Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#87
Chapter-32:A Mortal Step.
Update-110
.
Meri nazar ab bhi tik-tik karte deewar par lagi ghadi par atki hui thi...ghadi ka sabse chhota kaanta bas 1 par pahuchane hee wala tha,lekin Nisha ki call ka ab tak koyi nam-o-nishan nahi tha...pahle mujhse baat karne ki bechaini Nisha ko thi lekin ab main bechain hua ja raha tha....main is ummid me abhi tak jaag

raha tha ki shayad wo mujhe ab call kare, kyunki ho sakta hai ki use 12 baje tak time na mila ho...ya phhir uske mom-dad uske aas-paas ho....jab meri ye halat hai to na jaane us dayan ka kya haal ho raha hoga...mujhe to aisa lagta hai ki yadi is waqt main uske samne aa jaun to khushi ke mare wo kisi dayan ki tarah mujhe noch dale....
"ab to had ho gayi,2 bajne wala hai aur main ullu ki tarah uske call ka intezaar kar raha hoon...kuchh der me to surya bhagwan bhi apne darshan de denge...."maine ek cigarette jalayi aur balcony par aa gaya....
.
na jaane main kis ummid me Nisha ke ghar ki taraf dekh raha tha,main is waqt pagalo ki tarah sochane bhi laga tha...main is samay ye soch raha tha ki shayad Nisha raat ko mere flat ki taraf aaye....mera dil aur dimag is waqt apni jagah se thoda khisak gaya tha jo main aisi bebuniyaad khayalat apne jehan me la raha tha...maine bahut der tak Nisha ke ghar ki taraf apni nazare gadayi rakhi is soch ke sath ki wo kahi yaha aakar laut na jaye.....
mera dil ab mere dimag par hawi hote ja raha tha...Nisha ke us ek call ki intezaar ne mere sari kshamtao par question mark laga diya tha...mujhe is samay na to raat ke teesara pahar dikh raha tha aur na hee ullu ki tarah jag raha main...mujhe to dikh rahi thi to Sirf Nisha...kabhi-kabhi mujhe Nisha ke ghar ki taraf jane wali gali me kuchh aahat sunayi deti ,mujhe aisa lagta jaise ki Nisha abhi charo taraf faile is andhere se bahar nikal kar prakat ho jayegi....
mere 1400 gm weight wale brain ka ek nuksan yahi tha ki mera dimag had se jyada creative tha...wo aksar chhoti si chhoti aahat ko kisi ka aakar dene par jut jata hai...har kahani ki ek dusari kahani hee banane lag jata hai....jaise ki is waqt ho raha tha aur yadi short me kahe to mera dimag forward ki jagah backward direction me kaam kar raha tha....
.
"ek baar Nisha ke ghar ka round maar kar aata hoon,kya pata wo apne ghar ki chhat me khade hokar mera intezaar kar rahi ho..."isi ke sath ek aur bewkoofi bhari soch mere andar aayi...
"abey pagal hai kya, itni raat ko Nisha apne ghar ki chhat par kya day & night match khel rahi hogi...tu shanti se so ja..."maine khud ka virodh kiya....
"Arman...ek baar dekh kar aane me kya jata hai...waise bhi to tu balcony me khada hokar cigarette hee jala raha hai...jyada soch mat aur chal Nisha ke ghar ke paas chalte hai..."
.
maine peechhe palat kar room ke andar dekha ,Arun aur Varun is samay gahari neend me the...maine jaldi-jaldi cigarette ke char-panch kash liye aur balcony se direct neeche kood gaya aur andhere me hee Nisha ke ghar ki taraf chal pada...Nisha ke ghar se kuchh doori par aakar main ruk gaya aur Nisha ke ghar par ek nazar dali..waise kahne ko to Nisha ka ghar is colony ka sabse bada aur alishan ghar tha...lekin is waqt raat ke andhere me Nisha ka ghar sabse bhayanak lag raha tha,..pure ghar ki lights off thi ,waha roshani ke naam par Nisha ke ghar ka chaukidar jis room me rahta tha,sirf usi room ki light jali hui thi....sabse khubsurat chiz sabse badsurat bhi ho sakti hai ,ye main abhi dekh raha tha isliye maine khud ko yaha aane ke liye kosa aur chup-chap waha se khisak liya...main ab apne flat ki taraf aa raha tha ye sochate hue ki Nisha ke dimag me is waqt aakhir chal kya raha hai aur usase bhi jyada ye ki mere dimag me is waqt kya chal raha hai...kya sochkar main itni raat ko Nisha ke ghar ki taraf gaya ki wo raat ke 3 baje chhat par khade hokar patang uda rahi hogi...uske baad main thik usi raste se flat ke andar ghusa
,jis raste se main bahar aaya tha...andar pahuchne me thoda time laga, mushkile bhi aayi par darwaje ke bahar khade hokar ghanto darwaja peetna aur Varun ko aawaz dene se ye achchha hee tha....maine PC on karke apni email bhi check ki ,lekin Nisha ka koyi mail abhi tak nahi aaya tha....
"kahi uske baap ko maloom to nahi chal gaya ki ,Nisha aur Mera chakkar chal raha hai...yadi aisa hua to

