Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Jindgi ke rang
#24
Update 34

Reet- Jyada over smart banne ki jaruart nahi hai tumne us annu ki pure mahine ki pocket money ek din mai hi khatam karwa di us time to us ne bhi josh josh mai do dress le li per baad mai bechari ro rahi thi. (yaar ye sahi nahi huwa mujhe uske kam se kam aadhe paise to wapas karne hi chahiye) mujhe bhi ab sach mai dil se bura lag raha tha aur maine uske kuch paise wapas karne ka faisla kiya wo alag baat thi ki paise mere pass bhi nahi the abhi per mai janta tha ki mai kuch na kuch intzaam kar hi lunga. Aise hi kuch der maine reet se baat ki phir so gaya ek nayi subah ke intzaar mai ek nayi umeed ke saath.

Ab aage...
Subah mujhe ek behad hi khubsurat ladki ne jagaya ji ha subah mujhe khusi ne uthaya. Mai uth ke fresh hone ke liye chala gaya phir hum ne saath mai hi nashta kiya aur mai college ke liye nikal gaya aaj maine komal ko ghar pe hi chod diya tha kyunki mujhe reet ko lene bhi jana tha aur waise bhi abhi komal ko kuch time aur lagna tha. Mai college jaane ki jagah direct reet ke ghar pe hi chala gaya aur bike ko wahan park karke use phone karne laga.

Mai- Hum kitni der mai nikal sakte hai.

Reet- Abhi mujhe thoda time hai tum tab tak neeche baitho mai ready ho ke neeche hi aati hu.

Mai- Ok. Mai wahan se main gate ke taraf chala gaya aur wahan bane security cabin mai ghuss gaya saale subah-subah chai pee rahe the maine bhi jaate hi hamla bol diya aur sir ji akele-akele hi chai pee rahe ho.

Security guards me shayad kuch naye bhi bharti huwe the jo mujhe aise ghur rahe the ki saala mai insan na ho ke kisi zoo se bhaga huwa janwar hu ek baar ko to mujhe khud bhi shak hone laga per tabhi mujhe yaad aaya ki abe mai to mahan hu phir maine socha inki to m**** ki saale abhi batata hu ki mai kaun hu.

Mai- Kya mera balatkar karne ka iraada hai agar hai to pehle hi bata do ki mai wo bala hu jisse dekh ke acche-acche apna rasta badal dete hai.

Mera aisa sawal sun ke jahan wahan baithe ek security guard ki hasi nikal gayi wahin do ka pappat ho gaya ek baar phir maine sabit ker diya ki log mujhe mahan kyu bolte hai (yahan do-teen baar hi sahi per yahan aane se maine us security guard se accha dostana saalo wo wala dostana nahi friends wala ban gaya tha to hasi majak chalta rehta tha).

Guard 1- Are ankur kyu inki le raha hai becchare naye hai abhi kal hi join kiya hai aa baith ye le teri chai.

Mai- Accha hai nahi to mai to aaj pure mud mai tha.

Meri baat sun ke ek baar phir guard 1 ki hasi nikal gayi per shayad naye join huwe guard ko ye baat accha nahi laga.

Guard 2- Mishra ji (guard 1) ye kaun hai.

Mishra ji- Ye reet baby ke driver hai.

Guard 2- To isse boliye ki apni limit mai rahe nahi to accha nahi hoga aur isne aane ki entry kyu nahi ki.

(Shayad wo super-wiser tha uska chehra dekhne mai thik-thak tha acchi body ke saath acchi shakal bhi thi aur baat karne ke tarike se bhi lag raha tha ki kaffi padha likha hai).

Mai- Sir ji aap to naraj ho gaye mai to bas chai peene aaya tha.

Super-wiser- Ye koi chai ki dukan nahi hai samjhe aur apni entry karo aur jawo yahan se.

(Saale meri to jhante hi sulag gayi per tabhi yaad aaya ki ye to maine do din pehle hi shave ki thi phir mai shant ho gaya per ek faisla bhi ker liya ki saale ki jhante jarur sulga ke jayunga [img]/images/smilies/icon10.gif[/img] aakhir mahan jo tehra).

Mai- Jaisa aap ka hukum sir ji aur ek baat mujhe yahan se jate huwe bhi entry kerni hai kya.

Super-wiser- Ha bilkul aur ye per day ka rule hai samjhe.

Mai- Samajh gaya (fas gaya baache).

Maine apne ander aane ki entry ki aur wapas parking mai chala gaya jahan meri darling khadi thi mai use pyar kerne laga per tabhi mujhe uspe kuch mitti si dikhayi di mai use saff karne hi wala tha ki reet ka phone aa gaya.

Reet- Kahan ho.

Mai- Parking mai.

Reet- Kyu maine tumhe hall mai wait kerne ko kaha tha na phir wahan kyu khade ho.

Mai- Mai koi tumhara naukar to hu nahi waise dekha jaye to kuch dino ke liye hu bhi phir bhi mai mahan hu isiliye jo mujhe sahi lagta hai wahi kerta hu.

Reet- Tumhe samajh pana mushkil hi nahi namukin hai ruko mai hi aati hu tumhare pass (pata nahi kya samajhta hai apne aapko jahan ladke mere ass-pass aane ke liye marte hai wahin ye hamesha mujhe ignore ker deta hai).

Kuch hi der mai reet aa gayi kasam se kya lag rahi thi bilkul kisi jannat se aaye huwi hur ki tarah agar aaj upper wala bhi isse aise dekh leta to use apni is kamal ki karigari pe naaz hota. Halke neele rang ki dress mai safed rang ki bahut hi umda tarah ke karigari ki gayi th.

