar ghuse the matlab ladayi karne ke irade se wo waha aaye the aur phhir sab ladko ke beech maar-peet me Gautam ka sar kisi chiz se takraya aur wo wahi behosh ho gaya...hum me se koyi ek bhi samne nahi aaya jisase security officer kise remand par le aur kise na le ye unke liye mushkil ho gaya.... humne us three star ki vardi pahne hue security officerwale ke samne ye prove kar diya ki Gautam hume marne aaya tha aur Jin logo ka name F.I.R. Me darj hua hai wo to kal recess ke baad warden se do din ki chhutti maang kar ghar ke liye nikal chuke the lekin unhe aaj wapas isliye bulaya gaya taki security officer ko shaq na ho ki college kisi ko bachane ki koshish kar raha hai...
.
mujhe ,hostel me rahne wale kuchh ladko ke sath security officer station bhi le jaya gaya...jaha mujhe shuru me dhamkaya gaya aur phhir kaha gaya ki "yadi main unhe sab sach bata deta hoon to wo mujhe kuchh nahi hone denge..."
wo mujhse wo sab puchh rahe the jise na batane ki practice maine kal raat bhar ki thi,..security officer walo ne mujhse kal ki ghatna ke baare me jitni bhi baar puchha...jis bhi tarike se puchha, maine har baar apna sar na me hilaya aur juban NA me chalayi...
"haan Sir,hum use la rahe hai..."us three star ki vardi pahne hue security officerwale ne phone par kisi se kaha aur meri taraf dekh kar bola"chal ...tere principal ka phone aaya hai,.."
"maine to pahle hee kaha tha ki mujhe kuchh nahi maloom...jo ladke mera name bata rahe hai wo mujhse khunnas khaye hue hai...isiliye unhone mera name bataya..."
"maine tujhse pahle bhi kaha hai aur ab bhi kah raha hoon ki mere kandhe par ye teen star aise hee nahi lage hai...chutiya kisi aur ko banana...ab chal.."
Uske baad saare raste bhar maine apna muh nahi khola kyunki dheere-dheere mujhe aisa lagne laga tha ki mere dimag par is samay shani aur mangal kundali maar kar baithe hue hai...isiliye main jo kuchh bhi
sochta hoon,jo kuchh bhi karta hoon...wo sab ulta mujhe hee aakar lagta hai.....
.
Humari pahli problem to lagbhag solve ho gayi thi yani ki security officer case ka ab koyi jhanjhat nahi tha ab jhanjhat tha to wo tha Gautam ka baap...
"security officer unkil...mera dost Gautam kaisa hai..use hosh aaya ya abhi tak leta hua hai..."jeep se utarte hue maine puchha...
"apne principal ke authority ka use karke tu security officer ke jhamele se to bach jayega...lekin us gunde se kaise bachega jiske liye niyam,kanoon koyi mayne nahi rakhta..."muskurate hue usne jawab diya "mujhe is case me koyi khas dilchaspi nahi hai lekin tujhe aagah kar deta hoon ki tera bura waqt ab shuru hone wala hai..."
Main us three star wale ki taraf dekhkar apne dimag ki dictionary me koyi damdar dialogue dhoondhata raha lekin jab mujhe kuchh nahi sujha to maine kaha
"wo kya hai ki is waqt mujhe koyi damdar dialogue yaad nahi aa raha hai,isliye aap filhal jao...aapke is sawal ka jawab kisi aur din dunga"
Update-121

College ke samne security officer jeep se utar kar main class ki taraf badha...man to nahi tha class jane ka lekin hostel me akele rahta to mera dimag mujhe Gautam ke baap se pahle hee maar deta, isliye maine class attend karna hee behtar samjha....class ki taraf aate hue samne mujhe Esha dikhi to mere kadam khud ba khud rook gaye ,main janta tha ki wo is samay mujhse behad hee khafa hogi aur mujhpar gussa karegi...lekin main phhir bhi uski taraf badha aur na chahte hue bhi muskuraya taki uski muskan dekh saku...apne samne achanak mujhe pakar Esha kuchh der tak mujhe yun hee dekhti rahi aur phhir aankho me mere liye duniyabhar ki nafrat bhare hue waha se aage badh gayi...
.
pichhale kuchh dino me mujhe dekhkar uske hontho me jo ek pyari si muskan chha jati thi ,uski jis muskan ka main deewana tha ,uski jis muskan par main dil se fida tha...aaj uske hontho se wahi muskan gayab thi...uski jin bhoori si aankho se mujhe pyar tha,..sabse jyada lagav tha ,is waqt wo aankhe ekdum laal thi...uski unhi aankho me maine apne liye duniyabhar ki nafrat dekhi ,jinme main hamesha apne liye ek pyar, ek ahsaas dekhna chahta tha....
.
"Esha...wait a minute..." bina kuchh soche-samjhe,bina kisi ki parvaah kiye main Esha ke peechhe
bhaga...
"Arman ,rasta chhodo..."mujhe apne samne pakar usne apna chehra dusari taraf phher liya... "Gautam ki vajah se hum, apan dono ke beech me khatash kyun paida kare...chal hath mila..."
.
Wo phhir chup rahi aur apna chehra dusari taraf karke mere waha se jane ka intezaar karti rahi...uski ye khamoshi teer bankar mere left side me chubh rahi thi...aaj agar Esha mujhe sorry bolne ke liye kahti to main ek baar nahi hazar baar use sorry bolta...lekin sali pareshani to yahi thi ki wo aaj kuchh bol hee nahi rahi thi....
.
"Esha..."uski taraf apna ek hath badhate hue maine kaha...
"door jao mujhse..."cheekhte hue usne kaha aur sabke saamne mujhe dhakka diya lekin main phhir bhi usi ki taraf badha...sabke samne apni bejjati ka andesha hone ke bawjood main Esha ki taraf badha...
