14-03-2019, 01:45 AM
Chapter-18:At home
Update-71
" yahi to pyar hai pagle....right side wala....na to main use chhod sakta hoon, because of her chut and na hee wo mujhe chhod sakti hai because of my lund "
.
us din hum hostel subah 4 baje pahuche...hostel aate waqt beech raste me maine jab bhu ke mobile se deepika mam ko call lagaya tha tab 1 baj rahe the aur waha se hostel tak aane me hume mushkil se aadha ghanta lagta ,lekin hum log aadhe ghante me nahi ,balki 3 ghante me hostel pahuche....khairiyat thi ki hum teeno me se kisi ko kuch nahi hua tha,lekin humne wo teen ghante kaha bitaye ye hume zara sa bhi yaad nahi tha...yaad tha to bas Senior hostel ke samne bike rokna aur phhir Sidar ko call lagakar Senior hostel ka gate khulwana.....kyunki apne hostel me jate to lafda ho sakta tha aur yadi isi point ko lekar girls hostel ki warden ne raat wale kand se jod diya to hum teeno lambe se fans sakte the, filhal humara is lafde me fansne ka koyi irada nahi tha,isliye hum teeno apne hostel na jakar seedhe Senior hostel pahuche the.....
.
uski agli subah meri neend seedhe dopahar ko 11 baje khuli aur wo bhi isliye kyunki ek to mujhe pyas lagi thi aur dusara bahut der se mera mobile baj raha tha....maine table par rakkhe hui pani ki bottle ko uthaya aur aankhe mal kar ek nazar mobile screen par dali....
"BC, 1000 miss call "
Maine turant apni aankho ko hatho se sahlaya aur ek baar nazar phhir mobile par dali , mobile par 10 miss calls thi aur wo sabhi miss calls ghar se thi.....mobile ko wapas bistar par patak kar main hostel ke bathroom me ghusa aur nal chalu karke lagbhag 5 minutes tak apna sar thande pani se bheegota raha, aisa karne par mujhe bahut thandak mahsoos ho rahi thi....uske baad main wapas room par aaya aur ghar ka number dial kiya.....
"phone kyun nahi uthata, subah se hazar baar call kar chuka hoon..." "kaun..Vipin bhaiya..."
"nahi...wrong number lagaya hai tune.."
"silent me tha mobile kal raat se, abhi dekha to miss call thi...." "fine...ghar ab aa raha hai..."
"aaj hee dopahar 12 baje ki train hai..." "to abhi kaha hai...."
"abhi hostel me hoon...."bolte hue maine ek nazar deewar par lagi ghadi par maari " 11 to yahi baj gaye...."
uske baad maine turant bhaiya se kaha ki main hostel se railway station ke liye hee nikal raha hoon, baad me call karta hoon.....uske baad maine mobile seedhe apni jeb me dala aur Arun ,bhu ko laat maar kar uthaya.....
"abey kutto, mujhe railway station chhodo jaldi..."
bhu to hila tak nahi, le dekar maine Arun ko uthaya aur railway station chalne ke liye razi kiya.....uske baad 15 min. Me maine sab kuch kar liya, fresh bhi ho gaya,bag bhi pack kar liya aur bike par baithkar railway station ke liye bhi nikal gaya.....hostel se nikalte waqt to yahi lag raha tha ki main kuch nahi bhoola hoon,lekin mujhe apni seat par baithkar apni galti ka ahsaas hone laga tha....
"brush.....wo bhi bhool gaya " "sleeper....wo bhi bhool gaya " "ATM card...BC wo bhi bhool gaya..."
jab mujhe dheere-dheere yaad aane laga ki main kya-kya bhool gaya hoon to maine sabse pahle baaki kaam chhodkar apna wallet check kiya, aur peechhe ki jeb me wallet hai ,ye dekhkar maine rahat ki saans li.....maine wallet nikala aur dekhne laga ki usme kitna maal hai,...
"kal raat to 3000 tha, ek hee raat me aisa kya kar diya maine...."
maine socha ki shayad 1000-500 ki note dusare pockets me padi hongi,isliye maine apne dusare pockets bhi check karke dekha,...paise to nahi mile..lekin mere jeans paint ke jeb me rakkhe hue,Pencil...eraser...cutter...ek pen,jisli syahi bahar nikal aayi thi...yahi sab the...gusse me maine saari chize nikal kar khidki se bahar feki aur intezaar karne laga train ke chalne ka...
