Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#80
Chapter-24:before the exam
Update-85
"dil pe nahi ,muh me le le aur abhi rona band kar ,bade bhaiya aate hee honge..."
.
Uske baad bade bhaiya ka ek aur call aaya jab wo hostel ke bahar khade the...main turant bhag kar bahar gaya aur unke pair chhukar unke hath me jo bhi khane-peene ka samaan maa ne ghar se mere liye bhijwaya tha use apne hatho me lekar bhaiya ke sath apne room par aaya....
humare hostel me rahne wale laundo ki sabse buri aadat ye thi ki yadi unhe maloom chal jaaye ki falana ladke ke ghar se koyi milne aaya hai to wo us falana ladke ke room me kisi na kisi bahane se jakar ye dekhenge ki khane ka saman aaya hai ki nahi aur yadi khane ka saman aaya hai to kitna aaya hai.....mere sath bhi yahi ho raha tha, jab se bade bhaiya room me baithe the tab se kayi ladke room me aate ,bade bhaiya ko namaskar karte aur phhir bistar par pade khane ke bag ko dekhkar chale jaate.....
"tere hostel ke ladko ko koyi kaam dham nahi hai kya ,jab se dekh raha hoon ,10-12 ladke tere room ka chakkar laga chuke hai...."bade bhaiya ne puchha...
"wo sab chhodo aur ye batao ki is tarah achanak kaise aana hua..."
"wo pitaji ne kaha tha ki main tujhe bina bataye hee aaun,jisase hume maloom chal sake ki tu rahta kis haal me hai..."pure room ki taraf C.I.D. Wali nazar dalte hue bade bhaiya ne aage kaha"well...room to saaf karke rakkha hai...good"
"thank you "
"tera naam kya hai bhai..."Arun ki taraf dekhte hue bade bhaiya ne kaha...
Arun is waqt book kholkar padhne ki nautanki kar raha tha, jaise hee bade bhaiya ne sawal puchha usne tapak se apna name bataya aur phhir padhne me busy ho gaya...
"Arman,that's the spirit,...aise hote hai padhne wale ladke..."Arun ka example dete hue unhone Arun se uske first semester ke result ke baare puchha...
"all clear..."
"clear to sirf ek din padhne wale bhi kar lete hai yar..."
"8.9 ,class me 3rd rank.."Arun ne ekdum serious hote hue jawab diya aur phhir dusari book kholkar padhne baith gaya....
.
jab bade bhaiya Arun se sawal-jawab kar rahe the tabhich mujhe dhyan aaya ki Aalmari me cigarette ki kuch packets rakkhi hui hai...
"kahi bhaiya Aalmari na khol de, warna saari ijjat ka kabada ho jayega " "ye teri Aalmari hai..."
"haan...na..mera matlab haan,lekin kyun...aapne kyun puchha..." "khol to..."
"wo abhi nahi khul sakti..."
"abhi nahi khul sakti...aisa kyun, kya koyi subh muhurat me hee Aalmari kholta hai kya..." "iski chabhi gum ho gayi ,aaj subah-subah..."
"to phhir la ,tala tod dete hai..."bade bhaiya Aalmari ki taraf jate hue bole...
"bade bhaiya...ruko..."main ekdum se kood kar Aalmari aur bade bhaiya ke beech me aa gaya... "are you ok"

"i'm ok..."
"phhir hat samne se..."
"tala todne ki jaroorat nahi hai...mere pass extra chabhi hai..." "to la de wo extra chabhi..."
"extra chabhi hee to gumi hai...shaam tak mil jayegi..."
"pahle bolta hai ki extra chabhi hai, phhir bolta hai ki extra chabhi hee gum ho chuki hai aur ab bol raha hai ki shaam tak chabhi mil jayegi....tu pagal to nahi ho gaya"
"main ekdum thik hoon bhaiya, wo kya hai na ki, ye chabhi mujhse hamesha kho jati hai,lekin phhir idhar-udhar padi mil jati hai...."
.
Mere is bartaav par bade bhaiya kuch der tak chup rahe aur phhir bahut der tak mujhe ghoorte rahe... "tu kafi badla-badla lag raha hai..."
"kafi se yaad aaya, chaliye aapko coffee pilata hoon, pass wale dukan ke pass ekdum jhakkas coffee milti hai..."
"par aate waqt to mujhe koyi bhi dukan aas-pass nahi dikhi..." "hai na ,2 kilometer ki doori par,aapne dhyan nahi diya hoga..." "2 kilometer door ko tu aas-pass bolta hai..."
"kaun sa paidal jaana hai, bike se pahuchane me 5 minutes bhi nahi lagte..."
"jyada bada ho gaya hai tu,..mujhe koyi coffee nahi peeni,chup chap idhar hee baith warna kheench ke ek lafa dunga..."
Main kya karta..chup chap Arun ke bistar par baith gaya...
"tere sath mujhe nahi,Vipendra bhaiya ko hee rahna chahiye...tabhi tu shant rahega..."dheemi aawaz me Arun bola...
"chup kar warna...yahi thok dunga..."main bhi khusphhusaya aur Vipin bhaiya ki taraf dekha, mujhe hadka kar bistar par so rahe the...aur jaise ki unhone mujhe bataya tha uske hisab se unki train shaam ko thi...main har aadhe ghante me apni ghadi dekhta aur intezaar karta ki jald se jald shaam ho jaye aur mujhe mukti mile...dopahar ko khana khane ke liye maine bade bhaiya ko uthaya, lekin unhone hostel ki canteen me khane ke liye mana kar diya aur ghar se jo laaye the usase apna pet-puja karke kuch der tak mujhse aur Arun se baate ki aur phhir ye bolkar so gaye ki shaam ko 4 baje main unhe utha doon....bhaiya ko sota dekh maine rahat ki saans li
"chal be ek side..."Arun ko ek laat maarkar side hone ke liye maine kaha... "Arman...khane wala bag khol "
"muh band kar nahi to juta ,chappal daal dunga muh me..."
"yadi aisa karega to phhir main bade bhaiya se bol dunga ki tu cigarette peeta hai,daru bhi peeta hai,maar-peet bhi karta hai aur sath me laundiyabazi ,seetiyabazi bhi karta hai...."
"achchha , phhir main bade bhaiya se bolunga ki mujhe cigarette peena tune sikhaya, daru ki lat tune dali aur laundiyabazi me tu bhi mere sath rahta hai..."
"Arman, you are playing with my left side..."
"ab bakwas band aur ye bata ki tune apna result galat kyun bataya..."
"impression...beta impression...tu khud soch ki tere bhai ko yadi ye maloom hota ki meri first semester me back lagi hui hai tab unka impression kya hota..."
"chal khada ho aur wo mithayi ka dibba utha..."


"sach... "Arun khushi se bola..
"nahi mazak kar raha hu, abey chal ja..."











