Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#88
Chapter-33: Desire of Kiss
Update-115
.
Waise Mujhe beemar bankar principal ke office me aane ki koyi jaroorat nahi thi ,kyunki humara hostel warden already humare paksha me gawahi dene ke liye taiyar tha...jiske baad koyi kuchh nahi kar sakta tha, lekin maine sar me tel aur balo me kanghi isliye nahi kiya kyunki main dekhna chahta tha ki yadi Sidar ka hath mere sar par nahi hota to kya main tab bhi khud ko bachane me kamyab hota, main ye experiment karna chahta tha ki yadi Sidar ka power mere sath nahi hota to kya main tab bhi khud ko powerful sabit kar pata ya nahi, ye experiment thoda hatkar tha aur sath me humare college ki laboratory me hone wale boring experiment se jyada interested bhi tha, so i did....lekin mera ye experiment tab fail ho gaya jab mere side wali chair me three star ki vardi pahne hue us security officerwale ne meri taraf jhuk kar kaha...
"mere kandhe par three star yun hee nahi lagi hai mister....mujhe haqiqat ki khansi aur dikhawe me farak karna bahut acchhi tarah aata hai,tune kya mujhe apne college ka teacher samajh rakha jise tu jab chahe tab bewkoof bana de...huh"
.
Us security officerwale ke aisa kahte hee meri saans mano ek pal ke liye rook gayi thi,main uski taraf ektak dekhe ja raha tha...
"Paseena saaf kar lo..."us three star wale ne ab principal ki taraf dekhte hue kaha"is par un dono ladko ke dosto ne report ki hai aur report ke mutabik isne first year ke dono ladko ko hostel ke paas wale ground par le jakar buri tarah se mara,peeta...jiski vajah ye ho sakti hai ki unhone kuchh dino pahle hee ispar F.I.R. Kiya tha,jiska badla isne unhe buri tarah se markar liya...ise humare sath security officer station chalna hoga....tu to gaya beta lambe se"
"main to pareshan ho gaya hoon is ladke se...main ek kaam karta hoon,iske gharwalo ko khabar karke kah deta hoon ki iski T.C. College se le jaye aur ise security officer station se le jaye..."Principal sir ne meri taraf dekhkar gusse se kaha aur bahar khade peon ko andar bulaya
Jab peon Principal ke cabin me aaya to Principal sir ne use mere admission form se mere ghar ka contact number lane ko kaha...
Meri khansi ye sab dekhkar ek dum thik ho chuki thi,ab aankh bhi laal se safed ho gayi thi aur mera pura sharir paseene se bheeg chuka tha aur yahi wo waqt tha jab Sidar ke power ka use karke khud ko bachaya ja sakta tha...
.
"Plan no. 2 activated...."maine khud se kaha aur phhir apne chehre par aaye paseene ko saaf karke bola"Sir,aap bevajah mere gharwalo ko pareshan kar rahe hai...maine kuchh kiya hee nahi hai ,main to kal recess ke baad se hee hostel me kambal oodhkar soya hua tha..."
"sach me "mujhpar tirachhi nazar marte hue three star wale ne puchha....
"yadi aapko yakin na ho to humare hostel warden se puchh lijiye...unhi ke room se main fever ki tablet aur zandu balm lekar gaya tha...jiske baad main apne room me jakar so gaya aur raat ke 9 baje meri neend warden ke uthane se khuli...jo us samay hostel ka round laga rahe the..."
Ye sunte hee Principal sir ne samne rakhe phone se hostel ke phone par ghanti mari,jiske baad humare warden ne unhe wahi sab bataya jo maine abhi-abhi bataya tha....
.
"sorry ,par Arman sach kah raha hai aur meri authority mujhe ijjajat nahi deti ki main kisi student ko