phhir mera to uparwala hee malik hai..."
.
Aadhe se adhik raat to maine cigarette peene me beeta di thi aur bacha hua samay bistar par pade-pade karwate badalne me gujar gaya aur subah 6 baje jakar neend lagi lekin 2 ghante baad hee mujhe Arun ne jaga diya....
.
"uth be, 12 baj gaye..."
"kya ? 12 baj gaye...dhat teri ki..."main ekdum se uthkar baithte hue bola aur ghadi par nazar dali"abhi to 8 baje hai be "
"chal aage bata kya hua..."chay ka ek bada sa cup mere samne rakhte hue Varun bola... "abhi neend aaying..."bolte hue main wapas bistar par ludhak gaya...
"abey 10 baje mujhe office jana hai...isliye soch raha hoon ki teri bakwas sunta chalu...le pee.." maine cup uthaya aur juban se lagaya "abey ye to daru hai..."shakal bigadte hue main bola "usase kya farak padta hai..waise yadi tera man nahi to rahne de..main pee lunga..."
"na munna na...you know that i love daru more than tea....."
.
.
Esha aur Divya par mujhe bharosa nahi tha ki wo dono meri baat manegi aur apna muh band karke rakhegi...isliye mujhe har din thoda sa dar jaroor rahta ki kahi wo canteen wali baat kisi ko bata na de...canteen wale kand ke baad kayi dino tak Divya aur Esha college me nahi dikhi aur apne paas ab itna time bhi nahi hota tha ki unke class ke bahar khade hokar unka intezaar karta rahu....idhar workshop wala fauji hum par goli pe goli fire kiye ja raha tha...uska kahna tha ki har ek shop ki ek alag practical copy banani padegi aur 2 figure frame karwane honge...idhar fauji to udhar third semester ke exam bhi kuchh hafte baad dastak dene wale the....isliye samay ka mano akal sa pad gaya tha...badi mushkil se hum bathroom ko sperm donate kar pate...kyunki practical aur assignment ke panno ne hume sab kuchh lagbhag bhula sa diya tha...kabhi-kabhar aate-jate..Esha se meri mulaqat ho jati thi aur ab wo mujhe dekhkar ignore na karke ek pyari si smile deti thi ,wo bhi Gautam se chhipkar.......
.
Jaisa ki maine pahle bataya ki meri yaddasht bahut tez hai ,main chizo ko utani jaldi nahi bhoolta aur na hee unhe ignore karta hoon aur security officer station wala case to jab mere class ke launde nahi bhoole to bhala main kaise bhool sakta hoon...main first year ke un dono ladko ko dikhana chahta tha ki main kya hoon aur meri status kya hai....mere khayal se aise situation me duniya me sirf do category ke log hote hai....
pahla wo jo badi se badi baat ko hans kar taal dete hai aur aise behave karte hai..jaise ki kuchh hua hee nahi...jabki kisi ne achchhe se kholkar unki mari hoti hai aur dusare category ke log wo hote hai jo ek boond jaisi chhoti se chhoti baat ko Samundar bana dete hai....
Mere andar ye dono hee khoobiya thi,jinhe main according to situation ,apne sixth sense ki madad se apni is khoobi ka achchhe tarike se istemaal karta tha...maine un dono ko unki us F.I.R. Wali kartoot ke liye ek plan banaya tha aur jaisa ki aksar hota hai...is plan ki khabar sirf mujhe aur mere dimag ko thi...jab mamla ladayi-jhagda ka ho aur mere plan me Sidar shamil na rahe,ye namumkin hee tha...isliye maine apna mobile nikala aur Sidar ka number milaya....








Update-111



jab mamla ladayi-jhagde ka ho aur mere plan me Sidar shamil na rahe,ye namumkin hee tha...isliye maine apna mobile nikala aur Sidar ka number milaya....
"good afternoon MTL bhai..."dusari taraf Sidar ke dwara call recieve karte hee main bola...
"mere khayal se tune mujhe good afternoon bolne ke liye to call nahi kiya hai...chal jaldi se kaam bol..." "un do ladko ko to jante hee hoge,jinhone mujhpar aur Arun par F.I.R. kiya tha..."main seedhe point par aa gaya,kyunki ab lunch khatam hee hone wala tha aur main nahi chahta tha ki workshop wala fauji mujhpar missile dage....
"haan name se janta hoon,..."
"wo dono bahut udd rahe hai,dono ko zameen par lane ka hai "
"abhi mushkil se tu canteen wale case se bacha hai aur ab naya lafda...abey tu shanti se engineering kyun nahi karta..."
"wo kya hai MTL bhai...ki jab do ahankari log takrate hai to aisa dhamaka hote hee rahta hai...undono ko thoda sa hum hostel walo ki power dikhani hai..."
"to isme main kya karu...ladke to teri baat maan hee lenge, sabko sath lejakar un dono ko fod daal...isme problem kya hai..."
"problem ye hai ki mere hostel warden se meri jamti nahi hai aur jitna mujhe maloom hai uske hisab se humara hostel warden aapke dost ki tarah hai..."
"abey seedhe-seedhe bol ki karna kya hai....."
Maine MTL bhai ko kya karna hai,ye bataya aur uske baad apni practical copy aur drawing sheet lekar workshop ki taraf chal pada....
.
"roll number 11...."
"present sir..."bahar se main chillaya"may i come in sir..."
"andar aao aur apne hathiyar nikal kar jung ke liye taiyar ho jao..." "main taiyar hoon sir..."
"good luck...."uske baad us fauji ne apne hath me rakhi list par nazar dali aur pura dam lagakar cheekha"roll number 12...."
.
"teri halat aisi kyun hai be,tera roll number to mere baad hee aayega..."
"udhar dekh...sala wo fauji aaj goli nahi missile fire kar raha hai...ek ki usne drawing red pen se laal kar di matlab 5 number gaye,...us ladke ka drawing to mujhse thik-thak hee tha,jab uski ye halat hai to mera kya hoga...yahi sochkar main pareshan ho raha hoon...."
"main to bach jaunga " "kaise...apni drawing sheet dikha to..."

