Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Galti ka saja (Completed )
#8
Men: dekho beta mujhe bhee room ko kiraye par dne ke utni hee jarorat hai. Jitney tumhen. Par pehale mere baat dhayan se sun lo.

Amit: jee aunty bolaye.

Men: dekho amit men janti hun ki, tumhare aur neeta ke beech men kis taraha ka rista hai…..men yee bhee janti hun ki tum umer ke kiss dour se gujar rahe ho. Aur men nahi chathi ki, mere betiyon par in bataao ka asar padhe.

Tum samajh rahe ho naa men kya kehana chathi hun. mere do jawan betiyaan hai beta. Hum bahut gareeb log hai. Aur humari ijjat ke saiwa huamre pass kuch nahi hai. Agar tumhe mere ghar men room chahe to, apni hadon men rehana hoga.

Amit: (mujhe beech men tokate hue) aunty jee aap fikar naa kare. Aapko apne ghar men mere majoodgi kar ahsaas tak nahi hoga. Men apni ankhen humaesh farash ke taraf rakhunga. Aap mera yakeen manaye……

Men: dekh lo amit agar mujhe tumhari koi bhee harkat acchi naa lagi to, tumhe usse waqt ye ghar chod kar jana hoga….

Amit: theek hai aunty jee. Men aapko shikyat ka koi moka nahi dunga. Aap ye bataye ki appko kitna rent chahye. 

Men: (thodi der sochane ke baad) beta mujhe neeta ne 5000 rs mahina kaha tha. 

Amit: aunty ab aap se kya chupana. Men factory men sirf 8000 rs mahine ka kamata hun. baki aap jaise kahe. Waise 5000 hajar bhee de dunga. Agar aap khana aur mere room ke saarf sfai aur mere kapdho ko dho sake to.

Men amit ke baat sun kar soch men padh gaye. Akhir akela kitna kha lega. Aur agar do teen din men iske ek suit dhona bhee padhe to kon sa afat aa jayege.

Men: par men ghar par betiyon ko kya kahungi , ki tum yaha par kiraye par kyon rahe ho. 

Amit: aap unse keh dena ke men yaha par padh raha hun. aur neeta aunty ne aap se mujhe yaha rakhane ke liye kaha.

Mujhe amit ke baat sahi lagi. Mene usse haan kar dee. “ to tum kab apna samaan lekar aa rahe ho “ mene amit se poocha.

Amit: aunty jee mere pass to mere kapdho ke siwa koi saman nahi hai. Men kal subhe aa jaunga. Kal sundaye hai.

Men: theek hai tum kal aa jana. Men tumhare rehane wale kamre men ek single bed lagwa deti hui. Purna hai par gujara kar lena.

Amit ne haan men sar hila diya. Aur apni jeb se 5000 rs nikal kar mere taraf badha daye. Mene hichakte hue usse paise le laye. Uske amit chala gaya. Par men ajeeb se uljan men thee. Mere dil ke kisi kone men shyad ye baat mujhe kaat rahi thee ki, men jo kar rahi hun theek nahi kar rahi. Mene apna dhyan batane ke liye ghar ke kaam men lag gaye. Sham ho chuki thee, ab tak rama aur Sonia wapis nahi aye thee. Mujhe thodi chinta hone lagee.

Mene bahar akar gate khola aur bahar dekhane lagee. Par mujhe jayda der intjaar nahi karna padha. Thodi der men hee mujhe rama aur Sonia atti hui dikhai dee. Jab wo ghar ke samne aye to, mene unse poocha ki itni der kaha laga dee, to Sonia boli, maa ab shadi men time to lagta hai naa.

Uske baad dono ander aa gaye. Mene raat ke khanne ke taiyaari pehale hee kar lee thee. Thodi der rest karne ke baad mene rama aur Sonia ko bulaya, aur unko kaha. Ki amit kal se yaha rehane anne wala hai.

Men: tum dono dhayan se suno. Uss din jo aunty aur unka beta humare ghar aye thee naa. Unka beta amit issi sahar men agge padh raha hai. Aur wo kal se yahi humare ghar par rehega. 

Rama: jee maa.

Men: dekho beta men chathi hun ki, tum dono usse jayda baat mat karna. Apne kaam se matlab rakhana.

Sonia: jee mamma.

Men: mene usko neeche wala hee room diya hai. Khana to men taiyaar kar diya hai. Ab tum mere sath mil kar uss kamre ke thodi sfaai kar do. Aur haan jo bahar baithak men single bed padha hai, usse uske room men shift karna hai.

Dono nee haan men sar hila diya. Uske baad hum teeno ne kamare ke safai ke, aur uske room men kuch samaan set karwa diya. Kaam karne ke baad hum teeno kafi thak gaye thee. Thodi der aram karne ke baad hamne raat ka khana khaya, aur sone ke liye apne-2 kamaro men chale gaye. 

Sonia aur rama dono mere room ke sath wale room men soti thee. Agli subhe men thoda sa ahsaaj mahoos kar rahi thee. Men soch rahi thee ki, mene koi badi galati to nahi kar dee, amit ko room rent par dekkar. Phir mene socha, abhi halat aise hai ki, men kuch kar bhee nahi sakti, jab mere baki room rent par chadh jayenge to, men amit dusra room lene ke liye keh dungi. 

Subhe ke 10 baje men ghar ke angan men baithi hui, silai ka kaam kar rahi thee, ki tabhi mujhe ghar ke bahar bike ke rukane ke awaz aye. Gate band tha, men gate ke taraf dekhane lagee. Phir thodi der baad door bell baji, men khadi hui, aur gate ke taraf jakar gate khola, to samne amit apne bag ke sath khada tha. mene apne honto par jabardasti muskan late hue usse ander anne ko kaha. Usne pehale apna bag ghar ke ander rakha, aur phir bike ghar ke ander kar lee.

Uske ander anne ke baad men gate lock kar diya. “namste aunty jee” amit ne muskarte hue kaha.” Mene uss ke room ke taraf ishara karte hue kaha. “chalo tumhe room dikha deti hun. “ aur uske baad men usse uske room men le gaye.
thanks 
Like Reply


Messages In This Thread
Galti ka saja (Completed ) - by sakzkhan - 28-01-2019, 02:43 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 28-01-2019, 03:03 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 01:20 AM
RE: Galti ka saja - by Eswar P - 29-01-2019, 07:47 AM
RE: Galti ka saja - by hhhotboy2000 - 29-01-2019, 04:05 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 08:49 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 08:51 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 06-02-2019, 02:16 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 08-02-2019, 01:46 AM
RE: Galti ka saja - by angel - 08-02-2019, 07:57 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 02:36 PM
RE: Galti ka saja - by Blackking - 10-02-2019, 12:54 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 01:38 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 01:39 AM
RE: Galti ka saja - by krishkish - 17-02-2019, 11:50 AM
RE: Galti ka saja - by Kaminii - 17-02-2019, 07:28 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 11-03-2019, 01:46 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 05:16 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 05:18 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:53 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:54 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:56 PM
RE: Galti ka saja [Completed] - by sakzkhan - 27-03-2019, 07:01 PM
RE: Galti ka saja - by kamdev99008 - 01-11-2019, 08:10 AM
RE: Galti ka saja (Completed ) - by raj500265 - 07-06-2022, 12:37 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)