Update-86



"nahi mazak kar raha hu, abey chal ja..."
.
Arun chupke se utha aur mithayi ka dibba uthakar wapas aaya...
"abey Arman,bade bhaiya kahi jaag to nahi rahe..."ek mithayi apne muh me bharkar Arun ajeeb si aawaz me bola...
"bade bhaiya,Shuru me sone ka natak kar rahe the...lekin pichhale 5 minutes se wo so rahe hai..isliye bindaas hokar apni tanki bhar..."Arun ke nakshe kadam par chalte hue maine bhi ek mithayi uthayi aur use khate hue ajeeb se aawaz me bola...
" ye tujhe kaise maloom..."Arun ne ek aur piece uthate hue puchha..
"aaj se lagbhag do saal pahle ek news paper me ek article aaya tha ,jisme ye bataya gaya tha ki aap aankh moond kar lete hue ek shaks ko dekhkar kaise maloom karoge ki wo sone ka natak kar raha hai ya sach me so raha hai...."maine bhi mithayi ka dusara piece uthate hue jawab diya...
"kamal hai.."abki baar Arun ne teesara piece uthaya aur kaha"main kya bolta hoon ki apun dono hee milkar ye dibba khali kar dete hai,warna bade bhaiya ke jaate hee launde tut adenge aur hum dono ghanta hilate rah jayenge"
"ekdum correct baat boli hai tune..."
"wo to apun hamesha bolta hai...bol papa isi baat par " "mummy bolu...ye chalega kya "
.
Ek ghante baad bade bhaiya ki aankh khuli aur unhone hostel warden se mulaqat ki aur mere baare me,meri harkato ke baare me warden se baat-chit ki...ab ek college hostel ka warden hostel me rahne wale sabhi ladko ke baare me kaise jaan sakta hai...lekin humara warden mere baare me bahut kuchh janta tha...meri harkato ke baare me wo mere bhai ko sab kuchh bata sakta tha...lekin usne aisa nahi kiya aur usne aisa kyun nahi kiya ,iska reason bhi main hee tha...hua kuchh yun ki jab se bade bhaiya ne phone me bataya tha ki wo yaha aakar mere teachers se milenge tabhich se maine Sidar ko bolkar apne warden ko samjha diya tha ki wo mere bade bhaiya se meri koyi shikayat na kare...aur hua bhi waisa hee, warden ne bade bhaiya se kuch nahi kaha.....

.
un dino meri kismat bhi kuchh jyada hee mujhpar meharbaan chal rahi thi, jaha kal raat maine college ki sabse hot laundi ko usi ke ghar me usi ke bistar par choda tha wahi kal ki farewell party ke chalte aaj college band tha...jisase bade bhaiya ko mere teachers se milne ka koyi mauka nahi mila...ab main prime minister ka koyi rishtedar to tha nahi ki college ka staff mere Vipin bhaiya se milne ke liye aaye isliye bade bhaiya ko filhal warden ke muh se meri jhoothi tareef sunkar hee jana pada..
.
"aap kaho to railway station tak chhod deta hoon, bike ka jugad hai..."hostel se bahar nikalte waqt maine kaha...
"koyi jaroorat nahi hai aur bike kam chalaya kar..."daant lagate hue wo bole
"bade bhaiya aapne thik se suna nahi shayad....maine kaha ki main aapko railway station tak chhudwa deta hoon,mere kisi senior ke sath..."apni baat ko turant palat kar maine kaha...
"wo sab chhod aur ye bata ki Arun ki kitne subject me back lagi hai..."
"aapke kaan kisne bhare Arun ke wo to topper hai class ka"pahle main buri tarah hadbadaya lekin baad me sambhalte hue jawab diya...
Meri baat Sunkar bade bhaiya wahi rook gaye aur meri taraf dekhte hue bole"Arman, jis do saal pahle ki article ka hawala dekar tu Arun se bindaas hokar baat kar raha tha, wo article maine bhi padha tha aur mujhe achchhi tarah se maloom hai ki sone ki acting kaise karni "
Ye meri liye current ke kisi jhatke ki tarah tha..kyunki yadi aisa tha to bade bhaiya ne phhir humari saari baate sun li hogi aur sath me main khud ko shabashi bhi de raha tha ki achchha hua jo maine us waqt apne baare me koyi baat nahi ki...warna abhi hee meri T.C. Nikal jati....
"ab German me bolega ya hindi me hee jawab dega..."mujhe bhauchakke khada dekhkar bade bhaiya ne apna sawal daga...
"ek hee subject me back hai Arun ki..."
"aur tune Varun naam ke senior ko kyun peeta tha, mana kiya tha na ladayi jhagde ke liye..." Ye mere liye pahle wale jhatke se bhi bada jhatka tha...bole to double shock....
Ye mere liye double shock isliye tha kyunki is baare me maine room me Arun se koyi discussion nahi kiya tha lekin phhir bhi Vipin bhaiya ko ye maloom chala...matlab pakka kisi ne apni kali jubaan bade bhaiya ke aage kholi thi....
"us MC warden ne bataya hoga..."maine andaza lagaya... "aapko ye kisne bataya..."
"jab main yaha aa raha tha tabhi tere ek senior se meri mulaqat hui aur maine tere baare me puchha aur janta hai kya hua..."
"kya "
"main apni baat bhi khatm nahi kar paya tha ki wo bol pada.....aap usi Arman ki baat kar rahe hai na jisne Varun Verma ko thoka tha...to phhir maine jawab diya ki...haan main usi Arman ki baat kar raha hoon aur main uska bada bhai hoon..."
"uske baad kya hua..."meri aawaz ab dabne lagi thi...meri halat ab aisi thi jaise ki mera bahut bada jurm samne aa gaya ho....
"jaise hee tere us senior ko pata chala ki main tera bada bhai hoon...to wo ekdum se chup ho gaya aur turant hee waha se khisak liya..."
"aise hee chhoti-moti bahas hui thi Varun se...kuch khas nahi hua..."
"kuch khas hona bhi nahi chahiye...."main highway se humare hostel ko jodne wali road par aakar bade

bhaiya ne kaha"dekh Arman, ye umra ka wo daur hai,jab saari achchhi naseehat kharab lagti hai...banda ye sochane lagta hai ki ye saare niyam ,kayade-kanoon use bandisho me kaid karne ke liye banaye gaye hai...lekin haqiqat ye nahi hoti, hum saari chizo ko tab samajhte hai,jab sab kuch humare hatho se nikal chuka hota hai....main ye nahi kah raha ki tu koyi aadarashwadi ban, koyi misal kayam kar...lekin is baat ka bhi dhyan rakh ki hum middle class ke log jis society me rahte hai...wo badi kharab hai...yaha log apne baare me sochane se jyada dusaro ki burayi karne me jyada dhyan dete hai...you don't know ki tere first semester me itne kam marks lane se kaisi-kaisi baate udd rahi hai...."
Vipin bhaiya ki baate main chup-chap sun raha tha ,tabhi mujhe door se city bus aati hui dikhayi di...jise dekhkar bade bhaiya ne bag mere hath se apne hath me liya aur bole...
"ek aakhiri baat Arman...enjoy your life fully..lekin itna nahi ki others enjoy on your life....bye,"
.
Vipin bhaiya ke jaane ke baad bhi unki baat mere kaano me mandir ke ghanto ki tarah rahe...main apne khayalo me dooba hua hee hostel aaya aur apne room me ghuste hee Arun se puchha ki Exams ki date kab se hai....aur is saal ye pahla mauka tha jab maine exam ke pahle book kholkar padhne ki jehmat ki thi...lekin mere khas dost Arun ko shayad ye pasand nahi aaya isiliye wo baar-baar khane ke saman ka packet jor se kholte hue mera concentration padhayi se hatana chahta tha...lekin main bhi koyi kamzor khiladi nahi tha...maine kaan me headphone fasaya aur padhayi phhir se shuru kar di....aur sach me batau to us raat mujhe bahut dino baad sukun ki neend aayi..itni shandar neend to kal raat deepika mam ko karne baad bhi nahi aayi thi....basic electrical engineering subject ke do chapter ek hee din me padhne ke baad sote waqt Esha ke baare me sochana sach me mujhe bahut jyada sukun dene wala tha....











