Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Jindgi ke rang
#23
Update 33

Mai- Mujhe sab samajh aa raha hai mai tum logo ko chodunga nahi sab pe case karunga aur saza bhi dilwayunga bas dekhte jawo aur mai aise hi dhamki dete huwe cash counter ki taraf chala gaya mere baad wahan kya huwa pata nahi per kuch bhi ho aaj ek baar phir maine ye sabit ker diya ki mai mahan kyu hu.

Ab aage...
Annu apni jeet ke gurur se lot pot hoti huwi yahan se chali gayi. Mai wapas store mai chala gaya.

Manager- Maan gaye tumko tumne sahi bewakoof banaya usse.

Mai- Ha per aapki help ke bina ye mumkin nahi tha.

Manager- Ha wo bhi hai.

Mai- To madam mera innam kahan hai.

Manager- Mai tumhe cash nahi de sakti kyunki wo store ke account mai credit ho gaye hai ha per tum ab *** ki shopping ker sakte ho yahan se to moke ka fayda uthawo aur suru ho jawo.

Mai- Ha kyu nahi to phir aawo meri help karo.

Maine uske saath khushi ke liye kuch kapde aur jaruri saman liya per ab bhi mere pass kaffi credit bach gaya tha isiliye maine komal ke liye ek dress lene ki sochi waise bhi usne meri bahut help ki thi to ek gift to banta hai uska. Maine komal ke liye ek blue color ki khubsurat dress le li.

[Image: Blue_HandWork_Designer_Embroided_Anarkali_Suit.jpg]

Mai- Ye lijiye mam meri shopping ho gayi.

Manager- Tum ne to khub shopping ki hai.

Mai- Ha kyu nahi per mujhe lagta hai ki abhi bhi kuch credit bach gaya hai to mai soch raha tha ki next time bhi kuch discount mil jaye to.

Manager- No chance.

Mai- Chalo koi nahi ye lo ye dress tumhare liye (maine bacche credit mai se ek dress uske liye li thi gift ke taur pe kyunki uski madad ke bina ye mumkin nahi tha).

Manager- Tum pagal ho tumhe ye dress apni gf ko dena chahiye.

Mai- Kaash meri koi gf hoti.

Manager- Dekhne mai to nahi lagta ki tumhari koi gf nahi hogi smart ho ya over smart bhi.

Mai- Ha per aap jaisi abhi tak koi mili nahi na.

Manager- Tum mere saath flirt ker rahe ho.

Mai- Koshish ker raha hu ki next time bhi kuch discount mil jaye.

Manager- To tumhe ye jaan ker khushi hogi ki tum kamyab huwe.

Mai- Thanks ab chalta hu nahi to aap ka staff mujhe kaccha hi kha jayega lagta hai kaffi pasand kerta hai aapko (asal mai mujhe wahan kam ker rahe staff mai male staff mujhe kaffi samay se ghur rahe the jo mai notice ker raha tha) aur maine bahar se kuch chocolate aur kuch fruits liye aur ghar ke taraf chal pada komal abhi bhi mere ghar pe hi thi aur shayad ghar ki saff safayi ker rahi thi.

Mai- Yaar jyada bhi saff-safayi mat kardena nahi to mom ko galat fehmi ho jayegi ki mai aab bada ho gaya hu uske baad tum soch bhi nahi sakti ki muj jaise bacche pe kya-kya julm ho sakte hai.

Komal- Jara hum bhi to jane ki aisa kya kya ho sakta hai tumhare saath.

Mai- Mujhe mera karma khud saff kerna pad sakta hai.

Meri baat sun ke komal pehle to mujhe ghurne lagi phir ek dam se paglo ki tarah hasne lagi.

Mai- Tum mera majak uda rahi ho jawo ab mai tumhe tumhara gift nahi deta.

Komal- Sorry baba mai to bas.

Mai- Bas ******kya.

Komal- Ok, wo sab chodo dikhawo ki kya-kya laye ho.

Mai- Kuch jyada nahi khushi ke liye kuch kapde kuch fruits bas.

Komal- Ye chocolate ye kiske liye hai kisi ke liye bhi ho I love chocolates mai to sari kha jayungi.

Mai- Ye tumhare liye nahi hai.

Komal- Jyada chapad-chapad mat karo lawo bag mujhe do aur mere hath se shopping bags le liye aur sab dekhne lagi.

Komal- Wah tumhari choice to acchi hai khushi ke sare dress bahut hi pyare hai au aakhir me usne wo dress dekhi.

Komal- Ye dress kiske liye hai.

Mai- Mere liye hai ye.

Komal- Tum pe sach mai bahut acchi lagegi jara try karke dikhana.

Mai- Hahahaha mujhe hasi nahi aayi ye tumhare liye hai tumhe pasand aaya ki nahi pata nahi per mujhe pasand aayi isliye mai le aaya.

Komal- Nahi sach mai ye bahut khubsurat hai mai kabse is tarah ki ek dress lena chah rahi thi per ye bahut jyada costly hone ke karan mai isse le nahi pa rahi thi waise tumhare pass itne paise kahan se aaye.

