Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Intehah................(A Tale Of Lust)
Update-64 (B) (Megha Update)

" aacha aacha...............bahut hua...............jawo aur jakar apna kaam karo..............." aur sana muskurate hue apne kamrey mein chali jati hain wahin jeetu bade gaur se sana ke thirakti hui gand ko dekh raha tha..................aur saath hi saath apne laude par haath bhi dheere dheere fer raha tha................uske chehrey par ek baar fir se kameeni muskaan tair gayi thi......................

**********************************************************************

Udher ram kavya ko railway station par chodh aata hain...............kavya delhi jane wali train mein baith chuki thi..........uska dil bahut ghabra raha tha................usey ram aur sana ko is tarah chodhkar jana kuch theek nahin lag raha tha.............magar wo ye bhi aachey se janti thi ki agar wo nahin gayi to aane wala samay uspar kitna bhari padh sakta hain............uski personal life bhi khatrey mein padh sakti hain.............aur to kavya ko aab raghu ke dwara banayi gayi us video ka bhi tension hone laga tha................waise to wo usey bahut safe jagah par rakhi thi magar raghu ka kya bharosa ki wo kab kya kar jaye..........

agar agar wo video uske haath lag gayi to raghu apni dushmani ussey aachey tarike se nikal sakta hain.............kavya ko yu soch mein dooba hua dekhkar ram haule se bol padta hain................

" bhabhi.............kya hua............kya sochney lagi aap.............aapka yu jana mujhe kuch theek nahin lag raha....................aap kosihsh kijiyega ki aap wahan se jaldi laut aaiyega................" aur ram thoda mayoos hota hua dheere se bol padta hain wahin kavya bade pyar se uske galon par apna haath ferti hui uski taraf dekhkar haule se muskura padti hain..............wahin jawab mein ram bhi muskura det hain...............

" tum fikar mutt karo ram...............main bahut jald laut aawungi...........bus tum sana ka aur apna khyaal rakhna..............." tabhi train ki seeti baj uthathi hain aur ghadi ke time se train apni manzil ki taraf dheere dheere badhney lagti hain.............wahin ram bus kavya ko apne se door jata hua dekh raha tha..............kavya se yu bichadna usey aacha nahhin lag raha tha............magar wo janta tha ki ye judaai zyada lumbi nahin rehney wali...........wo tab tak usi jagah par khada rehta hain jab tak ki train uski nazreion se ojhal nahin ho jati.........aur fir mayoos hota hua wo wapas apne ghar ko laut aata hain..............

jaise jaise train ki raftaar badhti jaa rahi thi kavya ke dimag mein hazaron sawal umadtey jaa rahe they..................ek baar fir se usey usi sehar mein jana bahut ajeeb sa lag raha tha.............us sehar se judi har wo yaadein jinhein wo bahut pehle peechay chodh aayi thi..........aaj ek ek kar sari yaadein uske jehan mein taaza hoti jaa rahi thi..............ithihas ka wo paana dheere dheere aab fir se khulta jaa raha tha................lumbe samay ke journey ke baad aakhir kavya gurgaon sehar pahunch hi jati hain.............jaise hi wo railway station par jab utarti hain uske dimag mein wo sari cheezein ek ek kar taaza hone lagti hain..............

wo sehar........wo gali.............wahan ka ghar..........sab kuch dhundla dhundla sa uske dimag mein kisi film ki tarah ghoomta jaa raha tha...............wo us station se bahar ki taraf nikalti hain aur samney bahut sare auto ki line lagi rehti hain..............dopahar ka samay tha o dhoop bahutt tezz thi.......kavya apna bag liye aagey badhti jaa rahi thi tabhi uske kanon mein kisi ki awaaz sunayi deti hain jisey sunkar wo fauran peechay ki taraf palatati hain................samney ek autorikshaw wala khada usi ke taraf dekhkar muskura raha tha.............

" maine kaha kahan chalengi ..............aap .......memsaheb................kahiye to main chodh doon............." aur wo saksh muskurata hua kavya ki taraf bade gaur se dekhey lagta hain.............wahin kavya ruk jati hain aur bade gaur se us saksh ki taraf dekhney lagti hain...............wo saksh apne hare rang ke auto ke samney khada kavya ki taraf dekhta hua muskuraye jaa raha tha.............

" hotel..................royal palace.......................jana hain mujhe............" aur kavya ek nazar us saksh ki ore dekhti hui dheere se bol padti hain wahin wo saksh kavya ke us roop ko bade gaur se dekhta reh jata hain..............dikhney mein wo kareeb 40 saal ka hoga.........pet uska bahar ki taraf nikla hua sa tha..........kapdey uske khaakhi color ke they..............kandhey par usney ek tauliya rakha hua tha...........aur rang uska sanwla sa tha...............

