14-03-2019, 02:17 AM
Chapter-31:A Unconscious Break
Update-105
.
"Nisha ne phone par kaha ki main tumhe uski email id de du aur tum usase email par baat karo..."Mere dwara chhanchhundar bole jane par wo jal-bhun kar boli...
"ye tum ladkiyo ke paas dimag nahi hota kya...ab email-email khelne ka kaun sa junoon Nisha ko sawar ho gaya hai..."
"ladkiyo ke paas tum ladko se jyada dimag hota hai aur Nisha ne aisa isliye kaha kyunki uske dad ne uspar pabandi laga rakhi hai, wo ab na to kisi se baat kar sakti hai aur na hee kisi se mil sakti hai...mera andaza sahi tha ,you are a champu "
"us dayan ki email id kya mujhe sapne me aayegi..."
"i have her email id..."apna chhati chauda karte hue Sonam aise boli jaise olympic me gold medal jeet liya ho aur na chahte hue bhi meri nazar uske seene par ja padi...
"Varun,tumhara dusara dost bhi mujhe line maar raha hai...."
"kya Arman,ek to ye teri madad karne aayi hai aur uspar tu ise uncomfortable kar raha hai..."Sonam aur mere beech khade hokar Varun ne mujhe ghura...
"main ise uncomfortable kar raha hoon ya ye mujhe uncomfortable kar rahi hai..."
"hey Mr. main koyi aisi waisi ladki nahi hoon ,samjhe..."Varun ko samne se dhakka dekar Sonam ne meri aankho me aankhe dalte hue fire kiya....
"waise mera sawal ye tha ki Nisha ki email id main kaha se laun..."maine turant topic change kiya aur mudde par aaya...
"maine kaha na ki uski email id mujhe maloom hai..."Sonam bhi mudde par aate hue boli"actually...uski email id maine hee banayi thi..."
Nisha ki email id Sonam ne banayi hai ye jaankar main thodi der tak intezaar karta raha ki ab wo mujhe Nisha ki email id degi...lekin wo chup chap khadi mujhe dekhti rahi aur jab kuchh der tak aur wo ek lafz tak nahi boli to main kheej utha...
"Nisha ki email id batane ka kya " "oh , sorry..main bhool hee gayi thi.."
"apun ka style hee kuchh aisa hai ki ladkiya mujhe dekhkar sab kuchh bhool jati hai..."
"aisa kuchh bhi nahi hai..."ek kagaj par Nisha ki email id likhkar Sonam boli"ab main chalti hoon..." "Sonam...ruko,kuchh baat karni hai tumse...akele me"
"kaisi baat karni hai "waha mauzood teene human ne mujhse puchha...Sonam bhauchakki thi,Arun ,Sonam ko dekhkar laar tapka raha tha aur Varun aankho me angare liye bas Sonam ke jaane ka intezaar kar raha tha,taki wo meri thukayi kar sake....
"Varun,waisa kuchh bhi nahi hai mere bhai,jaisa tu soch raha hai "Varun ko ek konte me lejakar maine samjhaya ki main Sonam se Nisha ke baare me kuchh puchhana chahta hoon,jisase jo uljhan is samay mere dimag me hai ,wo sulajh jaye....
.
"Kab se Nisha ko janti ho..."balcony me aane ke baad maine Sonam se pahla sawal kiya... "lagbhag tab se jabse hum dono ne college jana shuru kiya,we are childhood friends..."
"tab to ,tum mujhe Nisha ke bare me bahut kuchh ya phhir ye kahe ki sab kuchh bata sakti ho..." "aur tumhe aisa kyun lagta hai ki main aisa karungi..."mere thik bagal me khade hokar wo boli"main Nisha ke bare me sabkuchh janti hoon,lekin iska matlab ye nahi ki main tumhe uske baare me kuchh batane wali hoon....tumhara ye ghatiya plan flop hai..."
"yaha baat flop ,hit,superhit,blockbuster,all time blockbuster ki nahi hai...yaha baat Nisha ki hai..tumhe andaza bhi nahi hai ki is waqt Nisha kis halat me hai,isliye mujhe uske baare me sabkuchh janana jaroori hai..."
Sonam kuchh der tak waha chup chap khadi sochati rahi aur phhir deewar ki taraf jakar nakhoon se deewar ko kharochane lagi....
.
"puchho...kya puchhana chahte ho..."meri taraf platkar usne kaha..
"sabse pahle ye batao ki kya tum ab bhi Nisha ke ghar jakar usase mil sakti ho..." "No...yadi maine aisa kiya bhi to uske maa-baap meri khatiya khadi kar denge..."
"maine thik aisa hee socha tha,ab ye batao ki kya tum Sonam ke sath college me padhti thi..." "haan,hum dono ek dusare ke best friend the..."
"to phhir Mujhe ye batao ki Vishwakarma aur Nisha ka kya relation tha..." "tum Vishwakarma ko jante "
"kal hee use jana hai..."
"Nisha hamesha se hee akeli rahi thi,uske maa-baap sirf name ke maa-baap the...wo aksar mujhse kahti ki use koyi pyar nahi karta...jabki usne kisi ke sath kabhi jara sa bhi galat nahi kiya aur phhir uski Zindagi me Vishwakarma name ka ek toofan aaya ,jisne pahle shanti se Nisha ko apne jaal me phhasaya aur phhir Nisha ko badnaam karne laga...usne pure class ke samne Nisha ko randi kaha tha, Vishwakarma ke dhokhe se Nisha lagbhag puri tarah mar chuki thi...lekin college ke aakhiri dino me kuchh chamatkar sa hua, Nisha ko dekhkar aisa lagne laga...jaise ki use jeene ki koyi vajah mil gayi hai,jaise ki usne apne liye ek sahara dhoondh liya ho,wo sahara tum the Arman...yadi tum Nisha se na mile hote to shayad wo ab tak zinda nahi bachti...yadi tum uski zindagi me nahi aaye hote to shayad abtak wo ghut-ghut kar mar gayi hoti ya phhir suicide kar leti..."
