Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#76
Chapter-20:Result-The Moment Of TERROR
Update-75
"haan,Nisha..."maine call recieve ki..
.
"kaha ho Arman...factory se nikal gaye..."
"nahi to...tumhe aisa kyun laga ki main factory se nikal chuka hoon.."
"aaj wo kaan ko fad kar rakh dene wali aawaze nahi aa rahi ,isliye....waise janeman ho kaha..." "janeman....kal raat ke baad aawaz kafi badli-badli si lag rahi hai..."use chhedte hue maine kaha"bhoolo mat ki do hafte baad tumhe dekhne ke liye tumhare patidev aa rahe hai,kuch to unke liye bacha kar rakkho..."bolte hue main hans pada...
"tumhare rahte hue,us chaproo ki jaroorat...kaho to mamla fit karu..." "kaisa mamla..."main bola...
is waqt mere mobile ka loudspeaker on tha aur Arun ,Nisha ki baate sunkar bada khush ho raha tha...usne dabi hui aawaz me kaha ki main use haan bol doon...lekin maine aisa nahi kiya... "kaisa mamla..."main bola...
"hum dono ka mamla " "kya....matlab ki..."
"matlab ki, tum chaho to hum dono zindagi bhar....."phhir wo chup ho gayi, aur idhar main bhi chup chap mobile ko kaan se lagaye hua tha...mujhe kal hee ye andaza ho chala tha ki Nisha aisa hee kuch bolegi...lekin itni jaldi.....ye maine nahi socha tha....
"tumne jawab nahi diya..."hum dono ke beech ki chuppi ko todte hue wo boli...
"Nisha, actually abhi kuch kaam aa gaya hai, shaam ko baat karta hoon..."bolte hue maine turant mobile ki red button daba di.....
Main ab ye soch raha tha ki mere dono dost jo kuch der pahle tak Nisha se meri baat-chit ko bade gaur se sun rahe the...wo ab mujhe apni salah denge...lekin sale bade kameene nikle...maine mobile apne jeb me ghusaya aur intezaar karne laga unki salah ka....
"abey baklundo, kuch to bako..."jab kuch der tak dono me se koyi nahi bola to main jhallaya... "Arman,...mujhe nahi lagta ki tu sach bol raha hai..."
"kaisa sach "
"yahi ki us din tune Esha ko hypnotize kiya tha..."Varun apni jagah se uthkar mere pass aaya "tu sale hume chodu bana raha hai...tune jaroor Esha se kaha hoga ki wo apna hath tere hath me de de, badle me tu use shart ke aadhe paise de dega....am i right Arun uncle..."
Arun to tha hee isi mauke ki taalash me ,wo uchakar Varun ka sath dene aaya"mujhe to usi din ispar

shaq ho gaya tha..."
"abey gadho...wo khanna ki eklauti beti thi, wo hazar rupaye ke shart ke liye mera sath kyun degi..." "lekin phhir bhi main nahi manta ki tune use hypnotize kiya tha...yadi kiya tha to le mujhe bhi hypnotize kar..."
"use hypnotize nahi kahte...." "ab aaya na beta line par...."
"use kuch aur hee kahte hai,kya kahte hai...maloom nahi,lekin uske jariye kuch der tak samne wala shaks shocked ho jata hai...mujhe us waqt maloom tha ki Esha mere dwara kahe gaye pyar ke un do meethe bol se shocked ho jayegi..."
"to baat to ghoom phhir kar wahi aa gayi na ,hypnotize par...ya jo bhi kahte ho use...tu sach-sach bata ki tune Esha se kya kaha tha us din.."
"bata to diya ki kya kaha tha..." "main nahi manta..."
"to mat maan ,mujhe kya..."bolkar main waha se utha...tabhi Varun sher ki tarah dahad maarkar bola... "yadi sach nahi bataya to ,abhich Nisha ko call karke bol dunga ki tu subah se yahi pada hai...."
"abey pagal hai kya...rook abhi tera doubt clear karta hoon..."
Maine Arun aur Varun dono ko balcony ki taraf bulaya aur humare flat ke samne se jo chhoti si gali nikli hui thi uspar apna shikar dhoondhane laga aur tabhi mujhe mere flat ki taraf aa raha ek ladka dikha..... "apna sar bacha kar...."bolkar main andar gaya aur eklauta helmet jo deewar par tanga hua tha ,use lekar wapas balcony ki taraf aaya....
"tu karne kya wala hai..."
"wo to aage hee pata chalega..."
iske baad jo ladka humare flat ki taraf aa raha tha ,wo jab thodi door par tha to maine use aawaz di aur thik neeche aane ke liye kaha....
"kya hai..."wo ladka bola...
"tera baap mar gaya hai, wapas ja..."maine jor se bola aur apna chehra rone jaise bana liya....jabki na to main use janta tha aur na hee uske baap ko....
mera ye kahna tha ki us ladke ki phhat ki hath me aa gayi wo muh fade balcony ki taraf hum teeno ko dekh raha tha...
"dar mat,mazak tha...in dono ne mujhe aisa kahne ke liye kaha...ab tu chahe to neeche pada patthar utha kar in dono ka sar fod de...."
maine helmet laga li aur uske turant baad wo ladka gusse se humari taraf dekha aur ma-bahan ki gali dekar patthar se bhi mara...jo seedhe jakar Varun ke chhati me laga....
"rook bosedk bhagta kaha hai..."us ladke ko bhagte hue dekh Varun chillaya.... "ab aaya beta yakin..."
"yaahh..."apni chhati sahlate hue Varun bola"haan...ab direct result wale moment par pahuch..." "result..."ye sunkar meri halat thik waisi ho gayi,jaise chaar saal pahle hui tha...kitna khaufnaak pal tha,jab mere kaan me kisi ne kaha ki "result aa gaya hai aur tu..."uske baad maine uska muh pakad kar dusari taraf phher diya tha aur saaf kaha tha ki main khud cafe me jakar apna result dekhunga.....
.
Jo halat us waqt meri thi wo halat Arun ki bhi thi...hum dono ka gala sookh gaya tha..jab hume pata chala ki result aa gaya hai...bhu ki gand hum dono se jyada phhati padi thi, uski to baat karne tak ki himmat nahi ho rahi thi,jabki wo exam duration me din bhar kitabo se chipka rahta tha....main aur Arun kisi tarah se ek dusare ka dheeraj bandhte hue cafe ki taraf badhe...ek baar phhir meri halat wahi thi jo

