19-02-2019, 05:29 PM
Chapter-2:Revival
Update 7
"fake raha hoga Varun..."yahi sochate-sochate main room par aaya, maine Varun ko aawaz di lekin usne
koyi response nahi diya aur phhir jab bathroom ke andar se mujhe shower ke chalne ki aawaz aayi to
main samajh gaya ki Varun andar hai, maine time dekha 9:30 baj rahe the, ab itna time nahi tha ki main
aaj kaam karne jata, aur waise bhi aaj mera mood nahi tha....maine room ki khidki kholi aur khidki se
bahar dekhne laga....tabhi mujhe ek aawaz sunayi di jisne mujhe andar se jhakjhor ke rakh diya....aisa
laga ki dil ki dhadkane rook gayi ho...
"kya baat hai be, bahut dino se haweli me nahi aaya..."
yadi meri jagah us waqt koyi aur hota to shayad nazar andaz kar deta is aawaz ko ,lekin mere liye ye
shabd ,ye line bahut mayane rakhti thi....main peechhe mude bina hee jaan gaya tha ki mere peechhe
kaun hai , lekin itane mahino baad wo kaise yaha aaya.....
abhi main soch hee raha tha ki mere sar par ek jordar mukka pada, marne wale ne itani jor se mara tha
jaise ki janam janam ka badla le raha ho.....wo koyi aur nahi balki mera khas nahi mera sabse khas dost
Arun tha, aur main bhi uska sabse khas dost tha.....
"ab sale laundiyo ki tarah udhar hee dekhte rahega ya phhir gale bhi milega...."uski aawaz me mujhe
apne liye wahi apnapan mahsoos hua ,jo college ke dino me hua karta tha, main ek jhatke me peechhe
muda aur Arun ko kasar pakad kar gale laga liya.....main aur Arun ek dusare ke liye itane khas the ki yadi
hum dono gay hote(jo ki nahi the) to aaj ek dusare se shadi kar liye hote......
apne gusse aur mujhse narazagi ka ek aur sample dete hue usne mujhe kaskar ek laat mari aur bola"sale
gand marwa raha tha tu yaha, tera number change ho gaya, ghar se bina bataye gayab hai aur yaa tak
ki...yaha tak ki..."mujh par ek laat ka pyar aur karte hue bola"yaha tak ki tune mujhe bhi nahi bataya,
kaha gayi teri wo badi badi baate..."
humari duniya me ek kahawat bahut mash hoor hai ki yadi doobate ko tinke ka sahara mile to bhi bahut
hota hai ,lekin mujhe to aaj pura ka pura ek jahaj mil gaya tha Arun ke roop me.....
"sala , khud ko engineer bolta hai, tune sab bakchod engineers ka naam bathroom me mila diya...."wo
ab bhi mujh par bahut gussa tha....
"chhod beeti baaton ko aur bata yaha kaise aaya aur Varun kaha hai, kahi tune uska murder to nahi kar
diya..."
"bilkul ,sahi samjha be, uski death body bathroom me padi hai, please security officer ko inform karna...."
kuch der tak hum dono ne ek dusare ko dekha aur phhir jor se hans pade....
"ab chal bata, tu yaha kyun hai..."apni hansi rok kar Arun bola, wo ab serious tha....
"sab kuch chhod chhad ke aa gaya main, gharwale desh ke bahar hai, na to unhe koyi farak padta hai aurna hee mujhe..."
"tere bhai ki shadi hone wali thi , us waqt jab tu ghar chhodkar yaha aa gaya tha..."
"sala meri galtiyo ki list pakad ke baith baya hai...ab jaan nikal kar hee dam lega"maine andar hee andar
bahut jor se chillaya...
"wo sab to chhod"Arun ka chehra phhir laal hone laga," mujhe ye bata ki tune mujhe call kyun nahi kiya,
college me to mera best friend bana phhirta tha...."
Arun ke is sawal ka mere pass koyi jawab nahi tha aur yadi main usse kuch kahta bhi to kya ye kahta ki
"mujhme ab jeene ki chah nahi hai..."ya phhir ye kahta ki"Angel ke jaane ke baad jaise mere dil ne
dhadakana band kar diya hai..."
"Kuch bolega..."wo mujhpar phhir chillaya....