"abey ,tune abhi tak ek chiz notice ki ya nahi..."jab Arun ne meri drawing sheet ki taraf apne hath badhaya to maine uske hath ko rok usase puchha...
"are idhar phhati padi hai aur tu gol-mol sawal kar raha hai..."
"apna fauji har ek bande ko exact 15 minutes tak remand par leta hai,na ek second kam aur na hee ek second adhik...."
"tujhe kaise pata..."
"abki baar jab roll number 10 wala ladka jaye to time dekh lena...uski table par rakhi stop watch tab chalu hoti hai jab koyi student apni file kholkar rakhta hai aur wo 15 minutes tak us student par bomb fodta hai aur phhir bejjati karke bhej deta hai aur phhir baad wale student ko 10 seconds ke andar hee waha pahuchna hai,jiske baad us fauji ki stop watch phhir chalu ho jati hai....."
"ye sab kya us chhote kad wale fauji ne tere apne me aakar kaha " "roll number 9 tak to wo yahi karta aa raha hai "
"aur yadi uske paas pahuchne me 10 seconds se jyada waqt lag gaya to..."
"to phhir wo us ladke/ladki ki practical copy aur drawing sheet ko chod dega...isliye mardo ki tarah lambe-lambe kadam badhana...warna waha pahuchne se pahle hee chud jayega...samjha...."
.
Thodi der tak Arun shant raha lekin phhir mere paas aakar bola"yar Arman, usne abhi-abhi ek ki writing kharab hone ki vajah se C+ grade diya hai....meri writing to usase bhi kharab hai main kya karu...
,kuchh jugad jama na" "ek jugad hai..."
"kya..."
"wo jugad kya main tujhe chilla-chilla kar bataunga... kaan idhar la..."
Arun ko jugad batane ke baad main ekdum seedha khada ho gaya ,kyunki agla roll numner mera hee tha.....chutiye the shuru ke 10 students jo drawing sheet ko upar rakh kar le ja rahe the, maine drawing sheet ko sabse neeche rakha aur ab mujhe kaise bhi karke 15 minutes tak bina drawing sheet dikhaye us fauji ke war ko sahna tha...kyunki meri drawing sheet to ekdum safed thi...matlab ki usme koyi drawing hee nahi thi aur yadi wo fauji bhool se bhi mera wo karnama dekh leta to mujh par atomic attack kar deta aur yahi vajah thi ki jab Arun ne meri drwaing sheet dekhne ke liye apna hath aage badhaya to maine uska hath rok diya tha,kyunki main nahi chahta tha ki wo gala phhadkar mujhpar chillaye ki"Arman to ekdum kora kagaj "
.
"roll no. 11...."apni ghadi par 10 seconds ka samay dekhte hue usne mera name pukara...
Aur main 6 second me hee uske paas pahuch gaya....jab fauji meri practical copy dekh raha tha tabhi maine army wala matter chhed diya...jiske baad usne meri practical copy aur drawing sheet ek taraf rakhwa di aur mujhse usi matter par baat karne laga...wo is discussion me itna kho gaya tha ki mujhe
,usko yaad dilana pada ki "lieutenant Sir,15 minutes ho gaye hai "
"roll no. 12...."fauji ne phhir se apni stop watch shuru kar di aur usi waqt Arun ke paas jakar maine dheere se kaha ki ..."Navy ke baare me isase baat kar...lekin pahle practical copy dikha dena,taki use shaq na ho"