exam ke samay me hui thi...kabhi Pandey ji yaad aate to kabhi Pandey ji ki beti...to kabhi ghar ka mahol....
"yar ,Arman...mera baap jail me daal kar dando se marega mujhe..." "mera bhi kuch yahi haal hoga..."
Us waqt mujhe khud ke result se jyada parvaah Pandey ji ki beti ke result ki thi..main uparwale se prarthana kar raha tha ki Pandey ji ki beti ya to fail ho jaye ya phhir mere se kam number laye...
kitni ajeeb baat hai ki jise maine aaj tak dekha nahi ,uske baare me main itna bura soch raha hoon...aur aisa sochane wala shayad main akela nahi tha...humare gharwale aksar kisi na kisi ladka/ladki ko humare opposite khada kar dete hai aur aise react karte hai jaise ki Prime Minister ka election ho,aur hume haar haal me samne wale ko harana hai....main Pandey ji ki beti ke baare me pahli baar bura nahi soch raha tha, pichhale 2-3 salo se main jab bhi bhagwan ka naam leta to ek dua hamesha mangta ki Pandey ji ki beti mujhse kam number laye...wo fail ho jaye...ya phhir uske sath kuch aisa ho jaye jiski vajah se wo exam hee na dene paye....
.
aaj se pahle main exam dene ke baad hamesha isi intezaar me raha ki result kab aayega...lekin abki baar main chah raha tha ki result kabhi aaye hee na....jaha copies check hone gayi hai,waha daka pad jaye,aag lag jaye...ya kuch bhi aisa ho jaye,jisse result rook jaye....lekin ye mumkin nahi tha....aur aaj wo din tha jab result mere aankho ke samne apna prachand roop dikhane wala tha.....
aaj se pahle ,jab mere gharwale mere marks dekhte to turant sari duniya me call karke puchhte ki apke beti ka kitna number aaya, aapke bete ke result ka kya hua....aur uske baad bade shan se kahte the ki "Arman ke to itne % aaye hai,isne college me top mara hai....Principal sir ne call karke khud badhayi di hai..."
"yar Arun...."
"kya hai..."
"gala sookh raha hai bhai...aaja thoda pani wani pee lete hai..."
is waqt hum dono highway par pahuch chuke the aur wahi pass ek achchha-khasa hotel bana hua tha...maine do cup chay lane ke liye kaha aur Arun ke sath chup chap wahi table par baith gaya....
.
Mujhe us waqt chay bhi neem ke ras se jyada kadwa lag raha tha, chay ka har ek ghoot aise lagta jaise ki duniya ki sabse kadwi chiz us chay me mila di gayi ho...teen char ghoot ke baad jab mujhse chay nahi piya gaya to main Arun ke sath waha se utha...aur cafe ki taraf chal pada, jo humse bamushkil 5 minutes ki doori par tha...
"Arman,is baar result achchha aa jaye to kal se hee padhayi shuru kar dunga..."
"tu aur mat fad be, aisa lag raha hai ki koyi lagatar seene me hathoda peet raha ho...sala kahi heart attack na aa jaye..."
Cafe tak pahuchte pahuchte main halka-halka kanpne laga tha , waha pahle se hee bahut bheed thi, 10 minutes tak khade rahne ke baad ek system khali hua to hum dono uspar baithe aur university ki site kholi...jaha "B.tech first Semester Result" ke aage laal rang ka tag chamak raha tha....
"Arun aage tu dekh..."
"na tu dekh...yadi tu fail hua to tasalli to hogi mujhe "
Gali dene ka man to bahut kiya lekin maine gali dene ki bajay seedhe apna roll number type kiya aur jaise hee result khula...main ekdum neeche pahuch gaya,jaha PASS or FAIL likha rahta hai...aur uske baad main khushi se aise kuda jaise world cup jeet liya ho aur final match ka man of the match main hee