bevajah pareshan karu...."Principal sir ne apna chashma table par rakhte hue security officerwale se kaha aur phhir wapas apne chashme ko aankho me fit karte hue ek A-4 size ke paper me kuchh likh kar,college ke seal ka thappa lagaya aur us kagaj ko security officerwale ke hath me saunp diya......
uske baad security officerwale ne kuchh der mujhe dekha aur wo kagaj lekar waha se chalta bana....
.
Principal ke office se bahar nikal kar maine ek mast lambi saans li aur thanda pani peekar class ki taraf khushi se kudate-fandate gaya...is samay dammo rani ki class chal rahi thi ,pahle to usne mujhe andar aane ki permission nahi di lekin jab maine use bataya ki mujhe principal sir ne ek urgent kaam se bulaya tha to wo maan gayi aur mujhe andar aane ke liye....
"BC, meri jagah par ise kyun baithaya...ab kya main zameen par baithu..."ladkiyo ke peechhe wali bench par 7 ladko ko baithe dekhkar main dheere se chillaya aur ek side apna pichhwada tika kar baith gaya..... "Arman, aaya samajh me ki answer kaise aaya..."chalti class ke beech me damyanti ne mujhe khada karke puchha....
"sab samajh me aa gaya mam..."(lawda samajh me aaya, mujhe to ye tak nahi maloom ki question kya tha,sali chudi chudai aurat...)
"to phhir samne aakar explain karo..."
"aaj thoda...aannhhhh "jor se khaste hue maine kaha aur phhir rumal nikal kar naak saaf kiya"aaj tabiyat kharab hai mam, kabhi aur explain karunga..."
"ok,sit down..." "thanks "
.
Dammo gayi to dammo ke baad MS ka teacher aa tapka aur bhaka bhak likhwana shuru kar diya, sala ek to dhang se baitha nahi tha upar se wo aise speed me bole ja raha tha jaise ki uske gand me kisi ne lund daal diya ho, bakchod kahi ka.....
"MC, baad me kaun aaya hai...wo uthkar apni jagah jaye..."frustation me main bhadak utha.... "koyi kahi nahi jayega...jisko problem ho wo dusare bench me jakar baithe..."
"sun be ,yadi aisa hai to bhool ja phhir ki Divya se main teri setting karwaunga..." "sorry yar,tu to bura maan gaya..."
"bura wo manta hai jiske paas bur hota hai aur mere paas bur nahi lund hai "
.
Meri ye dhamki asar kar gayi aur Arun ne turant waha se 3 ladko ko aage bhaga diya ,ab waha sabse peechhe wali bench par sirf main,Arun,Saurabh aur Sulabh baithe the...MS wala teacher ab bhi bhaka bhak speed se likhaye pada tha bina is baat ki parvaah kiye ki aadhe se adhik laundo-laundiyo ne likhna band kar diya hai...lekin hum charo ab bhi likh rahe the aur sath-sath me bakchodi bhi kar rahe thi....
.
"beta mujhe kuchh do,warna main sabko bata dunga ki un dono ko tum logo ne hee thoka hai..."humari bhaka bhak likhayi ke beech me Sulabh bola...
"bol kya chahiye tujhe...car,bunglow,damyanti ki chut...tu bol kya chahiye tujhe...tu kahe to tere liye chand-sitare tod kar le aaun "
"rahne de ,tu bas teen din ke canteen ka bill de dena Arun...aur tu Saurabh,tu baki ke teen din ka bill de dena...."
"hum dono apne lund par hath rakh kar tujhe vachan dete hai..."Arun aur Saurabh ne ek sath kaha aur apna ek-ek hath apne lund par rakh liya...
"aur tu Arman..."Sulabh ki nazare ab mujhpar jam gayi...

"main tujhe humari agli fight me shamil karunga...."
"ye hui baat,tu hee hai mera sachcha mitra...i love you "
"i love you too...chal ek pappi de "mazak karte hue main Sulabh ki taraf badha hee tha ki MS wale sir ki nazar hum par pad gayi aur wo jor se cheekha"kya yar,ye tum log kya kar rahe ho...besharmi ki bhi had hoti hai..."
"kuchh nahi sir,wo Sulabh ke aankh me kuchh ghus gaya tha,bas use nikal raha tha..." bina deri kiye main jhatpat bol utha...
"mujhe mat sikha tu...aur yadi agli baar se aisi harkat ki to maar-maar ke bharta bana dunga...samjha..." "sab samajh gaya sir..."
.
"abey usne hum dono ko gay to nahi samajh liya..."kuchh der baad Sulabh ne puchha... "yahi to pyar hai pagle aur waise bhi wo humara kya ukhad lega..."
.
Uske baad jab tak college chala Arun meri jaan khata raha wo mujhse kayi baar puchh chuka tha ki main uski,Divya se setting kab karwa raha hoon...jawab me maine use kuchh der rukne ke liye kaha aur jab college off hua to bahar nikalte waqt maine Arun ka mobile manga....
"ab kya karega mere mobile ka..."
"Sidar ka number off aa raha hai ,ek messege kar deta hoon ki sab kuchh control me hai..." "to tera mobile kaha gaya..."
"messege pack nahi hai unkil..."
Arun se maine kuchh der ke liye mobile liya aur phhir use wapas kar diya....jab hum dono college se hostel ki taraf aa rahe the tabhi Arun achanak apne mobile ko dekhte hue khushi se road par hee gir pada....
"mirgi maar gayi kya be "
"abey Arman...ye dekh..."Arun ne road par lete-lete apna mobile meri taraf badhaya ,maine uske hath se mobile liya aur mobile ki screen par nazar dali....
"i love you too....Sender:-Divya..."padhte hue maine Arun ko hath dekar uthaya...
Ab Arun ki chaal hee badal gayi thi...jaha har din college ke baad humari halat kharab ho jati thi,wahi aaj Divya ke ek messege ne Arun ke andar energy la di thi...wo is samay us chhote bachche ki tarah khush ho raha tha,jise uska man pasand khilauna lakar de diya gaya ho....wo bar-bar Divya ke messege ko padhta aur beech-beech me mobile ki screen ko chumne lagta...to kabhi apne mobile ko seene se lagakar Divya ka name lene lagta....pure raste bhar Arun ne aisi harkate karke mujhe pakaya aur jab hum hostel ke samne aa gaye to wo rook gaya....
"ab kya hua be..."
"dekha be,apun ki smartness ke aage Divya flat ho gayi...usne mujhe khud propose kiya...ab manta hai na ki main tujhse aur Saurabh se jyada handsome hoon...lekin mujhe ek baat samajh nahi ki isne i love you TOO ,kyun likhkar bheja..."
"wo isliye mere lallu dost kyunki tune use I Love You ka messege likh kar bheja tha isliye usne i love you too ,likhkar reply kiya "
Ye sunkar Arun phhir se zameen me girne hee wala tha ki maine use pakad liya, "maine kab kiya be use messege..."
"tune nahi,maine kiya tha messege...tere mobile se uske number par...kuchh yaad aaya ya flashback me le jaun..."

