Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied
#6
asma apne kamrey mein baithey dono ghutno par sar rakhke so rahi thi tabhi asma ko fhir kisi gaaney ki awaaz aayi 

asma uthkar bathroom se bahar aai aftab ne shayad fhir se apni pasand ka gaana lagaa rakhaa tha 

asma ne thodha sa darwaja kholkar niche living room mein jhaanka wahan koi nahin tha shayad awaazey andar ke kamrey se aa rahi thi asma ne jhat se darwaja band kiyaa aur kisi kisi gehri soch mein lag gayi ooske haath ab bhi darr se maano kaanp rahey they oosey kuch samajhmein nahin aaa raha thaa shayad wo darr se khauf mein thi jaanti thi shaayad aftab fhir oosse kuch karney ki koshish karegaa asma ne apnaa chehra aayeney mein dekhaa jahan wo ekdum sukhi aur bebas laachar mazboor larki ban chuki thi ooskey chehrey par ek do jagah kharochey thi jahan aftab ne ooskey saath haivaaniyat ki thi 

asma ne jhat se tissue paper liyaa aur apney saarey chehrey ko pochney lagi wo pagal si ho gayi thi oosey kuch samajh nahi aa rahaa thaa wo yahan se bas nikalnaa chahti thi 

tabhi asma ekdum se ghabra gayi jab oosney aftab ki pukaarney ki awaaz suni 

asmaaaa assmmaaaaaaaaaaaaaaaa asma sweetheart darling ab to nichey aa jaao sorry tumharey saath pehli baar huaa hai naaa isliye tumhey accha nahin lagaa par baad mein sab kuch accha lagney lagega kyunki ab hum saath hi mein rehney waale hai asssmaaaaaaaaaa asssssssmaaaaaa asma asma niche aao aasma zoro ki bhook lagi hai 


asma ooski awwazey sunkar kaanp uth rahi thi wo lambi lambi saansein letey huye darwaaje ki taraf bhadii aur niche utarney lagi asma nichey utarkar aftab ke paas aayi jahan aftab kitchen mein thaaa aur shayad bread ko slices mein kaat raha thaa aftab ne pichey mudhkar asma ko dekhaa aur kaha 

aao aao aasmaa main tumhara hi wait kar rahaa tha tum theek toh honaa ?

asma ne kaha mera mobile kahan hai 

aftab ne ek baar asma par nazar daali aur kaha mere paas hai 

asma ne kaha mujhe baat karni hai will you pls give me my phone ? 

aftab ne kaha kyu ? aasma itney acchey mood ko kharab kar rahi ho sunaha suraj niklaa huaa hai charo taraf roshni hai tum ho mere paas sabsey badhkar main tumharey paas hoo aur tumhey kya chahiye 

aftab ne munh banatey huye kaha wo office mein din raat 24 ghantey kaatnaa tumharey liyee aasan ho gyaa kyu tumney apne aapko kya banaa liyaa hai aasma 

asma ne apna chehra jhatkar kaha tum mujhe mera phone dogey mujhe apni mom se contact karna hai wo bahut pareshaan hogi aur waise bhi ab  tak to oonhoney security officer mein mere gaayab honey ki khabar bhi kar di hogi main bahut well known parivaar se hoo meri bari se bari jaanpehchaan hai aur wo log mujhe dhundhtey dhundhtey huye yahan aa bhi jaayengey main jaanti hoo

aftab ne daanth bhijhkar asma ko gussey se dekhaa aur kaha 

accha accha bahut fikar hai unko tumhari sach mein sach mein aisa lagta to nahin hai agar unhey apni beti ki zaraa si bhi parvaah thi to kya apne pati ke marne ke baad unka business tumhey pakdaa deti wo chahti t khud bhi kar sakti thi tum hi kyu shayad tumharey bhai bhi ho aur jahan tak mujhe pataa hai tumhari ek behan bhi hai jiski shaadi ho chuki hai oh nahin nahin main galat hoo main galat hoo kyunki tumhari behan toh koi hain hi nahin magar haan tumhara ek chotta bhai bhi hai jiskaa naam rislaan kaafi chotta bachcha hai 

asma ki aankhen fhati ki fhati reh gayi thi aur wo jaanti thi ki ooskey jaaney ki khabar sunkar aftab phir oosey torture bhi karegaa 

aftab ne kaha kyaa huaa asma mujey itna sabkuch kaisey pataa hai yahi soch rahi ho naa main batata hoo tumhey tumharey chotta bhai kisi rayiz college mein padhta hai aisey college ki toh main bachpan mein shakal bhi nahin dekhi thi kyat oh naam hai uskaa haan yaad aaya modern high college kaafi famous college hai is sheher kaa array haan wo to is waqt college mein hogaa kyu aisa nahi lagtaa nahin nahin college mein kyu aaj to Sunday hai aaj college mein kaisey hogaa haan college mein nahin to ghar mein hogaa kyu waise kaafi best student hai apne college kaa kaafi patla dubtaa kamzor bachcha hai kyu 

asma ki aankho se aansu nikal rahey they aur asma ne kaha tumhara matlab kyaa hai ??? 