hoon.....maine ek baar phhir computer screen par nazar dali, waha sach me PASS likha hua tha...aur ab bari thi Arun aur bhu ki......














Update-76
maine ek baar phhir computer screen par nazar dali, waha sach me PASS likha hua tha...aur ab barithi
Arun aur bhu ki....
.
Mujhe is waqt kuch bhi nahi soojh raha tha ki main kya karu, khush hokar nachu ya phhir chup chap wahi baitha rahu...cafe me mere aalawa bhi bahut log the aur meri is harkat par wo mujhe pagal bolkar bahar bhi phhek sakte the,isliye main shanti se Arun ke side wali chair par shanti se baith gaya...mere is tarah shanti se baithne ka ek reason ye bhi tha ki Arun ka Mathematics me back laga tha, yani ki FAIL !!! "hota hai be, tension nahi lene ka..."uska dil rakhne ke liye maine usse kaha"mard ban aur uncle ji ko bindas phone karke bata ki ek me back lagi hai..."
"wahi karna padega ab...."
Arun ko dekhkar mujhe nahi laga ki fail hone se use kuch jyada effect pada hai, jaha wo result dekhne ke kuch der pahle tak lagbhag kanp raha tha ab wahi wo halka sa udaas tha bas.....usne usi waqt apne inspector baap ko call karke sab kuch bata diya aur ab meri bari thi ghar me call karne ki....
.
Main Pass to ho gaya tha lekin bahut hee buri tarike se fansa tha, kayi subjects me to main Pass aur Fail ki boundary line par tha...maine ek baar SPI par nazar mari....
"6,9...dhat teri ki ab to chude dhang se, kaha ghar wale 9 point + ki ummid lagaye baithe hai aur idhar SPI 7 hee cross nahi hua...BC ,mujhe shuru se hee dhyan dena chahiye tha...upar se wo kutti Pandey ki laundiya....apni chut marwa-marwa kar adhik number layi hogi,sali chhinar..."
.
main ghar phone karne ki soch hee raha tha ki ghar se hee call aa gaya, main kuch der tak mobile ko hath me pakad kar dekhta raha aur sochta raha ki call pick up karu ya rahne doon.....
"hata, baad me main khud hee call karke result bata dunga...aur waise bhi kaun sa achchha result aaya hai ,jo main turant batau..."
"abey meri back lagi hai phhir bhi maine apne ghar me bata diya aur tu pass hokar bhi darr raha hai,sale darpok...be A Mard ! Utha phone ek jhatke me bata de "
"utha loon..."