"phhir usne mujhse jhooth kyun kaha ki uski zindagi me main pahla ladka hoon..."Nisha ke ateet ne jab mere dil ko cheer dala tab maine apna agla sawal kiya...
"Arman,koyi shaks nahi chahega ki uski ek galti ki vajah se uske aaj aur aane wala kal par bura prabhav pade aur shayad isiliye Nisha ne tumse aisa kaha...Vishwakarma,Nisha ke zindagi ki sabse badi galti thi
jiski saza wo bhugat chuki hai...aur ab wo nahi chahegi ki uski zindagi ka sabse bura daur uske aaj ke achchhe daur ko khatm kar de..."
"thanks,ab tum ja sakti ho..."balcony ke bahar aasman ki taraf dekhte hue maine Sonam ko jaane ke liye kaha...
"Arman..."waha se jate hue Sonam boli"yadi tumne zindagi me kabhi koyi galti ki hogi to tumhe iska ahsaas jaroor hoga...aage tumhari marzi..."
.
Sonam ke jane ke baad main bahut der tak aasman ko niharta raha...aaj bahut din baad suraj ne apne darshan diye the,badalo ko bhedati Suraj ki kiran mere andar ek naya josh ,ek naya utsah bhar rahi thi...maine table par rakhe us kagaj ko uthaya jispar Nisha ka email address tha aur turant Nisha ko mail kar diya ki, main Sonam se mil chuka hoon.....
Ab mujhe wo sab beete pal yaad aa rahe the,jab Nisha har waqt mere peechhe paglo ki tarah padi rahti thi...main samajh chuka tha ki uska wo rubab sirf ek dikhawa,sirf ek chhalawa tha...taki main ye na jaan paun ki wo mujhe dil-o-jaan se pyar karti hai...shayad use dar tha ki kahi main uski mazboori ka Vishwakarma ki tarah fayda na uthau...lekin main aisa nahi tha..beshak mujhme kayi burayi hai lekin main dusaro ke armano ki kadra karna janta hoon..isiliye shayad mera name Arman pada ya phhir yun kahe ki mere name Arman hone ki vajah se main is shabd ki paribhasha,is Arman shabd ka matlab samajh paya...aur mujhe maloom hee nahi balki iska ahsas bhi hai ki adhure Armano ka gam kya hota hai.... Pahle jaha main Nisha ki call ko ignore karta tha wahi ab main chahta tha ki ab wo mujhe ek call kare to main uski aawaz sun loon...pahle jaha main kisi na kisi bahane Nisha ke messege ko taal deta tha ab main wahi computer screen ke samne pichhale ek ghante se apni email id kholkar uske messege ka intezaar kar raha tha...main dekhna chahta tha ki wo apni khushi ko shabdo me kaise bayan karti hai...mere liye apne left side me dhadak rahe dil ki dhadkano ko wo kis tarah shabdo me utarti hai...aur yadi in short kahe to "now,i am madly love her "
Update-105
aur yadi in short kahe to"now,i am madly love her "
.
Nisha ke reply ke intezaar me ek aur ghanta beeta lekin mera inbox ab tak khali tha, maine table par ek side rakha hua wo kagaj ka tukda uthaya ,jis par Nisha ki email id likhi hui thi,aur use padhne laga.... "[email protected]" padhte hue mere hontho par ek muskan chha gayi aur maine ek aur email Nisha ko tapka diya.....
.
"abey oye,4 ghante ho gaye computer screen ke samne baithe hue...bol to tujhe hee mail kar du..."Ek chair kheechkar Varun mere bagal me baitha aur khane ki plate mere samne rakh di"le bhar le.." "main to khana khane ke baare me bhool hee gaya tha..."khane ki plate ko lapak kar maine kaha"Arun kaha hai..."
"pata nahi,wo bola ki kuchh jaroori kaam aa gaya hai..." "cigarette-daru lene gaya hoga sala..."
"Arun ko gali bakna band kar aur samne dekh ,shayad usne reply kar diya hai..."
Maine turant plate neeche rakh kar computer screen par nazar gadaya..Nisha ne reply kar diya tha.... "Jail me kaisa lag raha hai,janeman..."
"bahut achchha,main to itni jyada khush hoon ki bata nahi sakti...tum sunao " "apun to bas maze me hai...waise tumhara name kya hai..."
"meri email id me mera name hai..."
"are main to original name puchh raha hoon...Dayan" "facebook par id hai tumhari..."
"nahi..main to anpadh gawar hoon,meri id facebook me kaise hogi..." "link mail karo..."
"kuchh lafda hai,log in karte waqt kuchh error aata hai..." "no problem, Arman mujhe tumse kuchh baat karni hai..." "haan bolo..."
"mera mobile chheen liya gaya hai..."
"to mail kar de...ladkiyo ka dimag hamesha ghutano me kyun rahta hai " "nahi..mujhe baat karni hai..."
"tera wo hitler baap gala daba dega mera yadi main use tere aas-paas dikh bhi gaya to..."
"koyi nahi...raat ko 12 baje jab sab so jayenge tab main call karungi ,mere paas ek extra mobile hai abhi ke liye bye..."
"DAYAN RUK JA KIDHAR KAT RELI HAI"maine jaldi se use messege bhejkar uske reply ka intezaar karne laga...lekin uske baad Nisha ka koyi messege nahi aaya...aur wo raat ko call karegi is ummid me maine computer shut down kiya aur bistar par let gaya....main chata tha ki jald se jald raat ke 12 baje aur Nisha ka call aaye...abhi raat ke 8 hee baje the ki mujhse thodi door rakha mera mobile bajne laga aur main lapak kar mobile ke paas ja pahucha aur call recieve ki...
"haan murgiyo ke ando ka sirf ek truck pahucha hai ,dusara abhi tak nahi aaya,bhai dekho maal kaha fasa pada hai..."
"wrong number..."maine kaha aur call disconnect kar di...lekin uske agle hee pal ek baar phhir usi number se call aaya....
