Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Jindgi ke rang
#29
Update 39

Hum jald hi bank pahuch gaye per abhi bank ke khulne mai thoda time baccha tha per komal ka gussa to jaise kam hone ka naam hi nahi le raha tha aaj to mere saare dialogue bhi bekar the uske samne.

Ab aage...
Mai- Komal abhi time hai bank khulne mai to kyu na hum baad mai aaye kya kehti ho.

Komal- chup-chap se khado raho hum intzaar karenge.

Mai- to college.

Komal- ek din agar nahi gaye to koi pahad nahi tut padega tum pe.

mai- (mai lagta hai mamla jyada hi garam hai) ok to chalo samne coffee shop pe chal ke wait karte hai.

Hum wahan se coffee shop pe chale gaye ki tabhi mera phone bajne laga maine no dekha to reet ka tha mai abhi soch hi raha tha ki kya karu komal ne phone le liya aur call cut ke phone apne pass rekh liya meri usse phone mangne ke himmat nahi huwi to mai chup-chap se baith gaya.

Komal- kaise dost hai tumhare jab tum itni problem mai ho to kya wo tumhari madad nahi kar sakte.

Mai- aisi baat nahi hai maine hi unko mana kiya hai ye meri problem hai mai khud hi isse bahar nikalna chahta hu bas aur kuch nahi.

Komal- jo bhi ho ab mai jo karungi tum mujhe nahi rokoge.

Mai- mujhe bhare bazar pitna thode hai.

Meri baat sun ke komal apni hasi nahi rok payi aur hasne lagi hum ne coffee order ki aur bank ke khulne ka intzaar karne lage is beech maine kaffi koshish ki komal maan jaye per kisi ne sahi hi kha ha ki ladkiwo ko samajh paana kisi ke bas ki baat nahi hai.

(Ab thoda aman ke ghar bhi dekh le ke kya ho raha hai). yahan ek kamre mai nikki, rohit aur unke dada ji baithe huwe the aur kisi baat pe vichar ker rahe the ayeye dekhte hai wo kya baat ker rahe hai.

Nikki- dadaji mujhe lagta hai ki ab hame bhai ki detail site pe daal deni chahiye all cities aur states mai lagbhag hamare contacts ban chuke hai aap ko nahi lagta ki ye hi sahi time hai.

Dada ji- Rohit tumhe kya lagta hai.

Rohit- mere khayal se hum ready hai.

Dadaji- thik hai mai ek baar thomson se baat karlu phir tum daal dena.

Nikki- Ok, hum tab tak baki ke taiyaari ker lete hai.

Sab waha se nikal pade dadaji apne ghar ke liye aur nikki aur rohit office ke liye.

Dadaji- thomson baccho ko lagta hai ki wo taiyaar hai ab aman ko dhundne ke liye tumhara kya vichar hai.

Thomson- aapke liye mere pass do news hai ek buri aur ek bahut buri aap pehle kaun si sunna chahenge.

Dadaji- Agar ye majak hai to tum ye kaan khol ke jaan lo ki mujhe pasand nahi aaya.

Thomson- nahi ye majak nahi hai isse dekh rahe hai (samne lage ek screen mai kisi mall ke kuch pic thi jis mai ek aadmi ko red mark kiya huwa tha).

Dadaji- ha kaun hai ye.

Thomson- Iska naam koi nahi janta sirf kuch khas log hi isko jaante hai wo bhi sirf face se.

Dadaji- tumhare kehne ka matlab kya hai.

Thomson- Hamari bhasha mai isse vinashak kehte hai jis ka koi naam nahi ye ek tabahi machane ki machine hai last time isne akele hi ****** duniya ke sabse takatwar desh ko hila ke rekh diya tha.

Dadaji- tumhare kehne ka matlab kya hai.

Thomson- bas yahi ki iska yahan india mai hona yani ki koi bahut badi tabahi aane wali hai jisse rok pana kisi ke bas ki baat nahi ye logo ko sirf isiliye bhi mar deta hai kyunki unke kapde isse pasand nahi aate aap meri baat ko samajh rahe hai na.

Dadaji- per isse hamara kya lena dena.

Thomson- maine aapko bataya tha na ki hamare system ko hack kiya gaya tha aur wo bhi kai baar jab maine jaanch ki to pata chala ki usme iska bhi haath hai.

Daddji- tumhare kehne ka matlab hai ki ye hamari site ko hack ker raha hai per kyu.

Thomson- wo kuch dhund raha hai per kyaa abhi tak pata nahi chala per mai apni puri koshish ker raha hu.

Dadaji- thomson kya tumhe lagta hai ki ye aman ke liye yahan aaya hai.

Thomson- ye kahi bhi apni marzi se nahi jaata agar ye yaha hai to jarur kisi ne isse yaha aane ka invitation diya hai isse namukin kam karne bahut pasand hai aap meri baato ka matlab samajh rahe hai na.

Dadaji- Tumhe lagta hai ki raj bahadur ne isse yahan bulaya hai (raj bhadur ki detail aage ke update mai aayegi abhi ke liye uska naam hi kaffi hai).

Thomson- jis tarah aap apne pote ko dhundne ke koshish ker rahe hai aur uske liye jo ker rahe hai usko dekhte huwe ha ye ho sakta hai ki ye yahan usi ke liye aaya ho kyunki isse apne kaam mai competion bilkul pasand nahi.

Thomson ki baato ko sun ke dadaji wahin pade sofe pe baith gaye aur apna sir neeche kar ke rone lage kuch der aise hi rehne ke baad kisi tarah unhone khud ko sambhala.

Note- kaash mujhe jyada samay milta update taiyaar karne ke liye isiliye ab agar koi kami bacchi ho to for example agar koi seen ek dusre se mell na kare to plz bataye mai intzaar ker raha hu aapke reply ka.


______________________________
Like Reply


Messages In This Thread
Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:02 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:11 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:12 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:13 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:14 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:15 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:16 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:17 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:18 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:19 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:21 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:23 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:27 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:29 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:32 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:33 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:34 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:35 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:36 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:38 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:39 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:40 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:41 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:55 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:56 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:57 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:59 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:01 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:05 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 17-02-2019, 11:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:53 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:55 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:58 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:59 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 01:00 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 13-09-2019, 07:36 PM



Users browsing this thread: 11 Guest(s)