.
Main ye nahi kahta ki mere man me Esha ke siwa kisi aur ladki ka khayal nahi aata ,main har din Esha ke sath-sath kayi dusari ladkiyo ke bare me bhi sochta lekin Esha ke liye mere andar jo ahsaas ,jo lagav hai wo ahsaas,wo lagav kisi dusari ladki ke liye aaj tak nahi hua tha...main ye baat dhol-nagade peet peet kar isliye kah sakta hoon kyunki...Esha mere man me nahi balki mere dil me basi thi....
main ye nahi kah raha ki mera pyar kisi filmi pyar ki tarah hundred percent hai lekin ye main dawe ke sath kah sakta hoon ki jitna bhi percent mere dil me uske liye mohabbat hai ,wo ekdum sach hai aur pavitra bhi...warna main college me is waqt sirf ek ladki ke liye...sirf aur sirf aur sirf ek ladki ke liye sabke samne apni bejjati sahan nahi karta....
.
"Arman,tum mujhe apna dost kahte the,par ab pata chala ki tum to bas ayyash kism ke wo insan ho,jise kisi ki koyi parvah nahi hai...ab samne se hat jao,warna kahi aisa na ho ki...main sabke samne tum par hath utha doon..."
"mujhe koyi farak nahi padta ki yaha kaun-kaun hai aur na hee mujhe iski parvah hai..."
"lekin mujhe parvah hai...khud ki aur Gautam ki....Gautam sach hee kahta tha ki dosti apne status ke barabar wale logo ke sath hee karna chahiye..."
Uske baad maine sirf use waha se jate hue dekha,kyunki mere paas ab koyi shabd nahi the jiska istemaal karke main use ek baar phhir se aawaz doon ya rokne ki koshish karu...usne abhi-abhi kaha tha ki is jahan me use sirf do logo ki parvah hai..ek khud ki aur ek apne pyar ki lekin mujhe to parvah sirf ek ki thi aur wo Esha thi..jisne mujhse abhi-abhi nafrat karna shuru kiya tha...main ab bhi usase baat karna chahta tha ye jante hue bhi ki wo ab mujhse baat nahi karna chahti hai lekin mere dil ne ,uske liye mere junoon ne mujhe phhir se uske peechhe bhagne liye mujhe mazboor kar diya....
.
"Esha,yar ek minute sun to le ki main kya kahna chahta hoon..."uski car ke paas pahuchkar maine khidki se andar dekha aur ek baar phhir se Esha ko aawaz di"bas ek minute..."
"Divya tu car aage badha..."mujhse ek baar phhir muh phherkar wo boli...
Maa kasam khakar kahta hoon ki us waqt mujhe aisa lagne laga jaise ki us ek pal me mere sare sapne jo maine Esha ko reference maankar soche the...meri sari khwahishen ,jo ki Esha ko lekar thi...is dil ke sare Arman ,jiske rag-rag me wo basi hui thi...mere un sare sapno ne, mere un sari khwahishon ne,mere un sare armano ne apna dam tod diya tha...dil kiya ki yahi rona shuru kar doon aur tab tak rota rahu jab tak Esha khud aakar mujhe chup na karaye...dil kiya ki pagalo ki tarah apna seena tab tak peetata rahu ,jab tak ki meri rooh mere jism se na nikal jaye...meri us halat par jab Esha ne mujhe palat kar bhi nahi dekha
to mere andar us naram dil wale Arman ko maarkar ek khuddar, ghamandi shaksiyat rakhne wale Arman ne apni jagah le li...
"ye tum kya kar rahe ho..."jab maine Esha ke headphone ko nikal kar bahar fek diya to wo mujhpar chillate hue turant car se bahar nikli aur mujhe thappad marne ke liye apna hath aage badhaya.... "shukar mana ki tere is hath ko maine rok liya...warna tera ye hath yadi galti se bhi mere gaal ko chhu jata to jo haal tere aashiq ka kiya hai usase bhi bura haal tera karta...tera aashiq to hospital me zinda pada hai lekin tujhe to main seedhe upar bhejta...sali tu khud ko samajh ke kya baithi hai..."maine car ka gate khola aur Esha ko andar fekte hue kaha"jispar tujhe gussa aata hai to tu usase baat karna band kar deti hai lekin jab mujhe kisi par gussa aata hai to main use baat karne ke layak nahi chhodta...ab chal jaldi se nikal is chuhiya ke sath warna tere baap ko tere aashiq ke bagal me ek aur bed book karana padega...."
.
Parking me maine aaj Esha se apne lagbhag sare lagav ko todkar aaya tha aur is samay mera gussa mujhpar pahle se bhi jyada hawi tha...hostel pahuchane ke baad mujhe warden ne kaha ki security officer case ko to wo log kaise bhi karke sambhal lenge...lekin Gautam ke baap ko rokna unke bas me nahi hai,isliye behtar yahi hoga ki main kuchh hafto ke liye apne ghar chala jaun.
Update-122
[u]Parking me maine aaj Esha se apne lagbhag sare lagav ko todkar aaya tha aur is samay mera gussa mujhpar pahle se bhi jyada hawi tha...hostel pahuchane ke baad mujhe warden ne kaha ki security officer case ko to wo log kaise bhi karke sambhal lenge...lekin Gautam ke baap ko rokna unke bas me nahi hai,isliye behtar yahi hoga ki main kuchh hafto ke liye apne ghar chala jaun.
.