Update-87



basic electrical engineering subject ke do chapter ek hee din me padhne ke baad sote waqt Esha ke baare me sochana sach me mujhe bahut jyada sukun dene wala tha....
.
dusare din meri neend Arun se pahle khuli, jiska ek reason shayad ye bhi ho sakta tha ki Arun ne raat- bhar facebook par kisi laundiya se chatting ki hogi...college ke liye der ho rahi thi,lekin Arun to bhajiye tal ke so raha tha....
"jago Mohan pyare, savera ho gaya, surya aakash me apni lalima bikher raha hai aur aap hai ki yaha apne shayan kaksha me chir nindra me khoye hue hai...aaj MahaVidyalay ki taraf prasthan karne ke baare me aapka kya vichar hai..."
"tune kuch kaha kya..."aankhe malte hue wo utha aur uthne ke turant baad hee bina brush kiye college

jane ke liye taiyar hone laga....
"abey lodu, brush to kar le kam se kam..."
"Sher kabhi brush nahi karta, khoon hamesha unke daanto me laga rahta hai " "gazab...."
.
Aaj main pahli baar college me padhne ki ummid liye ja raha tha, maine bahut kuchh soch rakkha tha,jaise ki kuchh bhi ho jaye,main class me ek lafz bhi apne muh se nahi nikalunga, teachers jo padhayenge wo samajh me aaye chahe na aaye main phhir bhi padhunga...aur hua bhi aisa hee , maine shuru ke five periods bina kisi dhamake ke nikal liye the...aaj kisi bhi teacher ne mujhe kisi bhi baat ke liye nahi toka, aur finally main aaj bahut khush tha....sabko mere is naye bartaav se thodi hairani to hui lekin un sabse jyada hairan aur Pareshan mera khas dost Arun tha aur usase bhi jyada hairan aur pareshan main khud tha....
.
"oye Arman, ye kya laundiyo ki tarah darr kar chup chap baitha hai...mard ban aur pahle ki tarah bakchodi kar..."
"abhi to filhal mujhe student banna hai aur mard to main hoon hee..." "mera kahne ka matlab tha real mard ban..."
"chup kar lawde,aaj main padhne ke mood me hu..."
"kya padhega is bakwas period "jamhayi lete hue Arun ne kaha"ek to waise bhi ye group discussion subject sabse boring subject hai upar se ye bhavna mam ko dekhkar neend aur aa jati hai...yadi tu apne bade bhaiya ki naseehat ko is period me chhod dega to tera hee fayda hoga..." "abey bahar kar degi ye moti..."
"ghanta bahar karegi, zara ek nazar puri class me ghuma kar dekh...sab time pass kar rahe hai..."
.
Arun ke kahne par maine apni nazar ek baar puri class me daudayi,wo sahi bol raha tha...jaha bhavna mam ek taraf kisi topic par lecture de rahi thi wahi dusari taraf class ke sabhi students khud ka lecture chala rahe the...maine socha ki is period me apne dimag ko thoda aaram diya jaye....
.
"chal aaja ladkiyo ke baare me baat karte hai..."jamhayi marte hue maine kaha...
"wo sab to thik hai lekin is fattu Naveen ko idhar se bhaga...sala khud to darta rahta hai upar se hume bhi darata hai..."
"rahne de ,main khud hee yaha se chala jata hoon..."hum dono ki bak bak se pareshan hokar naveen ne kaha....
Naveen mauka dekh kar peechhe wali seat par sama gaya aur Naveen ke jate hee mere aur Arun ke beech padhayi ki baate shuru ho gayi...bhavna mam ka sleeping lecture ab bhi chalu tha...bhavna mam ki class ko hum dono ne is kadar bhula diya ki hume yaad tak nahi raha ki abhi hum dono college me hai...
"Arun and Arman..kya chal raha hai udhar.."
"kuch nahi...kuchh bhi to nahi mam.."maine turant mobile bag me dala aur khada ho gaya... "mobile lao idhar aur hod ke pass chalne ko taiyar ho jao"
"sorry mam,wo kisi ki call aa rahi thi..."
"itna emergency call tha to permission lekar bahar ja sakte the,is tarah se class ko chidiya ghar banane ki kya jaroorat thi..."
"next time se bilkul bhi aisa nahi "ekdum pyar se maafi magne wale andaz me maine kaha...

"achchha ye batao,jo sawal maine puchha tha uska jawab kya hoga..." "repeat the question please "
Bhavna mam ne question repeat kiya lekin sab kuch pani ki tarah mere sar ke upar se gaya "mam, ek baar group discussion ka topic batao na ..."
Uske baad bhavna mam mujhe kha jane wali nazaro se dekhne lagi aur gusse se cheekhte hue boli"nikal jao mere class se..."
"MC chilla mat, warna ek baar lund fekunga to pura khandan chud jayega..."unki aankho me dekhte hue maine apni aankho se hee kah diya aur pair patakte hue class se bahar aaya....
.
Class se bahar nikale jaane ke kuchh hee der baad hee kuchh aisa hua ki jaha kuchh der pahle main bhavna mam ko galiya de raha tha ab wahi main unke mobile par thank you ka messege bhejna chahta tha...thank you ka messege mobile par isliye kyunki bhavna mam ke samne jakar thank you bolne ki himmat nahi thi
"Esha....rook"Esha jab class se akeli nikli to maine use aawaz di lekin usne mujhe puri tarah se ignore kiya aur aage chal di...
"oye chudailin rook..."
"kya hai "gusse se palat kar wo boli..
"tujhe bhi class se nikal diya "use halka sa dhakka dete hue maine kaha...jisase wo bhadak uthi aur door hote hue boli
"mind your behaviour..."
"chal chudail,jyada bhav mat kha...aur ye bata ki tujhe class se kyun nikala hai..."
.
Classes abhi bhi chal rahi thi isliye corridor abhi pura khali tha,jisme main Esha ko pareshan kar raha tha...aur dil hee dil me ye bhi soch raha tha ki aaj to mast mauka mila hai....
"Arman, mera mood is waqt bahut kharab hai...door raho mujhse..." "Iiiiiii....."
"kya Iiiii.."
"kuch nahi "udas hote hue maine socha ki shayad main kabhi Esha ko I Love You nahi bol paunga...sala waise to bahut sher banta hoon lekin jab is chudail ko i love you bolne ki baari aati hai to hawa tight ho jati hai....phhir maine socha ki I Love You bolne ki itni jaldi bhi kya hai abhi to second semester hee chal raha hai....
"ab mere peechhe mat aana..."corridor me aage badhte hue Esha boli...
waise to Esha ne mujhe usko follow karne ke liye mana kiya tha lekin mujhe aisa laga jaise ki wo mujhe apne sath chalne ka Invitation de rahi ho....meri soch sahi thi ya phhir main galat tha,ye mujhe nahi pata...lekin us din main Esha ke peechhe-peechhe gaya...Shuru me to wo gussa hui lekin phhir chup ho gayi aur canteen ke pass pahuchte hee wo mujhpar muskurane lagi....
.
"tum par case kar dungi..."haste hue usne kaha...
Canteen me wo jis table par baithi thi main bhi ab wahi baith gaya tha... "tumhe maloom hai Esha ,you are like my cat...bole to ekdum same to same.."
"tumhara dimag sahi nahi hai,tum bilkul pagal ho,main ja rahi hoon yaha se.."tunak kar Esha waha se uthi aur jane lagi...
.
main chahta to Esha ka hath pakad kar rok sakta tha...lekin mere sixth sense ne mujhse kaha ki "beta