Mai- Tum tension na lo aur ye dress pehan ke dikhawo.

Komal- Nahi pehle batawo ki tumhare pass itne paise kahan se aaye nahi to mujhe na to tumhari ye dress chahiye aur na hi tumhari friendship.

Mai- Kya yaar tum bhi na wo maine jis store mai khusi ke liye dress lene gaya tha na wahan maine lucky draw liya jis mai mujhe ek fix prize money mila jisse mai wahan shopping ker sakta tha usi se laya hu.

Komal- Tum jhoot to nahi bol rahe ho na.

Mai- Are meri maa mai tumhe wahan ke manager se milwa dunga kal hi tab to mujpe yakin aa jayega na.

Komal- Tum keh rahe ho to thik hi hoga per phir bhi kal hum wahan chalenge wo kya hai na ki mujhe kuch shopping kerni hai.

Mai- (Ye in ladkiwo ko samjhana sach mai namukin hai) ha kyu nahi ab to apni dhak hai wahan pe.

Komal sari dresses le ke apne ghar chali gayi aur mai khushi ke bare mai sochne laga ki kaise mai uski help ker sakta hu abhi wo bahut choti hai use apni mom-dad ki jarurat hai aur mai chah ke bhi us ke wo jarurat puri nahi ker sakta. Jab mere dimag mai kuch nahi suja to maine kuch der tv dekhne ki sochi maine jaise hi tv on kiya waha ****website ka add aa raha tha aur mere dimag ki batti ek dam se jal gayi ab mujhe pata tha ki mujhe kya kerna tha.

Raat ko maine khana komal ke ghar pe hi khaya meri layi huwi dress mai khushi bahut hi pyari lag rahi thi aur komal aur aunty bhi uska sahi se dhayan rakh rahi thi isiliye mujhe ab uski chinta nahi thi. Khana khane ke baad mai kuch der tak uske saath khelta raha phir apne ghar aa gaya aur sone ki koshish kerne laga ki tabhi mere phone pe kisi ka text aaya maine socha ki sale company walo ne bheja hoga ki ye le lo wo le lo per tabhi dimag ki batti jail ki kahi koi accha offer huwa to waise bhi aaj kal net pack kitne mehange ho gaye hai petrol ke baad india ke dusra sabse tezi se mehanga hone wala item.

Per jab maine inbox check kiya to text reet ka tha ye ek aur shocking news thi mere liye mai is ladki ko aaj tak thik se samajh nahi paya tha (yahan se mai kuch der tak mai chat ke bare mai likhunga to plz confused na ho).

Reet- Hi.

Mai- Hi koi kam tha.

Reet- Nahi bas waise hi free thi to socha ki chat karlu waise tum whatsapp use nahi kerte kya maine tumhe kitne text kiye per ek ka bhi reply nahi aaya phir aakhir mai sms kiya hai.

Mai- Tumhe kya pata net plan kitne costly ho gaye hai india mai waise bhi mai faltu mai kisi se jyada baat nahi kerta agar koi kam ho to bolo nahi to mujhe neend aa rahi hai.

Reet- Ok, wait bas 2 min (2min ke ander hi mere mobile pe ek message aaya ye net pack active hone ka message tha).

Reet- Sms mila.

Mai- Ha per tum bhi apni friend ke tarah bewakoof ho aur apna nuksan ker rahi ho mai tumhe ab bhi reply nahi karunga waise net plan ke liye thanks.

Reet- Mujhe acche se pata hai ki tumne aur us store manager ne mil ke annu ko bewakoof banaya hai.

Mai- (Oh, teri iske pass bhi dimag hai isse to bach ke rehna hoga nahi to poppat ho jayega) ha to kya huwa tum ladkiya hoti hi bewakoof hai.

Reet- Jyada over smart banne ki jaruart nahi hai tumne us annu ki pure mahine ki pocket money ek din mai hi khatam karwa di us time to us ne bhi josh josh mai do dress le li per baad mai bechari ro rahi thi. (yaar ye sahi nahi huwa mujhe uske kam se kam aadhe paise to wapas karne hi chahiye) mujhe bhi ab sach mai dil se bura lag raha tha aur maine uske kuch paise wapas karne ka faisla kiya wo alag baat thi ki paise mere pass bhi nahi the abhi per mai janta tha ki mai kuch na kuch intzaam kar hi lunga. Aise hi kuch der maine reet se baat ki phir so gaya ek nayi subah ke intzaar mai ek nayi umeed ke saath.


______________________________
Like Reply


Messages In This Thread
Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:02 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:11 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:12 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:13 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:14 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:15 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:16 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:17 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:18 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:19 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:21 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:23 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:27 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:29 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:32 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:33 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:34 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:35 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:36 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:38 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:39 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:40 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:41 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:55 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:56 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:57 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:59 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:01 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:05 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 17-02-2019, 11:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:53 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:55 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:58 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:59 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 01:00 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 13-09-2019, 07:36 PM



Users browsing this thread: 11 Guest(s)