"are yar dekho maal kaha fasa hai, yadi dono truck nahi aaye to main teri biwi ko aakar chodunga..." "*** chuda apni tu,BC yadi dobara call kiya to phone ke andar ghuskar gand marunga,sale harami
,bakchod..."galiya bakte hue maine mobile bistar par patak diya...
"beta abhi to char ghante baki hai...mujhe to dar hai ki 12 baje tak kahi tu pagal na ho jaye..."ek pair bistar se neeche hilate hue Arun bola
"time pass kaise karu..."
"apun ke paas ek sujhav hai..."beech me Varun bola... "na..nahi....never..."Varun ka ishara saajhkar maine kaha.. "haan...abhi...isi waqt..."
"abey har time tujhe main kahani sunate rahu kya...sale main bhi insan hoon...bolte-bolte mera bhi muh thak jata hai"
"yahi to pyar hai "
.
man thoda bhari tha aur bechain bhi...isliye ek small peg maarkar main bistar par baitha aur mere agal- bagal Arun-Varun takiye par tek dekar pasar gaye...
.
Gautam ke tournament me jaane ke baad ek bahut bada kand hua...aisa kand jisne mujhe ek pal ke liye dotarfa baant diya tha,matlab ki mere sharir ke do hisse...main kuchh palo ke liye confuse ho gaya tha ki kiska sath du aur kiska sath chhodu......
Gautam ab bhi tournament ke chalte bahar tha aur main ,Arun ke sath canteen me baitha hua tha....Arun apni wali ko line de raha tha aur main apni wali ko...farak sirf itna sa tha ki Arun wali Arun ko mast responce de rahi thi aur meri wali mujhe dekh tak nahi rahi thi.....
"wo dekh paas wali table khali ho gayi,chal udhar chalte hai..."Arun ka hath pakadkar maine kaha aur use uthane laga...
"abey marwayega kya..."apna chhudakar Arun bola... "dar mat aaja.."
"abey chal ja..." "aana na kutte.."
"nahi aaunga kamine.."
"lawda muh me de dunga,aaja nahi to..."
"main gand mar lunga teri...chup chap baith ja nahi to..." "bhool mat ki main Arman "
"aur tu bhi mat bhool ki main Arun "
"teri to....kaiku kha rela hai ,chal na...tera bill main bhar dunga..." "kya sach me "
"maa kasam "
"ab rulayega kya pagle,chal aaja..."
aur phhir hum dono uthe aur canteen par idhar-udar nazar maarkar Esha ke paas wali table par baith gaye....
"waiter do plate samosa, do pepsi aur do pani pouch lana jaldi se..."taav dekar Arun cheekha...
Arun ke cheekhne ke baad main kuchh aisa sochane laga jisase Esha meri taraf dekhe aur mujhse ladayi kare...
"yar Arun,tune meri billi dekhi hai kya..." "ab ye billi kaun hai..."
"abey wahi,jiska rang gora hai...baat-baat par gussa ho jati hai..."maine haste hue kaha aur aankhe tirachhi karke Esha par nazar dali...uske chehre ka rang is samay gusse se laal hua ja raha tha...
"tumne kaha tha ki yadi main tumhari friendship request accept kar lungi to tum mujhe pareshan karna band kar doge...aur mujhe billi bhi nahi kahoge..."
"main aajkal gajini ban gaya hoon,sab kuchh bahut jald bhool jata hoon..."uske samne baithte hue maine kaha....
"tu Esha ko billi bolta hai "jor jor se haste hue Arun bhi waha se utha aur jakar Divya ke side me baith gaya....
Arun ko hasta dekh ,Divya bhi has padi aur finally Esha ki halat dekhkar main bhi muskura utha...jab tak Arun hans raha tha,jab tak Divya hans rahi thi...tab tak to Esha shant thi...lekin jaise hee main hansa to uske andar mano jwalamukhi phhoot gaya aur wo gusse me boli...
"main billi to tum billa..." "chal aaja phhir konte me "
Aage Esha kuchh kahti ya phhir main kuchh kahta ,uske pahle hee hostel ke 3rd year ka ek ladka apne kuchh dosto ke sath waha aaya aur ek jhatke me table par rakhe pani ke glass ko uthakar Divya ke muh par pura pani daal diya....ek pal ke liye to main jaise sakte me aa gaya ki ye kya hua......
"teri maa ki....."Divya ki ye halat dekhkar Arun us ladke ki taraf palta,jisne ye harkat ki thi...."Naushad Sir,aap...."hostel me rahne wale senior ko dekhkar Arun bola....uska gussa Naushad ko dekhkar ek pal me thanda ho gaya tha,...
"tu chal abhi ja yaha se,mujhe apna private matter suljhana hai..."Arun ko khada karke Nausnad uski jagah baith gaya aur hostel ke dusare seniors ne mujhe bhi waha se jane ke liye kaha....
"bheege honth tere...pyasa dil mera..."gungunate hue Naushad ne apna hath Divya ki taraf badhaya... "Sir...wo meri dost hai,.."Naushad ka hath pakad kar Arun bola...
is waqt Divya aur Esha ka bhi chehra feeka pad chuka tha, dono ki aankho me dar ki ek lahar daud rahi thi...jiska andaza maine laga liya....
"teri dost hai to kya apun ko thappad maregi...aaj to main isko nahi chhodunga...sale dono bhai-bahan apne baap ke dam par bahut uchakte hai..."Naushad ne apna hath chhudakar Arun ko aankhe dikhayi
.
canteen me mamla bigadte dekh ,waha kaam karne wale beech-bachav ke liye aage aaye,lekin un sabko Naushad ke dosto ne wapas bhaga diya aur canteen me maujood sabhi students ko waha se jane ke liye kaha....
"aaj to bang hokar rahega...wo bhi ek ka nahi do-do ka..."kahte hue Naushad ne Divya ka hath pakad kar use apni taraf kheech liya.