filmo ki copy mat kar...warna tilmilayi hui Esha lafa to maregi hee sath me Gautam ke sath panga alag...."
Maine apne sixth sense ki baat maan li aur Esha ko ek shabd bhi nahi kaha mere aisa karne ki ek aur vajah ye thi ki....apun ki bhi koyi ijjat hai, ab wo baar-baar muh fulakar bhage to bhag uske baad main lagbhag aadhe ghante tak aur canteen me baitha raha aur jo man me aaya use manga kar khaya aur paise Sidar ke account me add kara diye....
.
"ayi sala...maza aa gaya aaj to..." hostel wali sadak par chalte hue maine kaha..
Main ab hostel jakar seedhe sone ke mood me tha jisase raat ko relax hokar padh saku...lekin usi samay mera mobile vibrate hone laga...
"MTL bhai ko aaj meri yaad kaise aa gayi..."apne pet par hath phhirate hue maine call recieve ki"hello..." "hi...hello chhod aur ye bata basketball khel leta hai na..."
"ekdum jhakkas player hoon..."
"to aaja basketball ke ground par,ek practice match chal raha hai..." "abhi..."
"haan abhi..."
"lekin abhi to main taiyar nahi hoon, ek to maine abhi hee jaanwaro ki tarah pet bhara hai aur dusara main jeans paint me basketball kaise khelunga..."
"jaldi se idhar pahuch sab jugad hai..." "aata hoon "
.
Match khelne ka man to nahi tha lekin MTL bhai ki baat ko talna maine munasif nahi samjha...basketball ke ground par pahucha to maloom chala ki mamla ek practice match se kahi jyada hai....jiski kahani mujhe Sidar ne batayi...hua kuchh yun ki hostel ke kisi senior ne kisi baat par city walo ko basketball match khelne ka challenge de diya aur match start hone ke kuch hee der baad hostel walo me se do player jo ki match winner the wo zakhmi ho gaye....isliye Sidar ne mujhe match khelne ke liye bulaya....itane logo me se usne mujhe hee call kiya iski vajah shayad ye thi ki maine kuch din pahle senior hostel me basketball ka national player hone ki hunkar maari thi...
"Arman dekh kar,in mustando me bahut dam hai...wo 4 points se lead kar rahe hai..." "okay..."
kit pahankar main basketball ke court me ek player ko replace karke aaya aur match dekh rahe logo par ek nazar daudayi...waise kahne ko to ye ek practice match tha lekin match city wale aur hostel wale ke beech me hone ke chalte ise khamkha hyper bana diya tha...basketball court ke bahar match dekhne wale student ki ginti lagatar badh rahi thi...jaha ek taraf humari team ko support karne ke liye hostel ke ladke the to wahi dusari taraf college ki ladkiya city walo ki team ko support kar rahi thi...jisme se Esha,Vibha aur dusari khubsurat chudaile bhi thi....mujhe basketball khelne ka achchha khasa experience tha lekin pichhale 8 mahino se maine court me kadam tak nahi rakkha tha isliye main thoda nervous tha....
"khelna aata bhi hai ya aise hee andar aa gaya...."Mere pass aakar Gautam ne kaha"ek baat dimag me bhar le ki tu is college ke sabse shandar player ke khilaf khel raha hai...."
"okay uncle...ab ja ke marwao apni..."
.
Ek taraf Esha...Gautam ka name lekar uchhal rahi thi wahi main basketball par grip banane ki koshish kar raha tha...ek do baar maine basketball ko dribble bhi kiya lekin basketball par meri pakad ab pahle jaise

nahi thi aur jaise hee main basketball ko lekar aage badha to ball mere hath se kisi ret ki tarah fisal gayi....
"kanche khel ghar jakar..."Gautam muskurate hue bola...
"thoda sa Calcium carbonate lana to..."hostel ke ek ladke ki taraf maine ishara kiya jiske jawab me wo apna sar khujane laga....
"abey chuna la thoda sa "









Update-88



"thoda sa Calcium carbonate lana to..."hostel ke ek ladke ki taraf maine ishara kiya jiske jawab me wo apna sar khujane laga....


"abey chuna la thoda sa "
.
Ek to main waise bhi itne din baad khel raha tha upar se aas-pass jama ho chuki bhayankar bheed ne bhi pressure daal diya tha aur upar se mera dushman Gautam mujhpar comment kiye ja raha tha aur har baar uske comment ke baad uski taraf ke players aur unke die hard fans mujh par haste hue nazar aate....
"tera har shot brick hoga...jiska basket hone ka door-door tak koyi chance nahi hota..."Gautam bola.. "tujhe bhavishyavani hui kya ki mera har shot brick hoga,ek baar set ho jane de phhir to main DDG laga kar maar lunga tum sabki..."
"wo to waqt hee batayega..."
.
Referee bane mining branch ke ek Sir ne game dobara shuru karne ka ishara kiya... "you are right,wo to waqt hee batayega..."
.
Main chahe Gautam se kitni bhi ladayi kar loon ya phhir main use kitni bhi galiya doon par main ek chiz kabhi nahi badal sakta ki wo basketball ka ek manjha hua khiladi hai...use basketball ke har taraf khelna aata hai...matlab ki wo basketball pass karne ke sath-sath khud ring me basketball ghusa sakta hai...uske andar us din maine rebounder aur defender skill bhi dekhi...itni quality basketball ke ground me ek hee player ke pass hona bahut badi baat hoti hai...Gautam apna game bahut chalaki se khelta tha,dribble karte waqt wo samne wali team ko buri tarah se chauka deta tha..us din kuchh pal ke liye mujhe aisa bhi lagne laga ,jaise ki main Gautam ke samne nausikhiya hoon...usne kayi baar mere hath se basketball