Highway ke kinare khada main is waqt bahut sari uljhano se ghira hua tha...mere andar kya chal raha tha ye main khud bhi thik tareeke se nahi samajh pa raha tha...kabhi mujhe Gautam ke pappa ji dikhte to kabhi mere dost mujhe dikhte..,to kabhi hostel me ladayi wala scene aankho ke samne chha jata to kabhi Esha ke sath aaj hui jhadap seene me ek tees paida kar rahi thi...kabhi main khud ko galiya deta ki maine Esha ke sath aisa bartaav kyun kiya to kabhi mera ghamandi roop samne aa jata aur mujhse kahta ki...maine jo kiya sahi kiya,bhad me jaye Esha aur uska pyar...sach to ye tha ki is waqt main thik se kisi bhi matter ke bare me nahi soch pa raha tha aur sari duniya se alag hokar hostel se highway ko jodne wali sadak ke sabse antim chhor par khoya-khoya sa khada tha...mujhe iska bilkul bhi hosh nahi tha ki mere samne se teen-teen auto nikal chuke hai...mujhe is baat ki bilkul bhi parvah nahi ho rahi thi ki mere
is tarah se yaha khade rahne par meri train chhut sakti hai...
"oye...rook...abey ruk mujhe bhi jana hai..."City bus jab samne se guzar gayi to mujhe jaise eka ek hosh aaya ,lekin city bus tab tak bahut door ja chuki thi.....
jab city bus nikal gayi to main wapas apne kandhe me bag taange hue hostel se highway ko jodne wali sadak ke antim chhor par khada ho gaya aur phhir se sari duniya ko bhool kar apne andar chal rahe toofan me kho gaya....
.
kya maine Esha ke sath parking me jo kiya wo sahi tha...kahi maine apne hatho hee apne armano ka gala to nahi ghot dala...kyunki yadi Esha ki jagah koyi aur bhi hota,yaha tak main bhi hota...to apne pyar ko chot pahuchane wale se nafrat karta...aur Esha ne bhi aaj wahi kiya,...galat to main hee tha jo baar-baar uske samne khada ho ja raha tha. Usase baat karne ki meri jid ne shayad use,mujhpar aur bhi jyada gussa dila diya aur phhir parking me use dhamki dekar aana,.that was my fault,mujhe aisa nahi karna chahiye tha..kisi bhi haal me nahi karna chahiye tha...
.
lekin usi waqt mere andar se ek aur aawaz aayi ki" that was not my fault, yadi Esha ki jagah par aur koyi hota to wo beshak wahi karta..jo Esha ne kiya,i agree....lekin yadi meri jagah par bhi koyi aur hota to wo bhi wahi karta jo maine kiya tha...Arun mere bhai jaisa hai aur use koyi marne aaye to kya main chhip kar sirf isliye baitha rahu kyunki mere dost ko marne aa raha wo ladka mere pyar ka pyar hai...bilkul nahi, maine jo kiya bilkul sahi kiya..jisko jo samajhna hai samjhe,jise nafrat karni hai wo kare, apun ko zindagi guzarne ke liye sirf dost aur daru ki botal hee kafi hai...."
.
Mere andar is samay do Arman mauzood the aur dono apne-apne vichar de rahe the...ek sahi tha aur ek galat ,ye to main janta tha lekin sahi kaun hai ? aur galat kaun hai ? main ye decide nahi kar pa raha tha.mera man kar raha tha ki main sadak ke kinare lage pedo par apna sar de maru ya phhir apne baal noch dalu...kyunki dusaro se to bacha ja sakta hai lekin khud se bachne ki koyi raah nahi hoti, is waqt mere andar do Arman the..ek wo Arman tha jo Esha se behisab mohabbat karta tha to dusara Arman
,Arun ko apna khasam khas yar manta tha...un dono Arman ki ladayi se mere andar is samay ek toofan utha hua tha ki ek scooty mere samne se hokar gujari aur thodi door jakar rook gayi....
"ab ye kaun hai aur maine iska kya bigada hai...jo mujhe ghoor rahi hai..."apne chehre par scarf bandhe us ladki ko apni taraf dekhta hua pakar maine socha....
Maine apne agal-bagal ,aage-peechhe bhi check kiya ki waha mere siwa aur koyi to nahi,jise ye scarf wali item dekh rahi hai...lekin waha koyi nahi tha.. hostel ko highway se jodne wali sadak ke antim chhor par main sirf akela khada tha jiska saaf matlab tha ki wo scooty wali ladki waha khadi hokar mujhe hee dekh rahi hai....
"Arman...tum yaha"apne chehre par scarf lapete hue hee us ladki ne mujhse kaha...
scarf bandhe hue hone ke karan uski aawaz saaf nahi aa rahi thi,lekin main itna to samajh gaya tha ki ye ladki kaun hai...actually main aaj itne dino baad use dekh kar thoda shocked ho gaya tha aur sath hee use dekhkar ek muskan mere hontho par aa gayi....
.
"deepika mam, kafi dino baad dekha..."
"wait..."usne scooty ka direction change kiya aur meri taraf aane lagi mere samne scooty rokne ke baad deepika mam ne apna scarf hataya aur mujhse puchhi ki main kaha ja raha hoon....
"kuchh kaam hai ghar me,isliye ghar ja raha hoon..."
"Gautam ke baare me suna maine..."scooty side karke wo mere paas aayi
"haan,maine bhi suna...pata nahi use kisne mara,us waqt main ghar par tha..."
deepika mam se maine jhooth bola ,kyunki main nahi chahta tha ki use ye maloom ho ki mujhe bachane ke liye mere warden aur principal sir ne security officer se jhooth bola tha...sabko yahi maloom tha ki jab Gautam ki ladayi hui tab main hostel me nahi balki apne ghar me tha....
"to,kitne baje ki train hai..." "6'O clock.."
"ek kaam karo tum mere sath chalo..mera room railway station ke aage hee hai to tumhe waha chhodte hue chalungi..."kuchh der sochne ke baad deepika mam boli...
"ye sahi rahega thanks...."bolte hue main deepika mam ke sath unki scooty ki taraf badha....
.