"bose dk ,tune mujhse kaha tha ki tu Sidar ko messege karega " "chal bol papa "





Update-116
"tune nahi,maine kiya tha messege...tere mobile se uske number par...kuchh yaad aaya ya flashback me le jaun..."


"bose dk ,tune mujhse kaha tha ki tu Sidar ko messege "


"chal bol "
.
Main aaj tak yahi sochta tha ki meri theory hamesha ladkiyo ke mamle me fail hoti hai lekin us din mujhe ye bhi maloom chal gaya ki Arun bhi un chand great humans me shamil hai...jinpar mera sixth sense kabhi-kabhi fail ho sakta hai....mujhe ye ummid thi ki jab Arun ko mere dwara Divya ke mobile par i love you ,wale messege ka pata hoga to wo mujhe gale lagayega aur bolega ki"Arman kal tere canteen ka bill main bharunga" ya phhir aaj raat ke daru ka pura paisa wo dega....lekin sala yaha to meri sari soch ka hee kriyakaram ho gaya....main chup chap hostel ke andar apne room ki taraf ja raha tha aur Arun mujhe galiya bake ja raha tha...
.
"abey lawde,tera dimag ghas charne gaya hai kya,..yadi Divya i love you,wala messege apne bhai ya apne baap ko dikha deti to mera kya haal hota...yadi usne bhoole se bhi wo messege humare principal ko dikha deti to aaj hee main college-nikala ghosit ho jata...."
"tu itna bhadak kyun raha hai,aisa kuchh bhi to nahi hua na..."
Itna achchha kaam karne ke baad Arun ki galiya sunne se gussa mujhe bhi aa raha tha, Arun ki body ki tarah mere bhi body ka temperature badh raha tha...lekin kaise bhi karke maine apne body temperature ko 25°C par maintain karke rakha hua tha kyunki wo apun ka solid dosit tha....
"aisa kuchh bhi nahi hua ka kya matlab be...tu hamesha chutiya rahega..baklund kahi ka...ullu sale,kutte,kameene..."mujhe dhakka dete hue Arun ne kaha...
Arun ka ye dhakka seedhe mere left side me asar kiya aur maine apne bistar ke neeche rakha hua hockey stick uthaya aur bola...
"sun be jhandu ,yadi aage ek shabd bhi bola to ye danda tere gand me ghusakar muh se nikalunga...yadi gand me itna hee dam tha to phhir mujhe kyun bola ki main tujhe Divya ki chummi dilaun, ja ke khud

