02-03-2019, 01:01 AM
Update 41
Na jaane kyun, Esha ko pareshan dekh kar achchha lag raha tha, wo jab bhi tunak kar peechhe mudti to
main hans deta aur wo phhir tunak kar aage dekhne lagti....
"ye bheed itni jaldi kyun khatam ho rahi hai...."
Chhoti hoti hui line ko dekh kar main khud par chillaya, us waqt main sabke ulat yahi chah raha tha ki ye
line aaram se do teen ghante me khatam ho jaye, kyunki har 5 min. Me main kuch aisa kar deta jiski
vajah se Esha peechhe mud kar dekhti aur jab wo mujhe dekhti to ek lafz har baar zuban par aata lekin
main aakhiri tak wo lafz bol nahi paya....main har baar "I...."par aakar atak jata tha, uske ulat Esha waha
khade hokar jald se jald mujhse aur lambi chaudi line se chhutkara pana chahti thi....wo jald se jald
nomination form bharkar waha se jana chahti thi, anjane me hee sahi lekin yadi is wakaye ko technical
taur par dekhe to main uske karib aana chahta tha lekin wo mujhse door jana chahti thi, aur shayad yahi
humari....humari nahi meri taqdeer thi.....
"tumne abhi mujhe kya kaha..."har baar ki tarah wo ek baar phhir naak me gussa liye hue peechhe
palti...
"maine to kuch nahi kaha, main to bhool bhi gaya tha ki tum bhi yaha khadi ho..."
"maine suna, tumne mujhe kaha, ye meri Angel hai..."
"isne kaise sun liya, ye to maine khud se kaha tha...."khud se baate karte hue, mujhe jab kuch nahi sujha
to main jor-jor se hansne laga...
"wo to main phone par baat kar raha tha...."
"jhooth mat bolo...."
"had hai yar,...ab main kisi ko call bhi na karu kyunki tum yaha mere pass, mere karib ho...."
"it's ok..."wo phhir palat gayi aur dil ke ek baar phhir tukde hokar jud gaye...
"hello Gautam..."apna call receive karke usne kaha....
"is BC ne call kyun kiya..."main badbadaya...
"student department ke samne.."Esha ne call disconnect kar di aur ek baar phhir se peechhe palat kar
mujhe dekhne lagi...wo mujhe jalana chahti thi,lekin main shant khada dusari taraf dekhta raha, aur tab
tak dusari taraf dekhta raha,jab tak wo aage nahi palat gayi....
"hi...."Gautam ne Esha ko dekhkar door se apna hath hilaya aur Esha se possitive response pakar wo
udhar hee aane laga, aur mujhe waha Esha ke peechhe dekhkar uska dimag khisak gaya aur wo teji se
meri taraf aane laga.....
"chal nikal..."
"why ? "uski aankh se aankh milate hue main kaha...
"bas bol diya na nikal to nikal..."
"Gautam relax....tumhe kisi se bhi kaise lad sakte ho ,kuch to standard rakkho apna..."Gautam ko shant
karate hue Esha boli....
"tumne sahi kaha Esha, kisi bhi aise kaise ke to muh bhi nahi lagna chahiye aur tum ye batao ki what are you doing here..."
"nomination form "
"ye sab in jaiso ke liye hai, tum seedhe Khurana uncle ka naam lekar andar ja sakti thi...."
Ladne ke mood me to main bhi tha lekin line teji se aage badh rahi thi isliye mujhe aage jana pada aur
waise bhi Sidar ne control me rahne ke liye kaha tha aur jab form lekar bahar nikla to Gautam aur Esha
wahi kinare par khade baat kar rahe the , kuch pal ke liye main wahi khada un dono ko ek sath dekhkar
apna kaleja jalata raha aur jab sab sahan se adhik ho gaya to maine waha se jaana hee behtar
samjha.......
.
"bahar,bahar bilkul bahar,..."dammo rani ne mere may i come kahne se pahle hee bahar rahne ke liye
kah diya...
"mam, form lene gaya tha, aaj last date tha..."apne hath me rakkhe form ko dikhate hue main bola
"to main kya karu...aise karoge to kaise chalega..."
"last time mam, sorry..."
"come in..."
"thank you mam "
"next week se tum logo ka fist class test hai..."
main abhi apni seat par aakar dhang se baith bhi nahi paya tha ki Dammo rani ne kaha, aur jise sunkar
main chauk gaya....
"baki teachers to batate bhi nahi,lekin main bata de rahi hu, mujhe mere subject me 20 out of 20
chahiye..."
"yes mam..."sirf do logo ko chhodkar ,sabne ye kaha, ek to yakinan main tha aur dusara koyi aur nahi
mera khas dost tha....
"kya bolta hai, aa jayenge tere 20..."
"mujhe to topic tak nahi pata ki ye padha kya rahi hai aur test me kya degi..."
"sali gala kaat ke rakh degi aur bolegi aise karoge to kaise chalega..."
"BC ,kuch hee din to hue hai college aaye hue, aur abhi se test "board par jo topic likha hua tha use
apni copy me utarte hue maine kaha....
"tension mat le, sab ek raat me nipta lenge..."
"ab to yahi karna padega...."
us din jitne bhi teacher aaye sabne yahi kaha ki next week test hai aur kewal main hee tum log ko ye
bata raha/rahi hu, baki teachers to batana hee nahi chahte....recess me bhookh lagi to main aur Arun
canteen ki taraf badh chale ye jante hue bhi ki waha city me rahne wale seniors ki achchhi khasi bheed
hogi,...
"yadi kuch lafda hua to..."Canteen me ghuste hee maine Arun se kaha"hostel wale senior ka number hai
na tere pass..."
"haan hai na dar mat...."ek table par jakar main aur Arun baith gaye ,
"wo dekhi tere sapno ki rani apne sapno ke raja ke sath us table par baith kar family planning kar rahi
hai..."
"kaun Esha..."
"haan be,..."
maine peechhe mudkar dekha, sach me Esha waha thi lekin uske sath me Gautam bhi tha,...
"wo idhar hee aa raha hai..."jab main samne mudkar apna pet bharne laga ,tab Arun ne kaha"chal bhag
lete hai,warna sala bahut marega..."
"abey rook, kahi mat ja..."maine Arun ka hath pakad liya aur tab tak Gautam bhi jis table par hum baithe
the waha aa gaya....