Update-107

Yadi is waqt waha Naushad ki jagah koyi dusara ladka hota to main turant usase bhid jata,lekin yaha situation alag thi...Naushad hostel me rahta tha aur sath me mera senior bhi tha aur barso se chale aa rahe rule ke anusar mujhe Naushad ka sath dena chahiye tha...bhale hee galti kiski bhi ho....
Naushad ke changul se Divya khud ko chhudane ki koshish karti rahi,lekin wo kamyab nahi ho payi... "itna fudak mat,abhi teri sari garmi utarta hoon..."
"ye galat hai..."himmat karke maine Naushad ko Divya se door kiya...
"teri maa ki...tu hota kaun nai be mujhe sahi-galat samjhane wala...shayad tu bhool raha hai ki main tera senior hoon...chal ja yaha se warna main bhool jaunga ki tu Arman hai aur mere hostel me rahta hai..."kahte hue Naushad ne mera collar pakad liya...
"Naushad bhai...aakhir baat kya hai..."shant lahje me maine Naushad se puchha...
"maine aaj subah iska hath kya pakad liya,sali ne sabke samne ek jordar tamacha mere gaal par de mara...lawdi bahut uchak rahi thi.." dhakka dekar Naushad ne mujhe waha se jane ke liye....
"chalo beta..Arun-Arman ,dono bahar jao...ye humara matter hai..."hostel ke dusare seniors jo waha Naushad ke sath aaye the,unhone hume jabarjasti pakad kar canteen se bahar kar diya...
jab mujhe aur Arun ko hostel ke seniors canteen se dhakka dekar bahar kar rahe the,tab ek waqt ke liye meri nazare Esha se mili...wo is waqt andar tak dari hui thi,lekin kuchh bolne,kuchh kah pane ki himmat usme nahi thi...jab mujhe dhakkar dekar canteen se bahar nikala ja raha tha to Esha ki aankhe mujhse madad ki guhar laga rahi thi...uski safed surat laal rang ki murat me tabdil hone lagi thi...maine kabhi kalpana tak nahi ki thi ki main Esha ko is halat me dekhunga...aur maine jab kuchh nahi kiya to uske aankh se aansu ki kuchh boonde uske gaal ko bhigoti hui uske hontho se hote hue zameen par gir padi....lekin main phhir bhi kuchh nahi kar paya,kyunki isase hostel ke ladke hee mere khilaf ho jate aur ye Naushad wahi ladka tha jisne Varun ko marne me meri madad ki thi...mere dil ke is waqt do tukde ho chuke the,ek hissa mujhse kah raha tha ki main Naushad ki baat maankar chup-chap yaha se chala jaun..to dil ka dusara hissa mujhe dhikkar raha tha,mere dil ke dusare kone se aawaz aa rahi thi ki Canteen me jo kuchh ho raha hai,jo kuchh hone wala hai,usase do zindagiya barbaad ho jayegi aur us barbaadi ka jimmedar main rahunga...isliye main un dono ki madad karu.....
.
Main ek rule ke liye ye sab kuchh nahi hone de sakta tha aur ye condition aisi thi ki mera 1400 gm ka brain bhi thapp pada hua tha...mujhe koyi tarqeeb sochane ke liye kuchh waqt lagta par kambakht waqt hee to nahi tha mere paas....uspar se meri kahi hui chand lines jo maine khud Esha se kahi thi wo mujhe yaad aa gayi....
"tere ishq me yadi koyi mere seene me khanjar khop de.... ya phhir dil nikal kar use angaro ke beech rakh de,
mujhe iski parvah nahi,lekin yadi teri aankho se...
aansu ka ek boond bhi nikla to wo mere liye kayamat hai...."
.
"Arman,kuchh kar na,warna aaj jo hone wala hai uska anjaam bahut bura hoga..." "well...pahle ek baat bata, tu maar khane se darta to nahi..."
"koshish karunga..."
"to chal aaja,ek plan hai mere paas..." "kaisa plan..."
"plan ye hai ki Esha aur Divya ko kaise bhi karke canteen se nikalna hai aur seniors par hath bhi nahi uthana hai aur to aur hume iska bhi khayal rakhna hai ki Un dono items me se koyi bhi bahar jakar
Naushad aur uske dosto ki shikayat na kare.." "kya ye mumkin hai..."
"ofcource ,yaad hai maine kya kaha tha ki kabhi ye mat bhoolna ki main Arman " "bhaiya ji,apni badayi baad me karna,pahle ye batao ki plan kya hai..."
Maine Arun ko pakda aur Canteen ke gate par jo ki aadha khula hua tha uspar puri taqat se Arun ko dhakel diya...gate se takrane ke karan ek jordar aawaz hui...
"BC,tujhe yaha se jane ke liye kaha tha na...."Arun ko Canteen ke andar dekh Naushad ne apne dosto ko galiya bhi baki ki unhone canteen ka gate kyun band nahi kiya...
"main bhi hoon idhar..."Canteen ke andar kisi hero ki tarah entry marte hue maine kaha..."sala jab bhi Action wala scene hota hai, mera goggles mere sath nahi rahta...:angry :"
"waise tera plan kya hai,mujhe ab tak nahi pata..."kapde jhadte hue Arun khada hua... "Plan ye hai ki tu jake Naushad ke upar kood pad,main bakiyo ko dekhta hoon..."
"sale,maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki tu itna ghatiya plan bhi banata hai...Naushad to aaj mera kachumar bana dega..."lambi saans bharte hue Arun ne kaha aur seedhe jakar Naushad ke upar kood pada...
Arun ke dwara kiye gaye achanak is hamle se Naushad ne apna control kho diya aur ek taraf gir pada...Naushad ke girne ke sath hee Divya bhi ek taraf gir padi aur maine turant jakar Divya ko sahar dekar uthaya aur Esha ke sath use waha se bhag jane ke liye kaha.....lekin is waqt mere samne hostel ke teen seniors khade the....
"do ko to main rok lunga,ek ko tum dono sambhal lena...." "lekin kaise..."hafte hue Divya boli...
"tum dono ke upar ka mala khali hai kya, itne saare glass ,plate table par rakhe hai...sab fod dena uske upar..."