Aaj bahut dino ke baad main deepika mam se mila tha isliye scooty par jab main unke peechhe baitha to unke pichhwade ke ek touch se hee mera agwada khada ho gaya....sala itni buri condition me fanse hone ke bawjood tharak pan mere andar se nahi gayi thi
deepika mam ki ek khas adat jo mujhe hamesha se uski taraf aakarshit karti thi aur wo thi unke perfume ki mahak...jo is waqt seedhe mere rom-rom me ek hot ladki ke paas hone ka ahsaas kara rahi thi,...main thoda aur aage khisak kar deepika mam se chipak gaya aur apna ek hath uski jaangh par rakh kar dabane laga...meri is harkat par deepika mam kuchh nahi boli aur chup chap scooty chalati rahi,...is dauran maine pura maza liya aur kayi baar peechhe se uske gardan ko kiss bhi kiya....
.
"cigarette piyoge..."scooty ko dheema karte hue deepika mam ne mujhse puchha... "haaaaiiinnnn..."
"maine puchha cigarette piyoge ya nahi..."abki baar usne scooty rok kar puchha... "main cigarette sirf daru ke sath leta hoon..."
"aur main chay ke sath.."bolte hue wo neeche utar gayi aur paas hee bane ek chay wale ke paas jakar do chay ka order diya...
"ye chay-way rahne do..."
"okay..."us chay wale ki taraf dekhkar wo boli"bhaiya ek light dena aur ek chay..."
.
Deepika mam lagbhag 5 minute tak cigarette ki kash marti rahi aur main sadme me tha aur deepika mam ko apni aankhe fad-fad kar dekh raha tha....thodi der baad jab uski cigarette aur chay khatam ho gayi to usne ek aur chay with cigarette ka order diya....
"iski to...ek aur round mar rahi "
"Arman...ek kaam karna..."Cigarette ke kash marte hue usne mujhe apne karib aane ke liye kaha "bolo..."
"wo samne...medical store dikh raha hai na..."usne sadak ke dusari taraf ishara karte hue mujhse puchha...
"sab samajh gaya...abortion ki goliya lani hogi,right"
"jake condom le aao taki mujhe abortion na karana pade "
Deepika ke dwara mujhe condom lane ke liye kahne se main samajh gaya ki wo aaj raat mere sath kuchi- kuchi khelne ke mood me hai lekin 6 baje meri train thi isliye main chahkar bhi uske sath nahi rah sakta tha isliye maine thoda sharmate hue kaha...
"mam, shayad aap bhool rahi hai meri 6 baje ki train hai "
"oye..kis bhram me jee raha hai, main tere sath nahi balki kisi aur ke sath palang todne wali hoon...ja jakar condom lekar aa aur seedha ek packet lekar aana ,baar-baar condom lene dukan jana mujhe
achchha nahi lagta..."
"sali kutiya "badbadate hue main condom ka ek pura packet lene medical store ki taraf badh gaya....
Update-123

Kisi Medical store me condom kharidane ke liye jane wale sabhi human beings mere khayal se do tarah ke hote hai...ek wo jo ekdum bindas bejhijhak hokar conom le aate hai aur ek wo jo condom kharidate waqt thoda sharmate hai...
main khud ko bindas banane ki har mumkin koshish kar raha tha aur jo line mujhe medical store wale se kahni thi uski maine kayi baar practice bhi kar li thi...lekin na jaane kyun medical store ke paas aakar main sharmane laga, mujhe us medical store wale se condom magne me jhijhak mahsoos ho rahi thi...aisi jhijhak pahli baar kisi medical store se condom kharidne wale ladke ke andar aana badi normal baat hai lekin ye jhijhak tab aur badh jati hai jab aap ,jaha pahli baar condom kharidne ja rahe ho ,waha achanak se bheed badh jaye....un logo ke beech mujhe condom magne me sharam aa rahi thi lekin maine khud ko mazboot kiya aur apni lines teen-char baar revise karke us medical wale ki taraf dekh kar bola...
"bhaiya condom dena to... "
Mera aisa bolna tha ki waha khade sabhi logo ne kuchh der ke liye mujhe dekha aur phhir halki si smile unke hontho par aa gayi....
"kya chahiye aapko..."Medical wale ne mujhse puchha... "condom dena..condom "
"kitna doon ,ek ,do..."
"pura ek packet dena "
ye sunte hee waha khade logo ke hontho par phhir se ek smile chha gayi...waha khade logo ka mujhe dekhkar aise muskurana mujhe pasand nahi aaya aur main chahta tha ki jald se jald condom lu aur yaha se chalta banu....
"kis brand ka chahiye..."medical wale ne ek baar phhir mujhse puchha... "jo sabse achchha ho..."
"Manforce du, chalega..." "daudega...."
"which flavour..."
"koyi sa bhi de de "khisiyate hue maine kaha ,jiske baad medical wale ne satt se condom ka ek packet nikala aur jhatt se mujhe de diya....
.
"kamal hai ,chode koyi aur uski protection ke liye condom lene main dukan jaun... "Medical store se wapas us chay wale ki taraf aate hue main bola, jaha deepika mam cigarette ke challe banakar dhua
,hawa me uda rahi thi....
Wapas aate samay maine door se dekha ki deepika mam kisi se mobile par baat kar rahi thi lekin mujhe apni taraf aata dekh usne hadbadate hue call turant disconnect kar di...deepika mam ki is harkat se main thoda chauka jaroor lekin phhir baat ko hawa me udakar uski taraf badha....
.
"ye lo mam, pura ek packet hai..."condom ka packet dete waqt mujhe phhir se deepika mam dwara mujhe dekhkar call disconnect karna...yaad aa gaya
"thanks Arman dear..."deepika mam ne condom apne bag me dala aur meri taraf dekhkar eka ek muskurane lagi....
"ye bin badal barsat kaise ho rahi hai...bole to is muskan ka kya raaz hai..."