[Image: url.jpg]

Mai- Use in kapdo me dekh ke mujhe ek shayari yaad aa gayi :-

" Teri saadgi ko nihaarne ka dil karta hai,
Tamaam umar tere naam karne ka dil karta hai,
Ek mukammal shayari hai tu kudrat ki,
Tujhe ghazal banake juban pe laane ka dil krta hai."


Uski dress to meri jaan le rahi thi aaj tak maine aisa kabhi kisi bhi ladki ke liye feel nahi kiya tha mera to muh khula ka khula hi reh gaya kasam se ye bilkul mere sapno ki rani lag rahi thi kisi ne sahi hi kaha hai ki ladkiya jitni indian dress mai khubsurat lagti hai uska aadha bhi wo bina kapdo ke nahi lagti [img]/images/smilies/icon10.gif[/img] (mujh pata ha mere kuch tharki dost is baat se sehmat nahi honge jisme top pe to rg hi hoga phir raj, prince aur nichya to sabke guru hai yami abhi baccha hai uski nayi-nayi gf bani hai to kuch keh nahi sakte aur bhi hai agar sabke baare mai likhne laga to pura page unke nammo se hi bhar jayega mujhe pura yakin hai prakash bhai is list me nahi hai aap sabhi apni-apni rai de prakash bhai ke baare mai).

Reet- Ab kya mujhe ghurte hi rahoge ya chalna bhi hai.

Mai- Pehle thik se dekh to lene do.

Reet- Kya.

Mai- Hosh mai aate huwe kuch nahi lawo chabi do chalte hai.

Reet- Tumne bataya nahi ki mai kaise lag rahi hu.

Mai- Jaise roj lagti ho.

Shayad reet ko mera jabab pasand nahi aaya isiliye uska muh ful gaya mera matlab hai ki thoda naraj ho gayi. Aaj hum log reet ki car se college jaane wale tha jiska mujhe itna dukh tha ki maine upper wale ko kam se kam jitni bhi gaaliyan aati thi sab de daali. Hum jaise hi main gate se bahar nikalne wale the ki mujhe wo super-wiser dikh gaya aur maine gaddi ko gate se kuch pehle rok ke neeche utar gaya.

Reet- Kya huwa.

Mai- Kuch nahi mujhe bahar jaane ki entry karni hai.

Reet- Ye tumse kis ne kaha.

Mai- Mujhe raat mai sapna aaya tha are jhahir si baat hai aap ke security staff ne hi bola hai.

Reet- Ruko mai bhi chalti hu.

Reet bhi car se bahar nikal ke aa gayi aur mere aage-aage chalne lagi aur koi waqt hota to mai use apne aage nahi chalne deta per aaj maine socha ki chodo aaj isse hi lead karne do. Reet jaise hi security ke pass pahunchi sabhi apna-apna kaam chhod ke khade ho gaye aur reet ki taraf dekhne lage kuch darse to kuch surprize the kyunki wo aaj tak reet wahan nahi aayi thi.

Reet- Is gate ka super-wiser kaun hai.

Guard 2 ne aage aake apne aapka intro diya.

Reet- Aap ko pata tha na ki ye mere dost hai.

(Aaila dost ye kya lafda hai yar isse to bach ke rehna padega).

Super-wiser- Nahi mam ye to keh raha tha ki driver hai.

Reet- Aap ab bhi mere samne uski insult kar rahe hai.

Super-wiser- Sorry mam.

Reet- Sorry mujhe nahi inhe bolo.

Wo mujhe sorry bolne hi wala tha ki maine use gale laga liya aur ek mast sa dialouge chipka diya ab rulayega kya pagle. [img]/images/smilies/icon10.gif[/img] Uska to muh hi kisi ******ki tarah ho gaya jise dekh ke mere chahre pe ek kutil muskaan aa gayi.

Reet- Aage se dhayan rahe ki ye mere khaas dost hai aap ki report mai iss baat ka jikar jarur hoga to aage se khaas dhyan rahe ki aisa kuch na ho.

Chalo ankur chalte hai tumhe entry karne ki koi jarurat nahi hai. Mai aur reet wahan se nikal pade maine jitna socha tha ye to usse kahin jyada ho gaya per meri samajh mai ab tak ye baat nahi aayi thi ki khaas dost ka kya matlab hota hai maine socha ki tharkio ko jarur pata hoga isiliye rg se puch ke dekh lunga nahi to nischya bhai ke bahut charche sune hai is field mai.

Note- Agle update ke liye mujhe ek jabardast wala responce chahiye nahi to [img]/images/smilies/newsmilies/bat.gif[/img] mai aisa kuch nahi karunga wo kya hai na yaaro ki aap logon ke saath ki kuch khaas jarurat hai is samay apni rai jarur de chahe wo positive ho ya negative mujhe koi fark nahi padta sabhi ka welcome kerta hu [img]/images/smilies/welcome.gif[/img]...


______________________________
Like Reply


Messages In This Thread
Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:02 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:11 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:12 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:13 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:14 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:15 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:16 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:17 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:18 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:19 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:21 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:23 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:27 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:29 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:32 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:33 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:34 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:35 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:36 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:38 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:39 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:40 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:41 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:55 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:56 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:57 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:59 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:01 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:05 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 17-02-2019, 11:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:53 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:55 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:58 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:59 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 01:00 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 13-09-2019, 07:36 PM



Users browsing this thread: 8 Guest(s)