Update-112
Arun ke paas jakar maine dheere se kaha ki..."Navy ke baare me isase baat kar...lekin pahle practical copy dikha dena,taki use shaq na ho"
.
"apun ko to bas thoda hint chahiye tha ,baki dimag to mere paas bhi hai....ab tu dekh is fauji ko kaise chakma deta hoon..."
Arun ne chalte-chalte apni sari practical copy ek hath me aur drawing sheet ko dusare hath se pakad liya aur table par baithe us fauji ke paas jakar bola...
"bharatmata ki jai..."
"jai ho bharatmat ki..."eka ek fauji jaise khushi se jhoom utha aur Arun ki taraf dekhkar bola"mujhe tumhare jaise joshile ladko ki jaroorat hai...khair apni practical copy dikhao"
Arun ne apni practical copy ek ke baad ek dikhani shuru kar di...shuru me jaha fauji Arun se ekdum khush hua tha ,wahi ab Arun ki writing dekhkar uske chehare ka rang badalne laga tha....
"tum jaise joshile jawan ki itni kharab perfomance "afsoos jahir karte hue us fauji ne apna chashma utar kar table par rakh diya....
"hath me goli lag gayi thi sir,warna meri writing ka pure class me kya pure college me koyi shani nahi hai..."
"hath me goli lag gayi thi,matlab..."wapas apna chashma lagate hue fauji ne puchha...
"matlab ki main hostel me gir gaya tha...aur kal raat bhar dard sahte hue jaise-taise kaam complete kiya hai..."
"Excellent, my boy....Excellent...mujhe tumhare jaise joshile ladko ko dekhkar apne din yaad aa jate hai...."
"to ab main chalu..."
"bilkul jao aur number ki parvah mat karna...." "thank you sir..."
Apna collar upar karte hue Arun mere paas aaya
"beta Arman, shart laga le...workshop me to tujhse jyada number paunga...."
"tune raat bhar mehnat ki ,sara din practical copy ko neeli syahi se bharne me bitaya,...phhir 4 se 5 ghante me tune drawing banaya ,isliye yadi tu 1-2 number adhik pa jata hai to isme kaun si badi baat hai..."
"dekh apni haar maan le..." "kabhi nahi....bilkul bhi nahi..." "sale ghamandi..."
"chal...chalkar Saurabh aur Sulabh ko is jung ko jeetane ka upay bata dete hai ,warna wo dono kham kha shahid ho jayenge...."
Jab humara kaam khatam hua to hum dono Saurabh aur Sulabh ki taraf badh gaye, dono ka roll number last me aata tha,isliye is waqt dono aapas me baat-chit karne me magan the
.
"Sulabh ,main tujhe us fauji se bachne ka trick batata hoon...."Sulabh ke samne jakar maine shaan se kaha...

"rahne do Arman Sir, mujhe us fauji se bachne ke liye kisi trick ki jaroorat nahi hai..." "jab wo pakad kar chodega tab tujhe samajh me aayega,..."
"lund mere paas bhi hai...matlab ki drawing ekdum correct hai,writing meri solid hai, file bhi complete hai aur mujhe sab yaad hai...."
"chal thik hai,tu nikal...Saurabh uncle aapko trick batau ya aapki bhi file complete hai,drawing sahi hai,writing solid hai aur sab kuchh yaad hai..."
"padhne ,likhne se kiska bhala hua hai yar , tu to mujhe trick bata...."
.
"Arun tujhe first year ke wo do ladke yaad hai ,jinhone f.i.r. Kiya tha..."workshop se bahar aane ke baad maine Arun se puchha...
"*** ki chut un dono ki, badi mushkil se bacha tha last time...atma sharir se nikalne hee wali thi ki Sidar ne aakar sab sambhal liya...yaad mat dila wo kand..."
"main un dono ko thokne ka soch raha hoon...."
"kya...."Arun jaha tha wahi rook gaya aur sath me Saurabh aur Sulabh ke bhi pair wahi jam gaye...wo teeno mujhe aise dekh rahe the, jaise ki abhi-abhi maine unhe koyi bahut buri khabar sunayi ho...jispar unhe yakin nahi ho raha tha....
"kya kaha tune..."aage badhte hue Arun ne mujhe ghoora...
"tune kaha ki tu un dono ladko ko thokne wala hai..."abki baar Saurabh ne mujhe ghoora aur aakhir me mere aakhiri dost,Sulabh ne bhi mujhe gusse se ghoora....
.
"har baar Sidar tujhe bacha nahi payega...."Saurabh ne ek mukka marte hue kaha...
"aur main tere is kand me tere sath nahi hoon..."dusara mukka jadte hue Arun bola aur phhir Sulabh se teesara mukka jadte hue kaha"chhodna mat un dono ko...."
"are gazab...jiyo mere laal..."dil kiya ki Sulabh ko pakad kar kiss kar loon,lekin sala wo ladka tha..isliye main wahich par rook gaya
.
Saurabh aur Arun ko manane me bahut dimag khafana pada aur ye main pahle se janta tha ki wo dono mujhe aisa hargiz nahi karne denge aur wo dono kaise manenge...ye mujhe achchhi tarah maloom tha...maine Saurabh se kaha ki main use Vibha mam ki chut dilaunga aur Arun se kaha ki use main Divya ki chut....sorry chut nahi chummi dilaunga...aur wo dono ek second me maan gaye....
"to kya unhe unke hee class me ghuskar marne ka plan hai..."Sulabh apne shirt ki baahe upar uthate hue bola...
"no...aur tu ja..."Saurabh bola"main nahi chahta ki tere jaisa brilliant launda ,humari vajah se mushkilo me pade..."
"tere chahne aur na chahne se kya hota " "main bhi aisa chahta hoon..."
"aur main bhi yahi chahta hoon ki tu yahi se wapas laut jaye..."
Arun aur mere dwara Saurabh ki baat ka samarthan karne par Sulabh chidh gaya aur hum teeno ko gali dete hue waha se chala gaya....
"lagta hai sala bura maan gaya..."Sulabh ko jate dekh Saurabh ne muskurate hue kaha"lekin mujhe maloom hai ki wo aaj raat phone jaroor karega,ye janne ke liye ki kya hua..."
"bura wo manta hai,jiska bur hota hai...aur hum ladko ke paas bur nahi lund hota "Arun ne ekdum shanti se ye dialogue mara...jiske baad hum haste-haste hostel ki taraf chale gaye....
.

