02-03-2019, 01:00 AM
Update 40
"NSUI ka election ladega..."waha se Jate-jate peechhe palat kar Sidar ne mujhse puchha aur maine
turant apna sar muskurate hue na me hila diya....
"kyun...."
"study par effect padta hai isse, maine suna hai aisa..."
"ok..."
Sidar waha se chala gaya, waha se apne room me aane ke baad mujhe jo sabse pahla kaam karna tha wo
tha apne kapdo par press karna...
"ek meri shirt par bhi kar de..."ek shirt meri taraf fek kar Arun bola
"time nahi hai...."
"bahut time hai, abhi to direct 1 ghanta baki hai..."
"to ek kaam kar..."main press karna band karke seedha khada hua"ghanta pakad ke jhul ja,..."
"kar de..."
"na..."
"abey kar de na..."
"na bola na..."
"raat ko cigarette pilaunga..."
"ek baar bol diya na ki nahi karunga...."
"wo bhi free me..."
"la apni shirt de,..."
.
College me role to dhamakedar bana hua tha , alam yaha tak tha ki jab main apne hostel se nikal kar
college campus me dakhil hota to bahar khade ,ya aate-jate logo me se sab to nahi lekin aadhe meri
taraf jaroor dekhte the aur waise bhi jab aap 7 saal se fail hone wale gunde ko maroge to public aisa hee response deti hai....
"nomination form bhar liya kya tune ? "abhi college ke andar ek kadam hee rakkha tha ki Arun bol
pada"yadi na liya ho to ,le aa aur lage hath mere liye bhi ek..."
bhu ne bhi humare sath college ke andar entry mari thi aur usi ne shayad Arun se kaha tha ki wo mujhe
form lene ke liye bheje....
"kitne ka aata hai..."
"3 ka..."bhu ne jhat se jawab diya...
"phhir to ek bhu ke liye bhi le aaunga, nikal 10 "
Arun ne turant 10 rs. Ka note mujhe de diya aur bola"paisa ka mamla nahi hai kakke....baat to kuch aur
hee hai, jo aapko wahi jakar maloom chalegi Arman Sir..."
Waha se wo dono class ki taraf badhe aur main student department ki taraf badha, aur jaise hee student
department ke pass pahucha waha ka nazara dekh kar dang rah gaya, student department ke bahar
bahut lambi line lagi hui thi....kuch students waha pass baithe peon se jugad jama rahe the taki unka
kaam jaldi ho sake, lekin maine aisa kuch bhi na karte hue seedhe line me lag gaya,....
"excuse me....."mere samne wali ladki ne bahut jor se kaha aur peechhe palti, use dekhte hee jaha main
chup ho gaya wahi mujhe dekhkar wo bhi chup thi, aankho se aankhe mili, uske dil ka to pata nahi par
mere seene me left side me kaid laal rang ki ek chiz jise log dil kahte hai wo dhadak utha....dhadkan to
Esha ko dekhane se pahle bhi chal rahi thi, dil to pahle bhi dhadak raha tha,lekin us ek pal me jab usne
mujhe dekha to mujhe meri dhadkano ka ahsaas hua, main chahta tha ki wo mujhe yun hee dekhti rahi ,
aur phhir hum dono ek dusare ke karib aaye aur main usse bolu ki "I........."
"hello Mister,ek to pahle dhakka dete ho aur phhir upar se line marte ho..."
Wo mujhse sawal kar rahi thi aur main us waqt use ghoore ja raha tha, pata nahi sala aisa kya tha us
ladki me jo main uske sath life time strong bond banana chahta tha,....
"oye i am talking to you..."mujhe jor se jhadakate hue Esha boli.....
"kya hua..."hosh me aate hee maine sawal kiya...
"kuch der pahle tumne mujhe dhakka diya tha...."
"to..."
"to..."
"to kya..."
"tumne jaan buchkar mujhe dhakka diya..."
"dekho aisa kuch bhi nahi hai, itni lambi line lagi hai to thoda bahut to dhakka mukki ho hee jati
hai...relax"
"lekin tumne mujhe jaan buchkar dhakka diya, sorry bolo..."
"kahe ka sorry bolu yar, "
live fight ka maza lene walo ki kabhi kami nahi rahti aur jab ye live fight ladke aur ladki ke beech me ho
to darshak aur badh jate hai, us waqt bhi aisa hua,sab line me to lage the ,lekin maza bhi le rahe the....
"main bol rahi hu na sorry bolo..."
"ja nahi bolta..."
Wo pahli gussayi aur apni gussail bhuri aankho se mujhe dhamki di lekin maine phhir bhi sorry nahi bola
to wo pair patak kar aage mud gayi....