kyun nahi maang li...ek to sala ehsaan karu upar se gali bhi khaun...sahi hai beta,bilkul sahi hai..isich ko kahte hai hawan karte hue hath jalna....chal fut idhar se abhi aur yadi apne sale Gautam aur apne Sasur ka tujhe itna hee dar tha to phhir dimag se paidal us Divya se ishq hee kyun ladaya...beta ye pyar- mohabbat wo meethi kheer nahi,jise ghar me teri mummy samne wali table par rakhkar kahti hai ki kha le beta,kheer bahut meethi bani hai jiske baad tu apna muh faadkar sara ka sara nigal jata hai aur dakar bhi nahi marta...ye pyar-mohabbat wo meethi kheer hai jise khane ke baad bande ki jeebh se lekar kaleja aur aakhir me gand tak jal jati hai...isliye yadi guts hai tabhi maal ke peechhe pado,warna unhe peechhe chhod do...aur tune kya bola mujhe...."
"maaf kar dijiye jahapanah aur meri fadna band kariye...aap kahe to main Ganga nadi ke beech me jakar dono kaan pakad kar uthak-baithak laga lunga...."
"ab aaya na line par..." "ab aage kya karu..."
"facebook chala aur usko apni adat dalwa de...taki jab tu usase ek pal ke liye bhi door rahe to wo tadap jaye,tujhse baat karne ko..wo bechain ho uthe tujh jaise badsurat ko dekhne ke liye....phhir dekhna wo chummi bhi degi aur chusegi bhi..."
"kya chusegi "
"honth...honth chusegi,waise tune kya socha tha " "maine bhi honth hee socha tha "
"bas mere bataye raste par chalte rah...kuchh hee dino me wo maze se legi bhi aur maze se degi bhi..." "ye kya bak raha hai be kutte..."
"mera matlab to gift se tha,ab bhai jab tum dono couple ho hee gaye ho to ek-dusare ko gift to doge hee na aur beta jara sambhal kar use daru mat de dena gift me..."
"oh! Samajh gaya..."
"bas tu mere nakshe kadam par chal,Divya apne aage se bhi legi aur peechhe se bhi legi..." "mujhe maloom hai tere kahne ka matlab gift hai..."
"galat...mera kahne ka matlab Lund tha,matlab ki wo aage bhi lund legi aur pichhwade me bhi lund legi.. "ye bolte hee main turant waha se kalti ho gaya aur Arun hockey stick lekar
mujhe daudane laga......
.
.
"Arman,yahi par rok de yar...abki baar teesara call aaya hai office se,main chalta hoon..."Varun apne vibrate hote mobile ko hath me pakad kar bola...Varun taiyar to pahle se tha isliye usne ek minute me shoe pahne aur flat se nikal gaya.....
Varun ke jane ke baad mere hontho par ek muskan thi...ye muskan us waqt ki thi ,jab Arun mujhe dhamkiya dete hue pure hostel me dauda raha tha...sala wo bhi kya pal the,..kahne ko to humara hostel kisi five star hotel ki tarah alishan to nahi tha...lekin humare liye humara hostel kisi five star hotel se kam bhi nahi tha...hostel ki bejaan si deewaro,darwajo jin par hum aksar pen se drawing aur college ke teachers ke cartoon banaya karte the ,un bhaddi si deewaro se hume ek lagav sa ho gaya tha...aur aaj phhir dil kar raha tha ki un bejaan si bhaddi deewaro ke beech rahu, aaj phhir dil kar raha tha ki apne teachers ke cartoon un bejaan si deewaro par banau aur hostel ke bathroom me jakar sperm donate karu...par ye mumkin nahi tha aur shayad samay ka chakra hee ek aisi ghatna thi,jiske samne maine haar mani thi....
.

"abey oye muh band kar le..." mujhe jor se hilate hue Arun bola"isi duniya me hai na ya phhir kisi alien ke sath dusare planet ki sair kar raha hai..."
"main to apne swarg ki sair kar raha tha aur tune mujhe waha se kheench liya...sale tu hamesha mere khas pal ke beech me hee kyun aakar tapak padta hai..."
"wo isliye kyunki maine teri email id check ki aur Nisha ke sare messege padh dale..." "ye tune kya kiya..."
"abey react to aise raha hai,jaise maine teri gand maar li ho..." "lekin phhir bhi tujhe aisa nahi karna chahiye tha...ye galat hai.."
"kuchh galat nahi hai beedu aur jakar inbox check kar 40 minutes pahle Nisha darling ne messege bheja hai..."
"sach...!"waha se turant uthkar main computer ke paas pahucha aur apna inbox check kiya...Nisha ne aaj ek messege bheja tha lekin wo unread messege ke option me nahi tha jiska saaf-saaf shudh matlab tha ki mere vishudh dost ne Nisha ka ye messege bhi padh liya hai....
"dusaro ke messege padhne ki teri aadat abhi tak gayi nahi..."bolte hue maine Nisha ka messege open kiya...
Nisha ne apne messege me likha tha ki uski condition ab aur bhi kharab ho chuki hai...ab yadi uski koyi friend bhi milne aati hai to use ,Nisha se milne nahi diya jata...uske baap ne ghar ke bahar do guards aur lagwa diye hai jisase uska nikalna ab to namumkin hee hai...Nisha ne apne messege me likha tha ki use raat ko jabarjasti jaldi sula diya jata hai...yadi wo neend na aane ka bahana karti hai to uske maa-baap use neend ki goliya khane ki salah dete hai aur uske baad sabse buri khabar Nisha ne apne messege me ye di thi ki uske ghar ke bahar chaukidari karne wale gurad ne uske baap ko bata diya hai ki Nisha ka ek ladke ke sath chakkar hai...lekin wo guard mera name nahi janta isliye filhal mujhe chinta karne ki koyi jaroorat nahi hai...Nisha ne mujhe salah bhi di thi ki main uke ghar ke aas-paas bhi nazar na aaun,warna wo guard mujhe pahchan lega.....at the end, Nisha ne aakhir is messege ke jariye ek khushkhabari de hee di,wo khushkhabari ye thi ki abhi se thik ek ghante baad Nisha online rahegi....
.
"abhi tak kya kam musibat thi ,jo teri us laila ke guard ne beech me entry maar di..."mere peechhe se Arun bola...
Main peechhe muda to dekha ki Arun apne ghutno me hath rakhe jhuk kar computer screen me nazar gadaye hue tha...
"abey tu mera messege kyun padh raha hai ...chal bhag yaha se..." "ek shart par..."
"bol.."
"tu ghar wapas chalega..."
"rahne de,koyi jaroorat nahi...tu mera messege dekh sakta hai..."badbadate hue maine kaha...
.
"hi...how are you"thik ek ghante baad Nisha ka messege aaya...jise dekhkar mera seena khushi ke mare 5 inch jyada phhool gaya...
"accident ho gaya hai mera aur main jald hee aids ki beemari se marne wala " "aisa kyun bol rahe ho..."
"mujhe ye hi...bye..how are you...jaise sentences se nafrat hai.." "kkk...mera last messege mila ,jo maine aaj subah kiya tha..." "haan mil gaya..."
.

