09-02-2019, 07:20 PM
Tuesday 16 may 2006
Subah uth kar hum logn ne nashta kiya aur yahan ke do historical market ghumne gaye aur thori shoping ki , hum ne is city ki kuch mashhoor chizon ko khareeda aur kafi der ke baad hum log htel wapas aa gaye
Do din ka waqt pata hi nahi chala aur is shahar ko alwida kahne ki ghadi aa gayi , koi talluk nahi tha is city se koi apna nahi tha yahan fir kuch waqt jo is shahar me bitaya wo bahut acha tha aur yahn se nikalte waqt aisa lag raha tha jaise ye shahar ki sarzameen muskurakar fir aane ko kah rahi ho
Hum logon ne hotel ko chora aur station ke liye chal diye , aur kuch hi der me station pahunch gaye .
Raat ka waqt tha right time par train thi aur hum log train me sawar ho gaye hamara reservation 3 – AC me tha , hum logon ke pas do uppar birth thi aur ek beech kit hi upar wali dono birth pe main aur shahnaz aa gaye aur beech wali pe chuzi ho gayi baithne ko waqt nahi tha raat ka safar tha aur subah tak hum logn ko pahunch jana tha
lekin raat ka safar aur train upper birth pe mujhe bilkul acha nahi lag raha tha , kyun ki raat ke safar me mujhe khirki pe baithne ki adat thi lekin aisa hua nahi aur Ac coach me khirki band hi rahti hai ,
is ko ek sitam samajh kar main let gayi maine shahnaz ko dekha to wo so chuki thi maine nichenigah ki to chuzi bhi chadar tan kar so chuki thi kyun ki din bhar ghumne ki wajah se bahut thak gaye the hum log kuch der ke baad main bhi so gayi .
meri aankh khuli to kuch samajh me nahi aa raha tha ki hum log kahan pahunche maine mobile on kiya time deka to 4:00 baje hue the , main birth se niche uteri aur toilet gayi train me sab log so rahe the , toilet se bahar aa kar main gate kholkar khari ho gayi aur tez hawa ke thapede mere jism se takrane lage , thori der khare rahne ke baad maine gate pe pair latka ke baith gayi .
A.C ki masnui thandak se ye kudarti hawa k thapere mujhe lakh guna zyada ache lag rahe the raat ke sannate ko chirti aur tareeki ka seena chirti hui train tez rafter
se daurti ja rahi thi raat ke andhere me kisi basti se jab train ka ghuzar hota to aisa lagta jaise ki soyi hui basti ko jagane ki nakam koshish karti hui train yahan taka a
pahunchi lekin agle hi pal usko sannate me chorkar train aage barh jati thi aur isi tarah hawa ke jhonko ko mahsoos karte hue bahut der ho gayi raat ki tareeki
khatam ho rahi thi aur aasman me subah ka surkh shafaq namoodar ho raha tha tabhi train kisi station pe ruki lekin koi bhi musafir na hi utra aur na hi train me aaya , kuch der ke bad train chal di tabhi mere kandhe pe ek hath aaya aur kisi ne
awaz di yahan kyun baithi ho ,maine palat kar dekha to chuzi thi
Tum jag gayi – main boli
Haan abhi train ruki to awazen sunakr amin jag gayi dekha to tum nahi thi isliye main niche aayi – wo boli
Shahnaz so rahi hai – maine pucha
Haan wo hathi ghore sab kuch bech kar so rahi hai – wo boli
Wo aise hi soti hai – main boli , aur chuzi bhi mere pas baith gayi aur kuch der tak hum log baithe rahe , tabhi ek admi chai lekar aaya aur hum dono nechai le li
Aap log break fast lengi – us admi ne pucha
Haan lekin abhi nahi kuch der ke baad abhi to sab so rahe hain – main boli
Thik hai – wo bola aur chala gaya wo train ke pantry staff ka koi tha , hum dono ne chai pee fir chuzi boli chalo yar abhi leto abhi bahut der hai hum logon ko pahunchne me
Thik hai – main boli aur uske sath andar aa gayi aur apni birth pe jakar let gayi chuzi beech ki birth pet hi ye acha tha warna wo baten kar kar ke mera dimagh kha jati , birth pea ate hi chuzi fir se chadar tan kar so gayi thi
_