"bas yun hee..."bolte hue deepika mam ne chaywale ko ek aur cigarette with tea ka order diya...jiske baad main kabhi us chay wale ki taraf dekhta to kabhi deepika mam ki taraf....
"ye teesara round hai "
"yah ! I know, abhi to do round aur baki hai..." "sach "
Deepika mam ke order par us chay wale ne chay aur cigarette lakar deepika mam ko diya aur cigarette jalakar deepika mam dhua mere chehre par fekane lagi....deepika mam ka yun baar-baar mere face par cigarette ka dhua chhodne se mere andar bhi cigarette peene ki ichchha jag gayi aur jab mujhse raha nahi gaya to maine kaha...
"ek kash idhar bhi dena..."apna hath deepika mam ki taraf badha kar maine cigarette manga... "sorry ,main apni cigarette kisi aur ke sath share nahi karti..yadi tumhe chahiye to dusari kharid lo..."
"ye niyam kisi aur ke liye bacha kar rakhna..."deepika mam jab mere chehre par cigarette ka dhua chhod rahi thi to maine unke hath se cigarette chheen li aur bola"ek baat puchhu..."
"kya..."meri is harkat par mera khoon kar deni wali nazar se mujhe dekhte hue wo boli...
"jab main wapas yaha aa raha tha to aapne mujhe dekhkar call disconnect kyun kar diya....main aapka husband to hoon nahi jo mujhse apne affair chhupao..."
"haan...."lambi-lambi saanse bharte hue deepika mam boli"tumne sach kaha ,tum mere husband to ho nahi ,jo main tumse apna affair chhipa kar rakhungi, wo mere naye boyfriend ka call tha aur tumhe bura na lage isliye maine turant call disconnect kar diya...."
.
"sali mujhe chutiya banati hai..."usko dekhkar maine man me kaha....
maine aisa jaanbuchkar kaha tha ki" main uska husband to hoon nahi ,jo wo mujhse apne affairs chhipayegi..." taki main uska dimag padh saku, jab shuru-shuru me maine deepika mam se call disconnect karne ke baare me puchha to wo ghabra gayi thi lekin mere dwara affair wali baat chhedne par usne eka ek rahat ki saans li thi aur phhir mujhse boli ki uske boyfriend ka call tha,...aisa bolte waqt koyi bhi deepika mam ko dekhkar ye bata sakta tha ki deepika mam jhooth bol rahi thi,...uska gora chehra laal ho gaya tha ,jab maine usase call disconnect karne ka reason puchha tha...ab jab deepika mam ghabra rahi thi to jaroor koyi ghabrane wali baat usne phone par kisi se ki hogi,aisa maine andaza lagaya aur mujhe dekhkar uska call disconnect karna matlab wo nahi chahti thi ki main uski baat sunu ya phhir ye bhi ho sakta tha ki wo mujhse related hee kisi se baat kar rahi thi, lekin sawal ab ye tha ki kisase
?
.
Abhi tak us chay wale ke dukan me baithkar maine ye gaur kiya tha ki deepika mam adhik se adhik samay tak mujhe yaha par rokne ki koshish kar rahi thi...main jab bhi use waha se chalne ke liye kahta to wo chay wale ko ek aur chay ka order dekar mujhse kahti ki"itni jaldi railway station jakar kya karoge,abhi to sirf 5 baje hai aur waise bhi main tumhe drop karne ja hee rahi hoon na..."
Ek baar to main kuchh der ke liye ye maan bhi leta ki deepika main aise hee kah rahi hai aur main bevajah hee chhoti si baat ko tul de raha du...lekin jabse maine use, mujhe dekhkar call disconnect karne ke baare me puchha tha tab se wo pahle ki tarah normal behave nahi kar rahi thi...wo kuchh ghabrayi hui si lag rahi thi....
"sach sach batao mam ki us waqt tum kisase baat kar rahi thi..."uski taraf jhuk kar maine gambhir hote hue puchha...
"kisi se to nahi, kyun..."
"ab hume chalna chahiye ,5:30 baj chuke hai aur chay wale ki chay bhi khatam ho chuki hai shayad..."bolte hue main khada ho gaya
"baitho na, kuchh der yaha ruk kar baat karte hai..."mera hath pakad kar mujhe baithate hue deepika mam boli...
"had ho gayi ab to "uska hath jhatak kar main gusse se bola"tujhe nahi jana to mat ja..lekin meri 6 baje ki train hai...main nikalta hoon..."
.
"oye ladke sun..."kisi ne peechhe se mera kandha pakad kar kaha.. "kaun..."
"tera baap,peechhe mud..."
Ye sunte hee main gusse se ubalne laga aur turant peechhe muda...peechhe mudkar main kuchh dekhta
,kuchh samajhta ya phhir kuchh kahta usase pahle hee mere mathe par samne se kisi ne jordar prahar kiya aur main wahi apna sar pakad kar baith gaya, jisne bhi mujhe mara tha usne puri timing aur power ke sath mara tha,jisase ki mere kaan me is waqt seetiya baj rahi thi aur pura sar dard ke sath jhanna raha tha...kuchh der tak to main wahi neeche apne sar ko pakad kar baitha raha aur jab samne ki taraf nazar dali to kuchh dikha hee nahi,apni aankho ko ragadkar maine samne dekhne ki ek aur koshish ki lekin nateeza pahle ki tarah tha,mujhe ab bhi kuchh nahi dikh raha tha...
.
"kaun..."badi mushkil se main itna bol paya....
Jiske baad kisi ne mujhe pakad kar uthaya ,mujhe upar us MKL deepika ne uthaya tha, kyunki main uske perfume ki khushaboo ko mahsoos kar sakta tha....
