Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Mein or Mere Jaith by Seema Naaz - Copied ( Long Story )
#10
mein jab biyah  kar gai thi tu aik be hiss yehni

bina kisi ehsaas ke doli mein baith gai .

kiunkeh  mere waldein yahi chahte thay .

mere apne jazbaat jaise thay hi nahein nah  tu

mein apni shageer hasan se shadi pr khush

 thi nah hi ranjeeda .mein bachpan se hi aisi

thi  yehni la prwah si jo kuch ho raha ho

 theek hai hota rahe mein sanjeeda nahein

laiti thi . nah koi chahay jane ka jazba tha nah

nah meri chahat ka koi mrkz bn ska . shadi 

hoi ,suhaag raat guzri aur 2 mah mere hubby

sagheer hasan mere paas rahe . mein is sab

amal ko aik honi samjh ke karti rahi . iss mein

meri apni khwaish shamel nah ho saki aik 

farz  samjh kar sab kuch khush dilli se kiya.

hatakeh Sagheer hasan ke wapis jane ka bhi

koi asar nah liya , nah us ke liye ranjeeda hoi

nah us ke jane ki khushi thi . zindagi yunnhi

behissi mein guzar jati agar mere hubby ke 

bare bhai ( mera jaith) sameer nah hote tu .

pata hi nah chala  in 6 months mein kaise un

ki janab khinchti chali gai . ab bhi keh sakti 

hoon jo kuch bhi hoa iski shurooaat 

nadanstgi mein hoein . aaj bhi mujhe woh pal

acchi treh yaad hein  . jab mein tray mein un 

ke liye khana le kar gai thi . tray mein 2-4 

dishes thein .mein ne tray ko dono hathon 

mein   mazbooti se pakr rakha tha . aise mein

sameer bhaai ne meri maddad karni chahi 

aur tray pakarne ki koshish ki tu nadanstgi 

mein un ke haath mere haathon par aagay .

unke hathon ke lms se mere badan mein aik

ajeeb si sansnaht hoi jo mein ne  pehle kabhi

 mehsoos nah ki thi . aik crunt sa jism mein 

daur  geyaa . mein  ne  jaldi se tray table par
 
rakhne ki koshish ki  tu un ke hath mere 

hathon ko chor nahein rahe thay ., mere 

kheyal mein woh dar rahey thay keh kehaein

tray gir nah jay . mein ne unki traf dekha tu

un ki nazrein mere chehre pr hi thein tu mein

ne unhein kaha bhai jaan apne hath hataa 

lein .unhon ne fauran mere hath chor diye

aur mein tray rakh kr seedhi hoi tu woh 

mujhe  hi dekhe ja rahey thay . mein jaldi se

kmre se nikal kar apne kmre mein aai tu aik

neya ehsaas janam le chuka tha . abhi tak

mere hathon par unke hathon ka  lams aise 

mehsoos ho raha tha jaise ab bhi un ke 

hathon  mein mere haath hoon . mein heiran 

thi kiunkeh iss se pehle kabhi mein ne aisa 

mehsoos nah kiya tha . mein  sochne lagi

woh mujhe kin nazron se dekh rahe thay . 

pehle tu unhon ne kabhi aise nah dekha tha ,

un ka khana le jane se pahle mein nehaai thi

aur mere geele baal  mere shanon per khule

 hoeye thay magar mein dupatta acchi trah

liya hoa tha . un ke hathon ke lams aur unki

nzron ki tappash abhi tak mehsoos ho rahi thi

keh mujhe kheyal aaya keh kahein sameer 

bhaai mujhe ghalt nazr se tu nahein dekh 

rahe thay yeh kheyal aate hi mujhe un ki 

nazroon apne chehre pr tiki mehsoos hoein 

tu mein be sakhta sharma gai jaise woh ab 

bhi  dekh rahe hoon . us din pehli baar mein

ne kissi ke bare socha aur woh sameer bhaai

hi thay . phir aik hi ghar mein sath sath rehne

ki wajeh se roz koi nah koi aisi baat hoti  rahi

keh mein unki janab brhti gai . phir ai waqt 

aisa bhi aaya keh mein un ke touch  ke liye

unke qareeb se guzarti ya unke hathon mein

 koi cheez deiti tu aise keh un ke hathon ki 

kam az  kam mujhe choo lein . un ke touch 

mein koi mqnasiyathi jis ne mujhe apni trf

khainch liya aur phir jis dupehr un ko goad

mein baithi tu mein unki ho chuki thi ,mera 

tann mera mann un ka ho chuka tha . mein

jaan chuki thi aag dono tarf  hai brabar lagi
 
hoi .