"ab kaha mar gayi..."jab kuchh der tak Nisha ka reply nahi aaya to maine messege send kiya... "yahi hoon,..."
"to phhir itna shant kyun hai..." "maine socha ki tum kuchh bologe..."
"jyada mat soch...aur waise mujhe sach me kuchh kahna tha..." "kya..."
"chummi degi "
Maine jaise hee ye likhkar SEND button ko click kiya Arun "Yesss" bolte hue jor se hawa me kuda... "tu kyun khush ho raha hai be "
"kuchh nahi yar,bhai hai tu mera..."
.
"humare milne ka koyi chance nahi Arman "
Nisha ke is reply par Maine bistar se Varun ka goggles uthaya,jo shayad wo apne sath le jana bhool gaya tha aur use pahankar type kiya"well,i have a plan "













Update-117
Nisha ke is reply par Maine bistar se Varun ka goggles uthaya,jo shayad wo apne sath le jana bhool gaya tha aur goggles pahankar type kiya"well,i have a tere ghar me neend ki kayi goliya hongi...right" "wrong...kal hee khatam ho gayi.."
"dayan kahi ki...koyi expired medicine hai..." "haan...lekin ye tum kyun puchh rahe ho.."
"kyunki main tumse ab Nagpur ke best hospital me milne wala hoon..."
"main koyi expiry tablets ya medicine nahi lene wali...samjhe..dimag kharab hai kya tumhara"
"tere dimag ka fuze ud gaya hai kya...expiry medicine tujhe nahi tere baap ko...sorry uncle ji ko khilani hai...taki unki tabiyat kharab ho aur jab wo hospital me admit honge tab apun dono ka taka bhidega...kya bolti ,solid idea hai na..."
"ekdum bakwas idea hai...tum aisa soch bhi kaise sakte ho...."
" dimag se "jamhayi lete hue maine aage type kiya"are tension mat le..aisi goli,dawayi se kuchh nahi hota...maine khud par bahut baar experiment kiya hai...."
"aaawwwww...."

"kya aaawwww "
"tumne abhi kaha ki tumne khud par experiment kiya hai..."
"haan, jab bhi exam me mere kam marks aate ya phhir mujhse koyi galti ho jati to gharwalo ki daant se bachne ke liye main yahi karta tha..kyunki main tab kuchh ghanto ke liye beemar ho jata tha..jiske baad koyi kuchh nahi bolta tha...yakin maan uncle ji ka jyada se jyada sar dard karega ya phhir behosh ho jayenge..."
"sach..."
"ab khoon se likh kar du kya.."
"thik hai...lekin mere dad ko medicine dega kaun..."
"main dunga...main tere ghar aaunga aur tere baap se...sorry uncle ji se kahunga ki sasur ji main aapka damad hoon...uske baad main apne sasur ji ke sath khana khaunga aur chupke se medicine unke khane me mila dunga...simple.."
"kya tum sach me aisa karoge, mujhe to ye dangerous lag raha hai...lekin koyi baat nahi ,main tumhare aane ka intejaar karungi..."
.
Nisha ka ye messege padhte hee maine goggles nikal kar bistar par feka aur jor se chillaya"hey bhagwan,tune ladkiyo ko dimag kyun nahi diya...yadi tune inko dimag diya hota to ye hum masoom ladko ka dimag nahi khati...."
Maine gusse me apne sar ke baal bhi noche aur phhir wapas jakar computer ke samne baith gaya... "dekh Nisha...main ab jo bol raha hoon thik waisa hee karna aur please...please...please apna dimag mere is plan me mat lagana sabse pahle to koyi expiry medicine dhoondh aur apne baap...sorry yar, matlab uncle ji ke khane peene me dabi se mila dena aur haan jyada mat daal dena..."
Nisha ke offline hone se pahle maine use apna number bhi de diya aur kaha ki jab uske dad ki tabiyat kharab ho jaye to wo ambulance walo ko call kare then mauka milte hee mere number par call kar de aur usi call ke dauran aage kya karna hai,main use bataunga....
.
"ek baat bata..."jab main computer shut down kiya to Arun bola"tune beech me goggles kyun pahna...video chat to tum dono kar nahi rahe the phhir baba aadam ke jamane ki text chatting me tune goggles kyun pahna..."
"main to tujhe line maar raha tha..wo kya hai ki main tujhe pata kar thokna chahta hoon ...jo kaam main char saal me nahi kar paya ,wo main ab karne wala hoon... Chal chalti kya 11 se 12 ke show me..."ghadi ki taraf dekhte hue main bola"actually apun jab bhi goggles pahnata hai to ek damdar feelings aati hai...mujhe aisa lagta hai jaise ki main kuchh bhi kar sakta..."
"apni gand bhi maar sakta hai "
.
Arun ne khana banaya aur maine khana khaya...ek ghante pahle maine Nisha ko jo plan bataya tha usme risk tha,kyunki yadi kahi medicine ne Nisha ke baap par reaction kar diya to bahut badi dikkat ho sakti thi aur in sabka doshi main hota...mujhe ab bhi yakin nahi ho raha tha ki maine Nisha ke baap ki jaan sirf ek kiss ke liye daanv par laga di thi...khair ye sach tha aur ye karnama karne ka idea mera hee tha isliye main is samay ab apne plan ke back up ke baare me soch raha tha....lekin dimag tha ki future me hone wale hospital ke us scene ki imagination kar raha tha ,jab main aur Nisha
"sala mere ko ab bhi yakin nahi ho rela hai ki maine sirf ek kiss ke liye itna sab kuchh kiya..." "ab kya kar diya be tune...aaja daru piyega..."