"kaise ho Arman..."mere kandho ko sahlate hue deepika randi ne apna muh khola"tum puchh rahe the na ki maine kisko call kiya tha aur tumhe aata dekh call disconnect kyun ki thi...to suno, maine Gautam ke father ko call karke ye bataya ki uska shikar mere sath hai...maine unhe is dukan ka address bhi bataya aur jab tumhe aate hue dekha to hadbadahat me call disconnect kar di taki tumhe maloom na ho ki main kisase baat kar rahi...ab tum ye bhi samajh gaye hoge ki main tumhe kyun jabarjasti yaha rok rahi thi..."
"50 de BC..."maine kaha... "kya "
"condom tere baap ki dukan se laya hoon kya,chal nikal 50 "deepika mam ki taraf hath badhate hue maine kaha, ab mujhe halka-halka kuchh dikhne laga tha...
"is situation me tum 50 mang rahe ho..." "haan , tu jaldi se 50 de..."
"ye le bheekhari apne 50 "apne purse se ek note nikal kar deepika mam ne mere hath me thama diya...
"ab ek paapi bhi de de..."
main nahi janta ki us samay meri in harkato se deepika aur mujhe marne aaye Gautam ke baap ke aadmi kya soch rahe the,waha aas-paas khade log kya soch rahe the...unka reaction kya tha....kyunki meri aankho ke samne is waqt dhundhla-dhundhla nazara tha aur us dhundhale-dhundhale nazare me kisi ke face ke reaction ko dekh pana mumkin nahi tha...
"lagta hai dimag par padne se asar kuchh jyada ho gaya hai..." "lawda chusegi to sahi ho jayega, le chus na us din ki tarah..."
Main aisi harkat teen vajah se kar raha tha pahla ye ki deepika ka sabke saamne mazak bana saku,dusara mujhe kuchh sochane ke liye thoda time mil raha tha,teesara main is jugad me tha ki kab main thik se dekh paun aur dekhte hee yaha se khisak lu...uske baad deepika ki koyi aawaz nahi aayi aur jald hee mujhe sahi se dikhna bhi shuru ho gaya tha...maine dekha ki mujhe marne ke liye ek nahi..do nahi balki ek achchhi-khasi fauj aayi thi...sala main kohi super hero hoon kya,jo Gautam ke baap ne itne aadmiyo ko bhej diya
"yadi zinda bach gaya to tera jeena haram kar dunga deepika randi, apni chut aur gand me meri ye warning bachchadani tak thus le..."scooty ke paas deepika ko khada dekh kar maine kaha...
"pahle zinda bach to sahi, chutiye..."
Update-124

"ghar jakar upar wale se yahi dua karna ki main aaj zinda na bachu..."deepika se main bola"kyunki yadi main bhoole se bhi zinda bach gaya,yadi bhoole se bhi meri aankh dobara khul gayi...yadi bhoole se bhi main dobara kabhi bhi college aaya to tu kisi ko muh dikhane ke layak nahi rahegi aur tu zindagi bhar yahi sochegi ki us din main Arman ke khilaf kyun gayi..."
"achchha, pair kabra me hai lekin phhir bhu duniya dekhne ki baat kar raha hai..."muskurate hue
deepika mam ne mujhe dekha aur ek flying kiss dekar waha se chali gayi....
mujhe lakar yaha fasane wali to chali gayi thi ,ab main waha akela bacha tha...maine aas-paas khade logo ko dekha ,wo sab waha khade mujhe dekh to rahe the,lekin meri help karne ke liye unme se koyi bhi aage nahi aaya....khair ye koyi buri baat nahi kyunki agar unki jagah main hota to main bhi wahi karta,jo is waqt waha khade log kar rahe the....
maine ek nazar mujhe marne aaye gundo par dali aur dekhte hee dahshat me aa gaya...mujhe kaise bhi karke waha se bhagna tha, lekin jisne mere sar me kuchh der pahle kaskar hamla kiya tha use main aise hee nahi chhodne wala tha...tabhi mere galo par kuchh mahsoos hua aur maine apne hath se apne gal ko sahlaya to maloom chala ki mere sar par kuchh der pahle jo rod pada tha uski vajah se bleeding shuru ho gaya hai....maine apne dusare hath se chehre aur sar ko sahlaya aur jab mere dono hath meri aankho ke samne aaye to unpar ek taza khoon ki parat jami hui thi, sahasa mera khoon mere mathe se hote hue meri aankho tak pahucha.....jiske turant baad maine decide kiya ki mujhe ab karna kya hai....Gautam ke baap ke gunde koyi filmi gunde nahi the jo ek-ek karke mujhse ladne aate ,wo sab ek sath meri taraf badhe....kuchh der pahle jisne mere sar par rod mara tha uske hath me wo rod ab bhi mauzood tha ,jise mazbooti se pakde hue wo meri taraf badh raha tha....
"tu to gaya aaj coma me..."chaywale ki dukan se maine chay ki ketali uthakar seedha uske sar par jor se de mara jiske hath me mere khoon se sana lohe ka rod tha....
"aaayyyiii...maro MC ko.."karahte hue usne apne sathiyo se kaha....
.
us haramkhor ke sar ko chay ki ketali se fodne ke baad main peechhe muda aur apni rooh ki puri taqat lagakar waha se bhagne laga ,bhag to wo bhi mere peechhe rahe the lekin meri raftaar aur unki raftaar me is samay khargosh aur kachhuye ke daud ke barabar fasala tha...sale mote bhainse
"aa jao ladduo , tum logo ko shayad pata nahi ki maine paida hone ke baad chalna nahi direct daudna shuru kiya tha,is khel me to tumhara baap bhi mujhe nahi hara sakta..."unki taraf palatkar maine un sabka mazak udaya aur phhir se tez raftaar me daudane laga.....
