15-04-2020, 03:15 AM
(13-04-2020, 07:40 PM)Avni26 Wrote: Kamdev ji ....aapke bhi sujhav dijeyega...
bilkul avni ji.............. is kahani ka next part bhi likhiye
ye kahani bahut badhiya lagi............. khaskar ant mein jab manoj ko marne se pahle jo sachchai batayi avni ne
usse chahe kuchh bhi naa badla ho..........kam se kam avni ke dil ka bojh to kam hua hoga
shandar ant nahin ye shandar shuruat hui................. anshika ke janm se
sansar mein har ek naye insan ka janm ek nayi kahani ko bhi janm deta hai
keep it up
bas avni ki tarah mujhe bhi dukh hai ki aman apne pyar se nahin mil paya
shayad kismat ............anshika ko wahan tak le jaye
itna hi sujhav hai mera .............filhal to
baaki jab kahani shuru hogi to samay-samay par sujhav bhi deta rahunga
.................................
ek aur bat apki story se prerna lekar anu ji ne kahani likhi thi................. wo bhi bahut si sambhavnayein liye huye thi
unse agar apki bat ho to unhein bhi aage likhne ke liye prerit karein