09-02-2019, 07:04 PM
Kuch nahi yar shahnaz aa rahi hai is liye bhagi hun – wo boli
Chalo acha abhi main shahnaz se kahti hun ki chuzi ko physics parhao – main boli
Nahi please ye mat kah dena us se aur ye science ke jitney bhi subject hain in se meri jaan sukhti hai – wo boli
Main andar chali gayi aur fir hum logon ne nashta kiya aur chuzi apne ghar chali gayi chuzi ke jane ke kuch der ke bad shahnaz boli – bibbi chuzi didi hum logon ki kaun hai
Maine uski taraf ghoor kar dekhte hue socha ue kya puch rahi hai
Aap chuzi ko didi kahti hain is liye wo apki didi hai – main boli
To fir wo mere ghar me kyun nahi rahti – wo boli
Shahnaz please ye bawle pan ke sawal karna band karo ab aap samajhdar ho , graduation kar rahi ho – main boli
To kya graduation karne wale sawal nahi puchte – wo boli
Main kya karun main apna matha pete hue boli ,chuzi sahi kahti hai ki kisi ko science nahi parhani chahiye science wale sab pagal ho jate hain – main boli
Lekin chuzi didi to science nahi padhti – wo boli
Tumhara matlab kya hai – maine pucha
Kuch nahi , main aise hi aap se bat kar rahi hun , aur han main ye puchna chahti thi ki chuzi didi jab aati hai to hamare ghar me hum logon se aise behave kyn karti hai jaise ki hum log mehman hain aur wo mejbaan – wo boli
Main uski bat pe bahut hansi aur boli , wo is liye kyun ki aap ki chuzi didi bahut achi hai aur wo aap se bahut pyar karti hai is liye wo koi farq nahi samajhti ki ye ghar kiska hai aur wo mehman hai ye mejban , w bas hum logon ko aur is ghar ko apna samajhti hai - maine kaha
Ok bibbi – ye kahti hui wo kisi bache ki tarah chali gayi jaise koi bacha zid puri ho jane bad khush hoke chala jata hai
Fir din bhar main ghar me hi rahi april adha beet chukka tha aur mere liye ye bahut hi bekar mausam tha itni shiddat ki dhoop aur tapish me main ghar se bahar nikalna hi pasand nahi kari
Waqt beet gaya aur shahnaz aur seema ke sath sath mee chuzi ke bhi paper khatam ho chuke the aur hum log free hokar ghar pe hi the seema bas kabhi kabhi poonam aunty ke sath jati thi kahin kahin
Piche jungle me aane walon ko main roz dekhne jati thi lekin idhar wo us din ke bad se nahi aa rahe the
shayad un ko kisi tarah shak ho gaya ho ya fir koi aur bat ho main nahi janti , chuzi roz phone kar ke puchti thi ki kal raat kya raha , main yahi kah deti thi ki koi aaya hi nahi jawab me wo bahut ache ache word sunati thi
Aise hi is mausam me ghar me band aur us par shahnaz ki chuttiyan wo bhi dimagh garam kiye rahti thi ki kahin chalo , vacation pe lekin main nahi jana chah rahi thi
lekin ab shahnaz ko samjhana mushkil ho raha tha aur main khud shahnaz ki kisi bat ko nahi talti thi , maine socha chalo kahin chala jaye bahut dino se kahin gaye bhi nahi hain hum log , maine shahnaz se kaha acha hum log jayenge ab to tum khush ho
_