"thik hai..."
Aur maine aisa hee kiya...do ko maine badi mushkil se sambhala aur teesare ke sar par Divya aur Esha ne kanch ki glass fod dali aur waha se bhag gayi....dono ko bhagte dekh main bhi waha se utha aur bahar jakar un dono se kaha ki...wo dono ye baat kisi ko na bataye aur jakar parking me khadi apni car par aaram kare main ,thodi der me unse milta hoon....
.
Waise un dono par yakin karna ki wo dono waisa hee karengi jaisa ki maine unhe kaha hai...is par yakin karna thoda mushkil tha...khair iske aalawa koyi dusara rasta bhi to nahi tha...khud ko majboot karke main wapas canteen me ghusa...jaha Naushad aur hostel ke teeno senior Arun ki thukayi karne ke liye taiyar khade the...
"listen...gentlemen and gentlemen..."pahle maine apne hatho ki ungaliya chatkayi aur phhir gardan...uske baad maine apne shirt ka collar khada kiya ,jisase un sabko aisa lagne laga ki main unse bhidne ke liye taiyar hoon...lekin mera plan kuchh dusara tha..maine ek baar aur apni ungaliyo ko dusare angle se foda aur phhir kaha"Naushad bhaiya,hum dono maar khane ke liye taiyar hai "
.
Mujhe andaja tha ki ab Naushad aur uske dost hum dono bahut jamkar kutayi karenge...unke gusse ko dekhkar bhi yahi lag raha tha...lekin unhone aisa nahi kiya,unhone hume jyada nahi sirf do-teen thappad aur char-paanch ghuse hee mare aur dhamki di ki wo log aaj raat me hum dono ko jaan se maar denge....
"chal uth,abhi plan ka ek aur hissa baki hai..."Arun ko zameen se uthate hue maine kaha... "gand maraye tu ,aur tera plan...bose dk,hath mat laga mujhe..."karahte hue Arun uthkar baith
gaya"sale ye canteen wale bhi maha MC hai,jo lafda shuru hote hee yaha se khisak liye..." "ladki chahiye to maar khana hee padta hai..."
"are land mera...sale tujhe collar upar karte dekh maine socha tha ki tu ab in sabko marega lekin tu to ek number ka phhattu nikla...haye ram! Us BC Naushad ne seedhe ek laat pet par de mari hai...lagta hai mere liver phhat chuke hai...tu aaj ke baad mujhse baat mat karna..."
"abey itna bhi nahi mara un logo ne,jo tu aise laundiyo ki tarah ro raha hai...sale tu desh ki sewa kaise karega phhir,desh ke liye tu jaan kya dega jo itni si maar na sah saka..."
"are bhad me jaye desh...lawde jab tu Divya aur Esha ko lekar yaha se bhaga tha,tabhi un charo ne milkar mujhe jamkar thoka,...."
"le pani pee ,sham ko daru pilaunga...aur tu kahe to abhi ,isi waqt Divya se bhi baat karata hoon..." "daru-pani chhod,pahle Divya se baat karwa...jiske liye maine itni maar khayi hai..."mere kandhe ke sahare khada hote hue Arun karahte hue bola"waise ye bata ki ab Divya mujhse impress to ho jayegi na..."
"beta Divya impress tab hui hoti ,jab tu pit kar nahi peet kar aaya hota...." "tu sale dost ke name par kalank hai..."
"aur ye kalank zindagi bhar nahi "
.
Waha se hum dono parking ki taraf badhe aur main raste bhar yahi dua karta raha ki Esha ,Divya ke sath wahi maujood ho...kyunki ye mere 1400 gm ke dimag me upaje plan ka hissa tha aur yadi aisa nahi hua to phhir ek bahut bhayanak toofan aane wala tha,jise main chahkar bhi nahi rok pata...par meri kismat ne yaha par mera sath diya ,jaisa ki aksar deti thi....kabhi-kabhi to mujhe shaq hone lagta ki main kismat ka gulaam hoon ya kismat meri gulaam hai....
.
"billi darwaja khol..."Car ke sheeshe par knock karte hue maine kaha aur Arun ko wahi khada kar diya lekin uske agle pal hee Arun zameen me bikhar gaya,usase apne pairo par khada bhi nahi hua ja raha tha....
.
"sharir ka jo ek-do hissa sahi-salamat hai,tu uska bhi bharta bana daal..."zameen par pade-pade wo mujhpar cheekha...
"sorry yar,maine dhyan nahi diya..."
maine Arun ko sahara dekar wapas uthaya aur car ke andar use baithane ke baad main khud bhi car ke peechhe wali seat par baith gaya...
"chalo..."car ke andar baithkar maine Divya se car chalane ke liye kaha... "kaha chale..."peechhe palat kar Esha boli...
"America chal,japan chal,chine chal,pakistan chal...jaha marzi ho waha chal...lekin is waqt yaha se chal...billi kahi ki,dimag to hai hee nahi "
Divya ne car start ki aur car ko college ke main gate ki taraf teji se daudane lagi...
"abey tune in dono ko to bacha liya,lekin ab sawal ye hai ki Naushad aur pure hostel se hume kaun bachayega....ab to na ghar ke rahe na ghat ke...matlab ki na city walo ke rahe aur na hostel walo ke...jaha jayenge thuk kar aayenge...Arman tune to mujhe jeete jee maar diya.."
"kya yar tu bhi aise toofani situation me aisa sada sa dialogue maar raha hai...aur hostel walo ki fikar chhod de ,kyunki abhich mere bheje me ek new plan aayela hai..."
Update-108
"kya yar tu bhi aise toofani situation me aisa sada sa dialogue maar raha hai...aur hostel walo ki fikar chhod de,kyunki abhich mere bheje me ek new plan aayela hai..."
.
Mera mobile ek baar phhir baj utha aur maine ghadi me time dekha...ghadi ka sabse chhota kaanta ab bhi sirf 9 par atka hua tha,lekin phhir bhi mujhe aisa laga ki shayad ye call Nisha ne ki hogi....main turant bistar se utha aur koodkar table par se apna mobile uthakar screen par nazar dali...number unknown tha lekin kuchh jana-pahchana sa lag raha tha....