"waise to i love daru more than girls...lekin is samay ye formula change karna hai..isliye no daru, do chakhna.."
Arun ko dekhkar aur Nisha ke baap ke baare me sochkar mujhe college ke dino ka mera ek experiment yaad aaya jab maine Arun ke naye shirt aur jeans pahanne ke liye use expiry tablets khila di thi sala subah se sham tak sar pakad kar rota raha tha....
.
"Arman maine dad ko medicine de di hai...wo is samay behosh hai aur mom bahut pareshan hai..." "good...reps added "
"mujhe bahut dar lag raha hai Arman..mujhe ab na jaane kyun aisa lag raha hai ki hume ye nahi karna
chahiye tha..."
"mujhe bhi ab yahi lag raha hai " "kyaaaa...par tumne to kaha tha ki..."
"chal bye..sasur ji ko lekar hospital pahuch ,main bhi udharich milta hoon..."
.
Call disconnect karne ke baad maine Varun ki bike uthayi aur hospital ke liye nikal pada...waise maine Nisha se hospital ka name nahi puchha tha lekin mujhe 101 % maloom tha ki Nisha ka rahis baap Nagpur ke sabse best hospital me admit hoga aur meri ye soch ekdum sahi nikli...
.
Jis room me Nisha ke dad admit the waha ka nazara bilkul jana pahchana tha..jaisa ki aksar hota hai,Nisha ka baap bed par behosh pada tha ,uske hath me glucose ki ek botal sui chhedkar chadhayi gayi thi...aur Nisha apne maa ke sath bed ke aas-paas udas baithi hui thi....
.
"kya haal hai uncle ka..."Nisha ko call karke maine kaha...
Call recieve karne ke baad Nisha mujhe baat karne me thoda hichkicha rahi thi jiski vajah uske paas baithi uski maa thi...
"mom, aapne neeche jakar form bhar diya kya..."call hold me rakh kar Nisha ne apni maa se puchha... "nahi..."
"aap jayiye main yaha baithi hoon..."
.
"Arman tumne bilkul galat kiya...tumhe zara sa bhi andaja hai ki dad ki halat kya hai..wo pichhale do ghante se behosh pade hai..."
"don't worry, main bhagwan hoon ,meri izazat ke bina is duniya ka ek patta bhi nahi hil sakta..." "ye mazak ka waqt nahi hai...waise tum ho kaha"
"bahar khada hoon..."
.
Jab Nisha ki maa lift se neeche chali gayi to main us room ke andar aaya jaha Nisha ke pappa ji bistar par expire ho chuki goli khakar apni neend puri kar rahe the....andar ghuste hee maine darwaja lock kiya aur parde ko khiska diya taki yadi bahar se koyi tapori andar nazar mare to use kuchh na dikhe....
"dad ,jaag jayenge to problem ho jayegi..."jab maine Nisha ko kaskar pakda to wo boli...
"iska bhi jugad hai..."bolte hue maine Nisha ka ek hath pakda aur uske lambe-lambe nakhoon se uske dad ke talwe par kharonch mari...
"sasur ji so rahe hai..."Nisha ke dad ke sharir par koyi hal chal na dekh kar maine kaha aur Nisha ke hontho ko apne hontho se jakad liya...