according to our plan...first year ke un do ladko ko unke hee class ke kuchh ladke...thik usi ground par lane wale the,jaha par Varun aur uski dosto ko humne jam kar thoka tha ya phhir ye kahe ki jaha meri ragging li gayi thi...aur ye wahi jagah thi ,jaha se in sabki shuruat hui thi....jo do ladke ,un do chutiyo ko us ground par late...wo city me hee kiraye ke room lekar rahte the aur is kand ke baad unhe kuchh na ho
,isliye humara sath dene wale city ke un ladko ko hostel me shift kiya ja raha tha....jaha wo safe the....
.
"Arman Sir, wo dono ground par pahuch chuke hai...."security officer station me jhoothi gawahi dene wale Rajshri Pandey ne mere room me aakar kaha....jo ki ab apne dost ke sath Sidar ka room chhodkar ,hostel me shift ho gaya tha....
"tum dono chalo...i am coming..."maine Arun aur Saurabh se kaha... "tu kaha ja raha hai..."
"goggles to le loon...taki ladayi me main hero dikhu,villain nahi "














Update-113
"goggles to le loon...taki ladayi me main hero dikhu,villain "
.
Hum par F.I.R. Karne wale ladke jaal me fans chuke the aur wo ground par hostel ke ladko ke beech ghire hue the...hostel se nikalte waqt maine socha tha ki un dono ladko ki chaddi is samay dar ke karan geeli ho rahi hogi aur wo sabse hath jodkar vinti kar rahe honge ki unhe waha se jane diya jaye...lekin jab main ground par pahucha to waha bilkul bhi waisa nahi tha...jaisa ki maine socha tha....first year ke wo dono ladke is waqt apne dosto se,jo ki unhe jhooth bolkar yaha laye the,unse bahas kar rahe the...wo dono waha khade hostel ke 20 ladko ko dhamki de rahe the aur sath me apne dosto ko bhi...Rajshri Pandey ko maine mamle ki jaanch karne ke liye bheja jiske baad Rajshri Pandey,Rajshri chabate hue mere paas aaya aur bola..
"are kuchh nahi,sale akad rahe hai BC, wo to hum sab aapke intezaar me ruke hue the...warna kab ka sale ko khoon se nahla dete...."
"kya bol rahe hai dono..."
"bol rahe hai ki unpe jisne bhi hath uthaya use wo chun-chun kar marenge..."
"to tum logo ne kya socha hai..."maine waha khade sabhi ladko ki taraf dekhkar puchha...