aftab ne kaha tumhari maa ye nahin jaanti ki main toh oonsey bhi zyada fikar mand hoo tumharey liye tumhari fikar hai mujhey tumsey pyaar hai sabsey badhkar mujhey pataa hai kyu kyunki main tumse bepanaah pyaar karta hoo 
tum zaroor jaaogi par mere saath jaogi tum apne ghar bhi jaogi apni maa se mil sakogi par tab talak tum mere saath rahogi

hmmmmmmmmmmmmmmm hmmmmmmmmmmmmmmm pyaaar manga hai tumhise naa inkaar karoooooooooooooo paas baitho zaaa aaj toh ikraar karo oooo pyaaar manga hai tumhi sey naaaaaaaaa ikraar karo hmmmmmmmmmmmhmmmmmmmmmmmmmmmmmmmhhh la la la la la la la

la la la la la kitnaa haseen safar haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii saath haseennnnnnnnnnnnn honey doooo hoooooooo mujhe pyaar karooo mujhey pyaaar karooo pyaar manga hai tumhisey yyyyyyyyyyyy naa inkaar karo 

haahhaahah ahahahahahahahahahhaha 

asma oosey oosey pagalo ki tarah ghur rahi thi ooski diwaangi ko dekh rahi thi shayad aftab ne oosey apne changul se nikalney naa dey wo oosey kaatil nazro se dekh rahaa thaaa 

asma ko tabhi khyaal aaya ki agar aaj raat wo yahan se nikaljaayey to shayad wo sheher ke paas jaakar bach sakti hai iiiiiiiiiiiiiiiii

asma ne lunch karney ke baad soney chali gayi shaam ka waqt ho chukaaa tha suraj ki roshni dheerey dheerey maano zameen mein dubney lagi ab rat kaa saaya padhh chukaa tha aur asma ab bhi akeley thi wo darr rahi thi ki kahin fhirse aftab ooske saath bang kaney ki koshish naa karey asma soney ka naatak kar ahi thi ki tabhi sidiyo par kisi ke chalney ki aahat huyi thak thak thak thak asma ne aankhi phaar li aur darwaaje ki taraf dekhney lagi aawaaz aur kareeb aayi aur darwaja khul gaya asma ekdum se siham kar aankhey band kar li dhudhli nigaahon se saamne ki or dekhney ka zaayeza liyaa saamney koi aur nahin aftab thaa jiski aankhen ekdum laal thi aur asma ko kurr rahi thi wo dheere dheere kadmo se asma ki taraf jaaney lagaa asma ki taraf bhadhtey huye aftab ki aankhen aur gehri nigaahon se aasma ke chehre ki taraf dekhne lagi 

aftab asmaa ke paas aakar ooskey sirhaaney par baith gaya aur ooskey gorey chehrey par apnaa haath se sehlaaney lagaa asma soney ka naatak kar rahi thi par fhir bhi wo ooskey aisey karney se kasmasa rahi thi aftab dheerey se asma ke chehrey ki taraf aaya aur kaha aasmaa kya huaaa asma uth bhi jao shaam ho gayi hai kya mere saath waqt guzarna nahin chahti asma ne dheerey se aankhen kholi aur aftab ko dekha jiska chehra ooskey ekdum paas thaa asma muskuratey huye kahaa I am sorry par aaj mera mann nahin nahin hai pls aaj chodh do 

aftab ne kaha oh c’mon aisey thodhi naa chaltaa hai theek hai theek hai samjhaa tumharey bhaai ki baat sunkar tum darr gayi thi oosey kuch nahin hogaa main hoo naa oosey kuch nahin hogaa tumhari maa ye sunkey kaafi khush hongi ki iklauti beti aaj mujhey apnaa dil de baithi hai 

asma ne jhooti muskurahat dikhaatey huye kaha itney jaldi shaadi karnaa oonhey naganwaar gusregaa aftab ne dilaasa detey huye kaha chintaa mat karo oonhey hamara pyaar except karnaa paregaa aur karengi kyu nahin apne honey waale daamad se milkar wo kaafi khush hongi main jaanta hoo 