Update-118
"sasur ji so rahe hai..."Nisha ke dad ke sharir par koyi hal chal na dekh kar maine kaha aur Nisha ke hontho ko apne hontho se jakad liya...
.
Nisha ko kiss karne ke baad maine formality nibhate hue uska haal chal puchha aur wo bhi formality nibhate hue ladkiyo ke ghise pite andaz me boli "i am fine..what about you " jabki main janta tha ki wo in dino kuchh pareshan si hai...Nisha ne ye formality nibhayi ye jante hue bhi ki main sab kuchh janta hoon...us thode se waqt me jab main uske sath tha wo har pal muskurane ka jhootha natak karti rahi...wo mujhe ye show kar rahi thi ki wo bahut khush hai...jabki main uski aankho ko dekh kar hee samajh gaya tha ki wo aisa bartaav sirf mera dil rakhne ke liye kar rahi hai....jab main waha se ja raha tha tab wo bahut khush nazar aa rahi thi, usne mujhpar"bye...take care yourself "jaisa ghisa pita dialogue bhi phhek ke mara...lekin main janta tha ki usne juban se to jane ke liye kah diya...lekin dil se wo nahi chahti thi ki main jaun....wo is waqt andar se kuchh aur...aur bahar se kuchh aur thi...wo ye soch rahi thi ki main uski jhoothi hansi aur uski jhoothi muskan par yakin karke ye maan jaunga ki wo sach me bahut khush hai...jabki wo khud mujhe har din meri email id par apne pareshaniyo ko text form me convert karke mujhe send karti thi....jab baat ekdum najuk situation ki ho to ghisa pita dialogue har kisi ke muh se nikal jata hai...mere bhi muh se nikla...
" thik hai to phhir main chalta hoon...apna khayal rakhna aur uncle ka bhi..."Nisha ko maine ek mobile dete hue kaha..."ye mera mobile hai,ise sambhal kar rakh aur ye bata tu mobile rakhti kaha hai jo sasur ji har baar pakad lete hai...mujhse seekh hostel college time me main 3 saal hostel me raha aur teeno saal mobile apne paas rakha lekin mujhe kabhi koyi pakad nahi paya...mere college ke jane mane kayi teachers jo khud ko Sherlock holmes ki aulad samajhte the wo kabhi mere mobile ka deedar nahi kar paye...."
Nisha ko samjha-bujha kar jab main bahar aa hee raha tha ki tabhi meri sasu maa darwaja khol kar andar tapak padi aur mujhe dekh kar wo Nisha ki taraf sawaliya nazaro se dekhne lagi....Sasu maa ki harkato ko dekh kar main samajh gaya ki wo kis uljhan me hai...
"main yaha jhadu marne aaya tha, lekin room pahle se chaka chak hai..ab main chalta hoon..."ye bolkar maine turant waha se kalti mari aur wapas apne flat ki taraf jane laga....
.
Hospital se apne room aate waqt main har pal bas Nisha ke baare me sochta raha ki kitna natak kar rahi thi khush hone ka...phhir mera dhyan Nisha ke baap par gaya jo bed par behosh lete hue the...unki halat dekh kar mujhe thoda kharab laga.
"ye maine kya kiya...sirf ek kiss ke liye Nisha ke baap ki ye halat kar di...mujhe aisa nahi karna chahiye tha...it's too bad "
maine khud ko gali di ,bahut bura bhala kaha ye sochkar ki ab ye khayalat mere dimag se chale jayenge..lekin jaise-jaise waqt beet raha tha main sirf aur sirf Nisha ke dad ke baare me hee soch raha

tha aur ye hona hee tha kyunki mere 1400 gm ke vajan wale dimag ka ye ek side effect tha ki main had se jyada kisi topic par sochta hoon aur had se jyada kisi kaam ko karne ke liye utawala rahta hoon...main kabhi ye sochta hee nahi ki falana kaam mujhse nahi hoga ya falana pareshani main door nahi kar paunga...is samay apne room ki taraf jate hue bhi main Nisha ke baap ke baare me had se jyada soch raha tha...main soch raha tha ki yadi Nisha ka baap thik na hua to .....? Yadi Nisha ke baap ki halat aur nazuk ho gayi to ......?yadi Nisha ka baap expiry meidicine ke reaction ke karan mar gaya to.....?
.
Ye mere sath pahli baar nahi ho raha tha jab main itna aage ki soch raha tha, aisa kayi baar mere sath pahle bhi ho chuka tha...mere ek dost ne jab suicide (A Dead Dream ) kiya tha tab main kayi raat tak bas isiliye nahi so paya tha kyunki mera dimag har waqt bas usi incident ki rat lagaye rahta tha...mere dimag me mera wo mara hua dost bahut dino tak zinda raha aur aksar raat ko wo mujhe mere room ke darwaje ke paas hath me farsa liye khada dikhta tha...
.
Mera brain bhi kitna ghan chakkar tha jisne baat kaha se kaha pahucha di thi...main is topic par aur bhi jyada khoya rahta yadi samne se guzar rahe ek shaks ne mujhe dekhkar chalane ki naseehat na di hoti to..
.
"kaha tha be aur tera mobile kaha hai...kitni der se call kar raha hoon lekin tu koyi responce hee nahi deta..."room ke andar ghuste hee Varun ne puchha...
"Nisha ko dekar aa raha hoon apna mobile..."bina uski taraf dekhe main samne wali table ke paas gaya aur draw kholkar cigarette ki packet nikali...
"sala aaj bahut bhayankar accident ho jata,.."teen-char kash lagatar maar kar maine kaha aur Varun ki taraf dekha....Varun ki taraf dekhte hee cigarette ka jo dhua mere seene me tha wo andar hee rah gaya aur main jor se khasne laga....kyunki is waqt waha Varun ke sath-sath Sonam bhi maujood thi...maine jis hath me cigarette pakad rakhi thi use peechhe karke deewar se ghiskar bujha diya aur cigarette wahi phhek di...
"Arun kaha hai..."Varun ki taraf dekh kar maine puchha...
"balcony ki taraf dekho...tumhara dost pichhale ek ghante se balcony me khada hokar mujhe line de raha hai..."

