Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied
#12
Subah ho chuki thi ek nayi subah ki roshni asma ke chehrey par pichey se aa rahi khidhkiyo se pari asma ne apni aankhen kholi jismein maut ke andherey se dur ek nayi zindagi ki roshni thi asma ne apney sirhaaney ke paas apni maa ko dekhaa jo ooskey jagney ke liye wohin par so chuki thi asma oonhey jaganaa chahti thi par shayad oxygen mask ki wajah se wo baat nahin kar sakti thi


Aftab tezi se daudhtaa huaa security officer station pahuchaa aur sidhey andar ghussa jahan hawaldaar ne kaha sir aapki jeep kahan hai ?

Aftab – woh darasal kharab ho gayi thi garage mein di hai haan who harami aaya kyaa??

Hawaldaar – aapke cabin mein wait kar rahey hai

Aftab jhat se andar ghussa – hello sir ?

Acp yusuf hussain ek dum pichey mudhaa aur kaha toh aap aagey janab security officer station 24 ghantey khulaa rehtaa hai aur aap jaisey log yahan naa hokar jurm ko aur badhney ki dastak detey hai jaantey hai aap ?

Aftab chup ho gayaa tha – no no sir woh aaj meri jeep kharab ho gayi that’s why mujhe itna waqt lag gayaa

Acp yusuf hussain – hmmmm accha toh kuch pata chalaa kaatil kaun hai ??

Aftab – sir kaatil kaisa kaatil sir ?
Acp – oh ab aap case bhi bhulney lagey hai
Aftab – no sir aisa nahin hai
Acp – toh fhir kya hai mr aftab sheikh I am talking about the murder case of faisal sheikh dhyaan kahan hai aapka ?........acp ne khadhatey huye kaha

Aftab – sorry sorry sir who kaatil ka ab tak sabut milaa toh hai lekin ek meat chopper se naa toh oos par waar kiyaa gayaa hai aur naa hi oos shirt se koi ooska suraag milaa hai sir hum apni puri koshish kar rahe hai

Acp yusuf hussain – hmmmmmm puri koshish mr sheikh agar aapko apnaa naam un security officerwaalo ke list mein nahin daalna jinhoney apni wardi ka galat faayedaa uthaya aur kitney muzrimo ko bhaagney ka maukaa diyaa toh fhir aap is security officer aur is wardi se resignation de saktey ho

Aftab – no sir kabhi nahin ye wardi maine jurm ko rokney ke liye pehni hai and I am sorry ki main personal problems ko face kar raha hoo main is case mein khooni ka pataa lagaakey rahungaa

Acp ne oosey ghur kar dekhaa aur kaha hmmm strange kaisaa personal prblm biwi se jhagdaa yaa baharwaali ke saath koi chakkar aur yaa rishwat

Aftab ab apney gussey ko control nahi kar paa raha tha – sir aap mujhe galat samjh rahey hai I am not a corrupt officer aur waise bhi meri ab tak shaadi nahin huyi

Acp – theek hai main aapsey sirf itna chahta hoo ki khooni tak pahuchney ki koshish karo naa ki personal aur professional life ko bich mein lao aur haan oos jeep ke malve ka kuch pataa chalaa

kyaa naam hai oos larki kaa haan asma asma sheikh ye ooska jeep nahin hai wo abhi bhi city care hospital mein bharti ooski jaan jaatey bachi hai aur main chahta hoo ye ho rahey waardaato kaa kissa tumhey hi khatam karna hai understand now you can work and I have to go for a case

Aftab ne yusuf ko apne bagal se guzartey huye dekhaa aur aftab gussey mein apney mutthi kaskey table pe maaraa

Aftab – asma asma ye tumney kya kiyaa ?? mujhe maut ke munh mein ghasitney ka baraa shouk thaa naa ab tum jaanogi ki musibat ka dusraa naam aftab sheikh hai main tumhey paakar hi rahungaa

Acp jeep chalaney lagaa aur mann hi mann baato ko sochkar ooskey maathey par shikhar ki leher daud gayi – hmmmm strange asma ka accident honaa faisal sheikh kaa dardnaak maut jismey kaatil koi hai ye vaardaat oossey ek din pehley huyi strange wo bhi jungle ke raasto par aakhir maazhraa kyaa hai

Aftab – nahin nahin ye bhoshdi wala toh pichey hi padh gyaa agar is waqt main asma ko dhundhney hospital jaungaa toh ye madarchod bhi wohi hogaa ab mujhe kisi tarikey se is case ko khudhi handle karnaa hogaa par kaisey kaisey ?

