Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Subah uthi aurapne kamon me masroof ho gayi shahnaz ko uthaya wo uthne ke bad fauran hi apnegift khol khol kar dekh rahi thi aur khush hote hote hue chilla rahi thi , maineek nazar us ki taraf dekha
Aur khud se boliye kabhi nahi badi hogi hamesha hi bachchi rahegi
Din ghuzra raatghuzri aur wo jo kabhi kisi ke liye nahi rukta wo waqt nikalra hi raha seemashahnaz ka exam khatam ho chukka tha mere chuzi ke exam chal rahe the hamra exam bhi bas
ekhtetam par tha main aurchuzi dono lagbhag sath hi jate the exam ke liye
19 april 2007
Aaj paper ke badhum dono ghar sath aaye chuzi der tak mere ghar pe hi rahi fir dinner ke badapne ghar gayi
Ab hum logon kanext paper 23 april ko tha main bhi bas thora time study karti thi parhne kiaadat to mujhe wase bhi thi is liye koi problem kabhi hui nahi
20 april 2007 Friday
Aaj ka pura dinbhi bas ghar me beet gaya is qadar garam aur shiddat kid hoop me bahar nikalnamere liye to bahut mushkil kaam tha aur agar koi wajah na ho tab tak ghar sebahar nikaln meri adat nahi thi exam ke baad shahnaz abi se kahin chalne kaprograe banaye hue baithi thi aur roz hi is bat pe charcha karti thi , aur sabse badi jo khushi thi wo pas hone ki nahi balki camera lene ki thi
Maine kaha thikhain zarur challenge lekin ye bhi socho ki aage kya karna hai –main boli
MSC karna hai na– wo boli is me sochna kya hai
Haan thik hailekin admition ke liye bhi koshish karni hai pata karna hoga sab kuch is liyeis bar time kam hoga hamare pas – main boli
Thik hai koi batnahi jitna time hoga utna to use kiya jayega – wo boli
Haan haan kyunnahi hum log challenge aur chuzi ko bhi ath le kar challenge – main bolibilkulchuzi didi jayengi to bahut maza aayega – wo boli
Jab ki main usse is jawab ki ummeed nahi kar rahi thi kyun ki last year chuzi ki tabiyatkharab ho jane ki wajah se hum logon ko fauran wapas par gaya tha is liye mainesoch rahi thi ki wo kahegi ki chuzi didi ko mat le chalne bibbi – lekin us neaisa kuch nahi kaha tha jo mere liye ek fakhra ki baat thi.
Din beet gayaraat ko dinner ke shahnaz so gayi tomain bhi apne room me aa gayi kuch der parhte rahne ke bad maine sone kikoshish aur main so gayi
Kaafi rat ghuzarjane ke baad achanak phone pe ring hui to maine nind me hi phone silent kardiya ye soch kar ki shaizan ho ga lekin kuch der ke bad fir ring hui to mainephone dekha screen pe chuzi ke number display ho raha tha , maine time dekha3:00 baja tha maine phone uthaya to udhar se chuzi nahi us ke papa ne baat kimaine pucha kya hua uncle itni raat me caal kiya sab khairiyat to hai
Khairiyat wahihai beta tumhari chzi ki tabiyat fir kharab hui hai – wo bole
Kab kaise kyahua – achanak ye sunkar main harbarate hue boli
Wahi hua jo hojata hai kuch khas nahi hospilat le keaaye the hum log lekin yahan se abi dusre city bhej rahe hain – wo bole
Aise hi kyunwahan bhej rahe hain itni choti si baat ke liye kya yahan koi ilaaj hi nahi haikya ye to ahmakana fail hai in logon ka – main thora gusse se boli
Nahi beta kafider se yahan hain aur docters ne kafi had tak control kar liya hai lekin firbhi wok aha rahe hain ki le jana zzaruri hai yahan hamare pas itne acheintezaam nahi hain is liye le jana hai maine tum ko bata dena zaruri samjha –wo bole
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 21-02-2019, 07:14 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 9 Guest(s)