"reason chahiye tujhe, to sun....jab main apni b.tech ki khali degree lekar ghar gaya to janta hai mere
sath kya salook hua...ghar par bade bhai ki shadi ki baat chal rahi thi isliye ghar me bahut log aate jate
rahre the, aur jab koyi mere baare me puchhta to sab yahi kahte ki....humare khandan me sabse kharab
main hoon, main hee ek akela shaks hoon, jisne apne khandan ka naam duba diya...aisa isliye hua kyunki
mere pass paisa nahi tha, mere pass naukari nahi thi.....yadi mujhse kahi bhi thodi si bhi galti ho jati to
meri us galti ko mere education se jod diya jata....main apne hee ghar me rahkar pagal hua ja raha tha,
aur phhir jis din ladki wale humare ghar aaye to bhai ne ek chhoti si baat pe sabke samne mujhpar hath
chala diya....bas usi samay mere dil aur dimag dono ne gala phhad -phhad ke kaha ki bas bahut ho gaya,
aur mujhe sabse bura tab laga jab mujhe kisi ne nahi roka...sab yahi chahte the ki main unki zindagi se
chala jaun, so maine wahi kiya...."itna bolte bolte main bahut emotional ho gaya tha, Arun ko apni beeti
zindagi ke kuch pal batakar main apne zakhm phhir hara kar liye the....Varun bhi tab tak aa chuka tha aur
darwaze par chup chap khada meri baate sun raha tha......
Kuch der tak hum teeno me se koyi kuch nahi bola, aur phhir Arun ne apna bag apni taraf kheech kar
khola aur MM ki ek botal nikal kar bola...
"ye le tera gift..."
Meri nam aankho me ek hansi jhalak aayi "tu sale abhi tak bhula nahi..."
ye hum dono ki ek khas adat thi ki hum dono ne ek dusare ko gift ke taur par hamesha daru hee gift ki
thi...aur sabse badi baat ye ki Arun ne hee mujhe daru peene ki lat bhi lagayi thi......
" i love daru more than girls..."bolte hue maine uske hath se botal chheeni aur Varun ki taraf dekh kar
bola"aaj raat ka jugad ho gaya be..."
Mere aisa kahne par Varun ke sath - sath Arun bhi hans pada...
Varun aur Arun hee mere present life me mere apne the, Arun ke Papa Inspecter the aur Arun railway
me kisi achchhi post par tha...
"shadi ho gayi teri..."MM ko ek kinare rakhkar maine Arun se puchha....
"kaha shadi , abhi to life enjoy karni baki hai...shadi karte rahenge aaram se...."
"Varun, le peg to bana, sar dard kar raha hai...."
"Arman, ye Nisha kaun hai be "
"hai , mohalle me rahne wali ek ladki..."main bola....
"maine socha nahi tha ki uske jaane ke baad tu kisi ladki ke sath relation banayega..."Arun janta tha ki
mujhe uska naam lena ab pasand nahi hai, isliye usne uska naam nahi liya....
"socha to maine bhi nahi tha, lekin maloom nahi ye kaise ho gaya...."
"le pakad..."isi beech Varun ne hum teeno ka peg taiyar kar diya , jise chadhakar Varun bola"yar Arun,
maine isse kitni baar iski beeti zindagi ke baare me puchhane ki koshish ki, lekin isne mujhe ek baar bhi
nahi bataya aur har baar kisi na kisi bahane se taal diya...."
"dimag mat kha yar tu ab, ek aur peg bana...mast daru hai.."maine ek baar phhir Varun ki baat ko talne
ki koshish ki....lekin shayad aaj main kamyab nahi rahunga iska mujhe andaza ho gaya tha.....
"aaj to khulasa hokar hee rahega Varun..."apna peg gale se neeche utar kar Arun bola"chinta mat kar
,aaj ye sab kuch bakega...."
"main kuch nahi batane wala..."
"nahi batayega..."
"bilkul bhi nahi..."
"ek baar aur soch le..."
"maine bol diya na ek baar..."
"phhir wo bathroom wali baat main Varun ko bata dunga, soch le..."
Arun ne meri dukhti nash ko pakad liya tha, do-teen peg marne se sar bhi ekdum free ho gaya tha, ek
dum bindas......
MM ki botal khali ho chuki thi aur main bhi ab bilkul taiyar tha Varun ko wo sab batane ke liye ,jo main
nahi batana chahta tha....
"ek aur peg bana...."maine Kaha