apne hath me le li thi...wo bhi badi aasani se
.
"what a shot ! "jab Gautam ne court ke beech-o-beech se bole to half court se basketball ko ring me daal diya to mujhe ye kahna hee pada...
kisi khel me aap ek chiz nahi badal sakte aur wo ye ki ek shandar khiladi ka samman karna...us match ke dauran main Gautam ke playing skills se khasa prabhavit hua tha aur us 1 point bonus lene wale shot ko dekhkar mere muh se uske liye tarif ke shabd apne aap hee nikal gaye...
.
lekin ab bari meri thi ,ab tak main do baar foul ho chuka tha aur sath me beete din bhi yaad aa rahe the...Gautam ke pass bhale hee kuchh achchhi techniques thi lekin DDG formula to mere hee pass tha...
.
"main is college ka best player hoon aur abhi to aadha ghanta baki hai,tu dekhte ja main tera kya haal karta...thodi hee der me tujhse 5 foul karwa kar match khatm hone pahle hee tujhe match se bahar karwa dunga..."Gautam apne daant chabate hue bola...
"insan ko kabhi apni aukat nahi bhoolni chahiye ,tu aaj tak district level se aage nahi gaya hoga aur main yaha SGFI khel kar baitha hoon,mere khayal se tujhe to SGFI ka full form tak nahi pata hoga ,chal main hee bata deta hoon SGFI ka matlab hota hai...college Games Federation of India....aur ek baat tu match me khud achchha khelega ,it is possible...lekin tu mujhe achchha khelne se rok lega it is not possible..."
.
Main janta tha ki Gautam ek solid player hai lekin uski baat ka jawab dena hee tha...basketball court ke andar na sahi baato me hee thok do,maine aage kaha......
"tujh jaise ko to main bench player ke roop me bhi select nahi karta..."
"taiyar ho ja ab tu..."gusse se tilmilate hue usne kaha aur apne sathi players ke pass jakar discussion karne laga...
idhar humare match me break hua tha to wahi college ki bhi chhutti ho chuki thi aur lagbhag sabhi students basketball ground me aakar apni-apni pasandeeda team ko support kar rahe the...aur usi dauran ground se thodi door me mujhe Arun aur Naveen aate hue dikhe...
"kya score hai be Arman..." "26-46"
"kya hum log twenty points se lead kar rahe hai "
"aaja ab tu bhi bacha kucha bheja kha le...lawde unke 46 points hai aur humare 26 " "lekin tu to khud ko national player bata raha tha..."
"college ke bekar atmosphere ki vajah se mujhe jung lag chuka hai..."
"to ja...hila ke aa ,ekdum relax hokar match khelne ka...aur jab apun kisi tension me rah le hota hai to yahich karta hai..."bolte hue Arun ne Naveen ka hath pakad liya"kidhar kat re le ho unkil..."
"ye jo city wale seniors hai na wo aksar mere kaam aate rahte hai isliye main unki taraf ja raha hoon..." "matlab tu humari team ko support na karke Gautam ki team ko support karega..."
"umm...haan"
"main to bhool gaya tha ki tu unka chela hai..."Naveen ka hath chhodkar dhamki dete hue Arun bola"chal kat le idhar se aur yadi galti se bhi idhar dobara dikha to murder ho jayega..."
.
Match phhir se shuru hua....ek bahut purani theory hai ki Everything is fair in Love and war....war to Gautam se thi aur sath me Esha se love bhi tha,isiliye maine basketball court ke bahar Gautam ki bejjati

ki thi,jisase wo game ke dauran sirf mujh tak hee simat kar rah jaye ,matlab ki wo sirf mujhe dhyan me rakh kar khele....
.
ye samne wali team ko harane ka behtareen formula hai SGFI tak ke mere safar me kayi baar maine is formula ko ekdum fit baithte dekha hai, simply yadi kahe to main Gautam ko is kadar bhadkana chahta tha ki wo meri puri team se nazar hata kar sirf mujhe rokne ki koshish kare...lekin iski koyi guarantee nahi thu ki aisa hee hoga....kya pata wo bhadak kar aur tezi ke sath khelkar humara khel hee bigad de... ab sirf 20 minutes hee bache the,jab meri soch mujh par hee bhari pad gayi,Gautam ekdum gusse ke sath khelte hue 2 baar basket kar chuka tha....
"tum charo me se MVP player kaun hai..."maine apne sathi khiladiyo se puchha... "MVP matlab..."
"MVP matlab Most Valuble "
"i think main in charo me sabse achchha khelta hoon..."ek senior ne apna hath khada kiya,jiska name Amar tha...
"unki team se center par ek chutiya khada hai,aap waha jakar usko cover karna,Gautam ko main sambhal lunga..."
.
maine basketball hath me li aur dribble karte hue aage badha aur jaisa ki mujhe ummid thi,Gautam mera way block karne aaya aur maine turant ball center par khade Amar ko pass ki aur unhone turant ball jhapat kar backboard ki taraf feka aur ek shandaar bank shot !!!
is shot ne hume josh me la diya tha, kyunki mere is plan ke kamyab hone ka matlab tha ki main apne DDG formula ko aage use kar sakta tha....iske baad do aur bank shot Amar Sir ne mara...matlab ki ball backboards se takra kar ring ke andar chali gayi aur score 32-50 par jakar atak gaya....
"ab tum sab milkar ek kaam karna...tum log bas basketball mujhe pass kar dena...."lambi-lambi saans bharte hue maine kaha...
.
Main apni har soch me kamyab nahi ho sakta tha aur apne sathi khiladiyo par pura bharosa bhi nahi kar sakta tha aur bina pure bharose ki main DDG rule bhi apply nahi kar sakta tha...lekin mujhe ye match jeetana tha...humare is tarah se achanak form me lautane ke karan hostel walo me ummid ki kiran jagi aur wo kaleja phhad kar chillane lage...aur Arun apne sathi laundo ke sath milkar mera name chilla raha tha bole to...ground me is waqt Arman..naam gunj raha tha.....
college ki lagbhag sabhi maal city walo ki taraf thi aur abhi shuru hue hostel ke laundo ki hud-dangi se wo sab chup ho gayi thi aur gaal fulakar kabhi meri taraf dekhti to kabhi hostel ke laundo ki taraf.....
.
kyunki mujhe ye match jeetna tha isliye maine half-court se hee basket karne ka socha lekin main darr bhi raha tha kyunki half-court se basket karne ki meri practice chhut chuki thi aur isi uljhan me ek ne mere kahe anusar ball mujhe pass ki aur maine half-court se basket karne ka apna mood change kiya aur aage badhte hue ek jump-shot mara jisase ball direct ring ke aar-paar ho gayi....
.
game ab palat raha tha ,is beech Gautam ki team ne bhi basket kiya aur wo waqt aaya jab DDG rule mujhe lagana hee pada, Referee ne ishare se bataya ki ab sirf 5 minutes hee bache hai aur score us samay 40-52 tha....
"mujhe bonus point lena hee hoga,lekin itne din ke gap ke baad i am not sure ki main long distance se basketball ko ring ke aar-paar kar dunga,...khair koyi rasta bhi to nahi hai, now time to use DDG

application..."
.
Court ke weak side me jidhar basketball nahi jati udhar maine Amar Sir ko lagaya jaise kuch der pahle unhe center par lagaya tha aur apne team ke shooter ko hidayat di thi ki uska kaam furti se samne wali team ke backboard ke pass pahuchna hai,kyunki yadi Amar Sir se basket karne me koyi chook ho jati hai to shooter basketball jhapat kar ring me daal de...
.
mere hath me grip banne lagi thi aur jiska nateeja ye hua ki Gautam aur uski puri team mere samne nausikhiya lagne lagi thi...maine ball weak side me khade senior ko pass ki kyunki DDG formula ka first step lagu ho chuka tha...maine jaise hee weak side me khade Amar Sir ko ball pass ki unhone direct basket karke 2 points hume dila diye....
.
Is baar 2 points milne ke baad to hostel ke kuchh launde khushi se nachne lage aur kuchh ladkiyo ko chidhane lagi...to kuch ek do ladki ko gali bhi dene lage Gautam ka gusse se bura haal tha kyunki uski dribbling ko main badi aasani se tod deta tha...isi beech maine Esha ko dekhkar aankh bhi mari gusse se tamtamaya hua Gautam basketball ko lekar humari side badha lekin is baar bhi maine uske hath se ball ko lekar basketball court ke weak side me khade Amar Sir ko ball pass aur unhone ball ko
ring ki taraf uchhala lekin ball backboard se takra kar neeche girne wali thi ki humare team ke shooter ne

