Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#55
Update 46
Us din na to maine dhang se agle din hone wale exam ki taiyari ki aur na hee dhang se soya...jab bhi 
aankh lagti,palke bhari hone lagti tabhi Esha ki bhuri aankho ko main mahsoos karta ,uski surat neend 
me bhi kisi saye ki tarah mujhse lipti rahti, mujhe aisa lagta jaise ki wo mere pass wahi mere hee bistar 
par mere upar leti ho aur left side me dhadak rahe dil ko muskurate hue sahla rahi ho aur phhir jab main 
use apne dono hatho me sametane ke liye apne hath aage karta to wo gayab ho jati, aur meri aankh 
khul jati....Esha ko waha na paakar mujhe thoda sad bhi feel hota aur khudpar hansi bhi aati....kisi ke 
khayalo me khoye rahna , sote jagte bas usi ke baare me sochana ye sab maine sirf hindi filmo me hote 
hue dekha tha...lekin us raat un sab lamho ko maine khud mahsoos kiya, main jab bhi apni aankhe band 
karta aur halki se neend lagti tabhi na jaane kaha se Esha aa jati aur hum dono ek dusare se ladte 
jhagadte....maine to use chidhane ke liye uska nick name tak socha liya tha "Chudail..." haqiqat ki tarah 
main sapne me bhi use chudail kahta aur haqiqat ki tarah sapne me bhi wo mujhe jaan se marne ki 
dhamki deti...use paane ke liye kaleja tadap raha tha , use chhune ke liye main betaab hua ja raha 
tha....us waqt mere liye sari duniya ek taraf aur Esha ek taraf thi, "kal ka exam pakka kharab jane wala 
hai..."aadhi raat ko main lagatar neend ke tootane se pareshan hokar baith gaya aur aankhe malte hue 
andhere me hee cigarette sulgayi....
Meri aankho me uski surat ka kuch aisa rang chadha tha ki mujhe dar lagne laga tha khud se ki kahi main 
wo rang nikalte nikalte andha na ho jaun, main us waqt ajeeb harkate kar raha tha...cigarette ke kash 
lete hue main kabhi Esha ko pane ke liye ekdum bechain ho jata to kabhi uske baare me sochkar dil khil uthta....mobile me time dekha raat ke 2 baj rahe the, neend to aane se rahi isliye maine bahar tahalne 
ka faisala kiya aur room se bahar aa gaya, Arun chain ki neend le raha tha isliye use uthakar bakchodi 
karne ka man nahi kiya...Suna tha ki zindagi me kabhi-kabhi koyi chiz hume aisi mil jati hai jo zindagi se 
bhi jyada pyari lagne lagi, zindagi se bhi jyada anmol lage aur aaj mujhe wo chiz mil gayi thi ,aaj wo 
zindagi se bhi pyare aur anmol chiz ek ladki ke roop me mujhe mili gayi thi ,jo seedh left side me asar 
karti thi.....mere dimag ka calculation ab bhi mujhe is baat ki hidayat de raha tha ki main uske baare me 
na sochu, mera dimag ki calculation ye bhi kah rahi thi ki Esha kabhi bhi mujhse dil nahi lagayegi, us raat 
maine exam me aane wale kisi most important question ki tarah Zindagi ke us most important sach ko 
bhi ignore kiya, us most important sach ko maine kayi bahane banate hue taal diya is aas me ki kisi na 
kisi bahane se Esha is bahane ko sach kar degi.....
us raat kafi der tak idhar udhar tahalne ke baat main wapas apne bistar par ja gira aur subah ke 5 baje 
jakar meri aankh lagi jo seedhe test ke aadhe ghante pahale khuli, wo bhi Arun ke uthane ke karan...
"kya hai be, aaj test dene nahi jana kya..."Arun ne mujhse puchha, wo bilkul taiyar tha aur ab shayad ek
baar revision marne ke jugad me tha.....
"time...."aankho ko malte hue main bola"time kya hua hai"
"jyada nahi subah ke 10 baj rahe hai, aadhe ghante me exam shuru hone wala hai....yadi neend puri na 
hui ho to 5-10 min. Ki ek chhoti si neend aur le le... "
"5 min. baad utha dena..."bolkar maine phhir chadar taan li....
.
us din ke exam me mujhe sirf itna maloom tha ki test kis subject ka hai, date aur day bhi maine aage 
wale se puchh kar bhara tha , sala mujh jaise brilliant ladke se paper ka ek question nahi ban raha tha , 
dil kiya ki khali copy exam invigilator ke muh par de maru, lekin phhir result me ek bade se zero ka 
khayal aaya to har question ke answer me kuch kuch likhkar bahar nikla....jis hisab se maine aaj ka test 
diya tha uske anusar to mujhe bahut dukhi hona chahiye tha aur Arun ko gali dekar apni bhadas nikalni 
chahiye thi lekin na to main dukhi tha aur na hee mera gali dene ka man tha, main khushi khusi 
invigilator ko copy submit karke bahar aaya,...pahale main library me ghusa lekin aaj waha Esha nahi thi, 
uske baad maine upar ,neeche sabhi corridor me bhi dhoondha lekin Esha phhir bhi na dikhi....tab jakar 
mujhe dhyan me aaya ki test to uska bhi hai , abhi examination room me hee hogi to kyun na jaha uski 
car khadi rahti hai waha se thodi door khade rahkar intezaar kiya jaye.....lagbhag aadhe ghante main 
college parking ke pass khada raha lekin waha parking me na to uski car thi aur na hee Esha...lekin main 
phhir bhi waha khada raha kyunki mujhe yakin tha ki koyi bhi itni jaldi exam hall se niklega....lagbhag 
aadhe ghante tak main waha khade hokar makkhiya marta raha tab jakar Esha dikhayi di, wo apne kuch 
dosto ke sath hasti hui college ke gate se bahar aa rahi thi aur turn maarkar apne dosto ke sath canteen 
ki taraf chal di......