asma ke dil mein darr bahut badh chukaa tha oosey aaj hi ke aaj kuch naa kuch karnaa thaa aftab ne apne honth asma ke chehrey par paas laaye aur ooskey gaalo par ek chumban liyaa ooski awaaz ne asma ko siskari lene par mazboor kar diyaa aftab ne muskhuratey huye kaha main tumhara nichey wait kar raha hoo jab tumhari nind khul jaaye to niche aa jaana saath mein dinner karengey theek hai asma ne muskurakar kaha theek hai 

aftab ne fhir ek baar ooskey galey par haath fhaira aaur sidiyo se gungunaatey utarta chalaa gayaa asma ne jhat se aankhen kholi aur turant bed se utarkar tehlney lagi 

asma ne mann mein sochaa – oh god aaj kisi tarikey se mujhe der raat ka intezaar karnaa hogaa main tabhi yahan se bhaag sakti hooo lekin mera phone wo to ab bhi aftab ke paas hai mujhey kuch karna hi hogaa kuch karna hi hogaa

asma ne der raat tak intezaar kiyaa aur tabhi asm nichey uteri jahan aftab ooska besavri se intezaar kar rahaa thaa 

asma ke paas aakar aftab ne ooskey gaal par chumma kaha aao khaana tayyaar hai 

asma ne kaha mujhe ek baar baat kar leney do apni maa se wo fikar karr rahin hongi maine unhey kal se phone nahin kiyaa hai pls understand me 

aftab ne maathey par shikhar laatey huye kaha theek hai theek hai lekin ek minute aftab ne covered se mobile nikaala aur kaha yeh lo lekin haan dhyaan rahey one mistake aur tum nahin bachogi tum khaamokhaah apna waqt barbaad kar rahi ho asma table par baithi aur number dial kiyaa ring bajey jaa rahi thi par koi response nahi de rahaa tha 

tabhi aftab ne turant asma ke  haath se phone china aur loudspeaker ka batan dabaa diyaa aftab ne mobile detey huye kaha ab baat karo 

asma ne phone jaise hi pakdaa tabhi wahan se ek patli si awaaz aayi

hello ? array beti aasma kahan ho tum kal raat se tumney mujhe call nahin kiyaa kaisi haalat mein ho kahan thi tum tum jald se jald ghar pahucho 

asma ko wo awaazey sunney ki deri thi asma phoot phoot kar roney lagii 

asma ki maa – kya huaa beta tum ro kyu rahi ho sabkuch theek to hai naa mainey kayi baar tumharey office mein call ki watchman se baat ki toh oosney mujhey bataya ki tum kal raat ko hi kisi ke saath nikal gayi thi

asma ka chehra maa ki baton ko sunkaar laal ho chukaa tha aur aftab dukhi andaaz mein asma ko dekh rahaa tha tabhi aftab ne asma ke kaan mein kaha baat karo naa wo tumharey liye fikar kar rahi hai 

asma ne kaha maa maa main theek hoo bas thodhi bimaar hooo kal raat ko landslide ki wajah se main office naa pahuch sakii mujhe maaf kijiyegaa wo darasal mujhey mere dost ne lift de di thi main ab bhi oosi ke ghar mein hoo  main jald hi aapke paas aaungi 

asma ki maa ne kaha theek hai apna dhyaan rakhnaa aur koi pareshaani mein ho to call kar lo main driver ko ab bhi bhej doongi 

abhi asma kuch kehti aftab ne aasma ka munh haatho se band kiyaa aasma chillane ki koshish kar rahi thi par munh dabey honey se ooski chuu tak naa nikal paayi 

asma ki maa hello hello

aftab ne jhat se mobile kaat diyaa aftab ne asma ke munh se haath hatatey huye kaha tumhey maine manaa kiyaa tha par fhir bhi tum nahin maani 

aftab ne asma kaa gala pakdaa aur kaha par tum lucky ho sach mein bahut fikar karti hai tumhari lekin afsoss oonhey tumharey pyaar ki zaraa si bhanak nahin lagii main tumhey manaa kiyaa thaa I warned you aftab ne asma se kaha chalo dinner kartey hai 

asma roney lagi aaj wo kitani besahara thi ye baat ka andaaza oosey aaj lagaa thaa 

maa ke dil mein bhi aasma ka yu phone karke jaldi kaat denaa oonhey kuch hazam nahin huaa wo thodhi pareshaan thi 

raat ke barah baj gaye assma ab bhi so rahi thi ki tabhi aftab ooskey paas aakey lait gaya asma ne apni aankhen dheere dheere kholi aur pichey mudhkar dekhaa aftab so raha thaa 

