25-02-2019, 05:57 AM
Update 24
Wo pancho apna pair patak kar waha se rafa dafa ho gayi aur un pancho ke jaane ke baad sabse pahle
maine jo kaam kiya wo ye tha ki khud ko thoda jhuka liya, sala bahut der se dard sahte hue straight khada tha aur phhir college ke andar jane ke liye jaise hee muda to dekha ki waha aas-pass bahut se
students khade hokar hum dono ko apni aankhe badi-badi karke dekh rahe hai, wo sabhi hostel me
rahne wale first year ke students the aur waha unme kuch ladkiya bhi thi....
"abey ye log to mujhe hero samajh rahi hongi...."cigarette ko door fek kar main bola....
"chal be, ye mujhe hero samajh rahi hongi...kyunki jo kiya maine kiya, tune kya kiya...."
"waise ek baat bata..."sahare ke liye maine Arun ke kandhe par hath rakkha aur college ke andar
ghusa"Varun aur uski danav sena se kaise niptenge...."
"ek katta kharid lete hai sala aur jab jab wo sab humari lene aayenge hum katta dikhakar unhi ki le
lenge....kya bolta hai..."
"kuch jyada nahi fake diya..."bolte - bolte main ruka, aur class ke andar chalne ke liye ishara kiya aur
langdate hue main CS class ke andar gaya , aaj bhi Arun ka dost humse pahle pahuch chuka tha aur
mujhe dekhkar usne ek jhatke me kah diya ki "wo nahi aayi hai.."
"sala chutiya..."maine use galiya baki,...Arun ka dost tha isliye sirf galiya baki yadi mera dost hota to jaan
se maar deta, sala slowly-slowly bhi to bol sakta tha ki Esha aaj bhi nahi aayi, aise ek jhatke me bol kar
heart attack de diya sale ne
apne class me aakar main chup-chap baith kar samne clean board ki taraf dekhne laga, us waqt josh-josh
me to maine un pancho ko batti de di, lekin ab mujhe dar lagne laga tha....lekin un sabki kal ki harqat se
mujhme itni himmat to aa hee gayi thi ki ab main chup-chap hokar maar nahi khaunga....
"ek mukka to jaroor kisi ko marunga aur wo bhi puri taqat lagakar...."
"kya hua be, kisko marega..."
"kuch nahi ,samne dekh Sir aa gaye hai..."
Samne Sir ko dekhkar Arun jamhayi lete hue bola"ye phhir pakayega..."
wo period BME ka tha aur jo Sir us subject ko padhate the unka naam mujhe aaj tak nahi maloom ,
baki humlog use kisi bhi naam se bula lete the jaise ki lodu, bakchod,chodu,gandu etc. wo jab bhi class
lene aata to ek chiz jo hamesha mere sath hoti aur wo ye thi ki main hamesha gahri neend me chala jata
bhale hee main 12 ghante hee so kar kyun na aaya hu......us din bhi main neend ki aagosh me so chakkar
laga raha tha ki Arun ne mujhe jagaya....
"kya hua..."apna muh fadte hue maine puchha...
"wo lodu question kar raha hai, jag ja..."
"meri bari aayegi to jaga dena..."
"abey uth..."mere pair par jor se laat marte hue Arun ne kaha....."thoda bahut to respect de be teachers
ko..."
.
"Isothermal Process samajh me aaya kisi ko..."us lodu ne hum sabse puchha aur aadhi class ne na me
jawab diya....
"koyi baat nahi , aage dekho"
" sir...."ek ladka khada hua "jab yahi samajh nahi aaya to aage kya dekhe..."
"ghar me book khol kar padhna yar ,easy hai sab samajh me aa jayega...."
us ladke ko baitha kar us chutiye ne apna chutiyapa jaari rakkha aur main phhir ludhak gaya....jis ladke
ne abhi kaha tha ki "jab yahi samajh nahi aaya to aage kya samajh me aayega..."wo branch opener tha,
aur uska naam maine to kabhi kisi se nahi puchha lekin aksar discussion karte samay kuch log uska naam
Shubham batate the......
"aaj kaun sa lab hai..."maine Arun se puchha....
college shuru hue abhi jyada din nahi hue the lekin itne hee dino me mujhme bahut jyada badlaav aa gaya tha, jaha pahle main college me teachers ki har baat ko bade dhyan se sunta tha wahi ab main
teachers ko galiya bakta aur har class me time pass karta....college lage hue yun to bahut din nahi hue
the lekin in dino me maine ek baar bhi hostel jakar book nahi khola tha....mujhe subah uthkar file na
dhoondhani pade isliye maine sab subject ki lab file apne bag me daal kar rakkhi hui thi, alam to ye tha ki
jo bag main college se jakar hostel me fekta tha waisa hee bag subah uthakar college aa jata aur jab bhi
ghar se ya bade bhai ka call aata to main aksar yahi bolta tha ki study badhiya chal rahi hai.......
"Assignment jama karo...."deepika mam apne hath me Pen lekar chair par sawar ho chuki thi....
"pahle ye batao ki kisne kisne Assignment khud se banaya hai...."
ye ek aisa sawal tha jisme sabhi ne apna hath khada kiya jabki ek do ko chhodkar shayad hee koyi aisa
raha hoga jisne assignment khud se banaya hoga.....
"very good..."apne chehre par aaye balo ko peechhe karte hue deepika mam phhir boli"ab ye batao
,kisne Assignment nahi banaya...."
maine puri class ki taraf dekha, kisi ne bhi apna hath nahi uthaya , deepika mam ne apna dusara sawal
phhir dohraya aur is baar sirf ek hath khada hua aur wo hath mera tha......
"kyun...tumne assignment kyun nahi kiya...."
"bhool gaya mam..."maine seedha sa jawab diya.....
"recess me tum mujhse Computer lab me milna..."
maine gardan haa me hila di aur baith gaya , is waqt mujhe sabse jyada gussa Arun par aa raha tha
kyunki usne Assignment complete kar liya aur mujhe bataya tak nahi......
"kyun be mujhe kyun nahi bataya tune..."uske pair par jordar laat mar kar maine puchha....
"mujhe laga ki tune kar liya hoga..."apne pair ko sahlate hue usne kaha..."agli baar se bata dunga..."
us din deepika mam ka pura period assignment jama karne aur check karne me beet gaya, assignment
check karte samay deepika mam beech-beech me mujhe dekhti aur kabhi-kabhi humari nazare bhi takra
jati.....jab period khatam hua to deepika mam ne jate hue mujhe ek baar phhir remind karaya ki mujhe
recess me unse milna hai......