"kuchh bhi ho jaye Arman bhaiya...hum to aaj pelenge..."
"that's the spirit,..."goggles pahne hue main Arun aur Saurabh ke sath undono ke paas gaya aur waha khade sabhi ladko ko door hatne ka ishara kiya...
.
Unke taraf jate hue Maine socha ki ab wo dono ladke atleast mujhe dekhkar to dar hee jayenge aur mujhse maafi bhi magenge...lekin un salo ne is baar bhi mere sixth sense ke imagination ki hatya kar di "Arman, hum tujhse nahi darte...tu ye yaad se apne dimag me bitha le ki ek din tu bhi yahi apne in lalluo ke sath khada hoga aur main tujhe kutte ki tarah marunga...."gusse se bhari apni laal aankhe dikhate hue un dono me se ek ne kaha...jiske baad hostel ke sabhi ladke aage badhe lekin maine sabko wapas peechhe hatne ke liye kaha....
"main to tujhse dar gaya...mujhe maaf kar de..."uski aankho me aankhe dalkar main bola"waise tune kutta mujhe kaha ya khud ko..."
"tujhe kutta kaha bhadwe sale ,MC"
Ye sunkar Hostel ke ladke aur mere dono dost ,jo us samay mere paas hee the,wo use marne ke liye aage badhe hee the ki maine ek baar phhir se sabko rukne ka ishara kiya...
"chal purani baat chhod aur ye bata,mera goggles kaisa lag raha hai...ekdum smart dikh raha hoon na main..."
"tere chutiye goggles ki tarah tu bhi chutiya dikh raha hai.."
Ye sunkar ek baar phhir sab aage badhe ,jinhe rok kar maine kaha"abey tumhi log mar lo,main yaha kya lawda hilane aaya hoon...peechhe jao sab..."
"are Arman bhaiya...chod do sale ko..."Rajshri Pandey ne Rajshri ka ek aur pouch muh me dalte hue chillaya...
Jiske baad maine us ladke ke sar ke baal ko jor se pakadkar kheencha aur use gol-gol ghumane laga... "mere goggles ke baare me kuchh nahi bolne ka...sale khud ki shakal to gadhe ki gand jaisi hai aur mujhe bolta hai ki main handsome nahi hoon..."
jab main uske sar ke baal ko pakad kar gol-gol ghuma raha tha to Arun ne ek hockey stick li aur uske peeth par hockey stick se jordar prahar kiya...jiske baad wo ladka cheekh utha...lekin Arun nahi mana aur hockey stick se use pelta raha.....hum dono ko action me dekhkar bhala Saurabh kaise shant rah sakta hai,Saurabh ne dusare ladke ke kaan par ek mukka jada aur zameen par dhakka dekar use laato se marne laga....wo dono ladke is samay hum teeno ki pitayi se sirf cheekh rahe the ,ro nahi rahe the...jabki main chahta tha ki wo dono rote hue humare pair pakad kar humse maafi ki guhar mare...
.
Saurabh dusare ladke ke kabhi muh par to kabhi pet par laat marta aur jab wo ladka peechhe palat jata to Saurabh uske peeth par dhada dhad laat marta,...idhar maine Ek ka bal mazbooti se pakad rakha tha aur Arun apne hath me hockey stick thame uske hath-pair,peeth-pet...tode ja rahe tha....wo dono ladke adhmare se ho gaye the,lekin undono ne sorry abhi tak nahi bola tha....
"BC, teri *** ka lund...mera goggles tod diya tune..."abhi tak maine jiska bal pakad rakha tha uske naak me ek mukka jadte hue kaha aur use zameen par phhek diya....
"tu abhi apne chashme ko chhod aur inki dhunayi kar..."us ladke ke pair par jor se hockey stick marte hue Arun ne kaha....
"lawde,ghar se do books ka paisa magaya tha, uske baad maine books na kharidkar 1351 ka ye goggles kharida aur tu bol raha hai gand tod de is MC ki,taki sala jab kabhi bhi hagne baithe to ise apni galti ka ahsaas ho..."
"jo hukum mere aaka..."bolte hue Arun ne us ladko ko paltaya aur uske pichhwade par hockey stick se

marne laga....
mere goggles ki maut ne mere andar dafan gusse ke jwalamukhi ko bhadka diya tha,maine Arun ko rok kar us ladke ko wapas seedha kiya aur hawa me hath uthakar kaskar ek tamacha uske gaal par mara...jisase mere paancho ungaliyo ka projection uske gaal par ban gaya...uske baad main dusari side gaya aur ek baar phhir se hawa me hath uthakar uske dusare gaal par bhi paancho ungaliyo ke nishan chhap diye...
"hath hata MC..."us ladke ne jab apne dono gaal par hath rakhe to ek laat marte hue maine kaha aur lagatar uske gaal par kaskar thappad marne laga.....
"sorry bol,..."uske muh par ek laat marte hue maine kaha....
"sorry..."dhul aur khoon se sane muh ko kholte hue us ladke ne itna hee kaha.....
.
"Arman,ek ne to sorry bol diya...lekin ye sala nahi maan raha...pata nahi is BC ke andar abhi kitna dam baki hai..."dusare ladke par Saurabh ab bhi laat barsaye pada tha....
"tu hat aur dekh ye ek minute me sorry bolega..."
Saurabh ko maine door hataya aur zameen par lot rahe us ladke ke upar dono pair se ek sath kuda..jiske baad uske muh se khoon aur sorry shabd ek sath nikla....
.
Un dono ko to main thok chuka tha,lekin mujhe ab gam mere goggles ke tootane ka tha ,kyunki iske liye maine do books ki kurbani di thi...undono ko marne ke baad main waha khada hokar apne chashme ke maut ka dukh mana raha tha ki suddenly mujhe ek idea aaya aur main turant peechhe mudkar un dono ladko ka wallet nikal liya...ek ke wallet me 100-100 ki 4 pattiya thi to ek ki wallet me 1000 aur 500 ki pattiya thi.. un dono ke wallet se kul milakar lagbhag 5000 mile,jinme se maine hazar ka ek-ek note apne dono khas dosto ko diya aur hazar ka ek note waha khade hostel ke laundo ki taraf badhakar do hazar apne jeb me rakh liye.....
"chalo...ab sab khisak lo...idhar se.."Arun ne sabko waha se jane ke liye kaha...
Jab hum sab waha se kuchh doori par aa gaye the tabhi mujhe achanak na jaane phhir se gussa aaya aur main zameen par dard se karah rahe un dono ladko ke paas pahuchkar dono ke muh me ek-ek laat jadkar bola"Arman....ye name apne jehan me bitha le aur ek baat mere andar dil aur daya nahi hai...tum dono jab bhi thik hoge,main tum dono ko phhir se marunga aur isi halat me la patkunga....yaad rakhna aaj se tum dono ke do baap hai ,ek baap ko to tum dono jante ho aur dusara baap main hoon"
"aur main teesara baap..."Arun door se hee chillaya....
.
"to ab plan kya hai..."hostel me pahuchkar Arun ne mujhse puchha...
"main soch raha hoon ki 2001 price wala goggles aaj hee mall se le aaun,jo maine last week mall me dekha tha "




Update-114
"to ab plan kya hai..."hostel me pahuchkar Arun ne mujhse puchha...