jise maine waha pahuchne ke liye kaha tha usne jump maarkar ek jump shot thok diya
Iske baad to hostel ke ladko ne tabahi macha di,ground ke pass rakkhi hui chairs ko zameen me audha lita diya ,kuchh ne apni khushi vyakt karne ke liye ground ke bass lage paudho ko tod dala....sale jaanwar
kahi ke
.
DDG ka first step kamyab raha tha aur sath me Gautam ki team bhi samajh gayi thi ki hum kya kar rahe hai aur yadi mere hisab se dekha jaye to main yahi chahta tha ki wo humara khel jaan jaye...kyunki jab tak first step fail nahi hota ,DDG formula ka second step use nahi kar sakte...
Gautam aur uski team ne socha ki main ek baar phhir se basketball Amar Sir ko pass karunga lekin wo galat the...main to Gautam ko bas apne raste se hatana chahta tha aur jab Gautam weak side me khade Amar Sir ko cover kar raha tha to main dribbling karte hue ball ko seedhe ring me daal diya aur ek aur behtareen bank shot aur result 2 points humare khate me
.
Abki baar Gautam weak side se hatkar mere samne aa gaya tha aur Amar ko cover karne ke liye usne do mustando ko laga diya tha, time bahut kam tha aur unke points humse jyada the..isliye unki team ab defensive game khel rahi thi aur ab waqt DDG formula ka third step apply karne ka tha...Mere is DDG formula(D-dhada, D-dhad, G-goal )bole to dhada-dhad-goal niyam ke first two step kamyab hue the aur third step main ab use karne wale tha...
.
Gautam ke hath se basketball apne hath me lena ab mere liye koyi badi baat nahi thi aur abki baar maine jaise hee basketball Gautam ke hath se cheeni to weak side par khade unke dono player active ho gaye aur Gautam mere samne aa gaya...un pancho chutiyo ko ye nahi maloom tha ki Third step me bonus point liya jata hai yani ki ball mere hath me aane ke baad main ek kadam na to aage badhata aur na hee peechhe..bas jaha tha wahi se ring me ball ghusani thi...aur maine aisa kiya bhi, maine half court

se ring ko nishana banaya aur ball basket kar di...aur isi basket ke sath hume 3 points mile ab score aakar 49-52 par pahuch chuka tha....
"now time to use fourth step of dhada-dhad-goal formula..."maine khud se kaha,lekin usi samay...thik
usi samay referee ne game over kar diya bole to time khatm.......
.
aur isi ke sath main apna sar pakad kar wahi baith gaya, mujhe bas kuch aur seconds chahiye the...lekin time khatm ho chuka tha....is waqt dono teams ke supporters shant the...Gautam ki team bhale hee jeet gayi ho lekin unki halat aisi nahi thi ki wo jeet ka jashn mana sake aur hum jeeta-jitaya match haar gaye...us waqt mujhe bahut bura laga ,kyunki ye mere sath lagatar dusari baar hua tha ,mera DDG formula lagatar time ki kami ki vajah se fail hua tha , yani ki SGFI me bhi hum aise hee hare the aur aaj ka match harne ke baad main thik usi tarah sar pakad kar ground me baitha tha jaise ki SGFI me match harne ke baad baitha tha....
.
thodi der tak main aise hee baitha raha, Gautam ke team ke players waha se ja chuke the lekin mere team ke players mujhe gher kar baithe the...ek buri yaad ka taza hona seedhe left side me asar karta hai....lekin jab aapke pass Arun jaisa khas dost ho to waqt ko badalne me der nahi lagti....
"sher log roya nahi karte..."
"main ro nahi raha...bas kuchh buri yaad taza ho gayi..." "aaja mutth maar ke aate hai..."
Jawab me maine Arun ko gusse se ghura to usne mujhe cigarette ki do packets free me dene ka ishara kiya...
"sath me ek botal daru bhi chahiye "khada hote hue maine kaha... "daru to meri taraf se..."Amar Sir beech me bole"wo bhi bharpet..."













Update-89



College ke mahaul ne kabhi mujhe meri soch par mazbooti se khade rahne nahi diya...thik ek din pahle maine jaha dhuandhar padhayi karne ke baare me socha tha wahi ab main senior hostel me baithkar daru chadha raha tha....daru peene ke baad jab gappe shuru hui to Amar Sir ne mujhse puchha ki maine ye sab kaise kiya...unhone mere plan ki trick janni chahi...aur maine jhooth bolte hue kah diya ki bas tukka fit baith gaya...jabki ye sahi ye nahi tha...asliyat ye thi ki mere national team ka hissa rahe mere sathi char khiladi,jo ki mere hee college ke the...humne ek dusare se wada kiya tha ki dhada-dhad-goal ka

formula kabhi bhi kisi ko nahi batayenge,yaha tak ki apne coach tak ko humne DDG formula nahi bataya...ye DDG formula hum pancho ne milkar banaya tha ,isliye hum ise apne tak hee simit rakhna chahte the....main janta tha ki ye galat hai,lekin maine phhir bhi aisa kiya...kyunki jab humari team SGFI se bahar hui to hum andar se toot chuke the...humari kayi salo ki mehnat referee ke gale me atki stop watch ke karan bekar ho chuki thi aur uske baad jo basketball chhoda to aaj jakar pakda tha...
.
"Arman...10 din baad paper hai be..."Arun mere kandhe ka sahara lete hue bola...
hum dono senior hostel se daru ke nashe me apne hostel aa rahe the...aaj Arun overload ho gaya tha aur maine sirf 2 peg mare the....lekin phhir bhi main nashe me tha.
"hone de,sala main to yun chutki bajate hue sab yaad kar lunga...."aur uske baad maine cheekhna chaha
lekin aawaz hee nahi nikli... "aage bol apun suning..."
"ye sali aawaz hee nahi nikal rahi..."
"abey do peg me ye haal ho gaya sale tum phhir desh ki sewa kaise karoge..."khees niporte hue Arun bola...
"to isme kaun si badi baat hai,daru peene ke baad desh ki sewa karenge..." Uske baad hum dono ekdum chup ho gaye aur aage badhe...
"Arman...dekh daru piya hoon,jhooth nahi bolunga...tu laundiya set kar sakta hai aur aaj ke match ke baad to laundiya tujh par fida ho gayi hongi...aur kya naam hai teri us pantar ka..."
"kiski baat kar raha hai..."hawa me ek laat marte hue maine puchha...
"wahi jise kisi aur ne set kar rakkha hai...jo tere ko bhaav bhi nahi deti lekin tu uske peechhe ghumta rahta hai..."
"Esha.."
"haan sali wahi...ek number ki chalu ladki hai baap...apun ko to shuru din se aisa lag rela hai ki...jo wo bahar se itni bholi dikhti hai wo andar se waise hai nahi...wo to ekdum kisi dayan ke mafik...bole to pagal lagti hai"
"ye kya ladkiyo ka topic lekar baitha hai tu bhi...kyun utar raha hai..."
Hum dono phhir ruke aur Arun bola"BC, hostel to bahut peechhe chala gaya..."
"MC..kisne ye shararat ki humare sath, bula bose dk ko abhich sale ko Escape velocity se fekta hu...sala kabhi earth par wapas nahi aa payega...."
"kamal hai...wahhh..."taliya marte hue Arun bola"waise abhi mujhe ek confusion hai..." "confusion..."humne direction change ki aur hostel ki taraf chalne lage...
"yahi ki tune Amar Sir se ye kyun bola ki basketball ke ground me jo hua wo to bas tera tukka tha..." "to isme bheja ghumane wali kaun si baat hai..sahi to kaha tha maine..."
"lawde mujhe chodu mat bana...daru peene ke baad apun ke pass super power aa jati hai...." "tukka hee tha be..."
"nahi,apun ko maloom ki wo tukka nahi teri kabiliyat ka nazara tha...." "dekh hostel ab aa chuka hai...ab chal bhopu ki gand marte hai..." "hat sale gay...apna gay-yapa band kar...aur door chal mujhse..."
"kidhar ja raha hai hostel ka darwaja udhar nahi,idhar hai...aur yahi to pyar hai pagle " "aaja phhir pyar karte hai..."
.
hum dono ne hostel ke bahar bhale hee socha tha ki andar jakar pure hostel ke ladko ko pareshan karenge lekin ek baar room me ghusne ke baad ,hume kuchh yaad nahi raha....Subah neend khulte hee