"bilkul..."
"sach me utha loon..."
"ab tujhe type karke doon kya..." "achchha thik hai..."
Maine jab apna result ghar me bataya to mere Papa joro se mujh par cheekhe ,even kayi tarah ki dhamkiya bhi di....uske baad jab bhai ne phone thama to detective bankar baat karne laga....Mera bada bhai meri is barbadi ke peechhe ki vajah ki tahqiqat karne ke liye jald hee mere college aayega ....aisa usne phone par bataya....aadhe ghante baad phone meri maa ke hath me pahucha aur hamesha ki tarah
unka ek hee dialogue tha...
"Pandey ji ki beti ka 9.3 bana hai,ab kya bolenge usko..."
"ok,ab phone rakhta hoon...balance khatm ho raha hai..."bolte hue maine call cut kar di aur tab mujhe dhyan aaya ki call to udhar se aaya tha...phhir mera balance kaise kam hoga...
.
BHU ne 7.5 SPI mara tha aur Naveen ne 7.7...in dono ko books se chipke rahne ka fayda mil chuka tha...lekin idhar meri aur Arun...dono ki halat kharab thi, Arun ke 7.2 bane the...lekin mathematics me uska back tha ,mere all subject clear the...lekin spi 7 point bhi nahi tha , aur us waqt apun ne pratigya li ki kuch bhi ho jaye ab padhayi karna hee hai....jabki main us waqt janta tha ki aisa ab harqiz nahi ho sakta...kyunki mujhme jo changes first semester me aaye the wo sabhi irreversible the , matlab ki ab main jo hoon,aane wale salo me bhi aisa hee rahne wala tha....koyi mujhe kisi bhi reactants ki madad se pahle jaisa nahi bana sakta tha...ek baar badhali ki aadat lag jaye to use phhir khud se door karna bahut mushkil hai....main ye bakhoobi janta tha ki main kis raah par chal raha hoon, main ye bhi janta tha ki ye raah mujhe kis manzil tak le jayega...lekin phhir bhi maine wo raah nahi badli....
.
Mujhe pura yakin hai ki yadi maine khud ko badalne ki thodi si bhi koshish ki hoti to aaj mayane kuch aur hote,main kahi aur hota aur mere Arman bhi kahi aur hote....Mere Papa ko ab bhi yakin nahi ho raha tha ki mere itne kam marks kaise aa gaye, aur mujhe yakin nahi ho raha tha ki main pass kaise ho
gaya Exam to kala akshar bhains barabar gaya tha, yani ki exam me jo question nahi puchha gaya tha ,maine uska bhi answer likh diya tha ya phhir ye kahe ki mujhe jis unit se jo banta tha main question number daalkar wahi chhap maara....matlab saaf tha ki copy ki checking ekdum easy hui thi
baki subjects me to maine phhir bhi bahut kuch likha tha,lekin drawing ke paper me to maine samne
wale ladke ki drawing sheet dekhkar ulti-seedhi,aadi-tedhi lines kheenchkar sirf drawing banayi thi, hum dono ke beech distance itna tha ki mujhe ye tak maloom nahi chal pa raha tha ki wo kis question ki drawing bana raha hai...and at the end ,maine apne man se question number de dala....lekin phhir bhi

sala main pass ho gaya
Mere gharwale bhale hee mere result ko lekar naraz ho lekin main bahut khush tha,kyunki mujhe maloom tha ki maine is pure semester me siway bakchodi kuch bhi nahi kiya tha....jis din result nikla us din main bahut khush tha,itna khush ki yadi us waqt koyi mujhse meri jaan bhi mang le to main us waqt use haan kar doon,baad me bhale hee pichhwade me chaar laat maarkar bhaga doon....
.
Dusare din college pahuche to sabhi teacher padhane ki bajay har ek ko khada karke uska result puchh

rahe the, jinka back nahi tha ,jaise ki mera ,wo shaan se khade hote aur seena taankar bolte "AC" aur jinka back laga tha wo yahi chah rahe the ki unka number hee na aaye ,lekin aisa ho nahi sakta tha aur hua bhi nahi....is waqt class damyanti ki thi aur usne mere baad Arun ko khada kiya....
"ji mam..."
"ji mam, kya...AC ya AB..." "AB matlab..."
"all back...aaj tak maloom nahi tha kya "dammo rani apni nazar se fire karte hue boli.. "ek me ludhak gaya "
"baitho...padhoge-likhoge nahi to isse bhi bura aal hoga...abhi ye haal hai to baad me kya hoga..."
.
aur uske baad Arun jaise baitha maine uske maze lene shuru kar diye....
"beta dekh ,main bina padhe AC hoon aur tu din raat ratta marne ke baad bhi chud gaya..." "SPI jyada hai tere se..."Arun bola..
"is semester me ,wo bhi cross kar dunga...lekin baat yaha back ki hai...wo dekh Naveen bhi AC, apna bhopu bhi Ac....bas tu hee ek chodu fansa hai humare friend circle me jo fail ho gaya....fale mujhse baat mat karna tu..."
"dekh ek kaam kar...chup chap kalti ho ja...warna wo bamboo pura ka pura andar daal dunga,ek inch bhi bahar nahi rahega...aur yadi tu phhir bhi nahi mana to tere shart ke 2000 bhool jana..."
"are nahi yar...bhai hai tu apna...yahi to pyar hai pagle " "chal nasta kara phhir..."
"chal aaja, waise bhi canteen gaye bahut din ho gaye...aaj ladkiyo ko tadte hai "
dammo rani ka period kab ka khatm ho chuka tha aur uske baad wali class khali chal rahi thi,kisi ne hume ye bhi bataya ki ye period khali hee jane wala hai to main aur Arun waha se uthe aur class se bahar ki taraf nikle...
"kaha ja rahe ho be..."Naveen bola, aaj wo naye-naye kapde chamak kar aaya tha...
"maal chodne,chalega kya..."ye punch Arun ne sabke samne mara....aur uske baad sabhi ladke-ladkiya Arun ka muh takne lage......
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 14-03-2019, 01:46 AM



Users browsing this thread: 22 Guest(s)