Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Next day humlogon ne sattal aur bhim tal ke liye nikal gaye yahan ke nazare dil me bas rahethe aur upar niche ghumte hue raste bahut hi ache the hum logon ka program kayidin ka tha lekin shayad kudrat ko kuch aur hi manzoor tha jaise hi hum log whanpahunche to sab bahut khush the shahnaz apna camera liye chuzi ki photo le rahithi aur chuzi ko bhi bahut acha lagta tha apni pose dene me achanak chuzi kharekhare hilne lagi aur apne dono hath hawa me baland karti hui mujhe awaz di mainjaldi se uske pas pahunchi aur uske girne se pahle hi main usko apni bahon mebhar liya ,

uska badan bahut tez tap raha tha , meri kuch samajh me nahi aaraha tha ki achanak isko itna tez bukhr kaise ho gaya main aur shahnaz uskolekar fauran chal diye raste me chuzi ne gadi rukwa lii usko vomiting hone lagithi kuch hi der me chuzi ki halat bahut ghair ho gayi thi

Maine driver se kisi docter ke pas chalne ko kahaaur jaldi hi hum log wahan k eek nursig home me pahunch gaye doctorne chuzi kodekha aur bola koi bat nahi hai yahan aakar tourist ko aisa ho jata hai us nechuzi ko injection diya aur kuch medicine dii kafi der tak docter ne usko apneclinic me rakha fir mujh se kaha aap log kahan se aayi hain – maine bataya

Docter ne kahaki aap log fauran wapas jaiye inko yahn ka mausam bilkul suit nahi kar raha haiaur inki tabiyat aur zyada kharab ho sakti hai , aur aap in ko lekar inkefamily docter ke pas jaiye jinka treatment ye leti hai wahan se hum log chuzi ko lekar hotel aayeaur chuzi ke papa ko phone kiya to wo bole gul beta tum please us ko lekarchali aao kuch samajh me nahi aa raha tha aur wahan ke docter chuzi ko le janeke liye hi force kar rahe the , maine shahnaz se kaha sorry shahnaz hum logonko chuzi ki wajah se yahan se jana paredga

Bibbi is mesorry ki kya bat hai chuzi didi se zyada zaruri abhi kuch nahi hai – wo boli ,aur hum ne hotel chor diya aur wapas station ki taraf chal diye chuzi ki ankhenband thi main bar bar usko awaz de rahi thi to wo ankhen kholkar hakle se boltithi , main uske ankh band karne par pata nahi kyun dar rahi thi

Raste me kayibar usko vomiting hui khair kuch der ke bad hum log station pahunch gaye .

Wahan pahunchakar maine ticket ke liye daryaft kiya to bahut mushkil tha aur hamarareservation nahi tha khair bahut koshishon ke baad wahan ek admi ne kaha aapthora rukiye main kuch karta hun aur kafi der ke baad usne hum ko 3 ticket diyesleeper clas ke aur usne ticket amount se double paise liye main usko diye auruska bahut shukriya ada kiya kyun ki is waqt jis halaat ko main face kar rahithi us me paise ka koi mol nahi tha aur fir fauran hi mujhe ticket mil gaya tha

Train aane me 2ghante the , maine chuzi se pucha kuch khaogi to us ne mana kar diya fir bhimaine uske liye wahin ek jagah se pani ubalwa kar 2 bottle me bhar liya aurelectrolyte bhi bahut sa le liya , chuzi ki wajah se hum dono ne bhi kuch nahikhya haan bas main chai pe chai piye ja rahi thi , train aa chuki thi hum logtrain me baith chuke the right time pe train chal dii , maine chuzi se kahapareshan na ho hum log jaldi hi ghar pahunch jayenge .

Chuzi mere doshpe apna sir rakhe hue baith thi maine usko ek blanket urhaya hua tha train mesmne baithe hue musafir puch rahe the ki kya hua isko kahan jana hai aap ko ,maine bataya ki is ki tabiyat kharab ho gayi hai , main chuzi ko lagatar dekh rahi thi uski ankhenband thi aur uska chehra bilkul murjhaya hua tha , maine usko hilate hue kahachuzi kuch bolo ankhen kholo please

Usne ankhenkholi aur aur halke se muskurayi aisa lag rha tha jaise ki usko muskurane mebhi bahut mehnat karni par rahi ho wo bahut hake se boli , maine kaha than a kiagar main khamosh rahungi to tum bahut pareshan ho jaogi – wo boli

Maine usko sorrybolte hue kaha please chuzi aisa na kaho wo sirf mazak tha aur kuch nahi – mainboli
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 20-02-2019, 08:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 5 Guest(s)