mujhe ek jordar jhatka laga..kyunki main is waqt apne hostel ki chhat par leta hua tha,jaha se yadi maine halka sa bhi right turn leta to seedhe neeche aa girta......
"shukra hai ki raat ko maine galti se bhi right turn nahi liya warna aankh yaha nahi hospital me khulti..."badbadate hue main hostel ki chhat se apne room par pahucha..."ye sala ho kya raha hai...ye saare kapde kisne zameen par feke...BC college kya chaddi me jaunga..."
Maine pure room par nazar daudayi, Vipendra bhaiya ke aane ke karan jaha room kal sham tak chamak raha tha wahi aaj wahi chamakta room jarjar ho chuka tha...meri aalmari khuli hui thi aur kapde neeche zameen par pade the...aur meri bed sheet ko zameen me bichha kar Arun us par pasra hua tha....
"abey uth bose dk ke...uth nahi to moot dunga..."
meri is dhamki ka Arun par koyi asar nahi hua to maine use do-teen laat bhi mari aur phhir ek balti pani uspar dala....
"Divyaaaaaa....."
"chup sale..." "tu hai "
"ye bata idhar kya hua tha kal raat..."
"kal "pure room ka jayja lene ke baad Arun bola"tujhe cigarette peena tha to tune apni aalmari kholi aur sare kapde zameen par fek diya aur phhir mujhe laat markar yaha par gira diya ,uske baad mujhe bhi yaad nahi..."
"chal jaldi college, first period to attend karne se rahe...direct dusare period me entry marenge..."
.
Hum dono college pahuche , aaj saturday tha isliye sirf teen period hee lagte the, iske baad kuchh student movie dekhne jate the to kuchh ghar/hostel jakar sote the aur kuchh jo ki college ko game represent karte the wo ground me practice karte the....mera vichar jakar sone ka tha..kyunki main aaj raat bhar study karne ke mood me tha...lekin tabhi second year ka ek senior mere raste me tapak pada....
"Arman tu hee hai na..."usne mujhse puchha...
"nahi ye hai Arman ,ab bol.."Arun ki taraf ungali dikhate hue maine use Arman bana diya.... "mujhe chutiya mat bana, main janta hoon ki tu hee Arman hai..."
"jab janta tha ki main hee Arman hoon to phhir mujhse puchhkar time pass kyun kar raha tha..." "basketball ke coach ne basketball court me bulaya hai..."
"mil lunga...aur kuchh..."
"tera senior hoon main thoda tamij se baat kiya kar..."
Main Arun ke sath aage badha...main us senior se rude behaviour isliye kar raha tha kyunki wo city ka tha aur isase bhi badi vajah ye thi ki wo Gautam ke khas dosto me se ek tha....
"Arman usne tujhe batti di..."
"main bhi yahi soch raha tha..."uske baad main turant peechhe muda aur us senior ko aawaz dekar kaha"sun be ghaslet, dobara se ye give respect,take respect wali shanpatti jhadi to aisa jhadunga ki sar ke bache-kuche baal bhi jhad jayenge...sale takle,apni aukat me rahkar baat kiya kar..."
.
"ekdum mast jhada sale ko...main to usko pelne ke mood me aa gaya tha..."kuchh der baad Arun bola... "ab chup rah,basketball ground aa chuka hai aur coach pass me hee hai..."
.
Mere waha pahuchte hee jaha Gautam aur uske dosto ka rang badal gaya wahi Esha jo Gautam ke sath waha aayi thi ,uske bhi chehre ki rangat thodi badal si gayi...

"3 chance hai, basket karo..."coach , basketball meri taraf fekte hue bole... "ye teen chance kisliye, teen basket karna hai kya..."
"pahle ek to karke dikha..."Gautam beech me tapakte hue bol pada...
"uske liye teen chance ki kya jaroorat,ek hee kafi hai..."maine basketball hath me pakdi aur seedhe ring me ghusa diya...
"once more..."ek ladki jo ki Esha ke pass khadi thi usne romantic andaz me mujhse kaha... "tum shant raho "coach ne us ladki ko tej aawaz me bola aur meri taraf dekhte hue bole"you continue..."
.
Uske baad maine ek aur baar basketball ring me daal di lekin third time main miss ho gaya...aur is tarah teen chance me main sirf do basket hee kar paya....main ek basket aur nahi kar paya,is baat se Gautam aur uske dost khush the ,lekin coach ka nazariya kuchh aur hee tha...unhone meri peeth thapthapayi aur team me shamil hone ke liye kaha....
abhi coach ne mujhe team me shamil hone ke liye kaha hee tha ki Gautam beech me phhir tapka... "Sir...humare sabhi player aapke dwara diye gaye teen chances me teeno baar basket kar denge...ise lene ka koyi fayda nahi,kham kha ise lekar hum apni team ko bigad denge...."
"Gautam...mujhe maloom hai ki tumhari team bahut achchhi hai,lekin shayad tumne kal ke match me aakhiri ke 20 minutes ke khel ko dhyan se nahi dekha....maine is tarah ka game,jo ki apne aap me ek ajeeb hai, kabhi nahi dekha...he is very talented player..."
"lekin sir..."
"chup rahoge...please "Coach ne meri tarafdari ki isliye Gautam ne buri shakal bana li.. "don't worry Gautam...i am not interested to play with you..."maine muskurate hue kaha.... "me too..."
"tum dono ab bas bhi karoge...Gautam tum ab kuchh mat bolna aur Arman tum aaj se practice shuru kar do..."
"sorry Sir, par meri ek shart hai...sorry ek nahi do...do bhi nahi teen...sirf teen..." "kaisi shart..."
"pahli shart ye ki main practice karne tabhi aaunga jab mera man hoga...."meri pahli shart sunkar hee waha khade sab logo ke muh fat gaye ,aur mere khas dost Arun ka muh bhi 2 inch fat gaya,maine aage kaha"dusari shart ye ki ,main jise chahunga use hee match me aap khilaoge aur aakhiri shart ye ki main team ka captain rahunga..."
Meri teesari shart sunkar sabka muh aadha inch aur khul gaya ,Gautam to teesari shart sunkar bhadak hee utha lekin coach ne apni aankhe badi karke jab Gautam ko dikhayi to use shant hona pada...
"aur yadi main tumhari ek bhi shart na manu to..."
"to phhir Arman name ki kit banwane ka aapka sapna adhura rah jayega..." "leave..."