Aftab soch mein dub gayaa aur idhar udhar chakkar kaatney lagaa abhi aftab soch hi raha tha ki hawaldaar cabin mein aaya…………sir sir aapsey case ke baarey mein kuch baat karni hai …………..sssshhhh oh shut up main kuch soch raha thaa naa keh kya hai ?............sir khabar pakki mili hai wo faisal sheikh kisi aatankwaadi terrorist group ke baarey mein kuch hi dino mein khulaasa karney waala tha shayad ye bhi ooski maut ki wajah ho sakti hai……..aftab ka sar thankaa aur oosney kahaa array haan mainey toh ye socha hi nahin tuney bari khabar nahin balki mere liye ek golden chance diyaa hai…….hawaldar hairaani se bola – kyu sir……array bhoshadi ke faisal aatankwadi ke baarey mein pataa lagaa rahaa thaa aur ye naya acp jab se aaya hai behenchod meri maa behan ek karney mein utaaru hai saaley ko klpm denaa paregaa……….hawaldar sir klpm………….hahahaha abbey bewakuf khadhey lund pe mukka hahaahahhaaa………hawaldar bhi aftab ke sath hasney lagaa aur kaha toh sir aaptoh aisey plan banatey ho jaisey aap hi ne hi faisal ka qatal kiyaa ho aur baat ko dabaa rahey ho…………abbey madarchod pagal hai kabhi to soch samajhkar bola kar warnaa woh to mujhe wardi se utarwaayegaa hi tu apni wardi bhi kho degaa aur sun ye baat hum dono se bahar lick nahin honi chahiye…….aur waisey bhi reporters kyaa kar lengey ek do taana maarenge mujhe ooski chintaa nahin mujhey toh apne pyaar ki chintaa hai hahahahahahahaaaa hmmmmmmmmmmmm mmmmmmmmm

Asma ne dheere dheere apni aankhen kholi jahan maa oosko apney haatho se khilaa rahi thi asma ko apni maa ka yeh pyaar dekha bachpan ki yaad aa gayi jab ooskey maa aur baap sab saath milkar aisey khaaya kartey they par khiltey phoolo ko murjaaney mein kab waqt nikal jaaye pata hi nahin chaltaaa

Tabhi wo shaks andar aaya ooskey haatho mein flower basket thaa aur saath mein ek aurat bhi thi

Aur tabhi wo paas aakar kehta hai

Good morning mam get well soon

Asma ne oonki taraf dekhtey huye bas apnaa sar muskuratein huye hilaaya
Mr Abraham – miss asma ji aapki khabar suntey hi hum fauran daudhtey daudhtey aaye

Lalita – get well soon meri taraf se ye fhool

asma ki maa ne dono se wo guldastey liye aur unhey thank you kaha

asma ki maa – aap log ko yahan dekh kar bahut accha lagaa

lalita – ji mrs khan aapki asma se hi toh office judaa hai waisey ye accident huaa kaisey

asma soch mein dub gayi

Abraham – ye bhi koi waqt puchney kaa lalitaa

Lalita – sorry sorry mam

Asma ki maa – no no its alright

Mr Abraham lalita ko gaur se dekh rahaa tha

Mr Abraham ne kaha mam ye abhi kuch keh saki

Asma ki maa – naa doctor ne isey bolney manaa kiyaa hai aur waisey bhi ,.' ne isey bachaa liyaa aur mujhey kyaa chahiye main toh harpal yahin duaa karti hoo ki ye jald se jald theek ho jaaye

Lalitaa- array ye theek ho jaayengi aakhir puraa office inkey liye prayer karegaa pataa hai aapko pehley din hi asma ji ne sabkaa dil jeet liyaa tha I mean ki office ko aise handal kiyaa jaisey kitney saalo ka expericnce ho

Mr Abraham asma ko dekhtey huye jaantaa tha ki lalita taana shaahi karney se baaz nahin aayegi

Mr Abraham ne kaha accha mam toh ab izazat dijiye ok

Asma ne sirf apna sar hilaaya aur dono kamrey se bahar nikley
Mr Abraham tumhey kitney baar manaa kiyaa hai wo hamari boss hai koi staff nahin jiskey saamney tum bas shuru ho jaati ho lalita

Lalita – uff boss ho ya manager I don’t care waisey bhi iskey aaney se mera patta toh kat hi chukaa hai hmm mujhe kyaa main toh sirf tumharey kehney par formality nibhaa rahi thi

Mr Abraham – theek theek hai chalo chalein

Excuse me both of you guys

Mr Abraham aur lalita jaisey pichey mudheey saamne wardi mein khadhaa acp yusuf hussain bari gaur se dekh rahaa thaa

