02-03-2019, 01:12 AM
Update 44
Mujhe ek ladki ki taalash bachpan se thi , aisi ladki jisko dekhkar meri aankhe uski aankho se hoti hui sirf
aankho par hee tiki rahe , deepika aur Vibha ko jab bhi dekhta to meri nazar unki aankho se shuru hee
nahi hoti thi wo to seedhe neeche se shuru hokar aakhiri me aankho par pahuchti thi lekin Esha ke case
me aisa nahi tha , maine abhi tak uske sirf bhuri aankho aur khubsurat chehre me hee dhang se nigah
dali thi....main seedha sadha middle class family se belong karta tha, isliye main ek seedhi-sadhi ladki
chahta tha jo mujhse pyar kare aur jisse main pyar karu....playboy bankar har hafte girlfriend change
karna mujhe pasand nahi tha lekin aisi ladkiya mujhe bahut mili jo sirf dusaro ko dikhane ke liye ,dusaro
ko jalane ke liye meri girlfriend banne ko taiyar thi, lekin un sabko maine darkinar karte hue hamesha us
ek ladki ki taalash me raha jo seedhe left side me apna asar dikhaye,...Esha ki bhooli surat, uska baat-
baat par jhagadna aur har dam naak par gussa lekar chalna mujhe bahut pasand tha, pasand nahi tha to
sirf ek chiz ki wo Gautam ki girlfriend thi....dimag ne hazar baar mujhse kaha ki Esha aur tera milna 99.99
% namumkin hai ,lekin phhir dil ke kisi kone se aawaz aayi ki 00.01% chance to hai, isme 1000 ka
multiply karke Esha aur khud ki story ke chances 100 % kar le
sala kameena dil wo waqt ye sab sochane ka nahi tha isliye maine apne dimag aur dil ke calculation ko
pack karke padhne baitha kyunki kal BME ka test tha....
"tujhe kuch samajh aa raha hai, idhar to sab sar ke upar se ja raha hai...."Arun apna baal nochkar bola...
"mujhe Ranchhod das chhanchhad samajh rakkha hai kya,jo bina padhe top maar jaunga, mujhe bhi
kuch samajh nahi aa raha...."
"ye BC ek hee derivation ka dus dus alag tareeka dekar mar gaye, padhna hume padh raha hai..."
"ye scientist yadi aaj zinda hote to goli maar deta in sabko "book par dobara nazar gadate hue main
bola"ye dekh,itna bada formula...ye to sala pure 4 saal me bhi yaad na ho..."
Wo raat humne bookske writer aur apna alag-alag priciple dekar mar gaye mahan logo ko galiya dekar
bitayi, pahle ki aadat thi 4 baje subah uthne ki , us din bhi aankh subah 4 baje khuli,jabki main 12 baje
soya tha...aankho me jalan aur sar bhari lag raha tha, man kar raha tha ki phhir se light band karu aur
chadar oodh kar phhir se so jaun, lekin aaj hone wali exam ki tension se sar bhari hote hue bhi sar ko
halka karna pada main 5-10 min. tak thande pani ki balti me apna sar duboye rakkha aur jab wapas apne
room ki taraf aane laga to mujhe wahi shararat sujhi jo raat ko aksar main kiya karta tha....maine jor se
ek room ka darwaza khatkhataya....
"kaun hai be..."ek mari hui aawaz me andar se kisi ne mujhse mera parichay puchha....
"security officer...darwaza kholo jaldi"apni aawaz kadak karte hue maine kaha"hostel me khoon hua hai aur tu so
raha hai bose dk ,nikal bahar"
Itna bolkar main waha se turant apne room ki taraf bhaga aur jab andar ghus gaya to mujhe us room me
rahne walo ki aawaz sunayi di,...
"ye kuch ladko ne apdravya macha rakha hai kuch dino se...shikayat karni padegi inki...."
hanste hue maine BME ki book pakdi aur khud ko charo taraf se chadar me lapetkar book khol kar baith
gaya....ledekar kuch to palle pada aur jaise-jaise main padhte jata interest khud ba khud badhta ja raha tha, beech beech me kabhi Esha ka khayal aata to kabhi Deepika mam ka, lekin usi samay pata nahi kaisi
manhoos ghadi thi ki mujhe cigartte peene ki talab hui aur main jab cigarette ka bahut jyada talabdar ho
gaya to cigarette ki packet uthaya...lekin wo packet bilkul ,khali tha...
"oye uth..."Arun ko hilate hue maine kaha"uth ja warna,....warna"
"kya haiii...."jamayi lekar wo phhir so gaya...
"cigarette ki packet kaha hai..."
"lawda pee le..."
"lund me machis maar dunga ,jaldi bata kaha hai..."
Aur tab usne apne jeb se cigarette ka dibba nikalkar mujhe diya, Arun se cigarette lekar main apne bistar
par aa dhamka aur cigarette peete-peete Isothermal process ke liye workdone nikalne laga....."
.
"phhat rahi hai yar...sala kuch nahi padha..."
"ab main kya bolu phhat to meri bhi rahi hai,..."
"tu to subah uthkar kuch dekh bhi liya hai, main to BME me Virgin hu.."
