25-02-2019, 06:34 PM
Chapter-7:Suicide
Update-27
Mujhe phhir bhi yakin nahi hua aur ye sochkar ki maine galat suna hoga maine ek baar aur Arun se
puchha...
"kya..."
"Esha ne suicide karne ki koshish ki hai..."
Teen baar se main lagatara wahi sawal puchh raha tha aur Arun mere un sawalo ka ek sa jawab de raha
tha....us waqt kuch hua ,kuch alag sa hee hua,kuch alag sa hee ahsaas hua....main waha se daudte hue
seedhe college se bahar aaya bina ye soche hue bhi ke mujhe jana kaha hai, bina ye soche ki seniors
mujhe pakad sakte hai aur mera kachumar bana sakte hai....college ke main gate se main nikla hee tha ki
meri nazar us ek ped par padi jis par rang birange phhool lage hue the....wo wahi ped tha, waha us waqt
hawa bhi wahi bah rahi thi ,jo rojana bahti thi , college bhi wahi tha aur usme padhne wale students bhi
wahi the...suraj aaj bhi purab se nikal kar apni manzil ki taraf badh raha tha, lekin jab se Esha ke suicide
ki khabar suni to us ek pal me jaise puri duniya badal gayi ho, rang-birangi dharti jaise akal ke karan sukh
gayi ho, aisa lagne laga tha mujhe us waqt....log mere samne se aate aur chale jate, us waqt yadi koyi
mujhpar laat-ghuso ki barsaat bhi kar deta to main use siway dekhne ke kuch nahi karta......
"Arun...Naveen..."maine ye do naam liye, jo mere khas dost the ,
"kaha ja raha hai..."peechhe se mere khas dost Arun ne aawaz di, wo bhi mere peechhe-peechhe aa
gaya tha bina ye jane use jana kaha hai....
"Esha kis hospital me hai...."
meri ghabrahat ko Arun pahchan gaya aur meri bechaini ko samajhkar wo bola"ye to mujhe nahi
maloom...."
"tujhe kisne bataya ki Esha ne suicide karne ki koshish ki hai...."
"class me kuch ladke baat kar rahe the, jise mere dost ne sun liya aur phhir mujhe khabar di...."
is waqt Esha se milne ka bahut dil kar raha tha , lekin usse milu bhi to kaise ,yadi main usse mila bhi to
main kya kahunga...ki main yaha kyun aaya, kisliye aaya kis haq se aaya.....dil me hazar goliya fire karke
maine waha se wapas apni class me jane ka socha....
corridor me ab bhi students bahar the, kuch tahal rahe the to kuch group banakar baate kar rahe the, waha mujhe Arun ka wo dost bhi dikhayi diya jo Esha ki class me tha.....
"sun na yar...."maine Arun ke dost ko bulaya aur us sale ne meri dukhti rag par hath to rakkha hee sath
hee sath hathoda marte hue bola...
"Arman tujhe maloom chala ya nahi....Esha ne suicide karne ki koshish ki hai...."
"haan maloom hai...koyi vajah maloom chali ki usne aisa kyun kiya..."
"pyar, mohabbat ka chakkar hai dost....tu bhool ja use..."
jitni aasani se usne mujhe kah diya utni asani se maine uski baat ko ek kan se sunkar dusare kan se nikal
diya aur usse puchha ki Esha kis hospital me hai....
"maloom nahi....lekin college off hone tak kisi se puchhkar tujhe bata dunga...."
"thanks , ab chalta hu..."
"chal bye..."
waha se main seedhe apni class me aakar baith gaya ,ye soch soch kar dil fata ja raha tha ki Esha ne kisi
ke pyar me apni jaan dene ki koshish ki hai....
"wo use bahut pyar karti hai ,iska matlab main aur mere Armano ke liye uske dil me koyi jagah
nahi...."main us waqt khud se hee sawal jawab kiye ja raha tha....
"lekin us din class me to wo mujhe dekh rahi thi...."main us waqt jhooth ko sach aur sach ko jhooth sabit
karne par laga hua tha, us waqt mujhe zara bhi khayal nahi tha ki physics wale sir class me aa chuke
hai....
"hey, tum..."
"haaaiiiinn...."Arun ne mujhe koncha to main hosh me aaya....
"kya haiin haiin laga rakkhe ho, padhna hai to chup chap raho warna bahar jao..."
"BC maine ek shabd bhi nahi bola..."us Physics wale kurre sir ko dekhkar maine khud se kaha.....
"aap Physics ke khilaf nahi ja sakte..."jab kisi ne apne dimag ka theory kurre sir ko sunaya to use yahi
jawab mila....ye jawab sirf use hee nahi balki kayi aur bhi students ko mila...jab bhi koyi ulta seedha
sawal karta to kurre sir us par apna brmhastra chhod kar kahte ki "aap Physics ke khilaf nahi ja sakte...."
aur phhir sab shant ho jate....question to mere dimag me bhi tha lekin us waqt main nahi puchh paya
shayad Esha ki vajah se......Kurre sir ki bhi ek ajeeb aur badi ghatiya adat thi wo class khatam hone ke
kuch der pahle ek-ek student se us din jo padhaya gaya use batane ko kahte...jo bata deta wo baith jata
tha lekin na batane wale ko kurre sir Physics department me bulate aur waha , ijjat ki dhajjiya udate....
"tum batao...."
Main chup chap khada hua aur dimag ko parat dar parat khol kar dekhne laga ki main is baare me kuch
janta hu ya nahi.....Theory of Relativity ke topic me main virgin tha lekin kuch din pahle maine kisi
news paper me kuch padha tha aur jo padha tha wahi kurre sir ke upar de mara.....
"Sir, mera ek sawal hai...kuch din pahle maine padha tha ki kuch particle aise bhi hai jinki velocity light
ke velocity se bhi tej hai aur yadi aisa hai to phhir Einstein ka principle galat ho gaya , aap kya kahte hai is
baare me...."
"Einstein ho ya koyi aam aadmi , koyi bhi Physics ke niyamo ke khilaf nahi ja sakta...baith jao..."
"thank you sir "