Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Jindgi ke rang
#13
Update 15

Sham ko mai aur mom wahi pass ke ek market mai ghumne gaye waha se hum ne kuch shopping ki aur sab ke liye khana pack kerwa ke ghar aa gaye sab ne mil ke dinner kiya aur phir mai sone chala gaya.

Subah mai aapni nahi balki dad ke rution ke hesab se time pe Utah gaya aur hum jogging pe nikal pade aab muje bhi accha lagta tha subah jogging pe jana ghar aa ke kuch khas nahi huwa wahi mom ka pyar aur dad se nok jhok phir mai college ke liye nikal gaya .

college pahuch ke Maine aapni bike park ki aur wahi khade ho ke gaurav aur Aryan ko phone Karne laga ki WO kha hai .

tabhi ek tej raftar car ne waha aayi aur meri bike mai thok de meri bike ke back headlight puri tarah chaknachur ho gayi mai to jaise shock ke mare kabhi aapni bike to kabhi us car ko hi dekh raha tha jaise hi WO car kuch aage ja ke ruki to muje hosh aaya.

es se pehle ki koi gaddi se nikale mai waha pahuch gaya aur driving seat ka gate open kiya to us mai se ek ladki bahar nikli mai to jaise us ke khubsurti mai hi kho gaya kasam se kya Ladki thi yaro ladki nahi pari thi Maine aapne jindgi mai aise ladki aaj tak nahi dekhi thi mai to use bas ektak dekhe hi ja raha tha kya figer tha kya chehra bilkul kisi aab kaise batawu samaj nahi aa raha bas itna samaj lo ki WO sach mai pari thi jise hona to aasman mai chahiye tha per shayad upper kam Jada hone ki wahaj se galti ho gayi aur use neeche bhej diya gaya.

ladki-(nahi meri pari) thumari problem kya hai tum muje aise ghur kyu rahe ho .

mai-tum bahut khubsurat ho.

ladki-wo to muje pata hai rasta chodo mera aur agar dobara mere raste mai aaye to accha nahi hoga ye thumari pehli galti hai es liye maff ker de rahi hu.pata nahi kha kha se chale aate hai gandi nali ke keede.

aab muje pe se us ki khubsurti ka bhoot puri tarah uttar chuka tha .

mai-hello tu Jo bhi ho muje koi shauk nahi hai tere raste mai aane ka wo dekh tune kya kiya hai meri bike ke saath.

ladki-to tuje aapni bike sahi jagah park kerni thi na pure parking area mai tuje wahi jagah mili thi bike park kerne ko chal mera rasta chod mere dost mera intzar ker rahe hai.

mai-tu aise nahi manegi ruk .(Maine ass pass dekha to kuch mila hi nahi tabhi meri nazer us ke gale mai pade scarp pe padi Maine use us ke gale se kheech liya es se pehle WO kuch samaj pati Maine use aapne haath mai lapet ke gaddi mai peeche chala gaya use kuch samaj aata us se pehle hi kachkkkkkkk ki ek awaj huwi aur us ke left side ke head light chaknachur ho gayi us ka to muh khula ka khula reh gaya) are tuje bhi gaddi khadi kerne ko yahi jagah mili thi bad luck .( us ke kan ke pass aapni garden le jate huwe ) aagli baar kisi ko gali dene se pehle ye jarur soch lena ki WO tere saath kya ker shakta hai.

us ka scarp us ke kandhe pe daal ke mai bahar ko chal diya josh josh mai Maine head light to aapne haato tod de per aab gand fat rahi thi dard ke mare aur khun bhi nikal raha tha bahar aate hi muje Aryan mil gaya.

aryan-abe ye kya huwa.

mai-wo sab chod ye bata ki yaha dressing kha hogi.