chāhat kā jab mazā hai ki vo bhī hoñ be-qarār

donoñ taraf ho aag barābar lagī huī .

 mein shadi shuda thi aur  iss liye mein jhijhak

 tu rahi thi mgr khud ko bebas samajh rahi thi

aur unke aik ishaare ki muntzer thi. mere 

jazbaat jaag uthay thay aur sarkash jabon  ke

saamne mein dher ho chuki thi . aur jis raat

pehli baar sameer mere kmre mein aaye tu

  mein  ne raza mandi aur khushi se apne aap 

ko unke supard kar diya tha .

mein ne  sagheer  ko  apni qismat tu maan 

liya tha magar woh meri chahat  nah  thi . 

hum  2 maah akathe reh kr bhi aik doosre

ko nah samajh sake . mera kheyal hai nah 

mein ne aur  nah kabhi uss ne aik doosre ko 

 smjhne ki  koshish ki .uski mojoodgi mein 

bhi khud ko  adhoora samajhti aur aik khlaa 

sa mehsoos  hota tha. mgr  samajh nahein 

saki keh mein  kiya chahti hoon is liye  apni 

qismat ke sath  smjhota kr chuki thi mein. 

mgr us aik touch ne meri zindgi badal di aur 

mujhe aik  anjaan rasta dikhaya jis per chalte
 
hoye mein lutf wa sroor aur pur mussarat 

 wadiun mein brhti  chali gai. mein sab kuch

 bhool kr sameer ki hoti chali gai .hatakeh 

mein khud se bhi begaana hogai . mujhe 

iqraar hai wohi meri chahat hai ,haan uss se 

 mujhe muhabat hai aur woh mujhe khud se 

bhi piyara hai . aur ab halat aisi nehj  pr le 

aaye hein mein  apni chahat ko hmesha ke 

liye paane wali hoon uss ki ho kar hi mein

 mukml ho sakoongi aur usse paa kar hi mein

 apni manzal  per paunch sakoongi . mgr uski 

 aarzi  judaai bhi mere liye suhaan  rooh  bani

hoi hai .chand din tu hm telephone kar leite 

thay . aik hafta baad sagheer ghar aaya tu 

woh apni  beevi shakeela ( nurs) ko bhi sath

hi laaya tha . mere liye maike aane ka jawaz

paida ho geya keh sdagheer ne doosri shadi

ki tu mein ne tlaaq ka mutalba karte hoye uss

ka ghar chor diya. apne aane se chand din 

baad  sagheer ne mujhe tlaaq nama bhjwa 

diya  jis se meri iddat  shuroo hogai . aur 

mere waldain ne sameer se phone waghera 

karne ko manah kar diya. mein unki 

mamnoon thi  jab woh mujhe apne ghar laaye

thay tu mein dar rahi thi ghar paunch kar

 meri dyrgat bane gi aur mujhe jawabdeh

hona pare ga aur unhon ne mujh se koi sawal

tak nah kiya aur mein samjhti hoon keh meri

 saas maan ne apni mudabrana dalaeil se

hm sab ke liye asaani  paida kar di thi . ab 

unhon ne jab phone nah karne ka kaha tu 

mein  ne unki baat ko trjeeh di magar mein

khud sameer ke liye bechain rehne lagi . 

mera haal teen agers se mukhtalef nahein 

tha  jo apni pehli muhabbat ke liye bechain

aur beqraar rehte hein . aur sach tu yahi hai

sameer meri pehli  muhabbat hi tu tha . mein 

apne aap ko samjhane ki koshish karti keh 

ziyada se ziyada 6 months hi tu hein , phir 

sameer hoga aur mein hoongi . yeh yaqeen 

hote  hoeye bhi mera dil sameer ke liye 

beqraar rehta . mein usse khat likhti aur

phaar deiti . teen ager  muhabbat ko puppy 

love kehte hein . mgr mein mature hoon aur

muhabbat nahein blkeh ishq  kar rahi hoon

sachi mujhe sameer se ishq ho geya tha.


"Menu Rabb di sohn Teray naal Pyar ho geya

way chana sachi muchi .