"hello..."
"kya yar Balram bhai...maal abhi tak nahi pahucha, bhai murgiyo ke ando wala ek truck aakhir hai kidhar....kab tak intezaar karu..."
Ye sunte hee maine number par nazar dali aur samajh gaya ki kyun mujhe ye number jana-pahchana sa lag raha tha...
"kya bola,maal abhi tak nahi pahucha..."
"are nahi pahucha...warna kya main jhooth bolta ,tere chakkar me main ek se gali bhi kha chuka hoon..." "ek kaam karo, apne dono ande nikal kar bhijwa do..."
"oye balram kya bak raha hai..."
"beta agar agli baar se is number par call kiya to tere ande nikalkar tujhe hee khila dunga...bakchod sale,anpadh...phone rakh lawde"
.
"kaun tha..."Arun ne mera laal hota hua chehra dekhkar puchha...
"pata nahi sala koyi ande wala hai...galti se baar-baar mujhe hee call laga deta hai...chodu sala"
"are hata us ande fande wale ko aur tu aage bata ,phhir kya hua..."Varun ne mujhe pakda aur pakad kar seedhe bed par kheech liya...
"Arun ki sangat me tu bhi gay type harkat karne laga hai..." "koyi baat nahi...tu aage bata.."
.
.
"tum dono aaj canteen me jo hua,uska jikra kisi se bhi mat karna...apne aap se bhi nahi..."jab Car college ke bahar pahuchi to maine Esha aur Divya se kaha...
"aisa kyun...hum to iski shikayat Principal se karenge..."Esha se turant peechhe palat kar jawab diya...
"aur main iski shikayat apne dad se karungi..."Divya ne bhi peechhe palat kar jawab diya...
"pahli baat to ye ki Divya tu aage dekh kar drive kar aur dusari baat ye ki "Esha ki taraf dekhkar maine kaha"sun billi,yadi aisa hua to un dono ka career kharab ho jayega lekin mujhe unke career ki bilkul bhi parvah nahi hai darasal baat ye hai ki yadi ye mamla college me uchhala to iska result ye hoga ki Naushad aur uske dost college se nikale jane ke sath-sath jail bhi jayenge..."
"to isme problem kya hai..."Divya ek baar phhir peechhe mudkar boli...
"tu aage dekh ke car chala na warna kisi ko thok-thak diya to satyanash ho jayega..."
"Divya ne sahi kaha,isme problem kya hai...unke sath aisa hee hona chahiye..."Divya ka Samarthan karte hue Esha ne kaha"don't worry ,hum tum dono ko involve nahi karenge..."
"sun re felino...is case me hum dono kabke involve ho chuke hai...aur main aisa isliye kah raha hoon kyunki Canteen me humari thukayi karne ke baad unhone hume jaan se marne ki dhamki di hai..." "aawwww...."main apni baat complete nahi kar paya tha usase pahle hee dono ne aawww karke mujhe rok diya....
"kya aawwwww , "
"phhir to tumhe bhi security officer me complain karna chahiye..."Divya teesari baar peechhe mudkar boli... "tu aage dekh ke car chala na...main bahra nahi hoon, bina meri taraf dekhe tu kuchh bolegi tab bhi main sun "main ek baar phhir Divya par chillaya aur jab Divya aage mud gayi to bola"dekho
tum dono samajh nahi rahe ho...yadi un dono par case hua to hostel wale humare khilaf ho jayenge aur phhir mere sath-sath Arun bhi shahid ho jayega..."
"to isase hume kya lena-dena..."
"wah ! Yadi yahi baat hum dono ne us waqt sochi hoti,jab Canteen me tu Naushad ke shikanje me thi...to shayad ye situation aati hee nahi...yadi dimag nahi hai to mat chala ,jitna bol raha hoon utna kar...kam se kam mere bhai jaise mere is dost ki halat par to raham khao papiyo...dekh nahi rahi iski halat..."
"hii Divya..."Divya ne jab car ke mirror me Arun ko dekha to Arun chahkta hua bola.. "hii Arun..."mirror me dekhkar Divya ne jawab diya...
"abey tum dono apna hi,bye...band rakhoge..kuchh der ke liye"
"okay,hum tum dono ki baat manne ko taiyar hai..."aage mudte hue Esha ne kaha... "thanks my felino..."
"pahle billi ab felino..iska matlab kya hua...lekin ye name achchha lagta hai,Felino" "jyada khush mat ho billi,Felino ko Spanish me billi hee kahte hai..."
.
Uske baad hum dono car se utar gaye aur un dono ko jane ke liye kaha.... "abey tune kaha tha tere paas ek idea hai ,Naushad ke kahar se bachne ka..." "haan, hai na..."
"mujhe bhi bata wo idea kya hai.." "Sidar..."maine muskurate hue kaha .
uske baad maine Sidar ko call kiya aur use sari ghatna batayi...shuru-shuru me MTL bhai mujh par bhadak uthe aur bole ki duniyabhar ke sare lafde me main hee kyun fasta hoon...lekin baad me meri request par wo hostel aane ke liye taiyar ho gaye,unhone mujhse ye bhi kaha ki jab tak wo mujhe call karke hostel aane ke liye na kahe main hostel ke aas-paas bhi na dikhu....MTL bhai ki call ke baad main aur Arun lagbhag char ghante tak bahar hee rahe aur phhir raat ke 7 baje Sidar ka call aaya....
.
"chal,hostel chalte hai...Sidar pahuch gaya hai..."
"mujhe ab aisa kyun lag raha hai ki humne canteen me jo kiya,wo hume nahi karna chahiye tha..."
"tujhe aisa isliye lag raha hai,kyunki teri puri tarah se phhat chuki hai...ab chup-chap hostel chal warna mere hatho shahid ho jayega..."
.