Is waqt main aur Arun exam hall ke samne khade batiya rahe the, side me bhu bhi khada tha lekin wo
humse baat na karke apni copy pakde hue tha, kahne ko to ye class test tha lekin is baar class test ko bhi
hod ke kahne par main exam ki tarah liya ja raha tha...
Paper easy tha, phhir bhi thodi bahut mistake har question me hui, examination hall se main bahar nikla
to corridor me deepika mam aati hui dikhayi di, halke pink colour ka salwar unpar bahut jach raha tha,
unhe meri nazar ne neeche se dekhna shuru kiya aur phhir aankho me jakar ruki....
"Good Morning mam..."
"Morning...abhi to afternoon hai..."
"sorry, wo test ka asar abhi tak hai...Good afternoon..."
"kaisa gaya paper..."wo wahi mere pass khadi ho gayi, usne aaj bhi solid perfume mara hua tha jisse
mera tan aur man dono vibration kar rahe the......
"thik gaya...."ek lambi saans kheench kar maine kaha , aur deepika mam ke perfume ki khushboo mere
pure rom-rom me sama gayi,...main waha khada yahi soch raha tha ki wo mujhe phhir se kahe ki chalo
computer lab me , lekin unhone aisa kuch bhi nahi kaha wo boli...
"i have to go...."
"kidhar ,computer lab me "
"awww...."
Main uski is awww par ek smile di jise dekhkar wo boli"mujhe abhi kaam hai....bye"
"kaha chal di...kaha chal di...pyar ki pungi baza ke..."
deepika mam ke jane ke baad main khud se bola aur us raste par apne kadam badha diye jo college se
bahar jata tha...
"news paper padh ke aata hoon..."Library ke samne college se bahar jate hue kadam ruke, mere kadam
rukne ki ek vajah ye bhi thi ki maine Esha ko library ke andar ghuste hue dekh liya tha aur wo bilkul akeli
thi to socha kyun na usi se ladkar thoda mood fresh kar liya jaye.....
Maine library ke andar sahej kar rakkhe hue ek english news paper ko uthaya aur thik usi jagah par jakar
baitha jaha Esha baithi hui thi...uske hath me hindi news paper tha aur wo news paper padhne me itni
magan thi ki usne mujhe dekha tak nahi.....ab main waha aaya to Esha se ladne ke liye tha isliye kisi na
kisi topic par baatchit to karni hee thi....
"pata nahi log hindi news paper kyun padhte hai...masaledar news to english news paper me hee rahti
hai..."news paper ke panne palatate hue main dheere se bola aur Esha ki nazar mujh par padi, usne ek nazar mujhe dekha aur phhir news paper padhne me busy ho gayi.....
"isne to ladayi shuru hee nahi ki ,kuch aur sochna padega..."
English news paper ki panno ki aad me maine Esha ko dekha ,usne skirt aur jeans pahan rakkhi thi aur
tabhi mere 1400 gm ke dimag me usse ladne ka ek aur idea aaya main is baar aawaz thodi tez karke
bola"aaj kal ladkiyo ko dekho, jeans pahan kar ghoomte rahti hai...i hate that type girls, aisi ladkiya yadi
mere pass, meri hee table par baith jaye to ganga jal se khud ko pavitra karna padega...."
Abki baar wo bhadki ,uski bhuri si aankh me gussa utar aaya aur wo mujhse news paper chhen kar
boli..."tum mujhe kah rahe ho right?"
"tum bhi yaha baithi ho, kamal hai maine to tumhe dekha nahi.."English word par jyada jor dete hue
maine kaha "wo kya hai ki main ENGLISH news paper padhne me itna magan tha ki tumhe dekha nahi,
how are you..."
"fine..."wo chilla uthi aur tabhi library me rahne walo ne Esha ko chup rahne ka ishara kiya...
"itna chillane ki kya jaroorat hai ,gaanv se aayi ho kya "
"mujhe dobara mat dikhna warna..."
"warna..."aaram se waha baithkar maine kaha...
"warna....warna..."idhar udhar dekhte hue wo sochane lagi ki wo mujhe kya dhamki de"warna main
tumhara khoon kar dungi..."
"oops ! "
"ab jao yaha se..."wo ek baar phhir chillayi aur library walo ne Esha ko waha se bahar jane ke liye
kaha...wo tunak kar waha se uthi aur bahar chali gayi...main waha baitha-baitha kya karta main bhi usi
ke peechhe chal pada...
"apni girl friend ko bolo ki ye library hai yaha shanti se rahe..."jab main library se nikal raha tha to book
issue karne wale ne mujhse kaha jise sunkar main khush hota hua waha se aage badha....
"kya sach me tum mera khoon kar dogi..."
"haan, yadi dobara mujhe dikhe to ek khanzar seene ke aar-paar kar dungi...."
"chal chudail, tere me itni himmat kaha..."
"whattttttttt.......chudail"
"to isme kya bura kah diya..."humari ladayi achchhi-khasi chal rahi thi ki Arun apna sada sa muh banakar
peechhe se tapak pada aur bola"chal be Arman cigarette peete hai, mood bahut kharab hai...."
"ye chudail, cigarette piyegi..."
"bhad me jao...."
Uske baad main aur Arun waha se nikal gaye bhad me jane ke liye