"main soch raha hoon ki 2001 price wala goggles aaj hee mall se le aaun,jo maine last week mall me dekha "
.
"bhad me jaye tera wo goggles aur ab ye bata ki karna kya hai...mujhe ab na jaane kyun aisa lag raha hai ki maine tera sath dekar galat kiya,kahi hum lambe lafde me na fans jaye "apne chehre ko towel se pochhate hue Saurabh ne mere new goggles lene ke plan ko beech me hee rok diya
"ab kaisa lafda be, ab to jo hona tha ho chuka hai...jinhe marna tha unhone maar diya aur jinhe maar khana tha ,unhone bhi maar kha liya...bas topic end "
"beta,topic end nahi hua hai..abhi humne jo action kiya hai uska according to newton's third law humare
action ke badle uske barabar ek reaction to aayega hee aur wo bhi opposite direction me...bole to talwar ab humare gardan ke upar latakne wali hai..."jis towel se Saurabh apna chehra saaf kar raha tha use mere face par fekte hue kaha
"mujhe samajh nahi aata ki log hamesha Newton ke third law ka hee example kyun dete hai, jabki third law se pahle first and second law aata hai...aur waise bhi maine unke reaction ko shuru hone se pahle hee khatam kar diya hai isliye chinta ki koyi baat nahi"
"kya kiya tune aur jab se canteen me meri pelayi hui hai tab se mera tujhpar se vishwas uth sa gaya hai...sale khud to marta hai sath me mujhe bhi marwata hai..."Arun beech me hee tapak pada"mujhe bhi ab aisalag raha hai ki tera sath dekar maine bahut badi galti kar di,kahi un dono ne phhir se security officer me report kar diya to "
"wo to karenge hee"Arun ki fadte hue maine kaha"aur security officer college me bhi aayegi aue hostel me bhi aayegi aur to aur hume apne sath le jaane ki koshish bhi karegi..."
"bose dk, is baar to gaye kaam se, tu humara dost nahi hai..."Arun aur Saurabh ek sath mujhpar chillaye...
"abey gala fadna band karo...pahle mujhe baat to puri karne do..."apni t-shirt utarkar Arun ke face par phhekte hue main bola"apna kallu warden kis din kaam aayega..."
"kya ghanta kaam aayega wo kallu...balki wo to ulta humari aur shikayat kar dega...ek to pahle se hee tu use pasand nahi hai ,upar se ab ye naya locha.."meri t-shirt ko wapas meri taraf fekte hue Arun ne Saurabh se kaha"Saurabh mere bhai, mera bhi sixth sense kuchh-kuchh kaam karne laga hai...aur jaisa ki maine andaza lagaya hai uske hisab se hum dono ke pair security officer walo ne rassi se baandh diye hai aur dande se gand fatat le pel rahe hai.... abki baar to achchhe se chud gaye..."
"chup kar be chodu ,khud to dara hua hai upar se Saurabh ke pichhwade me bhi pin thok raha hai...Saurabh tu yakin maan apna warden apni side lega..."
"sunkar dil ko sukoon mila lekin mujhe aisa lag raha hai ki aisa kuchh bhi nahi hone wala...matlab ki hostel warden bhala humara sath kyun dega "