"ek number ki bhookkad hai ye to , main itni der se uske intezaar me yaha khada hu aur wo Canteen 
ki taraf chal di...."
main bhi Canteen ki taraf chal pada lekin Canteen me ghusne se pahale maine Sidar ko call kiya aur bola 
ki main Canteen me ja raha hu, nazar marte rahna......
Main Canteen me jaha Esha baithi thi usi ke pass wali table par baitha...kuch der tak to uske dost wahi 
rahe lekin phhir sab apne -apne ghar ko nikal gaye...Esha ko uske kayi dosto ne kaha ki wo unke sath 
chale wo unhe ghar drop kar denge...lekin Esha ne har kisi ko taal diya ,wo boli ki uske dad ne driver se 
car bhejwa di hai...wo jald hee yaha pahuch jayega.....
"do Pepsi lana "maine order diya aur do pepsi ki botal lekar Jaha Esha baithi thi waha jakar main baith 
gaya....
"tum...."
"Kahiye ,kya sewa kar sakta hoon..."
"ye seat book hai ,tum jao yaha se..."
"aur nahi gaya to..."
"to yaad hai na, wo khanzar aur tumhara seena..."
"chal chudail, tere me itni himmat kaha...."
"is canteen ka owner kaun hai..."Esha ne tej aawaz me kaha, jise sunkar turant hee waha kaam karne 
wala ek aadmi pahuch gaya....jise dekhkar Esha boli"ise yaha se le jao, ye mujhe pareshan kar raha hai..."
Canteen wala kuch bolta usse pahale hee maine hath dikhakar waha se jaane ki dhamki di, Kabhi Esha 
use aankh dikhati to kabhi main....jisse bechara tang aakar bola
"aap dono khud sambhal lo, mujhe bahut kaam hai..."
Canteen me kaam karne wale us shaks ke jaane ke baad Esha kuch der tak chup kuch khati rahi aur phhir 
jab uska khana peena khatam hua to wo apna hath jhadkar meri taraf jhuki aur dheere se boli....
"yaha Gautam ke kayi saare dost hai , Gautam aakar lafda karega..."
"tum uski fikar mat karo..."main bhi dheere se bola...
"to jao yaha se..."wo phhir chillakar boli...jisse sabki nazar hum dono par aa tiki...
"ye tu gaanv wali harkate mat kiya kar, warna tujhe apne aas-pass bhi nahi rahne dunga..."
"main tumhare pass ghoomti hu kya, tum hee mere peechhe pade ho...."
"Iiiiiiii....."main ek baar phhir I word se aage nahi badh paya, aur uski taraf pepsi ka ek botal sarkate hue 
bola"lo piyo aur mera bhi pay kar dena...."
"kya...."
"Pay matlab in dono pepsi ka bhi paisa de dena...yar tu pakka gaanv se aayi hai"
"ab mujhe gussa aa raha hai, Arman, don't call me gaanv wali...tumhe shayad maloom nahi ki main kaun 
hoon...."
"aur kya tumhe maloom hai ki tum is samay NSUI ke hone wale president se baat kar rahi hoon..."
Tabhi Esha ka mobile baj utha usne call recieve ki aur phhir gusse se mobile off kar diya....
"kya hua..."
"driver ka call tha, wo bol raha hai ki car beech raste me kharab ho gayi hai..."
"waiter , do pepsi aur lana " khush hote hue main Esha se bola"in dono ka bill bhi bhar dena..."
Usne mujhe phhir gusse se dekha aur apna mobile on karke koyi game khelni lagi, kuch der tak to main 
bhi shant baitha raha lekin jab us chudail ki bahut der tak aawaz nahi suni to main uski samne wali chair 
se uthkar uski pass wali chair par baith gaya aur maine jaise hee uske mobile screen par nazar dali "You 
lose" likhkar aaya....
"tum hans kyun rahe ho, aur mujhse door raho..."wo apni chair door khiskate hue boli...
"main kaha hans raha hu, ye to dukh ke hansi hai..."maine bhi apna chair uske karib khiskaya....
"ek to car beech raste me kharab ho gayi ,upar se ye mefa dimag kharab kar raha hai..."wo badbadayi...
"kaho to main ghar chhod du..."
"aur wo kaise..."
"jadu se...."
"koyi jaroorat nahi hai, kyunki mere dad ne dusari car bhej di hai...jo kuch der me hee yaha pahuch 
jayegi...."
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 07-03-2019, 02:03 AM



Users browsing this thread: 46 Guest(s)