Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Jindgi ke rang
#19
Update 29

Maine raj ko apne saath liya aur reet ke ghar ki taraf ko nikal gaya bina kuch soche samjhe bina ye jane ki koi mera peecha bhi ker sakta hai.

Ab aage...
Mai jaise hi apni darling ke pass pahuncha mere to sare gum hi dur ho gaye mai use kiss hi kerne wala tha ki last time ki yaad aate hi ruk gaya.

Raj- Bhai ye kaun se bike hai kis ki hai.

Mai- Abe chup ker ye meri janebhar janejigar hai chal baith tujhe iski power dikhata hu.

Raj- Bhai maan gaye jabardast bike hai per mujhe ek dout hai pucchu kya.

Mai- Chal tu bhi kya yaad karega pucch.

Raj- Bhai aaj mere ko kaise laaye Rg ko chod ker mera matlab ki waise to aap rg ya Aryan ko le jate hai na isiliye.

Mai- Jo kam tu ker sakta hai wo un dono ke bas ki baat nahi tu kamal hai yaar.

Raj- Bhai mujhe to dar lag raha hai.

Mai- Tujhe darna bhi chahiye.

Raj- Kuch kaha kya.

Mai- Nahi kuch nahi bas tu aaram se baith.

Hum log jald hi reet ke ghar pe pahunch gaye shayad mere mahanta ke kisse yahan bhi mashur ho gaye hai isliye security wale ne bhi mujhe nahi roka.

Raj- Bhai ye to badi top hai.

Mai- Sambhal ke chalti bhi hai bach ke.

Maine wahan kam ker rahi maid se reet ko bulane ko bola aur wahin hall mai baith gaye kuch der mai reet apne room se bahar aayi aur saath mai lal mirchi bhi saath layi.

Annu- Yahan kya lene aaye ho.

Mai- Raj tere se lal mirch kuch pucch rahi hai jabab de.

Raj- Ji wo ankur bhai saath laye hai.

Annu- You tum apne aap ko samajhte kya ho mai tum se baat ker rahi hu.

Mai- Reet ye rahi tumhari bike ki keys aur bike maine parking mai khadi ker de hai bata do ki college kab se jaana hai mai aa jayunga.

Annu- Reet iss bastard ko bol do ki hame iski koi jarurat nahi hai ye jaa sakta hai.

Reet- Kal se mai dobara college join kerna chahti hu tum kal se dobara aa sakte ho.

Annu- Reet tu pagal ho gayi hai kya.

Mai- Thik hai kal milte hai.

Annu- Tujhe aane ki koi jarurart nahi hai samjha nikal yahan se nahi to tujhe yahan aane pe hi pachtawa hoga samjha.

Mai- Laal mirch tujhe ab tak sabak nahi mila hai na.

Annu- Tu us din bach gaya kyu ki wo kamina prince beech mai aa gaya.

Mai- Abhi tune aur tere us dharti ke bhoj ne mere dosto ki kamina panti dekhi kahan hai.

Annu- Tujhe to mai jinda nahi chodungi.

Mai- Banda hajir hai laal mirch.

Meri baate sun ke reet aur raj dono ki hasi chut gayi annu ka para aur chad gaya.

Annu- Reet mujhe tere se ye umeed nahi thi tu isse abhi naukari se nikal de nahi to mai...

Mai- Reet tumhe apni best friend ki baat ko manna chahiye.

Reet- Mmai koi choti bacchi nahi hu jo mujhe koi bataye ki mujhe kya kerna hai aur kya nahi pehle hi maine iski dosti ke khatir galat kam mai iska saath diya ab mai dobara se iska saath de ke ker mai isse badawa nahi dena chahti.

Annu- Tujhe kya lagta hai wo mai tere bina nahi ker sakti thi.

Reet- Bilkul ker sakti thi kyu ki jab khud koi marna chah raha ho to koi kya ker sakta hai per kam se kam tu mera istemal to nahi kerti.

Mai- Apni keys sambalo mai chalta hu kal time pe aa jayunga mujhe tumhare iss bachkane natak ka hissa nahi banna.

Reet- Tumhare kehne ka matlab kya hai ki hum natak ker rahe hai.

Mai- Mai sirf apne kam se kam rekhta hu ab jo annu ne mere saath kiya uske baad mujhe itna to samajh mai aa hi gaya hai ki dosti sirf apne barabar walo mai ki jati hai aur mai raj ko wahan se lekar nikal gaya peeche se reet kuch bolti rahi per maine uski bato ko ignore kerte huwe aage bad gaya.

Raj- Bhai mujhe abhi tak samajh nahi aaya ki aap mujhe apne saath kyu laye hai.

Mai- Bahar chal samajh jayega.