.
jab ghar se door tha ,tab bhi padhayi ki fikar hoti thi aur ab ghar par hoon to ab bhi mujhe padhayi ki fikar hai...college me mood har waqt badalta rahta tha isliye ek pal me jo sochta tha wo dusare pal me light ki velocity se aar-paar ho jata tha, main study nahi kar raha hoon ye khayal mujhe tab bhi aaya tha,jab main college me tha...lekin waha ka mahol hee kuch aisa tha ki main kabhi serious nahi ho paya...lekin is waqt main ghar par tha, jaha ghar ke andar ek kadam rakhne se pahle ye puchha gaya ki exam kaisa gaya,Pandey ji ki beti ka sab paper hundred to hundred gaya hai...ghar par yadi koyi aata bhi to wo "kaise ho beta"kahne ki bajay ye puchhta ki "exam kaise gaye,..."
koyi -koyi to ye bhi puchhta ki kitne marks aa jayenge, main apne hee ghar me kisi muzrim ki tarah kaid ho gaya tha,jiski vajah sirf ek thi ki mere paper itne kharab gaye the ki top marna to pure universe ki lambayi mapne ke barabar tha, idhar to ye bhi confirm nahi tha ki main kis-kis subject me pass ho jaunga.....ghar wale mujhse bahut ummide jode hue the, aur isme unki zara si bhi galti nahi thi...electron ke size ke barabar bhi galti unki nahi thi....unki ye ummid maine hee bandhi thi..mere aaj tak ke education record ne hee unhe mujhse is tarah ummid rakhne ke liye prerit kiya tha aur jo sawal wo aaj puchh rahe the,wo sawal wo mujhse pahle bhi karte the...lekin fark sirf itna tha ki pahle main unke is tarah sawal puchhane ke pahle hee bolta tha ki "Papa, aaj ka paper pura ban gaya,..."ya phhir ye bolta ki"1 number ka chhut gaya hai...."
.
mere is tarah kahne par wo kahte ki "koyi baat nahi beta...1 number ka hee to chhuta hai..."
yahi ummid main aaj bhi kar raha tha ki main jab unhe sab sach batau to wo pahle wale andaz me hee bole ki"don't worry beta, ye to first semester hai ,baki ke saat semester baki hai..."
Lekin aisa kuch bhi nahi hua, na to maine unhe sachchayi batayi aur na hee unhone mujhse aisa kaha....jab tak ,jitne bhi din main ghar me raha main har pal ghut raha tha,..har pal,khate,peete ,sote
,jagte main yahi sochta raha ki main tab kya kahunga,jab result niklega...kya bahana marunga....ghar me to kuch bahana maar bhi nahi sakta tha kyunki ghar me in sab bahano ko achchhi tarah samajhne wala mera bada bhai tha...jo is waqt mere samne baitha hua tha....
"girl friend hai koyi..." "uu..."
"are girl friend..." "na..."
"cigarette piya..."
"pani tak nahi peeta main to bina filter kiye hue, cigarette to bahut door ki baat hai...." "kal raat daru kitni pee thi..."
"ek bhi nahi "main turant bol pada....
"mujhe horseride mat sikha...teri aawaz sunkar hee samajh gaya tha..." "no bhai, main to us waqt so kar utha tha...."
"kha us ladki ki kasam ,jo tujhe college me sabse achchhi lagti hai ,ki tune kal raat sharab nahi pee thi..." Jaise hee Vipin bhaiya ne ye bola, mere jehan me Esha aayi , ab dikkat ye thi ki Esha ki jhoothi kasam khakar khud ko galat hote hue bhi sahi sabit karna ya phhir sab kuch sach bata kar khud ek naye bojh se door rakkhu...us waqt maine dusara rasta chuna, lekin kyun ? Ye main nahi janta....
"wo dosto ne jabarjasti pila di thi..."
"achchha...tune sach bola iska matlab yahi ki college me teri girl friend bhi hai...mana kiya tha na ye sab karne ke liye...."
Abhi tak main khud ko bahut shatir samajhta tha ,lekin is waqt meri saari hoshyari tel lene chali gayi thi, bhaiya ne baato me fansa kar sab kuch jaan liya tha....apne shabdo ke jaal me fansa kar Vipin bhaiya aur bhi kuch na jaan jaye ,isliye main pani peene ke bahane se waha se utha aur aisa utha ki wapas us taraf gaya hee nahi
Update-72
apne shabdo ke jaal me fansa kar Vipin bhaiya aur bhi kuch na jaan jaye,isliye main pani peene ke bahane se waha se utha aur aisa utha ki wapas us taraf gaya hee nahi
.
Waise to chhuttiya 7 din ki thi,lekin hum sabne plan banakar ye decide kiya tha ki 15 din tak college nahi jayenge...aur ye sahi bhi tha,kyunki yadi abhi college se bunk nahi marenge to kya baad me office se bunk marenge...lekin mujhe us waqt ghar me aisa mahol create hoga...iska mujhe andaza nahi tha, socha tha ki ghar me rahunga, badhiya 15 din tak khana khaunga aur baad me college ke liye ravana....lekin aisa kuch bhi nahi hua,kyunki ye mera college nahi,ye mera ghar tha,jaha main apne hisab se nahi chal sakta tha....ghar me raat ko 10 ya 11 baje tak sona padta tha,taki subah 6 baje tak neend khul jaye.....main raat ko 10 baje sone ki bahut koshish karta lekin safal nahi hota tha...main apne room ke bistar par pade-pade main college ki ladkiyo ke baare me der raat tak sochta rahta...kabhi-kabhi meri ye soch aadhe ghante tak chalti to kabhi kuch ghanto tak...aur ek din to gazab ho gaya jab main isi soch me itna kho gaya ki subah ke 3 baje tak main jagta hua karwate badalta raha....