" koi baat nahin memsaheb..............aap baithiye to sahi............main aapko aabhi usi jagah par chodh deta hoon..............aur meri us hotel ke manager se jaan pehchaan bhi aachi hain..............agar aap kahengi to main aapke rehney aur khane ka bhi wahan par intezam kar dunga.............wo bhi kum se kum daam mein........................" aur wo saksh muskura hua kavya ke haathon se us bag ko cheen leta hain aur us bag ko apni auto ke peechaywali seat par rakhkar kavya ko ander baithney ka ishara karta hain...............kavya bhi aaram se jakar us auto mein baith jati hain aur wo saksh us auto lekar fauran us hotel ke taraf chal padta hain.............

" waise memsaheb................aapko dekhney se to nahin lagta ki aap kahin bahar ki hain............lagta hain aap isi sehar ki hain............" aur wo autowala apni auto chalate hue dheere se bbol padta hain wahin kavya uski baateion ko sunkar thodi hairaan zaroor hoti hain............magar kuch sochkar agle hi pal wo bol padti hain..........

" tumhara naam kya hain.........mr..............." aur kavyaa dheere se itna hi uske sawalon ka jawab deti hain wahin wo auto wala hansta hua aagey bolna shuru karta hain........

" mahendra.................naam hain mera memsaheb..............magar mujhe to hairani is baat ki ho rahi hain ki aaj se pehle kisi ne mujhse mera naam tak nahin poocha..............aap pehli customer hain jo mere auto mein baithney ke baad mera naam pooch rahi hain.............aaj ehsaas ho raha hain ki sala hum gareebon ka koi naam bhi hota hain.............waise aapne mere sawalon ka jawab nahin diya..............." aur mahendra muskurata hua dheere se bol padta hain wahin kavya bhi uske batteion ko sunkar dheere se muskura padti hain...........

" haan..............main pehle bhi is sehar mein reh chuki hoon...........aur meri shadi dusare sehar mein ho gayi..........to is wajah se mujhse ye sehar chodhna pada..............khair .............kab se yahan is sehar mein ho................." aur kavya gehri saans chodhtey hue dheere se muskura padti hain wahin mahendra ke chehrey par bhi muskaan aur gehri ho jati hain............

" 20 saal ho gaye mujhe ye kaam karte memsaheb..................aab to main is sehar ke gali gali se waakif hoon.............aap hotel mein rukengi iska matlab aap yahan par akeli aayi hain..........aur jahan tam mujhe aisa lagta hain ki aapka is sehar mein koi nahin aab.............khair ye aapka personal life hain to main usmein koi hatyascheep nahin karunga..............waise ek baat bolun memsaheb...........aap bahut khoobsurat hain..............aap jaise customer agar mere auto mein roz baithengey to mere auto ke to bhagya hi khul jayengey...........roz roz thodi na milte hain aapke jaise customer.........." aur mahendra auto turn karta hua back mirror mein kavya ko dekhta hua fir se bol padta hain..........wahin kavya jawab mein dheere se muskura padti hain............

" tum na...............waise main yahan par kisi ki talash mein aayi hoon............shayad ho sakta hain tum usey jante bhi ho.............uska naam raghu hain..............wo yahin kaa rehney wala hain..............." aur kavya gehri saans chodhti hui haule se bol padti hain wahin mahendra uski baateion ko bade gaur se sochney lagta hain..............

" kaun raghu memsaheb..............is sehar mein to hazaron raghu rehtey hongey..........uske bare mein kuch to batawo...........ho sakta hain wo mera jaan pehchaan wala hi ho............." aur mahenddra auto chalate hue back mirror se kavya ko dekhtey huee dheere se bol padta hain wahin kavya fir se gehrey soch mein doobati chali jati hain.............wo kya batatti us auto wale ko ki raghu kaun hain........

sach to ye tha ki usey raghu ke naam ke alawa kuch nahin pata tha.............aur is bade se sehar mein uska pata dhoodhna bahut mushkil kaam tha...............aab kavya ki mushikilein dheere dheere badhti jaa rahi thi..............aab wo is maidaan mein kood hi chuki thi to aab usey ladna hi nahin balki jeetna bhi aana chahiye tha..............tabhi wo is ladai ko akele jeet sakti thi...........dekhna tha ki aab is ladai mein kavya ki jeet hoti hain............................ya fir haar......................

Till Continued..............................................................
[+] 4 users Like Ajaykumar82's post
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 06:46 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 09:00 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 09:26 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 03-06-2019, 06:59 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 04-06-2019, 01:55 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 09-06-2019, 02:18 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 10-06-2019, 02:42 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 14-06-2019, 09:34 AM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 14-06-2019, 10:45 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 09:47 AM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 04:14 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 08:49 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 17-06-2019, 08:20 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 18-06-2019, 10:21 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 22-06-2019, 03:14 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 04-07-2019, 02:27 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 05-07-2019, 06:03 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 06-07-2019, 09:50 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 07-07-2019, 04:15 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Ajaykumar82 - 09-06-2020, 12:02 PM



Users browsing this thread: 27 Guest(s)