Teri Yaad  ich dil beqraar ho geya way 

chanan sachi muchi ."


 do hafton ke baad mere susar Areeba ko

 weekend mein mere paas chor jate jiss se

jis se mera dil bhi lag jata aur Areeba bhi 

khush  ho jati yun aokhe sokhe  5 maah guzar

 gaye . Iddat  ke khatme par aik aur museebat

uth khari hoi . mere chacha logon ne hum

 logon se apne taluqaat khtam kar liye thay .

 mein jab susral mein thi tu ahesta ahesta 

dno bhaiun mein barf pighlne lagi aur
 
 waqtan  fawaqtan aik doosre ke haan aana 

jana shuroo ho geya .mein jab maike aai tu 

woh sab  milne aaye aur jab tlaaq hoi tab bhi
 
afsos ke liye aaye thay . mere sabaq  

magaitar ki shadi  phuphu ki larki se hoi thi . 

unki apis mein nah bani ya un ke waldein ne 

 ban`ne nah di  kiunkeh mere chacha zidi aur 

phupu bari sakhta tabiyat ki hein . behr unki 

bahoo rooth kar apne maike baithi hoi thi . ab 

mere chacha ne apne bhai mere Aboo par 

dore dalne shuroo kiye kiye Aneela ka rishta 

un ke baite se kr diya jaay . mujh tak baat 

paunchi tu mein ne apni ammi se saf saaf keh

 diya keh shaadi karongi tu sameer se  aur 

kisi ka naam  tak mere samne nah liya jaay . 

Aboo ne chacha se aik hafta ki muhlat mangi 

thi . woh aik hafta mere liye azab ban geya . 

mera khana peena choot geya  rang zard par 

geya meri Ammi ko iss ka ehsaas tha . unhon 

ne Aboo ko qaeil kar liya keh Aneela ke liye

 Sameer hi behtreen rishta hai . aur abhi meri

phoopu ki beiti Umair ke nikaah mein thi jo 

keh meri phopho zad behn thi jis ki wajeh se 

yeh shadi ho bhi nah dsakti thi , tu akher 

Aboo ne apne ko jawab de diya aur aik blaa

mere sar se tal gai . warna mein soch chuki

 thi keh agar  koi zabardasti ki tu mein 

un se baghawat  karte  hoeye sameer ko 

kahoongi mujhe le jaao . mgr shukr hai iski 

naubat hi nah aai  doosre hafte sameer

log aaye aur unhon  ne shadi  ki tareekh

 muqarar ki aur chale gaeye . shaadi 2 hafton 

baad hona qaraar paai thi . mein khush thi 

 mere paaon zameen par nah tikte mgr 2 

hafte guzarna muhaal ho geya .sameer se aik

 aik pal ki doori mujhe khane ko daurti mgr

 mein majboor thi aur waqt muqarar tak 

mujhe judai ko sehna hi tha . akher woh ghari 

aa paunchi jab mera sameer baraat le kar 

mujhe biyahne aa pauncha . mere badan 

mein musarat wa shadmaani ki lehrein

 daorne lagein . mujhe us ke sath guzara aik 

aik pal yaad aane lga aur mein machal 

machal uthi . aise lagta keh keh pehli baar 

doli mein baith kar apne piya ke des  jaa rahi

 hoon . pehli shadi ke waqt  tu kisi qism ke

 ehsaas se mein waqef hi nah thi . magar aaj 

tu shadi mein ji wa jaan se shareek thi aur 

mere jazbaat  wa ehsasaat mere dhrkte dil ke

 sath hum aahng   thay . waldein aur bhaaiun

 se ilwidah ho kar jab mein Sameer ke sath 

car mein baithi  tu aik tarf Areeba thi phir 

durmian mein  baithi aur mere sath mera
 
sameer baitha un ka jism mere badan se 

touch hota geya tu mein khawabon mein

  khoti gai . sameer ne mera hath  apne  

hathon mein le liya aur hole hole dabane lage

 . Areba bhi chehk rahi thi . aaj woh bar bar 

mujhe ammi keh kr pukarti tu mein khushi se 

sharshaar ho jati . Car  Sagheer  mera sabqa

  khawad  drive kar raha tha aur  frunt  seat 
par  mere susar aboo baithay thay  . Sameer ka sath aur sab ke samne saath hone se mujh ko bara hosla  milla . saare raste Sameer 
mera hath ane,hathon mein liye rahe aur meradil karta keh yeh safar kabhi khatam nah ho

 magar mere badan ka taqaza tha keh kab

 shaam dhale aur kab tanhaai muyasar ho .
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Mein or Mere Jaith by Seema - Copied ( Long Story ) - by hirarandi - 18-05-2020, 04:52 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)