.
mujhe apne ghar ki zindagi raas nahi aa rahi thi...isliye maine decide kiya ki main 7 din baad kuch bhi bahana maarkar yaha se nikal jaunga ,bhale hee mujhe without reservation hee kyun na jaana
pade....aur apne isi plan ko kamyab karne ke liye maine pahla teer tab chalaya...jab sham ko sab ek sath hall me baithe the, is waqt hall me t.v. Chalu tha aur usme behad hee bakwas aur boring...serial chal raha tha...bakwas isliye kyunki wo bakwas tha aur boring isliye kyunki in serial walo ne ek achchhi khasi tanatan maal ko saree pahna kar rakkha hua tha,sabse pahle yakin bhaiya ko dilana tha,isliye maine Sabse pahle unhi se bola...
" bhaiya....kal mujhe wapas jana hai..." "kaha..."
"Xuéyuàn..."
"ab hindi me bol..."
"chinese me Xuéyuàn ka matlab college hota hai...mujhe kal college jana hai..." "tune to kaha tha ki 15 dino ke liye yaha aaya hai..."
"actually...bhaiya wo kya hai ki..maine bhi yahi socha tha ,lekin phhir wo main, mujhe khud maloom..ya mujhe..."
"ye teri answersheet nahi hai jo shabdo ko ghuma-ghuma kar bharega...ab jaldi bol.."
"form bharna hai..."maine jhat se jawab diya...aur ye idea mujhe samne chal rahe bakwas aur boring serial se hee sujha tha...jisme ek maal dusare maal ko ek paper pakda kar sign karwa rahi thi.... "form kaisa form.."
"second semester ka...mere ek dost ka phone aaya tha subah usi ne bataya ki kal se form milna chalu ho jayega..."
"to last date me bhar lena...usme kaun si badi baat hai..."
"are bhaiya aap samajh nahi rahe ho,...shuru-shuru me bheed-bhad bahut kam rahti hai, isliye jitna jaldi bhar diya jaye...utna hee sahi hai...."
Vipin bhaiya chup hokar kuch sochane lage aur phhir meri taraf dekhkar bole"to phhir kal form bharkar wapas ghar aa jana...simple..."
"thik hai,,,"apne plan ki bhajiya bante dekh main waha se utha aur andar aakar andar hee andar dahad marne laga....
"lekin bhaiya...kal aane me problem hai..."main wapas hall me gaya aur Vipin bhaiya ke side me baithkar bola"do-teen din ke liye ab main kya wapas aaunga...wahi rook jauna..."
"ek hafte me do-teen din hote hai kya..." "nahi "
"to phhir aisa kyun bola ki do teen din ke liye kya aayega....kal seedhe se college jana aur seedhe se wapas aana..."
"dhat teri ki...."
Uske agle din thik waisa hee hua,main ghar se form bharne ke bahane nikla aur din bhar ghoom kar raat ko 9 baje,train ke time par railway station pahuch gaya.....
"ho gaya kaam..."mujhe pick up karne ke liye aaye Vipin bhaiya ne puchha... "haan...ho gaya.."
"slip kaha hai..."
"slip ???" main kuch der tak soch me pad gaya ki bhaiya kis slip ke baare me baat kar rahe... "slip be..."
"dhat teri ki...wo to main hostel me hee bhool aaya..."
"agli baar se dhyan rakhna..."ek kadak aawaz mere kano me gunji... "ji bhaiya..."
.
Wo 15 din maine jaise-taise bitaye...un 15 dino me mujhe aisa lagne laga tha ki jaise wo 15 din 15 saal ke barabar ho...lekin ab main apne college wapas aa gaya tha, yaani ki second semester me...is semester me bahut kuch naya hone wala tha...kuch achchha tha to kuch behad bura....deepika mam ka ab koyi period class me nahi tha, ye mere liye ek buri khabar thi...kuch laundo ne kaha tha ki result is baar jaldi aayega ..ye bhi mere liye buri khabar thi....aur is waqt sabse buri khabar ye thi ki main is waqt hostel me apne hee room ke bahar kandhe par bag taange khada tha...kyunki Arun room se kahi farar tha...wo ghar se to aa gaya tha,lekin abhi kahi gaya hua tha....main pichhale 15 min. me 3 baar use call laga chuka tha aur har baar wo yahi jawab deta ki bas 5 min.
.
Ghar se sochkar aaya tha ki is semester me kuch bhi ulta seedha nahi karunga...na to laundiyabazi karunga aur na hee ladayi jhagda aur din me 3 cigarette se jyada nahi piung....ye semester mere liye ekdum naya tha,kyunki bahut si chize nayi hone wali thi jaise ki new subjects the...kuch naye teachers, naye lab...workshop etc. etc.
Lekin sabse jyada nayapan to us din lagne wala tha, jisdin humara result aata..