Aryan -chal tuje dikhta hu aur tuje pata hai dressing kerne wali bhi mast hai tera dard to use dekh ke hi gayab ho jayega.

phir hum dressing karwane ke liye chale gaye waha muje 50 se 55 saal ki ek moti mili us ko dekh ker Maine Aryan ko ghura wo aapni nazre churane laga jaise ki us ki chori pakdi gayi ho.

kher Maine waha se dressing kerwayi aur ek pain killer le ke bahar aa gaya.

aryan-kasam se sala aaj din hi kharab hai WO aaj chutti pe hai lagta hai.

mai-chal aapni bakwas band ker aur class mai ja mai tuje baad mai milta hu.

aryan-kyu tu kha ja raha hai.

mai-muje aapni bike thik kerwani hai .

aryan-us ko kya huwa.

mai-ek chota sa accident huwa hai back light tut gayi hai use hi change kerwani hai.

aryan-gud saath mai chalte hai .

mai-aur class .

aryan-pagal hai kya engenier bhi kabhi padte hai kya pagal kahi ka tu to hamara naam kharab karega chal chalte hai.


______________________________

Update 16

Aryan- Pagal hai kya engineer bhi kabhi padte hai kya pagal kahi ka tu to hamara naam kharab karega chal chalte hai.

Ab aage...
Annu- RG tuje pata hai ye ankur aur aryan kahan hai.

RG- Kamine kahin maje kar rahe honge mujse to puccha bhi nahi.

Annu- Tu ruk mai pata kerti hu. Tring tring tring ........ hello.

Annu- Kahan ho tum.

Aryan- Pehle pata hota ki tum mujhe itna miss karogi to jata hi nahi thume chod ke.

Annu- Ankur kahan hai.

Aryan- Hamare beech ye ankur kahan se aa gaya.

Annu- Maine kal hi nayi sandal kharidi hai.

Aryan- Koi nahi bill mai pay ker dunga.

Annu- Wo to kerna hi padega agar agle 10 sec mai mujhe mere sawalo ke jabab nahi mile to.

Aryan- Check chalega wo kya hai na aaj kal cash ki thodi problem hai.

Annu- Credit card bhi chalega jab ye sandal tere upper tutegi tab.

Aryan- Tu to serios ho gayi yar mai to mazak ker raha tha ankur drive ker raha hai 20 min mai canteen mai milte hai.

Annu- Tu mil muje aaj aur yeh keh ke phone cut ker diya.

RG- Kya huwa.

Annu- 20 min mai aa rahe hai puch lena.Dono canteen ki taraf chale jate hai ki tabhi koi annu ko peeche se awaj deta hai.

Annu- Reet tu yahan kya kar rahi hai kahin tune bhi issi college mai admission to nahi le liya hai na.

Reet- Ha yaar.

Annu- Tu to bahar jane wali thi aage ki padahi ke liye kya huwa.

Reet- Mat puch yar bade papa ne jane hi nahi diya.

Annu- Maine to pehle hi kaha tha ki tu nahi ja payegi la de mere 500 rupey.

RG annu ko apni kohni marte huwe mera bhi intro kerwa de na.

Annu- Reet ye RG hai aur RG ye reet hai ek no ki ziddi ladki to es se dur hi rehna.

RG- Reet tum bahut khubsurat ho.

Reet- Sach mai thume aisa lagta hai.

RG- Isme lagna kya hai jo sach hai mai to wahi bol raha hu.

Reet- Thanks.

Annu- Agar tum dono ki baat cheet ho gayi ho to kya hum chale yahan se.

RG- Itni jaldi bhi kya hai.

Reet- Chalo chalte hai.

RG- Mera matlab tha ki ye bhi koi puchne ki baat hai chalo.

Aryan- Ye annu aur tera kya chakker hai bhai.

Mai- Yaar kuch nahi lagta hai wo kal ki baat se mere taraf attract ho gayi hai aaj us se baat karunga mai es bare mai.

Aryan- Waise annu ladki acchi hai tu chahe to...

Mai- Annu sach mai ek bahut acchi aur pyari ladki hai es liye mai nahi chahta ki us ka dil tute kyu ki mai yahan padne aaya hu na ki ye sab kerne.

Aryan- Chal jaisa tu thik samje per ek baar aur soch le agar moka haath se nikal gaya to kuch nahi bacchega.

