28-02-2019, 08:02 AM
Thik hai – kahte hue main wapas andar chal dii
Main andar pahunchi to dekha shahnaz abhi aayi nahi thi , amin wahin baith kar uska intezar karne lagi , kuch der ke baad shahnaz bahar aauyi aur boli bibbi aap ko andar bula rahe hain
Mujhe bulakar counsellor’s ne wish kiya aur kaha bahut zaheen hain aap ki sister Mubarak ho in ko admission mil gaya hai
Thanks god – Main boli kyun ki mere liye yahi sab se zaroori kaam tha aur main kitni pareshan thi shahnaz ke admission ke liye ye sirf main janti thi
Fir un logon ne bataya ki ab kya karna hai – bole ki next week aakar aap ko fees jo ki D.D. me jama hogi wo karni hai aur examination form baki sari formalities puri karni hain , un logon ne mujhe bhi us subject ke bare me bataya lekin maine yahi kaha ki meri sister ko shauk hai chemistry parhne ka to main is mamale me kuch nahi kar sakti aur is ki parhayi ke mamale me maine aaj tak apni marzi nahi thopi hai
Kuch aur baton ke baad maine sab ka shukriya qada kiya aur bahar aa gayi bahar akar main sir se mili mujh se pahle unhone hi mujhe aur shahnaz ko mubarakbad dii , aur madam ko phone kar ke bataya ki ho gaya aap ki ladli ka admission
Maine bhi un ke hi phone se madam se bat ki aur fir main shahnaz ke sath bahar aa gayi.
Shahnaz aaj khushi se foole nahi sama rahi thi bas aisa lag raha tha jaise ki chalte chalte wo hawa me urne lagegi , amin bhi bahut khush thi apni shahnaz ko khush dekhkar jo is duniya me wahid meri apni mara sab kuch thi , meri zindagi mera sab kuch sirf us pe hi nisaar
Main shahnaz ke sath sath chal rahi thi, aur shahnaz mujh se baten kar rahi thi yunhi bat karte hue wo boli bibbi – mujhe to bhookh lagi hai
Maine kaha – yahan kuch khaogi ya bahar chalke kahin aur kuch khaya jaye
Ye sochna aap ka kaam hai muje to sirf khana hai – WO boli
Thik hai to chaliye shaizan aaye hue hain saman lekar un se samaan le lete hain fir chalte hain – maine kaha
Thik hai bibbi – wo boli aur hum log udhar hi ja rahe the jidhar shaizan ki gadi khari thi , jaise hi hum log wahan pahunche to shaizan wahin kuch larke larkiyon ki toli me khara baten kar raha tha , hum logon ko dekhte hi wo wahan se hum logn ki taraf aaya aur pas aate hi shahnaz ko mubarakbad dii
Aap ko kaise pata – shahnaz ne pucha
Arey aap jaisi zaheen ko kaun bahar kar sakta hai , aap ka face bata raha hai ki aap ko admission mil gaya hai – wo bola
Yes – thank you – shahnaz boli
To kya programme hai – shaizan ne pucha
Lunch karna hai aur fir jana hai – shahnaz boli
Maine shahnaz ko ghoorkar dekha – kitni bewakoof hai ek bat bhi nahi chupa sakti ye – main barbarayi
To fir chaliye lunch karte hain fir aap logon KO bus stop ya station jahan kahiye wahan tak chor deta hun – wo bola
Thik hai – maine kaha aur hum log gadi ke aps aa gaye gadi ko dekhte hi shahnaz boli wow ye to dusri gadi hai , ye kis ki hai
Ye mere dost ki gadi hai main us ki gadi hai – wo muskurate hue bola aur hum log gadi me batih gaye , aur gadi chal dii , gadi me baithte hi mujhe neend aane lagi , behad aaramdeh gadi thi aur jisme A.C, chal raha tha meri ankh lagne lagi
Kuch der ke bad hi gadi ruk gayi to maine dekha woe k restaurant ke bahr jakar ruki thi , jahan hum logon ne bas bahut light lunch kiya aur baahr aa gaye .
Chaliye ab ap logon ko kahan chor dun bataiye – shaizan ne gadi me baithte hue pucha
Bus stand tak - main boli
Thik hai bas kuich minute ka sath aur hai hamara aap ka fir pata nahi mulakat ho na ho - wo bola
Kyun abhi next week me to fir aana hai hum ko fees deposit karne – shahnaz tapak se boli
Shahnaz aap khamosh nahi baith sakti – main ghusse se boli
Sorry bibbi – wo boli
Kuch der ke bad gadi bus stop pe ruki aur hum log utar gaye shaizan bhi utar kar andar tak hum logn ke sath aaya , wahan mere shahar ki to koi bus nahi thi , lekin ek long route ki bus jo ki mere city se hi hokar jati thi wo mil gayi hum log baith gaye .
Shaizan se hum logon ne vida lii , jate jate us ne kaha pahunch kar phone zaroor kariyega
Aap apni bibbi ki remind kara diyega ki wo pahunch kar mujhe phone kar den – us ne shahnaz se kaha
Jee zaroor – shahnaz ne kaha
Jate jate ek bar fir shaizan ne mujh se kaha thank you very much gulnaaz aap ne mujhe maaf kar diya , mujhe ab aur kuch nahi chahiye – ye kahte hue us ki ankhen nam thin
meri bus chal dii thi lekin shaizan bahar khare hokar hath hilate hue buye kar raha tha , door nikal jane par maine piche khirki se dekha to wo wahin khara tha aur us ka hath abhi bhi hawa me tha jaise wo abhi tak mujhe bye kah raha ho.
_