Jab hum dono hostel ke andar dakhil hue to hostel me rahne wala har ek ladka hume ghoor kar dekh raha tha,unke chehre se aisa lag raha tha ki jaise wo mujhse kahna chahte ho ki unhe ,mujhse aisi ummid nahi thi...
Arun ke sath main seedhe Amar sir ke room me ghusa jaha Sidar,Amar ,Naushad aur uske canteen wale dost baithe hue the...
"aa gaya sala, BC harami..."mujhe dekhte hee Naushad ne galiya baki...
Naushad ka is tarah se sabke samne gali bakna mujhe pasand nahi aaya aur maine bhi us gandu ko apne tever dikhate hue bola"MC ,chup rah...tu Senior hai ,sochkar main canteen me maar kha gaya...lekin yadi ek lafz bhi aur bola to yahi patak-patak kar chodunga aur tu mere lund ka ek baal bhi nahi ukhad payega..."
"maar MC ko, dayi chod de sale ki.."Arun bhi gusse se bhadak utha...
"bas bahut ho gaya..Naushad tu chup rah aur tum dono bhi apna muh sil lo...warna teeno ko marunga..."Sidar ne tez aawaz me kaha,jiske baad hum sab shant ho gaye....
"Arman pahle tu bol ki,tu hostel walo ke khilaf kyun gaya...ye jante hue bhi ki Naushad ne Varun ko marne me tera sath diya tha..."
"ek minute MTL bhai...pahle main aapko ek example deta hoon..."Sidar ke paas jate hue main bola"yadi aaj canteen me undono ladkiyo ki jagah par Vibha aur meri jagah par aap hote....to kya aap kya karte..." "tu baat ko ghuma raha hai Arman...sach ye hai ki na to main waha tha aur na hee Vibha..."
"sawal ye nahi hai ki mai kya kah raha hoon,sawal ye hai ki main kahna kya chahta hoon...instrument wahi hai,obstacle bhi wahi hai...bas observer dusara hai to kya hum us instrument ki theory badal dete hai, nahi na...bas main yahi samjhana chahta hoon,that's all"
.
.
"ektarfa beedu..."Varun mujhe beech me hee rok kar bola"aaj tune sabit kar diya ki tu mera dost hai..." "thanks "bolte hue maine ghadi me time dekha...ghadi ka sabse chhota kaanta ab 10 me aane ko bekarar tha,..
"ek baat kahu ,tune Sidar ki source ka bahut solid tarike se istemaal kiya hai..."
"that's true..jab tak wo humare sath raha , maine uska istemaal bahut achchhe se kiya tha..."bolte hue main bistar se cigarette ka packet lene ke liye uth khada hua...
"tune ye kyun kaha ki tune uska istemaal tab tak kiya,jab tak wo tere sath raha..."
Varun ke is sawal ka jawab dena mere mushkil kamo me se ek tha,lekin use sach to maloom hee padta,aaj nahi to kal main khud use ye sach batane hee wala tha...maine ek cigarette sulgayi aur lamba kash lene ke baad bola..
"maine aisa isliye kaha kyunki Sidar ab zinda nahi hai..."
Update-109

Arun ye sach pahle se janta tha lekin Varun ko ye sach ek jhatke me maloom chala tha ,isliye Varun is waqt jhatka khakar shant baitha tha,Sidar ab zinda nahi hai...ye sunkar Varun ki aankhe badi ho gayi,muh khula ka khula rah gaya aur dimag shunya ho gaya tha....wo kafi der tak mujhe cigarette ke kash lete hue chup-chap dekhta raha, wo shayad is waqt soch raha tha ki main Sidar ke death par itna normal behaviour kaise kar sakta hoon....par sach ye nahi tha, sach ye tha ki main khud bhi bahut bechain hua tha,jab mujhe Sidar ke maut ki khabar mili thi...us pal,us samay,us waqt jab mujhe ye badjaat aur manhoos khabar mili to mujhe yakin hee nahi ho raha tha ki Sidar ab nahi raha ,jab tak ki maine apni aankho se khud Sidar ke body ko nahi dekha tha....main ye soch kar chal raha tha ki ye sab jhooth hai,Sidar aise ,kaise mar sakta hai...lekin mere yakin karne ya na karne se sach nahi badal jata aur na hee mujhme aur kisi aur me itni kabiliyat aur taqat hai ki wo sach ko badal kar rakh de.....
Varun ab bhi ekdum khamosh tha aur main cigarette ke kash par kash liye ja raha tha...jab cigarette khatm hui to maine cigarette ko apni ungaliyo ke nakhoon me fasaya aur door rakhe dustbin par nishana lagakar uchhal diya....
"goal..."
"yar,main kabhi Sidar se nahi mila lekin phhir bhi uske baare me sunkar sadma sa laga hai...kuchh karne ki ichchha jaise khatm si ho gayi hai..."badi Mushkil se Varun sirf itna hee bol paya...
"kisi se judne ke liye usase jaan-pahchan jaruri nahi...judav dil se hota hai,surat se nahi..." "ye sab ekdum achanak se kaise hua...Sidar ki maut kaise hui ?"
"mere khayal se mujhe dheere-dheere karke sab batana chahiye...lekin yadi tu chahta hai ki main direct Sidar ke death point par aaun,to mujhe koyi problem nahi..."
"nahi...dheere-dheere karke bata.."
Maine ghadi me time dekha ,is waqt 10:30 baj rahe the,lekin Nisha ki call ka abhi tak koyi aata-pata nahi tha,isliye maine kahani aage badhayi.....
.
"Sidar bhai,ye aapko baato me fasa raha hai....yaha question ye hai ki Arman aur Arun humare khilaf kyun gaye...jabki maine in dono ko pyar se samjhaya bhi tha ki waha se chale jaye..."Naushad ne apna jaal feka...
ab tak Amar sir ke room ke bahar hostel ke lagbhag sabhi ladke mauzood ho chuke the, jo deewaro,darwajo aur khidkiyo par apne kaan lagakar band darwaje ke peechhe kya ho raha hai...ye sun rahe the...Naushad ke is sawal se main ek baar phhir shikange me fasne laga tha aur mujhe jald se jald kuchh na kuchh karna tha...is waqt Amar sir ka ye room kisi adalat ki tarah tha,jaha judge ke taur par
MTL bhai the, Naushad yaha kisi pidit ke taur par tha,jisne mujh par case thoka tha....yaha aur asaliyat ki adalat me farak sirf itna tha ki dono party apni vakalat khud kar rahi thi...matlab ki Naushad mujh par aarop par aarop dekar mujhe mujrim sabit karne par tula hua tha aur main un aarop se bachne ki koshish me khud ki pairavi kar raha tha.....