Hum dono jaise hi main gate ke bahar pahunche ki wahan do gaddiya aa ke ruki un mai se victor ke dost bahar nikle sabhi ko to nahi per lucky ko mai jaanta tha.

Raj- Aaj to bahut padne wali hai pehle pata hota to aata hi nahi.

Mai- Tu tension na le aa chal dekhte hai.

Lucky- Tu soch raha hoga ki mai yahan kaise kyun.

Mai- Pagal hai kya tujhe annu ne bulaya hai aur phir tera ye chamcha (unhi mai se ek ladka) hamara peecha bhi to ker raha tha.

Lucky- Tera jaisa bewakoof maine aaj tak nahi dekha jab tujhe sab pata tha to bhaaga kyu nahi.

Mai- Abe ghuchu m****** mai mahan hu tujhe sirf ye pata hai ki ab tak kya huwa mujhe ye bhi pata hai ki aage kya hone waala hai.

Lucky- Aage kya hoga mai teri ek ek haddiya gin gin ke todunga.

Mai- Aur uske baad.

Luck- Uske baad kuch nahi.

Mai- Chal mai tere ko ag style mai samjhata hu tu aur tere dost yahan mere ko marenge sahi hai.

Lucky- Sahi hai.

Mai- Per tum mujhe jaan se nahi maroge ye bhi sahi hai.

Meri iss baat se wo sab ghabra gaye shayad unhe laga tha ki mai itne ladko ko apne samne dekh ker ghabra jayuga bhagne ki koshish karunga per yahan to mai ek se bad ker ek shandar dialogue chipka raha tha.

Mai- Dar mat mai tujhe aasan shabdo mai samjhata hu. Tum sab mujhe yahan maar ke bhag jawoge phir mere dosto aur fans ko pata chalega to wo sabhi tumhe chun chun ke sabak sikhayenge kyunki jab victor ko hi nahi choda tum kis jhatt ke ball ho phir meri bari aayegi aur mera pata nahi mai kitne round tak batting karu.

Lucky- (Ghabrate aur haklate huwe)tu mujhe dara nahi sakta samjha waise bhi tu inn mai se kisi ko nahi janta.

Mai- Oh, teri so sad yar tab to tu pure saal bajega kyunki mere fans hai hi itne ye mahan hona bhi koi asaan kam nahi hai. Chal suru ho ja isse pehle ki mere dost yahan aaye tu apna kam ker ke nikal le kyunki raj ne text to ker hi diya hoga sabhi ko.

Raj- Bhai hostel se 500 ladke aa rahe hai aur kuch aryan bhai ke saath bhi 15 se 20 mint mai aa jayenge sabhi.

Mai- Lucky jyada samay nahi hai tere pass suru ho ja.

Lucky apne dosto ko aise dekhne laga jaise puch raha ho ki ab kya karen.

Ladka 1- Bhai mai to wapas ja raha hu prince bhai sach mai iske support mai hai jiska sidha matlab hai ki aadha hostel iske saath hai to agar isne apni kahi baat ka 10% bhi ker diya to mera career barbad ho jayega.

Lucky- Abe dar mat victor bhai hai apne saath.

Ladka 2- Agar victor bhai sach mai apne saath hai to yahan kyun nahi hai.

Lucky- Abe bhool gaya wo hospital mai hai.

Ladka 3- Wo to sirf ek bahana ha mai bhi tha party mai victor bhai ko sirf do char thappad hi pade the jab ki iski halat kharab thi tab bhi ye yahan hai aur victor hospital mai sab samajh aa raha hai mujhe wo sirf apna kam niklwana chahte hai humse baad mai unhe hum se koi matlab nahi hoga mai to wapas ja raha hu sorry ankur mai to bas iski baato mai aa gaya tha.

Lucky- Darpok namak-haram daru pitte waqt to victor bhai mai aapke liye apni jaan bhi de dunga aur ab gaand se dhuwa nikal raha hai.

Ladka 1- Victor koi free mai hum pe kharcha nahi kerta hum ne bhi bahut kuch kiya hai uske liye aur sun ja ke bol de victor ko ki mai aaj se uske saath nahi hu aur wo wahan se jane laga usko dekh ke sabhi uske peeche ho liye ab wahan pe sirf mai raj aur lucky hi the...


______________________________
Like Reply


Messages In This Thread
Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:02 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:11 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:12 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:13 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:14 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:15 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:16 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:17 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:18 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:19 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:21 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:23 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:27 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:29 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:32 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:33 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:34 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:35 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:36 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:38 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:39 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:40 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:41 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:55 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:56 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:57 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:59 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:01 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:05 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 17-02-2019, 11:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:53 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:55 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:58 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:59 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 01:00 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 13-09-2019, 07:36 PM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)