Gautam ke baap ke gundo ki lagbhag aadhi fauj peechhe rah gayi thi aur jo bache hue aadhi fauj mera peechha kar rahi thi ,unki halat bhi marne ki tarah thi....ab mujhe is bhag-daud me maza aa raha tha kyunki bhagte waqt beech-beech me main ruk jata aur peechhe mudkar un gundo ko maa-bahan ki galiya deta,jisase wo phhir se mere peechhe bhagne lagte....isi bhagam-bhag ke beech un gundo me se kuchh zameen par dharashayi ho gaye to kuchh jaha the wahi kisi chiz ka sahara lekar khade ho gaye...ab mere peechhe sirf 4-5 gunde hee the....bhagte hue main ek patli gali me ghusa aur bade se ghar ki deewar par khud ko tika kar aaram karne laga....lekin jo 4-5 log mere peechhe pade the wo bhi hanfte hue waha pahuch gaye jiske baad maine us ghar ka gol-gol round lagana shuru kar diya aur baki bache un 4-5 logo ko bhi lagbhag adhmara sa kar diya.....
"usain bolt ko janta hai..."unme se ek ke paas jakar maine puchha, kyunki mujhe maloom tha ki wo jab khud ko nahi sambhal pa rahe hai to mujhpar kya khak hamla karenge...
"nahi ,kaun usen balat...hhhhh..."ek ne hafte hue kaha
"BC, yadi tu haan me jawab deta to solid dialogue marta...anpadh sale.." "yeeeee...."wo mari hui aawaz me cheekha
"chal be ,side chal..."usko zameen par girate hue main waha se khisak liya.....
.
"ye sahi jagah hai...yaha thoda aaram kar leta hoon..."apne sar par hath phhirate hue maine khud se kaha , bleeding ruk chuki thi aur main ab tak hosh me tha...jisase mujhe rahat mili ,lekin sar ab bhi rod ke jordar prahar se dukh raha tha....main is waqt ek chhote se ground me tha,jaha kuchh ladke cricket khel
rahe the....
"pani hai kya...pani"unke paas pahuch kar maine unse pani manga...
pahle to wo ladke mujhe dekhkar ghabra gaye aur ek dusare ka muh takne lage...lekin baad me unme se ek ne thode door par rakha apna bag uthaya aur pani ka ek botal mujhe thama diya...
"thanks bhai..."lambi-lambi saanse bharte hue maine uske hath se botal le li aur botal ka thakkan khol kar shuru me pani ke kuchh ghoot apne gale se neeche utara aur phhir baad me baki bache pani se apna face saaf karne laga....mere sar par kayi jagah khoon balo se chipak gaya tha aur maine jab apne sar par pani dala to mera pura chehra khoon se san gaya...mere sar me jis jagah rod padi thi waha jab mera hath gaya to joro ka dard hua ,jiske baad maine turant apna hath waha se hata liya aur khoon se sani shirt utar kar wahi ground me fek di....
.
maine ek baar phhir cricket khel rahe un ladko ka shukriya ada kiya aur waha se door jaha baithane ka intezaam tha udhar chal pada....rod mujhe lagbhag 15-20 minute pahle pada tha lekin uska asar ab ho raha tha. ground par chalte samay achanak hee meri aankho ke samne dhundhalapan chhane laga aur thodi door paidal chalne ke baad mere hath-pair bhi jawab dene lage...main ladkhadane laga tha , kayi baar to zameen par bhi gira...lekin jaise-taise main us jagah pahuch hee gaya jaha baithane ka intezaam kiya gaya tha.....
"hello ,Amar bhai...main Arman...Arman bol raha hoon,bahut bada panga ho gaya hai mere sath...Gautam ke baap ke aadmiyo ne railway station jate waqt mujhpar achanak attack kiya aur main badi mushkil se unhe chakma dekar idhar ek ground par pahucha hoon...aap turant idhar aa jao, aur haan sath me jitne ho sake utne ladko ko bhi le aana...."ground ka address batate hue maine Amar se phone par kaha...
"aaj aaya hai beta line par, ab to tu gaya....main Amar nahi Naushad bol raha hoon,wo kya hai na beta ki Amar ka mobile is waqt mere paas hai....tune sabse badi galti ki Amar ko phone laga kar aur usase bhi badi galti ki mujhe us jagah ka address batakar jaha tu abhi geedad ki tarah chhipa hua hai...tu to gaya beta kaam se, tujhe mujhse panga nahi lena chahiye tha..."
"sorry for that day, i need help..."apni bachi kuchi energy waste karte hue main bola... "*** chuda BC..."
"hello....hello...hel...."
Mera dus hazar ka mobile mere hath se chhut kar neeche gir gaya, ab meri zuban thakne lagi thi,hath- pair ne kaam karna band kar diya tha...main khud ke pairo par khada hona to door apne sharir ke kisi hisse ko thik se hila tak nahi pa raha tha...jaise-jaise suraj dhal raha tha waise-waise ek ghana andhera meri aankho ke samne failta ja raha tha....main kisi ko aawaz dena chahta tha, main kisi ko madad ke liye pukarna chahta tha...lekin na to waha is waqt koyi tha aur na hee mujhme kisi ko aawaz dene ki taqat bachi thi...ground par cricket khelne wale ladke kab ke apne-apne ghar ja chuke the...sale madarchod, kyunki yadi kabhi mere samne aise khoon se sana koyi vyakti pada hota to main uski madad jaroor karta, itni insaniyat to ab bhi baki thi mujhme ki main use hospital tak pahucha deta ya phhir mobile se 108 dail karke ye khabar to de hee deta ki yaha ek insan marne ki kagar par hai...main Arman ,umra 19 saal...main bhale hee kisi ke armano ki fikra nahi karta lekin kisi ke jaan ki kadra karna mujhe aata hai nahi to ab tak Varun ,mujhpar fir karne wale first year ke wo do ladke aur Gautam ,aaj is duniya me nahi hote.........
