25-01-2020, 11:57 AM
ab hum kahan jaa rahe hain...?"unhone baat ka vishay badalte hue mujhse pucha.
"mor ki disha mein....aksar varsha mein bheegne ke pashchaat mor apne pankh sukhane hetu nirtya karti hai, shaayad aaj hamein uska nirtya dekhne ko mil jaaye" maine bhabhi ko uttar diya. Kintu mera dhyan mere pichhle prashna par tika hua tha, bhabhi ne abhi tak mere prashna ka uttar nahi diya tha.
bhabhi ne ek udti hui drishti mujhpar daal kar phir aage dekhne lagi. Wo kuch soch rahi thi....shayad unka mashtishk mere hi prashna par uljha hua tha.....maine unhe tokna ucheet nahi samjha....main chahta tha ki wo mere prashna par vichaar karein, issliye maine maun rahkar unhe sochne ka avsar pradaan kiya aur chupchaap unke sath chalta raha. Bhabhi chalte chalte ek do baar meri aur dekha bhi kintu kuchh kehne ke bajaye matra muskurakar rah gayi. Kuchh hi der mein hum us sthaan par pahunch gaye jahan hum mor dekh sakte they. Aur mera anumaan bhi sahi nikla.....wahan hamein do teen mor naachte hue dikhayi diye. Kintu hamare aakarshan ka kendra to wo safed mor tha jo apne safed pankh failaye apni hi masti ki dhun mein naach raha tha, kaash ki main uss manohaari drishya ka aapko anubhav kara paata, kintu mere pass wo shabd hi nahi hai jisse ki main uss drishya ka sahi sahi chitran kar saku.