Mai- Aisa nahi hai yar wo ek bade ghar ki ladki hai aur mai ek middal family se to tu hi soch jitna ek mahine me us ki gaddi patrol khati hogi utne mai hamare ghar ka ek mahine ka rashan aata hai.

Aryan- Pyar ye sab ameer-gareeb nahi dekhta.

Mai- Accha tu khud ko annu ke dad ya bhai ko jagah rekh ke dekh phir bol.

Aryan- Ye to koi baat nahi huwi yar.

Mai- Mai tujhe sirf ye samjane ki koshish ker raha hu ki aaj agar maine annu ko nahi roka to us ka fucture barbad ho jayega.

Aryan- Tu abhi bahut dur ki soch raha hai.

Mai- Nahi mai wo soch raha hu jo mai kabhi nahi chahunga ki kisi mere aapne ke saath ho.

Aryan- Tu mahan hai yaar.

Mai- Tu canteen chal mai bike park ker ke aata hu.

Aryan- Bilkul nahi pata nahi tu ab kaun sa gul khila de akele mai chal mai sath chalta hu.

Phir hum ne bike park ki aur canteen ki taraf chal pade canteen mai jaise hi meri nazar annu ke saath baithi ladki pe padi mai aapni kismat ko koshne laga ki kyu phir se kyu.

Aryan- Wo dekh teri hone wali bhabi.

Mai- Ye hi wo subah wali ladki hai.

Aryan- Sale koi to kam dhang se ker liya ker ek ladki to pasand aayi thi muje aur tune usi se... 

Mai- Jyada nautanki mat ker chal dekhte hai ki aakhir matter kya hai. Mai jaise hi table ke pass pahuncha.

Reet- Ab yahan mere se maffi mangne aaye ho annu yahi hai wo badtmeej ladka jis ke bare mai bata rahi thi.

Mai- Annu mujhe tum se kuch baat kerni hai akele mai.

Reet- Annu tu isse janti hai tera standard kitna gir gaya hai yahan aa ker.

Annu- Nahi aisa nahi hai kal hi mile the hum ankur pehle tum reet se aapne kiye ki maffi mango tabhi mai tumhari koi baat sunungi.

Mujhe annu se aise jabab ki umeed nahi thi annu ki baat ko sun ke mai wahan se wapas jane laga.

RG- Ankur dekh yar koi kisi se maffi mangne se chota nahi ho jata to meri baat man maffi mang le aur baat ko yahi khatam ker nahi to tuje to shayad pata bhi nahi hoga ki **** ki back light kitne ki aati hai.

Mai- To bata de mai pay ker dunga apni bike ke reparing ka total kharcha nikal ke.

RG- Tera saal bhar ka kharcha bhi us ki bharpayi nahi ker payega.

Aryan- Tu us ki chinta mat ker mai bhi hu tu bas aapna amount bata.

RG- Itna attitude accha nahi hai ankur.

Mai- Ye attitude nahi hai.

RG- To thik hai kal tujhe bill mil jayega.

Mai bina kuch bole wahan se chala gaya. Aaj pata chala ki log kyu kehte hai ki agar do sacche dosto ko alag kerna hai to un ke beech bas ek ladki la do waise to hamari dosti koi jay aur viru ki tarah nahi thi aur na hi bachpan ki per asal mai wo hi mere es nayi jindagi ka pehla dost tha jo muje yaad tha nahi to past to mere liye aaj bhi ek pehli hi tha.


______________________________
Like Reply


Messages In This Thread
Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:02 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:11 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:12 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:13 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:14 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:15 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:16 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:17 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:18 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:19 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:21 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:23 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 05:27 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:25 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:29 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:32 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:33 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:34 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:35 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:36 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:38 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:39 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:40 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 07:41 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:55 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:56 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:57 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:58 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 09:59 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:01 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:03 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 15-02-2019, 10:05 PM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 17-02-2019, 11:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:53 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:54 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:55 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:58 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 12:59 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 01-03-2019, 01:00 AM
RE: Jindgi ke rang - by Hafiz55301 - 13-09-2019, 07:36 PM



Users browsing this thread: 13 Guest(s)