asma ne kareeb 26 minute tak wait kiyaa ki kab wo gehri neend mein jaaye aur wo wahan se bhaag sakey asma dheerey se uthi aftab ki kharaahto ki awaaze oosey saaf sunaayi de rahi thi asma ne dheere dheere kadmo se palang se nichey uteri aur darwaajey ke paas gayi aur darwaaja dheere dheerey kholna chaha darwaajey ki ek daraati huyi awaaz ne to lagbhag aasma ko daraa diyaa asma ne turant gate ko thodha tircha kholaa aur dabey kadmo se nichey utarney lagi wo baar baar pichey palat kar aftab par bhi nazar daudhaa rahi thi ki tabhi aftab kaa haath ekdum se bagal wale par rakhaa jahan kuch der pehley aasma so rahi thi par khair asma ne wahan par takiyaa rakh diyaa tha aasma ki aankhen ek dum bari ho gayi par aftab ab bhi gehri nind mein thaa asma sidiyo par baithkar nichey utarney lagi wo lagbhag saari sidiyaa utar gayi bijliyaa khadhakne lagi thi bearish ho rahi thi asma ne dabey pao chaltey huye ghar ke main gate ke paas aayi jo darwaaje par ek baraa sa lock latkaa padaa tha assma ke saari khel par paani fhair chukaa thaa asmaa wohi par dukhi hokar roney lagi tabhi oosney saamney padhey maze ki ore dekhaa asma dheere dheere badhtey chaley jaa rahi thi oosney dheerey dheerey covered kholaa oosmey asma ko phone thaa aasma ne turant phone liyaa aur apni paas rakh liyaaa tabhi asma ki nazar khidhki par padii asma ne jhat se khidhki ke paas aayi apnaa paao oosney ek niche rakhaa aur ek paoo saint mein oosney khidkhi ke chitkani ko kholna chaha ekdum se khat karkey khidhki khul gayi asma ne dheere dheere khidhki khol nikaali khidhki khultey hi aasma niche bahar ki or dekhney lagi jahan kaafi khichad thaa aasma ne piche palatkar ek baar dekhaa aur oopar dekhaa aaj job hi wo karney waali thi oosey karnaa thaa jald se jald karnaaa thaa ekdum se asma nichey kud gayi wo sidhe khichad mein fisaltey huye apney aapko rokaa aasmaa wahan se ab bhaag sakti thi ghanaa kohraa upar thand aur bijli ke chamakney ko dekh wo thodhi darr bhi gayi par ooskey kadam zor zor se bhaagney lagey barsaat mein wo bheeg rahi thi ooskey safed night gown ab geeley ho chukey they wo paas gayi aur car ki taraf badhnaa chahaa tabhi oosney wahan se bhaagna hi theek samjhaa kutto ki roney ki awaazein charo taraf se aa rahi thi wo bhaag rahi thi chp chap ki awaaz oosey daraa rahi thi wo rotey rotey bhaag rahi thi chap chap jaisi khichado si awaaze oose daraa rahi thi baar baar pichey palat kar dekhaa par wahan koi nahin thaa 

tabhi bhaagtey huye wo raasto par chalney lagi nangey pair they ooskey wo baar baar pichey mudhkar dekhey jaa rahi thi asma ne turant sadko par nangey pair chal rahi thi ooski bas ek hi aas thi kaash oosey koi car wala dikh jaaye ya koi insaan jissey madad maang kar wo ghar jaa sakti thi asma ka pair ek kaanto mein chubb gayaa asma ki cheek zor darr nikali aur wo road par hi baith gayi ooskey pao mein kaanta chubb gayaa tha lakri ka kaantaa 

asma ne apney haath kaantey tak laaye aur oosey jhat se pao se nikaalney ki koshish ki par dard ne ooskey aankho se aansu hi nikaal diyey they wo baar baar ro rahi thi oosse ab bhi ek lamba safar tay karna tha wo pichey palat kar dekh rahi thi kahin agar aftab ko mere wahan naa honey ka pataa laga tab wo aur khoonkar janwaro ki tarah pagal ho jaayegaa aur oosse dhudhntaa dhundhtaa oos tak pahuch jaayegaa 

asma ne apne pao ko kaske ek haath se pakraa aur dusrey hi pal oosney dusrey haath se oos lakri ke kaantey ko pakraa aur ek zor lagatey huye oosney daant pe daant rakhaa aur ekdum zor se kaante ko bahar khich liyaa khach ki awaaz ke saath kaanta ooskey haath mein thaa ooskey pao se behtaa khoon ab rukney kaa naam hi nahin le raha tha oosney larki ke kaantey ko faikhaa aur khadhi honey ki koshish ki wo phirse bhaagney par bhaaga nahi jaa rahaa tha oosney apne dard ko pee liyaaa aur dard ko chodh wo phirse bhaagney lagi khoon ooskey purey paao se aa raha tha langhdhatey huye bhaagkar jungle se nikal rahi thi aur tez bijliyo ne situation ko aur bhi darawana banaa liyaaa thaa
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied - by hirarandi - 20-03-2020, 08:56 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)