.
Naushad aur uske dosto ka kahna tha ki maine hostel ki barso se chale aa rahe niyam ko toda hai,jiski saza mujhe milni chahiye aur mera kahna tha ki maine niyam isliye toda kyunki ye us waqt jaroori tha..kyunki koyi bhi niyam ,kanoon kisi ki zindagi se bade nahi hote....
"Sidar bhai,main to bolta hoon ki ,aap yaha se jao aur in dono ko humare hawale kar do...salo ko sab sikha denge..."Naushad ne kaha ,jiske baad uske dosto aur room ke bahar khade hostel ke ladko ne uska samarthan kiya....
"ek minute ,MTL bhai...maine aaj canteen me jo kiya wo sab Naushad aur uske dosto ki bhalayi ke liye kiya....ab aap socho ki ye dono jo karne ja rahe the,uske baad inka kya haal hota...."
"kya hota,koyi kuchh nahi ukhad pata mera "Naushad beech me bola..
"sun be Naushad...jitani der tak ijjat de raha hoon...le le warna abhi NSUI ke laundo ko bulwakar marwa dunga..."uske baad maine Sidar ki taraf dekhkar kaha"MTL bhai, yadi aaj canteen me ye sab apna kaam kar diye hote to bahut lamba case banta, college se nikale jate...saat saal jail me sadte aur to aur ye bhi ho sakta tha ki ye charo kal ka suraj nahi dekh pate kyunki Esha aur Divya ,humare college ki koyi mamuli ladki nahi hai...jinke maa-baap apni duhayi lekar security officer station me bhagte phhirenge...ek ka baap is shahar ka bahut bada businessman hai to dusare ka baap is shahar ka don...wo dono milkar Naushad aur iske chutiye dosto ko kutte ki maut marte, inka lund kaat dete aur jab kal subah hota to inki lash kisi anath ki tarah sadko par padi rahti....aur phhir nateeja ye hota ki inke gharwalo ko security officer ke chakkar katne padte..."maine Amar sir ke room ka darwaja khola aur jo-jo log darwaje par kaan lagaye hue the,meri is harkat ke karan wahi gir gaye aur un sabko dekhkar maine kaha"ab tum sab hee batao ki sahi kya hai aur galat...aur rahi hostel ke seniors ki respect ki baat to in charo se puchho ki canteen me maine kya inpar ek bhi baar hath uthaya ? Ye mujhe aur Arun par apni frustation nikalte rahe,hume marte rahe...lekin humne kuchh nahi kaha,yaha tak ki inse maar khane ke baad maine aur Arun ne un dono ladkiyo ke pair pakad kar in charo mahapursho ki harkat par maafi bhi mangi aur unse request bhi ki..ki wo ye baat kisi ko na bataye aur unhone humari baat maan bhi li hai...that's all aur mere khayal se ab kahne aur sunne ko kuchh nahi bacha hai...Am i right MTL bhai..."
.
Phhir kya tha...jaha kuchh der pahle hostel ke ladke mujh par naraj the wo ab mujhse khush the,hostel ke sabhi ladke..included my kamine friends Arun aur Saurabh(jo meri tareef kabhi nahi karte ) bhi meri tareef kar rahe the...hostel ke sabhi lafango ne Naushad aur uske dosto ko chodu,gandu kaha...kuchh ne unke pichhwade par ek do laat bhi mari....
Adalat ka faisala mere paksha me hua aur jab MTL bhai ,raat ko apne ghar ja rahe the to unhone mujhe bulaya...
.
"kafi achchha plan banaya tune..."
"koyi plan nahi banaya Sidar bhai...jo sach tha ,wahi bola..."
"Arman ,apne shabdo ke jaal me kisi aur ko fasana...mujhe pura yakin hai ki tune ye sare equation sirf isliye jode,taki tu un dono ladkiyo ko bacha sake aur phhir baad me khud ko...sabse pahle tu canteen se bahar aaya aur mere khayal se tu confusion me tha ki hostel wale ka sath do ya phhir un dono ladkiyo ka,..uske baad tune Esha ka sath dene ka socha aur undono ko canteen se bahar bhaga diya...tune
Naushad aur uske dosto par hath bhi nahi uthaya taki tu mere aur sare hostel walo ke samne apna paksha mazboot kar sake...tune mujhe apne plan me tabhi shamil kar liya tha,jab tu Esha aur Divya ko bachane ke liye canteen me ghusa aur mere khayal se tune un dono ko ye bhi kaha ki wo dono canteen wali baat kisi ko na bataye,jisase ye mamla rafa-dafa ho jaye...aur phhir tune mujhe call kiya kyunki tu janta tha ki hostel wale meri baat manenge aur tu ye bhi janta tha ki main teri hee side lunga...Am i right
,Arman "
"sach to yahi hai lekin mujhe laga nahi tha ki aap sach jaan jaoge..."
"ek baat yaad rakhna Arman ki is hostel me tere ab char dushman ho gaye hai...ye char ,chalis me tabdil na ho jaye...iska khayal rakhna..good night, ab main chalta hoon..."
"main kabhi ye nahi sochta ki mere dushman kitne hai...main hamesha ye sochta hoon ki mere dost kitne hai....yadi ye char,chalis me badal jaye...to main koshish karunga ki mere do dost, 200 me badal jaye...wo kya hai na MTL bhai ki zindagi me jab tak maar-dhad jaisa action,adventure na ho to zindagi jeene me maja nahi aata... good night and take care..."