02-03-2019, 01:04 AM
Update 42
Gautam humare pass aaya aur ek chair kheenchkar us par baith gaya, Gautam ke baithane ke baad meri
nazar sabse pahle Esha par gayi, main dekhna chahta tha ki Esha ka reaction kya hota hai aur maine
dekha ki Gautam ki is harkat se wo pareshan thi, wo apne daanto se hontho ko daba rahi thi, uski
aankho me pareshani ka wahi sabab tha, jiska main deewana tha, apne khayalat me main apni jagah se
utha aur Esha ke hontho par kiss karke bola ki"don't worry ,everything is ok..."
"udhar kya dekh raha hai, idhar dekh..."Gautam ne mera sar pakad kar apni taraf kiya"kya naam bataya
tha tune apna..."
"yahi sawal jakar apne guru Varun se kar, wo achchhe se mera naam with description batayega...."
"tu college ke bahar bhale hee hostel walo ko lekar kisi ko bhi pitwa sakta hai, lekin ye college
hai,..."Canteen ke baki students ki taraf ishara karte hue Gautam mujhse bola"ye sab jo baithe hai na, ye
tujhe tab se ghoor rahe hai,jab se tu yaha aaya hai..."
"tum log sirf ghoor sakte ho, jo karna hai wo to main hee karunga, yadi tum me se kisi ne hath bhi lagaya
to ek-ek ko lejakar usi ground me marunga,jaha Varun aur uske dosto ko mara tha aur phhir unki
girlfriend ko bulakar a walk to the jungle karunga phhir jungle me mangal"
"Tu ye kahna chahta hai ki tu pahle mujhe marega aur phhir Esha ke sath jungle me mangal..."
tab tak Arun bhi form me aa gaya usne Gautam ki taraf taav se dekha aur bola"humare hostel me kuch
gay type launde bhi hai,jo tere sath bhi jungle me mangal karenge, samjha...."
"aa jao, murga fans gaya hai...bas halal karne ki deri hai..."Gautam ne waha baithe hue senior students
ki taraf ishara karte hue kaha aur uska ishara pakar hee 10-15 laundo ne us table ko gher liya jaha par is
waqt hum teeno baithe the....
"Esha ko yaha se bhej de..."
"kyun? Ladkiyo ke samne maar khane se darta hai..."Gautam chilla kar bola...
maine dekha ki canteen ka gate Gautam ke ishare par pahle hee band ho gaya tha, aur college ki main
building se canteen attach bhi nahi tha,isliye college staff waha der se hee aata, itne sare ladko ko apne
pass dekhkar koyi bhi ghabra uthe, main bhi dar gaya...lekin Gautam se main aise baat kar raha tha jaise
mujhe koyi farak hee na pad raha ho....
"Gautam,..ye sab band karo..."baat badhti hui dekhkar Esha waha aayi .
"Esha, tum kaan me headphone lagakar baith jao,..."
"par Gautam..."
"Esha, jao..."
Esha ke waha se jaane ke baad Gautam ne table par apne dono pair pasare aur mujhse bola"kuch din
pahle ka incident batata hu tujhe...ek teri tarah hee chodu launda tha, city bus me maine uska baal
pakad kar chalti bus se neeche fek diya, use to maine koyi mauka nahi diya,lekin tujhe ek mauka deta
hoon, mujhe sorry bol aur chup chap yaha se nikal ja....warna..."
"warna..."
"warna usse bhi bura haal karunga tera..."ekdum se seedhe baithkar usne kaha...
pahle socha ki sorry bolkar baat ko yahi khatam kar du,lekin maine waisa kuch bhi nahi kiya aur Gautam
se bola....
"jab main college me 9th class me tha to 11th class ke ek ladke ne mujhe bahut mara tha, aur wo pura
saal maine isi jugad me nikal diya ki use kaise maru aur 10th me aakar janta hai maine kya us ladke ko..."
"kya..?"
"jaan se maar diya usko, jis chaku ko uske pet me ghusaya tha wo ladte waqt mere hath me lag gaya
tha,jiska nishan abhi tak hai..."maine apna shirt peechhe kiya aur cycle se girne ka jo nisha tha use
dikhate hue bola"lagta hai aisa ek aur nishan jald hee mujhe lagne wala hai, aur tujhe maloom nahi hoga
par maine canteen me ghusne se pahle hee Sidar ko messege kar diya tha ki main canteen me hoon, to
us hisab se agle 5 min. Me pure hostel wale ladke yaha aa jayenge,tum log hum dono ko sirf 5 min maar
sakte ho, lekin uske baad main tum sabko ground par lejakar bahut hee buri tarah se marunga...."
abki maine apna pair table par pasara aur table par rakkhe samose ki plate se ek samosa uthakar khane
laga,dar to tab bhi lag raha tha ki kahi ye log mujhe marna shuru na kar de, kyunki na to maine Sidar ko
messege kiya tha aur na hee 5 min. baad hostel wale aane wale the.....
