09-02-2019, 07:14 PM
Maine kaha hill station jana hai pahle nainital jayenge fir masoori - maine aise hi bol diya wo bole thik hai beta jao lekin bahut zyada din ka programe na rakhna – wo bole
Thik hai uncle – maine kaha aur chuzi ki taraf dekha to wo bahut khush dikh rahi thi
Fir main apne ghar chali aayi aur fir chuzi mere ghar ayi hum logon ne program banaya aur pahle us shahar ka plan banaya jahan chuzi admit thi
fir wahan se hum logon ka reservation ho chukka tha nainital ke liye aur wahan se fir masoorie ke liye socha tha ki wo hum log wahin jake dekhenge ki kya behtar hoga
Chuzi sham me mere ghar aa gyi apna bag leke us ke papa us ko chorne aaye the wo hum kuch der ruke aur hum logon ko samjhaya ki kaise jana kya karna aur safar ke dauran bahut hoshiyar rahna kyu ki koi admi to sath hai nahi tum logon ke
Sunday 14 may 2006
Aaj subah hi main shahnaz aur chuzi ke sath ghar se nikal aayi hum logon ne rat ko hi packing kar lit hi aur subah hi ghar chor diya maine seema ki maa ko ghar ki pe rahne ko kah diya aur chale diye .
Ghar ke pas se hi hum log bus me baith liye aura a gaye us big city me jahan main shahnaz ko lekar aai thi jab chuzi admit thi , hum log usi hotel me gaye jahan par pahle main stay kar chuki thi hotel pahunchte hi hum logo ne chai pi aur yunhi thora bahut nashta kiya , us ke bad chuzi boli chalo yahan ghumne chala jaye .
Nahi abhi itni dhoop me main kahin nahi jaungi sham ko chalange waise bhi is city me rat bahut der me hoti hai aur subah bahut jald hoti hai – main boli , aur hum log aaram karne lage
Shahnaz ne chuzi ko bataya ki hum log pahle bhi isi hotel me thahre the , wow tabhi tum log yahan aayi ho bahut acha hotel hai – wo boli
Ab yahan akar hotel me room leke letne se kya faida agar letna hi tha to yahan kyun aayi ho – chuzi boli
Dekho jahan bhi jana hai sham ko jayenge abhi itni dhoop me kahin nahi jaungi aur waise bhi hamari train parso hai abhi hum log pure do din is city me hain khoob ghoom lena – main boli
Khoob ghoom lena – wo meri nakal utarti hui boli aur dhamm se bed pe gir gayi aur hum log aram karne lage bus ke safar ki wajah se main to thak chuki thi aur us pe garmi ki shiddat ne pareshan kar diya tha is liye main so gayi
Main jab sokaruthi to dekha bed pen a to shahnaz thi aur na hi chuzi main dar gayi ki ye log mujhe baghair bataye kahan chali gayin , main uthi to dekha wo dono balcony me baithi hui baten kar rahi thi , main bhi jakar un ke pas baith gai aur baten karne lagi ,
chuzi ne chai ka order kar diya aur chai aa gayi hum logon ne chai pee fir maine us dono se kaha ab aap log naha kar taiyar ho jaiye fir hum nikalte hain is shahar ki sair karne ke liye
Hum teeno log naha kar change kar ke taiyar ho gaye hum log apni traditional dress me the jo main aur shahnaz pahante the aur chuzi apni dress me thi jo wo pahanti thi aaj bas fark itna tha ki uske kandhe par bag nahi tha jo uski kamar tak jhoolta tha
_