"maine pahle hee kaha tha ..chal Arun chillum shot ke aate hai"
.
Arun ka muh ab bhi dhayi inch khula tha... "muh band kar le warna lawda ghusa dunga..."
Arun ne muh band kiya aur phhir kuchh kahne ke liye jaise hee apna muh phhir se fadne laga,tabhi ek ladki ,jo Esha ke sath thi wo khushi se uchhalte hue mere samne aa khadi hui... "hiiiiii...Armaaaaannn"
"tu kaun "

"me divya..."sharmate hue usne apna name bataya aur divya name sunkar mujhe aaj subah ki yaad aayi
,jab Arun Divya ka name lete hue neend se jaga tha...maine uski taraf dekha,uska chehra is waqt kuchh aisa tha ------>>












Update-90



"me divya..."sharmate hue usne apna name bataya aur divya name sunkar mujhe aaj subah ki yaad aayi
,jab Arun Divya ka name lete hue neend se jaga tha...maine uski taraf dekha,uska chehra is waqt kuchh
aisa tha ------>>
"ye hai mera dost ,Arun..."Arun ko samne late hue maine divya se kaha... Esha ,divya se thodi door khadi thi...
"i know him..."sharmate hue wo boli"hum dono facebook me friends hai..." "wo sab to thik hai,lekin ye batao ki itna sharma kyun rahi ho..."
"tum bahut achchha khelte ho..."
"to phhir tum kyun sharma rahi ho,sharmana to mujhe chahiye ..."
"Divya,ise basketball khelna maine sikhaya hai...."Arun ne chupke se kohni mara ,jiska matlab main samajh gaya tha..
"haan,ye sahi bol raha hai..."
"phhir to tum Arman se bhi jyada achchha khelte hoge..."khush hote usne apni chehra Arun ki taraf ghumaya...
"ofcourse yes..."Arun turant bola...
iske baad Arun aur Divya ek dusare me bhid gaye, Divya use bata rahi thi ki usne kal apna ek photo facebook me upload kiya hai...aur uske ek hafte pahle bhi usne ek photo upload kiya tha..... "Divya..."Esha ne Divya ko wapas aane ke liye kaha, lekin Divya to Arun ke sath face to face chat karne me busy thi...use Esha ki aawaz sunayi hee nahi di...
khud ko mazboot karke main Esha ki taraf badha....
"tum Divya ho..."
"nahi..."
"to phhir tum yaha kyun tapak pade, maine to Divya ko aawaz di thi..."
"tumhari saheli mere dost ke sath bhidi hui hai to kyun na hum dono bhi bhid jaye..." "kya "

"kuch nahi...Canteen me tumne meri baat ka galat matlab nikal liya tha..." "tumne mujhe sorry bhi nahi bola tha..."
"kisliye sorry bolu..."
"tumne mujhe kaha tha ki i am like your Pet..."
"correct hai...to isme sorry bolne wali kya baat...tum bilkul meri billi jaisi dikhti ho..."
Ye sunkar Esha ka para phhir aasman chhune laga to maine kaha"mere kahne ka matlab tha ki tumhari aankhe bilkul meri billi ki tarah hai...ekdum mast bhuri-bhuri...sexy...sorry sexy nahi sweet-cute " "to tumhara kahne ka matlab main tumhari billi hoon..."
"ye to tu hee bol rahi hai..."
"main kuuchh nahi janti,sorry bolo..." "chal fut.."
"phhir dobara mujhse baat mat karna..." "are ja na,bheja mat kha..."
.
gusse se apne pair patak kar Esha waha se jane lagi tab maine use chudail ki jagah billi kahkar pukara jiske baad wo aur bhi jaldi waha se kat li...Arun aur Divya ab bhi ek-dusare se baat kar rahe the....Esha jab aankho se door ho gayi to main un dono ke pass pahucha...
"Arman...tum meri friend list me ho kya..." "yaad nahi..."
"aaj request bhej dena..main accept kar lungi...wo kya hai na ki main unknown ladko ki request accept nahi karti "
"sali lesbian..."Divya ko dekhkar maine haan me gardan ghumayi...Arun usme interested tha isliye main
use jhel raha tha ,warna kabka bejjati karke bhaga diya hota... "tumhara twitter par account hai..."
"nahi..."maine rukha sa jawab diya...
"to aaj jakar twitter par a/c bana lena aur Arun se meri twitter id puchh kar follow kar lena...main bahut achchhe status update karti hoon...."
Ab tak to main use Arun ki khatir jhel raha tha lekin abki baar main khud ko rok nahi paya...
"oye chal ja na ,kahe ko dimag ka dhokla bana rahi hai...kuchh kaam-dham nahi hai kya facebook aur twitter ke siwa...tu itni free rahti hogi lekin mujhe jakar padhayi bhi karni hoti hai....pakka teri 10-12 back lagi hogi...chal bhag yaha se..."
.
Mere is bartaav se dar kar Divya ne usi waqt patli gali pakad li aur ab Arun mera bheja kha raha tha...wo mujhe galiya bak raha tha kyunki maine uski facebook par Divya ke peechhe kiye gaye ghanto ki mehnat par pani fer diya tha....
"maloom nahi, main jab bhi basketball court me aata hu to kuchh ho sa jata hai..."
"hua kuchh nahi hai ,tu sale aaj jyada udd raha hai...coach ke samne bhi tu bahut uchak raha tha..." "wo to sirf bahana tha khud ko basketball se door rakhne ka aur ab reason mat puchh lena..."
"no problem , chal chalkar photo khichwate hai...exam form ki kal last date hai ...."
.
Second semester ke exam ,first semester se lakh guna achchhe gaye...kyunki is baar thodi bahut taiyari pahle se thi...lekin exam ke dauran jin do subject me ek-ek hafte ki chhutti mili,usi me latakne ka dar tha...lekin ek baat ka sukun tha ki is baar mere marks increase hone wale the...

Exam ke baad do hafte ki chhutti mili lekin main ek hafte baad hee wapas hostel aa gaya tha...aur ghar me ye bahana mara tha ki ek hee hafte ki chhutti hai...aisa karne wala main akela nahi tha kayi ladke to
mujhse bhi pahle wapas hostel aa gaye the aur Arun to ghar hee nahi gaya tha
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 14-03-2019, 01:49 AM



Users browsing this thread: 11 Guest(s)