"relax, friends...we need a plan..."
"ek bahut purani kahawat hai..."Arun ne bhi table ke upar apne dono pair rakkhe aur ek samosa uthakar
bola"plan wo banate hai,jinhe khud par bharosha nahi hota..."
"bahut jald hee tum dono ko bharosha ho jayega..."waha se uthkar Esha ki taraf jate hue Gautam ne
kaha....
"nice plan be..."Arun samosa khate hue bola..."meri to buri tarah phhat gayi thi..."
"phhati to meri bhi thi,lekin "Arun ke hath me jo samosa tha uska aadha tukda todkar khate hue
maine kaha"tujhe ek kaam bola tha ,yaad hai..."
"kaun sa..."
"Gautam aur Esha ki love story kab se aur kaise chal rahi hai, in dono ke baap kya karte hai...ye sab"
"kitni baar kaha hai ki Esha par dhyan mat de, sali ne Gautam ke liye suucide tak kar liya tha to soch hee
sakta hai ki unka love left side wala hoga..."
"left side matlab..."
"dil left side rahta hai, isliye sachche pyar ko left side wala love kahte hai..."
"aur right side love matlab..."
"farzi love, jo is samay tere aur Deepika ke beech chal raha hai..."
"phhir mera aur Esha ka love kis category me aata hai..."
"kisi bhi category me nahi "Arun jor se hasta hua bola"ye to love hee nahi hai "
Arun se us samay kya kahu mujhe kuch nahi sujha aur aaj bhi main use kuch nahi samjha paya,kyunki main khud aaj tak nahi samajh paya ki Esha aur mera love left side wala tha ya phhir right side wala ya
phhir koyi love hee nahi tha, jo bhi ho us din waha canteen me humne pura samay bitaya ,us din kuch
alag sa hua, Esha us din canteen me mujhe dekh rahi thi, aur jab meri nazar usse milti to wo turant apna
rang badal kar gusse se dekhne lagti aur uski yahi aada har baar mera dil cheer ke rakh deti thi....recess
ke baad ki class me kuch bhi khas nahi hua, baki ke sabhi teachers aaye aur test ka topic bata kar advice
dene lage ki unke subject ki taiyari kaise karni hai,kul milakar kahe to recess ke baad achchha khasa
boring din beeta,....
"abey wo dekh Esha...."chhutti ke samay main jab Arun ke sath college se bahar nikal raha tha tab maine
Esha ko bahar pareshan dekha....
"to kya, ab jake chummi lega kya uski..."
"yadi wo ek chummi de de to kasam se engineering chhod du..."
"ye to mera dialogue tha..."
"lawde udhar wo pareshan khadi hai aur tujhe dialoguebazi ki padi hai, tu nikal main aata hoon...."
Arun ko waha se bhejne ke baad main Esha ki taraf badha, main us waqt yahi sochta raha ki main Esha
se kya kahunga, mujhe waha uske pass nahi jana chahiye lekin main uske pass gaya aur usse uski
pareshani ka karan bhi puchha....
"evening walk to kar nahi rahi hogi, phhir idhar udhar kyun tahal rahi ho..."
"tumse matlab..."ek karara jawab dekar wo phhir idhar se udhar aur udhar se idhar chalne lagi....
"idhar se guzar raha tha to tumhe pareshan dekh kar rook gaya, waise bhi mujhe college me sikhaya gaya
tha ki insaniyat bhi koyi chiz hoti hai,..."
"tum mujhe aur pareshan mat karo aur jao yaha se...."
"nahi jaunga..."
"to khade raho yahi,main jati hu yaha se...."apna pair patak kar Esha waha se aage badh gayi....
"kamal hai yar, bhalayi ka to zamana hee nahi hai...."Esha ko jate hue dekhkar maine kaha.....
waise to Esha ka har din Gautam ke sath car me aana-jana hota tha,lekin us din Gautam nahi aaya, balki
Gautam ka ek dost apni bike par baitha kar Esha ko le gaya,Esha ko Gautam ke dost ke sath jata dekh
mere left side me halchal mach gayi, main kayi khayalat bunne laga jaise ki "kya Esha ka break-up ho
gaya Gautam se ya phhir in dono ki jordar ladayi hui hai, ya phhir wo ladka jo ki Gautam ka dost hai wo
Esha ke sath kahi........nahi, ye kaise ho sakta hai , Gautam ke dosto ke pass itni himmat hee nahi hai aur
waise bhi Esha is kaam ke liye taiyar nahi hogi, lekin phhir aisa kya ho gaya ki aaj Gautam ke sath na jakar
Esha uske dost ke sath gayi aur ye BC Gautam kaha mar gaya"