Update-125
main Arman,umra 19 saal...main bhale hee kisi ke armano ki fikra nahi karta lekin kisi ke jaan ki kadra karna mujhe aata hai nahi to ab tak Varun ,mujhpar fir karne wale first year ke wo do ladke aur Gautam
,aaj is duniya me nahi hote.........
.
Mujhe us waqt nahi pata tha ki aaj jo meri aankhe band hongi to phhir kab khulegi...khelegi bhi ya nahi
,mujhe ispar bhi sandeh tha...jaise-jaise raat ka pahra badh raha tha mujhe thand lagni shuru ho gayi thi lekin na to main apni dono hatheliyo ko ragad kar garmi ka ahsaas kar sakta tha aur na hee kisi ko madad ke liye aawaz de sakta tha...thak-haar kar jordar thand se thithurte hue maine apni aankhe moond li ,tab mujhe mere ateet ki kitab ke kayi panne yaad aane lage...
mujhe ab bhi yaad hai ek baar jab mujhe joro ka bukhar hua tha to kaise pura ghar meri dekh bhal me bhida hua tha...tab mujhe jo bhi pasand hota main wo mangta aur meri farmaish puri kar di jati thi...maine kayi baar thik hote hue bhi aisa natak kiya,jaise main ab bas marne hee wala hoon aur gharwalo se ye kahta ki mujhe ye chahiye .
mujhe ab bhi yaad hai ki jab meri tabiyat kharab thi to mera bada bhai ghanto mere samne baithkar mujhe latest news sunata rahta ,jisme mujhe ratti bhar bhi interest nahi tha aur jab main apne bade bhai ki news sunkar jamhayi marne lagta to wo gudguda kar meri sari neend bhaga deta tha.....
.
"dhoondho sale ko,usne phone karke isi ground ka address diya tha..."
is aawaz ne mujhe mere ateet ki kitab se wapas lakar vartman me la patka,jaha mera pura sharir lahu- luhan hokar pada hua tha...maine aawaz ki taraf nazar daudayi to paya ki kuchh log hatho me tourch liye ground ke andar dakhil hue hai...waise to mera sar bahut joro se dard kar raha tha ,lekin maine itna andaza to laga liya tha ki ye log wahi gunde hai aur ye yaha mujhe taalash rahe hai....
.
"Naushad ne sach me inhe bata diya, yadi aaj zinda bach gaya to sabse pahle Naushad ko ragdunga baad me deepika ko...."unhe apni taraf aata dekh maine socha.
jaise -jaise wo gunde mere karib aa rahe the mujhme thodi bahut taqat aane lagi thi..maine apni aankhe idhar udhar hilayi to maloom chala ki mujhse thodi door par ek bada sa patthar rakha hua ,jiske peechhe yadi main chhip jaun to zinda bach sakta hoon....zameen par ghisat-ghisat kar jab main us patthar ki taraf ja raha tha to mere andar sirf ek hee khayal tha ki sabse pahle main Naushad ki khatiya khadi karunga aur phhir deepia randi ko college se bahar nikal fekunga....mujhe in dono par hee bahut jyada gussa aa raha tha kyunki deepika mam ne mujhe is lafde me fansaya aur jab main isase bach gaya to Naushad ne aakar mujhe wapas fansa diya.....
.
Aakhir kar main us bade se patthar tak pahuch hee gaya ,wo gunde tourch lekar us patthar se thodi door tak aaye aur phhir chale gaye, unhe waha se jata dekh maine rahat ki saans li lekin mujhe ye nahi pata tha ki halat abhi aur badtar hone wale hai....maine un gundo ko jata dekh sukoon ki saans to li lekin main un gundo me shamil us ek ko nahi dekh paya jo andhere me apni tourch band kiye thik usi pattar ke upar
khada tha ,jiski oolat me main leta hua tha....mujhe iska ahsaas tak nahi hua ki ek shaks thik mere upar hai. Uske upar hone ka ahasas mujhe tab hua jab wo koodkar mere samne aaya....usne hath me mujhe marne ke liye hockey stick type ka kuchh pakad rakha tha ,jise usne pahle pahal mere gaal me halke se touch kiya aur phhir mere sar me de mara.....is baar bhi dimag puri tarah jhanna gaya aur ek tej dard mere sar me utha..uske baad wo nahi ruka aur non-stop mere hath-pair...sar, pet ,seene me hamla karta raha....kuchh der baad uske sathi bhi waha pahuch gaye aur wo sab bhi mujh par ek sath baras pade.... mujhe bahut jyada dard ho raha tha, main dard se cheekhna chahta tha...lekin aawaz thi ki gale se upar nahi aa rahi thi...mere sharir ke har ek ang ko buri tarah se peeta ja raha tha bina iski parvaah kiye ki main mar bhi sakta hoon...wo mujhe tab bhi marte rahe jab mujhe hosh tha aur shayad mujhe unhone tab bhi bahut mara hoga jab main behosh ho chuka tha....
.
mujhe nahi pata ki main kaise bacha, mujhe kisne bachaya,mujhe kisne hospital me admit kiya...jab,mujhe hosh aaya to main nahi janta tha ki maine aaj kitne dino baad apni aankhe kholi hai.....maine to us din pakka soch liya tha ki jab mujhe hosh aayega to main yamraj ke samne khada hounga aur do devdoot mujhe swarg me le jaane ke liye mera intezaar kar rahe honge...us din ground par maine ye bhi soch liya tha ki swarg me jakar sabse pahle main swarg ke raja Indra ki maal ko set karunga lekin mere in armano par pani tab phhir gaya jab maine dekha ki main ek hospital me hoon aur mere sharir ke kayi hisso me na jaane kaisi-kaisi bhayanak machines lagi hui hai ,jo meri har movement par alag-alag aawaz kar rahi thi.....
.
"sorry swarg walo..."upar dekhkar maine kaha"tum logo se baad me milunga ,lekin udas mat hona kyunki main jald hee kuchh logo ko swarg bhejne wala hoon...."