Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Agnivarsha The incomplete LOVE story.
#6
Update 2 - The Dream



dopehar ka waqt tha lekin wahan pura ghana andhera raat tha Agni ek aise jungle main tha jidhar suraj ki ek halkii roshni bhi dikhayi nahin de rahi thi jeshe amavas ki raat ho wahan pe itna sanatta tha ke jeshe wahan shaitan ka vas ho agni dhire dhire age badhta hai usi waqt use achanak koyi awaaz sunai deti hai agni ke kadam wahin pe ruk jate hain aur wo piche mudke dekhta hai kii ye kish kii awaaz hai ek baar phir wo awaaz ati hai jise sunke agni ke dil kii dhadkan tej ho jati hai

wauuuuuuuuu wauuuuuuuuu ye awaaz sunke agni samajh jata hai kii ye bhediyon ka awaaz hai aur wo samajh jata hai ki bhediye sayed uske liye arahe hain darke mare uske pair wahin jam jate hain woh hill bhi nahin paa raha tha woh bhagne ki koshis kar raha tha lekin wo hill bhi nahin paa raha tha dekhte hi dekhte wo awaaz aur karib arahi thi aur karib aur karib aur karib aur phir achanak

uske samne bhediye aaa jate hain dekhte hii dekhte wahan bhediyon ka pura ka pura jhund jama ho jata hai jeshe wo than ke aye ho kii shikar karna hii hai unn bhedhiyon ko to dekh kar kisika bhi khoon safed ho jaye wo sare bhediye bahut bade the ek ek ki hight kam se kam 6 se 7 foot hogi hii wo bhediye aam bhediyon se alag the unka speed unke hight unke ankhe jo lal thi agr ankhon me dekhon to lage jeshe unke ankhe jal rahi ho achanak se wo sare bhediye hatt jate hain unke bich se ek bahut bada bhediya samne atta hai uska ek ankh pe khanjar ka nishan hota hai jishe dekh agni kii ankhe phati kii phati reh jati hain aur achanak wo bhediya bhokta hai wauuuuuuuuuu wauuuuuuuuu aur agle pal agni ke uper chalang maar deta hai aur tabhi

achanak agni ki ankh khul jati hai aur uska sapna tut jata hai wo pura ka pura pashine se bhiga hua hota hai uske paas uska bhatija khada hoke ushe kab se awaaz de raha tha agni ke bhatije ka naam shreyas hai shreyas agni se kehta hai chachu jaldi uthiye dadi bula rahi hain ajj monday hai aur apko dadi ko leker mandir bhi to jana hai aur lot ke mujhe,raju aur didi ko school bhi pahunchana hai jaldi uthiye chachu phir agni kehta hai abe uth to raha hoon jaa bhag yahan se aur dadi ko bol 15 min me aya aur phir agni bed se uth jata hai aur apne sapne ke bare me sochne lagta hai are yaar ish sapne se mera picha kab chootega main kab raat ko chain se so sakunga pata nahin bachpan se hii mujhe ye sapna rojana kyun atta hai aur wo sala kaniya bhediya bhachapan se hii mere piche pada hai

kahin mera ish sapne se koi link to nahin hai yahi sochte sochte uski nazar calender pe padta hai aur kuch yaad atta hai are ajj to collage khulne wala hai aur ajj wo apne Junior's kii jamke ragging karega , dev to raat ko so bhi nahin paya hoga raging ko lekar sala tharki hai na ajj to sayed hii wo kishi ladki ko chode ragging ke naam par aur phir agni yahii sab sochte hue mushkura deta hai aur ush kane bhediye ko galiyan bakte hue bathroom me ghoos jata hai

idhar niche agni ki maa drawing room me bethke agni ko galiyan de rahi thi nalayak kahin kaa kitna der kar raha hai kitne samay lagata hai bathroom ke andar lagta hai me ajj let ho jaungi hospital bhi jana hai aur lat sahab abhi tak nahin aye

ushi waqt wahan agni ajata hai aur dekhta hai kii maa bohut gusse me hai to wo jake unke pair chunke good morning bolta hai aur maa ka gussa thoda kam hojata hai aur apne maa ko leke pehle mandir or phir hospital pe drop karta hai aur ghar akar apne bhatiji aur bhatijon ko school drop karta hai aur wahan se apne dost dev ke ghar pe chala jata hai jahan abhi aur dev uska intajar kar rahe the aur agni ko dekte hi wo dono baras padte hain

dev jyada gussa tha kyuki use ragging jo leni thi , agni dono ko gusse me dekh bola bas karo be nahin to ek mukka de dunga salon aur wo bhi free sari hero giri dhari ki dhari reh jayegi aur karliyo ragging ye sun dev kii phat jati hai aur wo kehta abe bura maan gaya kya hum to mazak kar rahe the chal sale narayan ke dukan pe tujhe cigarette pilata hoon agni ne muhn banate hue bola lekin
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Agnivarsha The incomplete LOVE story. - by imravan1997im - 28-02-2019, 05:14 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)