"tum dono apna karyakram jari rakho...main aata hoon..."bolkar main balcony ki taraf badha ,jaha se Arun taktaki lagaye Sonam ko dekh raha tha...
"palake bhi jhapka lo unkil...warna aankh nikal kar bahar aa jayengi.." "are Arman tu..."
"nahi...main Arman nahi balki koyi bhoot hoon.."
"comedy mat mar aur Varun ki item ko dekh...sali kya lapapap khana khaye ja rahi " "tu ek baat bata ki tu khane ke liye laar tapka raha hai ya Sonam ke liye laar tapka raha hai..." "dono ke liye "
.
"Nisha ke dad ki halat kaisi hai ab Arman..."andar se Sonam ne aawaz lagayi... "ekdum badhiya...kuchh hee der me pahle ki tarah khelne-kudne lagenge..."
"Nisha ne mujhe call karke bataya tha ki uske dad ki tabiyat kharab ho gayi hai..."Sonam ek baar phhir

andar se chillayi...
"mujhe bhi Nisha ne hee call karke bataya tha..."
"tum hospital se hee aa rahe ho na..."Sonam mera kaan phhadte hue ek baar phhir cheekhi... "haaaaaaaannnnnnnnnnn......"jhunjhlate hue maine apna pura dam lagaya aur jor se cheekha...jiske baad Sonam ne aur kuchh nahi
.
Sonam kuchh der tak aur waha rahi aur phhir waha se jate waqt Varun ko bye...take care kaha uske baad un dono ke beech pappi-jhappi ka aadan-pradan bhi hua...
.
Sonam ke jane ke baad hum teeno phhir baithe hath me ek-ek glass liye...Varun jaha 8th Semester ki dastan sunne ke liye baitha tha wahi main 8th Semester ki dastan sunane ke liye baitha tha aur Arun...Arun hum dono ka peg bana raha tha...
"mere me is baar kam pani dalna be ,lodu...jhat type se peg banata hai ,sala asar hee nahi karta..." "tu aage bol...phhir kya hua..."
.
.
phhir....phhir bahut bada kand hua...ek din college se aate waqt Arun ne kaha ki use hod sir ke paas kuchh kaam hai ,isliye main Saurabh ke sath hostel chala jaun,wo kuchh der me aayega....main aur Saurabh hostel aa gaye...humare hostel aane ke lagbhag aadhe ghante baad hee Arun hanfta hua aaya aur room ke andar ghuskar darwaja andar se band kar diya....
"kya hua be...kisi ne thok diya kya..."
"bahut bada lafda ho gaya bhai..."Arun seedhe aakar mere paas baitha aur bola"Divya se kiss karte waqt Gautam ne dekh liya...Gautam aur uske dost mujhe marne ke liye dauda rahe the ,badi mushkil se jaan bacha kar aaya hoon...mera bag bhi peechhe kahi gir gaya hai..."
Ye sunkar kuchh der ke liye main ghabra utha kyunki Gautam iska badla Arun se jaroor lega aur yadi usne is baat ki halki si bhi khabar apne baap ko di to phhir ek bahut pada bakheda khada hone wala tha...jisme Gautam aur uski bahan Divya ko to kuchh nahi hota...lekin mera khas dost Arun pis jata.... "hod ke paas jane ka bolkar tu ishq ladane gaya tha bakchod,jhatu..."
"baad me chahe jitna maar lena lekin abhi kuchh kar...Kyunki Gautam apne sabhi laundo ke sath hostel aa raha hai,mujhe marne ke liye...."
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 14-03-2019, 02:19 AM



Users browsing this thread: 13 Guest(s)