Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
#42
Update 36
"Esha jaan....tum yahi khadi rahna, main dekhta hu ki kal ka aaya ye kya karta hai..."kahte hue usne ek 
baar aur bhu ko mara....
"Aisa kya, phhir ye le..."main usse thoda peechhe gaya aur kaskar ek thappad Gautam ko jad diya,...
wo thappad maine apni puri taqat ke sath mara tha, isliye uski gunj sabke kano tak to pahuchani thi, 
waha khade sabhi students me se kisi ki aankhe badi ho gayi to kisi ka muh khula ka khula rah gaya, kuch 
ladkiyo ne apne muh par hath rakhkar ladkiyo wali style me awwww bhi kiya....first year ki sabhi class 
me jitne bhi students baithe the wo sab ladayi ka naam sunkar baar corridor par aa gaye, tab mujhe laga 
ki Gautam ko nahi marna chahiye tha,...Gautam ki girl friend bhi wahi khadi thi,isliye wo uske samne 
mujhe gali nahi de sakta tha aur mere samne jise main girlfriend banana chahta tha wo khadi thi, isliye 
us waqt gali to main bhi nahi de sakta tha....
"chal side me sale..."mera collar pakad kar Gautam ne bola aur jawab me maine bhi apne dono hatho se uska collar kaskar pakad liya.....
"tu khud ko samajhta kya hai be, tujhe zara bhi andaza hai ki who am i and what can i do "daant peeskar 
usne dheere se kaha...
"mera hath frictionless hai, yadi ek baar marna shuru karunga to marta hee jaunga aur jise marta hu 
uska kya haal hota hai ye tu Varun se puchh lena....."
Gautam thoda dheela pad gaya meri baat sunkar aur mujhse puchha ki main rahta kaha hu aur jab 
maine use bataya ki main hostel ka hoon tu usne mera naam puchha....
"Arman...."maine apna naam bataya aur mere is naam ka bahut jyada asar Gautam par hua usne turant 
mere gireban se apna hath hata liya....
"Sidar ke dam pe uchak raha hai tu, agle saal kya karega jab wo nikal jayega...."
"main is ek saal me hee tum logo ki itani maar lunga ki agle saal ki jaroorat hee nahi padegi..."
"abey Arman maar sale ko..."bhu ne chillakar kar kaha,
"tu chup be fuddu, warna ek hath marunga to yahi se neeche gir jayega...."
"chal chhod ,mujhe class attend karni hai"kahte hue maine Gautam ko door dhakela aur class me jane 
laga, tabhi Gautam ki aawaz mere kano me padi....
"yadi itna hee dam hai to aaj recess ke time par canteen me milna...."
"sorry, time nahi hai..." peechhe mude bina hee maine kaha aur class ke andar ghus gaya,...
jinse thodi bahut pahchan thi wo sabhi apne class se bahar nikal aaye the, lekin jo mera sabse khas dost 
tha, jo mera room mate hone ke sath sath mera classmate, mera bench mate tha wahi bas class se 
bahar nahi aaya tha, aur iska pata mujhe tab laga jab maine class me ghuste hee Arun ko assignment 
likhte hue dekha,....
"kya likh raha hai..."main normal hota hua bola, jabki sach to ye tha ki main us waqt bahut hee gusse me 
tha.....Arun ko to ye tak nahi maloom tha ki kuch der pahle meri ladayi Esha ke boyfriend se ho rahi thi....
"kaha tha tu...."assignment chhapte hue usne kaha...
"bahar gaya tha , kyun "
"abhi kuch der pahle aata to mast nazara dikhata tujhe, bahar do laundo ki ladayi ho rahi thi..."
"kin do laundo ko..."
"maloom nahi, main to assignment likh raha tha...."
Uske agle hee pal maine Arun ko ek mukka jadkar kaha "sale bahar main ek senior se lad raha tha aur tu 
yaha baithkar padhayi kar raha tha...."
"teri ladayi "wo chauk gaya "naam bata sale ka ,class me ghus kar marenge..."
"Gautam, Mechanical second year....Esha ka boyfriend..."Gautam ka naam sunkar Arun ke tevar kam ho 
gaye aur phhir se assignment likhne laga,
"phhat gayi na, uska naam sunkar..."
"main kisi se nahi darta..."
"to chal na, chal class me ghuskar marte hai use...."
"kabhi aur..."
"sala nautanki...."bag kholte hue maine Arun se puchha"aaj first class kiski hai..."
"deepika mam ki "
Deepika mam ka naam sunte hee ek baar phhir se mood off ho gaya kyunki aaj assignment check karana 
tha , aur assignment karna to door maine abhi tak copy hee nahi kharidi thi, upar se last assignment bhi 
incomplete tha,...jaise jaise samay beetata gaya bahar khade sabhi student andar aane lage, meri nazar 
ek baar phhir sabke taraf thi, main chahta tha ki is baar koyi to aisa ho jo assignment na karne walo ki list me apna naam likhwaye,lekin us din bhi main akela hee tha.. Sale sab padhaku ki aulaad the....
"Arman, ..."
"yes mam " khade hokar maine apna sar jhuka liya....
"tumhare do Assignment the, yaad hai na..."
"yes mam"sar jhukakar hee maine jawab diya...
"good...lao,check kar deti hoon..."
"Assignment to maine nahi kiya , sorry mam, agli baar teeno assignment ek sath check kara 
dunga...."maine socha ki is excuse se shayad koyi baat ban jayegi, lekin aisa kuch bhi nahi hua, deepika 
mam billi ki tarah mujhe ghoorti rahi aur phhir mera roll number note karke ,mujhe practical me kam 
number dene ki dhamki di aur phhir baitha diya.....
"lololololololo....."Arun khis niporte hue bola
"ye kya hai be lololololo...."
"kuch nahi, tu ise ek baar Haweli me leke aaja kasam se saal bhar ka assignment ek baar me ise de 
dunga, sali ke kya chut honge kya doodh honge , yadi ye mujhse chud jaye to kasam se main apni 
engineering ki padhayi chhod doon....."
"tera inspector baap tujhe jail me daal dega ,yadi tune engineering chhodi to...."
"Arun and Arman...."
"ji...ji mam"hum dono baukhala gaye aur copy kholkar padhne ka natak karne lage....
"get out...."
"kya mam...."
"get lost....ab sunayi diya...."
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 02-03-2019, 12:54 AM



Users browsing this thread: 20 Guest(s)