"our kallu warden will do this for me ,for you,for Arun,for hostel,for hostelers and for Sidar "
"dekh Arman ,abhi jyada dialogue bazi mat chod...warna do ko to pel ke aaya hee hoon,teesara number tera laga dunga...isliye short me bata lekin achchhe se bata..."
"Sidar ne warden ko humari taraf se gawahi dene ke liye mana liya hai,that's it...ab tum dono ke gobar bhare dimag me kuchh ghusa ya phhir german language me samjhaun ya phhir french me ya phhir spanish me..."
"sab samajh gaya " mujhe gale lagate hue Saurabh ne thanks kaha...
"apun bhi sara matter samajh gaya hai , thanks to Sidar ki wo har samay humari madad karne ke liye taiyar rahta hai...beta Arman ,yadi Sidar na hota to teri koyi bhi dal nahi galti...."
"yeah...i know "cigarette ke packet se ek cigarette nikalte hue maine kaha aur dil hee dil me MTL bhai ka humara sath dene ke liye shukriya ada kiya...
.
"waise Saurabh,Arman ne kuchh aur bhi promise kiya tha...yaad hai ki bhool gaya..."
Arun ke aisa bolte hee main samajh gaya ki wo mere kis promise ki baat kar raha hai aur main us waqt thoda pareshan sa ho gaya...kyunki dono ko ladayi me shamil karte waqt to maine badi aasani se kah diya tha ki main unke liye Divya aur Vibha ka jugad karunga...lekin mujhe maloom tha ki ye kaam bahut mushkil hai . Vibha ko to main khud bhi abhi tak nahi pata paya tha,isliye Saurabh ka mamla kaise jodu aur Arun ke mamle me to bhayankar khatra tha..kyunki yadi Divya ke baap ko jara si bhi bhanak lag gayi ki uski beti ko college ke kisi ladke ne kiss kiya hai to phhir wo ladka to gaya jaan se.....
"idhar-udhar kya dekh rahe ho Arman babu...apna promise yaad to hai na ya hum dono yaad dilaye..."mere gardan ko peechhe se pakad kar Saurabh ne kaha...
"main abhi aaya..."
un dono se peechha chhudane ke liye main waha se utha hee tha ki Arun kood kar darwaje ke paas pahucha aur darwaja andar se band kar diya...wahi Saurabh ne mere dono hath ko peechhe se pakad kar marodane laga....
.
"jaldi se hum dono ke arman pure kar..warna tera khoon kar dunga..."Saurabh ne dhamki di "main to direct bang karunga..."darwaje ke paas khade hokar Arun ne bhi dhamki di...
ab mujhe andaza ho gaya tha ki yadi is waqt maine un dono ko na kaha to ,wo dono mujhe bahut marenge isliye maine is samay un dono ko haan kahne me hee apni bhalayi samjhi aur bola... "Arun tera kaam kuchh dino me ho jayega aur Saurabh tujhe kuchh din ke liye intezaar karna
padega,...kyunki Vibha ko thokne ke liye manana thoda mushkil hai,lekin main ise karunga jaroor...ab to mera hath chhod...."
.
Dopahar sham me dhali aur sham raat me tabdil hui aur phhir sawera hua...sawera hote-hote kal ke ground wale kand ki khabar lagbhag har ek ke kano tak pahuch chuki thi...koyi kahta ki first year ke un dono ladko ko Arman ne aur uske dosto ne mara,to koyi kahta ki city wale senior ke sath unka kuchh locha tha , kuchh to ye bhi kahne wale the ki shayad un dono ko Divya ke baap ne mara tha.....undono ki halat is waqt kharab thi aur dono city ke best hospital me admit the...kisi ko shaq na ho isliye main dusare din normal sa behave karte hue normal tarike se college gaya aur sath me beemar hone ka dhansu acting bhi kiya... mera aur mere khas dosto ka andaz wahi tha,jiske liye hum jane jate the...aur class me hum aaj bhi last bench par ladkiyo ke peechhe baithe...bole to hum pahle ki tarah aaj bhi back benchers the...class ke kuchh ladko ne mujhse puchha ki kya maine first year ke ladko ko mara hai...aisa

sawal karne walo ki list me mere class ke sath-sath mera dost Naveen aur kayi teachers bhi shamil the...wo sab jitni bhi baar mujhse ye sawal puchhte mera jawab har baar ek hota aur wo jawab tha ki"main to kal lunch ke baad tabiyat kharab hone ke karan hostel jakar seedhe so gaya tha....mujhe to aaj college aane par is jhagde ke bare me maloom chala..."
.
Mos ki chalti class ke beech me humare hod sir class me ghuse aur mujhe principal ke office me chalne ke liye kaha ,jaha principal sir aur three star ki khakhi vardi pahne hue ek security officer wala mera intezaar kar raha tha.....
"may i come in sir..."rukhe aawaz me maine principal sir se andar aane ki ijaajat mangi....
kisi ko mujhpar shaq na ho isliye maine aaj na to sar me tel lagaya tha aur na hee kanghi kiya tha...jisase mere sar ke baal bikhare hue the aur mere beemar hone ki gawahi de rahe the...principal ke office me aate waqt maine apni do ungaliyo ko aankho me daal liya tha,jisase meri aankhe is waqt ekdum laal thi aur jalan paida kar rahi thi....jisase main three star ki vardi dharan kiye security officerwale ko yakin dila saku main sachmuch me beemar hoon aur bada kast jhelkar college aaya hoon,fala khud ko galat hote hue bhi sahi sabit karne ke dhun me maine brush tak nahi kiya tha jisase is waqt mere muh se ek shandar khushbu bhi nikal rahi thi jiska asar waha par baithe principal sir aur us security officerwale par ho raha
tha.... mujhe sardi bilkul bhi nahi thi lekin main waha principal ke office me khada hokar apne naak ko surkarta aur beech-beech me khasta...aisi acting karte hue ek samay jab maine khasne ka jhootha abhinay kiya to us waqt mujhe sach me joro ki khansi aa gayi aur meri aankh laal ho gayi ,ye khansi itni jabarjast thi ki mere aankho se aansu bhi nikal aaye aur muh se laar bhi tapak gaya
"are bhai,pani pilao isko..."three star ki vardi pahne hue us shaks ne kaha aur mujhe apne paas,bagal wali chair me bithaya...
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 14-03-2019, 02:18 AM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)