Yusuf – toh aap dono oonke office mein kaam kartey hai

Lalita – ji ji haan

Yusuf – waisey aap jaantey hai jo asma ji se milney aaya thaa

Lalita – no sir aisa koi strange person toh asma ji se milney nahin aaya

Mr Abraham – I am definitely sure sir kyunki aadha time toh main asma ji ke cabin mein hi hotaa thaa aisa koi personal insaan asma ji se nahin mil saktaa

Yusuf ne aankhen teerchey kartey huye kaha strange! It’s ok aap log jaa saktey hai

Mr Abraham – thank thank you sir

Yusuf hussain apney mein hi khoyaa huaa thaa asma ka accident kisi aur ke jeep mein huaa strange very strange aur fhir oosi jungle bicho bich ek vaardaat mujhe kuch kuch in dono mein kyaa same lag raha hai samajh nahin aa raaha

Yusuf ne apni jeb se mobile nikaala aur security officer station call kiyaa hello haan baat suno dekho main faisal sheikh ka jahan murder huaa check everywhere koi bhi cheez dikhey toh mujhe batana aur haan koi bhi sabhut bas mujhe sirf oosek tinkey ke hi talaash hai jo mujhe khooni tak pahuchaayegaa theek theek hai I will call you later

Lalita – aakhir aisi kyaa bat hai jo wo policwala humsey puch raha tha

Mr Abraham – oh shut up mujhey to lagtaa hai ye accident mein koi na koi saazish hai aur tum apni chut ka darwaja yahan mat kholnaa oosey leney ki door koi oos par dekhegaa bhi nahin samjhi zyada aage aage mat bola karo

Lalita –achaa tumney toh mujhe puraa randi samajh liyaa par jaantey bhi ho mainey kuch nahin kiyaa jo sochnaa hai oosey sochney do chalo yahan se

Asma ki maa ke paas doctor aaya

Doctor – toh have you feel better now asma ? dekhiye madam aapki beti kuch din tak yahin rahegi iski haalat mein thodhaa sudhaar aayegaa tab hum isey discharge karengey otherwise she is still in weakness alright

Asma ki maa – theek hai main samajh gayi

Dr ke jaaney ke baad………..asma ki maa ne asma ki taraf dekhkar kaha beta asma sachai kyaa hai ye main bhi nahin jaanti beta jo bhi baat ho mujhsey kehnaa theek hai asma toh bas apney oonhi khaufnak khyaalo mein khoyi huyi thi jismein sirf dard darr aur dukh ek alawa kuch nahin thaa jo sitambh aftab ne ooskey saath kiye they wo shayad pal pal karkey ghaav ki tarah ooskey jism par aa rahey they ooski izzazat rutbaa sab kuch oosney chura liyaa thaa


Inspector chupkey se dr ke paas gayaa aur kaha dr listen to me

Dr – ji kahiye…………….dekhiye ye baat hum dono ke bich mein rehni chahiye main aapsey ek favour chahta hoo……..what can I help you sir kahiye?..........dekhiye ye to baat saaf hai ki ye accident koi jaldbaazi yaa galti se nahin huaa galti truck driver ki thi aur is waqt asma oos situation mein nahin hai ki wo kuch bataa sakey so main ooskey body ke reports chahiye jo sirf aap kar saktey hai……….what ? sir ye illegal hai hum kisi se binaa puchey unkey body test reports batana it’s quite dangerous………..dekhiye aap chinta mat kijiye sab mujhpe chodh dijiye dekhiye aap toh jaantey hai ki hum security officerwaaley jab tak teh tak naa pahuchey ek pattey par bhi nazar rakhtey hai aur waisey bhi reports se yeh saaf ho jaayegaa ki asma sach mein dost ke ghar par thi yaa ooskey saath itney dino mein kuch huaa tha main aapko puraa yakeen dilaata hoo bat hamarey bich mein hi rahegi it’s my promise…………dr ne acp chehrey ko dekhkar kaha ok sir main yeh karungaa bt pls be sure aap yeh binaa puchey oonkey against sahi hi kar rahe hai…….. dr I am apsolutely sure aap bas test reports banwaaiye aage main sambhaal lungaa aur yeh reports sidhey mere paas aaney chahiye naa ki unkey mom ke paas pahuchey….dr iska pura khyaal rakhaa jaayega ok sir………alright aap jaa saktey hai


Acp yusuf hussain ke dimaag mein jo kuch chal rahaaa tha wo asma ke gehraayi tak jaanna chahta thaa udhar aftab apney naye mohrey ki talaash mein thaa kaun jitegaa kaun agla phaansa faikegaa
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied - by hirarandi - 20-03-2020, 09:02 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)